Hoi barbaad yeh basti, chalo ab lout chaltey haen,
Gira ker aankhse mouti, chalo ab lout chaltey haen,
Ae kaash! aisa kabhi hota, woh bas jaata mere mann mein,
Dil apna bhi bana dashti, chalo ab lout chaltey haen,
...
Yeh meri badnaseebi hae, usey paaker ganwaaya hae,
Meri taqdeer hae roti, chalo ab lout chaltey haen,
Mita deta andheron ko, jala ker aaj ghar apna,
Nahi yeh jot bhi jalti, chalo ab lout chaltey haen,
Muyassar hi sukoon hota dar o deewaar se mujh ko,
Nahi ghar baar se banti, chalo ab lout chaltey haen,
Uttha ker haath, marney ki du'aaein maangloon lekin,
Kahaan hae mout bhi milti, chalo ab lout chaltey haen,
Chalo hamdam phir us par, aur wahan tak sath chalte haen,
Jahaan tak saans hae chalti, chalo ab lout chaltey haen.