Monday, March 1, 2010

Meri Masoom Si aur Pehli Muhabbat!!!!


MENE SAJDON ME BHI TUJHSE MANGA HY USAY BOHAT

MERI MASOOM SI PEHLI MOHABBAT
WO MERI ZINDAGI KI SABSE SACHHI MOHABBAT


WOJO MUJHE MILA NAHI HY AB TAK
JIS KE LIYE YE MERI ANKHEN PUR NUM HEN BOHAT

USAY MUJHSE KABHI THI ITNI SHIDDAT SE MOHABBAT
AYE KHUDA JAGA DE PHIR SE USKE DIL ME MERI WO PEHLI SI MOHABBAT

KABHI JO ME ROOTH JATA THA PEHLE JO USS SE
WO MUJHE DIN RAAT KARKE PYAR KI BATEN MANATA THA BOHAT

JO KARTI THI WO MUJH SE BOHAT PYAR SE BATEN
ME USKO HANSATA THA KAR K SHARARTEN BOHAT

WO MERA THA MERA HY ME USKA HON BAS
ME CHAHTA HOON USAY HAR PAL SOCHTA HON BOHAT

KABHI TOU HONGI MERI DUAIN PORI KABHI TOU SUNEGA KHUDA
ME HAR PAL HAR GHARI DUAON ME USAY MANGTA HON BOHAT

AYE KHUDA TU RAHEEM HY TU KAREEM HY TU HE SUNTA HY DUA
BAS LIKH DE USKA SATH QISMAT ME TERA HOGA MUJHPE EHSAN BOHAT

TERI REHMATO KA TERI NAIMTON KA KOI JAWAB NAHI
TU BAS MUJHE NAWAZ DE PHIR SE USKI BAS MOHABBAT

MUJHE TERI KISI BAAT SE INKAAR NAHI
MENE SAJDON ME BHI TUJHSE MANGA HY USAY BOHAT

MILA DE KASH US SE TU MUJHE BAS
AJAENGI MERI ZINDAGI ME KHUSHIAN OR MOHABBAT

WO RAHE JAHAN BHI BAS BOHAT KHUSH
WO MERI PEHLI SI MOHABBAT WO SAB SE SACHHI MOHABBAT
__________________

Aik pal ki zindagi mein jee li umariya saari


Aik pal ki zindagi mein jee li
umariya saari
Kon jane aney wali ghari mein
hum ho na houn
Tum se b kerli dosti ki tamanna
poori hum ne
Tere jaisa dost meri zindagi mei
phir ho na ho
Raste hain pur khatar
har taraf hai andhera
Is andheri mein jalti shamma ka
saher phir ho na ho
Mere tasawar mei shamil
khushian sabki hazir hain
In khushyi0n k sang jeene ka samey
sang mere phir ho na ho
Apne har rang ko dia mein ne
dunyia mein baant
Kon janne ane wali ghari in rangon mein
hum ho na houn
KIA MALOOM YE ZINDAGI HO NA HO

Tu aik waqat tha jisko bhula dia main ne


Tu aik waqat tha jisko bhula dia main ne
har aik yaad ka gulshan jala dia main ne

wo piyaar jiske qasidey kaee likhe the kabhi
kitab-e-dil se wo unwaan mita dia main ne

thi apni manzile hasrat jo ik mohabat ki
usey mazaar ka manzar bana dia main ne

na tumse koi gila hai na ab shikayat hai
tumhari raah se khudko hata dia main ne

nazar mila ke jo dekho gay jaan jaao gay
ke kesey tum ko nazar se gira dia main ne

meri wafa ka janaza tha is qadar ghamgeen
ke patharoon ko bhi gham se rula dia main ne
__________________

Aankh Ban Jati Hay Sawan Ke Ghata Shaam Kay Baad


Aankh Ban Jati Hay Sawan Ke Ghata Shaam Kay Baad
Lout Jata Hay Ager Koee Khafa Shaam Kay Baad


Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Say Bala Shaam Kay Baad
Koee Tu Tha Keh Jo Deta Tha Dua Shaam Kay Baad


Aahain Bharti Hay Shab -e- Hijar Yateemo Ke Tarah
Sard Ho Jati Hay Har Roz Hawa Shaam Kay Baad


Shaam Tak Qaid Raha Kartay Hain Dil Kay Andar
Dard Ho Jatay Hain Saray He Reha Shaam Kay Baad


Log Thak Haar Kay So Jatay Hain Lakin Jana
Ham Nay Khush Ho Kay Tera Dard Saha Shaam Kay Baad


Shaam Say Pehlay Talak Laakh Sulayey Rakhay
Jaag Uthti Hay Mohabbat Ke Ana Shaam Kay Baad


Khowab Takra Kay Palat Jatay Hain Band Aankhoon Say
Janay Kis Jurm Ke Kis Ko Hay Saza Shaam Kay Baad


Chaand Jab Ro Kay Setaroon Say Galay Milta Hay
Ak Ajab Rang Ke Hoti Hay Fiza Shaam Kay Baad


Ham Nay Tanhaii Say Pucha Keh Milo Ge Kab Tak
Us Nay Be-chaini Say Foran He Kaha Shaam Kay Baad


Main Ager Khush Bhi Rahoon Pher Bhi Meray Seenay Main
So-gawari Koee Roti Hai Sada Shaam Kay Baad


Tum Gaye Ho Tu Siya Rang Kay Kapray Pehnay
Phirti Rehti Hay Meray Ghar Main Qaza Shaam Kay Baad


Lout Aati Hay Meri Shab Ke Ebadat Khali
Janay Kis Arsh Pay Rehta Hay Khuda Shaam Kay Baad


Din Ajab Muthi Main Jakray Howay Rakhta Hay Mujhay
Mujh Ko Is Baat Ka Ahsaas Howa Shaam Kay Baad


Koee Bhola Howa Ghum Hay Jo Musalsal Mujh Ko
Dil Kay Pataal Say Deta Hay Sada Shaam Kay Baad


Maar Deta Hay Ujar Janay Ka Dhora Khayal
Kaash Koee Kisi Say Na Ho Juda Shaam Kay Baad
__________________

Mohabbat maiN galat'fehmi agar ilzaam tak pohanche


Mohabbat maiN galat'fehmi agar ilzaam tak pohanche
kis'e ma'loom kis'ka naam kis ke naam tak pohanche


teri aankhoN ke thukraaye huye wo log the shaayad
jo ik sharmindagi hontoN pe le'kar jaam tak pohanche


sabhi rastoN pe the shaola'fishaaN haalaat ke suuraj
bohat mushkil se ham un gaisuu'oN ki shaam tak pohanche


kisi ne bhi na apni dhaR'kanoN maiN di jagah jin'ko
wo saare wal'wale mere dil-e-nakaam tak pohanche


sajaa kar aaye jab sone ka chashma apni aankhoN par
nazar ham muflisoN ki tab kahaaN us baam tak pohanche


aaiina ban jaao zamaane maiN mohabbat ka
agar tum chaah'te ho shairii ilhaam tak pohanche

Sab khuloos baaton mei sab karam khayalon mei


Sab khuloos baaton mei sab karam khayalon mei,
Bas zara wafa kam hai tere shehar walon mei.

Pehli baar nazaron ne chaand boltay dekha,
Ham jawab kya dete kho gaye sawalon mei.

Raat teri yaadon ne dil ko iss tarha chhera,
Jaise koi chutki le naram naram gaalon mei.

Yun kisi ki ankhon mei subha tak thay ham,
Jis tarha rahe shabnam phool ke piyalon mei.

Meri aankh ke taaray ab na dekh pao gaye,
Ham raat ke musafir thay kho gaye ujalon mei..!

Suna hey shehar walon sey mera tanha nahi badla


Suna hey shehar walon sey mera tanha nahi badla
Keh wo aankhain nahi badleen keh wo paikar nahi badla

Haseen aankhon ko parhney ka abhi tak shoq hai mujhko
Mohabat main ujar kar bhi mera andar nahi badla

Main puthar sey hua heera mujhey aisa tarasha hey
Badal dala mujhey lekin mera aazer nahi badla

Main pehron sochta hon ye jo mujhko bhool bethi wo
Sabab najaney kia hoga , wo kuch keh kar nahi badla

Bhatakti sham sey kehna puraney dar dareechey hain
Akeli raat sey keh do hamara ghar nahi badla

Meri qismat ney jo likha zakham aakhir nahi badla
Faqat bazoo hi badley hain magar nashtar nahi badla

Ussey kehna shikasta zaat honey sey mohabat mar nahi jati
Aaiyney toot janey sey kabhi manzar nahi badla

Tumharey daieron main ik umrr sey mehv-e-gardish hoon
Mera markaz nahi badla mera mehver nahi badla

Meri jaan doob key ubhri hey meri sans bhi jeysey
Mera matam nahi badla mera mehshar nahi badla

Suna hey aaj bhi sab log ussey hi sajdah kartey hain
Jabeenain hi badlati hain magar wo darr nahi badla

Abhi tak apney lafzon sey wo baazi jeeta jata hey
Wohi andaz hain usskey ... mera shatir nahi badla


Hum Ney Jo Baat Nigahun Se Chupa Rakhi Hay


Hum Ney Jo Baat Nigahun Se Chupa Rakhi Hay ....
Aag Is Nay Zamaney Ko Laga Rakhi Hay ....

Janey Kab Ahl-e-Zamin Dais Se Nikaal Dain Gay ....
Hum Ne Iss Dar Se Fulk Se Bi Bana Rakhi Hay ....

Tu Ney Jis K Liay Derwaza Khula Rakha Tha ....
Iss Ney Aorun Ke Liay Bazm Saja Rakhi Hay ....

Ak Mudat Se Dard-e-Dil Hay Muqfal Apna ....
Ak Mudat Se Aah Apni Daba Rakhi Hay ....

Zulm Key Samnay Insaaf Talab Kernay Par ....
Ik Qiyamat Si Zamanay Ney Utha Rakhi Hay ....

Jurm-e-Ulfat Peh Zamana Humain Kiya Pouchay Ga ....
Hum Ney Pabandi Khud Apney App Par Laga Rakhi Hay ....

Jab Loog Hi Jazbon Ki Toukeer Nahi Kartay


Jab Loog Hi Jazbon Ki Toukeer Nahi Kartay ....
Hum Bhi Koi Dukh Apna Tehreer Nahi Kartay .....

Dil Cheer Jata Hai Lehjay Ka Yeh Rookha Pan ....
Karti Hai Zubaan Woh Kuch Jo Teer Nahi Kartay ....


Muosam Agar Uksaye Jab Chahay Chalay Aana ....
Hum Raat Ko Darwaza Zanjeer Nahi Kartay ....


Likhtay Hain Woh Kuch Jo Har Aik Pay Guzarti Hai ....
Par Youn Keh Kahani Hum Tahreer Nahi Kartay ....


Do Gaz Hi Zameen Sab Ka Jab Aakhri Maskan Hai ....
Hum Koi Makaan Apna Taameer Nahi Kartay ....

Meri CHAHAT ka sar-e-aam to charcha na karo


Meri CHAHAT ka sar-e-aam to charcha na karo,
km to pehle bhi nhi, aur to RUSWA na karo!

Bhaanp jae na kahein DIL ki lagi ye DUNYA
Yun SHAFAQ ban k mere CHEHRE pe thehra na karo!

Baat chhoti si bhi AFSANA bana deti hai,
Tum KITABON pe mere NAAM ko likha na karo!

DIL ko bechain sa karti hain tumhari AANKHEN,
Raat ko der talak tum mujhe SOCHA na karo!

Samne sab k kare kis tarha IQRAR,
Yun sar-e-bazm to us se ye TAQAZA na karo!

Kisee nazar ko tera intizaar aaj bhee hay

Kisee nazar ko tera intizaar aaj bhee hay
Kahan ho tum kay yeh dil beqaraar aaj bhee hay

Woh wadiaan woh fizaain, kay hum milay they jahan
Mairee wafa kaa waheen par mizaar aaj bhee hay

Naa janey dekh kay kyun un ko, yeh howaa ahsaas
Kay mairey dil pay unhain ikhtiaar aaj bhee hay

Woh piyaar jis kay leye hum nay chor dee dunyaa
Wafaa kee rahon main ghayal woh piyaar aaj bhee hay

Yaqeen nahee hay magar aaj bhee yeh lagta hay
Mairee talash main shayed bahaar aaj bhee hay

Naa pooch kitnay mohabbat kay zakhm khaye hain
Kay jin ko soch kay dil sogawaar aaj bhee hay

Jab hijr k sheher meiN dhoop utrii


Jab hijr k sheher meiN dhoop utrii, maiN jaag paRa to khuwab hua
merii soch khizaN kii shaakh banii, tera chehra aor gulaab hua


barfeelii rutt kii tez hawa kyuN jheel meiN kankar phaink gaii ??
ek aankh kii neend haram hoii, ek chaand ka aks kharab hua


tere hijr meiN zehn pighalta tha, tere qurb meiN aakheiN jaltii thiiN
tujhe khona aik qayamat tha, tera milna aor azaab hua


bharay sheher meiN ek hii chehra tha, jise aaj bhii galiyaN dhoondtii haiN
kisi subah uss kii dhoop khilii, kisii raat wohii mehtaab hua


baRii umr k baad inn aankhoN meiN, koii abr utra terii yaadoN ka
mere dil kii zameeN aabad hoii, mere gham ka nagar shadaab hua


kabhii wasl meiN Mohsin dil toota kabhii hijr kii rutt ne laaj rakhii
kisii jism meiN aankheiN kho bethe, koii chehra khulii kitaab hua ...!!
__________________

JANTAY HAIN WO DARD TANHAI MAIN JO HOTA HAY


"JANTAY HAIN WO DARD TANHAI MAIN JO HOTA HAY
JANTAY HAIN WO ZAKHM JUDAI MAIN JO HOTA HAY"


"QASOOR NAHIN SHAMMA KA US KA TU KAAM HAY JALNA
PARWANAY KA KIA POCHO BEKHUDI MAIN JO HOTA HAY"


"ANDHERE MAIN RHA RHAY KAR KHOF ZADA SA HO GYA HOUN
HANSAT HAY MUJH PAR HAR SHAKHS ROSHNI MAIN JO HOTA HAY"


DUNIYAVI MUJASSMOUN KI RANGEENIOUN SAY  RHA
MATLASHI RHA US HUSN KA SADGI MAIN JO HOTA HAY

ab k hum bichray tow shayad kabhie khuwaabon mein milein


ab k hum bichray tow shayad kabhie khuwaabon mein milein
jis tarah sookahay huwaye phool kitaabon mein milein

dhoond ujray huwaye lougon mein wafa k mooti
yeh khazaanay tujhay mumkin hai kharaabon mein milein

ghum e duniya bhi ghum e yaar mein shaamil karlo !
nasha barhta hai sharaabein jo sharaabon mein milein

tu KHUDA hai na mera ishq farishton jaisa
donon insaan hain tow kiyun itnay hijaabon mein milein

ab na woh hain na woh tu hai na woh maazi hai
jaisay do shakhs tammanah k siraabon mein milein

mere jese ban jao ge jub ishq tumhen ho jaye ga


mere jese ban jao ge jub ishq tumhen ho jaye ga
dewaron se takraon ke jub ishq tumhen ho jaye ga

har bat gawara kar lo ge manat bhi utara kar lo ge
tawesen bhi bandhwao ge jub ishq tumhen ho jaye ga

tanhayi ke jhole jhulo ge har bat purani bholo ge
aayene se ghabrao ge jub ishq tumhen ho jaye ga

jub suraj bhi kho jaye ga aur chand kahen so jaye ga
tum bhi ghar dair se aoo ge jub ishq tumhen ho jaye ga

bechaini jub bhar jaye gi aur yad kisi ki aaye gi
tum meri ghazlen gao ge jub ishq tumhen ho jaye ga

Wafa ke mousam ke saare manzar


Wafa ke mousam ke saare manzar bas kitabon main reh gaye hain
Magar jo dil main jaley huay the charaagh raaton main reh gaye hain


Mohabaton ka sunaheri aanchal tu kab ka sir se uter chuka hai
Ye kis ki chahat ke rang hain jo kahin gulabo main reh gaye hain


Ye kaise rangon ki aahatain hain jo apni janib bula rahi hain
Wagar na khushbu ke rang saare hava ke haathon main reh gaye hain


Kahin jo yaadon ki titliyan thin kabhi ki phoolon se urr chuki hain
Magar wo dhudley aks hain jo kisi ke khuwabon main reh gaye hain


Tumhari baaton main jab se shayed wafa ka matlab badal gaya hai
Tu saare dukh ke azab lamhey humari aankhon main reh gaye hain


******************

Tere kochey se meri yadein wabasta hain


Tere kochey se meri yadein wabasta hain,
Khuch adhoori si mulaqatein wabasta hain,,,


Ye hijar ka azab tum par he nahe toota,
Hum se bhi ye tanha ratein wabasta hain,,,


Ab to aik muddat si guzri main soya nahe,
Apni to bas maa ki goud se he neendein wabasta hain,,,


Main ne kisi raat tere ghum ka zeher nahe piya,
Har tanha shab se meri ankhein wabasta hain,,,


Main ne mujh sa ghamgeen shayer kabhie nahe dekha hai faysal,
Adab se hazaron logo ki batein wabasta hain.......
__________________

kamal-e-ishq hai diivana ho gayaa huN main


kamal-e-ishq hai diivana ho gayaa huN main
ye kis ke haath se daaman chura raha huN main


tumhin to ho jise kehti hai naKhuda duniya
bachaa sako to bachaa lo ki Dubta huN main


ye mere ishq kii majaburiyaN ma'az-Allaah
tumhara raz tumhin se chupa rahaa huN main


is ik hijaab pe sau be-hijabiyaN sadaqe
jahaN se chahata huN tumko dekhata huN main


batane vale vahin par batate hain manzil
hazar bar jahaN se guzar chukaa huN main


kabhi ye zom ki tu mujh se chhup nahiin sakata
kabhii ye vaham ki Khud bhii chhupa huaa huN main


mujhe sune na koi mast-e-bada-e-isharat
faysal TuTe huye dil ki ik sadaa huuN main



miTTi ki imarat saya dekar miTTi main hamvar hui


miTTi ki imarat saya dekar miTTi main hamvar hui
viraani se ab kaam hai aur virani kis ki yaar hui

Dar-Dar ke qadam yuN rakhataa huN Khvaabon ke sahara main
ye reg abhii zanjir bani ye chaNv abhii divaar hui

har patti bojhil ho ke giri sab shaKhen jhuk kar TuuT ga'in
us barish hi se fasal ujrii jis barish se taiyar hui

ab ye bhi nahin hai bas main k ham phulon kii Dagar par lauT chalain
jis rah_guzar par chalana hai vo raah_guzar talavar hui

choti hai zara jab tan ko hava chubhte hain ragon main kaNTen se
sau baar KhizaN aai hogii mahasus magar is baar hui

vo naale hain betabii ke chiiKh uThata hai sanaTa bhii
ye dard kii shab malum nahin kab tak ke liye bedaar hui

likhi hain shikasten itani jahaN maqtal main vahaN ye bhi likh do
kitanii sham_shiren TuuT gain kitane dushmanon kii haar hui

ab Gair hava kitani hii chale ab garm fizaa kitani hi rahe
siine kaa zaKhm charaG bana daman kii aag bahaar hui

Kitne achey theiy hum dono..


Kitne achey theiy hum dono..
Dhun ke pakke theiy hum dono..


Mukhlis Mukhlis, Pagal Pagal..
Aik hii jaise theiy hum dono..


Mil jate tou achay theiy..
Aadhe Aadhe theiy hum dono..


Wapis aana tha namumkin..
Guzre lamheiy theiy hum dono..


Khushk huye sehra ki soorat..
Jheel se gehre theiy hum dono..


Yaad karo us pyar ki khatir...
sou dukh sehte theiy hum dono...


Kyoon inte be deed huwe hain..
deed ke pyase theiy hum dono..


Log bohot ayaar or Zalim..
Bhole Bhale theiy hum dono..!!

Main andheri raat ka musafir


Main andheri raat ka musafir keroon roshni ka intezaar kia??
Tay ker loon musafatain raat main sulaghtay din ka etabar kia??

Mujhay rastay main nafratain mili or kuch phool bewafai k..
Main kia janoo kia hai muhabat kia samjhoon hai yeh pyar kia??

Main tanhaiyon main zinda hoon main per katta parinda hoon..
Koi aa k mujhay bata jaey hota hai wisaal-e-yaar kiaa??

Koh-e-toor per to pohanch gaey sang le ker kuch ahl-e-nazar..
Jis nazar ko taab-e-deedaar nahi woh nazar keray deedar kia??

Yeh rog ishq ka rog hai yeh saaz nahi yeh soz hai…
Is rog ki koi dawa nahi phir dawa keray beemaar kia??

Us ne jaan meri maang li sadqay main apnay pyaar k…
Yeh dum to usi humdum ka tha phir kerta main inkaar kia??

Main thak ker baitha tha faysal ik shajar ki ghanni chaon main..
Jis ne tan man mera jala diya woh shajar tha sayadaar kia?

har chak ab jigar ko ab sila dena chahiye


har chak ab jigar ko ab sila dena chahiye
purkhar hasraton ko jala dena chahiye

jab ishq ka nisab hi tabdeel ho gaya
tu naam b wafa ka mita dena chahiye

har shakhs hai gulaam yahan apne nafas ka
lkhlas ki roshani ko bhula dena chahiye

barbad ho chuka hai mery dil ka ye chamaan
khawabon ki titliyon ko ora dena chahiye

manus ho chuke hain andheron se is karad
taron ko or qamar ko buja dena chahiye

is des main thikany k din beet hi gaye
musam hai hijraton ka bata dena chahiye

apni aana k bot ko gira dena cahiye
awaz ab zameer ki sunta nahi koi

ehsaas ki chuban ko mita dena chahiye
hum bhoj zindagi ka uthain ge kab talak
ab daar per jabeen ko jhuka dena chahiye

log her mor pe ruk ruk k smbhaltay kiyon hen


log her mor pe ruk ruk k smbhaltay kiyon hen
itna dartey hen to phir ghar se nikaltay kiyon hen

men na jugnoo hon diya hon na koi taaara hon
rooshni waalay meray naam se jaltay kiyon hen

barson se mera need se ta'alluq hi nahin
khwaab aa aa k meri chat pe tehaltay kiyon hen

moor hota hey jawaani ka sambhalnay k liye
aor sab loog yahin aa k phisaltay kiyon hen

tum jo kehtay ho nahin dukh koi meri judaai ka
to ye aansoo phir aankhon se nikaltay kiyon hen

ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai


ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai
simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai
ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai
jo ashk hai aaNkhon main tasbiih kaa daanaa hai

ham ishq ke maaron kaa itanaa hii fasanaa hai
rone ko nahin koi haNsane ko zamaanaa hai

vo aur vafaa-dushman maanenge na maanaa hai
sab dil kii shararat hai aaNkhon kaa bahana hai

kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham Khaak-nashiinon kii Thokar main zamaanaa hai

vo husn-o-jamaal un kaa ye ishq-o-shabaab apanaa
jiine kii tamannaa hai maranaa kaa zamaanaa hai

yaa vo the Khafaa ham se yaa ham the Khafaa un se
kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai

ashkon ke tabassum main aahon ke tarannum main
maasuum mohabbat kaa maasuum fasaanaa hai

aaNkhon main namii sii hai chup-chup se vo baiThe hain
nazuk sii nigaahon main naazuk saa fasaanaa hai

hai ishq-e-junuuN-peshaa haaN ishq-e-junuuN-peshaa
aaj ek sitamagar ko haNs haNs ke rulaanaa hai

ye ishq nahin aasaaN itanaa to samajh liije
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai

aaNsuu to bahot se hain aaNkhon main lekin
bindh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai


Log kehtay hain keh mohbbat mar nahin sakti


Log kehtay hain keh mohbbat mar nahin sakti
mohabbat ko martay howay hum nay dekha hai

barsoon ki rafaqat eik lamhay main baywuqat ho jayay
tot'tay bikhray jaltay rishton ko hum nay dekha hai

khon kay rishtoon main par jati hain dararain
zehrili si muskan sa ahsas hum nay dekha hai

mohabbat main jab toot jata hai kisi ka dil
dil ki kirchion say tapkta laho hum nay dekha hai

surmagin aankhoon peh pheli howee woh kajal ki lakeer
ussi kajal pay khak hotay howay dil ko hum nay dekha hai

dil main kisii ke raah kiye jaa rahaa huuN main

dil main kisii ke raah kiye jaa rahaa huuN main
kitana hasin gunaah kiye jaa rahaa huuN main

duniyaa-e-dil tabaah kiye jaa rahaa huuN main
sarf-e-nigaah-o-aah kiye jaa rahaa huuN main

fard-e-amal siyaah kiye jaa rahaa huuN main
rahamat ko bepanaah kiye jaa rahaa huuN main

aisii bhii ik nigaah kiye jaa rahaa huuN main
zarron ko mahar-o-maah kiye jaa rahaa huuN main

mujh se lage hain ishq kii azamat ko chaar chaaNd
Khud husn ko gavaah kiye jaa rahaa huuN main

maasuumi-e-jamaal ko bhii jis pe rashk ho
aise bhii kuchh gunaah kiye jaa rahaa huuN main

aage qadam baDhaayen jinhen suujhataa nahiin
raushan chiraaG-e-raah kiye jaa rahaa huuN main

tanqiid-e-husn maslahat-e-Khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah-gaah kiye jaa rahaa huN main

gulashan_parast huuN mujhe gul hii nahin aziiz
kaaNTon se hii nibhaah kiye jaa rahaa huuN main

yuuN zindagii guzaar rahaa huuN tere baGair
jaise koii gunaah kiye jaa rahaa huuN main

mujh se adaa huaa hai 'Jigar' justajuu kaa haq
har zarre ko gavaah kiye jaa rahaa huuN main

Meri udaas tabiyat ki khabr kisko hai

Meri udaas tabiyat ki khabr kisko hai
Shab-e-hijraan ki aziyat ki khabar kis ko hai
Meri gumnaam mohabbat ki khabar kisko hai

Kisko ehsaas meray shifat-e-jazbat ka hai
Meray halaat meri wehshat ki khabar kisko hai
Koun weeran makanon ki khabar rakhta hai

Meri ujri hui qismat ki khabar kisko hai
Mainey chup chaap mohabbat k sitam jhelay hain
Meri is darja sharafat ki khabar kisko hai

Koun ayega ae dil ab tujhko tasalli denay
Meri udaas tabiyat ki khabr kisko hai

Bay nayaz-e-gham-e-paymaan-e- wafa hojaana


Bay nayaz-e-gham-e-paymaan-e- wafa hojaana
tum bhi oroun ki tarah mujh say judaa hojaana

main bhi palkoun pay saja loonga lahoo ki boondain
tum bhi paabasta-e-zanjeer-e-hina hojana

khalq ki sanzani meri khata'aoun ka silaa
tum to masoom hou tum zara door hojaana

ab meray waastey taryaaq hay ilhaad ka zehar
tum kisi or pujaari k khuda hojana!!


***************

Log kiyo bas ke ujartey hain kabhi socha hai


Log kiyo bas ke ujartey hain kabhi socha hai
Kis liye jan se guzartey hain kabhi socha hai

Kaise palkon ki lerazti hue munderon per
Sainkron deep chamaktey hain kabhi socha hai

Go bahaaron main chaman hote hain aabad magar
Phool paamalii se dartey hain kabhi socha hai

Rang chehray ka badal jata hai pal bher ke liye
Log jab baat badaltey hain kabhi socha hai

Jo nazar aatey hain aaiina si poshakon main
Wo bhi matti main utertey hain kabhi socha hai

Naarsaii se nahi merta koi , maan liya
Dil main aarey se jo chaltey hain kabhi socha hai

Gila kare' bhi agar dil to kyaa kare' us se


Gila kare' bhi agar dil to kyaa kare' us se
Ke pahle' jaise' maraasim nahiiN rahe' us se

Mujhe' khayaal tha us'ka, use' zamaane' ka
Khuda kare' ke zamaana wafaa kare' us se

Bohat ghuroor, baRe' zoam maiN wo laota hai
Ghareeb-e-shehar bhala ja ke kyaa kahe' us se

HameiN khabar hi na thi, wo bichaRne' wala hai
Wagarna sochte', mohlat hi maangte' us se

Ma zakhm zakhm agar hooN to ye to hona hi tha
Lagaao tha bhi bohat dosto! mujhe' us se

Dil munaafiq tha shab-e-hij'r maiN soya kesa


Dil munaafiq tha shab-e-hij'r maiN soya kesa
Aor jab tujh se milaa toot ke roya kesa

Zindagii maiN bhi ghazal hi ka qareena rakha
Khwaab dar khwaab tere' gham ko piroya kesa

Ab to chehroN pe bhi katboN ka ghumaaN hota hai
AankhaiN pathra'ii huii haiN lab-e-goya kesa

Dekh ab qurb ka maosam bhi na sar'sabz lage'
Hij'r hi hij'r maraasim maiN samoya kesa

Aik aaNsuu tha ke darya-e-nidaamat tha
Dil se be'baak shanaawar ko daboya kesa

Justuju khoiye hououn ki umer bhar krte rahe

Justuju khoiye hououn ki umer bhar krte rahe
Chand kay humraah hum her shab safar krte rahe

Raaston ka ilm na tha hum ko simton ki khabar
Shehr_e_Namalum ki chaahat magar krte rahe

Hum ne khud se bhi chupaaya aur shehar ko
Tere jane ki khabar deewar_o_ Darr krte rahe

Woh na aaiye gi hamein malum tha iss shaam bhi
Intizaar uss ka magar kuch soch kr karte rahe

Aaj aaya hamein bhi un uraanon ka khayal
Jin ko tere zuaam mein be baal_o_Par krte rahe.

Ab wo pehle si shanasai bhi nahi


Ab wo pehle si shanasai bhi nahi
tanhai to ye hai ke tanhai bhi nahi

hua hai jab se khyaale-yaar hamraah
qurb nahi haasil to judai bhi nahi

dil hai ke jaane khuda kis maqaam
qaid maen bhi nahi rihaai bhi nahi

hui is qadar viraan mehfile tanhai
ke rah gayi ab parchhayee bhi nahi

aap aur bhule mujhe ye kaise mumkin
ab tak to yaad meri aayi bhi nahi

mayoos badaa aap ki bazm se lauta
baat to baat are roonumai bhi nahi

ye kyaa abhi se tang aa gaye aap
abhi kya abhi puri sunaai bhi nahi

ab wohi kare yaad to shayad ho kuch
hai khwabo khyaali itni rasai bhi nahi

kyon na ubhrey shauqe-ghazal sarai
tabiyat ab se pehle kabhi aai bhi nahi

vaham hai yaqeen hai ya khusfahmi
ho ga mujh sa koi shedaai bhi nahi

gustakhiye-qalaam wo karenge muaf
kya unse ab itni aashnaai bhi nahi

parh kar ghazal aap ho gaye khamosh
taareef to ki nahi burrai bhi nahi

aad maen ghazal ke iqraare-mohabbat
"per" dana nahi to saudaai bhi nahi

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon


Iss baar kuch aisa mein chahta hoon

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon


Koyi Fariyad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise


Koyi Fariyad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koyi Fariyad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise

Jagte Jagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jagte Jagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jan Baki Baki Hai Magar Sas Ruki Ho Jaise

Jaanta Hoon Aapko Sahare Ki Zarurat Nahin
Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon

Har Mulakat Pe Mehsos Yehi Hota Hai
Har Mulakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon
MainIs Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise


Yeh kya ke her Dam kisi ki Minnatein karna


Yeh kya ke her Dam kisi ki Minnatein karna
Kya is hi ko kehte hain Mohabbatein karna

Jo apni Qismat mai hai milega wohi
Kis baat pe hai RAB se Shikayate karna

Yeh Pagal-pan nahi to aur kya hai phir
Zameen ke hokar Aasman se Baghawatein karna

Boht kar chuka hai logon, Pyaar yeh Dil
Ab koi sikhaye isko bhi Nafratein karna

Pehle Yaad karna usse phir Rote rahna
Jaane kab chorrega Dil, yeh Harkatein karna

Usay main ne hi likha" tha


"Usay main ne hi likha" tha k lehjay barf ho jaen,
to phir pigla nahi karte,
parinday dar k urr jaen,
to phr lota nahi krtay,

"Usay main nay hi likha" tha
yaqeen uth jae to shayad ,
kabi wapis nahe ata,
hawaoo ka koi tufan
kabi barish nahi lata
"Usay main nay hi likha" tha
k shesha toot jaey to,
kabi phr jur nahi pata,

Usay kehna wo Be'mani adhura khat,

"USAY main nay hi likha tha"

"Usay kahna k dewannay" mukamal khat nahi likhtay

Kis ki Yaad Dil Mein Hai


Kiski Yaad Dil Mein Hai

Kisi Ki Yaad Dil May Hay Koi Ehsaas Baqi Hay
Badalte Mosamon K Darmiyan Aik Raaz Baqi Hay

Abhi To May Safar May Hoon Mileingi Manzilein Mujh Ko
Magar In Raaston K Darmiyan Aik Saath Baqi Hay

Kahin Par Sham Dhalti Hay Kahin Par Raat Hoti Hay
Abhi To Chandi Hay Chandni Ki Raat Baqi Hay

Chale Aao Kisi Din Tum Hamara Haal Bhi Dekho
Hamara Jism Murda Hay Magar Aik Saans Baqi Hay

Ye Hi Umeed Hay Phir Bhi Milega Wo Mujhe Aik Din
Khuda Par Hay Bharosa Aor Khuda Ki Zaat Baqi Hay

Ajeeb khawish ha sehar waloon say chup chupa k kitaab likhoon


Ajeeb khawish ha sehar waloon say chup chupa k kitaab likhoon
Tumharay naam apni zindagi ki kitaab ka intasaab likhoon

Woh lamha kitna ajeeb tha jub humari aankahin galay mileen theen
Main kis tarhan ab mohabbatoon ki tish nage k aazab likhoon

Tumhi nay meray ujar rastoon pay khawishoon k diea jaliea
Tumhi nay chaha tha k khushk hontoon say chahoon k gulaab likhoon

Kabhi woh din they k neend aankhoon ki sarhadoon say paray paray thi
Magar ab jub bhi sona chahoon,tumhari yaadaon k khawab likhoon

Main tanha larki dayar-a-shab main jaloon sach k diea kahan tak
Siyah karoon ki saltanat main main kis tarhan aftab likhoon

Zidatoon k jinoon main jis k qadan lahoon say rangay hwea hain
Woh meray bas main nahi hain logon! k unko izaat-a-maab likhoon

Yahi bohat ha k in laboon ko sada say mehroon kar k rakh doon
Magar ya kaisi muslahat ha samandaroon ko saarab likhoon

boht masrof rahte ho....


boht masrof rahte ho....

sehar see sham honey tak...

koi lamha nahi milta...

koi be-naam si fursat....

koi gum-naam si seerat...

kabhi bethay howey tanha..

kahin jo sham ho jaey....

to meri "ILTEJA" hai ye...

koi lamha chura lena...

jo merey naam ho jaye....

__________________

Ab So Jao


Ab So Jao
Kyon Raat Ki Ret Pe Bikhre Hue
Taaron Ke Kankar Chunti Ho?
Kyon Sannate Ki Silwat Mein
Lipti Awazein Sunti Ho
Kyon Apni Pyaasi Palkon Ki Jhalar Mein
Khwab Piroti Ho
Kyon Roti Ho?

Ab Kaun Tumhari Aankhon Mein
Sadiyon Ki Nind Undelega?
Ab Kaun Tumhari Chahat Ki
Haryali Mein Khil Khilayega
Ab Kaun Tumhari Tanhayi Ka
Andekha Dukh Jhelega?

Ab Aisa Hai?

Ye Raat Musalat Hai Jab Tak
Ye Shamayein Jab Tak Jalti Hai,
Ye Zakham Jahan Tak Chubhte Hai,
Ye Saansein Jab Tak Chalti Hai,

Tum Apni Sochke Jungle Mein Raah Bhatko Aur Kho Jao!!
Ab So Jao...



__________________

aasaan meri mushkil ker de


khuski o tari per qadir hai,aasaan meri mushkil ker de
sahil ki taraf kishti na sahi, kishti ki taraf sahil ker de


mana ke kathin ishq ki manzil hai musafir
jo ranj o saoobat se ho khali woh safar kia hai


mohabbat mosammon ki qaid se azaad hoti hai
suno ! suraj nikalne ka koi mausam nahi hota


hota hai teray shehair me patthar ka karobaar
hum badnaseeb hain ke hum aaeena saaz hain


jis ke saanson se muattar thay dar-o-baam teray
ay makaan ! bol kahan ab woh makeen rehta hai

who Sari Baatein Khuwab Huien


who Sari Baatein Khuwab Huien
Aur Khuwaab Se Phir Azaab Huien

Jab Tum Ko Saba k Jhonkay Se
Paigham Hamara Milta Tha

Jab Meri Ik Nazar Se Hi
Chehra Yeh Tumhara Khilta Tha

Kuch Yaad Sa Tum Ko Hay Jaana?
Jab Phone Ki Aadat Roz Ki Thi

Kuch Dair Jo Mujh Ko Ho Jati
Tum Ghantoon Rootha Karti Thi

Kabhi Geeton Ki Kabhi Shairon Ki
Tum Khuwahish Mujh Se Karti Thi

Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se
Mery Chehrey Se Meri Aankhon Se

Aur Jhank k Meri Aankhon Mein
Tum Khud Ko Dhonda Karti Thi

Ik Do Din Dekh Na Pao To
Tum BeKal BeKal Rehti Thi

Aur Ab To Aisa Aalam Hay
Koi Chahat Hay Na Ulfat Hay

Kya Pyar Muhabat Aur Wafa
Iss Zikar Se Tum Ko Vehshat Hay

Main Lakh Tasalli Khud Ko Doon
k Ab b Teri Khuwahish Hon

Anjaan Bazahir Lagtay Ho
Main Ab b Tera Mehwar Hon

Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay
Kab Tak Dil Ko Behlaye Ga

Do Pal Ki Khushian De Kar Yeh
Mujhay Sadiyan Laho Rulaye Ga

Kiun Tum Taqdeer Se Lartay Ho?
Kiun Khud Ko Dhoka Detay Ho?

Koi Chupke Chupke Kehta Hai


Koi Chupke Chupke Kehta Hai,

Koi Geet Likho Meri Aankhon Par,

Koi Sher Kaho Mere Lafzo Par,

In Khushbu Jaisi Baato Par,

Chup Chaap Main Sunta Rehta Hoon,

Phir In Jheel Si Gehri Aankhon Par,

Ek Taaza Ghazal Likh Deta Hoon,

In Phool Si Jaisi Baato Par,

Ek Sher Naya Keh Deta Hoon,

Ye Geet Ghazal Sher Mere,

Sab UsKe Pyaar Ka Darpan Hai,

Sab UsKe Roop Ka Roshan Hai,

Sab UsKi Aankh Ka Kajal Hai..!!!

Popular Posts