Tuesday, December 14, 2010

haalat-e-haal kay sabab haalat-e-haal hi gaii


haalat-e-haal kay sabab haalat-e-haal hi gaii
shouq meiN kuchh nahiN gaya shauq ki zindagii gaii

tera firaaq jaan-e-jaaN aish tha kya meray liye
yaani teray firaaq meiN khoob sharaab pii gaii

teray wisaal kay liye apnay kamaal kay liye
haalat-e-dil keh thi kharab aur kharab ki gaii

aik hi hadisa to hai aur woh yeh keh aaj tak
baat nahiN kahi gaii baat nahin sunii gaii

baad bhi teray jaan-e-jaaN dil meiN raha ajab samaaN
yaad rahi teri yahaN phir teri yaad bhii gaii

us kay badan ko dii namood hum ne sukhan meiN aur phir
us kay badan kay waastay aik qabaa bhi sii gaii

sehn-e-khayal-e-yaar meiN ki na basar shab-e-firaaq
jab say woh chandna gaya jab say woh chandni gaii

nasha-e-shauq-e-rang meiN tujh say judaai ki gaii
aik lakeer khoon ki beech meiN kheench di gaii

thi jo kabhi sar-e-sukhan meri woh khaamoshi gaii
haaye kahan sunan ki baat, haaye woh bat hi gaii

shauq ki aik umr meiN kaisay badal sakayga dil
nabz-e-junoon hi to thi sheher meiN Doobti gaii

us ki galii se uTh kay maiN aan paRa tha apnay ghar
aik galii ki baat thi aur gali gali gaii

us ki umeed-e-naaz ka hum say yeh maan tha kay aap
umr guzaar dijiye umr guzaar di gaii

daur ba daur, dil ba dil, dard ba dard, dam ba damm
teray yahaN ri´ayat-e-haal nahiN rakhi gaii

jaun junoob-e-zard kay khaak basar yeh dukh uThha
mauj-e-shmial-e-sabz-e-jaaN aai thi aur chali gaii

kya woh gumaaN nahiN raha? haan woh gumaN nahin raha
kya woh umeed bhi gaii? haan woh umeed bhi gaii

baat koi umeed ki mujh say nahiN kahi gaii
so meray khwab bhi gaye, so meri neend bhi gaii

jaaniye kya talaash thi jaun meray wujood meiN
jis ko maiN DhoonDta gaya, jo mujhay DhoonDti gaii

aik khushi ka haal hai khush-sukhanaN kay darmyaaN
izaat-e-shaaiqeen-e-gham thi jo rahi sahi gaii

jab maiN tha shehr-e-zaat ka tha mera har nafas azaab
phir maiN wahaN ka tha jahaN haalat-e-zaat bhi gaii

tum nay bohot sharaab pii is ka sabhi ko dukh hai jaun
aur jo dukh hai woh yeh hai tum ko sharaab pii gaii

jaan teray firaaq meiN shaam say shab jo ki gaii
khuub sharaab pii gaii aur kharaab pii gaii

shikwa jo hai to is ka hai shikwa nahiN kiya gaya
ranj jo hai to is ka hai baat faqat sahi gaii

sood-o-zayaaN to khair kya in ki tameez hai ajab
waisay isi tameez meiN apni to zindagi gaii

jis ka surood-e-roshni mehfil-e-shab faroz tha
us dil-e-daagh zaar say apni hi roshni gaii

No comments:

Popular Posts