Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs--
so jaaon tau khaabon main bhi aataa hey wohi shakhs--
jis zakhm ka khaliq bhi koi aur naheen hey --
us zakhm pa marham bhi lagata hey wohi shakhs--
haathon ki lakeeron main bhi talashey wo mujhko--
hathon ki lakeerain bhi mitaata hey wohi shakhs--
rakhta hey mujhey qaid bhi ek band galli main--
rastey bhi niay mujhko sujhata hey wohi shakhs--
har lamha yeh koshish main ussey bhool hi jaaon--
pehlay se siwa yaad bhi aataa hey wohi shakhs--
ham jin se tallab roshinian kartey rahey hain--
aata hey tau shmain bhi bujhata hey wohi shakhs--
jo aaiena main apnay liay dhoond ka laaya--
us main bhi hamesha nazzar aata hey wohi shakhs--
us shakhs ki khaatir hoon main dunia se judaa bhi--
laiken maira dunia se bhi naataa hey wohi shakhs--
jis shakhs kay honay se thi es shehar ki rozaq--
suntay hain kay es shehar se jaataa hey wohi shakhs--