Friday, May 28, 2010

Meri Bebasi Par Na Baha Aansu

Meri Bebasi Par Na Baha Aansu, 
Kadar Ab Teri Nahi Aye Aansu, 

In Hiron Ka Bhav Koi Ab Kahan Dega, 
Teri Kadar Ab Koi Nahi Aye Aansu, 

Tu Lahoo Ke Har Boond Me Se Uthta Hai, 
Tu Apni Bekadri Na Kar Aye Aansu, 

In Anmol Motiyon Ke Ab Koi Kardardaan Nahi, 
Tu Apni Bekadri Na Kara Aye Aansu...

Us Ek Furd Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kisliye

Us Ek Furd Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kisliye, 
Meri Zindagi Ka Matlab Wohi Ek Fard Hai Kisliye, 

To Jo Sheher Mein Hai Mokeem Hai To Musafrat Ki Fiza Hai Kyon,
Tera Karwan Jo Nahi Gaya To Hawa Mein Gard Hai Kisliye, 

Na Jamal-O-Husn Ki Bazm Hai Na Janoon-E-IshQ Ka Azam Hai, 
Sar Dasht Raks Mein Har Ghadi Koi Bar-E-Gard Hai Kisliye, 

Tere Husn Se Ye Pata Chala Tujhe Dekhkar Ye Khabar Hui, 
Jahan Rasta Hi Nahi Koi Wahan Rah Noorad Hai Kisliye, 

Jo Likha Hai Mere Naseeb Mein Kahin Tune Padh To Nahi Liya, 
Tere Haath Sard Hai Kis Liye Tera Rang Zard Hai Kisliye, 

Wo Jo Tark-E-Rabt Ka Ehad Hai Kahin Tootne To Nahi Laga, 
Tere Dilke Dard Ko Dekhkar Mere Dil Mein Dar Hai Kisliye, 

Koi Wasta Jo Nahi Raha Teri Aankh Mein Ye Nami Hai Kyon, 
Mere Gam Ke Aag Ko Dekh Kar Teri Aah Sard Hai Kisliye...

Bhigi Palkon Ki Kasam Raat Ki Tanahyi Mein


Bhigi Palkon Ki Kasam Raat Ki Tanahyi Mein,
Khoon Ke Aansu Rota Hoon Main Teri Judayi Mein,

Teri Aankhein Goya Ek Samundar Hai, 
Doobke Mar Jaunga Main Inki Gehrayi Mein,

Kitaab Kholun To Tera Hi Chehra Nazar Aata Hai, 
Kya Karun Dil Nahi Lagta Mera Padhayi Mein,

Adalat-E-Pyaar Mein Main Apne Jurm Ka Iqraar Karta Hoon,
Sanam Mujhe Kuch Nahi Kehna Apni Safayi Mein...

Tum ho toh, Gaata hai dil



Tum ho toh, Gaata hai dil 
Tum nahin, Toh geet kahan 
Tum ho toh, Hai sab haasil 
Tum nahin, toh kya hai yahan 
Tum ho toh hai, Sapnon ke jaisa haseen, 

ek samaaaaaaa 


Jo tum ho toh, Yeh lagta hai 
Ke mil gayee, har khushi 
Jo tum naa ho, yeh lagta hai 
Ke har khushi, mein hai kamee 
Tum ko hai maangti, 


yeh zindagiiiiiiiiii 


Tum ho toh, raahein bhi hain 
Tum nahin, toh rastey kahan 
Tum ho toh, yahan sab hi hain 
Tum nahin, toh kaun yahan 
Tum ho toh hai, har ek pal meherbaan, 


yeh jahaaaaaaan 


Jo tum ho toh, hawa main bhi 
Mohabbaton ka rang hai 
Jo tum naa ho, toh phir koi 
Naa josh naa umang hai 
Tum mile toh milli 


yeh zindagiiiiiiiiii 

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki



Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai, 

Kabhi Nazrein Milati Hai Kabhi Nazrein Churati Hai, 

Kabhi Deewana Karti Hai Kabhi Pagal, 

Kabhi Naagin Se Lat Se Khelti Hai Darati Hai, 

Kabhi Masoom Sa Chehra Bana Kar Sehem Jaati Hai, 

Kabhi Aanchal Sametti Hai Kabhi Khud Simat Jaati Hai, 

Kabhi Chalte Hi Chalte Thoda Sa Ruk Jaati Hai, 

Kabhi Aabroo Churati Hai Kabhi Palkein Jhukati Hai, 

Kabhi Masoom Sa Chehra Bana Kar Sehem Jaati Hai, 

Kabhi Khamosh Se Khamosh Chup Si Rehti Hai, 

Kabhi Chalti Hai Latak Matak Ke Chalti Hai, 

Kabhi Paayal Ki Cham Cham Se Neendon Ko Udati Hai, 

Kabhi Chhoti Se Chhoti Baat Pe Rooth Jaati Hai, 

Kabhi Dosti Banti Hai To Saare Dukh Bantti Hai, 

Kabhi Hijr Mein Akela Sa Tanha Sa Chhod Jaati Hai, 

Kabhi Gairon Se Hans Hans Kar Baatein Karti Hai, 

Kabhi Begana Karti Hai Kabhi Apna Banati Hai, 

Isiliye Areeb Itna Mujhko Bhaati Hai, 

Apni Chizon Pe Mera Naam Likhe Jaati Hai, 

Aankhon Hi Aankhon Mein Dilko Har Baar Kehti Hai, 

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai...

Aaj Ek Anokhi Si Baat Ho Gayi

Aaj Ek Anokhi Si Baat Ho Gayi, 
Zindagi Se Meri MulaQaat Ho Gayi, 

Zindagi Ke Milne Se Pehle Thi Main Banjar Zameen,
Aaj Is Banjar Zameen Par Bhi Barsaat Ho Gayi, 

Tha Namumkin Jis Par Kabhi Pyaar Ke Phoolon Ka Khilna, 
Aaj Wo Chahat Ke Asar Se Poora Gulistaan Ho Gayi, 

Badli Main Zindagi Se Milne Ke Baad Kuch Is Kadar, 
Ke Lafz Se Shuru Hui Thi Aur Poori Daastan Ho Gayi...

Ummeedon Ke Phool Khile Hai Aas Ki Kaliyan Chatki Hai

Ummeedon Ke Phool Khile Hai Aas Ki Kaliyan Chatki Hai, 
Barso Baad Use Dekha To Aankhein Kisne Jhapki Hai, 

Usne Apne Khat Mein Mujhko Kitne Dard Se Likha Hai, 
Ab To Gaanv Aaya Karna Ab To Sadkein Pakki Hai, 

Jaane Kisko Kahan Mile The Kaun Kahan Par Bichhda Tha, 
Humne Aisi Saari Yaadein Nasiyaa'n Taak Pe Rakhi Hai, 

Kachhe Dhaagon Ka Bandhan Ho Ya Zanjeerein Sone Ki, 
Dil Jazbon Se Khali Ho To Sab Tadbeerein Kachhi Hai, 

Talhiyan Baantne Walon Ko Bhi Humse Nahi Shikwa, 
Kaisi Kaisi Zehrein Humne Amrit Jaanke Chakkhi Hai...

Ajab Apna Haal Hota Agar Vasl-E-Yaar Hota

Ajab Apna Haal Hota Agar Vasl-E-Yaar Hota, 
Kabhi Jaan SadQe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota, 

Na Maza Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein,
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota, 

Ye Maza Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti, 
Na Tumhe Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota, 

Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte, 
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota...

Lakhon Ki Bhid Mein Hoon, Phir Bhi Akela Hoon


Lakhon Ki Bhid Mein Hoon,
Phir Bhi Akela Hoon,

Suraj Ki Roshni Mein Hoon,
Fir Bhi Andhera Hoon,

Dil Ka Kya Haal Kahun,
Ek Luta Hua Musafir Hoon,

Dil To Le Hi Gaye The, 
Dhadkan Bhi Le Jaate, 

Jo Soona Pan Diya Hai, 
Usse Apne Dilse Bhar Jaate, 

Ek Haseen Sa Tasavuur In 
Aankhon Mein Chhod Jaate, 

Aakhri Pal Mein Hi Sahi, 
Hamare Humsafar Ho Jaate...

Apne Zarf Apni Talab Apni Nazar Ki Baat Hai

Apne Zarf Apni Talab Apni Nazar Ki Baat Hai, 
Raat Hai Lekin Mere Lab Par Seher Ki Baat Hai, 

Aashiyan Ke Sath Puri Zindagi Badli Gayi, 
Kam Nazar Samjhe Ke Masht-E-Bal-O-Par Ki Baat Hai, 

Taa Abaad, Kitne Andhere The Jo Roshan Ho Gayi, 
Shamma Ka Jalna Bazahir Raat Bhar Ki Baat Hai, 

Zindagi Sadiyon Ka Hasil, Zindagi Sadiyon Ka Roop, 
Zindagi Jo Chashmak-E-BarQ-O-Sharar Ki Baat Hai, 

Manzil Ek Reh Roo Ka Thak Jana Hai Warna Zindagi, 
Ek Musalsal Rehguzar, Payham Safar Ki Baat Hai...

Ek Jhalak Bhi Na Dekh Sakun Kaise Zamane Aaye Hai

Ek Jhalak Bhi Na Dekh Sakun Kaise Zamane Aaye Hai, 
Dekh Lo Ek Baar Ke Hum Tumhe Manane Aaye Hai, 

Apne Daman Ko Kaanto Se Bachaye Rakhna, 
Ab Na Hum Aayenge Yehi Batane Aaye Hai, 

Ye Judaiyon Ke Raaste Gaye Hai Bahut Door Tak, 
Jo Gaya Wapas Na Aaya Yaar Tumhe Samjhane Aaye Hai, 

Gila Na Karo Na Karoge Ab Shikayat Koi, 
Ke Khudko Wapas Ab Hum Le Jaane Aaye Hai, 

Sunkar Hamari Baatein Wo Bhage Is Tarah, 
Ke Jaise Hum Unhe Mitane Aaye Hai, 

Chaar Gaz Jagah De To Jagah Kabar Ki Tum, 
Ke Gaanv Mein Tere Khudko Dafnane Aaye Hai, 

Jal Chuka Tha Jab Aashiyana Raakh Ka Jab Dher Hoga, 
Daude Aaye Aur Kehne Lage Ke Hum Tumhe Bachane Aaye Hai, 

Kaisi Kaisi Nasihatein Aur Duwayein Dene Aaye The, 
Par Wo Samajhte Rahe Ke Hum Unhe Gharse Beghar Karne Aaye Hai...

Phir Kabhi Logonki Baaton Mein Nahi Aayega Wo

Phir Kabhi Logonki Baaton Mein Nahi Aayega Wo, 
Dekh Lena Mujhse Milkar Thik Ho Jayega Wo, 

Mere Uske Darmiyan Koi Bada Jhagda Nahi, 
Lekin Usko Tool Dega Khoon Phailayega Wo, 

Sulha To Karega Aake Mujhse Lekin Iske Baad, 
Jab Milega Yehi Bas Ehsaan Jatlayega Wo, 

Main Bhi Kuch Aisi Gayi Guzri Nahi Keh Do Usse, 
Aankh Utha Kar Bhi Ab Na Dekhungi Pachtayega Wo, 

Main Bhi Kuch Aisi Gayi Guzri Nahi Keh Do Usse, 
Aankh Utha Kar Bhi Ab Na Dekhungi Pachhtayega Wo...

Mera Pyar Kabhi Yaad Aaye To Laut Aana

Mera Pyar Kabhi Yaad Aaye To Laut Aana, 
Beete Dino Ka Khayal Sataye To Laut Aana, 

Hame Chhod Kar Kisi Aur Haath To Thaam Liya, 
Kabhi Wo Haath Churaye To Laut Aana, 

Jab Safar Kathan Ho Aur Wo Bhi Saath Chhod Jaye, 
Aur Manzil Bhi Na Mil Paaye To Laut Aana, 

Phir Duniya Ke Hajoom Mein Jab Nazar Na Aaye Koi Apna, 
Aur Tanhayi Se Jo Dil Ghabraye To Laut Aana, 

Udaasi Ka Samundar Phaila Ho Chaar Soo, 
Naa Koi Kinara Nazar Aaye To Laut Aana, 

Jab Suraj Lage Madham Aur Chaand Lage Benoor, 
Koi Taara Bhi Na Timtamaye To Laut Aana, 

Bewafayi Ka Jo Kabhi Tumse Khele Wo Khel, 
Aur Dil Koi Ch'ot Khaye To Laut Aana, 

Guzarenge Tamam Umr Teri Raah Mein Bichha Kar Aankhein,
Mere Pyaar Ki Gehraan Ka Ehsaas Ho Jaye To Laut Aana...

Ek Pal Mein Hamein Bhulne Wale

Ek Pal Mein Hamein Bhulne Wale, 
Tere Liye Nigahein Tarasti Hai, 

Sawan Bina Zindagi Mein Hamari, 
Yaadein Teri Barasti Hai, 

Rote Rahe Hum Tanha Akele, 
Tasveerein Teri Hasti Hai, 

Teri Jafayein Ban Kar Khanjar, 
Dil Mein Mere Dasti Hai, 

Dinke Ujale Se Bachte Rahe Par, 
Raatein Judayi Ki Dasti Hai...

Pyaar Ne Hamein Deewana Bana Rakha Hai

Pyaar Ne Hamein Deewana Bana Rakha Hai, 
Dilki Mehfil Ko Humne Tere Naam Se Saja Rakha Hai, 

Har Roz Karte Hai Ise Sajda, 
Iska Naam Humne Khuda Rakha Hai, 

Iski Bandagi Mein Koi Kami Na Ho, 
Khudko Humne Iska Gulam Bana Rakha Hai, 

Ab Hamara Dil Hi Hamara Nahi, 
Isko Humne Aapke Naam Se Apne Seene Mein Amanat Ki Jagah Rakha Hai...

Mohabbat Kaisa bandhan hey?


Mohabbat Kaisa bandhan hey? 

Meri tanhaian aksar ye mujhsy poocha karti han, 

Mohabbat kaisa bandhan hey 

Mohabbat kaisy hoti hey to me izhaar karti hoon, 

Mohabbat aisa darya he, 

Ke jis ma doob jany se bohat araam milta he. 

Mohabbat aik khushboo he jo aik angan ma mahakti he, 

Mohabbat aisa sawan he jo ankho se barasta he, 

Mohabbat aisi basti he 

K jisme rahny wala koi bhi piyasa nahi rehta, 

Mohabbat aisi jeewan he 

Jo marta he na mit ta he, 

Mohabbat aisi shama he 

Jo sari umer jalti he 

Mohabbat aik chaon he ya MAAN ke piyaar jeisy he, 

Mohabbat roop he RUB ka ya RUB ke piyaar jaisy he,

Humse Badal Gaya Wo Nigahein To Kya Hua

Humse Badal Gaya Wo Nigahein To Kya Hua, 
Zinda Hai Kitne Log Mohabbat Kiye Bagair, 

Guzre Dino Mein Jo Kabhi Goonje The Kehkahe, 
Ab Apne Ikhtiyar Mein Wo Bhi Nahi Rahe,

Kismat Mein Reh Gayi Hai Jo Aah To Kya Hua, 
Sadma Ye Jhelna Hai Shikayat Kiye Bagair, 

Wo Samne Bhi Ho To Na Kholenge Hum Zubaan, 
Likhi Hai Uske Chehre Pe Apni Hi Daastan, 

Usko Taras Gayi Hai Baahein To Kya Hua, 
Wo Laut Jaaye Hum Pe Inaayat Kiye Bagair, 

Pehle Qareeb Tha Koi Ab Dooriyan Bhi Hai, 
Insaan Ke Naseeb Mein Majbooriyan Bhi Hai, 

Apni Badal Chuka Hai Wo Raahein To Kya Hua, 
Hum Chup Rahenge Usko Malaamat Kiye Bagair...

Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Achha Laga

Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Achha Laga, 
Sabse Chhup Kar Wo Kisika Dekhna Achha Laga, 

Sarmayi Aankhon Ke Neeche Phool Se Khilne Lageae, 
Kehte Kehte Kuch Kisika Sochna Achha Laga, 

Baat To Kucb Bhi Nahi Thi Lekin, Uska Ekdam
Haath Ko Hothon Pe Rakh Kar Rokna Achha Laga, 

Chaay Mein Chini Milana Us Ghadi Bhaya Bahut, 
Zair Lab Wo Muskurata "Shukriya" Achha Laga, 

Dil Mein Kitne Ahad Bandhe The Bhulane Ke Usse, 
Wo Mila To Sab Irade Todna Achha Laga, 

Be-Irada Lams Ki Wo Hansi Pyaari Lagi, 
Kam Tawajjo Wo Aankh Ka Dekhna Achha Laga...

Tera Ehsaas Kuch Is Qadar Mujh Mein Samaya Hai


Tera Ehsaas Kuch Is Qadar Mujh Mein Samaya Hai, 
Har Pal Har Samay Bas Tu Hi Nazar Aaya Hai, 

Subah Ki Pehli Kiran Aur Angdayi Leti,
Apni Baahon Ke Ghere Mein,
Tujhe Khudko Chumte Paaya Hai, 

Kaise Sanwarun Apne Baal, 
Kaise Karun Aaj Khudko Taiyar, 
Mere Kaunse Roop Ne Tumhe Lubhaya Hai, 

Apni Kajar Ki Dhaar Se Chudiyon Ki Chhanak Tak, 
Bindiki Chamak Se Payal Ki Jhanak Tak, 
Bas Tera Hi AQs Mujhe Nazar Aaya Hai, 

Tujhe Pyaar Karte Hue, 
Apni Aakhein Band Rakhu Ya Khuli, 
Dekhneke Liye Sheeshe Mein
Khudko Tere Sath Paya Hai, 

Mere Har Khayal Mein Shaamil Hai Tu, 
Har Baat Har Pal Maine Apne Wajood Mein,
Bas Teri Chahat Ko Hi Paya Hai...

Sun Li Jo KHUDA Ne Dua Wo Tum To Nahi Ho


Sun Li Jo KHUDA Ne Dua Wo Tum To Nahi Ho, 
Darwaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho, 

Simti Hui Sharmayi Hui Raat Ki Raani, 
Soyi Hui Kaliyon Ki Ada Tum To Nahi Ho, 

Mehsoos Kiya Tumko To Geeli Hui Palkein,
Bheege Hue Mausam Ki Ada Tum To Nahi Ho, 

In Ajnabee Raahon Mein Nahi Koi Bhi Mera, 
Kisne Mujhe Yun Apna Kaha Tum To Nahi Ho...

Phir Daaman-E-Ummid Wo Phoolon Se Bhar Gaya


Phir Daaman-E-Ummid Wo Phoolon Se Bhar Gaya, 
Jaadu Bhari Nigaah Se Jaadu Saa Kar Gaya, 

Bas Dekhte Hi Dekhte Duniya Badal Gayi, 
Kuch Sochte Hi Sochte Chehra Utar Gaya, 

Betaab BeQaraar Tha Pehle Hi Dil Bahut, 
Phir Aap Ka Aana Aur Bhi Betaab Kar Gaya, 

Ek Bekhudhi Ka Naam Mohabbat Hai Doston, 
Chahat Mein Kisko Hosh Hai Kya Kya Guzar Gaya, 

Kuch Bhi Pata Nahi Hai Mohabbat Mein Aye Dost, 
Kab Raat Subah Ban Gayi Kab Din Guzar Gaya...

Har Baat Yahan Baat Badhane Ke Liye Hai

Har Baat Yahan Baat Badhane Ke Liye Hai, 
Ye Umar Jo Dhoka Hai To Khaane Ke Liye Hai, 

Ye Daaman-E-Hasrat Hai Wahi Khwaab-E-Gurezaan, 
Jo Apne Liye Hai Na Zamane Ke Liye Hai, 

Utre Hue Chehre Mein Shikayat Hai Kisiki, 
Roothi Hui Rangat Hai Manane Ke Liye Hai, 

Gaafil Teri Aankhon Ka MuQaddar Hai Andhera, 
Ye Farsh To Raahon Mein Bichhane Ke Liye Hai, 

Ghabra Na Sitam Se Na Karam Se Na Ada Se, 
Har Mod Yahan Raah Dikhane Ke Liye Hai...

Ret Se Baat Na Bana Aye Mere Achhe Fankaar


Ret Se Baat Na Bana Aye Mere Achhe Fankaar, 

Ek Lamhe Ko Theher Main Tujhe Pattahr Laa Dun,
Main Tere Saamne Ambar Laga Dun Lekin,
Kaunse Rang Ka Pathar Tere Kaam Aayega, 
Surkh Patthar Jise Dil Kehti Hai Bedil Duniya, 
Ya Wo Pathrayi Hui Aankh Ka Neela Patthar, 
Jis Mein Sadiyon Ke Tahayyur Ke Pade Ho Dore, 

Kya Tujhe Rooh Ke Pathar Ki Zaroorat Hogi, 
Jispe HaQ Baat Bhi Pathar Ki Tarah Girati Hai, 
Ek Wo Patthar Hai Jise Kehte Hai Tehzib-E-Safed, 
Uske Mar Mar Mein Siyah Khoon Jhalak Jaata Hai, 
Ek Insaaf Ka Patthar Bhi To Hota Hai Magar, 
Haath Mein Tesha-E-Zar Ho To Wo Haath Aata Hai, 

Jitne Mayaar Hai Is Daur Ke Sab Pathar Hai, 
Sher Bhi RaQs Bhi Tasveer-O-Gina Bhi Patthar, 
Mere Ilhaam Tera Zehen-E-Rasa Bhi Patthar, 
Is Zamane Mein Har Fan Ka Nishaan Patthar Hai, 
Haath Patthar Hai Tere Meri Zuban Pathar Hai, 
Ret Se Butt Na Bana Aye Mere Achhe Fankar...

In Aankhon Mein Jaane Kya Raaz Hai Chhupe


In Aankhon Mein Jaane Kya Raaz Hai Chhupe, 
Jaane Kaise Kaise In Mein Andaaz Hai Chhupe, 

Shokhiya Bhi Hai Aur Hai Shararatein, 
Jaane Kaise Kaise In Mein Khwaab Hai Chhupe, 

Sanwar Jaati Hoon Jab Dekhta Hai Wo Mujhe, 
Jaane Kaise Kaise In Mein Jazbaat Hai Chhupe, 

Sikhaya Hai Inhone Mujhe Khwaab Dekhna, 
Jaane Kaise Kaise In Mein Sarab Hai Chhupe, 

Ilaahi In Aankhon Ko Door Na Karna Mujhse, 
Meri Zindagi Ke Saare In Mein Jawab Hai Chhupe..

Jee Chahta Hai Tere Naam Ek Kitaab Likhun


Jee Chahta Hai Tere Naam Ek Kitaab Likhun,
Is Kitaab Ka Tere Naam Intisab Likhun, 

Tujhe Sharminda Karne Ke Liye Main Is Mein,
Tera Aur Mera Be-Baak Hisaab Likhun,

Main Soch Soch Kar Pagal Sa Ho Gaya Hoon, 
Jhele Hai Jo Tere Gam Maine, Kaise Wo Azaab Likhun,

Degi Meri Zindagi Ko Andhere Wohi, 
Khwahish Thi Jise Main Aftaab Likhun,

Jo Diye Hai Tune Kaanto Ke Bistar Mujhe, 
Bahut Mushkil Hai Kaanto Ko Gulaab Likhun, 

Mujhse MunafaQat Na Ho Sakegi Dilki Baat Mein,
Dukhon Ke Samundar Ko Main Kaise Sarab Likhun,

Ajab Qarb Mein Mubtila Kar Diya Tune Mujhe, 
Samajh Nahi Aata Tere Khat Ka Kya Jawab Likhun,

Lafz To Sab Hi Mita Diye Hai Mere Aansuon Ne, 
Apni Kahani Ab Main Kaise Teh-E-Aab Likhun,

Ek Ek Lafz Yaad Hai Mujhe Teri Guftugu Ka, 
Khwahish Hai Teri Har Baat Ko Khitab Likhun, 

Jiski Tabeer Bhi Na Mil Saki Mujhko Aye Jaana, 
Main Apni Kitab Mein Kaise Wo Khwaab Likhun,

Laakhon Chehron Se Haseen Banaya Tujhe Khudane Magar, 
Jo Mera Nahi Us Chehre Ko Kaise Mahtaab Likhun,

Yak Tarfa Faisla Sunaya Adalat-E-Uzma Ne, 
Main Is Jajj Ko Kaise Izzat-E-Mab Likhun,

Har Baat To Dil Ki Keh Dali Hai, 
Isse Zyada Aur Kya Main Janab Likhun...



_________________

Is Dilki Raahon Mein, Apno Mein Sapno Mein

Is Dilki Raahon Mein,
Apno Mein Sapno Mein,

Palkon Ki Chilman Mein,
AshQon Ke Aansu Mein,

Muskurate Hothon Mein,
Har Haseen Chehre Mein,

Har Lamhe Yaadon Mein,
Khoobsurat Mausam Mein, 

Phootti Kaliyon Mein,
Khilte Phoolon Mein,

Suraj Ki Kirno Mein,
Dhoop Mein Saaye Mein, 

Kadakte Badal Mein,
Baarish Ki Boondon Mein,

Dhalti Shamon Mein,
Tanha Raaton Mein,

Raat Ki Tariki Mein,
Chanda Ki Roshni Mein,

Taaron Ki Jhilmil Mein,
Khushboo Mein Saanso Mein,

Un Kahi Baaton Mein,
Pyar Se Mohabbat Mein,

Dhoonda Jahan Mein,
Paya Tujhko Aankhon Mein...

Aye Kaash Koi Aisa To Hota

Aye Kaash Koi Aisa To Hota,
Jo Laa Deta Mere Khwaab Saare, 
Jo Meri Samundar Aankhon Se
Chun Leta Azaab Saare, 
Jiski Sangat Mein Mujhe Apne Hone Ka Ehsaas Hota, 
Mera Har Aansu Iske Liye Ek Azaab Hota, 
Par Aye Nadaan Dil Mujhe Pata Hai, 
Mera Wajood Kis Mitti Se Bana Hai, 
Mujhko Pata Hai, 
Mere Gham Saare Mere Hai, 
Ye Tanhaiyan Bhi Meri Hai, 
In Samundar Aankhon Ke Azaab Bhi Mere Hai, 
Mera Har Aansu Bhi Sirf Mera Hai, 
Izzat Daaron Ke Is Sheher Mein,
Ye Izzat Ka Janaza Bhi Mera Hai, 
Gairat Ke In Darbaanon Mein, 
Ye Chhalni Wajood Bhi Mera Hai, 
Rasmo Riwaj Ke Is Qafas Mein,
Qaid Ye Rooh Bhi Meri Hai, 
Mera Har Khwaab Sheesha Hai, 
Aur Ye Insaan Patthar Saare, 
Aye Kash Koi Aisa To Hota, 
Jo Laadeta Mere Khwaab Saare, 
Jo Meri Samundar Aankhon Se, 
Chun Leta Azaab Saare...

Kisne Kaha Tha Itni Door Jane Ke Liye

Kisne Kaha Tha Itni Door Jane Ke Liye, 
Shama Bhi Na Jal Saki Is Parwane Ke Liye, 

Saari Raat Koi Tadpata Raha Paagalon Ki Tarah, 
Chirag Lekar Baitha Raha Main Us Chand Ko Dekhne Ke Liye, 

Ek To Waise Hi Door Tha, Us Par Aur Door Jaane Ka Sitam, 
Kahan Tak Jaogi Bhaag Kar, Koi To Aayega Manane Ke Liye, 

Dhoond Le Koi To Rasta, Koi To Khat Bhej De Sitamgar, 
Kasid Bhi Nahi Aya In Raahon Mein, Apna Chehra Dikhane Ke Liye, 

Kitna WaQt Guzaroge Wahan, Jaise Chaman Mein Bahar Hi Nahi, 
Bulbul Ro Rahi Hai Yahan, Tere Saath Ko Paane Ke Liye, 

Umr Ke Us Mukaam Par Tu Khada Hai Wahan,
Ek Pal Hi Kaafi Hai, Khushiyon Ko Laane Ke Liye, 

Tum Jitni Jaldi Ho Aa Jaa Apne Thikane Par Aye Sanam, 
Khushi Dehleez Par Baithi Hai, Tere Daman Ko Sajane Ke Liye, 

Kya Kahoon Kya Na Kahoon Tu Hi Bata Aye Jaana, 
Lafz Nahi Hai Mere Paas Bas AshQ Hai Tumhe Dikhane Ke Liye...

Jab Tum Chale Jaoge, To Yaad Mujhe Tum Aaoge

Jab Tum Chale Jaoge, 
To Yaad Mujhe Tum Aaoge, 

Chehre Pe Udaasi Chhayegi, 
Aankhon Mein Aansu Aayenge, 

Gam Saare Bhool Jaungi, 
Sirf Ek Khayal Reh Jayega, 

Tum Wapas Kab Aaoge, 

Aur Mujhko Kitna Tadpaoge, 
Tum Yaad Mujhe Aaoge, 

Haathon Ko Jab Main Dekhungi, 
To Pyaar Dekhayi Dega, 

Raaton Ko Jab Main Soungi, 
Khwabon Mein Sirf Tum Aaoge, 

Main Rahungi Mar Jaungi, 
Bas Ek Khayal Reh Jayei, 

Tum Wapis Kab Aaoge, 
Aur Mujhko Kitna Tadpaoge, 
Tum Yaad Mujhe Aaoge...



_________________

Jab Usne Wapisi Ke Raaste Rakhe Hue Hai


Jab Usne Wapisi Ke Raaste Rakhe Hue Hai, 
Nazar Mein Humne Bhi Kuch Zawiye Rakhe Hue Hai, 

Juda Hone Nahi Dete Hamein Ek Dusre Se, 
Hamare Darmiyan Kuch Waaste Rakhe Hue Hai, 

Guzar Jab Bhi Tumhara Ho Yahan Se Le Ke Jana,
Tumhare Waste Shikwe Gile Rakhe Hue Hai, 

Maza Ab Zindagi Ka Humko Bhi Aane Laga Hai, 
Ke Humne Bhi Dostonse Faasle Rakhe Hue Hai...

Abhi To Rut Badalni Thi, Abhi To Phool Khilne The

Abhi To Rut Badalni Thi, Abhi To Phool Khilne The, 
Abhi To Raat Dhalni Thi, Abhi To Zakhm Silne The, 
Abhi To Sar Zameen-E-Jaan Pe Ek Badal Ko Girna Tha, 
Abhi To Wasl Ki Baarish Mein Nange Paanv Phirna Tha,
Abhi To Kisht-E-Gam Mein Ek Khushi Ka Khwab Bona Tha, 
Abhi To Senkdon Sochi Hui Baaton Ko Hona Tha, 
Abhi To Saahilon Pe Ek Hawa-E-Shad Chalni Thi, 
Abhi Jo Chal Rahi Hia Ye To Kuch Din Baad Chalni Thi...

Dukh Nahi Hai Ke Jal Raha Hoon Main

Dukh Nahi Hai Ke Jal Raha Hoon Main,
Roshni Mein Badal Raha Hoon Main,

Tootta Hai Toot Jane Do, 
Aaine Se Nikal Raha Hoon Main,

Rizk Milta Hai Kitni Mushkil Se, 
Jaise Pathar Mein Pal Raha Hoon Main,

Har Khazane Ko Maar Di Thokar, 
Aur Ab Haath Mal Raha Hoon, 

Khauf Gharkaab Ho Gaya Fesal, 
Ab Samundar Pe Chal Raha Hoon Main...



_________________

pahale to apane dil kii razaa jaan jaa_iye

pahale to apane dil kii razaa jaan jaa_iye
phir jo nigaah-e-yaar kahe maan jaa_iye

pahale mizaaj-e-raahaguzar jaan jaa_iye
phir gard-e-raah jo bhii kahe maan jaa_iye

kuchh kah rahii hai aap ke siine kii dha.Dakane
merii sune.n to dil kaa kahaa maan jaa_iye

ik dhuup sii jamii hai nigaaho.n ke aas paas
ye aap hai.n to aap pe qurbaan jaa_iye

shaayad huzuur se ko_ii nisbat hame.n bhii ho
aa.Nkho.n me.n jhaa.Nk kar hame.n pahachaan jaa_iye

Sab Aane Wale Behla Kar Chale Gaye

Sab Aane Wale Behla Kar Chale Gaye, 
Aankhon Par Sheeshe Chamka Kar Chale Gaye, 

Malbe Ke Niche Aa Ke Malum Hua, 
Sab Kaise Dewar Gira Kar Chale Gaye, 

Agar Kabhi Lautenge Raakh Batorenge, 
Jangal Mein Jo Aag Laga Kar Chale Gaye, 

Main Tha Din Tha Aur Ek Lamba Rasta Tha, 
Sab Khaime Jab Log Utha Kar Chale Gaye, 

Chattano Pe Aa Kar Thehre Do Raste, 
Phir Aage Ki Raah Bana Kar Chale Gaye, 

Kuch Aise Bache Bhi Aaye MaQtab Mein, 
Naam Likhaya Naam Likha Kar Chale Gaye...

Kitne Achhe The Din Mere Bachpan Ke Din

Kitne Achhe The Din Mere Bachpan Ke Din,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani,

Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo,
Bhale Chheen Lo Mujhse Meri Jawani,

Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Sawan,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani,

Mohalle Ki Sab Se Puraani Nishaani,
Wo Budhiya Jise Bachhe Kehte The Naani,

Wo Naani Ki Baaton Meinp Arisyon Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhurriyon Mein Sadiyon Ka Pehra,

Bhulaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chhoti Si Raatein Wo Lambi Kahani,

Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Titli Pakadna,

Wo Jhulon Se Girna Wo Girke Sambhalna,
Wo Pital Ke Chaloon Ke Pyare Se Tohfe,

Wo Tooti Hui Chudiyon Ki Nishani,
Kabhi Ret Ke Unche Tilon Pe Jaana,

Gharonde Banana Bana Ke Mitana,
Wo Mausam Chahat Ki Tasveer Apni,

Wo Khaabon Khilaun Ki Jaagir Apni,
Na Duniya Ka Gam Tha Na Rishton Ka Bandhan,
Badi Khoobsurat Thi Wo Zindagani,

Kitne Achhe The Din Mere Bachpan Ke Din,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani...

Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha

Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha, 
Samne Baitha Tha Magar Wo Mera Na Tha, 

Wo Ke Khushbu Ki Tarah Phaila Tha Mere Chaar Soo, 
Main Use Mehsoos Kar Sakta Tha Chhu Sakta Na Tha, 

Raat Bhar Uski Aahat Kaan Mein Aati Rahi, 
Jhaank Kar Dekha Gali Mein Koi Bhi Aaya Na Tha, 

AQs To Maujood The Par AQs Tanhayi Ke The, 
Aayina To Tha Magar Us Mein Tera Chehra Na Tha, 

Aaj Usne Dard Bhi Apne Alahida Kar Diye,
Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha, 

Ye Sabhi Veeraniyan Uske Juda Hone Se Thi, 
Aankh Dhundlayi Hui Thi Sheher Dhundhlaya Na Tha, 

Yaad Karke Aur Bhi Takleef Hoti Thi, 
Bhool Jane Ke Siwa Ab Koi Bhi Chara Na Tha...

Zakhm Jo Aapki Inayat Hai Is Nishani Ko Kya Naam Dein Hum

Zakhm Jo Aapki Inayat Hai Is Nishani Ko Kya Naam Dein Hum, 
Pyar Deewar Banke Reh Gaya Hai Is Kahani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Aap Ilzaam Dhar Gaye Hum Par Ek Ehsaan Kar Gaye Hum Par, 
Aap Ki Ye Meherbani Hai Meherbani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Aap Ko Yun Hi Zindagi Samajh Dhoop Ko Humne Chandni Samjha, 
Bhool Hi Bhool Jiski Aadat Ek Jawani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Raat Sapna Bahar Ka Dekha Din Hua To Gubaar Se Dekha, 
Bewafa WaQt Bezubaan Nikla Bezubani Ko Kya Naam Dein Hum...

Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya


Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya, 
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya, 

Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi, 
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya, 

Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha, 
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya, 

Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka, 
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya, 

Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai, 
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya, 

Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai, 
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya...

Ab Udaas Phirte Hai Sadiyon Ki Shamon Mein

Ab Udaas Phirte Hai Sadiyon Ki Shamon Mein,
Is Tarah To Hota Hai Is Tarah Ke Kaamon Mein,

Ab To Uski Aankhon Ke Mehkade Mayasir Hai, 
Phir Sakoon Dhundoge Sagaron Mein Jamon Mein,

Dosti Ka Gam Kiya AshQi Se Kya Matlab, 
Main Tere Fakeeron Mein, Main Tere Ghalamon Mein,

Zindagi Bikharti Hai Shayri Nikharti Hai, 
Labron Ki Galiyon Mein Dillagi Ke Kaamon Mein,

Jis Tarah Uska Naam Chun Liya Tumne,
Usne Bhi Hai Chun Rakha Ek Naam Nanmoon Mein...

Kaha Saathi Koi Dukh Dard Ka Taiyar Karna Hai

Kaha Saathi Koi Dukh Dard Ka Taiyar Karna Hai, 
Jawab Aya Ke Ye Dariya Akele Paar Karna Hai, 

Kaha Har Rasta Bakhshish Hai Nahumwaar Kyon Mujhko, 
Jawab Aaya Tujhe Har Rasta Khud Humwaar Karna Hai, 

Kaha Kya Tegh Uthani Hai Yaaron Ne Ganioon Par, 
Jawab Aaya Keyaaron Ne Bhi Palat Kar Waar Karna Hai, 

Kaha Kyon Samne Chamka Diya Upar Pada Sooraj
Jawab Aya Hamein Saya Pas-E-Dewar Karna Hai, 

Kaha Zulfon Se Phoolon Ki Mehek Aane Lagi Kaise, 
Jawab Aaya Mohabbat Ka Tujhe Izhaar Karna Hai, 

Kaha Main Ladla Tera Hoon, Main Mati Mein Kyon Utrun,
Jawab Aaya Ke Sabko Ye Samundar Paar Karna Hai...

Jise Bhi Chahte Hai Hum, Wohi Milta Nahi Humko

Jise Bhi Chahte Hai Hum, Wohi Milta Nahi Humko, 
Bichhad Jata Hai Kab Humse Pata Chalta Nahi Humko, 

Dua Jo Maut Ki Maangein To Saansein Aur Bharti Hai, 
Na Jaane Kyon Khuda Tala Bhi Ab Sunta Nahi Humko, 

Ajab Tark-E-Taluk Duniya Walone Kiya Humse, 
Batayein Kya Koi Dushman Bhi Ab Kehta Nahi Humko, 

Hazaron Log Milte Hai Hazaron Sath Chalte Hai, 
Magar Us Ek Chehre Sa Koi Lagta Nahi Humko, 

Khade Hai Raste Mein Hum Uthaye Dastan-E-Gam, 
Guzar Jaate Hai Sab Koi Padhta Nahi Humko, 

Jise Bhi Chahte Hai Hum, Wohi Milta Nahi Humko, 
Bichhad Jaata Hai Kab Humse Pata Chalta Nahi Humko...

Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Unki Yaad

Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Unki Yaad, 
Dard Bun Kar Chha Rahi Hai Unki Yaad, 

IshQ Se Ghabra Rahi Hai Unki Yaad, 
Rukte Rukte Aa Rahi Hai Unki Yaad, 

Wo Hanse Wo Zer-E-Lab Kuch Keh Uthe, 
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Unki Yaad, 

Main To Khuddari Ka Qahil Hoon Magar, 
Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Unki Yaad, 

Ab Khayal-E-Tark-E-Zabt Hi Se Hai, 
Khud Ba Khud Sharma Rahi Hai Unki Yaad...

Ek Patthar Se Pyar Kiya Tha

Ek Patthar Se Pyar Kiya Tha,
Dilne Jab Israar Kiya Tha, 
Barso Khamoshi Se Chaha, 
Lekin Phir Izhaar Kiya Tha, 
Usne Bhi Kagaz Pe Likh Kar
Chahat Ka IQraar Kiya Tha, 
Apne Dukh Aur Dard Sabhi Kuch,
Mere Naam Shamaar Kiya Tha, 
Dil Toota To Aankhein Ro Di, 
Chain Sakoon Dur Nindein Kho Di, 
Bechain Sa Bola Yun Pathar To Aakhir Pathar Hai, 
Ek Pathar Se Pyar Kiya Tha...



_________________

Agar YaQeen Nahi Aata To Aazmaye Mujhe

Agar YaQeen Nahi Aata To Aazmaye Mujhe, 
Wo Aayina Hai To Phir Aayina Dikhaye Mujhe, 

Azab Chirag Hoon Din Raat Jalta Rehta Hoon, 
Main Thak Gaya Hoon Hawa Se Kaho Bujhaye Mujhe, 

Main Jiski Aankh Ka Aansu Tha Usne Kadar Na Ki, 
Bikhar Gaya Hoon To Ab Ret Se Uthaye Mujhe, 

Bahut Dino Se Main In Pattharon Mein Patthar Hoon, 
Koi To Aaye Zara Der Ko Rulaye Mujhe, 

Main Chahta Hoon Ke Tum Hi Mujhe Izzat Do, 
Tumhari Tarahse Koi Gale Lagaye Mujhe...

Chandni Raat Hai Aur Alam-E-Tanhayi

Chandni Raat Hai Aur Alam-E-Tanhayi, 
Zindagi Yaad Ke Daman Mein Simat Aayi Hai, 

Maar Dale Na Kahin Dard-E-Judayi Mujhko,
Ab To Aaja Ke Meri Jaan Pe Ban Aayi Hai, 

Utre Utre Nazar Aate Hai Phoolon Ke Chehre, 
Tere Jaane Se Gulistan Par Khizan Chhayi Hai, 

Jisne Barbaad Mohabbat Mein Kiya Tha Kal Tak, 
Woh Aankhein Aaj Mere Haal Pe Sharmayi Hai, 

Tere Maykhane Mein Jitni Bhi De De Saaki, 
Aaj To Maine Bhi Peene Ki Kasam Khayi Hai, 

Jis Jagah Kuch Nazar Nahi Aata Hai Jalwon Ke Siwa, 
Zindagi Us Mod Pe Mujhe Le Aayi Hai...

Tadapta Hai Dil Dilko Samjhaun Kasie

Tadapta Hai Dil Dilko Samjhaun Kasie, 
Jo Khel Khelti Hai Zindagi Usko Nibhaun Kaise, 

WaQt Ke Haathon Maar Khata Raha Hoon Main,
Phir Bhi Na Badla Khudko Samjhaun Kaise, 

Dil Mein Dard, Dard Mein Zakham Hai Laakhon, 
Har Zakhm Tumko Dikhaun Kaise, 

Aaj Ro Bhi Nahi Sakta, Kaise Kahoon Kuch, 
Marna Chahta Hoon Is Zindagi Ko Nibhaun Kaise...

Thi Jisse Roshni Wo Diya Bhi Nahi Raha

Thi Jisse Roshni Wo Diya Bhi Nahi Raha, 
Ab Dilko Aitbaar-E-Hawa Bhi Nahi Raha, 

Tu Bujh Gaya To Hum Bhi Farozaan Na Reh Sake, 
Tu Kho Gaya To Apna Pata Bhi Nahi Raha, 

Kuch Hum Bhi Tere Baad Zamane Se Kat Gaye, 
Kuch Rab-O-Zabt Khuda Se Bhi Nahi Raha, 

Goya Hamara HaQ Se Sitam Dar Sitam Hua, 
Harf-E-Dua Bhi Dast-E-Dua Bhi Nahi Raha, 

Kya Shayri Karein Ke Tere Baad Sheher Mein,
Lutf Kalaam Kef-E-Nawa Bhi Nahi Raha...

Kya Yeh Bhi Zindagi Ki Raahat Kabhi Na Ho

Kya Yeh Bhi Zindagi Ki Raahat Kabhi Na Ho, 
Aisi Bhi To Kisi Se Mohabbat Kabhi Na Ho, 

Waada Zaroor Karte Hai Aate Nahi Kabhi, 
Phir Ye Bhi Chahte Hai Shikayat Kabhi Na Ho, 

Shaam-E-Visal Bhi Yeh Tagaful Ye Berukhi, 
Teri Raza Hai Mujhko Masarrat Kabhi Na Ho, 

Ahbaab Ne Diye Hai Mujhe Kis Tarah Fareb, 
Mujhsa Bhi Koi Saada Tabiyat Kabhi Na Ho, 

Dil Chahta Hai Phir Wohi Fursat Ke Raat Din,
Mujhko To Tere Khayal Se Fursat Kabhi Na Ho...

Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaron

Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaron, 
Ke Main Sameen Ke Raston Se Kat Gaya Yaaron,

Wo Behayaal Musafir, Main Rasta Yaaron,
Kahan Tha Bas Mein Mere Usko Rokna Yaaron, 

Mere Qalam Pe Zamane Ki Gard Aisi Thi, 
Ke Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaron, 

Tamam Sheher Hi Jiski Talash Mein Gum Tha, 
Main Uske Ghar Ka Pata Kisse Puchhta Yaaron...

Akele Hi Chalna Tha Har Raah Par Mujhe

Akele Hi Chalna Tha Har Raah Par Mujhe,
To Do Qadam Tum Mere Saath Aaye Hi Kyon The, 

Tanha Hi Sehna Tha Har Dard Mujhe, 
To Kuch Dard Mere Tumne Baante Hi Kyon The, 

Aansu Hi Dene The Tohfe Mein Jab, 
To Do Pal Tum Mere Sang Muskuraye Hi Kyon The, 

Socha Aaj Puchh Hi Loon Tumse, 
Ke Aakhir Tum Meri Zindagi Mein Aaye Hi Kyon The...

Dil Walon Kya Dekh Rahe Ho In Raahon Mein

Dil Walon Kya Dekh Rahe Ho In Raahon Mein,
Had-E-Nazar Tak Yeh Weerani Sath Chalegi, 

Sannate Phir Shama Ka Aansu Pee Rahe Hai, 
Ye Basti To Ujad Gayi Hai Ab Na Basegi, 

Ghar Ke Andar Sare Jangal Ka Sannata, 
Shaam Hui To Jangal Mein Hawa Chalegi, 

Jinke Haathon Dilki Tauheed Hui Hai, 
Unke Liye Bhi Ye Duniya Aisi Na Rahegi, 

 Miyaan Tum Shaam Se Kasie Chup Baithe Ho, 
Kuch To Bolo Aisi Chup Se Baat Badhegi...

Sochta Hoon Main Kahin Door Chala Jaun

Sochta Hoon Main Kahin Door Chala Jaun,
Na Kabhar Ho Unko Kabhi Bhi Meri, 
Ek Os Ki Boond Ki Tarah In Fizaon Mein Kho Jaun,
Har Shaam Ek Aarzu Bankar Sab Ke Khayalon Mein Aaun,
Sochta Hoon Main Bhi Kahin Door Chala Jaun, 

Ho Gayi Hai Adat Dono Ko Akele Rehne Ki, 
Bas Ho Gayi Hai Shaam Ab Main Apni Tanhayi Se Mil Aaun,
Wo Kahin Ho Na Jaye Badnaam Mere Saye Mein Reh Kar, 
Aur Khokle Rishton Se Door Chala Jaun,

Guzaare The Kuch Lamhe Maine Apne Liye, 
Ab Jeenen Doon Lamho Ko Apne Haal Par, 
Main Bhi Lamho Ke Bina Apna Ek Mukaam Banaun,
Sochta Hoon Main Kahin Door Chala Jaun...

Popular Posts