Thursday, April 1, 2010

Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main

Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main

Hum Nay Khush Hokay Bhanvaar Bandh Liye Paaon Main



Un Ko Bhi Hai Kisi Bheegay Huay Manzar Kii Talaash

Boondh Tak Bo Na Sakay Jo Kabhi Saharaoon Main



Ai Mere HumSafaroon Tum Bhi ThakayHaaray Ho

Dhoop Kii Tum To Milavat Na Karo Chaaon Main



Jo Bhi Aata Hai Bataata Hai Nayaa Koi Ilaaj

Bat Na Jaye Teraa Bimaar Maseehaaon Main



Hauslaa Kis Main Hai Yusuf Kii Kharidaari Kaa

Aab To Mehngaaii Kay Charchay Hain Zulaikhaaon Main



Jis Barahman Nay Kaha hai Kay Ye Saal Acha Hai

Us Ko Dafnaon Meray haath Kii Rekhaaon Main



Who Khudaa Hai Kisi Tootay Huay Dil Main Hogaa

Masjidoon Main Usay Dhoondho Na Kaliisaaon Main



Hum Ko Aapas Main Muhabbat Nahin Karnay Detay

Ik Yehi Aiib Hai Is Shehr Kay Daanaon main



Mujh Say Kartay Hain 'faysal' Is Liye Kuch Log Hasad

Kyon Mere Shehr Hain Maqbool Haseenaon Main





_________________

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

kitane chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baad



Itne chup-chaap ke raste bhi raheinge laa-ilm

Chor jaayeinge kisi roz nagar shaam ke baad



Main ne aise hi gunaah teri judai mein kiye

Jaise tufaan mein koi chor de ghar shaam ke baad



Sham se pahle vo mast apni uraanon mein raha

Jis ke hathon mein the tote hue par shaam ke baad



Raat biti to gine aable aur phir socha

Kaun tha baa_is-e-aaghaz-e-safar sham ke baad



Tu hai sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh

Tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad



Laut aaye na kisi roz wo aavara mizaaj

Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad

Laikin Dil abb b tujhy chahta hy

main her lamha zakhmi hua hun

tumharay rawiyay sy

lakin!

tumsy tark-e-taluq ki himat nahi

kion k  !

is sub k bawajoood mujy tum sy muhabbat hy

Aur yeh isi muhabbat ka ijaz hy k

tumharay rawiyay ki serd mehri

nezay ki unni ki mannid!

meray Dil main khub gai hy

Laikin Dil abb b tujhy chahta hy.

Yeh charahg-e-be nazar yeh sitara be zuban hai

Yeh charahg-e-be nazar yeh sitara be zuban hai

Abhi tujh se milta julta koi doosra kahan hai??



Kabhi pa k tujh ko khona, kabhi kho k tujh ko pana

Yeh janam janam ka rishta tere mere darmiyan hai



Mere sath chalne wale, tujh kia mila safar mein

Wahi dukh bhari zameen hai wahi ghum ka aasman hai



Mein isi gumaan mein bara mutmayin raha hun

Tera jism be taghayur, mera pyar jawidan hai



Inhi raston ne jin per kabhi tum the sath mere

Mujhe rok rok poocha tera humsafar kahan hai???

sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho

sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho

Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho



dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho

ban meN daanaa,sha’hr ke andar diivane kehlaate ho



bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath

aaNkh churaa kar dekh bhii lete ho, bhole bhii ban jaate ho



peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam

aap jahaan meN rusvaa hoge, vaaz hameN farmaate ho



ham se naam junuuN kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii

ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?

KOI UMEED BAR NAHI AATI

KOI UMEED BAR NAHI AATI

KOI SURAT NAZAR NAHI AATI



MAUT KA EK DIN MOIYAN HAI

NEEND KYO RAAT BHAR NAHI AATI



AAGE AATI THI HAAL-E-DIL PAR HA(N)SI

AB KISI BAAT PAR NAHI AATI



HAI KUCH AISI HI BAAT KE CHUP HOON

WARNA KYA BAAT KAR NAHI AATI



HUN WAHA JAHA SE HUM KO BHI

KUCH HAMARI KHABAR NAHI AATI



MARTE HAI AARZOO MEIN MARNE KI

MAUT AATI HAI PAR NAHI AATI



KABE KIS MUH SE JAAOGE FAYSAL

SHARM TUM KO MAGAR NAHI AATI

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

agar aur jeete rehte yahee intezaar hota



tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa

ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota



teree naazukee se jaana ke bandha tha 'ehed_booda

kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota



koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko

ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota



ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh

koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota



rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta

jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota



gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai

gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota



kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai

mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota



hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya

na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota



usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa

jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota



ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan faysal

tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota





_________________

Taluq torta hun to mukamal torh deta hun

Taluq torta hun to mukamal torh deta hun

Jise mein chor deta hun mukamal chor deta hun



Mohabat ho k nafrat bhara rehta hun shidat se

Jidher se aye yeh darya udher he morh deta hun



Yaqeen rakhta nahin kisi kache taluq per

Jo dhaga toot'ne wala ho us ko torh deta hun



Mere dekhe hueye sapne kahin lehrein na le jaein

Gharonde rait k tameer ker k chor deta hun



faysal ab tak wahi bachpan wahi takhreeb kari hai

Qafas ko torh deta hun, parinde chor deta hun

Wo Gaya To Saath Hii Le Gya Sabhi Rang Utaar Ke Shehar Ka

Wo Gaya To Saath Hi Le Gaya Sabhi Rang Utaar Ke Shehar Ka
Koi Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi Door Paar Ke Shehar Ka


Chalo Koi Dil To Udaas Tha, Chalo Koi Aankh To Num Rahi
Chalo Koi Dar To Khula Raha Shab e Intezaar Ke Shehar Ka


Ye Jo Main Ne Tazza Ghazal Kahi, So Hai Nazr Ehal e Firaaq Ki
Ke Na Mil Saka Koii Nama-Bar Mujhey Meray Yaar Ke Shehar Ka


So Matta E Jaan Ko Liye Hoye Palat Aaye Teray Garifta Dil
Kisay Baichtay Ke Milla Nahi Koi Aitbaar Ke Shehar Ka


Meray Tarz e Naghma Saraai Se Koi Baghbaan Bhi To Khush Nahi
Yeh Mera Mizaaj Hai Kya Karon Ke Hon Main Bahaar Ke Shehar Ka


Kissi Aur Dais Ki Oarr Ko Suna Hai  Chala Gaya
Sabhi Dukh Samait Ke Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Ke Shehar Ka



_________________

yaar bhi raah ki deewar samghte hen mughe

yaar bhi raah ki deewar samghte hen mughe

men samaghta tha mere yaar samghte hen mughe



men to yoon chup hoon k andar se buhat khali hoon

aur sab log pur israr samaghte hen mughe



men to badlalte hue halat men dhal jata hoon

dekhne wale adakaar samaghte hen mughe



wo jo us par hen un k leyey is par hoon men

wo jo is par hen us par samaghte hen mughe



nek logon men mughe naik gina jata hae

aur gunehgaar gunehgar samaghte hen mughe





_________________

Narawa Kehiay, Nasaza Kehiay

Narawa Kehiay, Nasaza Kehiay

Kehiay Kehiay Mujhay Bura Kehiay



Dil Main Rakhnay Ki Baat Hai Gham-E-Ishq

Isko Hergiz Na Bermala Kehiay



Aa Gai Aap Ko Maseehayee

Mernay Walon Ko Marhaba Kehiay



Hosh Jatay Rahay Raqeeboon K

Daagh Ko Aur Bewafa Kehiay

Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai

*************************

Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai,
Yaqin Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai"


Laraz Jata Hon Main Ye Soch K Kafir Na Ho Jaon,
Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israar Karti Hai"


Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per,
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai"


Main Us Se Pochta Hon Khwab Mein, 'Mujh Se Mohabat Hai?'
Phir Aankhen Khol Deta Hon Wo Jab Izhaar Karti Hai. . .

*************************





Be-Hunar Rakha Gaya, Na-M0'atbar Rakha Gaya

***************









Be-Hunar Rakha Gaya, Na-M0'atbar Rakha Gaya

Shehar E Beenai Men Mujhk0 Be-Basar Rakha Gaya



Mery Bary Men Mery Sab Faisly Us Ne Kiye

0r Mujhy Un Faisl0n Se Be-Khabar Rakha Gaya



Chaar Su Apny Utha Li Garchy Deewar E Anaa

Ek Dar E Imkan Magar Kuch S0ch Kr Rakha Gaya,



Phir Hua Aisa K Mujhk0 Dar-Badar Karny K Baad

Naam Usi Basti Ka Mery Naam Par Rakha Gaya.









***************





_________________

wo har maqaam se pahale wo har maqaam ke baad

vo har maqaam se pahale vo har maqaam ke baad

sahar thii shaam se pahale sahar hai shaam ke baad



har inqalaab-e-mubaarak har inqalaab-e-azaab

shikast-e-jaam se pahale shikast-e-jaam ke baad



mujh pe itanii tavajjo mujh se itanaa gurez

mere salaam se pahale mere salaam ke baad



charaaG-e-bazm-e-sitam hain hamaaraa haal na puuchh

jale the shaam se pahale bujhe hain shaam ke baad



ye raat kuchh bhii nahiin thii ye raat sab kuchh hai

tuluu-e-jaam se pahale tuluu-e-jaam ke baad



vahii zubaaN vahii baaten magar hai kitanaa farq

tumhaare naam se pahale tumhaare naam ke baad



hayaat giriyaa-e-shabanam hayaat raqs-e-sharar

tere payaam se pahale tere payaam ke baad



ye tarz-e-fiqr ye rang-e-suKhan kahaaN 'faysal

tere kalaam se pahale tere kalaam ke baad









_________________

har shammaa bujhii raftaa raftaa har Khvaab luTaa dhiire dhiire

har shammaa bujhii raftaa raftaa har Khvaab luTaa dhiire dhiire

shiishaa na sahii patthar bhii na thaa dil TuuT gayaa dhiire dhiire



barason mein maraasim banate hain lamhon mein bhalaa kyaa TuuTenge

tuu mujh se bichharanaa chaahe to diivaar uThaa dhiire dhiire



ehasaas huaa barbaadii kaa jab saare ghar mein dhuul urii

aaii hai hamaare aaNgan mein patajhar kii havaa dhiire dhiire



dil kaise jalaa kis vaqt jalaa ham ko bhii pataa aaKhir mein chalaa

phailaa hai dhuaaN chup ke chup ke sulagii hai chitaa dhiire dhiire



vo haath paraaye ho bhii gaye ab duur kaa rishtaa hai 'faysal  

aatii hai merii tanhaaii mein Khushbuu-e-hinaa dhiire dhiire







_________________

Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar

Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar
jo Sunaaii De Usey Chup Sikha jo Dikhaaii De Usey Khwaab Kar

Abhi muntashi Na ho Ajnabii Na Wisaal rutt Ke Karam jatta
jo Teri Talash Mein gum hoye Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar

Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pe Ye Abr Kyoun
mujhey orhnay De Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar

Kahien Aablon Ke Bhanwar Bajien Kahien Dhuup Ruup Badan Sajien
Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj De Kabhi Chashm e Tar ke Chanaab Kar

Yeh HAjoom e Sitam-GaraaN Na Suney Ga Teri Sada Kabhii
Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Se Khataab Kar

Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar hai Tahii Dasta Yaar Saja Isey
koi Ashk Phir Se Sharar Bana koii Zakhm Phir Se gulaab Kar

_________________

pukartii rahii kuch deir tak havaa mujh ko

pukartii rahii kuch deir tak havaa mujh ko

samajh sakaa na zara bhi ke kiya kahaa mujh ko





bahaar ho ke khizaaN, mere dil ke gulshan mein

sunayaa kartii hai ik dukh bharii sadaa mujh ko





nigaah mein wohii manzar hai mausam-e-gul ka

rullaa raha hai abhii ek haadesa mujh ko





biggar biggar ga_ii hain zehan mein wo tasviireN

faqtt jo yaad rahii terii ik adaa mujh ko





main muntazir hoN ko_ii mujh ko bhii manaaye ga

na dii kisii ne abhii tak ko_ii sadaa mujh ko





_________________

Abalay Puchhte Hai Paun Se

Abalay Puchhte Hai Paun Se,


Kya Milega Tumhe Wafaon Se,



In Munderon Pe Kuch Charag Bhi The,

Kaun Puchhega Ab Hawaon Se,



Bastiyan Zay-Raay Aab Aati Gein,

Honth Jalte Rahe Duwaon Se,



Titliyan Kyon Safar Mein Rehti Hai,

Bachhiyan Puchhti Hai Maaon Se,



Abr Pawanday Khaak Lagta Hai,

Ret Girne Lagi Khalaon Se,



Bhook Ki Dhoop Humko Kha Jaati,

Bach Gaye Mehnaton Ki Chhaun Se,



Dil Ne Hijrat Kabool Kar Li Thi,

Hosley Ho Sake Na Paun Se...









_________________

royaa karenge aap bhii paharon isii tarah

royaa karenge aap bhii paharon isii tarah

aTakaa kahiin jo aap kaa dil bhii merii tarah



naa taab hijr mein hai naa aaraam vasl mein

kamabaKht dil ko chain nahiin hai kisii tarah



gar chup rahen to Gam-e-hijraaN se chhuuT jaayeN

kahate to hain bhale kii vo lekin burii tarah



na jaaye vaaN bane hai na bin jaaye chain hai

kyaa kiijiye hamen to hai mushkil sabhii tarah



lagatii hain gaaliyaaN bhii terii mujhe kyaa bhalii

qurabaan tere, phir mujhe kah le isii tarah



huuN jaaN_balab butaan-e-sitamagar ke haath se

kyaa sab jahaaN mein jiite hain faysal isii tarah

main ehavaal-e-dil mar gayaa kahate kahate

main ehavaal-e-dil mar gayaa kahate kahate

thake tum na "bas, bas, sunaa!" kahate kahate



mujhe chup lagii mudd'aa kahate kahate

ruke hain vo jaane kyaa kahate kahate



zabaaN gung hai ishq mein gosh kar hai

buraa sunate sunate bhalaa kahate kahate



shab-e-hijr mein kyaa hajuum-e-balaa hai

zabaaN thak gaii marhabaa kahate kahate



gilaa harzaa-gardii kaa bejaa na thaa kuchh

vo kyuuN muskuraaye bajaa kahate kahate



sad afasos jaatii rahii vasl kii shab

"zaraa Thahar ai bevafaa" kahate kahate



chale tum kahaaN main ne to dam liyaa thaa

fasaanaa dil-e-zaar kaa kahate kahate



sitam haaye! garduuN mufassil na puuchho

ke sar phir gayaa maajaraa kahate kahate



nahiin yaa sanam 'faysal ab kufr se kuchh

ke Khuu ho gaii hai sadaa kahate kahate





_________________

Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon

Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon!

Safar main ab ke hawa ko bhi hamsafar na karoon



Ubhartay doobtay sooraj se torr loon rishta

Main sham orh ke so jaon aur sahar na karoon



Ab is se barh ke bhala kya ho ehtiyat-e-wafa

Main tere sheher se guzroon, tujhe khaber na karoon!



Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq

In ansu’on ki wazahat main umer bhar na kroon!



Ujar shab ki khalish ban ke bun main kho jaoon

Main chandni ki terha khud ko derbader na karoon!

.

.

.

.





Wo aik pal ko dikhai to de kaheen faysal

Main jan gunwa ke bhi us pal ko mukhtasir na karoon...!!



******************

Dar-E-Nayaab Ki Tamseel Hai Uski Aankhien

Dar-E-Nayaab Ki Tamseel Hai Uski Aankhien,


Aaina Hai To Kabhi Jheel Hai Uski Aankhein,



Khud Main Us Shaks Ki Tasveer Ba-Zahir Dekhun,

Meri Aankhon Mein Jo Tehweel Hai Uski Aankhein,



Ghar Mumkin Hai Kisi Tarah Bhatak Jaun Main,

Raah-E-Ehsaas Main Qandeel Hai Uski Aankhein,



Humne Dekha Hai Samundar Ki Tahoon Mein Jaakar,

Dar-E-Irfaan Ki Zanbeel Hai Uski Aankhein,



Jiski Taujeeh Na Kar Paayi Ho Kisi Ne Bhi faysal

Is Mazmoon Ki Tafseel Hai Uski Aankhein...







_________________

Zakham Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par

Zakham Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,

Dard Bhool Jaate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,



Shabnami Sitaron Mein Phool Khilne Lagte Hai,

Chand Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,



Umar Kaat Di Lekin Bachpan Nahi Jaata,

Hum Diye Jalate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,



Teri Yaad Aayi To Nind Jati Rehti Hai,

Khwab Toot Jaate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,



Jo Sitam Kare Aa Kar Sab Qabool Hai Dilko,

Hum Khushi Manate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,



Tere Hijr Mein Humpe Ek Azab Tari Hai,

Chaunk Chaunk Jaate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par,









_________________

Yadoon Ke Samunder Mai

Yadoon Ke Samunder Mai,

Ek Lahar Si Ajj Aai Hai,

Muchali Hai Bahoot Ajj Wo,

Tarap Tarap Kar Chattano Se Takrai Hai

Hai Kinara Magar Kinara Nahi,

Yah Bat Na Ab Tak Samaj Pai Hai.

Hay Khulla Asmaan Charo Taraf,

Bhir Bhi Bahoot Tanhaai Hai

Yadoon Ke Samunder Mai,

Ek Lahar Si Ajj Aai Hai,

Muchali Hai Bahoot Ajj Wo,

Tarap Tarap Kar Chattano Se Takrai Hai





_________________

Har Thokar Ne Meri Mujh ko Chalna Sikha Diya

Har Thokar Ne Meri Mujhko

Chalna Sikha Diya



Mere Aankho Ke Aansuo Ne

Mujhe Khul Ke Hasna Sikha Diya



Samundar Ki Lehro Ne

Mujhe Ghir Kar

Phir Se Ubarna Sikha Diya



Baarish Ki Boondo Ne

Zameen Pe Rehna Sikha Diya



Phoolo Ne Toot Kar Bhi

Mehakna Sikha Diya



Tara Toot Jane Par Bhi

Kisi Ke Kaam Aata Hai

Zindagi Ki Sachaiyo Ne

Mujhe Chalte Rehna Sikha Diya



Woh Fakeer Jo Do Roti Ke Liye

Taras Jaata Hai

Majbooriyo Mein Jazbaaton Ka

Had Se Guzarna Sikha Diya



Aage Yuh To Karvaan Chalte Rahega "Khwaish"

Waqt Ne Aankhon Ki Nami Ke Saath-Saath

Muskuraane Ka Hunar Sikha Diya



Gile-Shikwe Se Kuch Nahi Haasil "Khwaish"

Waqt Ne Halaat Se Ladna Sikha Diya







_________________

Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye

Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye,

Aur Woh Thei Ki Humari Mohabbat Ko Nazarandaaz Karte Chale Gaye



Hum Dil Ke Har Raaz Unpe Zaahir Karte Chale Gaye,

Aur Woh Thei Ki Har Baat Ko Hansi-Majak Samjhte Chale Gaye

Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,

Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye



Hum Unke Isharon Ko Unke Irade Samjhte Chale Gaye,

Unki Har Baat Ko Unki Shararat Samjhte Chale Gaye,

Aur Woh Thei Ke Apni Shararat Pe Khil-Khila Ke Hanste Chale Gaye,

Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,

Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye





Hum Unki Dosti Ko Unki Mohaabbat Samjhte Chale Gaye,

Aur Woh Thei Ki Apni Dosti Ka Vaasta De Ke Chale Gaye

Zindgi Humse Samjhute,

Aur Hum Samjhtaun Se Zindgi Jeete Chale Gaye,

Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,

Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye



Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye,

Woh Thei Ke Humari Mohabbat Ko Nazarandaaz Karte Chale Gaye







_________________

churaaey phirtey they jo tujh sey hi nazrein aksar

churaaey phirtey they jo tujh sey hi nazrein aksar

unhi nazroo’n ko … teri deed ko … tarastey dekha,



wo jo kehtey they … tera aks nahi un aankhoon mey

unhi aankhoon ko … teri yaad mey … barastey dekha,



dil key derwaazey jinkey her dastak pey waa hotey they

unhi key dil ko … sirf teray leye … ab dharaktey dekha,



dabi dabi si chingaari sey bhi ... jo naa'laa'n they

phir ishaq ka shola ... unkey ander bharaktey dekha

tu ban kay titlii gulaboon ki rahguzar main rah

tu ban kay titlii gulaboon ki rahguzar main rah

misal mooj-e-saba , khima-e-bahar main rah



agar pasand hoon sehra ki chandni raatin

tu mery dost mery dil ki rahguzar main rah



na cheen mujh sy rifakat ki dil nashen koshuboo

mery habib mery piyar kay hisar main rah



na in shareer nighahoon ki maan tu aay dil

hamra dil hay hamry hi aiktiyar main rah



dar band abhi sy na kar, diya na bujha

kuch aur der zara uskay intezar main rah



who dekh jheel main rahta hay jis tarhan mahtaab

tu meri jaan , meri chashm-e-ashkbar main rah

Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Ge

Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Ge

Dil Lagayein Ge To Na Shart-E-Wafa Rakhain Ge



Na Dikhayain Ge Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain

Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Ge



Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De

Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Ge



Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam

Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Ge



Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi

Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Ge



Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki

Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Ge!!





_________________

Sar-e-taq-e-jan Na Chiragh Hai,Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi

Sar-e-taq-e-jan Na Chiragh Hai,Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi,

Ujab Ek Arsa-e-daraz Hai,Na Guman Hai Na Khabar Koi.



Nahin Aab To Koi Malal Bhi,Kisi Wapsi Ka Khiyal Bhi,

Gham-e-baikasi Ne Mita Diya,Meray Dil Main Tha Bhi Aagar Koi.



Tujhay Kia Khabar Ke Raat Bhar,Tujhay Daikh Paanay Ko Ek Nazar,

Raha Sath Chand Kay Muntazar,Teri Khidkion Ke Udhar Koi.



Sar-e-shakh-e-jan Teray Naam Ka,Ujab Ek Taza Gulab Tha,

Jisay Aandhi’on Se Khatar Na Tha,Jisay Tha Khizan Ka Na Daar Koi.



Teri Bairukhi Kay Diyar Main,Ghani Tairgi Ke Hisar Main,

Jalay Kis Tarah Se Chiragh-e-jan,Karay Kis Taraf Ko Safar Koi.



Katay Waqt Chahay Aazab Main,Kisi Khuaab Main, Ya Sarab Main,

Jo Nazar Se Door Nikal Giya,Usay Yaad Karta Hay Har Koi.



Sar-e-bazm Jitnay Chiragh Thay,Woh Tamam Ramz Shanas Thay,

Teri Chashm-e-khush Ke Lihaz Se,Nahin Boolta Tha Magar Koi





_________________

Dosto Se Kaha Karta Tha Woh Bhi

Dosto Se Kaha Karta Tha Woh Bhi,

Kiya Yeh Bhi Jee Saqta Hai Mere Bin,



Mazak Ban Jaya Karta Tha Jo Doston Mein,

Khud Ko Tanha Samajhta Tha Woh Mere Bin,



Issay Had-e-Dewangi Kahun Ya Pagalpan,

Tasawar Mein Woh Batein Karta Tha Mere Bin,



Wo Mousmon K Badalnay Se darta Nahi Tha Laikin,

Bahar Mein Murjhaya Karta Tha Mere Bin,



Ab Aas Toot Gayein Uskay Aanay Ki,

Lagta Hai Jeena Seekh Chuka Hai Mere Bin......!!!!





_________________

sard shamoo’n si uski yaadein hoon

sard shamoo’n si uski yaadein hoon

jo pal mey dhal jaaein,



aur mujhey ta daer…

un aziyyat bharey lamhoo’n ko na jeena parey



jo mujh sey meray jeenay ki

taaqat chheentey hein,



mujhey dar lagta hey!!!

main peeghal na jaaoo’n…



khud sey keyey waa’doo’n ka paas keyey bina

na uski nafrat mey jal jaaoo’n,



k main ab toot chuki hoon



uski chahat thi meri taaqat…

uski duuri hey kamzori,



so kaash uski yaadein

sard shaamoo’n si ho jaaein…

jo pal mey dhal jaaein,

__________________

sazaoon kay badlay,Dua hum nay ki thi

sazaoon kay badlay,Dua hum nay ki thi

jafaoon kaay badlaay,wafa hum nay ki thi

sabhi kuch mita kar,sabhi kuch bhoola kar

shikayaat bhi un saay kahan hum nay ki thi

mohabat ke badla mohabat nahi hai

ulfat ke pichey adawaat chupi hai

wo aisa karain gey,wo aisa kahein gey

unhee ke leay saab kuch ganwaya

wo hum pe marain ge,wo hum pe mitein gey,

yah chahat bhi un se kahan hum ne ki the

zamanay ki chaloun ko samjho zara tum

mohabat main khud ko sambhalo bhala tum

tumhi ko chahain, tumein ko sarahain

yah qasmain bhi un sey kahan hum ne li theen...

__________________

Jisko lainey taajron ka dasta nikla

Jisko lainey taajron ka dasta nikla..

Bikney aaya to tawaqu se bhi sasta nikla,



Apnay seeney mein chhupaye huye teri yadein,

Ham pe hr shakhs aawazein kasta nikla..



Ham ne hr baat boht soch smjh kr ki hai,

Bas ik lafz-e-mohabt tha jo barjasta nikla..



Wo jis ne paaon taley kitney dil masal daaley,

Kal wohi shakhs mohabbat ko tarasta nikla..



Teri muskaan se mansoob rahi rahat meri..

Mera Hr gham tere gham se paiwsta nikla.

Popular Posts