Monday, August 31, 2009

Main Wahi Hoon Jise Tum Pyar Kiya Karte They,

Main Wahi Hoon Jise Tum Pyar Kiya Karte They,
Din Mein 100 Baar Mera Naam Liya Kerte They.
Aaj Kya Baat Hai Kyun Mujhse Khafa Baithe Ho,
Kya Kisi Or Ko Dil Apna Bana Baithe Ho ?
Fasley Pehle To Itne Na Hua Karte They.
Main Wahi Hoon Jise Tum Pyar Kiya karte They,

Mana Keh Ye Gham Hai Koi Sougaat Nahi,
Tum Hamein Apna Kaho Aise Bhi Halaat Nahi,
Agar Bhool Gaye Ho , To Koi Baat Nahi,
Zakhm To Pehle Bhi Is Dil Pe Laga Kerte They,
Main Wahi Hoon,Jise Tum Pyar Kiya Kerte They,

Jee Mein Aata hai Ke Aaj Tumhein Tadpa Doon,
Dard Jo Tumne Diye Wo Sub Tum Ko Louta Doon,
Agar Bhool Gaye Ho To Ye Batla Doon,
Tum Mujhe Hasil-E- Armaan kaha Karte They,
Main Wahi Hoon Jise Tum Pyar Kiya Kerte They.

Bohat Hi Muddat K Baad Kal Jab

Bohat Hi Muddat K Baad Kal Jab
Kitab-E-Mazi Ko Main Ne Khola

Bohat Se Chehray Nazar May Utray
Bohat Se Naamo Per Dil Pasija

Aik Aesa Safha Bhi Us May Aya
Likha Howa Tha Jo Ansoun Se

Jis Ka Unwan HAMSAFAR Tha
Yeh Safha Sab Se Ziada Moatabir Tha

Kuch Aur Anso Us Per Tapkay
Phir Us Se Agay Main Parh Na Saka

Kiitab-E-Mazi Ko Band Kar K
Us Ki Yadoon May Kho Gaya Main

Agar Woh Milti Tu Kaisa Hota
In Hi Khayalon May So Gaya Main

Kahoon Kis Se Qissa-e-Dard-o-Gham

Kahoon Kis Se Qissa-e-Dard-o-Gham
Koi Hum Nasheen Hai Na Yar Hai
Jo Anees Hai TERI Yaad Hai
Jo Shafeeq Hai Dil e ZeR Hai

Tu Hazar Kerta Lagawatain
Main Kabhi Na Aata Faraib Main
Mujhe Pehlay Is Ki Khabar Na Thi
Tera Do Hi Din Ka Yeh Pyar Hai

Yeh Naveed Auron Ko Ja Suna
Hum Aseer-e-Daam Hain Aye Saba
Hamain Kia Chaman Hai Jo Rung Per
Hamain Kia Jo Fasl-e-Bahar Hai

Mujhay Raham Aata Hai Dekh Ker
Tera Haal Akbar-e-Nauha Gar
Tujhe WO Bhi Chahay KHUDA Karay
Keh Tu Jis Ka Aashiq-e-ZeR Hai

Mere saath tum bhi dua karo yonh kisi ke haQ me bura na ho

Mere saath tum bhi dua karo yonh kisi ke haQ me bura na ho
kahin aur ho na ye haadasaa koi raaste me judaa na ho

Mere ghar se raat ki sej tak woh ik Aansowon ki lakeer hai
zara barrh ke chaand se poochena woh isi taraf se geya na ho

sar-e-shaam thehri hui zameen, Aasmaan hai Jhukaa huwa
isi morr par mere waaste woh chiraag le kar kharra na ho

woh farishte aap hi dhooNdhiye , kahaaniyon ki kitaab me
jo buraa kahain na bura sunain .koi shaKhs un se khafaa na ho

wo wisal ho keh firaQ ho teri aag mehke gi Ek din
woh Gulab ban ke khile ga kya jo chiraag ban ke jalaa na ho

mujhe yonh lagaa ke khushbu ke hontH titlion ne chu liye
inhi zard patton ki ott me koi phool soya huwa na ho

isi ehtiyaat me main raha isi, ehtiyaat me wuh raha
wuh kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho

Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho, Kyon Gosha Nasheen Bekaar Hue,

Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho, Kyon Gosha Nasheen Bekaar Hue,
Aakhir Tumhe Sadma Kya Pahuchna, Kya Soch Ke Khud Azaar Hue,

Kyon Saaf Kushadaa Raaston Par Tum Thokarein Khate Phirte Ho,
Kyon Teer-O-Taar Si Galiyon Mein Tum Aan Ke Khush-Raftar Hue,

Kyon Rasta Chhod Ke Chalte Ho, Kyon Logon Se Katrate Ho,
Kyon Chalte Phirte Apne Liye, Tum Aap Hi Ek Deewar Hue,

Kya Uthte Baithte Sochte Ho, Kya Likhte Padhte Rehte Ho,
Is Umr Mein Ye Be-Kaifi Kyon, Kis Waste Nek Atwaar Hue,

Kyon Aise Safar Pe Nikle Ho Manzil Nahi Jiski Koi Bhi,
Kyon Raah Pe Aisi Chalte Ho, Saya Bhi Jahan Deewar Hue,

Kyon TarQ-E-AlaiQ Ko Tumne Samjha Hai Ilaaj-E-Gam Aakhir,
Dekho To Wali Sofi Bhi Yahan Kis Thaath Ke Duniya-Daar Hue,

Mayoosi-E-Paihum Se Tumne Yarana Ye Kaisa Ghantha Hai,
Undoh Alam The Jitne Bhi, Aakhir Wo Gale Ka Haar Hue,

Is Kalba-E-Ehzaan Se Hargiz, Ubhrega Na Suraj Koi Bhi,
Kab Khaak Sitara Baar Hui, Kab Saaya Sahr Asaar Hue,

Kab Subah Ke Nale Kaam Aaye, Kya Garyaa-E-Neem Sabhi Se Mila,
Is Qarya-E-Khwaab-E-Faroshaan Mein Tum Kiske Liye Bedaar Hue,

Bekaar Ulajhte Rehte Ho Kyon Ulti Sidhi Baaton Mein,
Ye Marhale Wasl-O-Hijraan Ke Ab Aise Bhi Kyon Dushwaar Hue,

Us Kuche Ki Raah To Samjhao, Jis Kooche Mein Jaan Mushkil Hai,
Us Shakhs Ka Naam To Batlao, Tum Jiske Liye Bimaar Hue,

MashfaQ Ne Ye Baatein Sunke Kaha, Baatein Na Hui Ashaar Hue,
Ye Dard Batane wale Bhi Kis Shaan Ke Khush Guftaar Hue,

Sad Shukar Ke Khush Usloobi Se Takmeel Ko Pahuchi Ruswayi,
Mohtaj-E-Dua The Jo Khud Hi Aakhir Wo Mere Gamkhwaar Hue...

In faaslon ki fikar mein kyun karun bhalaaa?

In faaslon ki fikar mein kyun karun bhalaaa?
Boht door reh k bhi mere paas hai koi,
Is soch me dooba hai,bohat dair se mera Dil,
Kiya us’k Dil me bhi aisa ehsaas hai koi,
Uski nazron se hai bana meri sanson ka tasalsul,
Is tarah meri zindagi ki aas hai koi,
Uska jo poocha hai to bs itna jaan lo,
Bohat khas, bohat khas, bohat khas hai koi,
Mohsin jo ja rahy ho to ye b us se kehna,
Us k bina is shehar me boht udaas hai koi…

Itna toota hoon key choonay say bikhar jaaoonga,

Itna toota hoon key choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gan na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charaag koi,
Kaun pehchanay ga, basti mein agar jaaoonga !

Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fiza'on mein bikhar jaaoonga

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bahot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wakfa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalta Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Fankaar ho jao

Woh khat kay purzay uraa raha tha


Woh khat kay purzay uraa raha tha
Hawaon ka roop dikha raha tha

Kuch aur bhi ho gaya numaayan
Main apna likha mitta raha tha

Ussi ka imaan badal gaya hai
Kabhi jo mera Khuda raha tha

Woh eik din eik ajnabi ko
Meri kahani suna raha tha

Woh umar kar raha tha meri
main saal apne barha raha tha

Karoon ti kis liye aakhir karoon malal us ka,

Karoon ti kis liye aakhir karoon malal us ka,
usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,

Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,

Mere naseeb ki yeh bhi to khush naseebi hai,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,

Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,

Mere urooj ko us ke naseeb main likh dey,
KHUDA-E-PAK mujhey soonp de zawaal us ka...

Kuch khud bhi they afsurda sey

Kuch khud bhi they afsurda sey
kuch woh bhi hum sey rooth gaey

kuch khud he zakham ki aadi they
kuch sheeshey haath sey ***** gaey

kuch khud bhi they hassas bohat
kuch muqddar bhi hum sey rooth gaey

kuch jhoot sey unko nafrat thi
kuch boley hum sey jhoot gaey

kuch logon ne ouksaya unhay
kuch apney muqaddar phoot gaey

kuch khud he itney mohtat na they
kuch log bhi hum ko loot gay

kuch talkh haqeeqat itni thi
ke khawab he saray toot gay……..

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtay hain

Suna hai bole to baton se phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhtay hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain

Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain

Ab us ke shahar main tharain ki kuch kar jayan
Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain

Manzil Bhi Kho Chuka Hoo'n Safar hee Nahin Raha

Manzil Bhi Kho Chuka Hoo'n Safar hee Nahin Raha
Meri Kisi Duaa Main Asaar hee Nahin Raha

Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar Hijar e Yaar Ki
Lafzon Ko Jornay Ka Hunaar hee Nahin Raha

Tu Kya Chala Gaya K Main sab kuch hee Khoo Chuka
Manzil ko chhorh de K Safar hee Nahin Raha

Awaargi Main Lutf Kahan ab Azaab Hai
Par Kya Karoonga Loat K, Ghar hee Nahin Raha

Ghintii K Din Hain Mout Main Lakin Ye Waqt Bhi
Kuchh aisey Tham Gaya Hai Guzar hee Nahin Raha

Dafnaa Do Mujhko Mout Se Pehle hii dosto
Ab mai Kisi Ka Jaan e Jigar hee Nahin Raha

Subh ko sooraj ne jhanka roshni achchhi lagi

Subh ko sooraj ne jhanka roshni achchhi lagi
Shab ko apni chhat pe baithi chandni achchhi lagi

Khet ki merhon pe payal geet lagta hai bhala
Gaanv ki galiyon me phirti ragini achchhi lagi

Dil me ho nafrat to din bhi raat ki maanind hein
Ho muhabbat ki kiran to raat bhi achchhi lagi

Youn to sab kehte hein ye haivaniyat ka daur hai
Aadmi ki aadmiyat aaj bhi achchhi lagi


Bhookh kea ate me jab daala he mehnat ka namak
Rookhi sookhi jaisi bhi roti bani achchhi lagi


Eik boorhe perh ke saaye tale faysal hamein
Doosron ko chhaon deti zindagi achchhi lagi

Popular Posts