Thursday, April 15, 2010

Ta'aluk torna chahay


Ta'aluk torna chahay

Too mujh ko chorna chahay

To meri shart itni hai

Tumen jo de chuka hon main

Mujy Laota do wo sab kuch

Mere Naame wo Chahat key

Wo sab Tohfay mohabat key

Wo Bheegi Dairy meri

Wo Sari Shairy meri

Sabhi wo Phool aur Pattiya'n

Wo meethi Peyar ki Bate'n

Kaho Laota sako gi Tum ???

Mere Wo Qeemti Lamhay

Jo Tujh ko Sochtay Guzray

Wo Pal jo Ek Qeyyamt thay

Jo Rasta dekhtey Guzray

Khuda ko Bhool ker Wo Din

Jo Tujh ko Poojtay Guzray

Kaho Laota Sako gi Tum ???

Hayya ki Chandni Day Di

Jiya ki Ragni Day Di

Labo'n ki Chashni Day Di

Hina ki Roshni Day Di

Tujhey to Zindagi Day Di

Her Ek apni Khushi Day Di

To phir Wo Zindagi meri

Haan Bolo her Khushi meri

Kaho Laota sako Gi Tum ???

Agr mumkin ho Aisa to

Ta'aluk tor lena Tum

Bhalay Phir Chor Dena Tum ...!!

nisaf sadi honay ko aayi

nisaf sadi honay ko aayi
mera ghar aur meri basti
zulm ki andhi agg main jal jal rak main dhaltay ja rahay hain
maray log aur maray bachay
khaboon aur sarboon kay aik jaal main uljhay
kat tay martay ja rahay hain
charoon janab aik lahoo ki daldal hai
gali gali tazeer ke pehray,kocha kocha maqtal hai

aur ya dunya

alamgir taqdees ki pahray dar ya dunya
hum ko jaltay ,kattay martay
daikhti aur chup rehti hai
zoorawar kay zulm saya pal pal lamba hota hai
wadi ki har sham ka chahra khoon main lathra hota hai
lakin ya jo khoon-e-shaeedan ki shamain hain
jab tak in ki looain baqi salamt
jab tak in ki agg farozan
dard ki akhri had pay bhi ya dil ko sahara hota hai
har kali raat ke peechay aik sawera hota hay

Kabhi jazbat ki dharkan ko


Kabhi jazbat ki dharkan koO
foran jaan laitay hOo
kabhi ilfaz ki nabzOon kOo
apni narm pOoroOn say
chOo kar bhOol jatay hOo...
keh En lafzOon k seenay mai
Aakhir dil dharaktay hain.....


sunoO..
yeh baat kartay hain
rukoO awaz daitay hain
ye jazbay sans laitay hain
tu tum jab doOr jatay HoO
tu dharkan roOth jati hay
tu nabzain doOb jati hain
maseeeha hoO tu phir en kOo
shifa tum kiyun nahi daitay..?


********************

Aao Jan'ch letey hen

Aao Jan'ch letey hen

Dard ke Traazoo per

Kis ka Gham kahan tak hai

Shidate'n kahan tak hen

Kuch Aziz logo'n se pochna to parta hai

Aj-kal Mohabat ki Qeemate'n kahan tak hen

Ek sham aa jao, Khul ke Hal-e-Dil keh len

Kon jane sanso'n ki, Mohalaaten kahan tak hen...!!

Suna hoga buhat tumney, kaheen aankhon ki rim-jhim ka

Suna hoga buhat tumney, kaheen aankhon ki rim-jhim ka
kaheeN palkon ki shabnam ka
parha hoga buhat tumney, kaheeN lehjey ki baarish ka
kaheeN saagar k aansoo ka
magar tumney kabhi humdam
kaheeN dekhey? kaheeN parkhey?
kisi tehreer ke aansoo?…!
mujhey teri judaai ney, yehi me’raaj bakhshi hey
ke meiN jo lafz likhti hooN.. wuh saarey lafz rotey heiN
ke meiN jo harf bunti hooN..wuh sarey bain kartey heiN
merey sung is judaai meiN… merey alfaaz martey heiN
sabhi Tareef kartey heiN …meri tehreer ki lekin…
kabhi koi nahi sunta…merey alfaaz ki siski
falak bhi jo hilaa daaley
merey lafzoN mein heiN shaamil…ussi taseer ke aansoo
kabhi dekho merey humdam
meri tehreer ke aansoo…!!!

Chak dil, chak jigar, noha giran e hasti

DASHT E WAFA
***************

Chak dil, chak jigar, noha giran e hasti
apnay bigrday howay halat ka gham khatay rahay
aek muddat say ghalat bakhshi e dunya kay tufail
arsa e zeest mein jinay ki saza patay rahay
qehet o iflas kay mahol mein aankhen kholin
aahon aur ashkon ki aaghosh mein parwan chardhay
adl o insaf kay aewanon mein faryad kunan
jurm e haqgoyay ki padash mein be maot maray

Jab bhi esaar talab aayay maqamat kahin
rehnumaon ka bharam khaak mein miltay dekha
yon to kehnay ko kai aek sharik e gham thay
gham gusari kay liyay koi na aagay aaya
karwan lut kay bhi bardhtay rahay manzil kay kiyay
tazkaray chhord gayay garmi e mehfil kay liyay

Raqs e bismil say ebarat hay hayat e taza
aur yehi raqs gham e zeest ka darman thehra
nashtar e subh e tarab say to na kuch baat bani
dashna e shaam e alam silsila e jumban thehra
daman e shoq mein kanton kay siwa kuch bhi nahi
koi ham sa na yahan be sar o saman thehra
ham hen woh sookhta jan jinko sar dasht e wafa
halqa e dar o rasan gaisoo e janaan thehra

Re dard ki toqir ko shorida saran
marhala koi bhi ho dil say beham rakhtay hen
zulmat e waqt mein bhartay hen wohi rang e shafq
har nafs lut kay bhi jo lutnay ka dam rakhtay hen

Sar e maqtal jo hamin hen woh tamasha ho ga
chashm e khooban nay jisay pehlay na dekha hoga

Sach kehte haiN

Sach kehte haiN
Kaisay gharoor ki baat hui hai
MaiN apni hariyaali ko khud apnay lahu say seeNch rahi hooN
Meray saaray pattoN ki shaadaabi
Meri apni naik kamaai hai
Meray aik shaghoofay par bhi
Kisi hawa aur kisi baarish ka baal baraabar qarz nahiN hai
MaiN kab chaahooN Khiil sakti hooN
Mera saaraa roop,meri apni daryaaft hai
MaiN ab har mausam say sar ooNcha kar kay milti sakti hooN
Aik tanaawar pair hooN ab maiN
Aur apni zarkhaiz numoo kay saaray imkaanaat ko bhi pehchaan rahi hooN
Lekin meray aNdar ki yeh bahut puraani bail
Kabhi kabhi-- kab tez hawa ho
Kisi bahut mazboot shajar kay tan say liptanaa chahati hai

hamein hum raah chalnay ka hunar ata tu hay lekin

hamein hum raah chalnay ka hunar ata tu hay lekin


muhabbat mein bohat dushwar hota hay


badan sansoon ki hiddat say pighaltay hon


magar dill badgumani kay ghubar alood raston par nikal jaein


jahan par khuwahishein phir haath matli hon nidamat say


inhi bay simt lamhoon mein dilon par bhi yeh khul jae


muhabbat aur samjhotay hein kitna farq hota hay


wohin humraah chalnay ka hunar dam toord deta hay


**************

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!
Jaisy Mahtab Ko Bayant Samandar Chahy…….!
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Mein Utray……!
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Say Hat Kar Chahy…….!

Jaisy Pathar K Kalejay Say Kiran Phootti Hai………
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Say Hina Mangty Hein…
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti Hai…..
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein…..

Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga……..
Wusat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki Hai……..
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna……….!!!
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hai………!!!

Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Nay……..
Teri Palkon Pe Otarti Hue Subhon K Liye….
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Nay….

Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza….
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey….
Mein Ne Chaha K Meray Fun K Gulistan Ki Bahar….
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey….

Teh Toh Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal!!
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera…
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar…..
Meri Khahish K Jazeeron Mein Tabasum Tera…..

Toh Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hue Raton Ko Sehar Kar Na Saki….
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Toh Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki….

Tujh Ko Ehsas He Kab Hai K Kisi Dard Ka Dagh…
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hai….
Toh K Seemab Tabiyat Hai Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota Hai

Tu nay Us Morr Pe Torra Hai Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan………
Ab Ye Aalam Hai K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan……
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab…….!!!
Tere Hijran Ka Dehakta Huwa Mehshar Janan
Youhn Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya Hai……..
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan………

Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

Milo hum say

Milo hum say

K hum bichray hoey hein
Tabeer jiwan
Hamaray answoon mein aarzowon ki kasak wesi nahi ab kay
Dilon mein dar bhi pehlo badal kar aur ban betha
Hamari sham ab roay tu palkoon say judae ke jaga mayoosion ka gham tapakta hay
Hamara dill dil-e-veeran ho kar bhi kis kay dard ki khuwahish nahi karta

Milo hum say
Hamara haal bhi dekho
Muhabbat kay marahal jiss taraha say sar kiay hum nein
Laho ko bhi paseena aa gia aksar
Hamaray cheethray pagal hawa jesay urda lati thee basti say
Shab-e-heraan say poocho
Shab-e-veeran heart say hamein takti tu kehti
Mujtama ho kar yahan say laut aakhir kion nahi jatay

Milo hum say
Hamein tanhae kehti hay
Mujhay bhi sath he rakho
Hamein tanhae yeh kehti hay aur daman pakar kar
saath chal parti hay basti men
Wo jiss shab
Tum ne anay ka kaha lekin aye
Usii pal say sitaray raaat say bichay hoey hein
Aur kae jungle bhari barsaat say bichray hoay hein
Ab kahan ho tum
Milo hum say , milo hum say
Hum apni zaat say bichray hoay hein

Milo hum say
Hamaray dard say khelo
Hamein lachar rehnay do
Mery jaan tum sitaray tord lanay ki jahan bhi bat krtay ho
Hamaray haath rotay hein
Hamar dill bhi rota hay
Tumharay bhoolpan ki shaklein ya mushkilon ka bhoolpan
Aksar hamein bimar rakhta hay
Milo hum say hamari khaak rahoon mein uraao
Aur hamari gard say khelo
Zuban par na samajh baton kay ilzamat ki bochar kr do
Aur sakoot-e-zard say khelo
Galay lag kar hamari khuwahishoon ke barf kay asraat kheelo
Aur sansoon ki hawa-e-sard say khelo
Samandar paar karnay ka musamam khuwaaab dekhin
Aur phir taabeer say nazrein churain
Kesa lagta hay ?
Hum apnay sahilon par adh khilay jin bandbanoon say bandhay hein badbaan
Kab hein
Saleeboon ne bhala kab kashtiyaan uss par lagnay deein
Hamari raat hum say baat karti hay tu barsatein barasti hein
Hamari shaam tera naam leti hay tu kitnay kaam aa partay hein sar par
Aur hamari dopehar jinta safar kar lay kahin chaoon nahi milti
Hum esay he saaebaani kay

Milo hum say
Hamein dhondho
Hamein dhondho k aksar hum khud apnay jism men hotay hoey bhi door itni door
Hotay hein k hum ko laut anay men bhi khasa waqt lagta hay
Hum apni zaat men kafi muyassar ho kay bhi kafi nahi hotay
Hum apnay ziker men miltay hein phir bhi baat pori ho nahi pati
Hamein dhondho
Hum apni shaeri men zarra zarra qatra qatra bat chukay hein
Aur kisi kal ko tarstay hein
Hamara markzaa janay kahan taqseem kar bethi hay mehroomi
Hamara daira tanhaion nein toord dala hay
Hamein bay simtoon nein iss tarha say mord dala hay k ab koi
Taaeyan he nahi baqi
Hamar naqsh-e-pa tak khaak nein esay ulat mara hay jesay
Badnaseeb mehnatoon kay saath koi haath karti hay
Hamein dhondhon
Hmein chehra badalnay men muharat hay
Hum apnay dard ko' ehsaas ko' jazbay ke komalta ko
Apni narm khoni ko
Hum apnay apnay soz ko ankhon say zahar kion karein
Apni karahon ko zubaan par kiss tarha laiein
Hum apnay answoon ko apnay rukhsaron par akhir kion barasnay dein
Zaman to zamana hay
Hum apna aap akhir kion Karin iss kay hawalay
Aur kion kar sonp dein iss dil ko dill-o-jaan raakh kar denay ko
Sab kuch khaak kar denay ko
Akhir kion karein iss kay hawalay rooh bhi apni

Milo hum say
Hamaray shehr mein aao
Bohat aram hay , khushion ki khuwahish ,khoon roti hay
Bohat he amn hay , qatal sukoon mein hein , inhein pora tahaffaz hay

Milo hum say
Hamaray shehr ki galiyaan . hamaray dard say bojha wadedon ki tarha har bohat
Veraan pheli hay
Hara chouk aye din kisi ki laash par matam kay markaz hein
Hamaray shehr kay bazaar ik dojay ki jebein katnay ki
Tarbiat gahein banay maqsad mein poray hein
Hamaray ghar hamein heraan verani say taktay hein tu lagta hay
Hamary aur in kay darmiaan kuch wehshiaana se ajab ik ajnabiat hay
Hamaray shehra kay gulshan muhabbat karnay walon ke bajae aur logoon say bharay
Rehtay hein aksar he
Wahan mil beth kar ik dosray say piyar ki batein nahi mumkin
Bhat khauf ata hay
Waha peroon pay koyal ke jaga kawway hein
Ko ko ke jaga kain kain ke
Sadaein reh gae hein dil jalanay ko
Hamaray shehr ki eke k sara par maut chalti hay
Kae galian tu qadmoon ko gawara he nahi kartein
Dukanon par sabhi ashiya hamari arzowon par lapakti hein jhpat'ti hein
Tuallaq mein bharay bazaar be zaaari say agay barh nahi saktay
Hajom-e-bekaran betaab bhaga phir raha hay
Rastooon par bad shogooni par
Wasael kay masael men ghidray hum apnay sinay men kisi bhi dard kay sael
Say munkar hein

Milo hum say
Magar kuch dard say , takay hamar roshni roshan rahay
Warna andhera he andhera hay
Hamaray shehr mein aao
Tumhein tareekian sehnay ki adapt daal dein gay hum

Milo hum say
Hamein aizaaz hasil hay
Hum apnay zakhm shanoon par sajae
Shaan say phirtay hein basti men
Hamaray zakhm zinda hein
Kisi kay aib ke jhooti gawai par nahi mael
Muhabbat nain waktann fowaktann jiss tarha charkay lagae
Aur wafa nein khoon ro ro kar jo sab waday nibhae
Zakham ban ban kar
Hamari shurkhroe kay silay men parwarash patay rahay hein
Ab hum apni beqarari par bohat khush hein
Kasak sachi ho aur dill mein kahin koi seh kar na bethi ho
Tu lachari nahi aati
Hamaray zakhm taqat hein
Hamein tareek rastoon par diay ban ban kay aagay he bharhatay hein
Hamein aizaaz hasal hay
Hamaray zakhm sachay hein
Khud apnay ko mundmil honay nahi detay

Agr kabi Kitaab Likho


Agr kabi Kitaab Likho

Chahato'n ke Naam likhna

Rafaqato'n ke Naam likhna

Tumhai mujh se Dosti ki

Wo pehli pehli Bat likhna

Peyaam likhna wo Dosti key

Qabooliyat ke mukaam likhna

Wo Hijer Rato'n ki Bat likhna

Wo WasL Din ki mulakat likhna

Ikhtetam-e-kitab aye to soch lena

Yad rakhna..

Aur...

Apna, mera Naam likhna....!!!



*******************

Charagh-e-Shab Tha Ya Aftaab

Charagh-e-Shab Tha Ya Aftaab,
Na Dil Samajh Saka Na Main,
Wo Tabeer Thi ya Khwab,
Na Dil Samajh Saka Na Main,
Sub Say Anjaan,
Apni hi Dhun Main Khoya Khoya Sa,
Magar wo tha Khulli Kitaab,
Na Dil Samajh Saka Na Main,
Meri Talkhiyoun ko Sehna,
Mere Tanz Pe Muskurana,
Wo Shaksh Tha La-Jawab,
Na Dil Samajh Saka Na Main

Hijr ki musafat main

Hijr ki musafat main

Dil tumhare bin janaa'n
bar bar ghabra kay
zindagi k raaste se
door door ho jaaye

jaise koi deewana
wehshaton k gheray main
sheher k gali koochay
chor kar kisi ban main
dooriyon se takra kar
choor choor ho jaaye

Haan main nay sahay hain hijr ruto'n k azaab

Haan main nay sahay hain hijr ruto'n k azaab ..!!

kabhi baarishon k mausam mein
door tak chlana bheegtay rehna
tujhko yaad karna
aur hijr rut ka azab sehna

haan main nay sahay hain hijr ruto'n k azaab saray

kabhi thandi hawaon main
tann mann sulagana
tujhko yaad karna aur hijr ka azaab sehna

Haan Main nay sahay hain Hijr Ruto'n k Azaab Meet

Kabhi jism o jaan ki tishnagi
kabhi zeest k safar mein
teri mehroomi ka azaab

haan main nay sahay hain hijr ruto'n k azaab Meet

Tera Hijr Mera Naseeb Huwa
Aaj Tu Kis K Qareeb Huwa?

Kaash Tu Sahay Meri Tarhan Hijr Ruto'n K Azaab Meet

Tu Baarishon Mein Tanha Phiray Tera Jism Sulghay
Tu Jsko Chahay Tujhe Naa Milay
Teri Zeest Ka Humsafar Tujh Say Rooth Jaye
Uss Ka Hijr Tera Naseeb Ho
Tu Jiss K Bohat Kareeb Ho

Magar Aesa Na Ho Tujhe Koi Tere Jaesa Milay
Yeh Hijr K Azaab Tu Naa Seh Sakay Gi

Haan Main Nay Sahay Hain Hijr Ruto'n K Azaab

Maazi kay kharabay ki

Maazi Kay Kharabay Ki
************************

Maazi kay kharabay ki
mehraab shakista par
ek naam jo kunda hay
kia naam hay kis ka hay

Na saal na san is mein
na raat na din is mein
tasveer nahi koi
tehreer nahi koi
na teer ka naqsha hay
na paan ka patta hay
ahwaal musafir ka
pinhan hay na paida hay
kia janay kab koi.........kis dais say aaya ho
apnon say woh ghamdeeda......wehshat mein paraya ho
kis haal mein rehta ho.........kia bhais banaya ho
badal ho keh bijli ho..........woh dhoop keh saya ho
jogi ho keh banjara..........raja keh riyaya ho
jis roz say dil us nay........dunya say uthaya ho
kis kis say lagaya ho
aur dard hi paya ho
maazi kay kharabay ki
mehrab shakista par
is naqsh say kia matlab
is harf kay kia maani?
ye naam mita dalo
han......ajnabi INSHA ko
aawara o ruswa ko

Us nay meray haath mein bandha

Kangan Belay Ka
********************

Us nay meray haath mein bandha
Ujla kangan belay ka
Pehlay piyar say thami kalaai
Bad uskay holay holay pehnaya
Gehna phoolon ka
Phir jhuk kar haath ko choom lia!
Phool to aakhir phool hi thay
Murjha hi gayay
Bahon par woh lams abhi tak taza hay
(shakh sanobar par ek chand damakta hay)
Phool ka gehna
praim ka kangan
Piyar ka bandhan
Ab tak meri yaad kay haath say lipta hoa hay

Rooh bechain hay ek dil ki azyat kia hay

Rooh bechain hay ek dil ki azyat kia hay
dil hi shula hay to ye sooz e muhabbat kia hay
woh mujhay bhool hai iski shikayat kia hay
ranj to ye hay keh ro ro kay bhulaya ho ga

jhuk gai ho gi jawan saal umangon ki jabeen
mit gai hogi lalak doob gaya hoga yaqeen
chha gaya hoga dhuwan, ghoom gai hogi zameen
apnay pehlay hi gharoonay ko jo dhaya hoga

Us nay ghabra kay nazar lakh bachaai hogi
mit kay ek naqsh nay so shakl dikhaai hogi
mez say jab meri tasweer hataai hogi
har taraf mujh ko tarapta howa paya hoga

be mehel chhaird pe jazbat ubhar aay hon gay
gham e pasheman tabassum mein dhal aay hon gay
naam pe meray jab aansoo nikal aay hon gay
sar na kandhay say seheli kay uthaya hoga

Zulf zid kar kar kisi nay jo banaai hogi
roothay jalwon pe khizan aur bhi chhaai hogi
barq ashwon nay kai din na giraai hogi
rang chehray pe kai roz na aaya hoga

Abhi to mein jawan hon

Abhi To Mein Jawan Hon
***********************

Abhi to mein jawan hon

hawa bhi khush gawar hay, gulon pe bhi nikhar hay
tarannum hazar hay, bahar pur bahaar hay
kahan chala hay saqiya
idhat to laot idhar to aa
aray ye dekhta hay kia
utha suboo, suboo utha
suboo utha piyala bhar, piyala bhar kay day idhar
chaman ki samt kar nazar, saman to dekh be khabar
woh kali kali badliyn
ufq pe ho gain ayaan
woh aek hujoom e maikashan
hay soo e maikada rawaan
ye kia guman hay bad gumaan, samajh na mujh ko natawaan
khayal e zuhud abhi kahan

abhi to mein jawan hon

Na gham kashood o bast ka, buland ka na past ka
na bood ka na hast ka, na wada e alast ka
umeed aur yaas gum
hawas gum qayas gum
nazar say aas paas gum
huma, bajuz gilaas gum
na may mein kuch kami rahay, qadah say hamdami rahay
nishist ye jami rahay, yehi huma humi rahay
woh raag chhaird mutrubaa
tarab faza, alam ruba
asar sadaa e saaz ka
jigar mein aag day laga
har ek lub pe ho sadaa, na hath rok saqiya
pilayay ja pilayay ja
abhi to mein jawan hon

Chaand Suraj Aur Taaray...... Ajnabi


Chaand

Suraj

Aur Taaray...... Ajnabi

Ek musafir sab Nazaray Ajnabi

Mojza hai Gardash-e-Halaat ka

shehr apna

Log sarey.........Ajnabi

Ajnabiyat ka ta'aluk khoob hai

Ham Tumaray

Tum Hamaray........Ajnabi

Jaa'n ke Dushman

Hein hamarey Aashanaa

Aur Aashnaa

Sarey ke Sarey........Ajnabi

Zindagi ki talkhiyan

Hen ham-Nasheee'n

Phool

khushboo

aur...

Rang.........sarey Ajnabi

Wo Jisey

Ham ne kabi Pehchaan di

Aaj Wohi

Ham ko Pukarey.....Ajnabi.....!!!!


**********

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho
**********************

Ham ghoom chukay basti ban mein
ek aas ki phans liyay man mein
koi sajan ho, koi piyara ho
koi deepak ho, koi tara ho
jab jiwan raat andheri ho

Ek baar kaho tum meri ho

Jab sawan badal chhayay hon
jab phagan phool khilayay hon
jab chanda roop lutata ho
jab sooraj dhoop nahata ho
ya shaam nay basti gheri ho

Ek baar kahoo tum meri ho

Han dil ka daman phela hay
kiun gori ka dil mela hay
ham kab tak peet kay dhokay mein
tum kab tak door jharokay mein
kab deed say dil ko seeri ho

Ek baar kahoo tum meri ho

Kia jhagrda sood khasaray ka
ye kaaj nahi banjaray ka
sub sona ropa lay jayay
sub dunya, dunya lay jayay
tum aek mujhay botehray ho

Ek baar kaho tum meri ho

Ye Ajeeb Fasl e Firaaq Hay

Ye Ajeeb Fasl e Firaaq Hay
***********************

Ye ajeeb fasl e firaaq hay
keh na lab pe harf e talab koi
na udasion ka sabab koi
na hujoom e dard kay shaoq mein
koi zakhm ab kay hara hoa
na kaman badast adoo howay
na malamat saf dostan
pa ye dil kisi say khafa hoa
koi taar apnay libas ka
na hawa nay ham say talab kia

Sar rehguzar wafa bardhi
na dia jalanay ki aarzoo
be chara gham do jahan
na koi masih na charagar
na kisi khayal ki justajoo
na khalish kisi kay wisaal ki
na thakan reh mah o saal ki
na dimagh ranj rukh butan
na talash lashkar na sahan

Wohi aek haal hay zabt ka
wohi aek chal hay deher ki
wohi aek rang hay shaoq ka
wohi aek rasm hay sheher ki

Na nazar mein khaof hay raat ka
na fiza mein din ka hiras hay
pay arz haal sukhanwaran
wohi ham sukhan hay rafiq jaan
wohi ham sukhan jisay dil kahen
woh to yon bhi kab ka udaas hay

Dekh meri jaan keh gayay Bahoo-kaon dilin ki janay-hoooo

Dekh meri jaan keh gayay Bahoo-kaon dilin ki janay-hoooo
basti basti sehra sehra, lakhon karen dwanay--......hoooo

jogi bhi jo nagar mein maray maray phirtay hen
kaasa liyay bhabhoot ramayay sub ka dawaray phirtay hen

Shaaer bhi jo mithi bani bol kay man ko hartay hen
banjaray jo ounchay damon jee kay saoday kartay hen

In mein sachay moti bhi hen, in mein kankar patthar bhi
in mein uthlay pani bhihen, in mein gehray sagar bhi

Gori dekh kay aagay bardhna-sub ka jhoota sacha-hoooo
doobnay wali doob gai woh gharda tha jis ka kacha-hoooo

Log Kehtay Hen

Log Kehtay Hen
******************

Log kehtay hen keh dheeray dheeray
waqt har zakhm ko bhar deta hay

Tum bhi logon ki kahi baton mein aajati ho
aek lamhay kay liyay
muzhamil ho kay yehi sochti hogi shayed
meray bachpan ka woh sathi, woh pagal lardka
woh bhi ab bhool haya ho ga mujhay
log kehtay hen keh dheeray dheeray
waqt har zakhm ko bhar deta hay

Be sabab apni jafaon pe pashimaan na ho
log kehtay hen..............magar
aesa hota nahi

Sochtay sochtay phir mujh ko khayal aata hay

Sochtay sochtay phir mujh ko khayal aata hay
too meray ranj o masa,eb ka madawa to na thi
rang afshan thi meray dil kay khalaon mein magar
aek aurat thi ilaj e gham o dunya to na thi

Meray idraak kay nasoor to ristay rehtay
meri hokar bhi woh meray liyay kia kar leti
hasrat o yaas kay ghambhir andheray mein bhala
aek nazuk si kiran saath kahan tak deti

Us ko rehna tha zar o saim kay aewanon mein
reh bhi jati woh meray saath to rehti kab tak
aek maghroor sahokaar ki piyari betii
bhook aur piyas ki takleef ko sehti kab tak

Aek shaaer ki tamannaon ko dhoka dekar
us nay tordi hay agar piyar bharay geet ki lay
us par afsos hay kiun, us pe taajjub kaisa
ye muhabbat bhi to ehsaas ka ek dhoka hay

Phir bhi anjanay mein jab sheher ki rahon mein kabhi
dekh leta hon doshiza jamalon kay hujoom
rooh par phelnay lagta hay udasi ka ghubaar
zehen mein ringnay lagtay hen khayalon kay hujoom

Sochtay sochtay phir mujh ko khayal aata hay
woh meray ranj o masa,eb ka madawa to na thi
rang afshan thi meray dil kay khayalon mein magar
aek aurat thi ilaj e gham o dunya to na thi

Har ek daor mein ham, har zamanay mein ham

Har ek daor mein ham, har zamanay mein ham
zeher pitay rahay, geet gatay rahay
jaan detay rahay zindagi kay liyay
sa,at e wasl ki har khushi kay liyay
deen o dunya ki daolat lutatay rahay
faqr o faqa ka tosha sanbhalay rahay
jo bhi rasta chuna us par chaltay rahay
maal walay hiqarat say taktay rahay
ta,an kartay rahay, hath maltay rahay
han nay un par kia harf haq sang zan
jin ki haibat say dunya larazti rahi
jin pe aansoo bahanay ko koi na tha
apnii aankh un kay gham me bikharti rahi
sub say oujhal howay hukm e hakim pe ham
qaid khanay sahay, tazyanay sahay
log suntay rahay saaz e dil ki sadaa
apnay naghmay salakhon say chhantay rahay
khoonchkan deher ka khoonchkan aaiyna
dukh bhari khalq ka dukh bhara dil hen ham
tabe shaair hay jin ka adl o sitam
munsif khair o shar, haq o batil hen ham

Chalo chhordo

Chalo Chordo
**************

Chalo chhordo !
muhabbat jhoot hay
ahd e wafa ek shughal hay bekaar logon ka
talab, sookhay howay patton ka be ronaq jazirah hay
khalish, demak zada aoraaq par bosida satron ka zakhirah hay
khumaar e wasl, tapti dhoop kay sinay par urdtay baadlon ki raaigan bakhshish
ghubaar e hijr, sehra me surabon say atay maosam ka khumyaza

chalo chhordo !

Keh ab tak main andheron ki dhmak me saans ki zarbon pe
chahat ki bina rakh kar safar karta rahon ga
mujhay ehsaas hi kab tha
keh tum bhi maosmon kay saath apnay perhan kay
rang badlo gi !

Chalo chhordo !

Woh saray khwab kachchi bhurbhuri mitti kay be qimat gharoonday thay
woh saray zaaiqay meri zuban par zakhm ban kar jam gayay hon gay
tumhari ungliyon ki narm poren patthron par naam likhti thinmera lekin
tumhari ungliyan to aadatan ye jurm karti thin

Chalo chhordo !

Mera hona na hona aek barabar hay
tum apnay khaal o khid ko aaynay me phir nikharnay do
tum apni aankh ki basti me phir say ek naya maosam utarnay do
mray khwabon ko marnay do
nai tasveer dekho
phir naya maktoob likho
phiy nayay maosam nayay lafzon say apna silsila jordo
meray mazi ki chahat raaigan samjho
meri yadon say kachchay rabtay tordo
chalo chhordo...!!
Muhabbat jhoot hay
ahd e wafa aek shughal hay bekaar logon ka

Men dharti meli meli si

Men dharti meli meli si..

Too ujla ujla prem gagan

Too chanchal shor hawaoon ka..

Men kankar koi paon ka..

Too sat suroon ka roop koi ..

Men tapti jalti dhoop koi..

Too khushboo nirmal kalion ki..

Men dhool udas in galion ki..

Too subha ka pegham koi..

Men bojhal dhalti sham koi..

Too jangle ka more koi

Men shehroon ka shor koi

Too chand nagar ki hoor koi

men aas men betha door koi..

men dharti meli meli si.....

too ujla ujla prem gagan..

KIA TERA MERA JOR SAJAN!!!!

Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi

Aaj bhi tapti dhoop ka sehra
teray naram labon ki shabnam
teri bikhri zulf kay
saay say meroom raha

Aaj bhi patthar hijr ka lamha
sadyon say bekhoab ruton ki
aankhon ka maqsoom raha

Aaj bhi apnaywasl ka tara
raakh urdati shaokh shafaq ki
manzil say maadoom raha

Aaj bhi sheher mein pagal dil ko
teri deed ki aas rahi
muddat ki gum sum tanhaai
aaj bhi meray paas rahi
aaj bhi shaam udaas rahi !!!

aaj bohat dino'n baad suni hai barish ki awaz

aaj bohat dino'n baad suni hai barish ki awaz
aaj bohat dino'n baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aaye hai
aaj bohat dino'n baad achanak aankh younhi bhar aaye hai
aankh or manzar ki wusat main charon janib barish hai
aur barish main door kahin ek ghar hai jis ki
aik aik eent par teray meray "khwab" likhay hain
or is ghar ko janay wali kuch galiyan hain
jis main hum dono'n kay saaye tanha tanha bheeg rahay hain
darwazay par qufl para hai or dareechay soonay hain
deewaron pay jammi hoye kaaii main chup kar
mousam hum ko dekh rahay hain
kitnay badal hum dono'n ki aankh say ojhal
baras baras kar guzar chukay hain
aik kammi si aik nammi si
charon janib phail rahi hai
kai zamanay aik hi pal main
baham mil kar bheeg rahay hain
andar yaadain sookh rahi hain
bahar manzar bheeg rahay hain...

Tumhen bhi to khabar ho gi

Tumhen bhi to khabar ho gi...

ke darya pas behty hoon

to pani acha lagta hy.....


kinaroon sy jurri matti sy poocho rog chahat ka

ke is pani ki chahat men

kinaroon sy okhar ker

ajnabi desoon men jana kitna mushkil hy

kinara phir naheen milta....


tumhen bas itna likhna hy...

yahan jo bhi bichar jay

dobara phir naheen milta!!!

Hum Apne Zabt Mein Kamil To Hai Lekin

Suno,
Use Keh Do,
Hum Apne Zabt Mein Kamil To Hai Lekin,
WaQt Ka Samundar Bemeher Bahut Hai,
Wo Apni SaffaQ Maujon Se Kisiko Saf Bach Nahi Nikalne Deta Hai,
Kabhi Ret Hamare Kadmon Se Khich Leta Hai,
Kabhi Bhanwar Ki Gehrayi Mein Khich Leta Hai,
So Hum Bhi Darte Hai,
Kahin Koi Alood Gerdoon,
Na Daale Khak Aankhon Mein,
Kahin Koi Laher,
Na Lipte Paanv Se Khich Daale Bhanwar Mein,
Jao Is Intezar Ko Thoda Mukhtasir Kar Do,
Suno Use Keh Do,
Hum Apne Zabt Mein Kamil To Hai Lekin...

Raaste Be-Naseebon Ki Tarah Hote Hai

Raaste Be-Naseebon Ki Tarah Hote Hai,
Mumkin Hai Tumhe Bhatka Dein,
Meri Tarah
Man Bhi To Bhatka Hua Hoon,
Ye Shaayad Tha,
Is "HOON" Aur "THA" Ke Darmiyan Abhi Ek Gumaan BaaQi Hai,
Tumhare Dil Ke Kisi Kone Mein Oongata Hua Guman,
Jisse Aage Kitne Naseeb Phootte Hai,

Ek Khaur Mere Dil Ke Kisi Kone Mein Bhi Hai,
Apne Raaston Ka Khauf,
Ya Shayad Mere Aur
Tumhare Naseebon Ka Khauf,
Ya "YA" Aur "SHAYAD" Bhi Ajeeb Lafz Hai,
Hamare Raaston Ki Tarah...

Apni Tanhaiyon Se Puchha Hai

Apni Tanhaiyon Se Puchha Hai,
Shab-E-Hijraan Se Baat Kar Li Hai,
Mere Andar Ki Sehmi Khamoshi,
Mera Bahaar Ka Hansta Chehra Bhi,
Aat Ke Sunsanate Lamhe Bhi,
Din Ka Dasta Hua Ujala Bhi,
Zabt Ka Tootta Ye Bandhan Hai,
Sabr Ka Chhutta Ye Daman Bhi,
Uski Yaadein Bhi Kuch Isharon Mein,
Mujhko Majboor Kar Rahe Hai Sab,
Aao Sab Uske Paas Chalte Hai,
Usse Kehte Hai Kuch Dawa Kar Do,
Apni Fitrat Ko Chhod Kar Ek Pal,
Koi Waada To Tum Wafa Kar Do,
Inki Baaton Se Kuch Nahi Hoga,
Aakhri Faisla To Dilka Hai,
Dil Ye Kehta Hai Uske Milne Se,
Apni Tanhaiyan Hi Achhi Hai,
Ab Akele Mein Lag Gaya Hai Dil,
Usse Milne Humein Nahi Jana,
Uski Baatein Udas Kar Dengi...

Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Kisi Sunsaan Sapne Mein Chhupi Khwahish Ki Hidaat Mein,
Kisi Masroofiyat Ke Mod Par,
Tanhayi Ke Sehraon Mein,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Kisi Bichhde Hue Ki Chashm-E-Purnam Ke Nazare Par,
Kisi Beete Hue Din Ki Ot Mein,
Ya Phir Tumhare ZiQr Mein Guzri Hui Shab Ke Ishare Par,
Kisi Basti Ki BaronaQ Sadak Par,
Aur Kisi Dariya Kisi Veeran Jungle Ke Kinare Par,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Kabhi Sunsaan Raaston Mein,
Suhani Shaam Ho Koi,
Kahin Barish Baras Jaye,
Kahin Sehra Taras Jaye,
Kahin Kaali Ghata Utre,
Kahin Baad-E-Saba Thehre,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...

Apne Hathon Ki Pouro Ki Hiddat

Apne Hathon Ki Pouro Ki Hiddat
Jinhone Mere Hathon Ko Chhua Tha,
To Jaise Dafatan
Dil-E-Sehra Mein Barish-E-Wafa Ka Chal Pada Tha Silsila Sa,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Apni Nazrein Jo Takra Gayi Thi Achanak,
To Ye Gumaan Sa Hua Tha,
WaQt Jaise Tham Sa Gaya Hai,
Labon Se Ada Na Ho Saki Thi,
Kitni Ankahi Baatein Phir Bhi,
Aankone Bina Ruke Keh Thi Dali,
Phir Jhuk Bhi To Gaye The Sharma Ke,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Apni Khuli Zulfon Ko Yunhi Hawa Mein Lehrate,
Ke Dil Ab Tak Is Manzar Se Bhara Nahi Hai,
Hawayein Jo In Zulfon Mein Se Hote Hue Mujh Tak Pahuchti Thi,
To YaQeen Jaano Ke Main,
Bagh-E-Bhayshat Ki Pur Muatar Hawaon Mein Rach Bas Jata Tha,
Abhi Kuch Der Aru Rehne Do,
Wo Chehre Ki Muskaan,
Apne Chehre Par Bante Bigadte Zawiyah,
Jinki Masoomiyat Par
Main Hans Padta Tha,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Wo Saare Kisse,
Wo Saari Baatein,
Wo Saari Yaadein,
Wo Saare Manzar,
Dil Ab Tak Muztarib Hai,
Fariyad Yehi Kar Raha Hai,
Wo Sara WaQt Jo Ek Pla Mein Hai Beeta,
Beet Gaya Hai,
So Use Guzar Bhi Jana Tha,
Magar Wo Kash Beetta Theher Theher Ke,
Kayi Sadiyon Ka Safar Hota Inke Darmiyan,
Zindagi Kab Shuru Ho Kar Khatam Bhi Ho Jati,
Pata Bhi Na Chalta,
So Apni Dilki Yaadonki,
Tasveer Un Haseen Mulakaton Ki,
Yehi Kehti Hai,
Yehi Kehti Rahegi,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do...

Ajab Kahani Thi Shayad Meri Hee Zabani Thi

Ajab Kahani Thi Shayad Meri Hee Zabani Thi ..
Ik Larki Woh Anjani Thi .. Beygani Thi An Chui Si
Woh Chui Mui Si Janey Kahan Kasey Kab Takra Gaii ...
Mujh Ko Bha Gaii .. Phir Kuch Aisa Hua Kai Baatein Huin
Choti Woh Lambi Raatein Huein
Woh Aur Main Aksar Dono Ghanton Ghanton Bethey Yunhi
Baatein Kya Kertey Thaey
Janey Kab Kyun Ahsas Hua ...
Mujh Ko Usi Ka Pass Hua
Woh Us Din Shayad Na Ayi Thi ..
Jaan Meri P'aey Ban Ayi Thii ...
Tarpa Tarsa Behka Main ..
Pershan Hua Saans Lena Mujh Per Muhal Hua
Ahsas Hua Mujh Ko Us Din Tab Ho Gaii Mujh Ko Mohabbat Ab

Dhoonda Main Nai Intazar Kya
Raat Woh Sari Din Bhi Apna Baeykar Kya ..
Baeychan Hua Nadan Hua ..
Phir Sham Hui Woh Wapis Ayi
Phir Main Nai Us Ko Batlaya
Jatlaya Us Ko Behlaya
Kaha Us Ko
Suno Tum Sai Mohabbat ..
Bohat Hai Mujh Ko Bohat Hai
Bas Mujh Ko Tum Sai Mohabbat Hai ...
Ghabrai Thi Woh Sharmai Thi
Kahin Door Ja Ker Simti Thi
Phir Ghabrai Woh ....
Pershan Hui ...
Kuch Daer Ko Woh Chup Ho Ker
Phir Mujh Sai Woh Mukhatib Hui

Na Mil Paon Gi Toh Kya Kero Gai ?
Socha Main Nai Toh Jaan Nikli ....
Baey Inteha Nikli Baarha Nikli ...
Chup Raha Nahi Bola Kuch
Phir Yun Hua Kai Justuju Us Ko Hui
Khamosh Si Woh Bholi Bhali Si
Ik Din Mujh Sai Kehney Lagi
Yun Tum Sai Baatein Kerti Hoon
Baeykar Yeh Raatei Kerti Hoon
Tum Sai Kehti Hoon Main Na Main Yun
Dil Main Rekhti Hoon Haan Main Yun
Kai Mohabbat Tum Sai Kerti Hoon
Par Junoon Tumharey Sai Derti Hoon ...

Yun Laga Mujh Ko Tab
Seerab Hua Yeh Sehra Ab
Main Utha Khushi Sai Naach Gya
Dil Mera Zor Sai Dhadka Tab...
Poocha Phir Yun Shararat Sai Main Nai Jab
Kaho Kyun Leti Ho Imtehan Ab ?

Woh Hasti Muskurati Sharmati Ba'l Khati
Uthi Phir Chal Di Par Jatay Jatay Mujh Ko
Keh Gaii Ik Anjan Baat
Boli ....!!!
Meri Majboori
Kabhi Ho Gi Na Yeh Aas Poori...
Main Tha Junoon Main Andha Pagal
Majnu Bana Main Ranjha Ghayal
Jawab Deya Usey Hosla Deya
Phir Din Raat Main Nai Mehka Deya
Phir Wasee Hee Hotein Baatein Thaein
Khamosh Si Lambi Raatein Thaein
Ham Dono Thaey Bas Ham Dono
Aur Hamari Mohabbat Ki Baatein Thaein

Phir Yun Hua Kai Us Ka Jana Hua ...
Ik Khiley Phool Ka Murjhana Hua
Meri Zindagi Gaii Meri Qismat Gaii
Mera Junoon Meri Wehshat Gaii

Khali Haath Kashkoal Liye
Main Dar Dar Talash Main Us Ki Bhatka ..
Dhoonda Bohat Par Mili Nahi Woh
Khali Paet Nagey Paon
Tap'ti Raet
Pairon Main Phir Ch'aley Aye ..
Jeena Phir Dushwar Hua
Mujh Ko Us Din Us Ka Deedar Hua
Main Phatey Puraney Halon Main
Paon Main Parey Ch'alon Main
Lambi Dari Maeley Kaprey
Ukhri Saansien Par Chamki Ankhein

Dekha Main Nai Us Ko Jab
Pass Gya Gir Gir Jab ..
Poocha Us Ko Janti Ho ?
Kya Tum Mujh Ko Pehchanti Ho ?
Woh Anjani Si Deewani Si
Bhooli Si Kisi Pari Si Maysoomiat Sai
Mujh Ko Kehti Hai
Aey Jogi Tu Toh Adh Mara Sa
Mujh Ko Kaisey Janta Hai ?
Kasey Tu Pechanta Hai ?
Main Na Janoon Kaun Hai Tu
Tha'tka Main Phir Larkharaya
Haath Main Us Ka Anchal Aya
Gir Para Phir Tarap Kai Main

Ik Nazar Jo Us Ko Dekha Tab ...
Anchal Us Nai Jhatkaya Daman Apna Bachaya ..
Ja Rahee Thi Thamey Kisi Ka Haath
Chor Ker Mera Sang Or Saath

Saans At'ki Dhadakna Band Hua
Palkein Moondhein Jaan Nikli Thi
Lash Ko Meri Phir Uthaya Jab
Na Qafan Na Ghusal Bin Kye Yeh Sab
Dafna Aye Mujh Ko Jogi Char
Shayad Kai They Woh Merey Yaar ...
Qabar Meri Bhi Kachi Thi ...
Meri Mohabbat Bin Qafan Hui
Bin Ghusal Hee Woh Bhi Dafan Hui
Woh Kahani Phir Yun Khatam Hui ..!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Yeh lahu Jissay meray ShehroN kay

Yeh lahu
Jissay meray
ShehroN kay
Saaray raasty
gulgooN haiN
Aur har pairhun ka ruNg unnabi hai
Kal kay mausamoN
Aur aanay waalay
SoorajoN
Ka zamzama-gar hai
Chalo tumnay to
Kali surkhiaN
Miqraaz kar daaliN
Sukhan nakhcheer kar daalay
Magar ab in hawaaoN ko bhi roko
Jo tumharay maqtaloN ki laaliaN
Aur taza khooN ki khushbuaiN
Aur unki awaazaiN liyay
GalioN say
BazaroN say
ShahraahoN say ho kar
Har taraf
Qaraya-b-qaraya
Phailti jaati haiN
NaadaaoN
HawaaiN naamwar baunti haiN
Jab qaasid kabootar qaid hotay haiN

yeh kaisa khayl hay taqdeer ki baynaam bazi ka

yeh kaisa khayl hay taqdeer ki baynaam bazi ka
keh jo haaray, so haaray haiN
magar jo jeet jaatay haiN
unhay bhi ik naee uljhan ki daldal ghayr laiti hay
keh ikk mushkil kay baad ikk aur mushkil ghayr laiti hay
samajhnay kay liyay aaeyn,
chalaiN ham farz kartay haiN
kisi lamhe kisi ik shakhs ko paana hamari zindagi say bhi ziyada besh-qeemat tha
ham uss ki aarzu mai saari dunya bhool baithay thay
bas ussi ka naam laitay thay, ussi ko yaad kartay thay
ussi ki dhun mai jeetay thay ussi kay gham mai martay thay
to phir kuch yuN huwa ikk roz uss ko paa liya ham nay
ussay rangoN ki doli mai bitha kar ghar mai lay aaey
tassavur ki har ik khusbu gul-e-manzar mai lay aaey
kahani aagay chalti hay
to hota iss tarah hay - zindagi kay kaar-khanay mai
dinoN kay aanay jaanay mai
jahaN kay an-ginat kaamoN ka chakkar chalnay lagta hay
badan thakta hay
aankhain dayr tak baydaar rehnay say sulagti haiN
zubaan ik taajiraana aur musalsal jhoot
ki takraar say uktaanay lagti hay
magar majbur hoti hay
keh dunya ka dabao uss ko ruknay hi nahi daita
koi bay-kaar sa qissa woh phir dohraanay lagti hay
thakan aur neend ki milti haddoN mai, sard bistar par
sehar say raat tak ki bay-nateeja guftugu
yaad aanay lagti hay
to uss lamhe
woh umroN ki ryaazat ka samar, woh gohar-e-yakta
ussi shiknoN bharay bistar kay ik hissay mai hota hay
magar mehsoos hota hay
keh jaisay woh hazaroN meel ki dori pe rehta hay
issi doori kay sehra mai kaee raataiN bikharti haiN
kaee din faut hotay hain
to phir ik din
kisi baynaam say ehsaas ki aahaT
hamaray hast ki khaali gali mai goonjti hay
aur hamay baydaar karti hay, bataati hay
keh ham jis ghar mai rehtay haiN
wahan kuch khoobsurat khuwaab bhi abaad hotay thay
chalaiN ham farz kartay haiN
yeh sab kuch ik kahani hay,
magar kitni purani hay...!!


!!! ***** !!!

khush-gawaar mausam meiN

khush-gawaar mausam meiN,
an-ginat tamashaai
apni apni TeemoN ko,
daad deney aateiN haiN
apney- apney pyaaroN ka,
hauslaa baRhateiN haiN.

maiN alag- alag sabsey,
barhweiN khilaRhi ko
hooT karta rahta hooN.
barhwaaN khilaRhi bhi,
kya ajab khilaRhi hai?
khel hota rahta hai,
shor machta rahta hai
daad paRhti rahti hai
aur woH alag sabsey,
intizaar karta hai.
aik aisi sa'at ka,
aik aisey lamhey ka,
jismey saneha ho jaaye.
phir woH khelney nikley,
taaliyoN key jhurmuT meiN,
aik nara-e-tahseen
usskey naam par ho jaaye.
sab khilaRhiyoN kay saath,
woH bhi moa'tbar ho jaaye.

par yeH kam hi hota hai,
phir bhi log kahtey haiN,
khel sey khilaRhi ka,
umr bhar ka rishta hai.
umr bhar ka yeH rishta,
chhooT bhi to sakta hai
aakhri whistle kay saath,
Doob jaaney wala dil
TooT bhi to sakta hai.

Tum bhi ' iftikhar aarif',
BarhweiN khilaRhi ho.
Intizaar kartey ho,
Aik aisey lamhey ka,
Aik aisi sa'at ka,
Jismey haadsa ho jaaye,
Jismey saneha ho jaaye.
Tum bhi 'faysal
Tum bhi Doob jaaogey.
Tum bhi TooT jaaogey...!!!

Mere Jism-o JaaN Ke Her Eik Rishtay Se Muat'bar

Mere Jism-o JaaN Ke Her Eik Rishtay Se Muat'bar,
Mere Humsafar
Tujhay Yaad HeiN! Tujhay Yaad HeiN!
Wo Ju QurbatooN Ke Saroor MeiN
Teri Aarzoo Ke Hassaar MeiN
Meri KhwahishooN Ke Wafoor MeiN
Kai Zaaiqay Thay Ghulay Hovay
Dar-e GulistaaN Se Bahaar Tak
Wo Ju Raastay Thay Khulay Hovay!
Sar-e Loh-e JaaN,
Kisi Ajnabi Si Zabaan Ke
Wo Ju Khush'numma Se Haroof Thay!
Wo Ju Sarkhushi Ka Ghubaar Sa Tha Chaar Soo
JahaN Ek Doojay Ke Ru'Baru
HummeiN Apni Rooh'ooN MeiN Phailthi Kisi Nagh'maggi Ki Khabbar Mili
Kisi Roshni Ki Nazar Milli
HummeiN Roshni Ki Nazar Milli Tou Ju Raiza Raiza Se Ux Thay
Wo BeHm Hovay
Wo BeHm Hovay Tou Pata Challa
Ke Ju Aag Si Hei Shar'rar FishaaN Meri khaak MeiN
Ussi Aag Ka
Koi Un'bhujha Sa Nishaan Hei, Teri Khaak MeiN!
Essi Khaak'daaN MeiN Wo Khwaab Hei
Jissay Shakal Dene Ke Waastay
Yea Ju Shash'juhaat Ka Khel Hei, yea RavaaN Hova
Esi Roshni Se MakaaN Banna, Esi Roshni Se ZamaaN Hova
Yea Jo Her GumaaN kA Yaqeen Hei!
Wo Ju Her YaqeeN Ka Gumaan Tha !
Essi DastaaN Ka Byaan Tha!!!




Kisi Dhyaan Ke, Kisi Taaq Per, Hei Dhara Hova
Wo Jo Eik Rishta-e Dard tha
Mere Naam Ka Tere Naam Se,
Teri Subh Ka Meri Shaam Se,
Sar-e Rah'guzzar Hei PaRa Hova Wohi Khwaab-e JaaN
Jissay Apni AankhooN Se Dekh Lene Ke Waastay
Kai Laakh TaarooN Ki SeeRiyooN Se Uttar Ke Aati Thi KehkashaaN,
Sar-e AasmaaN
Kis Abbr Paaray Ki OoT Se
Ussay Chaand Takta Tha Raat Bhur

Mere Hamsafar
Ussi Rakht-e Gham Ko SamayT'tay
Ussi Khwaab-e JaaN Ko SaNbhaaltay
Mere Raastay, Kai RaastooN MeiN Ulajh gaye
Wo Chiraagh Jo Mere saath Saath Thay, Bujh Gaye
Wo Ju ManzileiN
Kisi aur Manzil-e Bay'nishaaN Ke Ghubaar-e Rah MeiN Kho GayeiN
(Kai Was'wasooN Ke Fishaar MeiN shabb-e Intazaar Si Ho GayeiN)
Wo Tanaab-e Dil Ju UkhaR Gayee
Wo Khyaam-e JaaN Ju UjjaR Gaye
Wo Safeer Thay, Ussi Daastaan-e Hayaat ke
Ju Warq Warq Thi Bharri Hoi
Mere Shoq Se Tere Roop Se
KahiN ChhaaooN Se, KahiN Dhoop Se




Mere Hamsafar,
Tujhay Kiya Khabbar!
Yea Jo Waqt Hei Kisi Dhoop ChhaooN Ke Khail sa
issay Dekhtay, issay Jheeltay
Meri Aankh Gard Se uTT Gai
Mere Khwaab Rait MeiN Kho Gaye
Mere Haath Barf Se Ho Gaye

Mere Be'Khabbar, Tere Naam Per

Wo Jo Phool Khiltay Thay HooNt Per
Wo Jo Deep Jaltay Thay Baam Per
Wo NahiN Rahe
Wo NahiN Rahe Ke Ju Eik Rabt Tha DarmiyaaN, Wo Bikhar Gaya
Wo Hava Challi
Kisi Shaam Aisi Hava Chali
Ke Ju Barg Thay Sar-e Shaakh-e JaaN, Wo Girra Diye
Wo Jo Harf Darj Thay Rait Per, Wo uRRa Diye
Wo Ju RaastooN Ka Yaqeen Thay
Wo Ju ManzilooN Ke Ameen Thay
Wo Nishaan-e Pa Bi MiTTa Diye!

Mere Hamsafar,

Hei Wohi Safar
Maggar Eik MoR Ke Fark Se
Tere Haath Se Mere Haath Tak
Wo Ju Haath Bhur Ka Tha Faasla
Kai MausamooN MeiN Badal Gaya
Ussay Naaptay, Ussay KaaT'tay
Mera Saara Waqt Nikal Gaya

Tu Mere Safar ka Shareek Hei
MeiN Tere Safar Ka Shareek HooN
Pe Ju DarmiyaaN Se Nikal Gaya
Ussi Faaslay Ke Shummaar MeiN
Ussi Be'yakeeN Se Ghubaar MeiN
Ussi Rah'guzzar Ke Hassaar MeiN

Tera Raasta Koi Aur Hei
Mera Raasta Koi Aur Hei


********************

Door Jo Aaj Hain

Door Jo Aaj Hain
Yaad Ate To Hain
Khuab Adhoray Shai
Khuab Sahary To Hain
Aaj Bhi Meri Rahain Rokti Hain
Yadain Teri Daman Khanchty Hain

Bhool Chukay Hain Jo Humain
Yaad Ate To Hain
Sadyun Ke Fasle Aaj Hain Darmian
Hojain Mager Jitni Bhi Doorian
Aap Jahan Bhi Rahain
Aap Humary To Hain
Khuab Adhorai Shai
Khuab Sahary To Hain
Jany Phir Kab Milain Tere Mere Rastay
Aas Toty Nahe Yaad Itna Rahay
Raat Dhalni To Hai
Aane Ujalay To Hain

Ye zard mousam ke khushk pattay

Ye zard mousam ke khushk pattay
Hawa jinhain le gaii urra ke
Agar kabhi in ko dekh pao
To soch lena
Ke in main her berg ke nimoo main
Ziyan gaya arq shaakh-e-gul ka
Kabhi ye sarsabz konplain thi
Kabhi ye shaadab bhi rahi hain
Khulay huay hont ki tarah or shagufta bohat dino tak
Ye sabz pattay
Hawa ke railay main be-basi se tarap chukay hain
Magar ye ab khushk ho rahey hain
Magar ye ab khushk ho chukay hain
Agar kabhi iss taraf se guzro
To dekh lena
Barhana shaakhain hawa ke dil main garrii huee hain
Ye ab tumharey liye nahin hain

mere hathon mein ub qalam day do

mere hathon mein ub qalam day do

khudara mujh say yeh ranj-o-alam lay lo

in hathon say dhoop kee jalan lay lo

daikho naa girnay do mujhay youn keechar mein

mujhay bhee kuch ja-o-hasham day do

kiya hua agar kuch kamzor hoon tum say

hoon to tum saa magar door hoon tum say

hamaray dermian ana kee deewar kharee hei

aaj iss ana kee hud kee jaan lay lo

mere hathon mein ub qalam day do

kabhee naa nikalnay walee ahon ko suno

in aansoo peetee ankhon ko takko

kiya tum ko ranj nahin nazar ata

jo raat ko sonay naa day

woh dard nahin nazar ata

mere yeh sub dard mujh say lay lo

mere hathon mein ub qalam day do

daikho phir mein kaghaz to naa chunoon gaa

baarish mein darakht talay to naa chuppoon gaa

dhoop mein nangay sir naa chaloon gaa

ho sakta hei mere paaoon bhee saaf rahain

mein anay walay din say to naa deroon gaa

agar zulm hua mujh per to keh to sakoon gaa

mujh ko bhee ik zuban day do

mere hathon mein ub qalam day do

Zindagi aur Maut

Zindagi
Zindagi socho aur musibat ka samandar hai.
Insaan zindagi ke aadhe gam galat ummide bandh kar khud kharidta hai.
Zindagi aisa Pendolam hai jo gamo aur khushiyo ke bich jhulta hai.
Mohabbat ke bagair bekar hai Zindagi aur Bewajeh hai.
Jab tak Zindagi baaki hai Mout se ladte raho, aur jab Maut aaye to Zindagi se izzazat mang lo.
Zindagi sirf jine ka naam nahi, zindagi naam hai mohabbat ka, ibaadat ka aur insaniyat ki khidmat karne ka.

Maut
Maut aman aur sukun ka samndar hai.
Maut saare gamo ka ilaaj hai.
Maut itni taklif deh nahi hoti jitni Zindagi.
Maut ko hamesha yaad rakho magar uski aarzo na karo.
Buzdil insaan Maut aane se pehele kai baar marta hai.
Mayusi se badkar duniya mai koi chij buri nahi hai, mayusi Maut ka dusra naam hai.

Bohat dino ki baat thi

Bohat dino ki baat thi

shabab per bahar thi

fiza bhi khushgawar thi

na jaane kioun machal para

main apne ghar se chal para

kisi ne mujh ko rok ker

bari aada se tok ker

kaha ke laut ayyee

meri qasam na jayyee

meri qasam na jayyee

magar mujhe khabar na thi

mahaul per nazar na thi

na janey kioun machal para

main apney ghar se chal para

phir shehar se main aa gaya

khayal tha ke paa gaya

usey jo mujh se durr thi

magar meri zaroor thi

phir ik haseen shaam ko

main chal para salam ko

gali ka rang dekh ker

naye tarang dekh ker

mujhe bari khushi hui

mujhe bari khushi hui

main kuch isi khushi main tha

kisi ne bahir jhank ker kaha

paraye ghar se jayyee

meri qasam na ayyee

meri qasam na ayyee

wohi haseen shaam hai

bahar jis ka naam hai

chala hoon ghar ko chor ker

na janey jaoon ga kidhar

koi nahin jo rok ker

koi nahin jo tok ker

kahay ke laut ayyee

meri qasam na jayyee

meri qasam na jayyee

Jab Joban Tera Dhal Jaeye

Jab Joban Tera Dhal Jaeye

Jab Pyar Ki Umer Niakl Jaye

Jab Chor De Tujh Ko Husan Tera

Jab Chehra Pur Ho Jhurion Se

Jab Zulf K Kham Na Baqi Hun

Jab Rangat Na ho Gaalon Mein

Jab Chandni Utare Baalon Mein

Jab Aankh Ki Masti Toot Chuke

Jab Hont Bhi Surkhi Kho Jaein

Jab Chor Dein Tujh Ko Sub Sathi

Jab Koi Na Tujh Ko Apnaye

Tab...!!!

Mere Pass Chale Aana

BAsti Ki Sooni Galiyon Mein

Ek Betha Ho Ga Deewana

Jo Pyar Ka Paras Pathar Hai

Jo Tujh Ko Sona Ker De ga....

Tere Joban Ko Wo Kia Jane???

Teri Umer Se Uska Kia Matlab???

Tere Jism Se Uska Kia Rishta???

Jisay Kehte Ho Tum Harjayi

Hai Tere Naam Ka Shaidai..

Gard mei'n aata hooa insaan

Gard mei'n aata hooa insaan
kagaz par kitni hi tasveer'n bana dali
magar sukoon
phir bhi
na mila
har baar sochta raha
kuch aur kuch ar
aab wo boorha ho chuka hai
haath kanptai hai'n
nazar bhi dhoka de rahi hai
magar
andar ki aag hai
ke usi tareh maujood hai

Koi mujh ko aisi daleel day

Koi mujh ko aisi daleel day
K main toor ker tere naqsh
Aankh ki putliyon se mita sakoon!



Koi mujh ko aisi daleel day......
K main dil se phir teri umr bhar ki.!!
Rafaaqton ko bhula sakoon!



Koi mujh ko aisi daleel day............
K main umr bhar teri yaad ka..!!
Koi jashan he na mana sakoon!



Agar aisi koi sabeel hai tou phir aazmaa!!!!!


Jo nahi tou phir....!!!!!!!!!


"MUJHAY YAAD KER ,,, MUJHAY YAAD AA!!"

Kis ko ilzaam dain apni ruswai ka

Kis ko ilzaam dain apni ruswai ka...!!!

Kis ko jaa ker kahain Qarab tanhai kaa..!!

Pyar k kheal main.....

Wasal ki subah se..

Hijar ki shaam tukk...

Jo tamasha hoa

Is main shamil thay hum..!!!!


App maqtool thay................

App qatil thay hum...!!!

Aur iss mein bhi taa'jub kiyaa

Aur iss mein bhi taa'jub kiyaa??
Tumhaarey lout aaney ki..
Bachi ho aas jo koi

Nawaaey Be-zubaan ban kar...!!!
Sisak kar phir sey utthey aur.!!!.
Tum tak bhi puhanch jaaey!!

So tum Sey Ye guzaarish hey!!
Tab ik ehsaan tum karna.......
Palat kar dekhna yun sard nazron say....
Ke jo bhii aas zinda ho..!!!

Ussey yak-sar mita dena....!!
Humein pathar bana dena..!

Popular Posts