Kabhi Aansoo, kabhi Khushboo, kabhi Naghma ban kar
Hum se her shaam mili hai tera CHEHRA ban kar ;
Chaand nikla hai teri Aankh ke Aansoo ki tarah
Phool mahke hain teri Zulf ka Saaya ban kar ;
Meri Jaagi hoi Raaton ko Osski hai Talaash
So raha hai meri Aankh mein jo Sapna ban kar ;
Dil ke Kaghez pe Uttarta hai woh Shairon ki tarah
Mere Honton pe machalta hai woh Naghma ban kar ;
Raat bhi ho toh boujhti nahi Chehray ki Chamak
Rooh mein phail gaya hai woh Ujaala ban kar ;
Mera kya Haal hai, yeh Aa ke kabhi dekh toh le
Jee raha hoon tera bhoola howa Waada ban kar ;
Dhoop mein kho gaya woh Haath chhuda kar faysal
Ghar se jo saath chala tha mera Saaya ban kar ;
KHABHI AANSOO, KABHI KHUSHBOO, KABHI NAGHMA BAN KAR
HUM SE HER SHAAM MILI HAI TERA CHEHRA BAN KAR !