Monday, August 12, 2013

Jaan Haar Di Mein Ne


Baat Hi Ajab Si Thi,
Rooh Agar Na Deta To,
Saans Deni Parti Thi,
Dil Agar Na Deta To,
Jaan Deti Deni Parti Thi,
Phir Batao Kiya Karta?
Rooh Ko Bachaney Mein,
Saans Waar Di Mein Ne,
Aur Kiya Kahun Dil Ki,
Jaan Haar Di Mein Ne...!!!

Tamana Deed Ki Moosa Kare Aur Toor Jal Jaye

Tamana Deed Ki Moosa Kare Aur Toor Jal Jaye
Ajab Dastoor-E-Ulfat Hai Kare Koi Bhare Koi..!!!!!

Be-Dheyaani

Be-Dheyaani
Kal Uski Aik Choorri Tooti To,
Voh Kuch Afsurda Si Ho Gai Aur Mujhse Kehney Lagi,
Dekho Meri Choori Toot Kar Haath Par Lag Gai Hay,
Aur Ab Dard Hota Hay,
Mujhay Masoomiyat Pe Uski Hansi Si Aa Gai,
Aur Mein Soochney Laga,
K Meri To Hasti Tooti Hay,
Aur Mujhay Pata Bhi Nahi Chala....!!!

Meri Bojhal Tabiyat Ho Gayi To?

Meri Bojhal Tabiyat Ho Gayi To?
Karunga Kiya Mohabbat Ho Gayi To?

Achanak Dard Mujh Mein Aa Basa Gar,
 Shikasta Dil Ki Halat Ho Gayi To?

Mrey Munsif Tera Kiya Haal Hoga?
Kabhi Meri Adalat Ho Gayi To?

Kaha'N Jaien Gey Phir Ye Ehl-e-Danish,
Aqalmandi Jahalat Ho Gayi To?

Yehi Jo Haal Mera Ho Raha Hay,
Yehi Teri Bhi Halat Ho Gayi To?

Muqadma Larr Raha Hun Ehl-e-dil Ka,
Kahi'N Teri Wakalat Ho Gayi To?

Kary Ga Kiya Bana Na Mujh Ko Ahmed,
Kabhi Zaya Riyazat Ho Gayi To?

Bil-Aakhir Yeh Haseen Manzar Mita Dena hi Parta Hai

Bil-Aakhir Yeh Haseen Manzar Mita Dena hi Parta Hai
Kisi ke Sar ko Shaaney se Hata dena hi parta hai

Kisi Dair Aashna ko Jhootey Sachey Kuch Hawaaloo'n se
Taa'aaruf ke liye Sab se Mila Dena hi parta hai

Jo saansoo'n mein mehaktey hain Jo Aankhoo'n mein damaktey hain
Achaanak aik Din unn ko Bhula dena hi Parta hai

Diye jo Ham Jalaatey hain Nihaayet Shoq se Har Shab
Unhein Khud Apni Phoonkoo'n se Bujha dena hi Parta hai

Koi jab Haal Poochta hai Ham se , Kaisa haal hai Sajid
Hamein Mohtaat ho kar Muskura dena hi parta hai

Chamak Uth'tey Hain Sajid* Jab Sitaarey Uss ki Palkoo'm par
Ussey Dil se Laga kar Hosla Dena hi Parta hai

Tujh se bechar k aankh ko num kis liye kare

Tujh se bechar k aankh ko num kis liye kare
Tujh ko melaal nahi tu hum kis liye kare

Duniya ki be rukhi tu nahi hai koi jawaaz
Es sheddat-e-khaloos ko kam kis liye kare

Taa umer kurbton ka tu emkaan he na tha
Aakhier faraq-e-yaar ka ghum kis liye kare

Apna janoon oy daad-o-sataysh se beneyaz
Phir be khudi ka haal raqum kis liye kare

Jin k liye ufaq pe chamkte hain raastein
Matti pe sabt naqsh-e-kadam kis liye kare

Manoos ho chuke hain anderoon sy apne log
Ab ehtejaj subh karam kis liye kare

Sajad koi nayi tu nahi hai yeh terghi
Aakhier melaal-e-shaam alam , kis liye kare

Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha

Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
 Yehi umer thee mere hamnasheen ke kisi se mujh ko bhi pyar tha

Mai samajh raha hoon teri kasak, tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai isi gham ka mai bhi shikaar tha

Faqat aik dhun thee ke raat din usi khaabzaar mai gum rahen
Wo saraapa aisa suroor tha wo khumar aisa khumar tha

Kabhi lamhe bhar ki bhi guftgoo meri us ke saath na ho saki
Mujhe fursaten nahee mil sakin wo hawa ke rath pe sawar tha

Hum ajeeb tarz ke log thay ke hamare aur bhi rog thay
Mai khizan mai uska tha muntazar use intizar-e-bahaar tha

Use padh ke tum na samjh sake ke meri kitaab ke roop mai
Koi qarz tha kai saal ka kai ratjagon ka udhar tha

Besood hame rozan-o-deewar se mat dekh

Besood hame rozan-o-deewar se mat dekh
Hum ujrey huye log hain too pyar se mat dekh

Pasti mai bhatakne ki nidamat na siwa ker
Mud mud ke mujhe rif'ate kohsar se mat dekh

Qeemat na laga jazba-e-eisaar-o-talab kee
Har shay ko faqat chashm-e-kahreedar se mat dekh

Itna to bharam zakhm-e-shanasaai ka rakh ley
Hans ke meri janib sinaf aghyar se mat dekh

Shehr e Khayaal o Khwaab Mein Abaad Ho Gaya

Shehr e Khayaal o Khwaab Mein Abaad Ho Gaya
Itna Usey Parhaa Ke Mujhe Yaad Ho Gaya…

Main Aaj Tak Hun Jis Ke Fareb o Hisaar Mei
Wo Aur Hi Kisi Ka Merey Baad Ho Gaya…

Andhi Hawa Ka Saath Nibhaney Ke Shoq Mei
Koi Tabaah Hua Koi Barbaad Ho Gaya…

Apni To Saari Umer Aseeri Mei Kat Gai
Jis Ne Bhi Haar Maan Li, Azaad Ho Gaya…

Pehle To Tanhayion Se Rahi Guftugoo Meri
Phir Yoon Howa Ke Aaina Eejad Ho Gaya…

Pamaal Ho Gaye Tere Dar Pe Parey Huye

Pamaal Ho Gaye Tere Dar Pe Parey Huye
Jaise Shajar Se TooT Ke Pattey Gire Huye

Naqadri e Zamana Humen Maloom Hai Magar
Yaaron Se Phir Fuzool Ke Shikwe Gile Huye

MehroomioN Ke Bojh Se GardaN Jhukie Hui
NakaamioN Ki Gard Se Chehre Attey Huye

Shayad Tumhe Khabar Ho Batao Wo Qaafile
Thehrey Kahan They Besar o Saman Chale Huye

Janey Kidhar Chale Gaye Saarey Wo Hum Safar
Hum Raah Guzar Mei Reh Gaye Tanhaa Khare Huye

Marte Hain Aarzu Mein Marne ki

Marte Hain Aarzu Mein Marne ki !!
Maut Aati Hai Par Nahi Aati !!

chale jo hoo to bataa k jaao

چلے جو ہو تو بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔

کہ کتنی شامیں اداس آنکھوں میں کاٹنی ہیں ؟
کہ کتنی صبحیں اکیلے پن میں گزارنی ہیں ؟
بتا کے جاؤ کہ کتنے سورج عذاب راستوں کو دیکھنا ہے ؟
کہ کتنے مہتاب سرد راتوں کی وسعتوں سے نکالنے ہیں ؟

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔

کہ چاند راتوں میں وقت کیسے گزارنا ہے ؟
خاموش لمحوں میں تجھ کو کتنا پکارنا ہے ؟

بتا کے جاؤ۔ ۔ ۔ ۔

کہ کتنے لمحے شمار کرنے ہیں ہجر راتوں کے ؟
کہ کتنے موسم ایک ایک کر کے جدائیوں میں گزارنے ہیں ؟

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔

کہ پنچھیوں نے اکیلے پن کا سبب جو پوچھا

تو کیا کہوں گا ۔ ۔ ۔ ؟ ؟ ؟

کسی نے رستے میں روک کر جو مجھ سے پوچھا
کہ پچھلے موسم میں ساےٴ ساےٴ جو اجنبی تھا ۔ ۔ ۔ !!۔

کہاں گیا ہے ۔ ۔ ۔ ۔ ؟؟
تو کیا کہوں گا ۔ ۔ ۔ ۔؟ ؟

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔

میں کس سے تیرا گلہ کروں گا ؟
بچھڑ کے تجھ سے حبیب . . کس سے ملا کروں گا ؟
بتا کے جاؤ کہ آنکھ برسی تو کون موتی چنا کرے گا ؟
اداس لمحوں میں دل کی دھڑکن سنا کرے گا ؟
بتا کے جاؤ کہ موسموں کو پیام دینے ہیں ۔ ۔ ۔ ؟ یا نہیں ؟
فلک کو ، تاروں کو ، جگنوؤں کو سلام دینے ہیں ۔ ۔ ۔؟ یا نہیں ؟

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔

کہ کس پہ ہے اعتبار کرنا ؟
تو کس کی باتوں پہ بےنیازی کے سلسلے اختیار کرنا ؟
بتا کے جاؤ کہ اب رویوں کی چال کیا ہو ؟
جواب کیا ہو ؟۔ ۔ ۔ سوال کیا ہو ؟ ۔ ۔ ۔
عروج کیا ہو ؟ ۔ ۔ ۔ ، زوال کیا ہو؟ ۔ ۔ ۔

نگاہ ، رخسار ، زلف ، چہرہ . . نڈھال کیا ہو ؟

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔

کہ میری حالت پہ چاندنی کھلکھلا پڑی تو

میں کیا کروں گا ۔ ۔ ؟؟

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔

کہ میری صورت پہ تیرگی مسکرا پڑی تو

میں کیا کروں گا ۔ ۔ ۔ ؟؟

بتا کے جاؤ کہ تم کو کتنا پکارنا ہے ؟
بچھڑ کے تجھ سے یہ وقت کیسے گزارنا ہے ؟
اجاڑنا ہے ۔ ۔ ۔ ۔ ؟ نکھارنا ہے ۔ ۔ ۔ ؟

چلے جو ہو تو ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ !!

کہ لَوٹنا بھی ہے ۔ ۔ ۔ ؟؟ یا ۔

Sar-e-Raah Haal Poochnay waalo

Sar-e-Raah Haal Poochnay waalo
Haal-e-Dil Itna Mukhtasir to Nahi...

Jo Mere Dil Ki Lahad Main Dafan Howa Tha Kabhi

Jo Mere Dil Ki Lahad Main Dafan Howa Tha Kabhi
Wo Marr Gaya Magar Uska Khayal Zinda Hai

mita deti hai saare khoof dil se

مٹا دیتی ہے سارے خوف دل سے
بسا کر روح میں اک ڈر محبت

phirte hain saath saath tamaam raat mager

پھــــرتے ہیں ســاتھ ســاتھ تمـــام رات مگر ~
~ لوگ اسکو چاند، اور مجھے آوارہ کہتے ہیں

mere khloos ki gehrai se nahi milte

مرے خلوص کی گہرائی سے نہیں ملتے
یہ جھوٹے لوگ ہیں سچائی سے نہیں ملتے

وہ سب سے ملتے ہوئے ہم سے ملنے آتا ہے
ہم اس طرح کسی ہرجائی سے نہیں ملتے

Meri tehreer k aansoo

سنا ھو گا بہت تم نے
کہیں آنکھوں کی رم جھم کا
کہیں پلکوں کی شبنم کا

پڑھا ھو گا بہت تم نے
کہیں لہجے کی بارش کا
کہیں ساغر کے آنسو کا.

مگر تم نے میرے ہمدم ۔۔
کہیں دیکھے ؟ کہیں پرکھے ؟
کسی تحریر کے آنسو ؟

مجھے تیری جُدائی نے
یہی معراج بخشی ھے

کہ میں جو لفظ لکھتا ھوں
وہ سارے لفظ روتے ھیں
کہ میں جو حرف بُنتا ھوں
وہ سارے بَین کرتے ھیں

میرے سنگ جُدائی میں
میرے الفاظ مرتے ہیں

سبھی تعریف کرتے ھیں
میری تحریر کی لیکن ۔۔
کبھی کوئی نہیں سُنتا
میرے الفاظ کی سسکی

فلک بھی جو ھلا ڈالے
میرے لفظوں میں ھیں شامل
اُسی تاثیر کے آنسو !
کبھی دیکھو میرے ہمدم

میری تحریر کے آنسو

jal chuke khuwab to phir aag bhojane aaya

جل چکے خواب تو پھر آگ بجھانے آیا
اک نئے ڈھنگ سے وہ چوٹ لگانے آیا

موم کے پل سے گزر کر مجھے جانا تھا وہاں
اور سورج ہی مرا ساتھ نبھانے آیا

بالمقابل ہے خزاں، آئینہ خندہ زن ہے
شہر ماضی کو بھلا کون بسانے آیا

میرے پیروں تلے آنکھیں جو بچھاتا تھا کبھی
کانچ کی کرچیاں وہ راہ میں سجانے آیا

Us k Taiver Bta rahy hain Mujhe

Us k Taiver Bta rahy hain Mujhe...,
Khawab Saaray bikhrnay wale hain,.

keh raha tha sakoon milta hai

کہہ رہا تھا سکون ملتا ہے
جب تجھے بےقرار کرتا ہوں

sirf thakan par hi nahi mookoof

صرف تھکن پر ہی نہیں موقوف
یادیں بھی جسم چور چور کرتی ہیں

iltija ka malaal kiya kijiye

التجا کا ملال کیا کیجئے
ان کے در پر کہیں پڑی ہو گی

اے عدم کے مسافرو ! ہشیار
راہ میں زندگی کھڑی ہو گی

Thora Saa Safar Bas Aur Thora Saa

Thora Saa Safar Bas Aur Thora Saa
Issi Aas Pey Tu Ney Buht Thakaa Diya Zindagi

Sulagg Raha Houn Main Dheerey Dheerey

Sulagg Raha Houn Main Dheerey Dheerey
Magar Kisi Pey Ayaan Nahin Hay!

wo Aagg Dil Men Lagi Hay Jismen,
Tapish Hay Lekin Dhuuan Nahin Hay!

Tumharey Gham Ne Sikha Diya Hay,
Mujhey Her Ek Gham Sey Pyaar Karna!

Gham e Jahaan Bhee Yaqeen Maano,
Mizaaj e Dil Pey Giraan Nahin Hay!

Khudaa Ki Bastee Men Har Qadam Per,
Koi Hay Giryan Kisi Kay Gham Men!

Ye Dard To Darde Mushtarik Hay,
Ye Aankh PurNam Kahan Nahin Hay!

Mataae Umre Aziz Saari,
Ganwaa Chukay Per Safar Hay Jaari!

Ajeeb Sauda Hay Aashqii Ka,
Fikare Soodo Ziyaan Nahin Hay!

Besabab To Na theen teri Yaadein!

Besabab To Na theen teri Yaadein!
Teri Yaado Say Kiya Nahin Seekha!
Zabt Ka Housla Barha Layna!
Aansoo’n Ko Kaheen Chhupa Layna!
Kaanpti Doultee Sadaaon Ko!
Chupp Ka Roug Laga Layna!
BeSabab Bhee
Kabhee Kabhee Hansna!
Jab Bhee Ho Koi Baat Talkhee Ki!
Guftugoo Ka Rukh Badal Dayna!
BeSabab To Na Theen Teri Yaadein!
Teri Yaadon Say Kiya Nahin Seekha!

Khuda jaane tumhaare zehen main kia hai

Khuda jaane tumhaare zehen main kia hai
Mere baare mai tum kia sochti ho keh nahee sakta
Magar mai is liye milney se katraata hun tum se
Ke wo baten jo hum likhte hain aapne khat mai chahat se
Wo baaten aur baaten hain
Wo baten aisi baten hain ke bas baaten hi baten hain
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se
Haqeeqat munkashif hoti nahee alfaz likhne se
Zubani giftgoo se bahami izhar-o-arz-e-hal kerne se
Bahut si aisi baaten hain
Jinhen sunne ko kaano ki nahee aankhon ki haajat hai
Agar tum mujh se milne per bahut israar kerti ho
To phir aik shart hai
Aik lafz bhi kehna na hoton se
Faqat aankhon se aankhen guftgoo kerti rahen
Khala apne sawaalon ka
in aankhon ki sadayen khud bakhud bharti rahengi
Agar milna zaroori hai
To chhoti si meri yeh shart apne zehen mai rakhna!!!

Jis ne Merey Sapney Loot liye

Jis ne Merey Sapney Loot liye
Meri aankhein Jis ne Cheeni Hain
Uss Shakhs ki Zahreeli baatein
Amrat hi Samajh kar Peeni Hain
Zakhmoo'n ki to koi Baat Nahi
Jazboo'n ki Qubaayein Seeni hain
Ehsaas yeh Rakhna hai Har dam
Koi Dukh na karey Nashaad Ussey
Allah Rakhey Aabaad Ussey
Ik Doosrey ke Dukh Sukh ke Amee'n
Ham jab Tak Achhey Meet Rahey
Dharti ke Mehaktey Hontoo'n Par
Chahat ke Suhaaney Geet Rahey
Jisey Yaad Karein Sab Dil Waley
Ham Aisi Anokhi Reet rahey
Ab Apney Haal pe Kya Royein
Jaise bhi Hain Yeh Din Beet Rahey
Par Uss ke liye Apni hai Dua
Har Gaam pe Us ki Jeet Rahey
Hasil ho Qad-e-Shamshaad Ussey
Allah Rakhey Abaad Ussey
Uss ne to Mujhey Radd kar hi Diya
Tha Haqq-e-Istardaad Ussey
par Marey Jigar se Nikli hui
Pohancha de Koi Faryaad Ussey
Koi Aur Ussey Majnoo Chahey
Koi Aur Miley Farhaad Ussey
Phir Aaye gi Meri Yaad Ussey
Allah Rakhey Aabaad Ussey !

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ka Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !

Bohat Mumkin tha

Bohat Mumkin tha
Merey Paoo'n , Meri Zeest ke
Kaantey Nikal Jaatey
Bohat Mumkin tha
Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey
Jo Deewaarein Merey Raste mein Haayel Thein
Merey Aagey Se Hatt Jaatein
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein
Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani mein
Tumhaarey Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ?
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !

Ham Uss Faza mein bhi Jaltey Rahey Kisi ke Liye

Ham Uss Faza mein bhi Jaltey Rahey Kisi ke Liye
Jahan Charaagh Tarastey they Roshni ke Liye

Maira Saya Bhi Mujh Se Kho Gaya Hay

Maira Saya Bhi Mujh Se Kho Gaya Hay,
Nahee Hona Tha Jo Voh Ho Gaya Hay,

Ye Kaisey Phool Hein Jo Khil Uthey Hein,
Voh Kaisey Beej Mujh Mein Bo Gaya Hay,

Mein Apni Baat Bhi Sunta Nahi Ab,
Khuda Janey Mujhay Kiya Ho Gaya Hay,

Numaya'n Karb Hay Chehrey Se Ab To,
Voh Mujh Mein Hijr Aisey Bo Gaya Hay,

Kiya Kia Ja'ey Ab Batlao Ahmed,
Muqaddar Bhi Tumhara so Gaya Hay....!!!

na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai

na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushi ka rang liye har malaal aayaa hai


wo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhi
mitaa kisi pe to kaisaa bahaal aayaa hai

zubaa.N pe harf-e-talab bhii nahi koi phir bhi
nigaah-e-dost mein rang-e-jalaal aayaa hai

kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhi
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai

nahi hai tum se koi dosti bhi ab to magar
qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai

ajanabi Khauf fizaaon mein basaa ho jaise

ajanabi Khauf fizaaon mein basaa ho jaise
sahar kaa shahar hi aaseb_zadaa ho jaise

 raat ke pichhale pahar aati hai.n aawaazein sii
 duur saharaa mein koi chikh rahaa ho jaise

dar-o-divaar pe chaai hai udaasi aisi
aaj har ghar se janaazaa-saa uthaa ho jaise

 muskuraataa hoon pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise

ab agar Duub gayaa bhii to marungaa na 'Kamaal'
bahate paani pe mera naam likhaa ho jaise

bichar gaye to phir bhi milenge hum dono ek baar

bichar gaye to phir bhi milenge hum dono ek baar
yaa is basti dunyaa mein yaa iski hadon se paar
lekin Gham hai to bas itna jab hum wahaan milenge
ek duusre ko ham kaise tab pahchaan sakenge
yahii sochte apnii jagah par chup chup khaRe rahenge
isse pahle bhii ham donoN kahiiN zaruur mile the
yeh pahchaan ke naye shaguufe pahle kahaaN khile the
yaa is bastii dunyaa meN ya iskii hadoN se paar
bichhaR gaye haiN mil kar donoN pahle bhii ek baar

Khalish-e-hijr-e-daayami na gayi

Khalish-e-hijr-e-daayami na gayi
tere ruKh se ye beruKhi na gayi

puuchhate hain ke kya hua dil ko
husn vaalon ki saadagi na gayi

sar se saudaa gaya muhabbat ka
dil se par is ki bekali na gayi

aur sab ki hikaayatein kah dein
baat apni kabhi kahi na gayi

ham bhii ghar se 'Munir' tab nikale
baat apanon ki jab sahi na gayi

Siyaah hijer gaya zard intezaar gaye

Siyaah hijer gaya zard intezaar gaye
kisi ka dard gaya dard k hisaar gaye

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gaye

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gaye

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larhey jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gaye

bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gaye

kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gaye

na chaand atqa kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gaye!!

Sehen-e-Ghurbat Mein Aye Mout Dair Sey Mat Ayaa Ker

Sehen-e-Ghurbat Mein Aye Mout Dair Sey Mat Ayaa Ker
Kharch Tadfeen Kaa Lag Jata Hay Beemari Par

Mere Alfaaz Hi Parda Hein Mere Chehrey Ka

Mere Alfaaz Hi Parda Hein Mere Chehrey Ka
Mein Hoon Khamosh Jahan Mujh Ko Wahan Sey Suniye

mujhko surat nahi dikhati jo


mujh ko bilkul bhi ab nahi hota


ya to saanson se jor de mujhko


kiya karein haal hi kuch aisa tha


mohabbat dard e dil ya judai


na jane kyu magar yak-daam


udaasiyon ko apne dil se aab nikaal zara


aab to sehra k hi hawalay hai


Apne Jaado Chalana Kahin Aur Tum

Apne Jaado Chalana Kahin Aur Tum,
Es Tarah Muskurana Kahi'N Aur Tum,

Kuch Bhi Kar Lo Mgar Ab Na Pighlo'nga Mein,
Ye Adaien Dikhana Kahi'N Aur Tum,

Zakhm Se Bhi Mra Kuch Na Bigrey Ga Ab,
Apne Khanjar Chalana Kahi'N Aur Tum,

Ab Ye Mairey Liye Qeemti Bhi Nahee,
Jaan Apni Ganwana Kahi'N Aur Tum,

Khair Maqdam Kary Ga Na Koocha Mra,
Chupkey Se Loat Jana Kahi'N Aur Tum,

Sakht Uljhan Thi Mumkin Na Kuch Bhi Howa,
Ye Kahaani Banana Kahi'N Aur Tum,

Mairi Aankho'n Se Kuch Bhi Na Tapkey Ga Ab,
Be-Baso'n Ko Rulaana Kahi'N Aur Tum,

Ye Nidamat Nahi Mujhko Sab Hay Khabarr,
Aisey Nazrein Jhukana Kahin Aur Tum,

Taira Ahmed Tha Mein Yaad Hay Tujhko Kiya?
Dhoondna Ab Dewaana Kahi'N Aur Tum...!!!!

zakham taaza hoo gaye


mere dushman ko kiya ho gaya hai


tere siwa qaraar kisi ne nahi diya



ek zaat baqi hai


ek tera ghum jo paal betha hoon


Popular Posts