Saturday, June 5, 2010

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?


To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? 
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi 
Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi 
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay 
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay 
Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay! 

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? 
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay 
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay 
Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay 
Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay! 

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? 
Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar 
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar 
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay 
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay 
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay! 

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? 
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay 
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay 
Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay 
Utartay chaand ka mojon main aks partay huay! 

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? 
Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi 
Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi 
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi 
Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi? 

Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi? 
Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi 
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi 
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi 
Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi 
Azaan hotay hi aanchal se sar ko dhaktay huay bhi nahi?

Tumahri aas ke gumloon mein rukhey phool murjhaaney lagey hein

Tumahri aas ke gumloon mein rukhey phool murjhaaney lagey hein 
judayi dhoop lugti hai .. buhat si tulkh chupti si 
decemebr june lugta hai 
kisi ke naam ki ghunti bujey mujh ko tumahra phone lugta hai 
tumahre laut aane tuk na jaaney kis qadur lumbi udaasi 
aankh ke bister mein chup ke raat likhey gi 
na jaaney kis qadur sapnon ko deygi beyghari ka dukh 
abhi tao phir bhi baaqi hai koyi sapna 
tumahre lums ke zinda warq per 
tumahri kushboyein zinda hein pholon ke badun mein 
mager aisa na ho keh kushbooyein bey chehragi pehnein 
kahein aisa na ho keh bhool jul jaein kisi sapney ke bujhte hi 
tumahra lums mur jaey 
gulaabon ke badun mein zung lug jaey 
kahein aisa na ho jaanaa!!! 
anaa ki surkh tehni per koyi tulwaar ug aaey 
tumahre aur mere durmiyaan deewar ug aaey 
kahein aisa na ho keh sooch ki khirki mein koyi wahem aabeahtey 
main is tukmeel ke aadhey safur mein bhi na mur jaaon 
yeh mausum ju adhoora hai ' adhora hi na reh jaey 
aabhi tao aankh ki misha'al' mujeh rasta dikahti hai 
abhi tao aayina cehra dikahta hai 
seraabhi sahi janaa'n yeh rasta paer ke neechey 
abhi tao aas likhta hai 
abhi hai waqt muthi mein 
agurcha rait ki maanin phisalta jaaraha hai per 
tumahre laut aaney tuk sambha lona koyi lumha 
yeh sara waqt girney se 
mere haathon se behne se 
zara aik lumha pehley tuk.... ager tum laut aao tao 
ager tum laut aao tao meri tukmeel hojaey ... ... ...

Ajeeb larki hoon Khudh ko jalana chahti hoon

Ajeeb larki hoon Khudh ko jalana chahti hoon
Mein khudh ko rakh kar kaheen bhool jana chahti hoon,

Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milen mujhko
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahti hoon,

Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham sai mujhe
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahti hoon,

Baha baha kai yeh ansoo bikhar chuki hoon buhut
simat kai zaat mein ab muskurana chahti hoon,

Jisey aik umer sai Dil mein basa kai rakha hai
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahti hoon,

Wohi yaad hai jo acha kaha hai loghon nai
Baqaya sarey sitam bhool jana chahti hoon,

Mujhe zamaney nai pathar samjh lia hai magar
Mein aik Larki hoon sab ko batana chahti hoon,

Jo mujh sai ruth chuki hain zamaney ki khushiyan
To mein bhi khushyon sai ab ruth jana chahti hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khwaab woh mera bachpan
Aye Umer rafta mein phir sai woh pana chahti hoon,

Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay sai
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahti hoon,

To Apnay Dil kai har aik dard ko khol de 
Mein dard ban kai teray dil mein ana chahti hoon

najaney kitney hi besamar maah o saal pehley

najaney kitney hi besamar maah o saal pehley 
bahaar ki sabzposh gulzar sa`aton mein 
kisi say tum nay gulab lehjay mein kya kaha tha 
jisey kisi nay diya bana kar 
kuchh is tarah dil kay taaqchey mein saja liya tha 
kay zindagi bhar gham-e-jahan kay taveel tareek raston ko 
zara sa roshan, zara sa aasan bana liya tha 
jab apni raahein alag huween theen 
ajab qayamat ka dard tha woh 
koi bhi darmaan` baham naheen tha 
magar tumhara yeh aik ehsaan kam naheen tha 
kisi sey tum ney gulab lehjey mein jo kaha tha 
tumhein to ab yaad bhi na hoga 

magar yahan 
saz, dil, lahoo, lafz aur lehja 
tamaam khwaab o khayal merey 
woh sab adhoorey sawaal merey 
woh sab guzashta kamaal terey 
jalaal terey, jamaal terey 
terey woh fiqrey 
teri woh baatein 
terey woh lehjey 
hamari saanson mein jaagtey hein 
hamari neendon mein jaagtey hein 
charaagh-e-jaan mein woh roshni hein 
ke dil kabhi bujh na paayega 
yeh sari saansein teri amaanat hein 
saarey lamhey teri amaanatn hein 
sari ghariyan teri amanat hein

hum koi jug se niralay to nahin hein logo

hum koi jug se niralay to nahin hein logo 
hum bhi uss daur mein jetey thay jahan 
titlian phool hein aur khwab hein aiwanon mein 
shehr humko bhi muqaddar mein mila hai jis mein 
dharkanein gum hein aur ik shoar se hoo ka alam 
hum bhi uss ghar ke makeen hein jis mein 
waqt ko kaat'te bujh jati hai iss umr ki lau 
aik bemasraf-o-gumnaam iraday ki terhan 
hum bhi logon ki terhan hein ke hamein 
dukh chupana bhi hai hansna sar-e-bazar bhi hai 
hum pe bhi ehd-e-jawani ka azab utra hai 
humnay bhi duur kisi shehr mein hanstay huey 
bastay huey ik shakhs ko chaha hai bohat 
in hawaon ko sada jana hai 
jaise uss shehr se paigham-e-wafa laai hein 
dharkanein ankh ka ansoo too nahin hein laikin 
hum nay gin gin ke ganwai hein kisi shakhs ke naam 
hum niralay hi too hein........... 
humnay iss gham ko gham-e-jaan sa bana rakha hai 
umr jis mein na koi aas na ansoo na hansee 
humnay uss umr ka afsana bana rakha hai!

kabhi jo ehsaas ho tum ko ke...tum acha nahi karte

kabhi jo ehsaas ho tum ko 
ke...tum acha nahi karte 
jo mujh ko yoon rulaate ho.. 
lahoo mera jalaate ho.. 

agar is aagh mein jal kar 
main ik din raakh ho jaaoon to... 
mujhe dil se bhulaa dena... 
samunder main bahaa dena... 

magar! 
yeh yaad rakhna tum 
khudaa se yeh duaa karna 
ke!! 
jo acha lage tum ko 
woh tum jaisa hargizz na ho 
wagarna tum bi ro'ge 
mujhe jaise rulaate ho....!

Qalam haath main thaamey

Qalam haath main thaamey 
tumhara hee tassawur liyey
jaaney kitni dair say baitha
tumhain hee soch raha tha
lafz koi bhaaya nahin 
kuch bhi samajh main aaya nahin
yaadain
hijr k soaz main doobi
karrah rahi theen
yoonhi beykhayaali main
daikha tou
khizaan hee khizaan thi hur soo
safhey saarey geelay thay
khuwaab saarey peelay thay--!

Aaj hum roothain too kia aap manain gay humain?

Aaj hum roothain 
too kia aap manain gay humain? 

aaj hum roain 
too kia aap hunsain gay mujh? 
ab jo hum phir se ujrain 
too kia aap karain ke aabad? 
aaj ager phir se humain chup lag jaye 
aaj ager phir se humaray dil main 
jaag uthay kai sadioon ki thakan 
aaj ager rooh main verani utar aaye 
too kia dalain gay kisi basti ki bunyad 
aaj ager koi udasi koi dukh 
koi peshamani,koi mout, koi ghum humain lenay aa jaye.... 

hum bhi kia bikhray hoye 
ke najanay kia kia 
aap se bolay chalay jatay hain 
aap se pochay chalay jatay hain 
aaj hum pochain ... 
too kia aap batain gay humain 

ab ke matti ki abarat main likhi jaye gi

ab ke matti ki abarat main likhi jaye gi 
sabz patoon ki kahani, rukh-e-shadab ki baat 
kal ke daryaaon ki mit-ti hoi mubham tehreer 
ab faqat rait ke daman main nazar aaye gi 
boond bher num ko taras jaye gi besood dua 
num ager ho gi koi cheez too meri aankhain 
maray palkoon ke darechay meri banjer aankhain 
mera ujra hoa chera meri pather aankhain 

qehat afsana nahi aur ye be-abr falak 
aaj is des kal us des ka waris ho ga 
hum se tarkay main milain ge usay bemaar darakht 
taiz kirnoon ki tamazaat se chatkhay hoay hont 
dhoop ka hurf-e-junoon, lu ka wasiat nama 
aur meray sher-e-tilsamaat ki be-daar aankhain 
meri be-daar, meri banjer,meri pather aankhain

sitarey toot ker jaatey kahan hain

sitarey toot ker jaatey kahan hain 
falak ki shakh sey jhartey hue ye atlasi patey 
zameen ki simt aatey hain tu in ki aakhri sansein 
damakti aur chamakti roshni key 
lehrion ki shakl mein chalti hein 
bazahir aisa lagta hai 
wahan 
basti key us janib,kisi jangal ki vus’at mein, 
kisi parbat key seeney per 
gira ho ga kahein malba, 
usi khush rang tarey ka 
jo ab sey sania bher kabl 
roshan tha 
chamakta tha,damakta tha,falak per jagmata tha 
magar ab us key honey ki nishani tak nahin milti 
nazar heiraan hoti hai 
keh jo konda sa lipka tha 
usey ab kis tarah dhoondhey!kahan dhoondhey! 
khala ander khala ik khamoshi hai aur dehshat hai 
sitaroon ki guzergahoon mein bas vehshat hi vehshat hai 
nazar key vahimey hein ya guman hein 
kuch nahin khulta 
sitarey toot ker jaatey kahan hein! 
kuch nahin khulta

Aaine Se Kya Matlab Aaina Tu Toote Ga

Aaine Se Kya Matlab 
Aaina Tu Toote Ga 
Patharoun Ki Basti Mein 
Tootna Muqadar Hai... 
Phool Se Bhi Kya Shikwa 
Phool Tu Bekharna Hai 
k Khizan Ki Ek Rutt Mein 
Bikharna Muqadar Hai 
Tootna Muqadar Hai... 
Zindagi Se Kya Lena 
Yeh Tu Chand Sansoun Ki 
Aainno Ki Pathar ki 
Phool Aur Kaante Ki 
Pyar Aur Chahat Ki 
Ek Haseen Kahani Hai 
Laikin Aa Dil e Nadaan 
Tu Jo Itni Umeedein 
Nitt Naiye Se Kuch Sapne 
Daikhta Hai Aankhon Se 
Kya Tujhe Nehi Maloom 
Zindagi Hai Wo Jis Ka 
Roothana Muqadar Hai 
Tootna Muqadar Hai

Zindagi ki rahaon main Bar ha yeh daikha hai

Zindagi ki rahaon main ... 
Bar ha yeh daikha hai ... 
Siruff sun nahi rakha ... 
Khudh bhi azmayaa hai ... 
Tajarbo'n sey sabit hai ... 
Jo bhi parhttey ai hain ... 
Iss ko theek paya hai ... 
Iss terhan ki baton sey ... 
Manzilon sey pehllay hi ... 
Saath chooth jattey hai'n ... 
Log rooth jattey hai'n ... 
Yeh tumhain bataon main ... 
Chahato'n key rishttey main ... 
Phir girah nahi lagtti ... 
Lag bhi jaaey tou iss mai ... 
Woh kashish nahi hotti ... 
Aik pheeka pheeka sa ... 
Rabita tou hotta hai ... 
Taazgi nahi rehtti ... 
Rouh key taluq mai ... 
Zindagi nahi rehtti ... 
Baat woh nahi bantti ... 
Dosti nahi rehtti ... 
Lakh baar mil ker bhi ... 
Dil kabhi nahi milttey ... 
Zahin key jharokoun mai ... 
Yaadh key dareechoun mai ... 
Titliyoun key rangon key ... 
Phool phir nahi khilttey 
Iss liyaay main kehtta houn ... 
Iss terhan ki bataon sey ... 
Ijtanaab kerttey hain !

Ankhoon se kaho khamoosh rahein

Ankhoon se kaho khamoosh rahein 
ik doojey se hum bichur chuley 
gu aaj se bilkul ujur gaey 
ub jeewan hoga zindaan sa 
ub yaadein rooz satayingi 
ub saansein ruk ruk aayeingi 
ub raat ko daer se sooyeinge 
ub neend se uth uth rooyeingey 
per zabt hai ub laazim chanda 
is lumhey ashk bahaao mut 
tum dil ko aur jalaao mut 
yeh zamkh wafa chup chaap sahein 
ankhoon se kaho khamosh rahein

us se pochna to hai kia mela wafaoun ka

us se pochna to hai 
kia mela wafaoun ka 
hai yeh hi k din aur raat 
us ko sochte rehna 
us ko khojte rehna 
us se pochna to hai 
kia yeh hi mohbat hai 
us ki hi khwab se 
apni hi duaoun ko 
khud hi beasar karna 
khud ko besamar karna 
us se pochna to hai 

kabhi hum b akelye tahey 
akela dekh k tum ko 
humaien ehsas hota hai 
kabhi hum b akely thaey 
agrchay sheher main dil k lye 
lakhun jhamilye thaye 
hazaroun rang melye tahey 
magar itni bht si ronakoun main 
hum akley tahey 
phir ek din hum ne tanhaion se dosti karli 
akley reh ker jeney ka karena agaya hum ko 
koi b rut ho 
apni ankh hargiz nam nahi karte 
yeh alam hai k ab 
tanhion ka gum nahi rakhte 
magar phir b humaien tanha nazar ata hai jab koi 
to phir ehsas hota hai k 
kabhi hum b akley tahey

mujhey yaad mut kia kero

mujhey yaad mut kia kero
mujhey dil key angan mein kaheen dafan ker do
us peh charagh_e_tamana bhuja dalo
ser-e-shub teeragi mein guzery din
youn talash mut kia kero
mujhey yaad mut kia kero

chadani sey na kuch kaho
na youn hunso na batein kero
ser-e-rah apna bherem youn tabah mut kia kero
muhjey yaad mut kia kero 

gulistan mein koe gul khiley 
or koe rahroo usey tor ley 
to husrat sey na tuka kero
mujhey yaad mut kia kero

samander key pass jao kabhi 
to lehron mein paon daley howey
ati jati mojon sey youn 
kalam mut kia kero
muhjey yad mut kia kero

ser-e-shaam shafaq ko dekh ker
youn na nuzron mein bher lia kero
mujhey yaad mut kia kero

kabhi kholo purani dairy 
to tamam sefhey perha kero
mera naam dekh ker
safha plat mut dia kero
muhjey yaad mut kia kero

barasti barish mein tehla kero
khoob hunso batein kero
youn kutra kutra tham ker 
mera naam mut lia kero
mujhey yaad mut kia kero

shab ko youn guzaro key 
tunhaiee na pas tumharey aye 
na dareechon sey jhank jhank ker 
tumhein chandani sutaey 
or tum der talak chand sey 
youn batein mut kia kero
mujhey yaad mut kia kero

suno
yeh jo chand hia muhjey dekh ker
moun pher leta hia ab 
kabhi bagh jaon to phool bhi sikwa kuna 
mujh sey baat nahi kerta hia ab
samander ki taraf nikloon kabhi 
to lehrein chor deti hein paon merey 
barish mein tamam kutry daman buchatey hein 
mujh per barastey hi nahi
shafaq bhi mujhey dekh ker
chupa leti hia khud ko badal mein 
to dekho youn mujhey 
na door kero tamam alam sey 
meri zeesat ko ay nishat-e-mun 
youn azab mut kia kero
mujhey yaad mut kia kero
mujhey yaad mut kia kero

aur too kuch maloom nahi bas itna yaad hai

aur too kuch maloom nahi 
bas itna yaad hai 
mere hathoon main us ke 
phool jaise hath 
kuch dair thartharaye thay 
sham ke bhartay hoay saye 
humari aankhon main utar aaye thay 
mujhe kuch kehna tha shayad 
usay janay ki jaldi thi 
is ujlat main us nay 
ik baar mur ke dekha tha 
aur doobtay sooraj nay 
hamaray mathay ko 
aakhri baar chooma tha 

aur too kuch maloom nahi 
bas itna yaad hai 
mere hathoon main us ke phool jaise hath 
kuch dair thartharaye thay

Yeh jo reg-e-dasht-e-firaq hay

Yeh jo reg-e-dasht-e-firaq hay! 
Yeh rukay ager...... 
Yeh rukay ager to pata chalay! 
Key jo faslon ki saleeb hay... 
Yeh gari howe hay kahan kahan! 
Meray asman sey kidhar gaiee... 
Teray iltifaat ki keh-kashan! 
Yeh rukay agar....... 
Yeh rukay agar to pata chalay! 
Main tha kis nagar..... 
Tu raha kahan! 
Yeh zaman-o-makan ki wusattiyan! 
Tujhey dekhnay ko taras gaieen! 
Woh meray naseeb ki barishen!! 
Kisi aur **** pay baras gaieeen!!

abhi ek raat adhuri hai meri baat adhuri hai

abhi ek raat adhuri hai 
meri baat adhuri hai 
tum sunlo to mai kehdon 
jo kehna hia tumhain 
mujhay kuch barsoon se 
k tum bin 'meri zindagi' 
meri zaat adhuri hai 
abhi ek raat adhuri hai 
meri baat adhuri hai 
ek pal ko teher jao 
meri ankh k paymanay 
qabal iskay jhalak jayain 
meri sanson ki dori jo 
qabal k tut jayay jo 
qabal iskay mai tumse 
keh na paon jo 
mujhay itna hi kehnay do 
k mairay paas 
apni yadon ko rehnay do..

Barishon ka mosum hai Rooh ki fizaoon main

Barishon ka mosum hai 
Rooh ki fizaoon main 
Gum zada hawain hain 
Bay sabab udasi hai 
Is ajeeb mosum main 
Bay shumar batain hain 
Un ginat fasanay hain 
Jo bohat khamoshi say 
Dil pay hanstay phirtay hain 
Aur yea amar_e_ majboori 
Sub say kahtay phirtay hain 
Aje mosum bohat acha hai 
Aje hum bohat kush hain

Khizaoon nay dayray daal liye

Khizaoon nay dayray daal liye
Mere gulshan kay atraaf
Meri aankhain rasta tak-ti hain
Mere aansoo behtey rehtey hain
Main jis shehar bhi jata hoon
Main tanha khud ko paata hoon
Maloon nahi is dil per kis nay
Ghum kay teer chalaaye hain
Kuch mausam dil kay zakhmi huay
Kuch sapnay neer bahaaye hain
Main aksar socha kerta hoon
Main jis ki yaad main gum sum hoon
Kabhi wo bhi mujh ko yaad karay
Weeranoo ko aabaad karay......

kon janay kay kahan ghaat lagi ho dukh ki

yaad oss shaher na ja 
kon janaykay kahan ghaat lagi ho dukh ki 
kon janay kisi corahay, , kisi moar, kisi gher mein chupee 
bethee ho ranjish koi 
yaad,iss shaher mein gajroo say sajay hathoo say dil dukhta hai 
yaad, oss shaher mein ankhoo kay papotoo pay jamay bosoo say daam 
ghoot ta hai 
yaad, oss shaher mein gardan ka koi til ager ansoo mein oter aya 
yaad oss shaher na ja 
jis mein tamanaoo ki dehlizoo par 
barishay anay say pehly he judaee a jay 
yaad,oss shaher mein ab gham kay siwah kuch be nahee 
koi naraz jo huwa be tu bhala kia ho ga 
tujh ko maloom hai, 
narazgiyaa dard bharatee hain 
na koi bolay ga 
na tujh ko manayeh ga koi 
khoshak ankhoo kay kisi tirchay kinaray pay paray 
dard bharay shekway ki ceengari say 
dair tak tujh ko jalayeh ga koi 
dair tak tujh ko rolayeh ga koi 
dair tak tujh ko satayeh ga koi 
yaad,oss shaher na ja 
yaad oss shaher ki ojree galyoo say dar lagta hai 
kon janay kay kaha ghaat lagee ho dukh ki..............

Daava-e-dosti hai to khulkar milaa karo

Daava-e-dosti hai to khulkar milaa karo 
Yoon saahil'on ki tarah na hat kar chala karo

Hum bhi to aaina hain per be-zubaan nahin 
Parchaay'on se apni na baatein kiya karo 

Har shaks mere shahar ka tujhko sanam kahe 
Yun muskura ke sab ko na apna kaha karo 

Bant jaaye na naseeb mera dar-b-dar kahiin 
Gair'on kii mehfil mein na baitha utha karo 

Maangein woh roz dil mera aur toadkar kahein 
TooTe huwe dilon ke na Tukde chuna karo

Agar sehra sey guzro to merey sahir sey keh daina

Agar sehra sey guzro to merey sahir sey keh daina
tumhari bay sabab doori mujhay aksar rulati hey !!

merey sahir say keh daina
Musafir aaj tak chup hay
k uskay hath main TUM nay
jo apna hath rakha tha
wo ab tak yaad karta hey....

merey sahir say keh daina
k sadion ki musafat nay
mairay pairon say bandhi hay
thakan ab k baras itni
kay apni doobti nabzon say main khaiyef sa rehta hoon

na janey kab kahan pay umr ki yeh dor kat jay
main apnay aur tumharay beech k in faslon ko
chand sanson ki kammi sey har na jaon
bisat-e-jaa'n pay pheli doorio'n k bojh ko lay kar
younhi chup chap mar jaon ....

merey sahir sey keh deyna
k uss k ishq k tilsam say ab tak wo nahi nikley
kay jin ko uski ankhon nay faqat ik bar bhi dekha
mairay sahir sey keh daina
k saarey shehar ko mairay
younhi pathar na rehney day...
mairay tilsam kado'n main lout kar aay
k wo pathar tarastey hain
tumhari chasm ki junbish unhain ik bar phir kar day
kisi zee rooh ki manind ........

merey sahir sey keh deyna !
bichar kar tum jo miltey thay
to yun mehsoos hota tha
k jaisey marg k dhundhley kinaron tak pohanchtey hi........
adhoora kam koi zindagi ko yaad aa jaye.....

kaho phir say chala aay .....
k uskay lout aanay say
hamari doobti nabzon ko waisey hi
kabhi to sans aa jaye.................

agar sehra say guzro tau..........
merey SAHIR sey keh deyna !!!!

Agar jungal se guzro to
mairay jugnoo say keh daina
Tumhari besabab doori
Mujhe aksar rulati hai
Meri shamain andheri hain
Meri ratain bhi teera hain
Mere sab taaq khali hain
Meri aankhain sawali hain

Mairay jugnoo se keh dena
Mohabbat aaj tak chup hai
K iss k hath main us nay
Jo dehka dagh rakha tha
wo ab tak baat karta hay

Mere jugnoo say keh daina
Mere jazbo'n nay raho'n main
Moharain rok rakhi hain
Inhain azn-e-safr daido
Inhain dil se guzarnay do

Mere jugnoo se keh dena
Meri aankhon ko ‘qum’ keh do
Yeh umron say yonhi bejaan hain
Khuabon ke madfan main
Inhain phir se jila day do

Mere jugnoo se keh daina
Ghamon nay raag chera hai
Aziyat raqs karti hai
Meri tanhai ka chracha
Daroon-e-zaat phela hai

Mere jugnoo se keh daina
Faqat us ki kami nay
Zindagi main soug rakha hai
Mere jugnoo se keh dena
Kion jangal main bhtakta hai
Kion khod ko rok rakha hai
Tumhari besabab dori mujhe aksar rulati hai
Agar jangal se guzro to
Mere jugnoo se keh daina…………….!!!!!!

yeh saal bhi aakhir beet gaya


yeh saal bhi aakhir beet gaya " 
kuch teesain, yaadain , khuwab liye 
kuch kaliyan , chand gulaab liye 
kuch ankhariyan pur aab liye 
kuch ujlay din kali raatain 
kuch sachey dukh jhooti baatain 
kuch tapti rutain , kuch barsaatain 
kisi yaar-e-aziz ka dukh piyara 
kisi chat pe ummeedon ka taara 
jis pe hansta tha jag saara 
us shaair ne jo hurf likhey 
us main teri yaad k saaye thay 
woh log sabhi aakhir lout gaye 
jo sadiyon paar se aaye thay 
un hanste baste logon ne 
mere saaray gham apnaye thay 
phir main ne yaad ki mitti main 
zakhmi lamhey dafnaye thay

agar mein asmaan hota

agar mein asmaan hota 
teri be aab dharti per 
koi chashma uga deta 
samadar bhej deta mein 
tere sehraoon ki janib 
tere aangan mein sawan ka 
koi badal khila deta 
mita deta 
udasi ki ghaneri dhund ko 
rangoon ki barish se 
sehar ki awalein kirnoon ko 
tere naam kar deta 
agar mein asmaan hota 
muradoon k sabhi sikey 
talb karney se pehley hajr 
tera kashkool bhar deta 
tujhey khwabon k badley mein 
haseen tabeer de deta 
mein apni sab khudai bhi 
tere kadmoon mein rakh deta 
agar mein asmaan hota

Kaho Ab Kya Kahoo'n Tum Se

Kaho Ab Kya Kahoo'n Tum Se 
Batao Kya Likhoo'n Tum Ko 
Mujhey Tamheed Do Koi 
Mujhey Umeed Do Koi 
Naya Ik Lafz Ho Koi 
Jahan Se Baat Chal Nikley 
Meri Mushkil ka Hall Nikley 
Batao Lehja Kaisa Ho ! 
Ke Tum Se Baat Karni Hai 
Mujhey Thora Ujaala Do 
Basar Ik Raat Karni Hai 
Zara Bolo To Main Likhoo'n 
Tum Apni Roshan Aankhoo'n Ko 
Agar Kholo To Main Likhoo'n 
Tumhaarey Lab Se Aaye Ga 
Sukhan Mein Ik Kateela Pan 
Tumhaari Aankh De De Gi 
Takhaatub Ko Nasheela Pan 
Kaho Ab Kya Iraada Hai 
Mujhey IZhaar Karna Hai 
Ke Betaabi Zayada Hai

Is dil mein salamat hai ab tak

Is dil mein salamat hai ab tak 
Wo shokhi-ae-lab wo harf-e-wafa 
Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina 
Soo bar jissay choma ham ne 
Soo bar paristish ki jis ki 
Is dil mein salamat hai ab tak 
Wo gard-e-alam wo deda-e-nam 
Ham jis mein chupa kar rakhtay thay 
Tasveer bikharti yadon ki 
Zanjeer bikhartay wadon ki 
Pounjii nakaam iradon ki 
Ae taze hawa naraz na ho 
Is dil mein salamat hai ab tak 
Saman bicharti sayaton ka 
Khuch tukray garam dopahron ke 
Khuch razay naram sawalon ke 
Khcuh durr anmole khayalon kay 
Ik sacha roop haqiqat ka 
Ik jhota lafz mohabbat ka.

Mout ki haqeeqat aur Zindagi ke sapnae ki

Mout ki haqeeqat aur 
Zindagi ke sapnae ki 
Behas go purani hai 
Phir bhi ik kahani hai 
Aur kahaneyan bhi tu 
Wakt say ibarat hain 
Lakh rokna chahain 
Wakt ko guzerna hai 
Hasnte hanste chehroon ko 
Ik din ujarna hai 
Rahatain hawayein hain 
Chahtain sadayain hain 
Kia kabhie hawayein bhi 
Dastras main rehti hain 
Kia kabhie sadayein bhi 
Kuch palut ke kehte hain 
Pyaar bhi nahi rehna 
Aur pyar ka dukh bhi 
Ansoyun ke darya ko 
Ik din utarna hai 
Khwaishoon ko marna hai 
Wakt ko guzerna hai..!!!

udaas raatoon main dil ki basti main aa ke dekho

udaas raatoon main dil ki basti main aa ke dekho 
her aik rasta , her ik dareecha 
tumhari aahat ka muntazir hai 
falaq se takta hai chaand tum ko , sitare tum ko bula rehe hain 
tumhari aamad ke muntazir hain 
mager suna hai keh tum ne meri muhabbatoon ko bhula diya hai 
wafa ki low ko bhuja diya hai 
ager yeh sach hai to phir bataaoo 
tumhari aankhoon ke yeh jazeeray 
brang sehara udaas kiu hain 
gulab chehre ke rang main shamil 
udaasiyoon ke haras kiu hain 
tumhare sheerin laboon pe larzaan 
muhabbatoon ki yeh piyaas kiu hai 
mujhe yaqqeeen hai tumhare dill main 
gaye dino ke khayaal hain kuch 
naye safar ke mallal hain kuch 
nai rutoon k sawaal hain kuch 
ager yeh sach hai 
to meri maanoo 
puuraane raste pe loat aaaoo 
puuraaani bastii main koi abb tak 
tumhaari aamad ka muntazir hai 
tumhari chaahat ka muntazir hai

apni tanhaaiyon say pocha hay

apni tanhaaiyon say pocha hay 
shab e hijraan say baat karli hay 

meray ander ki sehmi khamoshi 
meray bahir ka hansta chehra bhee 

rat k sansnatay lemhay bhee 
din ka dasta hoa ujaala bhee 

zabt ka toota ye bandhn bhee 
sabar ka chota ye daman bhee 

us ki yaaden bhe kuch isharon mein 
mujh ko majboor kar rahay hein sab 

aao us k paas chaltay hein 
us say kehtay hein kuch dawa kar day 

apni fitrat ko chor kar ik pal 
koi wada to tum wafa kar do 

in ki baaton sya kuch nahi hoga 
aakhri feysla to dil ka hay 

dil ye kehta hay is say milnay say 
apni tanhaaiyan he achi hain 

ab akelay mein lag gia hay ye dill 
Us Say milnay Hamein nahi Jana 
Us ki Baten ,udaas kardengi ..!

Abhi kuch dair pehle raat ne palkai'n jhukai hain

Abhi kuch dair pehle raat ne palkai'n jhukai hain 
Meri muthi main ab tak 
Raat ki palkon se tootay kuch sitaray hain 
Dukho'n k ista'aray hain 
Main un ko dekhta hoon to 
Meri aankhon main dhairon khuwab 
Tabeero'n k dukh main koi chehra sochte hain 
Aur woh chehra shanasa se 
Kai chehro'n main tabdeel hota hai 
Phir un chehro'n se yaadon k kai manzar ubharte hain 
Nazar main raqs kerte hain 
Woh chehre jo meri tanhaiyo'n k ashk paaray hain 
Mujhe har haal main khud se bhi pyaray hain 
Sabhi chehre tumhare hain ..... !!!

Teri Ankhoon Si Ankhien aaj aik chehray pe dekhi hien

Teri Ankhoon Si Ankhien 
aaj aik chehray pe dekhi hien 
Wuhi rungut ' banawat 
aur waisi beyrukhi un mien 
bichurtay waqt ju main ne 
Teri ankhoon mein dekhi thi 

Teri ankhoon si ankhoon ne 
mujeh aik PuL ko dekha tha 
wuh puL aik aam sa puL tha 
mager os aam se puL mien 
puraanay kitnay mausum' kitnay munzur main ne dekhay thay 
Meri jaa'n main samjha tha 
teri ankhoon si ankhien jub 
meri ankhoon ko dekheingi 
tao ik Lumhay ko soochaingi 
keh in ankhoon ko pehLay bhi 
kisi chehray pe dekha hai 
Mager in jheeL ankhoon mein 
shanasaayi nahi jaagi 
Meri Ankhien ~!! 
teri ankhoon si ankhoon ke Liey 
kaab khaas ankhien thien 
teri ankhoon ne shaayid yeh 
kaayi chehroon per dekhi hoon 
keh yeh to AAM ankhien hain 

Main aisa sooch sakta tha 
mager main kya keroon diL ka 
ju ub yeh yaad rukheyga 
teri ankhoon si ankhien 
main ne aik chehray pe dekhi thien 
phir os k baad kitnay din 
meri ankhoon mein sawan tha

us sunder see muskan k peechey

us sunder see muskan k peechey 
kuch tootey tootey sapnay they 
kuch roothey roothey apney they 
kuch khawab they jo k toot chukey they 
kuch man they jo k rooth chukey they 
us sunder see muskan k peechey 
Raz jo dil mein gahra tha 
us pay hansee ka pahra tha 
qahqahoon k kuch qufal bhee they 
Adhey jin mein toot chukey they 
man they jo k rooth chukey they 
us sunder see muskan k peechey 
sahtey sahtey beh jatein thein 
do ankhein sab kuch keh jatee thein 
yadoon kee pur nam zameen per 
gulab they jo k sookh chukey they 
man they jo k rooth chukey they 
us sunder see muskan k peechey 
apna koi ameen nahin tha 
ghairoon pay bhee yaqeen nahin tha 
hud gharzee ka woh gila kia kertee 
sath they jo k loot chukey they 
man they jo k rooth chukey they 
us sunder see muskan k peechey 
woh dasht kee gahree daldal thee 
aur dunoiya shoh-o- chanchal thee 
rait kee moj mein dhanstey dhanstey 
hath they jo k chhot chukey they 
man they jo k rooth chukey they 
us sunder see muskan k peechey

Kisi ko alwida kahna buhat takleef daita hai

Kisi ko alwida kahna 
buhat takleef daita hai 
umeedein toot jaati hain 
yaqeen pe beyaqeeni ka kehar kuch aisa charhta hai 
dekhai kuch nahi daita sujhai kuch nahi daita 
dua k lafz hontoon pe musalsal kapkapatein hain 
kisi kuwahish k andaishay 
zehan main doorh jatay hain 
guman kuch aisay hota hai 
k jaisay mil na paain gay 
ye gahray zakhm furqat k kisi se cil na paain gay 
kabhi aisa bhi ho ya rab 
duain maan laita hai 
tu koi mojza karday tu aisa kar bhi sakta hai 
meray haathon ki janib dekh inhay tu bhar bhi sakta hai 
judai ki ye teekhi taar dilon ka khoon karti hai 
judai ki azeeyat se 
mera dil abb bhi darta hai 
judai do ghari ki ho tu koi dil ko samjhai 
judai chaar pal ki ho tu koi dil ko bahlai 
judai umer bhar ki ho 
tu kya chara karay koi 
k aik milnay ki hasrat main bhala kub tak jeya koi 
meray moola karam karday tu aisa kar bhi sakta hai 
meray haathon ki janib dekh inhay tu bhar bhi sakta hai

usay rooktay bhi too kis liye

usay rooktay bhi too kis liye? 
wo jo sher-e-dil tha ujar gia 
wo jo khawab tha wo bikhar gia 
kabhi moosmoon ki nazar lagi 
kabhi wahamoon nay dara dia 
kabhi manziloon ke sarab nay 
kabhi zindgi ki kitab se humain jis nay chaha mita dia 
bas isi liye 
wo jo ja raha tha dour tak 
usay dekhtay hi rahay magar 
nahi di sada..... 
usay rooktay bhi too kis liye?

Unn Jheel See Gahree Ankhoon Mian Ik Sham Kaheen Abad Too Hoo

Unn Jheel See Gahree Ankhoon Mian Ik Sham Kaheen Abad Too Hoo 
Uss Jheel Kinaray Pal Do Pal 
Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay! 
Woh Phool Baha Dain Lehroon Main 
Ik Rooz Kabhi Hum Sham Dhalay 
Uss Phool Kay Behtay Rangoon Main 
Jiss Waqt Larzta Chand Chalay 
Uss Waqt Kaheen Unn Ankhoon Main Uss Bisray Pal Key Yaad Too Hoo 
Unn Jheel See Gahree Ankhoon Main Ik Sham Kaheen Abad Too Hoo 
Phir Chahay Umer Samandar Key 
Her Moj Pareeshan Hoo Jaiy 
Phir Chahay Ankh Dareechay Say 
Her Khawab Gureezaan Hoo Jaiy 
Phir Chahay Phool Kay Chahray Ka 
Her Dard Numayaan Hoo Jaiy 

Uss Jheel Kinaray Pal Do Pal Woh Roop Nagar Ejaad Too Hoo 
Din Raat Kay Iss Aainay Say Woh Aks Kaheen Azad Too Hoo 
Unn Jheel See Gahree Ankhoon Main Ik Shaam Kaheen Abad Too Hoo

shab -e-tanhaee wo jo baray sukh main hay


shab -e-tanhaee 
wo jo baray sukh main hay 
usay kehna 
keh raat ka pichla pehr hay 
aur abhi hum jagtay hain 
hamari ankhon say neend kosoo'n door hay 
hamaray lab abhi tak is k naghmay gungunatay hain 
hamara zehan ab bhi us ki batain sochta hay tau 
kabhi hum hans detay hain 
kabhi jee bhar k rotay hain 
shab-e-tanhaee ki yakh basta hawao.. ! 
usay kehna hum ab bhi ba wazo ho ker tumhara naam laitay hain 
usay kehna, ya apna naqsh dho jay 
ya phir say apna ho jay .. !

Mohabaton main hawas k aseer ham bhi nahi

Mohabaton main hawas k aseer ham bhi nahi 
Galat na jan k itnay haqeer ham bhi nahi 

Nahen ho tum bhi qayamat ki tand-o-tez hawa 
Kisi k naqsh-e-qadam ki lakeer ham bhi nahi 

Hamari doobti nabzon se zindagi to na mang 
Sakhi to hain mager itnay ameer ham bhi nahi 

Hamain bujha de’ hamari ana ko katal na kar 
K bezarer sahi ‘mohsin’ be zameer ham bhi nahi

Dill chahey woh koi baat karey

Dill chahey woh koi baat karey 
jab dill kay taar tootey hon 
jab saarey mujh say roothey hon 
jab aankhain meri beeghi hon 
dill chahey woh koi baat karey 


jab mosm-e-bahaar aa jaey 
jab phoolon pay khumaar chaa jaey 
jab merey dill main aag lagey 
uss aag ko woh gulzaar karey 
dill chahey woh koi baat karey 


jab saaaki dushman ho jaey 
jab jeena mushkil ho jaey 
jab log sang uthaey hon 
jabsang kii woh barsaat karain 
dill chahey woh koi baat karey 


woh kahey,meraa dil pay nahi hai zor koi 
merey dill main nahi hai aor koi 
woh kahey basss main teriii hoon 
basss itni seee baat karey 
dill chahey woh koi baat karey  

Ye husn teraa ye ishq mera

Ye husn teraa ye ishq meraa 
Rangeen too hai badnaam sahi 
Mujh phar too kayi ilzaam lage 
Tujh phar bhi koi ilzaam sahi 

Iss raat ki nikhri rangat ko 
Kuch aur nikhar jaane de zara 
Nazron ko bahak jaane de zara 
Zulfon ko bikhar jaane de zara 
Kuch der ki hi taskeen sahi 
Kuch der ka hi aaraam sahi 

Jazbaat ki kaliyaaN chun naa hai 
Aur pyar kaa tohfaa denaa hai 
Logon ki nigahen kuch bhi kahen 
Logon se hamen kya lenaa hai 
Ye khaas ta'aaluq apas ka 
Duniya ki nazar main aam sahi 

Rusvaii ke dar se ghabra kar 
Ham tark-e-wafa kab karate hain 
Jis dil ko basa lain pahluu main 
Us dil ko juda kab karte hain 
Jo hashr hua hai laakhon kaa 
Apnaa bhi vahi anjaam sahi 

Ye husn tera ye ishq meraa 
Rangeen too hai badnaam sahi 
Mujh phar too kayi ilzaam lage 
Tujh phar bhi koi ilzaam sahi

Kaha har lafz jhoota hay sabhi qissa fasana hay


Kaha har lafz jhoota hay sabhi qissa fasana hay 
Jawab aaia magar ik lafz ka sach to purana hay 

Kaha bholay hoon ko yad bhi karta nahi koi 
Jawab aaia yeh bhi to mohabat ka ik bahana hay 

Kaha rastton mein ankhin chornay ka faida kia hay 
Jawab aaia rastoon mein kissi ka aana jana hay 

Kaha bujhtay deuon pay raat aanay ka sabab kia hay 
jawab aaia hamin abb raat nay rasta dekhana hay 

Kaha ankhon ko khali kar gia hay nend say koi
Jawab aaia saza mein uss nay khud ko bhi jalana hay 

Kaha agar rastay baton ki sorat kattay hoay 
Jawab aaia hamin abb ik nia rasta bana hay 

Kaha ab kon iss dill ki nighbani mein rehta hay 
Jawab aaia ussi ik chap ko wapas bullana hay 

Kaha jo bhool jatay hein who bass phir bhool jatay hein 
Jawab aaia ussi ik shakhs ko to yad aana hay

tum mut jao dekho tumhari khatir

tum mut jao 
dekho tumhari khatir 
main sitaray ginana seekh raha hoon 
mizaroon per tumharay naam ke diye jalanay abhi shuru kiye hain 
abhi too meri aankhon ne sapnay bunana shuru kiye hain 
tumhari qasam faqat tumharay liye 
apni sari aadatain badal chuka hoon 
tooti phooti nazmain likhna 
ghazlain sunana shairy perhna 
sab choor chuka hoon 
meethay sur ke naghmay sunana 
hunstay rehna 
kamray ki her cheez terteeb se rakhnay laga hoon 
tumharay liye 
aur najanay kitna kuch badal chuka hoon 
Khuda ke liye is tarah maat jao 
sunoo.. 
main tumhari khatir jee too raha hoon 
shayad 
tumhari khatir maar bhi jaon

Farz karo hum jena chahain aur jenna baikar sa hoo

Farz karo hum jena chahain aur jenna baikar sa hoo 
Farz karo ke maar jana bhi apnay liye dushwaar sa hoo 

Farz karo ke us ki batain dil ko dukhanain wali hoon 
Farz karo ke us ka lehja lakri ki talwaar sa hoo 

Farz karo hum rootay rootay so jatay hoon sham dhalay 
Farz karo ye roona dhoona aankhon ko darkaar sa hoo 

Fraz karo us nay hum ko huns huns ker nashad kia 
Farz karo hans hans ker milna us ka karoobar sa hoo 

Farz karo ke baithay baithay hum ye soch rahay hoon KAIS 
chahay aik shajar ho gher main lakin saya daar sa hoo

kisi larki se mat kehna

kisi larki se mat kehna 
k uss se pyar kertay hoo 
agar baydihaani main ye iqrar ker baithay 
kisi se pyaar ker baithay 
tu waadoon ki dor main ulhaj ker toot jaaogay 
tumharay pyaar ka iss ko agar ehsas hu jaiy 
tu ho sakta hai tum uss ka rang roop ban jaao 
mohubbat k safar main shayd aisa mor aajaiy 
k tum narazgi ka bermala izhaar ker baithoo 
koi inkaar ker baithoo 
tu ye sumjho,koi sheesha ,koi dil toot jaiy ga 
k inn k dil boht nuzuk ,boht kamzor hotay hain 
kisi Larki k dil ka tootna bhi mot hoti hai 
Kisi larki se mat kehna

_________________

pagal aankhon wali lakrki


pagal aankhon wali lakrki 
itnay mehngay khawab na dekho 
thak jao gi 
kanch se nazuk khawab tumharay 
toot gay too pachtao gi 
soch ka sara ujla kundan 
zabt ki rah main ghul jaye ga 
tum kia jano 
khawab safar ki dhoop ke sheshay 
khawab adhori raat ka dozakh 
khawaboon ka hasil tanhai 
khawaboon ki manzil ruswai 
khawab khialon ka pachtawa 
tum kia jano 
mehngay khawab khareedna ho 
too aankhain baichni perti hain

Azal se hai Mohabbat ma~wara lafzon ki maala si

Azal se hai Mohabbat ma~wara lafzon ki maala si 
Magar ye bhi haqeeqat hai 
Mohabbat soch ki aakash per baadal ki suurat mein, 
sada perwaaz kerti hai 
Kabhi baaris ki bondon mein simat ke dil ki dharti per 
Uutarti hai bikharti hai 
Adda le ker sabba se ye, Gulabon se mehak le ker. 
Dhanak se rang le ker aur sitaaron se chamak le ker 
Hansee~N aanchal sajaati hai... 
Issi aanchal se phir khawabon ke kach~e ghar sajati hai 
Mohabbat aazmati hai 
Kabhi ye shair ban ker lafz ki harmat barhati hai 
Kabhi ye saaz ban ker dheere dheere guungunati hai 
Seraapa aankh ban jaati hai ye Mehboob ko paa ker 
Anokha lamss ban jaati hai Koy~e yaar mein jaa ker 
Naajane kaun sa Mantar ye perh ker hol~e hol~e se 
Kissi ki band aankhon mein binna dastak diye yekdam 
Uutar ker ghar banati hai....Mohabbat Muskurati hai 
ye khuushbu hai hamaisha phuulon ki saanson mein hoti hai 
Bana de chaand neera shab ko jo ye aisa mauti hai 
Kassak hai Daai~mi iss mein bohat be-naam lazat hai 
Mohabbat ki Yahi Taareef hai ke Ye MOHABBAT HAI!

qasam to khaa li hai tum nain

qasam to khaa li hai tum nain 
mujhay kabhi bhee na yaad kernay ki 
magar main janta hoon 
tum mujhay kabhi na bhula sako gi 
din bher hanstay khailtay main shaid 
meri yaad na aye tumhain 
magar sunooooon!!!!!!!!!!!! 
subha jub aaankh khulay tumhari 
to takye per 
phailay huway apnay kajol ko 
chupaa liya kerna 
keh koi jaan na sakkay 
tum raat dare tuk roti rehi hoo 
meri yaad main!

Muhabat Main Agarchay Dil ki Aankhain

Muhabat Main 
Agarchay Dil ki Aankhain 
Mudaton Palkain Jhapakna Bhool Jaati Hain 
Magar In RatJagon Kay Surkh Doray NeelGoon SunoLahatain 
Aur RaabBaroaon Ki Raazdari Bhi 
Ajab Aik Husn Paida Karti Jaati Hai 
Muhabat Main 
Agarchay Dharkanain Apna CHalan Tak Chhor Jaati Hain 
Magar Aisi Dharkanoon Ki Thaap Aur SarGaram Tarasta hai 
Muhabat Main 
Agarchay Be-Kali 
Dil Ko Bohat Tarpaayay Rakhti Hai 
Magar Dil Ki Tarap Hi Zindagi Ko Patharon Ki Zindagi Say 
Mukhtalif Karti Hai Dunia Main 
Muhabad Main 
Agarchay Aankh Say Ojhal Hoi Lagti Hai Dunia Kay Siwa 
Laikin Basirat Ki Kayee Beenaeeyaan Aur Kharkiaan Khulti Chali Jaati Hai 
Batin Main 
Muhabat Main 
Agarchay Aansuon Ko Surkh Hotay Pal Nahi Lagta 
Magar Yai Surkhiyan Kitnay Gulistan,Chand,Taray aur Zamin-O- Aasmaan 
Rangteen Karti Hain 
Muhabat Main 
Judaayee Dhoop Kay Angan Main Palti Hai Agarchay 
Phir BHi Saari Umr Khoaabon AUr Duaon Say Kabhi Thhandak 
Nahi Jaati 
Mujhay Maaloom Hai Tum To Muhabbat KI Mukhaalif Ho 
Magar Jaanaan 
Daleelain to Daleelain Hain 
Muhabat In Daleelon Ki Kahan Mohtaaj HOti Hai 
Muhabat Khoobsoorat Hai

Kis Tarhaan Sajaatay Ho Maslehat Ki Shaamon Main

Kis Tarhaan Sajaatay Ho 
Maslehat Ki Shaamon Main 
Mehfilain Muhabat Ki 
Aur Mohabatain Bhi Wo 
Saal Bhar Mehak JinKi 
Dil Ki Saari Galiyoon Main 
Raqs Karti Phirti Hain 

Kis Tarhaan Sajaatay Ho 
Andhion Kay Mausam Main 
Tum Deeyay Rafaqat Kay 
TumJo Payaar Ki Dolat 
Apnay Dil Kay Haatoon Say 
KhushBoowon Ki Baaton Say 
IsTarhaan Lutaatay Ho 
JisTarhaan Koi Jugnoo 
Shab Kay RaigZaaroon Par 
Roshni Lutaata Hai 
TumJo Habs Mausam Main 
Ik Hawaa Ka Jhonka Ho 
Kis Taraah Sajaatay Ho 
Maslehat Ki Shaamoon Main 
Mehfilain Muhabat Ki 

Kuchh Humain Bhi Batlaao 
Kuchh Humain Bhi Sikhlao 
Hum To Apnay Sehraa Kay 
Be-Nawaa Musaafir Hain 
Hum Tumhaaray Jazboon Ki 
Naik Si Fizaaoon Main 
Phool Jaisay Geetoon Ki 
Raqs Karti Khushboo Kay 
Be-Qaraar Shaayar Hain

Aik Rah Per Sari Umer Chaley


Aik Rah Per Sari Umer Chaley 
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey 
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer 
Bay_Khahish Bay_Araam Safer 

Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main 
Woh Meray Saath Shareek Nahin 
Hum Dono Main Ek Rishta Hai 
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin 

Jari Hai, Mager Anjaan Safer 
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi 
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi 
Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga 

Ya Shaid Woh Mar Jayegi 
Phir Loug Kahin Gay Inka 
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha 
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan 

Woh Tanha Thi... 
Main Tanha Tha...

bicharnay se zara pehle

bicharnay se zara pehle 
tumhain bhi sooch lena chahiye tha 
tumhain bhi sooch lena chahiye tha 
ke yoon chahat ko thukraya nahi kertay 
ke yoon beetay dinoon ko bhoolna acha nahi hota 
ke yoon anjaan ban ker chain se jeena humaray wastay 
mumkin nahi ho ga 
tumhain bhi sooch lena chahiye tha 
ke wo batain jo hum aik dosray se ker chukay hain 
ab kabhi wapis na aain gi 
ke wo lamhay jo hum ik dosray main jee chukay hain 
phir kabhi zinda nahi hoon gay 
bicharnay se zara pehle 
tumhain bhi sooch lena chahiye tha

bara dushwaar hota hai zara sa faisla kerna

bara dushwaar hota hai 
zara sa faisla kerna 
ke jevan ki kahani ko 
beyan-e-bayzubani ko 
kahan se yaad rakhna hia 
kahan se bhool jana hai 
usay kitna batana hai 
us say kitna chupana hai 
kahan roo roo ke hansna hai 
kahan hans hans ke roona hai 
us aanchal ke kisi koonay ko 
kitna sa bhagoona hia 
kahan aawaz deni hai 
kahan khamosh rehna hai 
kisi dukh ko kahan per 
koon se shidat se sehna hai 
kahan rasta badalna hia 
kahan se loot aana hai 
zara sa faisla kerna 
bara dushwar hota hai

jo tum nay thaan hi li hai

jo tum nay thaan hi li hai 
humaray dil se niklo gay 
too itna jaan lo piyaray 
samandar samnay ho ga ager sahil se niklo gay 
sitaray jin ki aankhon nay humain ik sath dekha tha 
gawahi denay aain gay 
puranay kagzoon ki balkooni se bohat se lafz jhankain gay 
tumhain wapis bulain gay 
kai waday, fasadi qarz khawahoon ki tarah tumhain rastay main rookain gay 
tumhain daman se pakrain gay 
tumhari jaan khain gay 
chupa ker kis tarah chera 
bhari mehfil se niklo gay 
zara phir soch lo janan 
nikal too jao gay shayad 
magar mushkil se niklo gay

Abhi zid na kar dil -e- be khabar

Abhi Zid Na Kar... 
Abhi zid na kar dil -e- be khabar! 
ke pas -e- hajoom -e- sitam garaan 
abhi kon tujh se wafa kare 
abhi kis ko fursatein hein iss qadar 
ke samait kar teri kirchiyaan 
tere haq main khud se dua kare 
abhi zid na kar dil -e- be khabar 
ke tah -e- ghubaar -e- gham -e- jahaan 
kahan kho gaye tere chaara gar 
ke raah -e- hayaat main rayegaan 
kahan so gaye tere hamsafar 
abhi gham gusaaron ki chott seh 
abhi kuch na sun abhi kuch na keh 
abhi zid na kar mere be nawaa 
kabhi yun bhi ho ke sarr -e- ufaq 
tere dukh ka chaand damak utthay 
koi tees khud se chamak utthay 
kisi sheher -e- zakhm -e- farosh main 
koi zakhm khud se khareed kar 
sabhi aks khud se khurach kabhi 
kisi aayeine par na deed kar 
kabhi yun bhi jashn -e- tarab manaa 
kabhi iss tarah se bhi eid kar.

Jo na mil sakay wohi bewafa, yeh barri ajeeb si baat hai

Jo na mil sakay wohi bewafa, yeh barri ajeeb si baat hai 
Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai 

Jo kisi nazar se adaa hui, wohi roshni hai khayaal mein 
Woh na aa sakey rahon muntazir, yeh khalish kahan thi wisaal mein 
Meri justaju ko khabar nahin, na woh din rahe na woh raat hai 
Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai 

Kare pyar aur lab pe gila na ho, yeh kisi kisi ka naseeb hai 
Yeh karam hai uska jafaa nahin, woh juda bhi reh ke kareeb hai 
Wohi aankh hai mere ru-ba-ru, ussi haath mein mera haath hai 
Jo chala giya mujhe chor kar wohi aaj tak mere saath hai 

Mera naam tak jo na le saka, jo mujhe qaraar na de saka 
Jissey ikhtiyaar to tha magar, mujhe apna pyar na de saka 
Wohi shaks mairi talaash hai, wohi dard mairi hayyaat hai 
Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai 

Jo na mil sakey wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai 
Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai

Guftugo Ke Lamhon Main Dekh He Nahi Paatay

Guftugo Ke Lamhon Main 
Dekh He Nahi Paatay 
Ham Tumharay Chehray Ko 
Tum Hamari Aankhon Ko 
Aaj Aisa Kartay Hain 
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain 
Baat Chor Datay Hain 

Jaane Kiya Lamha Hoga 
Jab Ye Hath Hathon Say 
Gar Kabhi Juda Hoga 
Aaj Aisa Kartay Hain 
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain 
Hath Chor Datay Hain 

Kash Koi Samjha Day 
Loag Kis Tarah Dil Ki 
Manzilain Alag Kar Kay 
Saath Chor Datay Hain 
Aaj Aisa Kartay Hain 
Bey-sabab Bikhartay Hain 
Zaat Taur Datay Hain

Kahaa uss nay roko ab tum

Kahaa uss nay roko ab tum 
Bohot mil kar chalay ham tom 
Bohot kuch paa liyaa ham nay 
Bohot kuch k'ho liyaa ham nay 
Hamai(n) ab lautnaa ho gaa 
Bohot ziddi ho tom laikin 
Hamain ab to bich'harnaa hai 
Sonaa ye to, bohot royay 
Kahaa(n) tak jayai(n) gay tanhaa 
Hamai(n) ye soch kar jaanaa(n) 
Bohot takleef hotee hai 
Chalo ham maan laitay hai(n) 
Tomhai(n) ham k'ho chokay laikin 
Hamaari saans ab tak bhee 
Tomhaari pyaas rak'htee hai 
Tomhaari yaad ab tak bhee 
Hamai(n) baitaab rak'htee hai 
Magar ! ab ye bhee sontay hai(n) 
Tomhaari raah roshan hai 
Tomhai(n) mil jaayay gaa koyee 
Magar afsos !!! 
Ham jaisaa 
Agar paao kahee(n) tom to 
Mojhay do harf lik'h dainaa

hazaaron dukh perayen sehna muhabbat mar nahi sakti


hazaaron dukh perayen sehna muhabbat mar nahi sakti
hai tum say bus yahi kehna muhabbat mar nahi sakti

tera her baar merey khat ko perhna aur ro dena
mera her baar likh dena muhabbat mar nahi sakti

kia tha hum ney campus ki nadi per ik haseen wa'ada
bhaley hum ko peray merna muhabbat mar nahi sakti

jahan main jab talak panchi chahaktey, urtey, phirtey hain
hai jab tak phool ka khilna muhabbat mar nahi sakti

puraney ahad ko jab zinda kernay ka khayal aaye
mujhay bus itna likh dena muhabbat mar nahi sakti

wph tera hijr ki shab phone rakhney say zara pehley
bohat rotey huye kehna muhabbat mar nahi sakti

ager hum hasraton ki qaber main hi dafan ho jayen
to yeh katbon peh likh dena muhabbat mar nahi sakti

puraney rabton ko phir naye wa'adey ki khuahish hai
zara ik baar to kehna muhabbat mar nahi sakti

gaye lamhaat fursat kay kahan say dhoond ker laaon
woh pehron haath per likhna muhabbat mar nahi sakti

Popular Posts