Friday, December 10, 2010

Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey Hawaas par


Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey Hawaas par
Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho

Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin
Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Ki Gharaz

Tum Bayes-e-Safar Ho, Huner Ki URaan Ho
Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat

Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho
Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab

Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal
Tum Khaak Ho To Kaak Nasheenon Ki Ho Talash

Tum Dard Ho To Rooh Pay Chaey Ho Aaj Kal
Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ka

Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya
Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag
Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya
Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed

Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho
Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish

Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho
Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka

Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho
Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui

Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho
Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams

Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho
Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh'kishaan

Tum Husn-e-Bay'Missal, Meri Kayenaat Ho
Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour

Main Jee rahi Hoon Kion K Zaroori Hay Zindagi
Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay

Lekin Terey Bagheir......

Adhoori hay Zindagi

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee


Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,

tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,

tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.

meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,

mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,

or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,

or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,

or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,

kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….

Saarey waadon ko bhula sakta hun, lekin rehne do


Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!

Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.

Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge


Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge

Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge

Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi
Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge

Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara
Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge

Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se
Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge

Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge

Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge

garmii-e-shauq-e-nazzaaraa kaa asar to dekho


garmii-e-shauq-e-nazzaaraa kaa asar to dekho
gul khile jaate hai.n vo saayaa-e-dar to dekho

aise naadaa.N to na the jaa.N se guzaranevaale
naasiho, rahabar-o-raahaguzar to dekho

vo to vo hai.n tumhe.n ho jaayegii ulfat mujhase
ek nazar tum meraa mahabuub-e-nazar to dekho

vo jo ab chaak garebaa.N bhii nahii.n karate hai.n
dekhanevaalo kabhii un kaa jigar to dekho

daaman-e-dard ko gulazaar banaa rakhaa hai
aao ek din dil-e-puraKhuu.N kaa hunar to dekho

subah kii tarah jhamakataa hai shab-e-Gam kaa ufaq
"Faiz" taabi.ndagii-e-diidaa-e-tar to dekho

Abhi kuch bhi nahi budla


Abhi kuch bhi nahi budla
Abhi rishton ne dekha hi nahi budla howa mausem
k fus'le gul usee ter'ha say hai shadab o taza ter
No put'te toot ker girtay hain shakhon say
Na phoolon k labe laleen men zirdee hai
Abhi bhi reg-e-sah ra ki faza'e shub men thunduk hai
Mager khoon k alao men tamazet mauj'zen hai

Sub hi ird gird baithey .
Zindagee ki girm sansen le rahay hain.
Abhi aankhon k jungle men
Shanasayee k jugnoo jhil'milatay hain
Abhi pani ne upna za'eqa budla nahi hai
Abhi kuch laaj baqee hai
Abhi bhi nichee nuzron men
Heya perwan chd'ti hai
Ragon men surkh lawa beh raha hai

Malom Nahi Kyun Yaad Ate Ho


Malom Nahi Kyun Yaad Ate Ho
Sansoo Main Tum Bus Gaye Ho

Ankhoo Main Tum Merain Summa Gaye Ho
Maloom Nahi Kyun Itna Yaad Ate Ho

Ankhoo Main Tum.Sansoo Main Tum
Bus Tum Hi Tum.Jo Humain Itna Yaad Ate Ho

Meri Subhaa Tum.Shaam Tum.Her Paal Main Tum
Tum Kon Ho Jo Hum Ko Baychain Kerdete Ho

Mera Har Lumhha Mujh Se Choda Late Ho
Mujhe Baychain Kerdete Ho Tum Kon Ho

Keh Do Aaj Tere Dil Mein Nahi Koi Aaya Hai


Keh Do Aaj Tere Dil Mein Nahi Koi Aaya Hai
Aaj Jo Hai Sama Ye Bas Tune Banaya Hai

Is Baar Thukraya Tune Fir Naa Thukrana
Badi Mannaton Se Khuda Ko Manaya Hai

Aapke Dil Mein Ishq Ki Shamma Jalane Ko
Humne Raat-Din Khud Ko Jalaya Hai

Is Janam Mein Tu Meri Ho Na Saki,Par
Maine Agle Har Janam Ke Liye Tujhko Paya Hai

Kasak Tere Siwa Aur Kuch Na Chahiye,Tune Hi
To Is “Ghayal” Ko Ishq Karna Sikhaya Hai

HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO


HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO

TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO

ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO

HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO

TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO

TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO

CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO

HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

Bhrose ne bhi dokha de diya hume


Bhrose ne bhi dokha de diya hume
to wafa se aasra kaise karein,

jab dhadkan ne hi dil ka saath na diya
to saanson ki aarzu kaise karein,

palkon pe saja gaya wo hamaare diye judaai ke
ab aandhi se shikwa kaise karein,

kaha tha usne ki ek din laut ke aunga
ab waqt se gila kaise karein,

zindagi ki kashti beech samandar ataq gayi
jiyein bhi to kaise aur kaise hum marien

Hum he thehray saza waar or khata kuch b nahi


Hum he thehray saza waar or khata kuch b nahi
To kya samjhta ha tery baad huwa kuch b nahi

yaad jab aai teri yaad raha kuch b nahi
Dil ny bs aah bhari or kaha kuch b nahi

Waqt ki tarha ye sansen b rawan hain ab tak
Ek bas ashk thamy or ruka kuch b nahi

Haath sy haath chura kr gaey jb say tm
Me ne us waqt se in hathon se chua kuch b nahi

Kash to mujh se keh de achanak aa kr
K tery baad meray jeewan me bacha kuch b nahi

Ye ishq dewana hota hy, tum rog lgaye phirte ho


Ye ishq dewana hota hy, tum rog lgaye phirte ho,
Ye log to sb begane hain, tum sath nibhaye phirte ho,

Ye jal thal si ab rehne do, aankhon se pani behne do,
Ye roop suhana krte hain, tum ashk chupaye phirte ho,

Sawan ka barsey ga mousam to sehra phool khilayen gay,
Ye soch k dil behlana hy, tum hosh urraye phirte ho,

Kis gham mein doobi ye aankhein, ab surkhi mayel rehti hain?
In palkon pe ye ashk nahi, tum khoon sajaye phirte ho,

Ye lout k aaye ga mousam, gulshan mein khilein gi phir kaliyan,
Ye rut to aani jani hy, tum sog manaye phirte ho....!

tarapte hoye dil se nikli hoi sada se olajh bhete hain


tarapte hoye dil se nikli hoi sada se olajh bhete hain
Apne milan ki har ik dua se olajh bhete hain

KHUDA khabar kiya rang layein gi apni bebakiyan
k makday main saki ki ata se olajh bhete hain

Faqat us ki khater k teri khabar kiun nahin lati
kayi baar tere shehr ki hawa se olajh bhete hain

sikhaya tha ALI jinhain alfaaz bartne ka salika
wohi ajj mere sukhan ki ada se olajh bhete hain

Kuch Likhna Chati Hon Sochti Ho Kia Likhon


Kuch Likhna Chati Hon Sochti Ho Kia Likhon
Wo Os Ka Muskurana Ya Os Ka Hansna Likhon

Os Ka Rothna Ya Roth Ke Man Jana Likhon
Kuch Likhna Chati Hon Sochti Hon Kia Likhon

Wo Hansna Wo Hansana Wo Rola K Phir Manana Likhon
Kuch Likhna Chati Hon Sochti Hon Kia Likhon

Kia Wo Pal Do Pal Ki Khusyan Ya Zindagi Bhar Ka gum Likhon
Ya Phir Wo Pehli Mulakat Likhon
Kuch Likhna Chati Hon Sochti Hon Kia Likon

Wada hai Mera Janaa!!, Tera saath nibhaooga


Wada hai Mera Janaa!!, Tera saath nibhaooga
Chahe parey Marjana, Tera saath nibhaooga

Haathon mai Haath lye Ae Hamdam-e-Dereena!
Ban ker Tera Pawana, Tera saath nibhaooga

Ruswai to hoti hai Ishq-o-Mohabbat mai lekin
Na ker Khauf, Hoon Tera Deewana, Tera saath nibhaooga

Baton hi Baton mai, Shairon ki Soorat mai
Inta hai batlana, Tera saath nibhaooga

Ishq Mera Sadiq hai, kardoonga yeh Saabit
Ban k Mai Parwana, Tera saath nibhaooga

Qaul-o-Qarar Mere jhootey hargiz nahi, Meri Janaa!!
Tum ko hai ye Samjaha, Tera saath nibhaooga...

Baray-e-naam sahi koi meharbaan to he


Baray-e-naam sahi koi meharbaan to he,
Hamare sar pe Bhi hone ko Aasamaan to he

Teri faraakhdili ko duaen deta hun,
Mere labon pe tere lams ka nishaan to he

Ye aur bat k vo ab yahan nahi rahta,
Magr ye us ka basaya hua makaan to he

Alavaa is k na kuch aur parda rakh mujhse
Fasiil-e-jism mere tere darmiyan to he

Bichar k zinda nahi rah sakenge ham 2no,
Mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to he

Saron pe saya_figan abr-e-Aarzu na sahi,
Hamare pas saraabon ka sayabaan to he

Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din


Kese Bhoool gaya wo guzre huwe din
Lagta nahi tha us ka dil mere bin

Dosto se kaha karta tha wo b,
Kiya ye b ji sakta hai mere bin

Mazaq ban jaya karta tha jo Doston mein
khud ko tanha samjta tha wo mere bin

Isse hade diwangi kahoon ya pagalpan
tasawar me wo batein kiya karta tha mere bin

Wo mosmoon k badlny se darta nahi tha lekin
bahar mein murjhaya karta tha mere bin

Ab As tot gain uske aani ki
Lagta hai Jina sekh chuka hai mere bin

aik aas lagana chahte hain tere dar per ana chahte hain


aik aas lagana chahte hain
tere dar per ana chahte hain

kuch nazre karam ho hum ager
hum sarko jhukana chahte hain

kia dogey hame sari khushian
hum daman ko pehlana chahte hain

tere kandhe pe sar rakh ker hum
gham apna sunana chahte hain

tum kya chahoge hum se kaho?
hum khud ko mitana chahte hain

Ek bhegi hui si raat mile us raat me tera hath mile


Ek bhegi hui si raat mile
us raat me tera hath mile

tere lab se tapken jo bonden
unhe mere labon ka sath mile

kuch tum bi behke behke se
kuch mujh pe nasha sa tari ho

har pal me chaye madhoshi
Ek aisi raat hamari ho

phir tum aao meri bahon me
main pyar karon tumhe ji bhar ke

tum mujhse thora sharma jao
sharma k galay se lag jao

main jitna tumko pyar karon
tum itne hi betab ho jao

hamein pyar k kuch lamhat milen
Ek bhegi hui si raat mile….!

Khawab Jhootay Kissi Ko Dikhaya Nahi Kertay


Khawab Jhootay Kissi Ko Dikhaya Nahi Kertay
Meeri Jaan! Youn Kisi Ko Satya Nahi Kertay

Aik Baar Youn Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Uss Say Churaya Nahi Kertay

Uskay Intezar Say Bhala Kia Ho Ga Hassil
Annay Ka Keh Ker Bhi Joo Aya Nahi Kertay

Rekhtay Hoon Jo Derd Bhara Dil Apnay Seenay
Dosroon Ka Dil Phir Woh Dookhaya Nahi Kertay

Doo Qadam Sath Chaal Ker Jo Juda Hoo Jaien
Aysay Loggon Ko Tu Humsafar Banya Nahi Kertay

Kistarha Guzarti Ho Gi Zindagi Unki
Pehli Muhabbat Ko Jo Dil Say Bhulaya Nahi Kertay

Suna Hey Log Usey Aankh Bher Key Dekhtey Hain


Suna Hey Log Usey Aankh Bher Key Dekhtey Hain
To Us Key Shehr Main Kuch Din Theher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Rabt Hey Us Ko Kharab Halon Sey
So Apney Aap Ko Barbad Ker Key Dekhtey Hain

Suna Hey Dard Ki Ghahk Hey Chasham Naz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Sey Guzer Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Ko Bhi Hey Shair-O-Shairi Sey Shughaf

To Hum Bhi Mojzey Apney Huner Key Dekhtey Hain
Suna Hey Boley To Baton Sey Phool Jhertey Hain

Yeh Baat Hey To Chalo Baat Ker Key Dekhtey Hain
Suna Hey Raat Usey Chand Takta Rehta Hey

Sitarey Bam-Falak Sey Uter Key Dekhtey Hain
Suna Hey Din Ko Usey Titliyan Satati Hain

Suna Hey Raat Ko Jugnoo Theher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Chasher Hain Us Ki Ghazal Si Aank hain

Suna Hey Us Ko Hiran Dasht Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Raat Sey Berh Ker Hain Kaklain Us Ki

Suna Hey Shaam Ko Sye Guzer Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Ki Syah Chashmagi Qyamat Hey
So Us Ko Surma Farosh Aah Bher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Key Labon Sey Gulaab Jaltey Hain
So Hum Bahar Peh Alzaam Dher Key Dekhtey Hain

Suna Hey Aaina Tamsal Hey Jabeen Us Ki
Jo Sada Dil Hain Usey Ban Sanwar Key Dekhtey Hain

Bas Ik Nigah Sey Lutta Hey Qafla Dil Ka
So Rah Rawan-E-Taman Bhi Dar Key Dekhtey Hain

Suna Hey Us Key Shabistan Sey Mutsil Hey Behshat
Maseeh Udher Key Bhi Jalwey Idher Key Dekhtey Hain

Rukey To Gardishain Us Ka Tawaf Kerti Hain
Chaley To Us Ko Zamaney Theher Key Dekhtey Hain

Kahaniyan Hi Sahi Sab Mughalbey Hi Sahi
Agar Who Khawab Hey To Tabeer Ker Key Dekhtey Hain

Ab Us Key Sheher Main Thehrey Keh Kooch Ker Jyen
Firaz Aao Sitarey Safar Key Dekhtey Hain

Yeh Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhey


Yeh Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhey
Keh Sang Tujh Peh Girey Or Zakham Aye Mujhey

Main Apney Paoon Taley Rondta Hoon Saye Ko
Badan Mera Hi Sahi, Dopehr Na Bhye Mujhey

Main Gher Sey Teri Tamman Pehn Ker Jab Nikloon
Barhana Sheher Main Koi Nazar Na Aye Mujhey

Wohi To Sab Sey Zyada Hey Nukta Cheen Mera
Jo Muskra Key Hamesha Agley Lagye Mujhey

Who Mera Dost Hey Sarey Jahan Ko Hey Maloom
Dagha Karey Who Kisi Sey To Sharam Aye Mujhey

Who Meherban Hey To Iqrar Kyon Nahi Kerta
Who Badguman Hey To 100 Baar Azmye Mujhey

Barangey Aud Miley Gi Usey Meri Khushboo
Who Jab Bhi Chahey Barey Shoq Sey Jalye Mujhey

Main Apni Zaat Main Neelam Ho Raha Hoon Qateel
Gham-E-Hayat Sey Keh Do Khareed Lye Mujhey

Aik Deewana Yeh Kehtey Huwey Hansta Jata


Aik Deewana Yeh Kehtey Huwey Hansta Jata
Kash Manzil Sey Bhi Agey Kio Rasta Jata

Aye Merey Abar Gareezaan Meri Aankhon Ki Tarah
Ger Barasna Hi Tujhey Tha To Barasta Jata

Aaj Tak Yaad Hey Izhar-E-Mohabat Ka Woh Pal
Keh Meri Baat Ki Luknat Pey Woh Hansta Jata

Itney Mehdood Karam To Taghaful Behter
Ger Tarasna Hi Mujhey Tha To Tarasta Jata

Tujh Sey Mil Ker To Yeh Legta Hey Aey Ajnabi Dost


Tujh Sey Mil Ker To Yeh Legta Hey Aey Ajnabi Dost
Tu Meri Pehli Mohabbat Thi Meri Akhri Dost

Log Her Baat Ka Afsana Bana Detey Hain
Yeh To Duniya Hey Meri Jan Kye Dushman Kye Dost

Teri Qamat Sey Bhi Lipti Hey Amar Bail Koi
Meri Chahat Ko Bhi Duniya Ki Nazar Kha Gye Dost

Yad Aai Hey To Phir Toot Key Yaad Aai Hey
Koi Guzri Hui Manzil Koi Bhooli Hui Dost

Ab Bhi Aye Ho To Ehsaan Tumhara Lekin
Who Qyamat Jo Guzarti Thi Guzar Bhi Gye Dost

Terey Lehjey Ki Thakan Main Tera Dil Shamil Hey
Aisa Lagta Hey Judai Ki Gheri Aa Gye Dost

Barish Sang Ka Mousam Hey Merey Sheher Main To
Tu Yeh Sheeshey Sa Badan Ley Ker Kahan Aa Gye Dost

Main Usey Ehd-E-Shakan Kaisey Samajh Loon Jis Ney
Aakhri Khat Main Yeh Likha Tha Faqt “Aap Ki Dost”

Usay anjany rastoo say guzar janay ki khuwahis thi


Usay anjany rastoo say guzar janay ki kuhais the
Muhabbat may amar ho janay kik, marr janay ki kuhais the
Wo kehta tha jivan tayrgi hay
Rang bharnay hay is may roshni kay
Or ye ham ko mukhtisar say chand lamhay jo muaser hay
Ye lamhay hamay muhabbat say abad karnay hay
Kisi ko dorr say daykna, kisi say batt karni hay
Jaha pay din guzar jayay wahi pay ratt karni hay
Wo kehta tha muhabbat ka koi mossam nahi hota
Ye har mossam ka jazbha hay jo kabhi kam nahi hota
Adhori si muhabbat hay hamay takmeel karni hay
Muahbbat ko nay dhab say basar karnay ki kuhais usay
Har sahab jagati the
Na janay kon si chahat usay har pall rulati the
Sanasha tha har aik say per anjan rehta tha
Buaht abad tha lakin buhat wayran rehta tha
Usay har shakas ko hayran kar janay ki adat the
Muhabbaty may apar ho janay ki, mar janay ki kuhais the.

Larkiyaan Bewafaa nahi hotein


Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hotiein!!!

munsifon saliibon par faisale nahi hote


munsifon saliibon par faisale nahi hote
besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote

jhuuTh aur sadaaqat kii jang to azal se hai
phir bhii sach pe jiine ke hausale nahii.n hote

soch ke judaa honaa phir ke mil na paaye.nge
kyo.n ke is zamaane me.n mojeze nahii.n hote

jo bhii the gile shikave duur kar ke jaanaa thaa
kam se kam bichha.Dane par dil bure nahii.n hote

chaa.Nd se kahaa ham ne tum hii raat bhar jaago
ham se us kii yaado.n me.n rat_jage nahii.n hote

shaam ho jaam ho suboo bhi ho


shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho

dil se dil kii kahaaniyaa.N bhii sune
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n guftaguu bhii ho

jhiil sii gaharii sabz aa.Nkho.n me.n
Duub jaane kii aarazuu bhii ho

sirf tere badan kii shamaa jale
aur a.Ndheraa-saa chaar_suu bhii ho

Lamha bhar apna Hawaon ko banany walay


Lamha bhar apna Hawaon ko banany walay,
Ab na ayen ge palat ker kabhi janay walay,

Kia milay ga tujhay bikhray hovay khwabon k siwa,
Rait par chand ki tasveer bananay walay,

Sab ne pehna tha baray shauk se kaghaz ka libas,
Jis Qadar log thay barish main nahanay walay,

Mar gaye hum to yeh kutbay pe likha jaye ga,
Sou gaye aap zamanay ko jaganay walay,

Dar-o-dewar pe hasrat si barasti hai Qateel,
Janay kis dais gaye piyar nibhanay walay

DiL k Ufaq Me Gumshuda Sitara Mil Jaye


DiL k Ufq Me Gumshuda Sitara MiL Jaye
Shab-e-Ghm Me Koi Jeene Ka Ishara MiL Jye
.
Wo Jo 1 Shakhs Boht Kam Hy Mayasr Humko
Aarzu Hy k Kisi Roz Wo Sara MiL Jye
.
An Mumkin Hy k Tabeer b 1 Jesi Ho
Tere Khwabo Se Agr Khwab Hmara MiL Jye
.
Usy Kehna Wo MuLaqat Adhuri Thi Hmari
Usy Kehna k Kbhi Aa k Dobara MiL Jye …

Yah tairay ishq ka hi kamal hai


Yah tairay ishq ka hi kamal hai
Moqadar samjh liya hai mein nay
Jo aankh bhata nahain dil ko pasand nahain
Apnay ashkoon main bhago diya mein nay
Es shehar ki subh bai'noor ko
Shabnam samjh kar log nangay niklay
Miray her khaab main tu hota hai
Magar zindagi main maira nahain ho ga
Olti hoti hai her khaab ki tabeer
Mujh say kuch karnay ki towaqo na rakh
"Karna" zindagi say mansoob hota hai
Khoof ki fasl bo kar
Ahal-e-shehar say sonay ki towaqo
Damagh ka khalal lagta hai

Jo tum aao’ge phir aankhoN k darya num naheeN hongey


Jo tum aao’ge phir aankhoN k darya num naheeN hongey
khuda shahid hai sub kuch hoga laikiN hum naheeN hongey

yaqeen jano tumhari qurbataiN bhi hashr dhayen gee
K armanoN k aanga’rey to hargiz kam naheeN hongey

ghamoN ki ta’an tootay gee na ubhray gee na phayle gee
ye hai saaz-e-mohabat is mein zer-o-bum naheeN hongey

tumhari yaad se khelaingey tanhai ki mehfil meiN
wohi urtey huwe lamhey jo sirf-e-ram naheeN hongey

mera maslak khuloos-e-ishq ka mafhoom rakhta hai
mere sagar mein sub kuch hoga laikin sum naheeN hongey

wafa ne ek hayat-e-mustaqil hum ko aata ki hai
k hum zinda raheinge garche baqi dum naheeN hongey

ek lamhe ko Thahar main tujhe patthar laa doon


ek lamhe ko Thahar, maiN tujhe patthar laa duuN

maiN tere saamane ambaar lagaa duuN lekin

kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa

surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa

yaa vo patthraa’ii hu’ii aaNkh kaa niilaa patthar

jis meN sadiiyoN ke tahayyur ke paRe hoN Dore

kab uskaa visaal chaahiye thaa


kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa



kab dil ko javaab se Gharz thii
hoNToN ko savaal chaahiye thaa

shauq ek nafas thaa aur vafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye thaa



ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
be-misl-o-misaal chaahiye thaa



ek qarb meN zaat-o-zindagii haiN
mumkin ko muhaal chaahiye thaa

Un Daikhi Un Chahi Mohabbat


Un Daikhi Un Chahi Mohabbat



Usi Raat Dosti Shori Hoi



Us Raat Zindagi Ne Ek Naya Mor Liya



Jis Raat Roshni Ka SilSila Shoro Howa



Jab Roshni Ne Hansna Shoro Kia



Us Raat Sitaron Ne Sadaain Di



Un Daikhi Un Chahi Mohabbat



Hum Kehty Rahy Wo Sunty Rahy



Wo Sunty Rahy Hum Kehty Rahy



Us Chand Ne Bhi Daikha



Or Tary Bhi Shama Gaye



Un Daikhi Un Chahi Mohabbat



Na Usne Socha Tha~::~Na Humne Socha Tha



Kay Dosti Main Piyar Ho Jay Ga



Jab Kaha Us Pagal Ne



Hum Aap Kay Talabgar Ho Gay



Humne Kaha Hum Bhi Aap Per Nisar Ho Gaye



Usne Kaha Bin Daikhy Hum Piyar Ker Baithy



Humne Kaha Aap Per Aitibar Ker Baithay



Humne Kaha Uskay Siwa Koi Mere Jazbat Main Nai



Aankhon Main Wo Nami Hai Jo Barsat Main Nai



Usy Pany Ki Khuwahish Bohat Thi Magar



Shayed Wo Lakeer Mere Hath Main Nai

Bachpan k Dukh Kitny Achy Hoty Thay


Bachpan k Dukh Kitny Achy Hoty Thy
Tab Dil Nai Khilony Tota Kerty Thy

Wo Khushiyan Bhi NaJany Kaisi Khushiyan Thin
Titli Pakr ker Uchla Kerty Thy

Choty Thy to Mukro Faraib Bhi Jhoty Thy
Apne Jal Jane Ka Bhi Ehsas Na Tha

Jalty Sholon Ki Taraf Lipta Kerty Thy
Ab Ek Aanson Giray To Roswa Ker Daita Hai

Bachpan Main To jee Bhar k Roya Kerty Thy

aap ko dekh kar dekhataa rah gaya


aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa
kyaa kahuu.N aur kahane ko kyaa rah gayaa

un kii aa.Nkho.n me.n kaise chhalakane lagaa
mere ho.nTho.n pe jo maajaraa rah gayaa

aise bichha.De sabhii raah ke mo.D par
aaKharii ham_safar raastaa rah gayaa

soch kar aao kuu-e-tamannaa hai ye
jaaneman jo yahaa.N rah gayaa rah gayaa

aap mein gum hain magar sab ki Khabar rakhate hain


aap me.n gum hai.n magar sab kii Khabar rakhate hai.n
ghar me.n baiThe hai.n zamaane pe nazar rakhate hai.n 

nuktaachii.n dekhiye kis kis pe nazar rakhate hai.n
ham bhii ai diidaavaro aib-o-hunar rakhate hai.n

ham se ab ai garadish-e-dauraa.N tumhe.n kyaa lenaa hai
ek hii dil hai so vo zer-o-zabar rakhate hai.n

jis ne in tiiraa ujaalo.n kaa bharam rakhaa hai
apane siine me.n vo naadiidaa sahar rakhate hai.n


rahanumaa kho gaye ma.nzil to bulaatii hai hame.n
paa.Nv zaKhmii hai.n to kyaa zauq-e-safar rakhate hai.n

vo a.ndhero.n ke payambar hai.n to kyaa Gam hai "SAHIL"
ham bhii aa.Nkho.n me.n ka_ii shams-o-qamar rakhate hai.

aao ki koii Khvaab bune.n kal ke vaaste


aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n



go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
Khvaabo.n ke aasare pe kaTii hai tamaam umr



zulfo.n ke Khvaab, ho.nTho.n ke Khvaab, aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab



tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaa.N ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab


ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat
yuu.N hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat



aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake

aqaayad vaham hai mazahab Khayaal-e-Khaam hai saaqi


aqaayad vaham hai mazahab Khayaal-e-Khaam hai saaqii
azal se zahan-e-i.nsaa.N bast-e-auhaam hai saaqii

haqiiqat-aashanaa_ii asl me.n gum-kardah-raahii hai
uruus-e-aagahii paravardah-e-abahaam hai saaqii

mubaarak ho za_iifii ko Khirad kii falsafaadaanii
javaanii beniyaaz-e-ibrat-e-a.njaam hai saaqii

abhii tak raaste ke pech-o-Kham se dil dha.Dakataa hai
meraa zauq-e-talab shaayad abhii tak Khaam hai saaqii

vahaa.N bhejaa gayaa huu.N chaak karane pard-e-shab ko
jahaa.N har subah ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqii

Ye kuuche ye niilaam ghar dil kashi ke


Ye kuuche ye niilaam ghar dil_kashii ke
ye luTate hue kaarawaa.N zindagii ke
kahaa.N hai.n, kahaa.N hai.n muhaafiz Khudii ke?
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai.n?
ye pur_pe.nch galiyaa.N, ye be_Khaab baazaar
ye gumanaam raahii, ye sikko.n kii jha.nkaar
ye ismat ke saude, ye saudo.n pe takaraar
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
ta'affun se pur niim_roshan ye galiyaa.N
ye masalii huii adh_khilii zard kaliyaa.N
ye bikatii huii khokalii rang_raliyaa.N
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
wo ujale dariicho.n me.n paayal kii chhan-chhan
tanaffus kii ulajhan pe tabale kii dhan-dhan
ye be_ruuh kamaro.n me.n khaa.Nsii kii dhan-dhan
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
ye guu.Nje hue qah-qahe raasto.n par
ye chaaro.n taraf bhii.D sii khi.Dakiyo.n par
ye aawaaze.n khii.nchate hue aa.Nchalo.n par
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
ye phuulo.n ke gajare, ye piiko.n ke chhii.nTe
ye be_baak nazare.n, ye gustaaKh fiqare
ye dhalake badan aur ye madaquuq chehare
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
ye bhuukii nigaahe.n hasiino.n kii jaanib
ye ba.Date hue haath siino.n kii jaanib
lapakate hue paa.Nv ziino.n kii jaanib
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
yahaa.n piir bhii aa chuke hai.n jawaa.N bhii
tanuu_mand beTe bhii, abbaa miyaa.N bhii
ye biiwii bhii hai aur bahan bhii hai, maa.N bhii
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
madad chaahatii hai ye hawwaa kii beTii
yashodaa kii ham_jins raadhaa kii beTii
payambar kii ummat zulaiKhaa kii beTii
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.

apane maazi k tasavvur se hiraasaa hoon main


apane maazii ke tasavvur se hiraasaa huu.N mai.n
apane guzare hue ayyam se nafarat hai mujhe
apanii bekaar tamannao.n pe sharmi.ndaa huu.N mai.n
apanii besud ummiido.n pe nidaamat hai mujhe

mere maazii ko a.Ndhere me.n dabaa rahane do
meraa maazii merii zillat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
merii ummiido.n kaa haasil merii kaavish kaa silaa
ek benaam aziiyat ke sivaa kuchh bhii nahii.n

kitanii bekaar ummiido.n kaa sahaaraa lekar
mai.n ne aiwaan sajaaye they kisii kii Khaatir
kitanii berabt tamannaazo.n ke maabham Khaake
apane Khwaabo.n me.m basaaye the kisii kii Khaatir

mujhase ab merii mohabbat ke fasaane na puuchho
mujhako kahane do ke mai.n ne u.nhe.n chaahaa hii nahii.n
aur vo mast nigaahe.n jo mujhe bhuul gaii.n
mai.n ne un mast nigaaho.n ko saraahaa hii nahii.n
mujhako kahane do ki mai.n aaj bhii jii sakataa huu.N
ishq naakaam sahii zindagii naakaam nahii.n
unako apanaane kii Khvaahish u.nhe.n paane kii talab
shauq bekaar sahii sai-Gam a.njaam nahii.n

vahii gesuu vahii nazar vahii aarid vahii jism
mai.n jo chaahuu.N ki mujhe aur bhii mil sakate hai.n
vo ka.Nval jinako kabhii munake liye khilanaa thaa
unakii nazaron se bahut duur bhii khil sakate hai.

sochata hoon ki muhabbat hai suroor-e-masti


sochata hoon ki muhabbat hai suroor-e-masti
isakii tanviir me.n raushan hai fazaa-e-hastii

sochataa huu.N ki muhabbat hai bashar kii fitarat
isakaa miT jaanaa, miTaa denaa bahut mushkil hai
sochataa huu.N ki muhabbat se hai taabi.ndaa hayaat
aap ye shamaa bujhaa denaa bahut mushkil hai

sochataa huu.N ki muhabbat pe ka.Dii sharte.n hai.n
ik tamaddun me.n masarrat pe ba.Dii shart.en hai.n

sochataa huu.N ki muhabbat hai ik afasurdaa sii laash
chaadar-e-izzat-o-naamuus me.n kafanaa_ii hu_ii
daur-e-sarmaayaa kii rau.ndii hu_ii rusavaa hastii
daragah-e-mazahab-o-iKhlaaq se Thukaraa_ii hu_ii

sochataa huu.N ki bashar aur muhabbat kaa junuu.N
aisii bosiidaa tamaddun se hai ik kaar-e-zabuu.N

sochataa huu.N ki muhabbat na bachegii zi.ndaa
pesh-az-vaqt kii sa.D jaaye ye galatii hu_ii laash
yahii behatar hai ki begaanaa-e-ulfat hokar
apane siine me.n karuu.N jazb-e-nafarat kii talaash

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia


Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia

Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai

Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia

Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi

Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia

Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba

Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia.....!!!

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai


Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho


Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..

Jise Chaha Tha Rato Ki Andhero Se zyada


Jise Chaha Tha Rato Ki Andhero Se zyada
Jiski Muskan Ki Chamak Thi Suraj Ki Roshni Se Jada

Jisne Kiya Tha Kabhi Mujhse Ek Wada
Ki Meri Sirf Meri Rehegi Wo Sada

Toot Gaye Kanch Ki Tharah Sab Wade
Ab To Sirf Bachi Hain sirf meray aansu Aur Uski Yadein

Kabi Baithe Baithe Youn Hi Khokhlepan Ka Ahsas Hota Hai
Ki Aise Mera He Hal Hai Ya Waisa Uske Sath Bhi Hota Hai.

Ab To Nazar Aata Hai Sirf Ek Hi chara, Tere Dur Jane Se Pahle
Kay Ye Khwahish , Meri Puri Ho Jaye,

Uske Badle Me Meri Har Saans Chali Jaye.........

uttahaay khama-e-hastiesaraboun mein bhatakta tha


uttahaay khama-e-hastiesaraboun mein bhatakta tha
marie manzil ne khud otah ke dekahya raasta muj ko

koi suraj tallu hotay mujeh tu kia dekahay ga
andaharay ghar ki chaat per hi koi jugnu dekhaa muj ko

raqm thi dil ki shakhoun per wafa tahreer ki surat
metaata apnay haathoun se magar tu deahkata muj ko

koi shureeda sar Tasneem is bastie se nikla tha
woh marie zaat ke sahra mein ik din mil gaya muj ko

Akhlaq na bartenge mudara na karenge


Akhlaq na bartenge mudara na karenge
Ab hm kisi shakhs ki paravah na karenge

Kuch log kai lafz galat bol rahe hain
Isalah magar ham bhi ab isalah na karenge

Kamgoi ke ek vasf-e-himaqat hai bahar to
Kamgoi ko apanayenge chahaka na karenge

Ab sahal pasandi ko banayenge vatira
Ta der kisi bab men socha na karenge

Popular Posts