Tuesday, March 9, 2010

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se
vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se

kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se
vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se

nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii
vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se

bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa
vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se

tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa
ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-kade se

Kab yaad main tera saath nahin

Kab yaad main tera saath nahin kab haath main tera haath nahi
Sad shukar ke apni raaton main ab hijr ki koi raat nahi

Mushkil hain agar halaat wahan dil bech aaye jan de aaye
Dil walo koocha e janan main kia iase bhi halaat nahi

Jis dhaj se koi maqtal main gaya wo shaan salamat rehti hai
Ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahi

Maidaan e wafa darbaar nahin yaa naam o nasab ki pooch kahan
Aashiq to kisi ka naam nahin kuch ishq kisi ki zaat nahi

Ye bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kiasa
Gar jeet gye to kia kehna haare bhi to bazi maat nahi

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya
Dil buhot kuch jala k dekh liya

Aur kya dekhne ko baqi hai
Ap se dil laga k dekh liya

Wo mere hok bhi mere na hue
Unko apna bana k dekh liya

Aj unki nazar main kuch hamne
Sabki nazren bacha k dekh liya

'Faisal', taqmil-e-gam bhi ho na saki
Ishq ko azma k dekh liya

As us dar se tutati hi nahin
Ja k dekha, na ja k dekh liya..

Gham-e-heyat ka jhagra meta raha hai koi

Gham-e-heyat ka jhagra meta raha hai koi,

Chaley ayo ke duniya se ja raha hai koi,

Azal se keh do ke ruk jaye do ghari,

sunna hai aane ka wada nebha raha hai koi,

woh is naaz ke sath bethey hain laash ke pass,

jesay roothe howe ko mana raha hai koi,

palat ker na aa jaye phir saans nabzon main,

itne haseen haton se mayyat saja raha hai koi,

Mere Darwaze Se Ab Chand Ko Ruksat Kar Do

Mere Darwaze Se Ab Chand Ko Ruksat Kar Do
Saath Aaya Hai Tumhaare Jo Tumhaare Ghar Se 

Apne Maathe Se Hata Do Ye Chamakta Hua Taaj 
penk Do Jism Se Kirnon Ka Sunahri Zewar 

Tumhi Tanha Mera Gham Khaane Mein Aa Sakti Ho
Ek Muddat Se Tumhare Hi Liye Rakha Hai 

Mere Jalte Huye Seene Ka Dahakta Hua Chaand

Ik Diya Hoon

Ik Diya Hoon

Taiz Hawaon Kai Jhonkon Sai
Bus Bujhe Giya Hoon

Mai Jalraha Tha Barsoon Sai
Nibbat Raha Tha Arsoon Sai

Ab Bujhe Giya Hoon
Haan Ik Diya Hoon

Jalta Tha To Roshni Thi
Andhairoon Mai Ghir Giya Hoon

Mai Bujhe Giya Hoon
Ik Diya Hoon

Mujhe Sai Wabasta Saatoon Nai
Moon Mujhe Sai Moor Liya Hai

Mairay Andhairoon Ko
Mairay Sang Akaila Chor Diya Hai

Bus Abb Aandhion Ka Intizar Hai
Maira Abb Rahna Baikaar Hai

Mai Bujhe Giya Hoon

Haan Ik Diya Hoon

sham-e-firaq ab na pooch, aaee aur aake dhal gaee

sham-e-firaq ab na pooch, aaee aur aake dhal gaee,
dil thha ki phir behel gaya, jaaN thhee ki phir sambhal gaeee...

buzm-e- khayalme tere husn ki shamma jal gaee,
dard ka chand bujh gaya, hijr ki raat dhal gaee....

jub tujhe yaad ker liyasubha mehek mehek uthee,
jub tera gamh jaga liya, raat macha machal gaee...

dilse to her mamla ker ke chale thye saf hum,
kehene me unke samne baat badal, badal gaee

har ashna mein kahan kho-e-mahramana wo

har ashna mein kahan kho-e-mahramana wo
k baywafa tha magar dost tha purana wo


kahan say layee ub ankhain isay k rakhta tha
adawatoun mein b undaaz mukhlisana wo


jo abar tha to usay toot k barasna tha
ye kya k agg laga k hua rawana wo


pukartay hain mah o saal manziloun ki tarah
laga hay to sun hasti ka taziyana wo


humain bhi gum talbi ka nahi raha yara
taray bhi rang nahi gardish e zamana wo


ub apni khwahish kya kya usay rulati hay
ye baat hum nay kahi the par na mana wo


ye kahain gay bus surat ashnayee the
jo ahad toot gaya yad kya dilana wo


is aik shakal mein kya kya na suratain dakhin
nigar tha nazar aya nigaar khana wo


faraz khwaab si ghaflat dikhayee daiti hay
jo log jan e jahan thay hoyay fasana wo

Abi Dastak Mat Dena!!

Abi Dastak Mat Dena!!

Bohat Tootey Huwey Hain Abhi Dastak Mat Dena
Humari Aankh Hai Pur-Nam Abhi Dastak Mat Dena

Mulaqat-E-Guzishta Ka Bhi Nishaan Nahin Utra
Mairey Saathi Mairey Humdam Abhi Dastak Mat Dena

Abhi To Dard Ke Sailaab Ne Ghaira Nahin Mujh Ko
Abhi To Ashk Hain Kam Kam Abhi Dastak Mat Dena

Mairey Yaaro Abhi Kuch Din Mairey Ahwaal Mat Poocho
Abhi Ghar Mein Hai Uss Ka Gham Abhi Dastak Mat Dena ....!!

Jagmagatey Shehar Ki Ranaiyon Mein Kya Na Tha

Jagmagatey Shehar Ki Ranaiyon Mein Kya Na Tha
Dhoondney Nikla Tha Jiss Ko Main Wohi Chehra Na Tha

Rait Pay Likhey Huwwy Naamon Ko Parrh Kar Daikh Lo
Aaj Tanha Reh Gaya Hoon Kal Magar Aisa Na Tha

Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mosam Wohi Manzar Wohi
Faasla Barrh Jaaye Ga Itna Kabhi Socha Na Tha

Fikr Ke Dar Pay Koi Aahat Koi Dastak Nahin
Woh Faqat Bimaar Jiss Ka Koi Humsaya Na Tha

Chorr Aaya Jin Safeenon Ko Talatum Kay Qareeb
Na-khuda Unn Mein Tera Shayad Koi Apna Na Tha ...!!

Kuch Iss Tarah Say Aaj Sataaya Gaya Mujhey

Kuch Iss Tarah Say Aaj Sataaya Gaya Mujhey
Maira Shikashta Dil Hi Dikhaaya Gaya Mujhey

Daikha Gaya Na Zabt Mairi Aankh Ka Kabhi
Zulm-o-Sitam Say Aaj Rulaaya Gaya Mujhey

Dil Tor Kar Maira Bhari Mehfil Ke Saamney
Rasn-e-Duniya Hai Ye, Bataaya Gaya Mujhey

Hum Ne Barrhaya Haath Ussey Apnaa Jaan Kar
Gairon Ko Apna Keh Ke, Jalaaya Gaya Mujhey

Jab Doobney Lage Thay Kinaarey Ke Paas Hum
To Door Say Safeena, Dikhaaya Gaya Mujhey !

Uss Ne Awaara Mizaaji Ko Naya Morr Diya

Uss Ne Awaara Mizaaji Ko Naya Morr Diya
Paa Ba Zanjeer Kiya Aur Mujhey Chorr Diya

Uss Ne Aanchal Say Nikaali Mairi Ghamgashta Biyaaz
Aur Chupkey Say Muhabbat Ka Waraq Morr Diya

Jaaney Waley Ne Humeisha Ki Judaai Dey Kar
Dil Ko Aankhon Mein Dharrakney Ke Liye Chorr Diya

Hum Ko Maloom Tha Anjaam-e-Muhabbat Hum Ne
Aakhri Harrf Say Pehley Hi Qalam Torr Diya .... !

Woh shakhs k jiss se mein mohabbat nahi karta

Woh shakhs k jiss se mein mohabbat nahi karta
Hansta hai mujhey dekh k per nafrat nahi karta

Ghar waloon ko ghaflat pe sabhi kous rahay hein
Choroon ko magar koi bhi malamatt nahi karta

Detay hein ujaalay meray sajdoon ki gawahee
Mein chupp k andheroon mein ibadat nahi kata

Bhoola nahi mein aaj bhi adaab_E_jawani
Mein aaj bhi auroon ko kabhi nasihatt nahi karta

Duniya mein Qateel uss sa mounafik nahi koi
Jo zulm tou sehta hai per baghawatt nahi karta....!!

jog bijog kii baate.n jhuuThii sab jii kaa bahalaanaa ho

jog bijog kii baate.n jhuuThii sab jii kaa bahalaanaa ho
phir bhii ham se jaate jaate ek Gazal sun jaanaa ho

saarii duniyaa aql kii bairii kaun yahaa.N par sayaanaa ho
naahaq naam dhare.n sab ham ko diivaanaa diivaanaa ho

tum ne to ik riit banaa lii sun lenaa sharmaanaa ho
sab kaa ek na ek Thikaanaa apanaa kaun Thikaanaa ho

nagarii nagarii laakho.n dvaare har dvaare par laakh sukhii
lekin jab ham bhuul chuke hai.n daaman kaa phailaanaa ho

tere ye kyaa jii me.n aa_ii khii.nch liye sharmaa kar ho.nT
ham ko zahar pilaane vaalii amrit bhii pilavaanaa ho

ham bhii jhuuThe tum bhii jhuuThe ek isii kaa sachchaa naam
jis se diipak jalanaa siikhaa paravaanaa mar jaanaa ho

siidhe man ko aan daboche miiThii baate.n sundar log
'Meer', 'Nazeer', 'Kabir' aur 'Insha' sab kaa ek gharaanaa ho

main talkhi-e-hiyat say ghabra kay Pii giya


main talkhi-e-hiyat say ghabra kay PIi giya

Ghumki Seeiyah raat say ghabra kay pii giya



itni DAQEED shy koi kessay samaj saky

Yazdaa'n kay waqiyat say ghabra kay Pii giya



Chalkay hoye thy JAAM peraysha'n thi Zulf-e-yaar

kuch essay hadsat say ghabra kay Pii giya..



main Aadmi hoon koi farshta nahi HAZOOR

main ajj apni zaat say Ghabra kay Pii giya



kantay tu khair kantay hain in say GILLAH hi kiya

Pholoun ki wardat say GHABRA kay Pii giya



SAGHAR woh keh rahy thy kay PII lee'jiye HAZOOR

Un ki GUZARSHAT say GHABRA kay Pii giya

Popular Posts