Tuesday, November 30, 2010

Tera youn sab khuch keh jana acha laga mujko



Tera youn sab khuch keh jana acha laga mujko
Tera youn muskurana khilkhilana acha laga mujko

Khuch lafzon sey bandhye hui teri ye nazam
Iss ka her lafz khud ko sunana acha laga muj ko

Masal di hai qadmo taley us ney masoomiat jana
Be hiss, ghudgerz ban jana acha laga mujko



Main ye bhi janti houn be derd hai ye ishq
Per iss derya main doob jana acha luga muj ko

Pasand muj ko bhi nahin hain sookhye gulab jana
Tera wo mehkta hua phool dena acha laga mujko

Khelti tu ab bhi houn mazi ki guriya sey
Us ki yadon main chupa hua derd sehna acha laga mujko


Tum ney kaha ishq main sitarey toot jatey hain
Tootey sitaron ko bahon main sametna acha laga muj ko

Tum ney kaha ishq main saharey rooth jatey hain
Ishq main uska sahara pana acha laga muj ko

Tum ney kaha furqat key musam main derd miltey hain
uski khatir derd main ansoo bahana acha laga mujko

Tum ney kaha perhayi per tawaja doun
Kitab key her lafz main uska aks nazar ana acha laga mujko

Tum ney kaha khat mat likhna bari ruswayi hoti hai
Mager jana apni muhabat ko khat main utarna acha laga muj ko

Tum ney kaha phone mat kerna awazein aur sadayen dill dukhati hain
Mager jeeney ka ye hi sahara dhoondna acha laga mujko

Tum ney kaha meri nazmein nahin perhna jiya
Suno jana iss key her lafz main apni muhabat ko pehchanana acha laga mujko

Tera youn sab khuch keh jana acha laga mujko
Tera youn muskurana khilkhilana acha laga mujko

ARZOO HAI KEY TUM KO BHI MILEY BE-WAFA KOI


ARZOO HAI KEY TUM KO BHI MILEY BE-WAFA KOI
MERI TERHAN AZAAB-E-TANHAYI KAREY SAHA KOI

JIS TEHAN DILL KA KHOON KIYA HAI MAIN NEY
TEREY SATH BHI AISA KAREY BURA KOI

TAKLEEF A AHSSA NA JAYE NAS NAS SEY TERI
TUM KO BHI NA KHYE APNA KOI

AYE DIL NA BHOOLNA USS SHAKS KO TAMAM UMER
KAREY US KO BHI SAR-E-RAH TANHA KOI

dil hai heere kii kanii, jism gulaaboN vaalaa


dil hai heere kii kanii, jism gulaaboN vaalaa
meraa mahaboob hai dar_asl kitaaboN vaalaa

husn hai, raNg hai, shoKhii hai, adaa hai us meN
ek hii jaam magar kitnii sharaaboN vaalaa

yaar aa_iinaa huaa karate haiN yaaroN ke liye
teraa cheharaa to abhii tak hai naqaaboN vaalaa

mujh se hogii nahiiN duniyaa, ye tijaarat dil kii
maiN karooN kya ke mera zahan hai KhvaaboN vaalaa

too rahegaa, na tere zulm raheiNge baaqii
din to aanaa hai kisii roz hisaaboN vaalaa

husn-e-bebaak se ho jaatii haiN aaNkheiN roshan
dil meN utraa hai magar roop hijaaboN vaalaa

jo nazar aataa hai haasil nahiiN hotaa ''Manzar''
ziNdagaanii kaa safar bhii hai saraaboN vaalaa

yahi huaa ki hawaa le gayii urhaa ke mujhe


yahii huaa ki hawaa le gayii uRhaa ke mujhe
tujhe to kuchh na milaa Khaak meN milaa ke mujhe

bas ek gooNj hai jo saath-saath chaltii hai
kahaaN ye chhoRh gaye faasale sadaa ke mujhe

chiraaGh thaa to kisii taaq hii meN bujha rahtaa
ye kyaa kiyaa ki havaale kiyaa, hawaa ke mujhe

ho ek adaa to use naam dooN tamanna kaa
hazaar raNg haiN is shola-e-hinaa ke mujhe

bulaNd shaaKh se uljha thaa chaaNd pichhale pahar
guzar gayaa hai ko_ii Khwaab sa dikhaa ke mujhe

hazaar baar khula zehan baadbaaN kii tarah
nukoosh-e-paa na mile umr-e-baad paa ke mujhe

maiN apnii mauj meN Dooba huaa zaziira hooN
utar gayaa hai samaNdar bulaNd pa ke mujhe

wo teer chhorha huaa to usii kamaan ka tha


wo teer chhoRha huaa to usii kamaan ka tha
agarche haath, kisii aur meharbaan ka thaa

guzar rahaa thaa vo lamha jo darmiyaan ka thaa
magar ye waqt baRhe saKht imtihaan ka thaa

pataa nahiiN, ki judaa ho ke, kaise ziNda rahe
hamaara uska ta'alluk to jism-o-jaan ka thaa

hawaa to chaltii hii rahtii hai is samaNdar meN
qasoor ko_ii agar thaa to, baadbaan ka thaa

vahii kahaanii kabhii jhooTh thii, kabhii sach thii
zaraa sa farq agar thaa to bas, bayaan ka thaa

qadam-qadam pe naye maNzaroN kii hairat thii
tirii galii ka safar thaa, ki ik jahaan ka thaa

ham apne naam ke hisse ko DhooNDhte bhii kahaaN
zamiiN ke paas jo kuchh thaa, aasmaan ka thaa

kahiiN zameen pe saanii nahiiN milaa uskaa
vo shaKhs jaise kisii aur aasmaan ka thaa

aur kyaa hai tirii bastii meN pariishaanii mujhe


aur kyaa hai tirii bastii meN pariishaanii mujhe
har qadam par Toktii hai marg-saamaanii mujhe

do pariNde ek hii patthar se maare waqt ne
aag bastii ko ataa kii, aaNkh ka paanii mujhe

jiska vaada thaa ki pahnaaega taaroN kii qabaa
jaate-jaate de gayaa balboos-e-uriyaanii mujhe

aaiina aur apnii soorat ye hai terii kaaynaat
kyaa karega mushta'il apna hii ziNdaanii mujhe

mera chup rahna bhii ai ''NaadaaN'' bahut mahaNga paRha
baKhsh dii qaatil ne maqtal kii nigahabaanii mujhe

jo ho sakaa na judaa mujh se door jaa kar bhi


jo ho sakaa na judaa mujh se door jaa kar bhi
maiN mutma'in hooN use haath se gaNvaa kar bhii

agarche vajah-e-aziiyat haiN uskii yaadeN bhii
milaa hai chain magar kab use bhulaa kar bhii

ugaa diyaa hai to kar sabz pairahan bhii ataa
maiN yooN to raazii hooN baNjar zamiin paakar bhii

jo saNg lagtaa thaa niklaa vo ru'ii kaa gaalaa
maiN muNtashir na huaa uskii chouT khaa kar bhii

bujhaaye bujh nahiiN saktii badan kii aag kabhii
ki ab to dekh liyaa KhwaahisheN dabaa kar bhii

vah chashm-e-tar thii ki kaarooN ka Khazaana bhii
rahii bharii-ki-bharii sad-guhar luTaa kar bhii

haiN aaj dafn kitaaboN meN uskii tasviireN
jo ''cornice'' pe rakhii thiiN kabhii sajaa kar bhii

zamiir kii jo adaalat meN aagaye ''Khalid''
vo surKharoo na huaa Khoon meN nahaa kar bhii

vaaizaa ! masjid se ab jaate haiN maiKhaane ko ham


vaaizaa ! masjid se ab jaate haiN maiKhaane ko ham
pheNk kar zarf-e-vajoo lete haiN paimaane ko ham

kyaa magas baiThe bhalaa us shola_roo ke saamne
apne daaghoN se jalaa dete haiN parvaane ko ham

tere aage kahte haiN gul khol kar baazoo-e-barg
gulshan-e-aalam se haiN taiyaar uRh jaane ko ham

kaun kartaa hai butoN ke aage sajdaa zaahida
sar ko de-de maar kar toRheiNge butkhaane ko ham

baaNdhte haiN apne dil meN zulf-e-jaanaaN ka Khayaal
is tarah zaNjeer pahnaate haiN deevaane ko ham

aql kho dii thii jo ai ''NasiKh'' ! junoon-e-ishq ne
aashna samjhaa kiye ik umr begaane ko ham

zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare haiN


zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare haiN
log jitne muKhlis haiN zaKhm utne gahare haiN

phool haiN yahaaN kaaNTe, jism haiN yahaaN patthar
kis jahaaN ke vaasi the, kis nagar meN Thahare haiN

ziNdagii ka darvaaza khaT_khaTa ke dekhaa hai
is makaan ke maalik, mar chuke ya bahare haiN

mujrim-e-muhabbat hai sher kii adaalat meN
soch ke salaasal haiN, dard ke kaTahare haiN

kis ke tan kii raNgiinii mauj_zan hai seene meN
aaNkh bhii gulaabii hai, ashk bhii sunahare haiN

bhiigtii hawaaoN ke dosh par chale aao
ghaas ke samaNdar par sabz-sabz lahareN haiN

kaise maiN adab kii had faaNd kar piyooN ''Shahid''
ras bharii un aaNkhoN par jab hayaa ke pahare haiN

husn baazaar huaa kyaa ki hunar Khatm huaa


husn baazaar huaa kyaa ki hunar Khatm huaa
aayaa palkoN pe to aaNsoo ka safar Khatm huaa

mere sach ne hii akelaa mujhe kar ke chhoRha
raftaa-raftaa miraa logoN pe asar Khatm huaa

ziNdagii toone ajab jaNg ka maidaan diyaa
maiN na ziNdaa hii bachh aur na Dar Khatm huaa

umr bhar tujh se bichhaRhne kii kasak hii na gayii
kaun kahtaa hai muhabbat ka asar Khatm huaa

nayii ''colony'' meN bachhoN kii zideiN le to gayiiN
baap-daada ka banaaya huaa ghar Khatm huaa

jaa, hamesha ko mujhe chhoRh ke jaane vaale
tujh se har lamha bichhaRhne ka to Dar Khatm huaa

kabhi KhaNda, kabhi giriyaaN, kabhii raqsaaN chaliye


kabhi KhaNda, kabhi giriyaaN, kabhii raqsaaN chaliye
door tak saath tire, umr-e-gurezaaN chaliye

zauq-e-aaraaish-o-gulkaari-e-ashk-e-KhooN se
ko_ii bhii fasl ho, firdaus-b-daamaaN chaliye

rasm-e-deriina-e-aalam ko badal ne ke liye
rasm-e-deriina-e-aalam se gurezaaN chaliye

aasmaanoN se barastaa hai aNdheraa kaisaa
apnii palkoN pe liye jashn-e-charaaghaaN chaliye

shola-e-jaaN ko hawaa detii hai Khud baad-e-samoom
shola-e-jaaN kii tarah chaak_girebaaN chaliye

aql ke noor se dil kiijiye apnaa raushan
dil kii raahoN se soo-e-maNzil-e-insaaN chaliye

gham nayii subh ke taare kaa bahut hai lekin
le ke ab parcham-e-Khurshiid-e-zar_afshaaN chaliye

sar-b-kaf chalne kii aadat meN na farq aajaaye
koocha-e-daar meN sarmast-o-ghazal_KhwaaN chaliye

phir aap ne dekhaa hai muhabbat kii nazar se


phir aap ne dekhaa hai muhabbat kii nazar se
guzare na kahiiN gardish-e-dauraaN bhii idhar se

poochheN to zaraa pech-o-Kham-e-raah kii baateN
kuchh log abhii lauT ke aaye haiN safar se

shaayad kahiiN sooraj kii kiran shaam ko phooTe
ham sham'a jalaaye hue baiThe haiN sahar se

logo merii aashuftaa_sarii par na karo taNz
ilzaam utaaro us zulf ke sar se

taare to apnii chamak dikhaate haiN sahar tak
dil Doobne lagtaa hai magar pichhale pahar se

harchand unheiN ahad faraamosh na hogaa


harchand unheiN ahad faraamosh na hogaa
lekin hameiN us waqt ko_ii hosh na hogaa

dekhoge to tumheN aayegii apnii vafaa yaad
Khaamosh jise paaoge, Khaamosh na hogaa

ham apnii shikastoN se haiN jis tarah baghal_giir
yooN qabr se bhii ko_ii ham_aaghosh na hogaa

pii jaate haiN zahr-e-gham-e-hastii ho ki maiy ho
ham-sa bhii zamaane meN balaanosh na hogaa

hone ko to duniya meN kaii pardaa_nashiiN haiN
lekin terii soorat ko_ii rooposh na hogaa

paaoge na aazaad-e-gham ''Anjum'' kisii dil ko
hogaa gham-e-fardaa jo gham-e-dosh na hogaa

Aalii'' terii yaad rahii ik arsey tak diivaanoN meN



''Aalii'' terii yaad rahii ik arsey tak diivaanoN meN
aise vaHshii kam dekhe jo rah na sakeN viiraanoN meN

apnaa ghar kyaa ghar thaa lekin haaN ik ghar ka naam sa thaa
terii tavajjoh se ab vo bhii, shaamil hai viiraanoN meN

ek tamanna, ek sahaara, ek tasavvur, ek junooN
phir bhii vo mere dil kii baateiN rakhte haiN afsaanoN meN

tajziyaa-e-ehsaas pe har gham hauslaa-e-majrooh mila
lekin ye kyaa aag hai jiska khoj nahiiN armaanoN meN

kaifiyat kii baat alag hai chaaho jis par dil rakkho
ham ko bhii to pyaar se dekho ham bhii haiN insaaoN meN

itnii qadr hu_ii par ab tak unse daad kii Khwaahish hai
itnii umr gaNvaaii ''Aalii'' phir bhii rahe naadaanoN meN

muddat se DhooNDhatii hai kisii kii nazar mujhey


muddat se DhooNDhatii hai kisii kii nazar mujhey
maiN kis muqaam par hooN, nahiiN hai khabar mujhey

aavaaragii uRhaaye phirii misl-e-boo-e-gul
ko_ii pukaartaa hii rahaa umr bhar mujhey

yooN jaa rahaa hooN jaise na phir aaooNgaa kabhii
muRh-muRh ke dekhtii hai terii rah_guzar mujhey

kyaa jaane kis khayaal se cheharaa damak uThaa
maiN chaara_gar ko dekhtaa hooN chaara_gar mujhey

maNzil pe aa ke ''Shaad'' ajab haadisaa huaa
maiN hamsafar ko bhool gayaa hamsafar mujhey

Khand-e-lab se gham-e-dil ko nikhaara jaaye


Khand-e-lab se gham-e-dil ko nikhaara jaaye
ziist ka qarz saliiqe se utaara jaye

kisii cheHre pe tabassum, na kisii aaNkh meN ashk
ajnabii shahar meN, ab kaun dubaaraa jaaye

shaam ko baada_kashii, shab ko terii yaad ka jashn
mas'alaa ye hai ki, din kaise guzaaraa jaaye

too kabhii dard, kabhii shola, kabhii shabnam hai
tujhko kis naam se, ai ziist pukaaraa jaaye

Das liyaa hai kisii naagin ne tujhe jazb-e-shauq
ab ye zid kyooN hai, ki zahar utaaraa jaaye

haarnaa baazi-e-ulfat ka hai ik khel magar
lutf jab hai ki, ise jiit ke haaraa jaaye

us muqaddhar ke saNvarne ki duaa kyaa maaNge
jo teree chashm-e-karam se na saNvaaraa jaaye

gham-e-dauraaN, gham-e-jaanaN, gham-e-hastii ''Sahir''
bojh ko_ii bhii ho, sar se na utaaraa jaaye

Phoolon ki Tahaniyon pe nasheman banaayiye


Phuulon ki Tahaniyo.n pe nasheman banaayiye
bijali gire to jashn-e-charaaGaa.N manaayiye

kaliyon ke ang ang me.n miThaa saa dard hai
biimaar nikahato.n ko zaraa gud_gudaayiye

kab se sulag rahii hai javaanii kii garm raat
zulfe.n bikher kar mere pahaluu me.n aayiye

bahakii hu_ii siyaah ghaTaao.n ke saath saath
jii chaahataa hai shaam-e-abad tak to jaayiye

sun kar jise havaas me.n ThanDak sii aa base
aisii ko_ii udaas kahaanii sunaayiye

raste pe har qadam pe Kharaabaat hai.n "Adam"
ye haal ho to kis tarah daaman bachaayiye

Bimaar hain to ab dam-e-isaa kahan se aaye


Bimaar hain to ab dam-e-isaa kahan se aaye
us dil men dard-e-shauq-o-tamannaa kahan se aaye

bekaar sharaa-e-lafz-o-maanii se faayedaa
jab tuu nahin to shahar men tujh saa kahan se aaye

har chashm sang-e-Khizb-o-adaavat se surKh hai
ab aadami ko zindagii karana kahan se aaye

vahashat havas ki chaat gai Khaak-e-jism ko
be-dar gharon men shaql ka saaya kahaan se aaye

jad se ukhad gaye to badalatii ruton se kya
be-aab aainon men saraapaa kahan se aaye

saayon pe aitamaad se ukta gayaa hai jii
tuufaan men zindagi ka bharosaa kahan se aaye

Gam ke thapere le gaye naagin se lambe baal
raaton men jangalon ka vo saayaa kahan se aaye

'Naheed' faishanon ne chhupaaye hain aib bhi
chashmen na hon to aankh ka pardaa kahan se aaye....!!!!

Is qadr raat gaye kyun mulaqati hai


Is qadr raat gaye kyun mulaqati hai
aesa lagta hai koi Yad chali aati hai

...Main ne chaha, na kaha aur na khwahish ki kabi
Tere khoonche mein teri aab o Hawa laati hai

Ye sitery to yunhi sath chale aate hain
warna Ye chand akela Mera Baraati hai

Main to dushman k bicharne pe bhi roya hun bohat
Tu to phir Yar hai aur Yar bhi jazbaati hai

Kis qadr ghaao hain Maloom nhi hai k abhi
Jism se Rooh ka rishta to Muzafati hai

Haye! Kya Log the Pamaal hue Mere liye
Aur Kehne ko Mera sara safr Zati hai

safa e dehar pe fitrat ne likha hai Mera Naam
Tum samjhte ho k Ye Faisla Lamhaati hai...!!!!!

Main hadso0n se jaam Lrata chaLa gya


Main hadso0n se jaam Lrata chaLa gya,,
hnsta hansata, peeta piLata chaLa gya..

...Utne hi ikhtLaf ubhrte chaLy gae,,
jitne taLuqat brhata chaLa gya..

Tofan k rehm pr then fqer0n k kshtiyaan,,
tofaa'n hi kshtiy0n ko chaLata chaLa gya..

Duniya meri khushi ko bht ghorti rhi,,
maim zindgi ka saaz bajata chaLa gya..

Ati rhi jawab main awaz.e.baz'ghsht,,
jb tk main us hase'n ko bulata chaLa gya..

Wo rafta rafta jaam piLate chaLy gae,,
main rafta rafta hosh main ata chaLa gya..

Hr mae'kdy se aik aqedat thi ay ADAM,,
hr mah'jben se aankh miLata chaLa gya..

Lutf wo ishq main pae hain k ji janta hai


Lutf wo ishq main pae hain k ji janta hai,,
ranjj b itne uthae hain k ji janta hai..

Jo zamany k sitm hain wo zamana jane,,
tu ne diL itne dukhae hain k ji janta hai..

Tum nhi jante ab tk ye tumhare andaz,,
wo mere diL main sama'ey hain k ji janta hai..

Inhi qdmo0n ne tumhare, inhi qdmo0n ki qsm,,
khak main itne miLae hain k ji janta hai..

Dosti main teri dr'prda hamary dushman,,
es'qdr apne para'ey hain k ji janta hai..

Muskurate hue wo mjma-e-aghyar k sath,,
aaj yun bzm main aye hain k ji janta hai..

DAGH-warfta ko hum aaj tere kochey se,,
es'trhaan kheeench k Lae hain k ji janta hai..

Aaj apni mohabbat ko naya mor diya usne


Aaj apni mohabbat ko naya mor diya usne,
mere liye baalon ko khula chor diya usne...

mein ne kaha tha us'ko chaho ge mujh ko kitna,
halka sa muskra kar haal-e-dil suna diya us ne...

kyun pyr na karon mein us jaan-e-dillagi say,
merey liye to sab ko chor diya usne...

wo bewafa nahi tha par dil jala raha tha,
jab hum ne dil jalaya to dil tor diya usne...

tum pyar ho hamare hum pyar hain tumhare,
par mil saken ge hum na ro ro k kaha usne...

Aaj apni mohabbat ko naya mor diya usne,
mere liye baalon ko khula chor diya usne...

tzzad-e-jazbat main ye nazuk muqam aya to kya kro gay


Tzzad-e-jzbat main ye nazuk muqam aya to kya kro gy,
Main ro rha hoon to hns rhe ho, main muskuraya to kya kro gy.

Mujhe to is drja wqt-e-rukhst sakoo'n ki talqeen kr rhe ho,
Mgr kuch apne liye b socha, main yaad aya to kya kro gy.

Kuch apne dil pr bhi zkhm khao, mre laho ki bahar kb tk,
Mujhe sahara bnaney walo, main lar'kharaya to kya kro gy.

Tumhare jalwoo'n ki roshni main, nzr ki hairaniyan musallm,
Mgr kisi ne nzr k bdle dil azmaya to kya kro gy.

Utr to skte ho paar lekin, ma'aal pr bhi nigah kr lo,
Khuda'na'krda sukoon-e-sahil na raas aya to kya kro gy.

Abhi to tnqeed ho rhi hai mre mazaq-e-junoo'n py lakin,
Tumhari zulfoo'n ki brhami ka sawal aya to kya kro gy.

Abhi to daman chura rhe ho, bigar k QABIL se ja rhe ho,
Mgr kbhi dil ki dhrkno'n main shareek paya to kya kro gy.

Sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat kare.n


Sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat kare.n
Khudaa milaa ho jinhe.n vo Khudaa kii baat kare.n

...unhe.n pataa bhii chale.n aur vo Khafaa bhii na ho
is ehatiyaat se kyaa mazaa kii baat kare.n

hamaare ahad kii tahaziib me.n qabaa hii nahii.n
agar qabaa ho to band-e-qabaa kii baat kare.n

har ek daur kaa mazahab nayaa Khudaa laataa
kare.n to ham bhii magar kis Khudaa kii baat kare.n

vafaa_shiyaar ka_ii hai.n ko_ii hasii.n bhii to ho
chalo phir aaj usii bevafaa kii baat kare.n

Dard Kaisa Bhi Ho Aankh NaM Na Karna


Dard Kaisa Bhi Ho Aankh NaM Na Karna,
Raat Kaali Sahi Kio GaM Na Karo,

Ek Sitara Bano JagMagate Raho,
Zindagi Mein Sada Musukrate Raho,

Baantni Hai Agar Baant Lo Har Khushi,
GaM Na Zahir Karo TuM Kisi Par Bhi,

Dilki Gehrayi Mein GaM Chhupate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho,

AshQ AnMol Hai Kho Na Dena Kahin,
Inki Har Boond Hai Motiyon Se Haseen,

Inko Har Aankh Se TuM Churate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho,

Faasle KaM Karo Dil Milate Raho,
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho...

Agar Talash Karo To Koi Mil Hi Jayega


Agar Talash Karo To Koi Mil Hi Jayega,
Magar Kaun TuMhari Tarahse HuMko Chahega,

TuMhe Zaroor Koi Chahaton Se Dekhega,
Magar Wo Aankhein HaMari Kahanse Layega,

TuMhare Saath Ye MausaM Gulabon Jaisa Hai,
TuMhare Baad Ye MausaM Bada Satayega...

Lafz Anokhe Kya Laayega Tera Shaa'ir,


Lafz Anokhe Kya Laayega Tera Shaa'ir,
Kaha Hua Hi Dohrayega Tera Shaa'ir,

Apna Kal Jab Saaf Dikhayi Deta Ho To,
Kaise Khudko Behlayega Tera Shaa'ir,

Kuredte Kuredte Khoon Ugalne Lag Jayega,
Sheron Mein Yun Rang Laayega Tera Shaa'ir,

Aadhi Beeti Beetne Ko Hai BaaQi Aadhi,
GuM-NaaMi Mein GuM Jayega Tera Shaa'ir...

Tere Hijr Mein HuM Bekaar Gaye AyaaM Pe MaataM Karte Hai


Tere Hijr Mein HuM Bekaar Gaye AyaaM Pe MaataM Karte Hai,
Har Subah Pe MaataM Karte Hai, Har ShaaM Pe MaataM Karte Hai,

Yun Paas HaMare Jo Hasti Shah-Rag Se Bhi Zyada Rehti Hai,
Use Chahna Tujhe Pyaar Kiya, Har GaM Pe MaataM Karte Hai,

Main AashiQ, Shaa'ir, Tanha Hoon, Mere Ghar Mein Hai Aisi Veerani,
Yaa Sard Hawaon Ke Jhaunke Dar-O-BaaM Pe MaataM Karte Hai,

Muflis Jo Hue To SaaQi Ne Phir Muh Hi Lagana Chhod Diya,
Pehle May Pee Kar Haste The Ab JaaM Pe MaataM Karte Hai,

Shab Bhar Hi Yahan Parwano Ki TaQdeer Pe ShaMMa Roti Hai,
Dildaar Bhi Kya Deewano Ke AnjaaM Pe MaataM Karte Hai...

Bohut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai


Bohut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

kare na jag mein alaav to sher kis maqasad
kare na shahar mein jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist mein raqam kyaa hai

sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo
bohut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai

lihaaz mein ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar mein ab Khizr kaa bharam kyaa hai

Andaz hu-ba-hu teri awaz_e paa ka tha


Andaz hu-ba-hu teri awaz_e paa ka tha
Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha

Dil raakh ho chuka to chamak aur barh gai
Ye teri Yad thi k amal Kiimiya ka tha
...
Iss rishta_e Lateef k israar kya khulein
Tu samne tha aur taswar Khuda ka tha

Chup chup k Rou.nn aur sar_e anjuman Hansu,nn
Mujh ko Ye mashwara mere Dard_e ashna ka tha

Utha ajab tzaad se insan ka khmeer
aadi fana ka tha to Pujaari Baqqa ka tha

Hairaan hon k daar se kaese bacha Nadeem"
Wo shaqs to ghareeb_o ghyoor inteha ka tha...

Dil-E-Bechain Ko Qaraar Kahan Aata Hai


Dil-E-Bechain Ko Qaraar Kahan Aata Hai,
Mar Bhi Jaaye To Sukoon Kahan Aata Hai,

Main To Intezar Mein Uske Chaukhat Par Baitha Hoon,
Dekho Ke Ab Ke Wo Chand Mere Aangan Mein Kab Aata Hai,

Jal Rahe Hai Mere Sapno Ke Makaan,
Dekho Ke Ab Ke Wo Roshni Lene Kab Aata Hai,

Mere ZakhM To Ab Nasoor Ban Chuke Hai,
Dekhte Hai Ke MarhaM Lagane Kaun Aata Hai,

Raahein To Main Uski Takta Hi Rahunga,
Dekhte Hai Ke Ab Ke Wo Palat Kar Kab Aata Hai...

Wo Sitara Jo AasMan Mein Hai


Wo Sitara Jo AasMan Mein Hai,
Meri Palkon Ke DarMiyan Mein Hai,

Kis Tarah Hue Dilke Tukde,
Teer To Ab Tak GuMan Mein Hai,

Koi Surat Nahi Behlane Ki,
Har Ghadi Wo Jo Mere Dhyan Mein Hai,

Wo Kahan Qissa-E-Mohabbat Mein,
Jo Maza Apni Daastan Mein Hai,

Isne Jab Se Nasb-E-Dil Badla,
Zindagi Apni IMtehaan Mein Hai,

Dil Mein Yun To Koi Nahi,
Ek Saaya Par Makan Mein Hai...

Door Tak Phaila Hua Ek WeheM Reh Jayega

Door Tak Phaila Hua Ek WeheM Reh Jayega,
Tu Nahi Hoga To In Aankhon Mein Kya Reh Jayega,

Apne Darwaze Par Dastak Doonga Tere NaaM Ki,
Khud Se Milne Ka Yehi Ek Raasta Reh Jayega,

Harf Parchayi Ki Soorat Nind Mein Beh Jayegi,
Aur Kitab-E-UMar Ka Safah Khula Reh Jayega,

Rafta Rafta Tab Hi Ek Din Bhool Jayega Mujhe,
Ek Din Mujhko Bhi Tera Dhyan Reh Jayega,

Tere Sathi Tere DushMan Ki Tarah Ho Jayega,
Is Bhare Mele Mein Tu Beasra Reh Jayega,

Har ZaMane Ke Liye Zinda Hawala Hoon SanaM,
Main Chala Jaunga Mera Tazkara Reh Jayega...

Waisy to Bahut se raaste aate hain mere dil ki taraf


Waisy to Bahut se raaste aate hain mere dil ki taraf,

Raah-e-khuloos se aana to faasla kam parey ga.

Kitabon Mein Mere Fasane Dhundte Hain


Kitabon Mein Mere Fasane Dhundte Hain,
Nadaan Hai Guzre ZaMane Dhundte Hain,

Jab Wo The, Talash-E-Zindagi Bhi Thi,
Ab To Maut Ke Thikane Dhundte Hain,

Kal Khud Hi Apni Mehfil Se Nikala Tha,
Aaj Hue Se Deewane Dhundte Hain,

Musaafir Bekhabar Hai Teri Aankhonse,
Tere Sheher Mein Maikhane Dhundte Hain,

Tujhe Kya Pata Aye SitaM Dhaane Wale,
HuM To Rone Ke Bahane Dhundte Hain,

Unki Aankhon Ko Yun Dekho Na SanaM,
Naye Teer Hai Nishane Dhundte Hain...

Dil Dhala Aur Yaadon Ke Tarane Chale Aaye


Dil Dhala Aur Yaadon Ke Tarane Chale Aaye,
Wo Phir Ankhonko Rulane Chale Aaye,

Khayalon Ke Aanchal Mein Bandh Ke,
Jaise Dilko SaMjhane Chale Aaye,

Aadat Hai Dilko Diye Ki Tarah Jalne Ki,
Wo Hawaon Ki Tarah Ise Bujhane Chale Aaye,

Ye Dard Unke Hi KaraM Se Aabad Hai,
MarhaM Banke Ye ZakhaM Mitane Chale Aaye...

Mere Baad Kidhar Jayegi Tanhayi


Mere Baad Kidhar Jayegi Tanhayi,
Main Jo Mara To Mar Jayegi Tanhayi,

Main Jab Ro Ro Ke Dariya Ban Jaunga,
Us Din Paar Utar Jayegi Tanhayi,

Tanhayi Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Dun,
Socho Kis Ke Ghar Jayegi Tanhayi,

Veerana Hoon Aabadi Se Aaya Hoon,
Dekhegi To Dar Jayegi Tanhayi,

Yun Aao Ke Paanv Ki Bhi Aawaz Na Ho,
Shor Hua To Mar Jayegi Tanhayi...

Guroob-E-ShaaM Hi Se Khud Ko Yun Mehsoos Karta Hoon


Guroob-E-ShaaM Hi Se Khud Ko Yun Mehsoos Karta Hoon
Ki Jaise Ek Diya Hu Or Hawa Ki Zad Pe Rakha Hoon

ChaMakti Dhoop TuM Apne Hi DaaMan Me Rakh Lena
Main Saari Raat Pedon Ki Tarah Baarish Me Bheega Hoon

Koi Toota Hua Rishta Na DaaMan Se Ulajh Jaye
TuMhaare Saath Pehli Baar Bazaaron Me Nikala Hoon

Yeh Kis Awaaz Ka Bosaa Mere Honton Pe Kaanpa Hai
Main Pichli Shab Sadaaon Ki Halavat Bhool Baithaa Hoon

Bichad Ke TuM Se Maine Bhi Koi Saathi Nahi Dhoondha
HujuM-E-Rahguzar Mein Door Tak Dekho Akela Hoon...

Dil Ki Ladi Ko Aur Wo Badha Rahe Hai Aaj


Dil Ki Ladi Ko Aur Wo Badha Rahe Hai Aaj,
Sar-Ta-Paa Bahar Bane Jaa Rahe Hai Aaj,

Jaise Ke Ho Raha Hai Tuloo-E-Aftab-E-Naaz,
Kuch Aisi Shaan Se Wo Chale Aa Rahe Hai Aaj,

Thukra Ke Iltija Ko Paa-E-Guroor Se,
ArMano Ka Wo Khoon Kiye Jaa Rahe Hai Aaj,

Wo Pyar Ki Fizayein Wo Rangeen Sohbatein,
Manzar Wo Saare ShauQ Ke Yaad Aa Rahe Hai Aaj,

Gila Karein Bhi To Kis Baat Ka Karein,
Apne Kiye Ki Aap Saza Paa Rahe Hai Aaj...

TuM Aaj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Yeh Aazmaaish Na Baar Baar Hogi


TuM Aaj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Yeh Aazmaaish Na Baar Baar Hogi
Main Jaanta Hu Mujhe Khabar Hai Ke Kal Fiza Khushgawaar Hogi

Raah-E-Mohabbat Mein Zindagi Bhar Rahegi Yeh KashMakash Baraabar
Na TuMko Qurbat Mein Jeet Hogi Na Mujhko FurQat Mein Haar Hogi

Hazaar Ulfat Sataye Lekin Mere Iraadon Se Hai Ye MuMkin
Agar Sharaafat Ko TuMne Chedaa To Zindagi TuM Pe Waar Hogi ....

Jamaal-e-yaar ko dekhoon kamal-e-yaar se pehle


Jamaal-e-yaar ko dekhoon kamal-e-yaar se pehle
Men khushbu ki tarha mehkoon khayal-e-yaar se pehle

Karishme husn ke sooraj sitare phool zahir hain
Magar men kis taraf dekhoon misaal-e-yaar se pehle

Duaon men meri yun to bohut taaseer hai lekin
Men Khuda se aur kya maangun sawal-e-yaar se pehle

Hai aadat door rehne ki agar wo saamne aye
Men shaam-e-zindagi chahun wisaal-e-yaar se pehle

rag-o-jaan main dard samaa chukaa, mere chara-jaan davaa na de



rag-o-jaan main dard samaa chukaa, mere chara-jaan davaa na de!
meri zindgi to simat chali mujhe ab fareb-e-baqaa na de!!

tu agar hai malik-e-bakht- o-jaan mere maula meri ye baat rakh
Iss kajj-adaaee ke daur mein mujhe haq-ravi ki sazaa na de

ka’ee aafaton se bachaa liyaa ka’ee andhioN se chupaa liya
ye chirag phir bhi chirag hai, kahin koi jhonkaa bujhaa na de

ye hai ahl-e-hashma- ke anjuman yahaN haque-nava’on ka kaam kya!
wo ‘sufi-faqir’ ko dekhnaa koi raaste se hataa na de!!

TuMne Suli Pe Latke Jise Dekha Hoga


TuMne Suli Pe Latke Jise Dekha Hoga,
WaQt Ayega Wohi Shakhs Masiha Hoga,

Khwab Dekha Ya Ke Sehra Mein Basera Hoga,
Kya Khabar Thi Ke Yehi Khwab To Saya Hoga,

Main Fizaon Mein Bikhar Jaunga Khushbu Bankar,
Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga...

Tumko Hum Dil Mein Basa Lenge Tum Aao To Sahi


TuMko HuM Dil Mein Basa Lenge TuM Aao To Sahi,
Saari Duniya Se Chhupa Lenge TuM Aao To Sahi,

Ek Wada Karo Ab HuMse Na Bichhdoge Kabhi,
Naaz HuM Saare Utha Lenge TuM Aao To Sahi,

Bewafa Bhi Ho SitaMgar Bhi Jafa-Pesha Bhi,
HuM Khuda TuMk Bana Lenge TuM Aao To Sahi,

Yun To Jis SiMt Nazar Uthti Hai Tareeki Hai,
Pyaar Ke Deep Jala Lenge TuM Aao To Sahi,

Ikhtalfaat Bhi Mit Jayengi Rafta Rafta,
Jis Tarah Hoga Nibha Lenge TuM Aao To Sahi,

Raah Tareek Hai Aur Door Hai Manzil Lekin,
Dard Ki ShaMein Jala Lenge TuM Aao To Sahi...

Tumhe Bhul Jaun Ye Hota Nahi


TuMhe Bhul Jaun Ye Hota Nahi,
Koi WaQt Ho Dard Sota Nahi,

Na Ho Jao BadnaaM TuM Is Liye,
Main Ro Roke DaaMan Bhigota Nahi,

Ye Fasl Hai Jo Uge Khud Ba Khud,
Koi Dard Ke Beej Bota Nahi,

Ye Mana Ke Toofan Ka Zor Hai,
Main Ghabra Ke Kashti Dubota Nahi...

Kabhi To Dil Mein Unke Bhi Mera Khayal Aata Hoga



Kabhi To Dil Mein Unke Bhi Mera Khayal Aata Hoga,
Dil Kuch Guzre Hue LaMhon Ko Dohrata To Hoga,

Kabhi To Chhalakte Honge Unki Aankh Se Bhi Do Aansu,
Wo Judai Ka SaMa Unko Bhi To Rulata Hoga,

Uthte Honge Unke Bhi Dil Mein Na Jane Sawal Kitne,
Koi To Mohabbat Ka Sawal Bhi Unka Dil Gungunata To Hoga,

Meri Tarah Pee Liya Karte Honge Kya Wo Bhi AshQ Apne,
Kya Unki Aankhon Ko Bhi Ye Dard Chhipane Ka KaMaal Ata Hoga...

mahandi Un k hathon mei lga do Yaaro


mahandi Un k hathon mei lga do Yaaro,
muJ ko b meri asal rah dikha do Yaaro,

pehna k muJe meri hi gurbat ka kafan,
Un pe surakh Jorra saJa do Yaaro,

naam likh do Un ka khushiyon ki dewaar pr,
mera naam_o nishan Dunya se mita do Yaaro,

waqt aakhari hai teri Dunya mei Iss Deewane ka,
ho ske to mere mehbob ko bta do Yaaro,

suna hai aaJ Us ki Dolli Iss gali se guzre gi,
meri maiyyat ko Iss raste se hta do Yaaroo...!

matlab nikal gia to pehchante nahi


matlab nikal gia to pehchante nahi,
Yun Ja rahe hain Jese humein Jante nahi,
apni Gharz thi tb to lipatna qabool tha,
bahon k dairon mei simatna qabool tha,
ab hum bula rahe hain to mantey nahi,
hum ne tumhein pasand kiya,, bura kiya,
rutba hi kuch buland kiya,, kya bura kiya,
her ek gali ki khaak to hum chaante nahi,
matlab nikal gia to pehchante nahi...!

Hum say dekhi nahi jati yeh Veerani dil ki


Hum say dekhi nahi jati yeh Veerani dil ki,
Koi samjha hay na samjhay ga kahani dil ki,

Tammana Ishq ki barbaad ker gayee hum ko,
Hum jisay aaj bhi kehtay hain nadaani dil ki,

Jab bhi dekha usay dharkan na phir sambhal payee,
Ab bhi mansoob usi say hay rawani dil ki,

Hum na badlay magar duniya he badal gayee,
Wahi dil hay wahi adat hay purani dil ki…

lahaq hay yahan marz muhabbat ka sabhi ko


lahaq hay yahan marz muhabbat ka sabhi ko...
iss sheher k logon main ye waba aam bohat hay.......!

her darja sharafat ka libada hay orha,
aur dil main haqarat ki bala aam bohat hay.........!

rishton ka yahan paass to rakhty hain sabhi,
...par hairat hay k lutnay ki sada aam bohat hay.........!

dawa hay k her fard wafadar hai yahan,
hay darj kitabon main jafa aam bohat hay.........!

tum naiq tamanain to rakhtay ho bohat qateel,
iss sheher main naiki ki saza aam bohat hay..............!

Manzil Ke Paas Hi Rishte Ki Dhool Hai


Manzil Ke Paas Hi Rishte Ki Dhool Hai,
Jab Wo Nahi To Apne Ye Jazbe Fazool Hai,

Jo Roothna To Khwab Me Bhi Aana Chhodna,
Kis Kadar Jangasal Tere Jaana Usool Hai,

SabayaM FaQat Dil Hi Jale Kyon FaraaQ Mein,
Aankhein Bhi JurM-E-Chah Mein Barabar ShaMool Hai...

Main Aise Shakhs Ki MaasooMiyat Par Kya Likhun


Main Aise Shakhs Ki MaasooMiyat Par Kya Likhun,
Jo Mujhe Apni Khataon Mein Bhi Bhala Hi Laga,

Na Mere Lutf Par Hairan, Na Apni Uljhan Par Pareshan,
Mujhe To Ye Shakhs Har Shakhs Se Juda Hi Laga,

Zuban Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai,
Aankh Uthayi Jab Bhi To Bolta Hi Laga...

raat charaaGhoN ki mahfil meN, shaamil ek zamaana thaa


raat charaaGhoN ki mahfil meN, shaamil ek zamaana thaa
lekin saath meN jalne vaalii, raat thii yaa parwaanaa thaa

Khizr nahiiN rahzan hii hogaa, raah meN jis ne looT liyaa
lekin yaaro shak hotaa hai, kuchh jaanaa pahchaana thaa

shab bhar jis rudaad-e-alam par, ashk bahaate guzarii thii
subah hu_ii to hamne jaanaa, apnaa hii afsaanaa thaa

kaun hamaare dard ko samjha, kisne Gham meN saath diyaa
kahne ko to saath hamaare, tum kyaa, ek zamaanaa thaa

log isey jo chaahe kah leN, apnaa to ye haal rahaa
sirf unhiiN se zaKhm mile haiN, jin se kuchh yaaraana thaa

maslahtoN kii is bastii meN, lab khulte, yah taab naa thii
vaz'a junooN kii baat na poochho, vo bhii ek bahaana thaa

talKhi-e-Gham pahuNche the bhulaane, sood-o-ziyaaN meN uljhe haiN
baadaa_faroshoN kii maNDii thii, naam magar mai_Khaanaa thaa

nabz kii Khaatir ham ne apnaa, zauq-e-talab badnaam kiyaa
aaj vahii kahte haiN haNs kar, shaayar thaa, diivaanaa thaa

Ghaaze kii tah utar gayii, chehra nikhar gayaa


Ghaaze kii tah utar gayii, chehra nikhar gayaa
sailaab-e-ashk ab ke baRhaa kaam kar gayaa

ab maiN hooN aur bar'Hna haqaaiq kii talKhiyaaN
goyaa har ek Khwaab ka nashsha utar gayaa

patta giraa to shaaKh kii aaNkheN chhalak paRhiiN
taa'ir uRhaa to peRh judaaii se Dar gayaa

tanhaaiyoN kii shaam baRhii Khaufnaak thii
maiN aap apnii zaat ke andar bikhar gayaa

shahnaaiyoN kii gooNj meN ik chiiKh dab gayii
ik devtaa hayaat ka be_maut mar gayaa

pyaasii zamiin dhoop meN jaltii rahii ''JamaaN''
muNh pher kar qareeb se dariyaa guzar gayaa

jaane kyaa hogaa har ik dil ko ye dhaRhka kyaa hai?


jaane kyaa hogaa har ik dil ko ye dhaRhka kyaa hai?
door tak phailaa huaa Khauf kaa saayaa kyaa hai?

bahar-o-bar vaadii-e-saharaa meN hai halchal kaisii?
ye ufuq-ta-b-ufuq shor-saa barpaa kyaa hai?

bain kartii hu_ii chaltii hai hawaa kyoN sar-e-shaam?
dil kaa maaraa ko_ii raatoN ko sisaktaa kyaa hai?

kyaa hai ye soz-e-darooN jis se sulagtaa hai badan?
jo baRhaktaa hai dil-o-jaaN meN vo sholaa kyaa hai?

dam-b-dam uThatii haiN kis yaad kii lahreiN dil meN?
dard rah-rah ke ye karvaT-sii badaltaa kyaa hai?

kaisii talKhii hai ki nas-nas meN basii jaatii hai
zahar-sa ko_ii rag-o-pai meN utartaa kyaa hai?

bujh gayii shamm-e-nazar jab vo chehraa chamka
dil jo Dooba to ab chaaNd-saa niklaa kyaa hai?

bevazn baat ban ke giraaN_baar aa paRhi



bevazn baat ban ke giraaN_baar aa paRhi
aafat ajiib aaj sar-e-yaar aa paRhii

qadamoN pe apne mujhko jhukaane uThaa thaa vo
paaNoN meN uske apnii hii dastaar aa paRhii

toofaaN se jaNg haar ke fauj-e-shinaavaraaN
saahil pe misl-e-mauj-e-subuk_saar aa paRhii

jab ghar luTe to raat thii, Ghalbaa thaa niiNd ka
majboor ho ke Khalq sar-e-daar aa paRhii

detii thii jisko zuNbish-e-abroo zubaaN ka kaam
ye usko kyoN zaroorat-e-guftaar aa paRhii

is jurm meN ki usne musaafir ko dii panaah
saaye pe apne TooT ke deevaar aa paRhii

baad_az_shikast haath lagaa dostoN ke chup
daaman meN mere jur'at-e-izhaar aa paRhii

ham kaar-o-baar meN the to anmol thii anaa
bikne ko ab ye jiNs bhii baazaar aa paRhii

daur-e-KhizaaN ke baad bhii nam_diida ham rahe
aaNkhoN meN yaad-e-gul sifat-e-Khaar aa paRhii

aavezaaN misl-e-marg-musalsal jo sar pe thii
jaaN chhuT gayii ki mujh pe vo talwaar aa paRhii

jab bhii milii hai uskii nazar se nazar. ''Nazar''
maqte meN ik latiif-sii takraar aa paRhii

kisii jaanib se bhii paracham na lahoo ka nikla


kisii jaanib se bhii paracham na lahoo ka nikla
ab ke mausam meN bhii aalam vahii hoo ka nikla

dast-e-qaatil se kuchh ummiid-e-shifa thii, lekin
nok-e-KhaNjar se bhii kaaNTa na guloo ka nikla

ishq ilzaam lagaata thaa havas par kyaa-kyaa
ye munaafiq bhii tere vasl ka bhookha nikla

jii nahiiN chaahta maiKhaane ko jaayeN, jab se
sheKh bhi bazm_nashiiN ahal-e-suboo ka nikla

dil ko ham chhoRh ke duniya kii taraf aaye the
ye shabistaaN bhii usii Ghaaliya_moo ka nikla

ham abas sozan-e-rishta liye galiyoN meN phire
kisii dil meN na ko_ii kaam rafoo ka nikla

yaar be_faiz se kyooN ham ko tavaqqo thii ''Faraz''
jo na apna, na hamaara, na udoo ka nikla

aur kuchh der yooN hii shor machaaye rakhiye


aur kuchh der yooN hii shor machaaye rakhiye
aasmaaN hai to usey sar pe uThaaye rakhiye

uNgaliyaaN gar nahiiN uTheiN, to na uTheiN lekin
kam se kam us kii taraf aaNkh uThaaye rakhiye

baarisheN aatii haiN toofaan guzar jaate haiN
kohsaaroN kii tarah paaNv jamaaye rakhiye

khiRhkiyaaN raat ko chhoRha na kareN aap khuliiN
ghar kii hai baat to phir ghar meN chhipaaye rakhiye

ab to aksar nazar aa jaata hai dil aaNkhoN meN
maiN na kahtaa thaa ki paanii hai dabaaye rakhiye

kaun jaane ki vo kab raah idhar bhool paRhe
apnii ummiid kii sham'oN ko jalaaye rakhiye

kab se darvaazoN ko dahliiz tarastii hai ''Nizam''
kab talak gaal ko kohanii pe Tikaaye rakhiye

dil kii baateN kisii haNsiiN se kaheN



dil kii baateN kisii haNsiiN se kaheN
par kaheN bhii to kis yaqiiN se kaheN

barf sii jam rahii hai hoToN par
kiske ruKhsaar-e-aatishiiN se kaheN

har jagah hai too is fasaane meN
too jahaaN se kahe, vahiiN se kaheN

ham to samjhaa ke haar baiThe haiN
aap hii kuchh dil-e-hajiiN se kaheN

aaNsuoN kii kahaaniyaaN ai ''Taaj''
kab tak apnii hii aastiiN se kaheN

kaisa chalan hai gardish-e-lail-o-nihaar ka


kaisa chalan hai gardish-e-lail-o-nihaar ka
shikva har-ek ko hai Gham-e-rozgaar ka

TooTii jo aas jal gaye palkoN pe sau chiraaGh
nikhra kuchh aur husn shab-e-intizaar ka

is ziNdagii kii ham-se haqiiqat na poochhiye
ik jabrr, jisko naam diyaa intizaar ka

Khushboo-e-gul bhii laaii hai yaad-e-chaman ke saath
ehsaan mujh pe yeh hai naseem-e-bahaar ka

yah kaun aa gayaa mirii bazm-e-Khayaal meN
poochha mizaaj kisne dil-e-sogvaar ka

dekho phir aaj ho na kahiiN Khoon-e-etimaad
dekho na TooT jaaye fusooN aitibaar ka

''Mumtaaz'' ho na jaaye muqaddar udaasiyaaN
fasl-e-KhizaaN meN Khwaab na dekho bahaar ka

hunar ko Dhoondti phirti thi duniya chaarsoo barson


hunar ko Dhoondti phirti thi duniya chaarsoo barson
zamaane bhar kii hamne khaak chhaanii koo-b-koo barsoN

namaaz-e-ishq se pahle bahut kii hai vazoo barasoN
jo dil TooTe to aaNkhoN se Tapaktaa hai lahoo barasoN

ilaahii fan kii duniyaa par kabhii to noor barsaa de
rahe urdu meN taabiNdaa ghazal kii aabroo barasoN

tabassum kii binaa par Dasne wale Das hii lete haiN
saNbhal kar paaliyegaa aastiinoN meN adoo barasoN

hathelii bhooltii jaatii hai sab meNhdii ke gul-booTe
dil-e-aashiq ko rakhtii hai magar ye surkh_roo barasoN

rafoo_gar dete aaye haiN tasallii umr bhar lekin
jo dil par zaKhm aa jaye, nahiiN hotaa rafoo barsoN

''Munavvar'' sumiye taqdeer se ab tak na paRh paye
kitaab-e-zindgii rakhii rahii hai roo-b-roo barasoN

jab bhii dekha mere kirdaar pe dhabba koi


jab bhii dekha mere kirdaar pe dhabba koi
der tak baiTh ke tanhaaii meN royaa koi

log maazii ka bhii aNdaaza lagaa lete haiN
mujhko to yaad nahiiN kal ka bhii qissa koi

be_sabab aaNkh meN aaNsoo nahiiN aaya karte
aap se hogaa yaqeenan meraa rishtaa koi

yaad aane lagaa ek dost ka bartaav muje
TooT kar gir paRha jab shaaKh se patta koi

baad meN saath nibhaane kii qasam khaa lena
dekh lo jaltaa huaa pahale pataNgaa koi

usko kuchh der sunaa leta hooN roodaad-e-safar
raah meN jab kabhii mil jaata hai apnaa koi

kaise samajhega bichhaRhna vo kisii ka ''Raana''
TooT'te dekhaa nahiiN jisne sitaara koi

shiddat-e-garmi-e-ehsaas se jal jaaooNga


shiddat-e-garmi-e-ehsaas se jal jaaooNga
barf hooN haath lagaaya to pighal jaaooNga

too ravaaN hai mirii nas-nas meN haraarat ban kar
tujh-se bichhaRha to isii aag meN jal jaaooNga

vahii nazaroN ka bhaTakna, vahii aavaara-shabii
maiN ye samjha thaa tujhe pa ke saNbhal jaaooNga

maiN ne maana too ghaTaa hai magar itna na baras
maiN bhii dariyaa hooN kinaaroN se ubal jaaooNga

mujhko dohraayega sadiyoN mire fann ka jaadoo
maiN hooN naGhma tirii aavaaz meN Dhal jaaooNga

maiN tire haath kii rekhaa hooN mujhe Ghaur se paRh
kam huaa teraa tajassus to badal jaaooNga

roz aajaaya karo usne kahaa hai ''Raashid''
aaj saRhkoN pe bhaTak looN, vahaaN kal jaaooNga

kyooN Khilwat-e-Gham meN rahte ho, kyooN gosha_nashiiN bekaar hue ?



kyooN Khilwat-e-Gham meN rahte ho, kyooN gosha_nashiiN bekaar hue ?
aakhir tumheiN sadmaa kyaa poNhcha, kyaa soch ke Khud aazaar hue ?

kyooN saaf kushaada rastoN par, tum ThokareN khaate phirte ho ?
kyooN tiira-o-taar sii galiyoN meN, tum aan ke Khush_raftaar hue ?

kyooN rastaa chhoRh ke chalte ho, kyooN logoN se katraate ho ?
kyooN chalte-phirte apne liye, tum aap hi ik deewaar hue ?

kyaa uTh'te baiTh'te sochte ho, kyaa likhte paRhte rahte ho ?
is umr meN ye be_kaifii kyooN, kis vaaste nek_atwaar hue ?

kyooN aise safar par nikle ho, maNzil nahiiN jis kii bhii ko_ii ?
kyooN raah pe aisii chalte ho, saaye bhii jahaaN diiwaar hue ?

kyooN tark-e-alaa'iq ko tum ne, samjha hai ilaaj-e-Gham aaKhir ?
dekho to ''wali-soofi'' bhii yahaaN, kis ThaaT ke duniya_daar hue

maayoosii-e-paiham se tum ne, yaaraana ye kaisa gaaNTha hai
andoh-o-alam the jitne bhii, aakhir vo gale kaa haar hue

is kalba-e-ehzaaN se hargiz, ubhrega na sooraj ko_ii bhii
kab khaak sitaara baar hu_ii, kab saaye sahar aasaar hue

kab sub'h ke naale kaam aaye, kyaa girya-e-niim shabii se mila
is qariya-e-Khwaab faroshaaN meN, tum kis ke liye bedaar hue ?

bekaar ulajhte rahte ho, kyooN ulTii-seedhii baatoN meN
ye mar'hale vasl-o-hijraaN ke, ab aise bhii kyooN dushwaar hue ?

us kooche kii raah to batlaa'o, jis kooche meN jaana mushkil hai
us shakhs ka naam to batlaa'o, tum jis ke liye beemaar hue

"Mushfiq" ne ye baateN sun ke kaha, baateN na hu'iiN ash'aar hue
ye dard baTaane vaale bhii, kis shaan ke Khush_guftaar hue

sad shukr ke Khush_asloobii se, takmeel ko poNhchii rusvaa'ii
mohtaaj-e-duaa the jo khud hii, aakhir vo mere Gham_khwaar hue

dil ki aawaaz se aawaaz milaa di hamne


dil ki aawaaz se aawaaz milaa di hamne
dastaaN gham kii zamaane ko sunaa dii hamne

yak-b-yak chauNk uThe niiNd se sone wale
jab zaraa paaoN kii zaNjeer hilaa dii hamne

ek terii pahalii nazar rooh meN paibast rahii
aur har baat zamaane kii bhulaa dii hamne

jaam ne jab bhii kabhii hamse izaajat chahii
har taraf pyaas kii diivaar uThaa dii hamne

ab to har bhes meN lagtee hai ye uriyaaN-uriyaaN
apnii tahziib kii kyaa shakl banaa dii hamne

ham the gumraah, hameN apnii to manzil na milii
raah auroN ne jo puchhii to bataa dii hamne

ab javanii jo ga_ii beet to maHsoos huaa
ajnabii shahar meN ek raat bitaa dii hamne

ai Gham-e-yaar kahiiN aur Thikanaa kar le
dil kii bastii meN to ab aag lagaa dii hamne

kaun aayegaa yahaaN shamaa kii soorat jalne
anjuman qalb-o-jigar kii to sajaa dii hamne

jab na ''Seemaab'' milaa hamko kahiiN raNg-e-vafaa
jo bhee tasveer banaaii thee, miTaa dii hamne

NA KOI HAMSAFAR HAI


NA KOI HAMSAFAR HAI

NA KOI RAZDAAN HAI

JALTA HAI MERA DIL BUS

AAG KI TARAH


MUHJ KO JIS KI TALASH HAI

JAANEY USS KO KIS KI AAS HAI

JALTA HAI MERA DIL BUS

AAG KI TARAH


ZINDAGI KEY HAZAAR PEHLOO HAIN

ZINDAGI HAI KE EK AFSAANA

NA SUNA SAKA KISI KO

HAAL ZAAR APNA

NA SUNA KISI KO

HAAL ZAAR APNA

TERA RAAZ KHUL NA JAYE

MEREY GHAM KI DASTAAN SEY

TERA RAAZ KHUL NA JAYE

MEREY GHAM KI DASTAAN SEY


MUHJ KO JIS KI TALASH HAI

JAANEY USS KO KIS KI AAS HAI

JALTA HAI MERA DIL BUS

AAG KI TARAH


NA KOI HAMSAFAR HAI

NA KOI RAZDAAN HAI

JALTA HAI MERA DIL BUS

AAG KI TARAH

UDAAS AANKHO MEIN USS KA CHERA HAI

DIL MEIN BHI USS KI YAAD BAQI HAI

ZARA DIL PE HAATH RAKH KAR

MEREY HAMNASHEEN BATA DEY

ZARA DIL PE HAATH RAKH KAR

MEREY HAMNASHEEN BATA DEY

TUJHE KIA DIA JAHAN NE

MUJHE KI MILA JAHAN SE

TUJHE KIA DIAL JAHAN NE

MUJHE KIA MILA JAHAN SE

MUHJ KO JIS KI TALASH HAI

JAANEY USS KO KIS KI AAS HAI

JALTA HAI MERA DIL BUS

AAG KI TARAH

NA KOI HAMSAFAR HAI

NA KOI RAZDAAN HAI

JALTA HAI MERA DIL BUS

AAG KI TARAH

Popular Posts