Tuesday, December 14, 2010

suna tha dil samundar se bhi gehra hota hai


suna tha dil samundar se bhi gehra hota hai
Heiran hoon iss main samaya nahi tery siva koi

Tanhayion mein beth kr tum sochtey ho kia


Tanhayion mein beth kr tum sochtey ho kia .
kuch to humein batao pareshan hum bhi hain

karenge tark-e-talluk,ye tumse wada raha


karenge tark-e-talluk,ye tumse wada raha faraz
badan se saans ka rishta to tut jane do

Jaaney kon duaon mein yaad rakhta hai


Jaaney kon duaon mein yaad rakhta hai FRAAZ
Mein dobta hoon samander uchhal deta hai

Barbad karne ke or bhi raste they


Barbad karne ke or bhi raste they Faraz
najane unhen mohabbat ka hi khayal kiyun aaya

Jin se Aanchal bhi duppatay ka sumbala na Giya


Jin se Aanchal bhi duppatay ka sumbala na Giya
Un Se kia khak meray dil ki hifazat hogi

Qadam ruk se gaey hain phool biktey dekh kar


Qadam ruk se gaey hain phool biktey dekh kar
Main aksar uss se kehta tha Mohabbat phool hoti hai

ab mein samjha us ki chamakti ankhon ka raaz

ab mein samjha us ki chamakti ankhon ka raaz
wo rota nahin ansoun ko qaid ker leta hai

wo aana ki zid mai kahen khud ko barbad na kar lay


wo aana ki zid mai kahen khud ko barbad na kar lay
Ye soch kar usko phir se manaya hum nay

Ae hawa ab agar tera guzar shehr-e-jana se ho to


Ae hawa ab agar tera guzar shehr-e-jana se ho to
sargoshion main kehna k tum bohat yaad atey ho

chahny waley muqadar se mila kartay hain


chahny waley muqadar se mila kartay hain faraz
iss baat ko wo samjha mere jane k baad

HAYA ANKHO MAY HO TO PARDA DIL KA HE KAFI HAY


HAYA ANKHO MAY HO TO PARDA DIL KA HE KAFI HAY SHAKIR
WARNA NAQABON SAY BHI HOTAY HAIN ISHARAY MUHABAT K

tu baar baar apni wafaon ki kahani na sunaya ker


tu baar baar apni wafaon ki kahani na sunaya ker SHAKIR
hum wafaon k pujari hain kharidaar nahi

MERE BEGAIR NAHI HO GI TERI SHNAKHT KABI POORI


MERE BEGAIR NAHI HO GI TERI SHNAKHT KABI POORI
TERI ZINDAGI K SATH MERE HAWALY BOHT HAIN

WO SWAB SAMAJH KAR HAMARAY DIL K TUKRAY KARTA HAI


WO SWAB SAMAJH KAR HAMARAY DIL K TUKRAY KARTA HAI
HUM GUNAH SAMAJH K US SAY GILLA NAHI KARTAY

Hum se Aik Rootha Hua Shakhs Na Maana


Hum se Aik Rootha Hua Shakhs Na Maana FARAZ
Log Roothi Hui Takdeer Mana Letey Hain

itni bhi khud itmaddi zulam hay


itni bhi khud itmaddi zulam hay Fraz
ke raat bhi kaali or chiraagh bhi bhujha hua

Ab To Kaliyun K Tabasum Sey B Dar Jata Hon


Ab To Kaliyun K Tabasum Sey B Dar Jata Hon FARAZ
Muskara Kr Jo Bhe Mila Zakham Gehra De Gaiya

Waqt-e-mulaqat us ney murr kr is tarha dekha


Waqt-e-mulaqat us ney murr kr is tarha dekha Faraz
main dil pe hath na rakhta tou dil nikal jata

Wo b kiya ajeeb shakhs hai k jis ki zaat par


Wo b kiya ajeeb shakhs hai k jis ki zaat par Faraz
Jab aitbaar barh gaya to ikhtayaar ghat gaya

tum jab aao gi to khoya hua pao gi mujhe


tum jab aao gi to khoya hua pao gi mujhe
meri tanhai mein khwabon k siwa kuch bhi nahi
mere kamrey ko sajaney ki tamanna hai tujhe
mere kamrey mein kitabon k siwa kuch bhi nahi

dunya walon SE alag mere mashgaley hen


dunya walon se alag mere mashgaley hen "faraz",
kanton ko choomta hon to phool jaltey hen

unki har baat pe humne ye soch kar yaqeen kar liya


unki har baat pe humne ye soch kar yaqeen kar liya faraz
itney kubsurat labon se vo jhoot kahan bolti hogi

Maana k bahot keemti hai waqt tera



Maana k bahot keemti hai waqt tera
HUM bhi nayaab hein ye tum hi kaha krtay thay

zindagi tu hi bata kaise tujhe pyar karein


zindagi tu hi bata kaise tujhe pyar karein
teri her sans tou mari umer ghata deti hai

dilon ki emaraton mein kahein bandagi nahi


dilon ki emaraton mein kahein bandagi nahi
Eeinton ki masjidon mein "KHUDA" dhoondtay hain log

Tere maikhane ka dastoor b ajeeb hai


Tere maikhane ka dastoor b ajeeb hai Shakir
Sharab unko milti hai jinko Peena nahi aata

USS KI JAFAOON NY MUJHY IK TEHZEEB SIKHA DI HAI


USS KI JAFAOON NY MUJHY IK TEHZEEB SIKHA DI HAI Shakir
MAIN ROTY HUE SO JATA HOON PAR SHIKWA NAHI KARTA

Kitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye


Kitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye
Neend Nahi Aati Unhaien Dharkan k Shor Say

Zindagi se koi cheez udhar nahin mangi main ne


Zindagi se koi cheez udhar nahin mangi main ne FaRaZ
Kafan bhi lain gey to zindagi apni de kar

tum tu kaha karte thay k waqat sahra hai


tum tu kaha karte thay k waqat sahra hai faraz'
to phir shub tanhai main roya kauon karte ho

kitna masoom sa lagta hai ek Lafz "MOHABBAT"


kitna masoom sa lagta hai ek Lafz "MOHABBAT"
Aur iss lafz se munsalik hain sazaain Kitni

Hussan walon ko kiya zarorat hai sanwarney ki


Hussan walon ko kiya zarorat hai sanwarney ki FaRaZ
Wo to sadgi main bhi Qiyamat ki adda rakhtey hain

jany us shakhs ko kaisa yeh hunr ata hai


jany us shakhs ko kaisa yeh hunr ata hai,
Raat hoti hai to ankhoo main utar ata hai,
main us k khyaal sy niklu to kahan jaon,
wo meri soch k har rasty py nazar ata hai.

yeh keh kar saperon ne band kar diya sanpon ko


yeh keh kar saperon ne band kar diya sanpon ko pitaron main
k dasnay k liye insanon ko insan hi kaafi hain

RUK HI JATI HAI NAZAR HAD-E-NAZAR TAK


RUK HI JATI HAI NAZAR HAD-E-NAZAR TAK FRAAZ
DIL TO KEHTA HAI JAHAN TUM HO WAHAN TAK DAIKHOON

AJAB LUTAF AA RAHA THA DEEDAR KI DIL LAGI KA


AJAB LUTAF AA RAHA THA DEEDAR KI DIL LAGI KA FARAZ
K NAZRAIN BHI MUJH PER THEEN AUR PARDA BHI MUJH SE THA

kisi se itna door zroor jao


kisi se itna door zroor jao k usey tumhari kami ka ehsas ho sakey
na k itna door chaley jao k wo tumhare bina jeena sikh ley...

ajab rangoon main guzri ha zindgi apni


ajab rangoon main guzri ha zindgi apni
diloon pay raj kia lakin muhabat se mehroom rahey

PHIR KISI PIYAAS K SEHRA MAIN MUJHY


PHIR KISI PIYAAS K SEHRA MAIN MUJHY NEEND AYE FRAAZ
AUR MAIN KHAWAB MAIN MAANGOO TUJHY PAANI KI TARAH

ye shrarat bhara lehja adat he meri


ye shrarat bhara lehja adat he meri
tu yun har baat per num na kya kar aankhen

Main jis ki khater mohabaton ki her aik hadon se


Main jis ki khater mohabaton ki her aik hadon say guzar gia hun
woh ab bhi mujh say pochta hay sach batao wafa karo gay

Geelay kaghaz ki tarah tehri zindagi apni


Geelay kaghaz ki tarah tehri zindagi apni..
Koi likhta bhi nahe..koi jalata bhi nahe ...

Faqat Ta'aruf Ke Liye Itna Hi Kafi hay Aye Dost


Faqat Ta'aruf Ke Liye Itna Hi Kafi hay Aye Dost....
K Hum woh rasta chhor Detey Hein Jo Aam Ho Jaye....

Ye Khud-Aziyati kab tak “FARAZ“


Ye Khud-Aziyati kab tak “FARAZ“
Tu bhi usay na kar Yaad, Jisay Bhoolne ki Adat hai

Yaad rahe ga humko ye door-e- hayyat bhi


Yaad rahe ga humko ye door-e- hayyat bhi
ke zinda reh ker bhi tarsse thay zindagi ke liye

haalat-e-haal kay sabab haalat-e-haal hi gaii


haalat-e-haal kay sabab haalat-e-haal hi gaii
shouq meiN kuchh nahiN gaya shauq ki zindagii gaii

tera firaaq jaan-e-jaaN aish tha kya meray liye
yaani teray firaaq meiN khoob sharaab pii gaii

teray wisaal kay liye apnay kamaal kay liye
haalat-e-dil keh thi kharab aur kharab ki gaii

aik hi hadisa to hai aur woh yeh keh aaj tak
baat nahiN kahi gaii baat nahin sunii gaii

baad bhi teray jaan-e-jaaN dil meiN raha ajab samaaN
yaad rahi teri yahaN phir teri yaad bhii gaii

us kay badan ko dii namood hum ne sukhan meiN aur phir
us kay badan kay waastay aik qabaa bhi sii gaii

sehn-e-khayal-e-yaar meiN ki na basar shab-e-firaaq
jab say woh chandna gaya jab say woh chandni gaii

nasha-e-shauq-e-rang meiN tujh say judaai ki gaii
aik lakeer khoon ki beech meiN kheench di gaii

thi jo kabhi sar-e-sukhan meri woh khaamoshi gaii
haaye kahan sunan ki baat, haaye woh bat hi gaii

shauq ki aik umr meiN kaisay badal sakayga dil
nabz-e-junoon hi to thi sheher meiN Doobti gaii

us ki galii se uTh kay maiN aan paRa tha apnay ghar
aik galii ki baat thi aur gali gali gaii

us ki umeed-e-naaz ka hum say yeh maan tha kay aap
umr guzaar dijiye umr guzaar di gaii

daur ba daur, dil ba dil, dard ba dard, dam ba damm
teray yahaN ri´ayat-e-haal nahiN rakhi gaii

jaun junoob-e-zard kay khaak basar yeh dukh uThha
mauj-e-shmial-e-sabz-e-jaaN aai thi aur chali gaii

kya woh gumaaN nahiN raha? haan woh gumaN nahin raha
kya woh umeed bhi gaii? haan woh umeed bhi gaii

baat koi umeed ki mujh say nahiN kahi gaii
so meray khwab bhi gaye, so meri neend bhi gaii

jaaniye kya talaash thi jaun meray wujood meiN
jis ko maiN DhoonDta gaya, jo mujhay DhoonDti gaii

aik khushi ka haal hai khush-sukhanaN kay darmyaaN
izaat-e-shaaiqeen-e-gham thi jo rahi sahi gaii

jab maiN tha shehr-e-zaat ka tha mera har nafas azaab
phir maiN wahaN ka tha jahaN haalat-e-zaat bhi gaii

tum nay bohot sharaab pii is ka sabhi ko dukh hai jaun
aur jo dukh hai woh yeh hai tum ko sharaab pii gaii

jaan teray firaaq meiN shaam say shab jo ki gaii
khuub sharaab pii gaii aur kharaab pii gaii

shikwa jo hai to is ka hai shikwa nahiN kiya gaya
ranj jo hai to is ka hai baat faqat sahi gaii

sood-o-zayaaN to khair kya in ki tameez hai ajab
waisay isi tameez meiN apni to zindagi gaii

jis ka surood-e-roshni mehfil-e-shab faroz tha
us dil-e-daagh zaar say apni hi roshni gaii

Shouq ka rang bujh gaya yaad ke zakhm bhar gaye


Shouq ka rang bujh gaya yaad ke zakhm bhar gaye
kia meri fasl ho chuki kia mere din guzar gaye?

rehguzar-e-khayal main doush badoush thay jo loug
waqt ki gard baad main jane kahan bikhar gaye

hum bhi hijab dar hijab chup na sake,magar rahay
woh bhi "hujoom" dar "hujoom" reh na sake,magar gaye

sham hai kitni be tapaak,shehr hai kitna "sehm" naak
ham nafaso kahan ho tum?jane yeh sab kidhar gaye?

AAJ KI RAAT HAI AJEEB KOI NAHIN MERE QAREEB
AAJ SAB APNE GHAR RAHE,AAJ SAB APNE GHAR GAYE

MAIN TO SAFOON KE DARMIYAN KAB SE PARA HOON NEEM JAAN
MERE TAMAM JANNISAR MERE LIYE TO MAR GAYE

AAP MAIN JOUN ELIA AB DHARA HAI KIA
AAP BHI AB SUDAHRIYE AAP KE CHARAH GAR GAYE

Zindaaniyaan-e-shaam o sahar kheiriat sey hain



Zindaaniyaan-e-shaam o sahar kheiriat sey hain
Har lamha jee rahey hain magar kheiriat sey hain

Shehr-e-yaqeeN mein ab koi dam kham nahi raha
Dasht-e-gumaaN k khaak basar kheiriat sey hain

Aakhir hai kaun jo kisi pal keh sakey yeh baat
Allaah aur tamaam bashar kheiriat sey hain

Hai apney apney taur pa har cheez iss ghaRi
Mizsgaan-e-khushk o daaman-e-tar kheiriat sey hain

Ab faisloN ka kam nazaroN par madaar hai
Yani tamaam ehl-e-nazar kheiriat sey hain

PeiroN sey aabloN ka wohi hai muaamila
Saudaaiyaan-e-haal k sar kheiriat sey hain

Hum jin gharoN ko choR k aaye thay naagahaaN
Shikwey ki baat hai,wo agar kheiriat sey hain

Loo chal rahi hai,mehw hai apney mein dopahar
Khaak uR rahi hai aur khanDar kheiriat sey hain

Hum ehl-e-shehr apney jawaanoN k darmyaaN
Jaun ! aik moajiza hai agar kheiriat sey hain

Barbaad ho chuka hai hunar ik hunar k saath
Aur apney saahibaan-e-hunar kheiriat sey hain

Shukr-e-Khuda shaheed huey ehl-e-haq tamaam
Bargustawaan-e-teigh o tabar kheiriat sey hain

Ab us ka qasr-e-naaz kahaan aur wo kahaan
Bas dar hai aur banda-e-dar kheiriat sey hain

Hum hain k shaayeri hai hamare liye azaab
Warna tamaam Josh o Jigar kheiriat sey hain

Shayer to do hain......MEER TAQI aur MEER JAUN
Baaqi jo hain wo shaam o sahar kheiriat sey hain !!

Hai bikharne ko yeh mehfil-e-rang boo,tum kahan jawo ge hum kahan jayein ge



Hai bikharne ko yeh mehfil-e-rang boo,tum kahan jawo ge hum kahan jayein ge
har taraf ho rahi hai yahi guftagoo,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge

har mata-e-nafas,nazar aahang ki,hum ko yaran hawas thi bohot rang ki
gul zameen se ubalne ko hai ab lahoo,tum kahan jawo ge hum kahan jawo ge

koi hasil na tha aarzoo ka magar,sanha ab hai yeh aarzoo bhi nahin
waqt ki is masafat main bay aarzoo,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge

kis qadar door se lout kar aye hain,yoon kaho umr barbad kar aye hain
tha saraab apna sarmaye-e-justaju,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge

ik junoon tha ki aabad ho shehr-e-jaan aur aabad jab shehr-e-jaan ho gaya
hain yeh sargoshiyan dar badar ku baku,tum kahan jawo ge ham kahan jayen ge

HUM HAIN RUSWA KUN-E-DILLI-O-LAKHNAWO APNI KIA ZINDAGI APNI KIA AABRU
MEER DILLI SE NIKLY GAYE LAKHNAWO,TUM KAHAN JAO GE, HUM KAHAN JAYEN GE

hum to jaisey wahaan key thay hi nahin

hum to jaisey wahaan key thay hi nahin  
dhoop they sayaban key thay hi nahin

raastey karavan key sath rahey
marhaley karavan key thay hi nahin

ab hamara makaan kis kaa hai
hum to apaney makaan key thay hi nahin

in ko aandhi main hi bikharna tha
baal-o-par yahan key thay hi nahin

us gali ney yeh sun ke saber kiya
janey waley yahan key thay hi nahin

ho teri Khak-e-astan pey salaam
ham terey astan key thay hi nahin

Popular Posts