Thursday, June 17, 2010

Main Logo’n Se Mulaqato’n K Lamhy Yaad Rakhta Hoon


Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn

Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Zara Tum Sham Dhalny Do Ke Suraj Ko To Jany Do


Zara Tum Sham Dhalny Do
Ke Suraj Ko To Jany Do
Parindon Ko To Urny Do
Zra Tum Sham Dhalny Do
Abi Tu Asman Ka Rang
Nikhray Ga
Abi Khushbo B Bikhray Gi
Abi Mosam B Badly Ga
Abi Tu Chand Nikly Ga
Abi Manzar Badalny Main Zra C Dair
Baqi Hay
Abi Dil K Sambhalny Main
Zra C Dair Baqi Hai
CHALY JANA!
Abi 2, 4 Pal
do . chaar, Sadyan Sath Rehny Do
Mujhy Kuch
Aaj Kehnay Do
Bas Apny Pas Rehny Do,
Mujhy Itna To Kehny Do,
“MUJHE TUM SE MOHABBAT HAY”

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka


Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

Tery galy mai jo banhon ko dal rakhty hain

Tery galy mai jo banhon ko dal rakhty hain
tujhy manany ka kesa kamal rakhty hain 

tujhy khaber hai tujhy sochny ki khtir hum!
Buht se kam muqadder pe taal rakhty hain 

koi bhi faisla hum soch ker nahi kerty
tumhary naam ka sikka uchal rakhty hain 

tumhary bad ye adat si hogai hai apni
bikhrty sokhty patty sambhal rakhty hain 

khushi si milti hai khud ko aziyaten de ker
so jaan bojh k dil ko nidhal rakhty hain 

kabhi kabhi wo mujhko hans k dekh lety hain
kabhi kabhi mera be had khayal rakhty hain 

tumhary hijer mai ye haal ho gaya hai apna
kisi ka khat ho usy bhi sambhal rakhty hain 

khushi mily tu tery bad khush nahi hoty
hum apni ankh mai her dam malal rakhty hain 

zamany bher se chupa ker wo apny anchal mai
mery wajod k tukry sambahl rakhty hain 

kuch is liye bhi tu behaal hogay hum log
tumhari yad ka be had khayal rakhty hain

Jis se bandhy thy dono wo gham nahi rahy hain


Jis se bandhy thy dono wo gham nahi rahy hain
tum, tum nahi rahy ho hum, hum nahi rahy hain 

lamhon k pair pe kuch phol hain dard o gham k
jeewan mai ab khushi k mosam nahi rahy hain 

rahon mai ab khra hon phelay hath khali
gham thy mera asasa aur ghum nahi rahy hain 

ro ro k tery dukh mai sehra sa hogaya hon
ab ankh k kinary bhi nam nahi rahy hain 

tu aur simt mai hai mai aur simt mai hon
ulfat k rasty ab baham nahi rahy hain 

fikr e muash ne tu jazbon ko rond dala
ashiq wagerna hum bhi kuch kam nahi rahy hain 

tum he thy meri duniya,tum he meri muhabbat
tum jonahi tu dono alam nahi rahy hain

Bandh len hath pe seeny pe saja len tumko

Bandh len hath pe seeny pe saja len tumko
G mai ata hai k taveez bana len tumko 

Phr tumhen roz sanwaren tumhen barhta dekhen
Q na angan mai chambeli sa laga len tumko 

Jesy balon mai koi phool chuna kerta hai
Ghar k guldan mai pholon sa saja len tumko 

Kia ajab khuahish uthi hai hamary dil mai
Ker k munna sa hawaon mai uchalen tumko 

Is qadar tot k tum pe hamen piyar ata hai 
Apni bahon mai bharen maar hi dalen tumko 

Kabhi khuab ki tarhan ankh k perdy mai raho
Kabhi khuhish ki terhan dil mai bula len tumko 

Hai tumhary liye kuch aisi aqeedat dil mai
Apny haton mai duaon sa utha len tumko 

Jis terhan raat k seeny mai hai mehtab ka noor
Apny tareeq makano mai saja len tumko 

Ab tu bus aik hi khuahish hai kisi mor per tum
Humko bikhry hoy mil jao Sambhalen tumko

ankhon se mery is liye lali nahi jati

ankhon se mery is liye lali nahi jati
yadon se koi rat jo khali nahi jati 

ab umer na mosam na wo rasty k wo palty
is dil ki mager kham khayali nahi jati 

mangy tu ager jan bhi tu tujhy hans k de den
teri tu koi bat bhi tali nahi jati 

aye koi aa ker tery dard sambhaly
hum se tu ye jageer sambhali nahi jati 

malom hamen bhi hain tery buht se qissy
per bat teri hum se uchali nahi jati 

HAMRAH TERY PHOL KHILATI THE jo DIL MAI
ab sham wahi dard se khali nahi jati 

hum jan se jaengy tabhi bat banyge
tum se to koi rah nikali nahi jati

Bari shiddat se mai ne tumhen pany ki koshish ki hai

Bari shiddat se mai ne tumhen pany ki koshish ki hai
k her zarry ne mujhy tum se milany ki sazish ki hai 

teri nazron ko gila na ho kabhi mujhse
itna tot k maine tujhse muhabbat ki hai 

tery ehsas ki kabhi kami na ho mujh mai
tery dil ne mery dil se kuch aise chahat ki hai 

her pal tera nam lon is gustakh zamany mai
meri roh ne meri zaban ko itni to ijazat di hai 

koi fariyad meri puhanch jay ARSH tak" WASI"
kuch pal k liye mai ne teri ibadat ki hai

Pyar Kise Tum Kehte Ho

Pyar Kise Tum Kehte Ho ??? 

Phir pyar kise tum kehte ho?

Khamosh zuban k lafzo mein,
Kuch poshida si baatein hain,

In poshida si baaton mein,
Kuch chahat ki barsaten hain,

In baton ko hum muddat se,
Seeny me chupa k bethe hain,

Kuch paaye bina kuch khoo dena,
Ye pyar mein hum ne seekha hai,

Suraj mein chand sitaron me,
Har shey me tumhi ko dekha hai,

Dharkan me bhi naghma ban ke,
Sagar ki tarha tum behty ho,

Ye pyar nahi to tum hi kaho,
Phir pyar kise tum kehte ho. 

Ab jo lautey ho itney saaloon mein

Ab jo lautey ho itney saaloon mein
Dhoop utree howi hai baaloon mein

Tum meri aankh kay samunder mein
Tum meri rooh kay ujaaloon mein

Phool hi phool khil uthey mujh mein
Koun aaya meray khayaaloon mein

Mein ney jee bhar k tujh ko daikh liya
Tujh ko uljha k kuch sawaloon mein

Meri khusiyoon ki kainaat bhi tou
Tou hi dukh dard k hawaloon mein

Jab tera doostoon main zikr aaye
Thees uthti hai dil k chaalon mein

Tum sey aabaad hai ye tunhaayii
Tum hi roshan ho ghur k ujaaloon mein

Kya usse yaad aa raha hoon Wasi
Rung ubhrey hain uss kay gaaloon mein

Adhi raat k sannatey mai kis ne phone kia hy mujh ko

Adhi raat k sannatey mai
kis ne phone kia hy mujh ko 
phone utha k youn lagta hy
us janib koi gumsum gumsum ukhra ukhra dheerey dheery kanp raha hy
mehki hui si ik khamoshi hy 
ghup khamoshi
lekin us khamoshi mai bhi goonj rahy hyn
thandi sansen barish ansoo
khamoshi se thak kr us ne sans lia to 
choori khanki
uff ye khan khan sarey badan mai phail gyi hy
tery ilawa koi nahi hy
lekin itney barson baad

TAIRAY FIRAK K LAMHAY SHUMAR KRTAY HUAY

TAIRAY FIRAK K LAMHAY SHUMAR KRTAY HUAY 
BIKHER CHALAY HAIN TAIRA INTEZAAR KRTAY HUAY 

TO MAIN BHI KHUSH HUN KOI US SE JA K KH DAINA 
AGAR WO KHUSH HAI MUJHE BEQARAR KRTAY HUAY 

TUMHAIN KHABAR HI NAHIN HAI K KOI TOOT GAYA 
MAHABATON KO BOHAT PAIDAR KRTAY HUAY 

MAIN MUSKURATA HUA AAINAY MAIN UBHROON GA 
WO RO PRAY GI ACHANAK SINGHAAR KRTAY HUAY 

MUJHAY KHABAR THI K AB LAUT KR NA AAONGA 
SO TUJHKO YAD KIYA DIL PE WAR KRTAY HUAY 

WO KH RAHI THI K SAMANDAR NAHIN HAIN ANKHAIN HAIN 
MAIN UN MAIN DOOB GAYA AITBAAR KRTAY HUAY 

BHANWAR JO MUJH MAIN PRAY HAIN WO MAIN HI JANTA HUN 
TUMHARAY HIJR K DARYA KO PAAR KRTAY HUAY"

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko 
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain 
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain 
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko 

Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain 
Ab toh khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain 
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain 

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain 
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko 

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay 
aik saith hum mil ker raha kertey thay 
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain 

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain 
Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko 

Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay 
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay 
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain 

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai 
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai 
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain 

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko 
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain 
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain 
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko 

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai 
Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai 

Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab 
Mere wujood ka saara nizam tum se hai 

Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin aur nadaan 
Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai 

Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon 
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai 

Raat din sochon may ghaltaan kis liyay rehtay hain hum

Raat din sochon may ghaltaan kis liyay rehtay hain hum,
kia huwa hum ko? paraishan kis liyay rehtay hain hum,

Mehfilon may achay khasay zinda dil mash'hoor tay,
phir ghazal may ithnay giryaan kis liyay rehtay hain hum,

Janay walay kay bahut say qarz lota to diyay,
phir be nadim aur pashaiman kis liyay rehtay hain hum,

Hasdsa kia aysa beeta hay jissay bhoolay nahin,
shama ki soorat farozaan kis liyay rehtay hain hum,

Poochtay hain aksar apnay aap say tanhaye main,
bay sabab sajid ghazal khuwan kis liyay rehtay hain hum

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko 

Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujhko

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujhko !

Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujhko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko

main udass rasta hoon sham ka

main udass rasta hoon sham ka
mujhe ahaton ki talash hai

ye sitare hain sub bhuje bhuje
mujhe jugnuon ki talash hai

her khushi hai mujh se khafa khafa
mujhe zindagi ki talash hai

meri pyas mein woh talab nahi
mujhe tashnigi ki talash hai

aik hajoom se hai rawan dawan
mujhe doston ki talash hai

meri zindagi hai bus aik rasta
mujhe manzilon ki talash hai

na jane kiya hai jo kho gaya
mujhe shayed apni talash hai

Haan Yeh Aasan Nahi K Main Khud Ko Tujh Se Juda Karlon

Haan Yeh Aasan Nahi
K Main
Khud Ko Tujh Se Juda Karlon
Per Itna Bhi Mushkil Nahi
Tujh Ko Alwida Kehna
Aansoo Jo Huey Teri Amanat
Lauta Dongi
Woh Yaadein
Wohi Haseen Yaadein
Haan Main Sab Bhula Dongi
Agar Main Chahon??.
Safar Jo Zindagi Ka
Tera Haath Thaam Kar Guzara
Main Ne?.
In Kadmoo Ka
Aik Aik Naksh Mita Dongi
Haan Main Woh Sab Jhutla Dongi??
Main Janti Hon
Meri Rooh Main Basi
Hay Teri Khushboo
Meri Rago Main Hay Dorta
Teri Chahato Ka Laho
Main Na Chahon Bhi Tau
Tujhe Hi Pukarti Hon
Per Main Apne Lafz See Longi
Khud Pe Khamooshi Ka Khol
Charha Longi
Teri Har Umeed Bhuja Dongi
Har Woh Raasta Jo Teri Jaanib Jaata Hay
Badal Don Gi??.
Woh Aashiyana
Jo Hum Tum Ne
Aik Dojay K Liye Banaya Tha
Main Usse Aag Laga Dongi
Main Teri Nazro Se Ohjal Hojaon Gi
Teri Duniya
Se Door Chli Jaon Gi
Agar Na Karsaki Aisa
Khud Pe Bhes Charha K
Ajnabi Ho Jaon Gi???..
Agar Na Karsaki
Aisa??.
Khamooshi Se
Apne Daaman Main Tera Aks Sametay
Zindagi Se Aanchal Chura K
Andhero Main Kho Jaon Gi
Per Kasam Hay
Na Kisi Aur Ki Bano Gi

Na Tere Paas Lauton Gi...........!!!!

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Rah Aaye To Kya Karoon 

Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shakhs Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon 

Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadam Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon 

Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon 

Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

Daikh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo


Daikh lo khwaab magar khwaab ka charcha na karo
Log jal jayange sooraj ki tamanna na karo 

Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakta hai
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

Kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayangi
Aur kuch roz abhi aaina dekha na karo 

Ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
Apne din raat ko itna bhi akela na karo

Khwaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
Khwaab dekha na karo khwaab dikhaya na karo 

Be khiyali main kabhi ungliyan jal jayaingi
Raakh guzre hoye lamhon ki kuredah na karo

Jahan yaad kay deep jaltay hoon

Jahan yaad kay deep jaltay hoon
Aur sham kay sayee dhaltay hoon

Jab pyar kisi ka yaad aai
Aur zikr kisi kay chaltay hoon

Aankhon main aanso bhar aain
Ashk na tum say ruktay hoon

Tab un logon o yaad karo
Jo pyar tumhi say kartay hoon

Jo tum bin ji na saktay hoon
Aur tum par dil say martay hoon

Cohta sa ik gaon tha jis main


Cohta sa ik gaon tha jis main
diye thy kam aur bohat undhera
bohat shajar thay thory ghar thay
jin ko tha doori nay ghera
itni bari tanhai thi jis main
jagta rehta tha dil mera
bohat qadeem faraq tha jis main
aik mukarar had say agay
soch na sakta tha dil mera
aisi soorat main phir dil ko dehan ata kis Khowab main tera
jag na sakta tha dil mera
raz jo had say bahar main tha
apna ap dekhata kaisy
sapnay ki bhi had thi akhir
sapna agay jata kesy 

Mujhy mitti k ghar bananay ka shauq tha



Mujhy mitti k ghar bananay ka shauq tha
Usay aashyane giranay ka shauq tha

Main khud se rooth jata hu aksar is liye
Mujhy roothay huway log mnanay ka shauq tka

usay wadon ki pasdari pasand na thi
Lekin mujhay waady nibhany ka shauq tha

Main masroof tha tanhayon ki talash mein
Usay logon se milne milanay ka shauq tha

Wo bewafa tha is me hairat ki baat kia hai
Mujhe b bewafa se dil lagany ka shauq tha

Main Darta Hoon! In Aankhon Se Jo Hamari Taraf Uthti Hain


Main Darta Hoon!
In Aankhon Se
Jo Hamari Taraf Uthti Hain
Aur Humein....
Tamasha-e-Nigah Bana Deti Hain
Main Darta Hoon!
Taqdeer k Zalim Jhonkoo Se
Jin Ki Zad Mein MusalSal
Meri Chahtoon Ka
Mery Armanoon Ka
TimTimata Houa Diya Hay
Main Darta Hoon!
Apnay Aap Se
k Kahin BeKhudi Mein
Tery Pakeeza Wajood Se
Lipat Kar
Dunya Ki Najs Nazaroon Mein
Tery Taqaddus Ko
Tamasha-e-Ruswaii Na Bana Doon
Main Darta Hoon!
Faraaq Ki Kaali Ratoon Se
Jin Mein Chaand Sitary Nahi
Faqat Andhery Ka Safar
BeBasi aur BeChaini k Sang-e-Meel Hain
Main Darta Hoon!
Haqeeqat k Safar Se
Jo Dasht Se Zayada KarbNaak
Aur Samandar Se Zayada Gehra Hay
Jahan Pyaas k Jungle
Mayoosi k Saaye
Aur Shayed
Umeed Ki Ik Kali Hay
Jo Kabhi Khilti Hay
Aur Kabhi Murjha Jati Hay
Aey Jaan-e-Tamanna
Main Tumhary Paas Hotay Hoye bhi
Tum Se Door Hoon
Yeh Tark-e-Talluq Nahi,BeWafayii Nahi
Magar Main Majboor Hoon
Kiun k..!
Main Darta Hoon...!!!

yeh waqt bhee kitna zalim hay

yeh waqt bhee kitna zalim hay 


Itnay bars ke doori aur mehjoori kay
afsoon e safr may lipta huwa
ik shakhs achanak aan mila
main usko dekh ker shashder tha
woh mujhse siwa hairaan mila

yeh waqt bhee kitna zalim hay
is hijr may kya kya royae thaay hum
is yaad may kya kya khoye thaay hum

kuch dair to dono chup say rahay
phir ussne kaha, tum kesay hoo?
aur main nay kaha... bus acha hoon
phir ussne kaha yeh itne dinoo k baad ka mila khoob raha
koi purana dost milay tu dilko bhala sa lugta hay
yeh shehar tu bilkul badal gaya,,,, ab chalti hoon
phir main nay kaha,
main shaam samay her roz yahan per ata hoon
jub waqt milay tum ajana
iss waqt mujhe bhee jaldi hay,, ab chalta hoon

yeh waqt bhee kitna zalim hay

Kya Tum Bhi Shaam Ki Dehleez Pe Aas ka Deep jalatay Ho

Kya Tum Bhi ?

Shaam Ki Dehleez Pe
Aas ka Deep jalatay Ho,

Aur

Kisi Aawara Patte ki Aahat Par
Darwaze ki Taraf Bhaage Jatay ho,

Kya Tum Bhi ?

Dard Chupane Ki Koshish krte krte
Aksar Thak se jatay ho

Aur bila Waja muskratay ho

Kya Tum Bhi ?

Neend se pehle palkon per
dhairon khwab sjatay ho

ya phir bister per lait kar 
rote rote so jatay ho

Kya Tum Bhi ?

ankho se ashk mitaao tou kya hasil hoga


ankho se ashk mitaao tou kya hasil hoga
gam-e-zafar kisiko sunao tou kya hasil hoga 

rah gayi kuch kasar mere ilm-e-pyaar mien
bewafa use zaban karu tou kya hasil hoga...

agar un lamho ko bhulane ki koshish karu
tou unke yado ko jalane se kya hasil hoga 

rael ki patri ki tarah juda hi rahenge
phir khwab sajanese kya hasil hoga...

tere har sath mien sath de bhi gayi
tu sath na de tou kya hasil hoga 

dil ki zakhmo se mai kuch likh bhi lu
shayri ke aine se dikha bhi du 
tou kya hasil hoga....

Intezare-e-saba raha barsoon


Intezare-e-saba raha barsoon!
Ek dareecha khula raha barson

Aik din un ka pyar barsa tha 
Aur mai bheegta raha barson

Unki ankhon k jaam yaad rahe
Bin piye b nasha raha barson

tub kahin ja k aik ghazal likhi
Mai use sochta raha barson

Fasle kam na ho sake Faraz
Aamna saamna Raha barson

Bas ye hi gila hai zindagi se


Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se 
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se

Kitni saada Kitni pyari Kaanch ki choori jesi larki


Kitni saada

Kitni pyari

Kaanch ki choori jesi larki,

College ky ik kamry me bethi,

Jany kya kuch soch rhi thi,

Uska hath kalai par tha,

Or wo kuch kuch khofzada thi,

Ab kia hoga?

Main bhi us k pas hi betha,

Usko ghaur se dekh rha tha,

Menay uska hath pakra,

Aur pyar se pucha,

Kiya Qissa hy?

Uski ankhen bheeg gaen,

Aur wo dheemi si awaz me boli...

Dekho...!!

"Chorri toot gai....!!

Kisi K Liye Zindagi Thi


" Kisi K Liye Zindagi Thi " 
" K0i Zindagi K Liye Tha " 
" Kisi Ki Andher0n Me Guzri " 
" K0i Sirf R0shni K Liye Tha " 
" Kisi Nay Kiye Hukam Sadir " 
" K0i Sirf Bandagi K Liye Tha " 
" Kisi Say M0habbat Hai Itni " 
" K0i Sirf Dushmani K Liye Tha " 
" Kisi Say Huay L0g Sairaab " 
" K0i Sirf Tishnagi K Liye Tha " 
" W0 Phir Dunya Me Tha Masr00f " 
" K0i Sirf Usi K Liye Tha " 
" Hua Kya Agar T0r Dala " 
" Ye DiL Bhi T0 Sirf Usi Ke Liye Tha"

Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi


Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi

Honton Pe Wo Bol Na Thay

Hum Thay Uss K Payar K Aashiq

Bas Hathon Mein Kashkol Na Thay

Hum Ne Usko Toot K Chaha

Ye Uss Ka Haq Tha

Lakin

Wo B Hum Ko Toot K Chahe

Hum Itne Anmol Na Thay...!

Tum nay apnay pehlay khat main


Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main 
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain

Waqt-e-dua main ek dua karon


Waqt-e-dua main ek dua karon,
main rab se ek eltija karon,

tu khush rahe,
tu shaad rahe,
teray dil ka angar abaad rahay,
tu har pal yun hi hansa kare,
tu phulon ki manind khila kare,
teri zindagi main koi ghum na ho,
teri aankh kabhi num na ho,
tujhey kisi se koi gila na ho,
koi dukh tujhey mila na ho,
teri rad kabhi dua na ho,
tee lab py koi sada na ho,
tujhey bin mange wo ataa karay,
teri maaf her ek khata karay….!

Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia

Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia, 
Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia. 

Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan 
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia, 

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi 
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya, 

Janay kia usko mukh se thein shikayatein 
Tanhaiyon k dais mein khud ko basa dia, 

Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya 
Muj ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia.....

Adhorey khawab k ander Kabhi palkein


Adhorey khawab k ander
Kabhi palkein bichhana mat 

Adhoorey khawab aankhon ko bohat takleef daitey hein 
Adhori yaad ko dil ki ser-zamee-n mein tum nahi bona

Adhori yaad dharkan mein bohat chubti,sissakti hey 
Khalish ban ker khatakti hey 

Lahoo mein bijliyaa-n ban ker bhatakti hey
Adhorey pyaar ko ……… laikin chalo janey do is ko tum
Mohabbat ,pyaar ,chahat hotey hi adhorey hein

Rona To Bahut Chaha Phir Bhi Aansoon Kam Nikle

  
Rona To Bahut Chaha Phir Bhi Aansoon Kam Nikle
Thod Diya Dil Humara Jaane Kyon Woh Bewafa Sanam Nikle
Aaj Rah Rah Kar Satati Hai Humein Un Dino Ki Yaadein
Jab Tumne Is Pyar Mein Mere Dil Se Kiye The Jhoote Vade
Jaane Kyon Na Pahchan Paaya Main Tumhare Irade
Kaise Is Dil Ko Samjhaaon Jisne Sirf Tumhein Hi Chaha
Or Tumhara Hi Intezaar Kiya
Har Dhadkan Mein Apni Mohabbat Ka Ikrar Kiya
Yeh Pyar Tumhara Jo Ban Chuka Tha Mere Jeene Ka Sahara
Aaj Usi Pyaar Ne Kyon Jeena Mushkil Kar Diya Hai Humara
Ab Main Kis Par Eetbaar Karoon Aur Kiska Intezaar Karoon
Yeh Dil To Keheta Hai Ki Ab Kabhi Na Kisi Se Pyaar Karoon

Kabhi Nazar Se Gira Diya Kabhi Dil Mein Basa Diya


Kabhi Nazar Se Gira Diya Kabhi Dil Mein Basa Diya
Mohabbat Mein TUmne Hamein
Kabhi Hasaya Toh Kabhi Rula Diya
Kabhi Pyar Beshumar Kiya Toh
Kabhie Dard Be Inteha Diya
Apni Deewangi Mein Tumne Hamein
Yeh Kis Makaam Par Pahuncha Diya
Kabhi Mausam Mein Bahar Se Mila Diya
Kabhi Sekhra Mein Tanha Kar Diya
Dil Ko Ek Khilona Samajhkar Tumne
Hamein Har Khel Mein Hara Diya
Kabhi Ummeedo Ko Bhada Diya
Kabhi Mayusion Ne Jeena Dushwar Kiya
Phir Bhi Humdum Humne Tumhein
Pyaar Ki Hadh Se Zyada Pyar Diya

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh


Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh

Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh

Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai
Ae Khud main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi

Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu
Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai

Dard kitne hain bata nahin sakti
Zakhm kitne hain dikha nahin sakti

Ankhon se samjh sako tu samjh lo
Ansoon gire hain kitne gina nahin sakti

Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum


Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.
dil ko nayi dunya dikha kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar roye bohot hai hum.

laut aye to hain us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say aa kar roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kar roye bohot hai hum.

hosla tutnay ka ho to wafa karna kisi say .
yeh batain logon ko suna kar roye bohot hai hum.

phir yun hua kay ankhoon nay kayin rat jagay dekhay.
palkoon pay teri yaad bitha kar roye bohot hai hum.

wohi aj mujh say meray dard ki wajah chatha hai.
jis ki batain aoron ko suna kar roye bohot hai hum

taras na jao kaheen manzil-e-wafa ke liye


taras na jao kaheen manzil-e-wafa ke liye,
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye,

tum apni aahon mein asar na pao ge,
wohi hanse ga jise zakham-e-dil dikhao ge,

phir utha sako ge na haath bhi dua ke liye,
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye,

wafa talash na kar in haseenon mein ,
ke dil nahi pathar hain in ke seenon mein,

yeh to sitam ke liye jafa ke liye,
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye,

yeh dunia haseen qatilon ki basti hai,
yahan muhabaton ko zindagi tarasti hai,

sitam hazar saho ge ik aashna ke liye,
kisi se pyar na kar bethna khuda ke liye

Be Naam Musafir Hoon Be Naam Safar Mera


Be Naam Musafir Hoon Be Naam Safar Mera 
Kis Rah Nikal Jaon Kuch Kah Nahi Sakta 

Be Naam Meri Manzil Be Naam Thikana Hay
Kis Dar Pay Main Ruk Jaon. Kuch Keh Nahi Sakta

Iss Paar To Roshan Hay Sara Mera Rasta 
Us Paar Andhera Ho Kuch Keh Nahi Sakta 

Tinky Ki Tarah Main Bhi Beh Jaon Samandar Main
Mil Jaye Ga Kinara Kuch Keh Nahi Sakta 

Mil Jaye Gi Tabeer Mery Khawaboon K i Aik Din
Ya Khawab Bikhar Jayen Kuch Keh Nahi Sakta

Hum apni Deewangi se jaane jaate hain

Hum apni Deewangi se jaane jaate hain
Wo apni Be-Rukhi se pehchaane jaate hain 

Roz miltey hai lekin, kuch Kehte Sunte nahi
Mere saamne wo Meri Dharkan barhaane aate hain 

Shab-Bhar Intzaar mai Hum Taare dekha karte hai
Sawera hone se pehle wo chand bujhane aate hain 

Bas Ek Nazar ke liye Hum Din-Bhar taraste hain
Wo Shaam ko Gamlon ko Paani pilaane aate hain 

Mere is Haalat pe Hansana nahi MUSAFIR Tuu
Ishq mai sab ke Saamne aise Zamaane aate hain

Baad barson k yeh raaz khula hai hum pay


Baad barson k yeh raaz khula hai hum pay
wo khawab tha jisy hum ny haqeeqat samjha

diya to zihr tha peeny ko magar yaro 
dil-e-nadan ny esy piyaar ka amrat samjha

torra aaina dil ka barri bedardi sy
ous zalim ny jisy khuloos ka paikar samjha

mai kya kroon k tera saath zindgi mein nahi
mai kya kroon k tu mujh ko bewafa samjha

rakhy thay phool amanat magar mily kaanty 
hum ny es ko bhi qudrat ke raza samjha

Dil mein ek koahish hai jo sirf tum sey wabasta hai


Dil mein ek koahish hai jo sirf tum sey wabasta hai
aaj us koahish ka izhar kerna chahti hoon

jahan jahan tum chalo,tu apnay anchal ko
tumharay qadmoon mein phailana chahti hoon

tumharay her ghum ke kantay ko apni,
palkoon sey uthana chahti hoon

jo kabhi aay tumhari rahoon mein andheera tu,
khud dia ban ker jalna chahti hoon

jo lay tumharay hontoon per khushi,
woh muskurahat ban na chahti hoon

dil mein ek koahish hai jo sirf tum se wabasta hai,
aaj us koahish ka izhar kerna chahti hoon

jo saansain tum laitay ho ,un saanson mein bass ker
tumhari mehak banana chahti hoon

jo khowab tum dekho, tu uss khowab ki haqeeqat ban ker
tumhari her koahish pori kerna chahti hoon

jo aay tumhari rah mein kabhi dhoop tu,
uss dhoop mein tumhari chaon ban ker bikharna chahti hoon

jo rahay hamesha tumharay saath ,
woh saaya ban ker chalna chahti hoon

khuch tu kaho mujh sey bas ek bar,
sirf or sirf tumhari ban ker zinda rehna chahti hoon

Har Tamashaee Faqt Sahil Se Manzar Dekhta


Har Tamashaee Faqt Sahil Se Manzar Dekhta 
Kon Darya Ko Ulat'ta , Kon Gohar Dekhta ....

Wo To Dunya Ko Meri Dewangi Khush Aagaee
Tere Haath Mein Wagarna Pehla Pathar Dekhta.

Doobnay Wala Tha Aur Sahil Peh Chehro Ka Hujoom
Pal Ki Muhlat Thi Mein Kis Ko Ankh Bhar Kay Dekhta .

Too Bhi Dil Ko Khoon Ki Ik Boond Samjha Hai Faraz
Ankh Gar Hoti To Qatray Mea Samandar Dekhta

Ek jaisee lagtee hai CHURIYAN aur LARKIYAN


Ek jaisee lagtee hai CHURIYAN aur LARKIYAN
toot ti hai aur hastee hai CHURIYAN aur LARKIYAN

naz ki intiha hai ek zara see thais se
toot kar bikharti hai CHURIYAN aur LARKIYAN

zindagi kee dharkano ko ek ridham sa deti hai
zeest ko sajatee hai CHURIYAN aur LARKIYAN

piyar kee rutoo par bhee kia nikhar ata hai
be waja khanaktee hai CHURIYAN aur LARKIYAN


apne dukhoo ko dil ke sath rakh kar bhool jati hai
kisqadar chamakti hai CHURIYAN aur LARKIYAN

Popular Posts