Friday, May 7, 2010

dekh k tum ko hosh main aana

dekh k tum ko hosh main aana

bhool gaye,yaad rahe tum or zamana

bhool gaye

jab samne tum aajate hoo 

kia janiye kia hojata hai

kuch mil jata hai kuch khoo jata 

hai kia jani ye kia hojata hai

chaha tha ye kahein ge soocha tha wo kahein ge

aaye wo samne to kuch bhi na keh sake bas

dekha kiye unhein hum

dekh ker tum ko yakeen hota hai 

koi itna bhi haseen hota hai

dekh pate hain kahan hum tum ko 

dil kahien hosh kahien hota hai

aa ker chale na jana aese nahi satana

de ker hansi laboon ko aankhoon ko mat rulana

dildena na bekarari ka karar ban k

yadoon main khoo na jana tum intazaar ban k 

so bhool ker tum ko na ji pain ge

tum ho ge jahan jaein ge

hum koi waqt nahi hain DOST

jab bulao ge chale aaein ge

jab samne tum aajate hoo 

kia janiye kia hojata hai 

kuch mil jata hai kuch khoo jata hai 

kia janiye kia hojata hai 

No comments:

Popular Posts