Friday, January 7, 2011

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye


Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hatt gaya ankhon se parda woh haseen khawab ka



Hatt gaya ankhon se parda woh haseen khawab ka
aur khul gaya mere liye har ik darr azab ka

Na mujh ko hanse de,aur na hi dey roone
Mere Malik!kiya keron main is dil e betab ka

Jis ki chandni pe haq hi nahin koi mera
Kioun main ihsaa'n lon aise mehtaab ka

woh jis k yaad ate hi tum haath dil pe rekhte ho
Dua kero k ho bhala,us khana kharab ka

insaaan hon khwahishon ki farawaani nahin jaati


insaaan hon khwahishon ki farawaani nahin jaati
nalaaan hon meri baat kiyon maani nahin jaati

wafa key ghar banatey hen kabhi ye sahil e dil pe
muhabbat kerney waaloon ki naadaani nahin jaati

yun saazishon k jaal se RABB ne bacha liya
khud meray dushmanon ki heraani nahin jaati

tanha tha izrtaab men bola ye ik zae'ef
ae kaash ! meri shookh jawaani nahin jaati?

sun ley meri maasoom sadaaon k hareeef
biphri huwi moojon ki rawaani nahin jaati

kal aayeney men dekh ker aisa laga mujhey
mere chehrey se maazi ki kahaani nahin jaati

dhundla diye hen waqt ne chehron k yun naqoosh
"bohat jaani huwi soorat bhi pehchaani nahin jaati"

na hota zindgi pey ger azal se moot ka pehra
kabhi khud lote k dunya ki deewaani nahin jaati

jhalakta hey, mehakta hey paseena baaghbanon ka
chaman men raayegaan hergiz qurbaani nahin jaati

Qasmein khate the kabhi saath mein chalne ke liye


Qasmein khate the kabhi saath mein chalne ke liye
Ab haiN beechen alag rah nikalne ke liye

Wo to nazuk hai ke chandni meiN jhulse hai
MeiN musafir hooN kaDi dhoop meiN chalne ke liye

PalkeN bichhaye teri raah meiN din guzra
Ab to aaja ke chali sham bhi Dhalne ke liye

Ek arse se hooN shamma bujhaye huye
Dil ko chhoDa hai teri yaad meiN jalne ke liye

Teemardari to mulahja ho qadar danooN ki
Teyyar rakha hai namak zakhmoN pe malne ke liye

Ab chaman ko khizaoN ki zaroorat kya hai
Khud baghbaaN nikla hai kaliyoN ko kuchalne ke liye

Gulab samjha tha meiN nishani-e-muhabbat
Woy eh samjhe ke diya phool masalne ke liye

Dil-o-JaaN main tujhay rakha hay wafa main tujhay rakha


Dil-o-JaaN main tujhay rakha hay, wafa main tujhay rakha
Wo jo guzrey, unhi lamhoN ki Ada main tujhay rakha

Lab-e-khandaN ko siya tu nay kisi dar say magar sun!
Hay taqaazaay-e-muhabbat k Nawa main tujhay rakha

Tray Nazuk say Q'ua main mri quwat ka khazeena
Jabhi Sar-sar main raha khud tu Saba main tujhay rakha

Dam-e-rukhsat ye nida aayi k pehchan khudi ko
Dil-e-sad-ranj say phir baang-e-daraa main tujhay rakha

Jo murattab hay ye dagtar mray a'amal ka ahsan
Za gariftaar-e-saza hoN k jazaa main tujhay rakha

Mray rabb nay mujhay rakha hay laho ki jo tapish main
Ho haseeN hast zi-bas rang-e-hina main tujhay rakha

Dil-e-deewana o mastana talab-gaar hua jab
Tu JunoN khaiz har ik lamha Dua main tujhay rakha

Gham-o-andoH o khushi k, tray hi naqsh har ik ja
Jo fana main tujhay rakha tu baqaa main tujhay rakha

Main jaanti hoon



Main jaanti hooN
Barhaa youn bhe hota hai
ke qalm jab harf ugalti hai
in meiN chhupe anmol jazbe
apni beqadri se preshaN
shakasta haal se lagte haiN
to kitne bemol ho jate haiN
aur mujhe maaloom hai
ke aisa bhe hota hai
ke dewaar e khayal se
ser paTkhte ser Tukrate
ye shor machate baghi lafz
jab rah e farar pate haiN
nok e qalm se phisal ker
safha e kitaab pe aate haiN
to kitne seham se jate haiN

Mohabbaton Mein Gar Koi Jaadugari Nahin Hoti



Mohabbaton Mein Gar Koi Jaadugari Nahin Hoti
Chakori Chaand Ke Liye Yun Baa'nwari Nahin Hoti

Dil Ki Aahatain Dil Khud BaKhud He Suntaa Hai
Dil Ke Muaamlaat Mein Mukhbari Nahin Hoti

Ik Nigaah Mein He Log Rooh Tak Utartay Hain
Nazar Koi Bhi Pyar Mein Sarsari Nahin Hoti

See'nchtaa Hoon Raat Din Aab-e-Chashm Se Magar
Phir Bhi Shaakh-e-Jaa'n Mri Kyun Hari Nahin Hoti

Le Jaa Khud Samait Kar Jo Bhi Meray Paas Hai
Ab Mujh Se Teri Yaado'n Ki Dilbari Nahin Hoti

Tu Ne jo Bhula Diya Tou Kyun Karoon Shikayatain?
Khudaa Ke Kis Kaam Mein Behtari Nahin Hoti?

Ik Chiraagh Se Yaha'n Sau Chiraagh Jaltay Hain
Mohabbat Koi Jahaan Mein Aakhri Nahin Hoti

Haan Bhatak He Jaana Tha Teerah Raah Mein Mujhay
Kisi Ke Naqsh-e-Paa Se Jo Raahbari Nahin Hoti

Teray Baad Bhi Khwaab Dekhta Hai, Per
Ab Kisi Bhi Khwaab Mein Koi Pari Nahin Hoti

Teri Furqat Mein Jo Guzaari Thi


Teri Furqat Mein Jo Guzaari Thi
Zindagi Se Woh Raat Bhaari Thi

Ashkon Ki Taar Sab Jissay Samjhay
Zakhm-e-Dil Ki Woh Aabeyaari Thi

Khoo'n Mein Ab Tak Rawaa'n Azziyat Hai
Tum Ne Rug Rug Mein Jo Utaari Thi

Sab Teray Zikr Se Gurezaan Thay
Kitni Rasmi Si GhamGusaari Thi

Mausam Tha SangDil Murre Ka Bhi
Girti Thi Burf Keh SangBaari Thi

Hum Teray Hijr Mein Jiye, Kam Hai?
Dil Tha Nazuk Yeh Chot Kaari Thi

Raah Mein Tum Mil Gaye Achanak, Jab
Ek RahZan Ki Talaash Jaari Thi

Kuch Tou Mujh Ko Sila Milay Yaaro
Main Ne Har SaanS Tum Peh Waari Thi

Har Shab Si Raat Thi Kal Bhi
Hum Thay Aur Akhtar Shumaari Thi

aansuon ka hisaab rakhta hai


aansuon ka hisaab rakhta hai
dil mein kitne azaab rakhta hai.

jane kiski hai qabr wo jis par
roz taazaa gulaab rakhta hai.

jaag kar kat_ta hai shab aksar
phir bhi palkoN pe khwaab rakhta hai.

uljhaneN haiN sabhi ke seene meiN
kaun ab inqlaab rakhta hai.

wo jo aaye to noor-sa bikhre
aaNkh meiN aaftaab rakhta hai.

aaiina bhi bahut pareeshaN hai
rukh pe hardam naqaab rakhta hai.

yaad kii dhoop jab sataati hai
sar pe meri kitaab rakhta hai.


wo jo chahe to kya nahiN hoga
yuN hi khana-kharaab rakhta hai.

gungunata hai chhip ke meri ghazal
shauq to lajawaab rakhta hai.

shekhji us se door hi rehna
wo purani sharaab rakhta hai.

maa k anchel nay mushkilun say buchaya muj ko


maa k anchel nay mushkilun say buchaya muj ko
gir gir key chalna humasha sikhaya mujh ko



fitna_e_dunya sey buchna sikhaya mujh ko
her dum naya supna banana sikhaya mujh ko


dukh ki leher nay jub mujhey tor diya
apney pechey chupa ker buchaya mujh ko


khof sey ub main bachon kis terha
andhera chor ujala kerna bataya mujh ko


aiy maan ub jeena hey muhal
dunya sey lurna kub sikhaya mujh ko


zukhmon sey ub khun risney laga hey
apnon sey door na jana,kun sumjhaya mujh ko

Mere Liye To Dil Taira Shayad Bekarar Nahi Hota


Mere Liye To Dil Taira Shayad Bekarar Nahi Hota
Aaja K Ab Mujh Say Aur Intizar Nahi Hota

Subha Ka Wada Tha Ab Sham Bhi Dhalne Lagi
Phir Daiti Ho Ilzam K Tumhein Aitbar Nahi Hota

Ab Tairy Zulfo Kay Saiy Mein Sona Hai Mujhe
Tum Kahti Thi Bohat Kay Tum Say Inkar Nahi Hota

Lay Jata Kahin Door Tumhin Main Iss Dunyan Say
Roze Mahshar Mein Agar Ye Jurm Shumar Nahi Hota


Kon Kahta Hai Kay Mujhe Piyar Nahi Tum Say
Piyar To Itna Hai Mujhe Kay Shumar Nahi Hota

Itne Diye Zakham Mujhe Shahid Iss Dunyan Nein
K Ab Jo Bhi Lage Chot Ye Dil Sogwar Nahi Hota

Mere ishaq ko kuch aur hawa di thi


Mere ishaq ko kuch aur hawa di thi
Ik samundar ne sehra ko sada di thi

uss ka dhuwan ab bhi dil se utth,ta hay
tune basti mere khawabon ki jo jala di thi

chand ne phir yaad dila di mujh ko
wohi surat jo maine bhula di thi

Aj dekha usay tu phir se jal uthi
wasal ki jo aag maine bujha di thi

Daag dil k jale tu khud se sawal kiya
kis shakhs ko tu ne apni wafa di thi?

Us k daman mein wasal ki sadiyan then
tu ne jo shaam zid mein ganwa di thi

Hairat se uasay dekhti rahi bujhti ankhain
us ne muhabat ki buhhat khob saza di thi

Jab woh louta tu buhhat dekh k roya sehar
Hijar ne mitti mein,mitti mila di thi

Sara qasoor mera nahi


Sara qasoor mera nahi
jo abr e mohabat bersa nahi
maiN ne jazboN ko
aanch to di the
tabkheer bhe saari
ho gai the
BoondaiN samaitney meiN
hawa ne dair laga di

chehrey per kai chehrey saja ker miltay hain log


chehrey per kai chehrey saja ker miltay hain log
phir dunya ki bheer main kho jatey hain log


na karna yaqeen ainda kisi dil walay ka
asani sey berbad ker key nilal jatey hain log


mohubut to hey ik khubsurut dhoka
mohubut ka dhoka asani sey dey jatey hain log



dil bujh ker bhi pather nahen hota
dil ko durd sey ashna ker key chalay jatey hain log

Chaandni raat main kirano ka nazaara karna


Chaandni raat main kirano ka nazaara karna
Chaand dil karna tau jazboN ko sitaara karna

Raat bhar khwab maiN neend aati nahi hay mujh ko
Khwab maiN aana muhabat ka ishaara karna

chale aao tumheN pakloN pe bithayeN ham bhi
Saari dunia se bas us pal ko kinaara karna

raat tanhaai ke aalm main to yaad aata hay
chaand ko daikh kay kab tak hay guzaara karna

Aarzu hay meri jab marte huway girne lagooN
us ghaRi bahoN ka ik baar tum sahaara karna

yaad aaye jo meri bhool kay zulmi saajan
pyar se gaoN kay rastoN pe pukaara karna

A sarmayaa daaro kitne fikr ki ye baat hai


A sarmayaa daro kitne fikr ki ye baat hai
Her taraf hai roshni tum par andhairi raat hai

Ehle sarwat ho magar kum bhiik mangoun sai nahein
Do takke dai kar kisi ko kehte ho khairaat hai

Kya kabhi logoun sai bhi poochhaa hai yaa phir khud younhi
wa wa kar ke dil behlaate ho apnaa, kya baat hai

Tum nazar aate kahaan ho hokmaraanoon ko bhlaa
Daikhne wali tumhaein tou ik Khudaa ki zaat hai

Door jaane ki zaroorat kyoun bhlaa hogi tumhaein
Noch khaate ho usi ko jo milaata haat hai

Dil takabbur sai bhre haein niyatoun main khoT par
DamRiyoun sai kum tumhare ke soun ki aoqaat hai

Hum ghariboun ka ye jinaa moot sai bad tar hai par
Tum amiroun ke liye tou zindagi soghaat hai

Hai agarche dhan o dolat ab tumhare paas par
Fikr hum ko bhi nahein Moulaa hamare saath hai

Agar karni hoon to phir Aa,karain hum piyaar ki baatein


Agar karnii hoon to phir Aa,karain hum piyaar ki baatein
wagarna choR dai baaqii hain sub baikaar ki baatein

buraa ho ya bhla koii kisi se kya gharaz hum ko
kya apnoon ki kamii he jo karein aghyaar ki baatein

lagaayaa dil agar hum ne,zamaana kya kahaiga phir
ye sub hain baad ki ab to na kar baikaar ki baatein

yahaan par to sunaa he ke hote hain kaaN diwaaroun ke
kisi ke saamne kaise karein asraar ki baatein

ye qol o fail main janaan he kuon itnaa tazaad aakhir
kisi se pyaar karta he kisi se pyaar ki baatein

teri nazroun main jab se pyaar ki daikhi jhalak hum ne
burii lagtii nahein hain ab hamain baikaar ki baatein

Hamain malum tha ye bi hamain wapas palatna hai


Hamain malum tha ye bi
hamain wapas palatna hai
junun ki akhri had se
sakun ki jang larne tak
khirchyun main bikhrne tak
na koi sath de ga
na koi hath de ga
shanasha har shakhs hamara
hamain chor jaye ga
sapne bunte khilin thi jo
wo kaliyan tor jaye ga..
Hamain malum tha koi gosha nai ho ga
jahan pe panah payain gay
mgr phr bi
jub tum ne sath manga tu
bina soche
bina samjhe
rida.e.muhbt orhe
zad.e.rah lye bina
tere qadmun k peche hi
nikl pare hum is safr main
hamain roka bi tha dil ne
wahsat k safar main jub
tum sakun pa lo gay
be.maya kr k zat ko meri
kisi k sath tum agay nikalte jao gay
hamain malum tha ye sub
safr se le kr tere bichre ki azeyat tak
main sub janti thi

Is qaamat-e-mahdood se baahar bhi kahin hoon



Is qaamat-e-mahdood se baahar bhi kahin hoon
MaiN lamha-e-mojood se baahar bhi kahiN hooN

SajdoN ka hay ik sail-e-rawaan meri jubeeN se
Or saajid-o -masjood se baahar bhi kahiN hooN

Maujood hooN maiN mandir-o-masjid maiN basad shauq
Or aabid-o-maebood se baahar bhi kahiN hooN

Sirf aah bujhaana hi mera fan tau nahiN hay 
Main qisaa-e-namrood se baahar bhi kahiN hooN

Ye zeest tau ik kaawish-e-be sood hay
Is kaawish-e-be sood sebaahar bhi kahiN hooN

kyon hai khaamosh samandar tumhein maaluum hai kyaa


kyon hai khaamosh samandar tumhein maaluum hai kyaa
Kitne tuufaan hai.n bhiitar tumhei.n maaluum hai kyaa

Usse milne kii tamanna hai agar mil jaye
Kaun likhta hai muqaddar tumhei.n maaluum hai kyaa

eik jumala wo jo kal tumne kaha tha ,usne
khuun se ra.Ng diye khanjar tumhei.n maaluum hai kyaa

dard kitnaa bhi do aa.Nsuu nahii.n aane waale
dil meraa ho gaya patthar tumhei.n maaluum hai kyaa

Duub jaata hai un aa.Nkho.n mei.n utarne waala
uskii aa.Nkhei.n hai.n samandar tumhei.n maaluum hai kyaa

ham dikhaave kii mohabbat nahii.n karte tumse
jaan kar deinge niChaavar tumhei.n maaluum hai kyaa

kaun rahta tha khayalo.n mei.n tumhare pahle
kaun phir ho gaya beghar tumhei.n maa'luum hai kyaa

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay


Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay
Ham ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisay

Wo shakhs to yaklakht hi haT jata tha peechHay
Ham TooT ke qadmoN maiN bikhartay bhi to kaisay

Ilzaam ye aata ke tujhay bhool gaye thay
Aye dost! tujhay yaad jo kartay bhi to kaisay

Kia khaak muqaddar se koyee ham ko gila ho
BigRoN ke muqaddar thay, saNwartay bhi to kaisay

Mehroom hi rehtay jo tere radd-e-amal say
Aye jaan! tere pyaar maiN martay bhi to kaisay

Jeevan hi guzara tha thapaiRoN maiN jo ham nay
Ham ab kisi toofaan se Dartay bhi to kaisay

Ek paaki-e-damaaN pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat maiN utartay bhi to kaisay

Har roz ki zillat bhi gawara to nahiN thi
Us raah se ham roz guzartay bhi to kaisay

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahiN daiti
Dunya! tera tawaan jo bhartay bhi to kaisay

Bach kar na nikal paaye Saraab ishq se un kay
Dooba tha samandar maiN, ubhartay bhi to kaisay.

aye zindage muje say roth na jana faqat tab tak


aye zindage muje say roth na jana
faqat tab tak
sanson say wada nibha karo
jab manzil mai puch kar
apni ankhon ko es
kay charay say sirab na kar lo
tab tak
aye zindage muj sey wafa krana
aye zindage muj se roth na jana

Popular Posts