Friday, May 7, 2010

Koi tumse pooche kaun hoon main



Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
 jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
 Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
 Shakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
  Yoon toh uske na hone ka kuch gham nahi,
 Par kabhi-kabhi aankho se ansoo ban ke beh jaata hai.

 Yoon rehta toh mere tassavur mein hai,
 Par in aankhoon ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
 Tum keh dena koi khaas nahi……..

11 comments:

jatin said...

janab ye aapki likhi huyi hai kya?

Pradip said...

faisal bhai, can u plz tell me who is the original poet?

ruby said...

gud one

Unknown said...

Zabardast! fits on me :(

Unknown said...

Ya poetry bht lash hai jis na bhi likha hai Head off

geet said...

Very Nice..

Unknown said...

What a great poetry....

Unknown said...

What a good poetry...hats off!

Unknown said...

I was searching this poetry before few dayes.
.
.
Thankss a lot

Unknown said...

i love this ghazal a lot

Unknown said...

Too good

Popular Posts