Roz Badhti Hoon Jahanse Aage,
Phir Wahin Laut Ke Aa Jaati Hoon,
Baarha Tod Chuki Hoon Jinko,
Inhi Diwaron Se Takraati Hoon,
Roz Basate Hai Kayi Shaher Naye
Roz Dharti Mein Sama Jaate Hai,
Zal-Zalon Mein Thi Zara Si Girah,
Wo Bhi Ab Roz Hi Aa Jaate Hai...
Jism Se Rooh Talak Ret Hi Ret,
Na Kahin Dhoop Na Saaya Na Saraab,
Kitne Armaan Hai Kis Sehra Mein,
Kaun Rakhta Hai Mazaaron Ka Hisaab,
Nafz Bujhti Bhi Bhadakti Bhi Hai,
Dil Ka Shauk Hai Ghabrana Bhi,
Raat Andhere Ne Andhere Se Kaha,
Ek Aadat Hai Jiye Jaana Bhi...
Ek Hi Rang Ki Hoti Hai Samajh Le,
Ek Hi Chaal Bhi Paimana Bhi,
Goshe Goshe Mein Khadi Hai Masjid,
Mushkil Kya Ho Gayi Maykhane Ki,
Koi Kehta Tha Samundar Hoon Main,
Aur Meri Jeb Mein Qatra Bhi Nahin,
Khairiyat Apni Likha Karti Hoon,
Ab To TaQdeer Mein Khatra Bhi Nahi...
Apne Haathon Ko Padha Karti Hoon,
Kabhi Quraan Ki Zubaan Ki Tarah,
Chand Rekhaon Mein Samaun Main,
Zindagi Qaid Hai Armaan Ki Tarah,
Pyar Karne Kab Wo Aayega Malum Nahi,
Kaash Nafrat Karne Hi Wo Aa Jaata...