Monday, September 21, 2009

Agar kisi KAMZOR Lamhey mein


Agar kisi KAMZOR Lamhey mein
Tum mujhsay ROOTH jao,
Aur mai tumsay KHAFA ho jao,
Tau ye mat Samajhna kay,
Mai tumhay Manaonga nahi,
Tum bas itna Samajh lena kay,
Mai bhi tumsay ROOTH kar khush nahi hoon,
Mai bhi tumsay dubara BAAT karna chahta hoon,
Lekin phir bhi mai tumhay na manao,
Tau ye bhi samajh lena kay,
Mai uss HASEEN Pal ka Intzaar kar raha honga,
Jab mai tumhay sabse DILNASHEEN Dhang se mana saku,
Jaanta Hu Iss Bich tumhay,
Thoda Intzaar Karwaonga mai,
Lekin kya karu uss Intzaar kay baad,
Tere CHEHRE pe jo khushi hogi,
Shayad wahi dekhne kay liye tau,
Maine ye sab kiya hoga.....!

Sahara mil gaya...!


Usko
Baray khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
magar
Usne khamooshi se
Mere bahte howe ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kehte huowe chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya...!

Hawa Thami Thi Zaroor Laikin

Hawa Thami Thi Zaroor Laikin:

Hawa thami thi zaroor laikin,
wo shaam phir be sesak rahi thi,
K zard patto ko andheyon ne ajeeb qissa suna dia tha,
K jes ko sun kar tamam pattay sesak rahy thay bilak rahy thay,

Najaany kiss saanehy k gham shajar jaro se utar chuky thay,
hawa thami thi zaroor laikin,

Buhut talaasha tha may ne tum ko,
har aik rasta, har aik ghaati,
har aik waadi, har aik basti,

Kahi se teri khabar na aayi,
hawa pe lik kar payaam bejha,
to wo be phir lott kar na aya,

to hum ne ye keh kar dil ko thaala,
hawa thamy gi to daik lengy,
hum un k raston ko doond lengy,

Magar hamari ye khush khayaali,
Jo hum ko barbaad kar chuki thi,
K hum se taakheer ho chuki thi,
Hawa Thami thi zaroor Laikin,

Hamaary baalon k jangalon may,
safaid Chaandi utar chuki thi,
Falak pe taary nahi rahy thy,
Gulaab paary nahi rahy thy,

Wo jen se basti thi dil ki basti,
Wo log saary nahi rahy thy,
Ye almiyan sab se balatar tha,
To tum hamary nahi rahy thy,
K hum tumhary nahi rahy thy.
Hawa Thami thi zaroor laikin,
WO SHAAM PHIR BE SESAK RAHI THI....

Sach bhut mudat sy aisa hai,


Sach bhut mudat sy aisa hai,
k tum khamoosh rehty ho,
koe gehra hai gham shayed ,
jisy chup chaap sehty ho,
yunhi chalty hue tanha,
koe ghamgeen sa naghma,
tum aksar gun gunaty ho,
doran-e-ghuftagu yunhi,
milain nazron sy jab nazrain,
to batain bhool jaty ho,
kisi gum sum c halat main,
ya phir barish k mosam main,
faqat itna hi kehty ho,
udasi bewaja c hai,
bhut bojhal tabeat hai,
bhala sach kyun nae kehty,

TUMHAIN US SAY MOHABAT HAI!!!!!!!!




_________________

Yeh.. Jo.. ZiSt Ka SaFar Hai...


Yeh.. Jo.. ZiSt Ka SaFar Hai...
Yeh Jo RasTa Hai MEra...
Tum Agar Na Sath Do Gay...
To Yeh Kis TaRha Katty Ga.. ??
Meri Souch Ki HaDo Tak...
Yeh GuMaan B Kesy Ayee..
Koi Pal Bina TumHaRe...
BhaLa Kesy Beet Jaye...
Mere Pass Tum Nahi Ho...
MEre Pass Tum Kab Nahi Ho...?
Meri YaaD K NaGaR Main...
Mere Khuwab K SaFaR Main...
MEri SOuch Ki TaHon Tak..
Meri Ankh K BhaWar Main...
Mere DiL Main...Jaan Main...Tan Main...
MEri HasRaTon K Ban Main...
MEre DiL Ki TeeRHi.. Main...
MEri ShaB Ki ROshni Main....
Haan TumHi Ho... HaR Kahin Ho...
MEre Pass Tum Nahi Ho...
MeRi Har DuA Ka MehVaR...
Bus Ek ArZoo TumHari...
Isi ArZoo Se Agy...
Koi RasTa Nahi Hai...
TumHy.. Kis QaDaR Hai Chaha...
Yeh TumHy... Pata Nahi Hai..!!!

Is dil mein salamt hy ab tak


Is dil mein salamt hy ab tak
Wo shukhi-e-lab wo harf-e-wafa
Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
So bar jise chuma hum ne
So bar parstish ki jis ki
Is dil mein salamt hy ab tak
Wo gard-e-alm wo deda-e-num
Ham jis mein chupa kar rakhte the
Tasveer bikharti yadöön ki
Zanjèèr pighalte wadöön ki
Punji nakam iradøön ki
Aay taz hawa naraz na ho
Is dil mein salamt hy ab tak
Samam bicharti saät kä
Kuch tukre garm dupahuroon ka
Kuch raz narm sawaloon ke
Kuch dar unmul kheyaloon ke
Ik sacha roop haqeqt ka
Ik jhota lafz MOHABAT ka...!



_________________

Tum Roth Jaya Karo..


Tum Roth Jaya Karo..
Is Tarha...
Ke Jaise..
ZinDagi Ki Khuwahish Krne Walon Se..
ZinDagi Roth Jati Hai..!!!


Mujhe Sataya Karo...
Is Tarha..
Ke Jaise...
Mout Ke Tamanai Ko ZinDagi Satati Hai..!!


Sath Chor Jaya Karo...
Is Tarha..
Ke Jaise..
Khushboo Phool Ko Chor Jati Hai..!!

Magar...........


Jab Mery Zabt Ke Bandhan Toot Jayein To...
Maan Jaya Karo...
Is Tarha..
Ke Jaise...
Gunahgaar Bandy Ke Girgirany Per...
KHUDA Maan Jata Hai..!!



_________________

*KIA TUM B . . .?

*KIA TUM B . . .?


*KIA TUM B . . .?

Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .
Or kisi awara patte ki ahat pr,
Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .

--==--

KIA TUM BHI . . ?

Dard chupane ki koshish krtay krtay . .
Aksar thuk se jatay ho . .
or
bila waja muskaratay ho . .

--==--

KIA TUM BHI . . ?

Neend se pahele palkoun pr . .
Dheroun khuwab sajatay ho. .
Ya phir bistar pr late kr ,
Rotay rotay so jatay ho . .

*KIA TUM B . . .?



_________________

ab ke is taur se aanchal ki hawa de mujh ko


ab ke is taur se aanchal ki hawa de mujh ko
jaagte zaehen ki meeraas bana de mujh ko

jo mere dard ki awaaz samajh sakta ho
aye zamaane, koi aisa Khuda de mujh ko

mein ne samjha hai tujhe munsif-e-dauraan aksar
merii na-karda gunahii ki sazaa de mujh ko

mein terii rah mein aik sang-sabak wazzan toh hoon
dair kiya lagti hai, tohkar se hatta de mujh ko

yeh alag baat ke ohjhal hoon nazar se warna
mein tere paas hii rehta hoon, sada de mujh ko

mein dharakta hoon tere siine mein dil ki surat
aye mere dushman-e-jaan, aur dua de mujh ko

uff! shab-e-gham ka woh tehra hua lamha faysal
jab mere weham kii aahat bhi jaga de mujh ko

Chashm-e- num teri rawani se alag rehta hoon. .


Chashm-e- num teri rawani se alag rehta hoon. .
Main aag hoon pani se alag rehta hoon. .

Gumshuda shaks hoon matt dhoond mujhey rahoon main. .
Main her ek yaad dehani se alag rehta hoon. .

Tu merey tazkara-e-ishq main kun aata hey. .
Main tu apni kahani se alag rehta hoon. .

Phool se terq-e-taaluq ko tu zamana Guzra
ab to me, Teri har ek Nishani se alg Rehta hon. . .

Meray dil mein utro zara zara,


Meray dil mein utro zara zara,
Mujhay holay holay ttm pyar do,

Meri tishnagi ko barhaao phir,
Meri be-kali ko qaraar do,

Mujhay harf harf samait lo,
Mujhay lafz lafz shumaar do,

Jo umar bhar na utar sakay,
meri aankh ko woh khumaar do,

Mujhay likh lo dil ki kitaab par,
Meri rooh ko khud mein utaar lo,

Tum ur-haa k chunri pyaar ki,
Meri Bikhri zulf sanwaar do,

Aao pyaar ke is khail mein, faysal
Tum jeet jao mujhe haar do

kuch indaykhay say khawab ankho mai sajnay lagay hain


kuch indaykhay say khawab ankho mai sajnay lagay hain
khawab hai kay sahrab hai hum soachnay lagay hain

mai phool houn to meree khushbo hain wo
phir yeh koun loog mujh ko bikrnay lagay hain

wo jis say judaee kai soch kar yeh darkan rukh jay
hum apnay naseeb mai assa koi mangnay lagay hain

muhabat hai dewana pun yeh jantay hoay bhi
kyu raato ko uth kar ahay barhnay lagay hain

wo jis ki haar dua mai naam humara hai shamil
kabool us kay honay ki dua hum karnay lagay hain

na jis kay milnay par yeh ankhay barh jatee hain
kuch to hai us mai assa kay hum badalnay lagay hain

kia us ko hai mallom kay kia hai wo kissi kay liay faysal
assay hi nahee to hum karwatay badlnay lagay hain

Main to woh rang hoon


Main to woh rang hoon
Jo tere dil pe charhey to kabhi na mitey

Main woh geet hoon
Jo tere labon se juda na hoga

Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahega magar fana na hoga

Khwaab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah

Mere mitney ka sawaal nahin
Kyunkeh MAIN TO MOHABBAT HOON

Aur Mohabbat Koi Sawaal Nahee....!!!!

zamane ko chor aayi thi sirf tere liye

zamane ko chor aayi thi sirf tere liye  
main apnon se moonh moor aayi thi sirf tere liye  
tune meri mohabbat ka aisa sila diya ke ab soochti hoon 
 ke kyun apne dil ko dhoka de aayi thi sirf tere liye , 
 aarmaan to mere bhi bahut the par 
 aarmaan pura karne wala hi nahi raha 
 tasweer teri bana li thi apne main par tasweer main 
 rang bharne wala hi nahi raha khwaab 
 jo toote to dil bhi toota par dil ko jorne wala hi nahi raha 
 ab bhi ro ro ke yaad karti hai yeh bewafa sirf tere liye  
, beet gayi raatein beet gaye din par neendein urhne wala hi nahi raha 
chand bhi badalon main chup gaya 
 taaron ne bhi chamakna band kar diya par 
 geet sunanne wala hi nahi raha 
 dukh to hamein hota hai dukh tumhein bhi hota hai  
par us dukh ko mitane wala hi nahi raha  
ab nishaaniyaan bhi pyaar ki mita di hain sirf tere liye,

Sirf 1 Baar Apna Deedar Kara Do

Meri jaan tum jidhar bhi ho jaisi bhi ho agar meri ye sada tum tak pahanch rahi hai to main

Aaj tum se kuch kehna chahta hoon kuch apni mahabbat ke bare main batana chahta hoon

Tumahara wajood tumhari maujoodgi main to lafzon main biyan nahin kar sakta par is ka

Ehsas tum tab hi mehsoos ker sakti ho jub bhi tum meri aankhein num dekho jub bhi tum

Maire jazbaat samjh sako kabhi aankhon se kabhi posheeda baaton se kabhi saanson se

Aur kabhi Aahon se jo kho chuke hain unhein dhoondna to mumkin nahin jo ja bhi chuke

Hain unhein koyi kis tarah laye per meri tum se sirf itni si guzarish hai ke tum mere is ehsaas

Is pyar ko kabhi dhoka mat dena sirf itni si guzarish hai ke meri chahat ko apni zindagi aur

Apni zindagi ka 1 khas ehsaas samajh ke isay dil se kabool karna sirf itni si guzarish hai

Sirf meri itni dua hai ke agar koyi khushi maire muqaddar main hai to wo bhi tumhare

Naseeb main aa jayein Waise to pyar ke deep jalaney waley kuch kuch pagal hotey hain

Apni jaan se janey waley bhi kuch pagal hotey hain per phir bhi tumhari sirf aik jhalak aur

Ehsaas ne mujhe is Qadar pagal ker diya hai ke main chah kur bhi tumhein bhoolna nahin

Chahta sirf itni si guzarish hai ke jab tak is pagal ki zindagi hai tab tuk sirf tab tak apni

Maujoodgi aur ye ehsaas qayim rakhna sirf tab tak apni palkon main mujhe chupa ke

Rakhna jab tak main jab tak main tumhari mahabbat main 2 jahan na haar jaoun tumhare

Ehsaas ne neendein jo meri cheeni hain dil jo tere hawaley ker diya hai bechain jo mujhe

Ker diya hai saanson main tujhe basa liya hai sirf itni si guzarish hai ke mairi wajood main

Aur meri saanson main yunhi basey rehna tum bhi sochti hogi ke kaisa nadan hai jo is

chahat main apne aap ko mitaney main tula huya hai per mera tum se ye dawa hai ke tum

Ne bhi aisa deewana na dekha hoga na meri ye deewangi aur na hi meri bekhudi kaash tu

Ye jaan jaye ke tu hi meri zindagi hai

Her khushi her ahat main mujhe teri hi talab hoti hai her naghmey her saaz main mujhe sirf

Aur sirf teri hi sada sunayi deti hai terey hi tasawur main meri zindagi kat rahi hai

Tum Maire Ander is tarah samana ke mere wajood ko bhi is ki khaber na ho mujhe sirf apna

1 lamha 1 sham wo ehsas wo mahabbat nawaz do per meri yeh tamanna hai ke us ke baad

Kabhi seher na ho

Aakar dekhlo tumhare deewane ka kiya haal hai log mujh ko pagal kehte hain han main

Pagal hoon main tumhari mahabbat main pagal hoon tumhein pane ki tamanna main pagal

Hoon apni zindagi ki har khushi tumhare naam karne main pagal hoon tum kabhi apni

Yaadein mujh se mat chenna is bejaan zindahi main tumhari yaad ke siwa rakha hi kiya hai

Aakhir main tum se sirf itna maangta hoon agar tum jahan bhi ho agar meri zindagi ki kahani

Parahi ho to KHUDA ke liye sirf 1 baar apna chehra dikha jaou aur apne deewane ki aakhri

Khawahish poori kar do apna deedar kara do warna mujhe marne ke baad bhi sukoon nahin

Mile ga sirf 1 baar apna deedar karado sirf apna 1 baar deedar karado sirf apna 1 baar

Deedar karado

Mere wajood ko tu samait lay main bikhar raha hoo zara zara


Mere wajood ko tu samait lay main bikhar raha hoo zara zara
Mere ansooun ko ponch le main sisak raha ho zara zara

Meri chahtoon ko samajh khabhi,meri hasraton ka khayal kar
Tere deedar ki ik aarzu mai tarap raha hun zara zara

Apnay pyaar ka ik diya meri raah main tu jala khabhi
Andheri raat ka andhera mujhe das raha hai zara zara

AA dil pe mere hath rakhde meri dharkano ko qarar de
Meri saans tu hai chalrahi par main jee raha hon zara zara....!

Abhi Jeeney De


Abhi Jeeney De
Aey Gham-e-Hayaat
Abhi Palkon Se Jurray Hain Kuch Khawab Mery
Abhi Dhoondna Hay Khud Ko Baqi
Saray Rastay Hain Sarab Mery
Abhi Tishna Hoon
Muhabbat k Sagar Mein Behney De
Goyaii Chin Gayii Kab Se
Kuch Kehna Chahta Hoon Kehney De
Abhi Aas-o-Ummeed Ne Dam Nahi Torra
Kisi Mojzey Ki Aur
Dekhta Rehta Hoon
Jo Hona Hay Vo To Hoga
Yunhi Qismat Ki Lakeeron se
Ulajhta Rehta Hoon
Koi Mojza Koi Jaduu
Koi Sehar To Kar De
Khushion Se Mera
Daman To Bhar De
Thak Gaya Hoon
Chalty Chalty Tery Saath
Abhi Jeeney De
Aey Gham-e-Hayaat. ..!!!

Aankhon Se Mere Is Liye


Aankhon Se Mere Is Liye Lali Nahi Jati faysal
Yaadon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati

Yeh Jo Sham Dhal Rahi Hay


Yeh Jo Sham Dhal Rahi Hay
Isay Sehal b Na Jano
Yeh Thehar Gayi Jo Dil Mein
Yehi Shab Halakton Ki
Yehi Dopehar Ki Kari Hay
Pas-e-Gard-e- Ehd-o-Paimaan
Yeh Jo Hijr Ki Ghari Hay
Yeh Fishar-e-Jaan Ka Mausam
Yeh Jo Dil Giraftagi Hay
Yeh Jo Weham Hay Lahoo Mein
Yeh Jo Seham Aankh Mein Hay
Yeh Sinaan Si Waswasoon Ki
Jo Khayal Mein Gharri Hay
Yeh Jo Aik Khalish Wafa Ki
Tera Jaur Seh Gayi Hay
Yeh Jo"UnKahi Kahani"
Mery Dil Mein Reh Gayi Hay
Yeh Thakan Rahay Junoon Ki
Jo Utar Gayi Ragon Mein
Yeh Teri Meri Khushi Hay
Yeh Chiragh Chahton k
Jo Hawa Mein Jal Rahay Hain
Inhein Kab Talak Sambhalein?
Chalo Phir Se Torr Daalein
Vo Tamaam Ehd-o-Paimaan
k Main Tujh Mein Jee Raha Hoon
k Tu Mujh Mein Bus Rahi Hay
Chalo Phir Se Sochtey Hain
k Main Tujh Se Naa Shanasa
k Tu Mujh Se Ajnabi Hay
Vo Jo Rasm-e-Dosti Hay
Vo Rahay To Jaan Salamat
Na Rahay To Phir b Jaana
Tera Gham Sambhalney Ko
Abhi Zindagi Parri Hay...!!!
__________________

meri laghzishon ko gina karo


meri laghzishon ko gina karo
meri ghaltion ko chuna karo
ye qadam qadam ki hadud kia
mere sath sath chala karo
ma khulay mizaj ka shakhs hoon
taqalufat se mavra
ye jo meherbani ka lafz ha
ise mujh se u na kaha karo
ye jo muhabaton k khail hain
ye ajab tarz k khail hain
ye daitay hain sazain roz-o-shab
inhain khailnay se bacha karo
ma hadud-e-jan se nikal chuka
ma kehkashan ma kho chuka
me tere lafz na sun sakon ga
mujeh ab sada na dia karo

wo ik larki


wo ik larki
meray jaisi

udas logoon ki bastion main
wo titlion ko talash karti hay

wo ik larki

wo goal chehra wo kaali aankhain
jo karti rehti hzaar batain
mizaj saada wo dil ki achi

wo ik larki

sari batain wo dil ki manay
wo kray wo jo dil main thanay
koi na janay kia us ki marzi

wo ik larki

wo chahat k seerab daikhay
muhabbtoon k wo khwab daikhay
wo khud sumandar magar hay piasi

wo ik larki

wo dosti k nisaab janay
wo janti hay ehad nibhanay
wo achi dost wo achi sathi

wo ik larki

wo jaam chahat ka peena chahay
wo apni marzi say jeena chahay
magar hay darti magar hay darti

wo ik larki

muhabbtoon ka jo fulsfa hay
wo janti hay usay pata hay
wo phir bhi rehti dari dari c

wo ik larki

wo jhotay logoon ko sacha samjhay
wo sari duniako acha samjhay
wo kitni saadi wo kitni pagli

wo ik larki....... ..

Popular Posts