Thursday, September 3, 2009

MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON

MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
Is daur k rasm riwajon se,
In tahton se inn tajon se,
Jo zulm ki kokh se jante hain,
Insani khoon se palte hain,

Jo nafrat ki bunyadain hain
Aur khoni khet ki khadein hain,

MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Wo jin k hont ki jambish se,
Wo jin ki aankh ki larzish se,
Qanoon badalte rehte hain,
Aur mujhrim palte rehte hain,

In choroon k sardaron se
Insaaf k pahre daron se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Jo aurat ko nachwate hain,
Bazar ki jins banwate hain,
Phir is ki asmat k gham main,
Tehrikain bhi chalwate hain,

In zalim aur badkaron se
Bazaar k in mamaron se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Jo qoam k gham main rote hain,
Aur qoam ki dault dhote hain,
Wo mehlon main jo rehte hain,
Aur baat ghareeb ki kehte hain,

In dhoke baz luteron se
Sardarun aur waderon se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

MAZHAB K JO BYOPARI HAIN,
WO SAB SE BARI BEMARI HAIN,
WO JIN K SIWA SaB KAFIR HAIN,
JO DEEN KA HARF-E-AKHIR HAIN,

IN JHUTE AUR MAKKARON SE
MAZHAB K THEKEDARON SE
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

JAHAN SANSOON PE TAZERAIN HAIN,
JAHAN BIGRI HOI TAQDERAIN HAIN,
ZATOON K GORAKH DHANDE HAIN,
JHAN NAFRAT K YE PHNDE HAIN,

SOCHON KI AESI PSTI SE
IS ZULM KI GANDI BSTI SE
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Mere hath main haq ka jhanda hai,
Mere sir pe zulm ka phanda hai,
Main marne se kab darta hon,
Main moat ki khatir zinda hon,
Mere khoon ka suraj chamke ga
To bacha bacha bole ga

MAIN BAGHI HON
MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Tere labooN par aksar mai.N apna naam chahta huN

Tere labooN par aksar mai.N apna naam chahta huN
Aapne ishQ ka main kuch aaisa mukaam chahta huN

Na hoo koi gham fir tujhe,Na rahe hosh yeh jahan ka
dena tujhko mai.N khushiyaaN tamaam chahta huN

jis andaaz-e-bayaN ko padh ke jhoom uthe ye duniyaa
likhana tere ishQ ke naam woh paigaam chahta huN

kar ke teri chahatooN meiN khud ko mai.N saraboor
jhuk kar tere sajde meiN kahena salaam chahta huN

na meet sake kabhi mere tashvoor k aaino se tera aks
tujhse judi kuch aisi subah,kuch aisi shaam chahta huN

meheku teri saNso meiN,ho jaau dhadkano meiN shamil 
 faysal ab teri jindagi k har panno p apna naam chahta huN

Karoon na yaad magar kis tarah bhulaon usey

Karoon na yaad magar kis tarah bhulaon usey
Ghazal baha na karoon aur gungunaon usey

Magar woh zood faramosh zood ranj bhi hey
Keh rooth jaye agar kuch yaad dilaon usey

Jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hey Faraz
Ajab nahin hey agar yaad bhi na aaon usey

Koi nishaani-e-gham chorrh kar nahi jaatey

Koi nishaani-e-gham chorrh kar nahi jaatey
Bagoolay naqsh-e-qadam chorrh kar nahi jaatey

Kuch is tarha say paroyee gai khayalon mai
Wo hum ko chorh dain--hum chorrh kar nahi jaatey

Humein hi maangtey rehtay hain--jee nahi bharta
Wo dil mai dard toh kum chorrh kar nahi jaatey

Kabhi toh unko humaara khayal ayeega
NAHI--wo aisa bharam chorrh kar nahi jaatey

Hum Kaise Pagal Hotey Thay"

Hum Kaise Pagal Hotey Thay"
Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir
Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay
Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa
Ussay Chunay Say Dar Jaatey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Kay Dhundalay Aaino Main Apna
Hum Aks As Dhoonda Kartey Thay
Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Jab Sarak Per Chalna Hota Tha
Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay
Aur Beech Bawar Janay Ke Liye
Hum Pedal Nikla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Jab Barish Barsa Karti Thi
Hum Chatri Main Chhup Jaatey Thay
Aur Jalti Dhoop Main Nanggay Sir
Hum Chhut Per Uchla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Jab Pass Bohat Wo Hota Tha
Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay
Jab Dur Chala Jata Tha Wo
Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Jab Sari Duniya Soti Thi
Hum Chand Say Khaila Kartey Thay
Jab Sari Duniya Jaag Uthi
Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay

Hum Kitney Pagal Hotey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain
Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain

~teri saadgi pe marr mite the hum ek din~

~teri saadgi pe marr mite the hum ek din~
~teri dillagi ne diwana kar diya~

~tujh sa na koi dekha na dekhenge hum~
~teri ek nazar ne behal kar diya~

~kuch qurbaton ne bandhe ulfat k dhaghe~
~kuch teri muskuraht ne dil chura liya~

~ab teri is duri ne ae sanam~
~meri jheel si ankhon ko num kar diya~~

Sitaron say bharey is asmaan ki wusaaton mai

Sitaron say bharey is asmaan ki wusaaton mai
Mujhey apna sitaara dhoondhna hai
Falak par keh-kashan dar keh-kashan ek bekaraani hai
Na uska naam hai maloom---na koi nishaani hai
Bass itna yaad hai mujh ko
Azal ki subah jab saarey sitaarey
Alwidaai guftago kartey huay raston pay chal niklay thay
Toh uski aankh mai ek aur taara jhilmilaaya tha
Usi taarey ki soorat ka
Meri bheegi hui aankhon mai bhi ek khuwab rehta hai
Mai apnay ansoo-on mai apnay khuwabon ko sajaata hun
Aur uski raah takta hun
Suna hai gumshuda cheezain jahan par khoyee jaati hain!!
Wahin pay mil bhi jaati hain!!!



_________________

Magar main chahon to tum ko bhula bhi sakta hom

Tumhari yaad meri zindagi hai yeh tasleem
Magar main chahon to tum ko bhula bhi sakta hom

Tumhara ghum mere haq men chrag-e raah sahi
Main iss chiragh ko zidd men bujha bi sakta hon

Yeh teegi meri detrina dost hai warna
Main apne ghar ke diye phir jala bhi sakta hon

Main kya karon mujhay viraniyon se ishq sa hai
Khizaan ko warna baharan bana bhi sakta hon

Zuban pe laane ki har baat go nahin hoti
bazid ho to, tum yeh tuhmat utha bhi sakta hon

Sune baghair na samjhey to sun ke kya hoga
Kaho to waise fasana suna bhi sakta hon

Ba'ya fasurda dilli apne doston ke liye faysal
Ghazal ke saaz pe naghma suna bhi sakta hon

kitna aasaan moHabbat meN hai dhokaa karna

kitna aasaan moHabbat meN hai dhokaa karna
varna yeh i'shq faqat sar ka hai sodaa karna

kis ko aata hai bhala e'hd ka eefaa karna
verna aata hai yahaN sab ko hee da'waa karna

tum ne seekhee hai kahaN? zikr yeh be-jaa karna
baatooN baatooN meN kisee baat pe uljhaa jkarna

apne kehne ka bharam rakh~ nah sako ge tum bhi
phir kaho ge kabhi aisaa, kabi vaisaa karna

tum nah maano ge kabhi apni KhataheN lekin!
kabhi furSat meN meree baat peh sochaa karna

jo hoova mujh peh gawaraa hai mujhee ko lekin!
phir nah is-tarHa kisee aur ko ruswaa karna ****

chand lamHooN meN bikhar jaatee hai dil kee dunya
u'mr lagtee hai use joR ke yak-jaa karna

yeh bhi nekee hai agar jaan lo sab se baRh kar
dost dushman ke kisee e'yb ka pardaa karna

kaun sikhlaye gaa hotee hai bhalahee kaise?
hai buraa kaam, burahee ka bhi charchaa karna

tum nah reh paho ge insaanoN ke jangal meN agar
phir kaheeN door pahaRooN pe baseraa karna

tum chale jaaho, palaT kar naheeN daikheN tum ko
shart yeh keh KhayalooN se nah guzraa karna

d'oob jaho ge to saHel bhi nah paaho ge kaheeN!
meree aaNkhooN ke samandar meN nah utraa karna

ashk behte heN tu behne do Khuda ke aage
hooN nadamat ke, to SeHraa ko bhi daryaa karna

thak gayii chalte hoove baad-e-muKhalif :faysal
ruKh hawaooN ka idhar bhi kabhi moRaa karna



_________________


Aik shikastaa din ki mutthi band hey kuch samaan liye

Aik shikastaa din ki mutthi band hey kuch samaan liye

Kon issey ab merey ilawa kholney ka dukh jheley ga
Kon yahan ab bey kal hoga dil main kuch arman liye
Gar ye muthi khul jaye to jantey ho kia paou gey...??
Aansoo ban kar beh janey wali aik adhoori neend ka dukh
Aik sisakta sajdah jis key aakhir main do uthey haath
Bin mangey kuch,dhalkey hoangey aapna aap bey jaan liye
Aik jhijakta aks,lamha bhar chamka tha aayeney main
Dojey pal hi khudh sey khafa tha kuch tevar anjaan liye
Sehra honton ki wo hasrat piyaas ka ik meezan liye
Do aankhain jo gum sum hain ab khaubon ka ahsan liye
Uss manzar ko takti reh gayeen jo ab shayed badley ga
Aik udasi ka paikar kuch bikhrey bikhrey halon main
Ishq ka pehla misra likh kar jazb ka ik deewan liye
Ik adhoori nazm ka misra ..ik takmeel ki khuahish main
Samjhey janey ki hasrat ka na mumkin imkaan liye
Sari ummr ki umeedon key bey rooh jismon key lashkar
Aaj bhi yakja ho betha tha rayeegan janey ki khatir
Ik musalsal mehv e intezar tamna janey kia kia dheyan liye
Din key kinaron par kuch boseeda safhey rakh ki soorat they
Apney andar jal bujhi shikaston ki ik dastaan lye
Koun issey ab merey ilawa kholney ka dukh jheley ga !!!
Auk shikastaa din ki mutthi band hey kuch samaan liye

toot kar bikhra woh sapna jo humara na tha

toot kar bikhra woh sapna jo humara na tha
usse ankhon mein palna bhi gawara na tha

socha tha ek khwabooN k duniya basa lenge
par sath duniya meiN apna koi guzara na tha

uski ek judai se tukdo meiN bikar raha maiN
ya allah, yeh diL kabhi itna behchara na tha

jab suna woh aa rahe laut kar ashiyaaN meri
tab hamare paas shansooN ka sahara na tha

humne manga khuda se,agali janib milana unse
par kambkhat uss  ka koi ishara na tha

naa maiN kabhi itna tuta,naa kabhi besahara tha
shayad likha kismat meiN apna koi nazara na tha

chaha inn dhadkano mein ab kisi aur ko basa le
par faysal mera yeh dil yuh bhi awara na tha

Hum Bhi Kbhi Aabad They

Hum Bhi Kbhi Aabad They Aisey Kahan Brbad They
Befikr They Aazad They
Masroor They Dilshad They
Wo Chaal Aisi Chal Gaya
Hum Bujh Gaye Dil Jal Gaya
Nikley Jala K Apna Ghar
Mein Aur Meri Awargi
Ye Dil Hi Tha Jo Seh Gaya
Wo Baat Aisi Keh Gaya
Kehney Ko Phir Kya Reh Gaya
Ashkon Ka Darya Beh Gaya
Jb Keh K Wo Dilbar Gaya
Tere Liye Mein Mr Gaya
Rotey Hain Usko Raat Bhr
Mein Aur Meri Awargi
Ab Gam Uthayen Kis Liye?
Aansu Bahayen b to Kis Liye..?
__________________

har shaam tumko apne pas bula liya karte hain

har shaam tumko apne pas bula liya karte hain
tanhai ko hamari teri yaadon se sajaya karte hain

nahin hota koi pas jab hamare andheron me
hum teri chehre ko ankhon me samaya karte hain

chumte hain behisab hum tumhari aankhon ko
kuch iss tarah unn aankhon me duub jaya karte hain

aankhon me ashk bhare hon bhale hi hamari
teri muskaan pe hum apni khushiyan lutaya karte hain

tu dur bhale ho humse oo humsafar meri tanhai k
tu na ho to bhi tujhme samaya karte hain
hum sirf tujhe hi dil me basaya karte hain.....

Teri Kalam Ki Har Baat Dil Ko Aachi Lagi

Teri Kalam Ki Har Baat Dil Ko Aachi Lagi
Jo Na Likha Wo Baat Bhi Muje Sacchi Lagi

Hum Teri Surat Per Bhi Marne Lage He Kuch Dino Se
Pahle Marte The Ki Ek Tu Hi Dil Ki Sacchi Lagi

Hum To Diwane He Tere In Lakiro Se Hume Kya Lena
In Lakiro Me Samane Wali Teri Ye Ada Aachi Lagi

Tu Kab Se Ho Chuki Meri Ye Tuje Khud Khabar Nahi
Khud Se Chupnae Ki Ye Ada Bakhuda Dil Ko Aachi Lagi

wo khushbo bhiaja karti thei maiN nazmaiN likhta rahta tha

wo khushbo bhiaja karti thei maiN nazmaiN likhta rahta tha
wo hans k ujaa'la karti thei maiN subhaiN likhta rehta tha

geeli raai'et pe sahil ki doobtey suraj k hum'raah
wo chup se chalti rahti thei maiN soochaiN likhta rehta tha

deep wafaa k hotey they ya shaa'ed do taa'ray they
wo muj ko dekha karti thei maiN ankhaiN likhta rehta tha

tap'ti dhoop ka rang bhi tu phoolooN sa ho jaa'ta tha
wo zulfaiN khola karti thei maiN shaa'maiN likhta rehta tha

toot kar aksar chaa'hat maiN rooth k yuunhi ulfat maiN
wo muj ko jeeta karti thei maiN maa'taiN likhta rehta tha

donoo ki pahli chaa'hat thei donoo toot k miltey thay
wo waday karti rahti thei maiN kasmaiN likhta rehta tha

channd diN jab aa thahray they uski meri judaa'ee maiN
maiN us k haath maiN pahrooN phir lakee'raiN likhta rehta tha

jaa'N se payaray se shikwa khud ko ruswa karna tha
maiN apnay hontooN pe chup ki bus muhraiN likhta rehta tha

dil ki hasrat asi thei dil maiN jo rah jaa'ti thei
jo us se kah nahi paata tha wo bataiN likhta rehta tha

diN maiN dard ki shidat ko hans k maiN sah jaa'ta tha
per biN us k jo kat ti thein maiN raa'taiN likhta rehta tha

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai


Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai


Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai


Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai


Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai

Tum bevajah pareshaan sii kyon ho aankhon

Tum bevajah pareshaan sii kyon ho  aankhon
log kahate hain to phir thiik hii kahate hon ge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul mein insaan na rahate hoge


nuur-e-saramaayaa se hai ruu-e-tamaddun kii jilaa
ham jahan hain vahan tahaziib nahiin pal sakatii
mufalisii hiss-e-lataafat ko mitaa detii hai
bhuuk aadaab ke sanche mein nahiin Dhal sakatii


log kahate hain to logon pe t’ajjub kaisaa
sach to kahate hain ki naadaaron kii izzat kaisii
log kahate hain – magar aap abhii tak chup hain
aap bhii kahiye Gariibon men sharaafat kaisii


nek maadaam! Bahut jald vo daur aayegaa
jab hamen ziist ke adavaar parakhane hon ge
apanii zillat kii qasam, aap kii azamat kii qasam
hamako taa’ziim ke me_aar parakhane hon ge


hamane har daur mein tazaliil sahii hai lekin
hamane har daur ke chehare ko ziyaa bakhshii hai
hamane har daur mein mehanat ke sitam jhele hain
hamane har daur ke haathon ko hinaa bakhshii hai


lekin in talKh mubaahis se bhalaa kyaa haasil
log kahate hain to phir Thiik hii kahate hon ge
mere ehabaab ne tahaziib na siikhii hogii
mere maahaul mein insaan na rahate hon ge



_________________

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte

Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte

Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rookh mora nahi karte

Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte

Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte

Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte


Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabi Khayanat kia nahi karte
__________________

Kisi ke yadooN ka chhaya mujh par khumaar haiN

Kisi ke yadooN ka chhaya mujh par khumaar haiN
Ke dil keh raha hai, ho gaya tujhko bhi pyaar haiN

Meri dhadkano mein samayi jaa rahi haiN woh
Ke ab mere dil par mera bacha na koi ikhtiaar haiN

Na reh paata hooN maiN bin uske ek pal ko bhi
kaise kahu bin uske yeh jindgi suni haiN,uzaar haiN

Haal-e-dil apna kaheta hoon usko har Ghazal meiN
woh kyun na samjhe apna to yehi lafz-e-izhar haiN

Aab furkat mein si lagne lagi hain mujhko zindgai
khuda lamha-lamha bad raha yeh kaisa intezaar haiN

uff kaisi ajab si halat kar gayi haiN woh dilnashi teri
Ke log keh rahe faysal tu ishQ mein hua bimaar haiN

Dil me ek khwahish hai jo sirf tumse wabasta hai,

Dil me ek khwahish hai jo sirf tumse wabasta hai,
Aaj us khwahish ka izhaar karna chahti hoon,
Jaha jaha tum chalo to apne aanchal ko,
Tumhare kadmo me failana chahti hoon,
Tumahre har gum ke kaante ko,
Apni palko se uthana chahti hoon,
Jo laaye tumhare honto par khushi,
Wo muskurahat ban na chahti hoon,
Dil me ek khwahish hai jo sirf tumse wabasta hai...............
Jo saanse tum lete ho, un saanso me bas kar,
Tumahri mehak ban na chahti hoon,
Jo khwaab tum dekho, to us khwaab ki haqeeqat ban kar,
Tumhari har khwahish poori karna chahti hoon,
Jo aaye tumhari raah me kabhi dhoop to,
Us dhoop me tumhari chaaon ban kar bikharna chahti hoon,
Dil me ek khwahish hai jo sirf tumse wabasta hai...............
Jo rahe hamesha tumhare saath,
Wo saaya ban kar chalna chahti hoon,
Kuch to kaho mujhse bas ek baar,
Sirf aur sirf tumari ban kar zinda rahna chahti hoon.....................!!!

Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai

Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai
Teri yaad jo aati hai to kuch aaisi aada hoti hai

Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to
Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai

Ab ya duniya meri muha veeran si lagti hai
Khushboo teri na hoti hai na teri sada hoti hai

Jis desh bhi jao tum woh desh tumhara ho
Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai…!!
__________________

Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main

Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main

jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main

Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main

Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main

ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main

Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main

Bheegi hui aankhon ka yeh manzar na milega,

Bheegi hui aankhon ka yeh manzar na milega,
Ghar chhod ke mat jao kahi ghar na milega,

Phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam,
Jab dhoop mein koi saaya sir par na milega,

Aansoo ko kabhi auz ka katra na samajhna,
Aisa tumhe chahat ka samandar nahi milega,

Is khawaab ke mahol mein bhi khawaab hai aankhein,
Jab neend bahut aayegi,bistar na milega,

Yeh soch lo ab akhri saya hai mohabbat,
Is dar se jo uthogi to koi dar na milega..!!!

Jab Din Guzar Rahey They ,

Jab Din Guzar Rahey They ,
Hum Tum Se Keh Rahey They,
Mushkil Hai ab Bichharna,
Aur Door Tum se Rehna,

Tum Sun ke Hans Pari Thein,
Aur Hum Se Ye kaha Tha ,
Hum Tum ko Bhool Jaen,
Tum ko Na Yaad Aaein ,

Sun ker Tumhari Batein ,
Hum Chup Se Ho Gaye They,
Phir Tum Bichhar Gaye They,

Tum Se Bichhar ke Hum Bhi,
Her Lamha Gin Rahey They,
Mausam Badal Rahey They,
Aur Hum ke Jal Rahey They,
Her Sans Thi ke sakat ,
Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
Barish ka Pehla Katra ,
Jab Bhi Gira Zameen Per,
Hum ko Lag Raha Tha,
Jungal Pighal Raha Tha,
Phir Hum Behal Gaye They,
Aur Ho Gaye They Aadi,
Dunya Ki Mehfilon Ke ,

Ab Phir Se Mil Gaye Ho ,
Aur Hum Se Keh Rahey Ho ,
MUSHKIL HAI AB BICHARNA,
AB DOOR TUM SE REHNA.



_________________

Raat ke do baj aaye

Raat ke do baj aaye
phel chuke sannate saaye
zakhmo ki hariyaali chup hai
dard ke ped aaseb zada hain
suraj ki daali daali chup hai

apne dukhte dil se keh do
neend ke jangal me kho jaye
kaafi jaag liya so jaaye

door pahadi ke sur jaage
mast hawa ne li angdaayi
raat ne apni lat jhatkayi

kaun ye rogi jogi hoga
jiski jog bhari asthaayi
bhairav ki paazeb se uljhi
saans ki sargam se takraayi

kisi ke hontho ki khushboo ne
bansuriyaa ki laye mehkaayi

apne dukhte dil ki se keh do
sabke pardesi ek jaise
                   sabke sanwariyaa harjayii……………!!!



_________________

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha
lagi dil ki yunhi dil se bujha lete to achcha tha


woh jo abaad thi kabhi ek rangeen tasavvur se
haseen duniya meri rooh ke nigaar khane me
har ek darpan se jhalakti rukhe dost ki manind
jhilmilati huyi chashme namm ke pur aab paimane me
tasavvur ki yeh sab tasveeren bhi ab mita lete to achcha tha

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha

na di mohlat ghame hasti ne gar ahad-o-wafa nibhane ki
shama-e-aarzoo ko qatra qatra pighal jane diya hota
yeh maye khud hi dhal jati zeest ke paimane me
ghame duniya ko garr dil me utar jane diya hota
ghame jana se bhi daman apna bacha lete to achcha tha

Tum apne khwab meri ankhon se chura lete to achcha tha
lagi dil ki yunhi dil se bujha lete to achcha tha



_________________

chaahat ko aasraa nahi miltaa

Umr bhar ki chaahat ko aasraa nahi miltaa
khamoshi ke waqfo me
baat toot jati hai
aur siraa nahi milta
maazrat ke lafzo ko roshni nahi milti
lazzate pazeerayi phir kabhi nahi milti
phool rang waadon ke
manzilen sukadti hain
raah mudne lagti hai
berukhi ke gaare se
bedili ki mitti se
faasle ki eenton se
eent judne lagti hai
shak ki zard tehni par
phool bad gumaani ke
is tarha se khilte hain
zindigi se pyaare bhi ajnabee se lagte hain
dashte beyaqini me raasta nahi milta
waahmo ke saaye se
Umr bhar ki mehnat ko
pal me loot jate hain
khwaab toot jate hain
umr bhar ki chaahat ko aasra nahi milta
zindigi se pyaare bhi ajnabi se lagte hain………



_________________

Main Nay Daikha Tujhy !

Aay Mere Kum-Nishaa’n…..!!!

Gardish-e-Waqt Ki Dustaras Say Juda
HalQaa-e-Chashm-o-Lub Say Bhi Kuch Mavraa
Main Nay Socha Tujhy!

Roshni K Sabhi Dairay Torr Ker
Apnay Kanj-e-Qalam Ki Dhanak Chorr Ker
Main Nay Likha Tujhy!

Bhool Ker Apny Naam -o-NasB Ka sharf
Husan-e-TaqDees-e-Mazheb Say Bhi Us Traf
Main Nay Pooja Tujhy!

Tujh Say Waqif Na ThaJub Zameer Jahan
Aisay LamhOon May Bhi Ay Mere Kum-Nishaa’n
Main Nay Chaha Tujhy!

Ab Mager Sochta Hun Ba-Nok-e-Sinaa’n
Sahen-e-Muqtal May Kyon Hamrah-e-Dushmanaa
Main Nay Daikha Tujhy !



_________________

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha….???

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha….???

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Dopher K Garm Suraj Ki Traf Dekho
Aur Itni Dair Tak Dekho !
K Binaaee Pighel jaey !!!

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?

Aasmaan Say Toot-ti Andhi Bijliyoon Say
Dosti Ker Lo
Aur Itni Dosti Ker Lo
K Gher Ka GHer Hi Jal Jaey!!!

"Tumhay KiS Nay Kaha Tha?
Aik Anjany Safer May
Ajnabi RaahRoo K Humrah Dooor Tak Jao
Aur Itni DooooR Tak Jao!
K Woh Rastaa Badal Jaey!!!



_________________

Hazar Bar Yeh Chaha K Aik bar Kabhi

Hazar Bar Yeh Chaha K Aik bar Kabhi
Woh Meray Samnay Aay
To Mein Bhi
Ji Bher K
Palak Jhapak Me Usay Dekh Loon Nazar Bher K

Hazar Bar Yeh Socha K Aik Bar Kabhi
Woh Meray Samnay Bethay
To Aik Sa’at Me
Bus Aik Lufz Me Ji Bher K Guftago Kerloo’n
Mein Apnay Husn-e-Talab Hi Ko SurkhRo Kerloo’n

Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho
Her Aik Bar Magar Yun Hoa K Aaker Bhi
Idher Udher Ki
Zamanay Ki
Fulsafay Ki, Sayasat Ki, Ilm-o-Danish Ki
Hazar Batoo’n Ko Usnay
Bana K Shehad Meray Kan Me Utar Dia
Aur Apnay Husn-e-Baya’n Se Mery Sama’at Ko
Ajeeb Dhung Se So So Terha Nikhar Dia
Woh Aee
Baithi
Chali Bhi Gaee
Magar Mujhko______________ _______
Hamesha Aik Hi Hasraat ,Hamesha Aik Lagan
Hamesha Aik Tamana, Hamesha Aik Chubhan
K Bar-e-Gosh Basad Ujz Us K Aik Sukhan
Jalay Jo Shama Kabhi To Idhar Bhi Aik Kiran

Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho
Hazar Bar Yeh Socha Kabhi To Aisa Ho.



_________________

Jalte honto pe tabassum jo machalta hai kbi,

Jalte honto pe tabassum jo machalta hai kbi,
Zakham dhul jate hai sawan jo barasta hai kbi,
May ne socho may tarashay hai khadokhal tere,
Mere bare may bata tu ne b socha hai kbi,
Charhte suraj se kbi tu ne melai hai nazar,
Tu ne kirno ke taraf ghor se daikha hai kbi,
Log pathar may khilate hai omeedo k gulab,
Ye b mumkin hai bata aisa b hota hai kbi,
Tu ne samjha k may lot k ajaunge,
Ankh se bichrha hua ashk b lota hai kbi.

*** SUNO, KYAA KHAYAAL HAY ***

*** SUNO, KYAA KHAYAAL HAY ***


Suno!
Kabhi Yun Karein k…

Kahin Mil Baith k Koi Udas Aur SogWar Sham Duhrayein
Aur Beetnay Na Dein

Aur Khud Ko Bhooli Bisrii Yaadon k Sapurd Kar k
Wapis Lautna Bhool Jayein

Yaa Kisi Jungle Mein Ja k
Khud Ko Parindon Ki Qaid Mein Dey Ayein
Kisi Tun-o-Tanha Badal Ko Bulayein
Aur Usay Hamesha Hamesha k Liye Apney Ghar Rakh Lein

Aur Ghar k Sarey Dareechay
Saray Raastey Band Kar Dein
Taakay Usay Koi Milney Na Aa Sakey

Apni Apni Zakhmi Aarzoun Ko Zakhmi Hi Rehney Dein
Aur Aik Doosrey Ko Khuwab Nagrion Ko Rawana Kar k
Rasta Na Bhoolney Ki Dua Mangein

Kisi Roz Apney Apney Payaron Se
Bey Sabab Naraz Ho Jayein
Aur Jahan Jahan Pe Jo Jo Wada Likh Rakha Hay

Usay Mita Daalein
Suno, Kya Khayal Hay..?
Kabhi Yun Na Karein
k Hoslon k Saray Bandh

Aur Tahammul k Saray Sutoon Torr Daalein
Aur Hawaon k Samney
In Kathoor Hawaon k Samney

Deewar Ban Kar Kharrey Ho Jayein Inhein Rok Kar
Un Ka Girebaan Thaamein
Aur Cheekh Cheekh Kar Unhein Bura Bhala Kahein..Aur

Aur Un Se Jurm Poochein
Suno, Kya Khayal Hay…???



_________________

Main Mohabbat Houn

Main Mohabbat Houn

Main saahil pai likhi hoee ibaarat nahi

Jo lehron se mit jaati hay

Main baarish ki barasti boond nahi

Jo baras ker tham jaati hay

Main khwab nahi

Jisai dekha aur bhula dya

Main shama nahi

Jisey phoonka aur bujha dya

Main hawa ka jhonka nahi

Jo aaya aur guzar gaya

Main chand bhi nahi

Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh ahsaas hoon

Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay

Main to woh rang hoon

Jo teray dil pay charay tuo kabhi na mitay

Main woh geet hoon

Jo teray labon se juda na hoga

Khwab,ibaarat,hawa ki tarah

Chand,boond,shama ki tarah

Meray mitnay ka sawaal nahi

Kyun k Main Tou Mohabbat Houn



_________________

Phir Yeh Mausam Yeh Phool Hoon Kay Na Hoon

Phir Yeh Mausam Yeh Phool Hoon Kay Na Hoon
Phir Duaain Qabool Hoon Kay Na Hoon
Zeest Kay Zawiay Badal Jain
Qehqahay Aansuoo Me Dhal Jain
May Bhatak Jaoo Tu Badal Jaay
Gerdishay Waqt Chaal chal jaay
Phir Yeh Mausam Yeh Phool Hoon Kay Na Hoon.

Aap Meray Qareeb Hoon Kay Na Hoon
Aap Meray Rafeeq Hoon Kay Na Hoon
Phir Yeh Lamhay Naseeb Hoon Kay Na Hoon
Aao Ik Doosray Me Kho Jain……………. ……………….. ….
Subha Hanay Tak To Soo Jain……



_________________

Gar chaho k ada kar sako tum qemat-e-dil

Gar chaho k ada kar sako tum qemat-e-dil
tu tasawwar k giran qadr aaenou main basi
ek khamoosh se be lous ebarat parh lo
jis ka mafhoom agar samjho tu behad saada
her takhaiul ki bulandi per hai mehw-e-parwaaz
dil ki qemat na kabhi saym-o-jawaher main mili
na he ye bandisha-e-halaat-e-zamana main mili
kis ne dekha hai kise phool ki khushbo ko kabhi
kaun choo sakta hai parbat ki sadaoun ko kabhi
kia kise aankh se le saktay ho tum aanso ko kabhi
kia chora saktay ho taron se eski kirnoun ko
pher bhe chaho k ada kar sako tum qemat-e-dil
Piyaar ki aanch main jal gaey lamhay laa do
tumhari yaad main chalaktay hain jo aanso laa do

yeh Ajeeb Meri Mohabatain’……

yeh Ajeeb Meri Mohabatain’……… …
Koi pooch le to main kya kahoon
usay kya bta~oon
yeh roz o shab to janam janam per muheet hy
merey zakhm zakhm dil o nazar
mujhay is janam main nahi milay
merey ratjagay merey hamsafr
merey saath aaj nahi chalay
yeh muheeb wehshat e fikr jo
merey naqsh naqsh ki rooh hy
koi besabaat byaan nahi
yeh to aatmaaoun ka aks hy
yeh to devtaaoun ka dhyaan hy
yeh to janay kesi sadi sadi ki
aziyaton ka gyaan hy
yeh ajeeb merey gham o alam
yeh naseeb sang e siyaah per
yeh warq warq per gaRay qalam
yeh k~Ra hisaar nya nahi
mera intzaar qadeem hy
mera us se pyaar qadeem hy
yeh ajeeb meri mohabatain..sabhi ne yun to kiya tajziya mohabbat ka
kisi se hal na hua maslla mohabbat ka

woh jis ke hijar main rona usko dua dena
samajh main atta nahe FALSAFA MOHABBAT KA



_________________

tamam umar wohi qissa-e-safar kehna!

tamam umar wohi qissa-e-safar kehna!
ky asaka na humy apny ghar ko ghar kehna

jo din ho toh tairy wisl ki dua kerna
jo raat ho toh dua he ko beyasar kehna

ye keh k doob gaya aaj aakhri soraj
ky hosaky toh isi shab ko ab seher kehna

wo shaqs mujh sy bohat badguman sa rehta hai
ye baat uss sy kaho bhi toh soch ker kehna

kabhi wo chand jo pochy k sheher kaisa hai?
bujhy bujhy hoye lagty hain baam-o-darr kehna

wo aik main ky maira sheher bhar ko apny siwa
tairi wafa ky taqazon sy beykhabar kehna

wo aik tu ky taira her kisi ko mairy begher
mammlat-e-muhabbat mein muat'aabar kehna

wafa ki tarz hai faysal ky misslehat kiya hai
ye taira dushman-e-janna ko bhi charrah'gar kehna



_________________

Kahan Aa ke rukay thay rastay, kahan morde tha use bhool jaa

Kahan Aa ke rukay thay rastay, kahan morde tha use bhool jaa
Wo jo mil gaya use yaad rukh , jo nahi milla use bhool jaa

Wo tere naseeb ki barshien , kisi aur chut pe baras gaien
Dil be-khaber mairy baat sun , use bhool jaa use bhool jaa

Main to ghum tha tere hi dehan main , teri Aas tere ghuman main
Saba keh gaye mairay kaan main, mairay sath AA use bhool jaa

kahien chak jaan ka rafoo nahien, kisi Asteen pe lahoo nahien
Ke shaheed rah-e-malal ka nahien khoon baha, use bhool jaa

Kion Atta huwa hai ghubar main, Gham-e-zindagi ke Fashar main
Wo jo Darj tha tere bakhat main So wo ho gaya, use bhool jaa

Jab Kabhi ishq ki Rahoon main Qadam hota hai

Jab Kabhi ishq ki Rahoon main Qadam hota hai
Humqadam maira wohi Ahel-e-sitam hota hai

Mujhe pe us but ka bazahir to karam hota hai
Parda Lutaf main posheeda sitam hota hai

Maira kia juram hai, Ae bad-e-saba kuch to bata
Mairy ghalioon se Ghuzar kion tera kum hota hai

Doobnay walay ke dil se kabhi poochoo to sahi
Ik tinkay ka sahara bhi aham hota hai

Kocha-e-yaar ki ghalian mujhe pehchanien gi kia ?
Ab ghuzarna maira un ghalioon se kum hota hai

Na millay wo mujhe yeah baat gawara hai mager
Wo ager mil ke bicher jaye to ghum hota hai

Uski tahreer use rakhti hai zinda “faysal”
Marta hi kab hai jo Ahel-e-Qalam hota hai

Mohabat jheel jaisi hai

Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Satah-e-aab par is ki
Talatum hai wafaon ka
Shorida lehro mai pinha
Kasak meethi judai ki
Bahut sadio say thehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Mohabat dard meetha hai
Shajar rug rug mai phaila hai
Jawan rut mai umangon ka
Narm ehsaas phaila hai
Mohabat barg ki manind
Barasti hai makanon par
Maakan b wo jinhay
Zindan banaya hai zamanay nay
Mohabat kaif ban kar phir
Utarti hai rag-o-pay mai
Tu dil takrar karta hai
Yehi ik rut sunehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din
Kya rooz garjtay ho, Baras jao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~*~

Raazoon ki tarah utro mere dil mai kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~*~*~

Paadoon ki tarha Husn ki baarish mai nah loon
Badal ki tarha jhoom k aao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~*

Khushboo ki tarha guzro mere di ki gali se
Pholon ki tarha mujh pe bikhar jao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~

Phir haath ki khairaat mile band qaba ko
Phir lulf shabe wasal ko duhrao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~*

Guzrain jo mere ghar se to ruk jain sitare
Iss tarha meri raat ko chamkao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~

Main apni hr saans isi raat ko daay doon
Sar rakh k mere sene pe soo jao kisi din

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* ~*~*~*~*~

Muhabbat Aazmanay Ka Nateeja Kia Nikla

Muhabbat Aazmanay Ka Nateeja Kia Nikla
Zakham-e-Dil , Chak-e-Jigar Or Bhi Gehra Nikla

Torde Ker Dekh Liya Sheesha-e-Dil Bhi To Nien
Her Aik Tukray Main Bas Tera Hi Chehra Nikla

Yeah Adawat Thi, Sitam Tha, Keh Shanasaii Teri
Dur Ba Dur Ho Ke Teray Shaher Se Kesa Nikla

Aik Qatray Ki Khayanat Bhi Na Ker Paye Kabhi
Dil Liye Betha Tha Darya, Mager Pyasa Nikla

Humsafar Hum- Sukhan Hum-Nasheen Koi Nahi
Yoon To Kehnay Ko Dushman Se Bhi Naata Nikla

Hum Ne Jana Ke Madawa-e-Sitam Ho Jaye
Cheer Ke Dil Maira Pehlu Se Maseeha Nikla

Tera Anchal Tha Ke Hathon Main Thi Hayaat Mairy
Haath Se Choota To Jeenay Ka Sahara Nikla

Aik Ujalay Ki Bhi Umeed Sabat Choot gaye
Toot Ker Dil Se Mairy Aankh Ka Taara Nikla

Meray Khwaab Meri KahaniyaaN

Meray Khwaab Meri KahaniyaaN
Meray Be-Khabar tUjhay Kya Pata
Meray Be-Khabar tUjhay Kya Pata
Teri AarzOon Kay dOsh Par
Teri Kaifiyet Kay Jaam Mein
Main jO Kitni SadiyOn Say Qaid hOn
Teray NaQsh Mein
Teray Naam Mein

Meray Khwaab Meri KahaniyaaN
Meray ZaaiChay Meray RaaStay
Meray Laikh Ki Yeh NiShaniyaaN
Teri Chah Mein hAin rUki hOii
Kabhi AansOun Ki Qataar Mein
Kabhi PatharOn Kay Hisaar Mein
Kabhi dAsht e HijR Ki Raat Mein
Kabhi Badnaseebii Ki Ghaat Mein
Kaii Rang dhOop Say Jal Gaye
Kaii Tan Sulaq Kay PiGhal Gaye
Teri UlfaatOn Kay Qyaam Mein
Teray dArd Kay dAr o Baam Mein
kOii Kab Say Sabt e Saleeb hAi
Teri Kaaiynaat Kii Raat Mein
Teray Asdahaam Ki Shaam Mein


tUjhay Kya Khabar tUjhay Kya Pata



_________________

Popular Posts