Saturday, March 6, 2010

Kabhi Kabhi to ye dil zabt main nahi rehta..

Kabhi Kabhi to ye dil zabt main nahi rehta..

Main sochta hoon ke ab aap ki taraf chaliyee..

bohot dafaa ye hua hai ke main khadaa hi rahaa ..

tumhaare ghar se zara sa door ..

zara door jahaan ..

aap ki nazar naa pade..

main bade ghaur se takkta rahaa deewaron ko..

aur un roshniyon ko jo pas-e-darwazaa ..

tumhari zaat ke hone ka pataa deiti theeN..

maine socha k zaraa aur qareeb ho jaoon..

sar-e-dehleez jo pohonchaa ..

to qadam ruk naa sake..

nazar bhi uth naa saki ..

or main guzar bhi gaya ..

tumhain pata bhi naa hoga ke koyi guzra hai..

dil main armaan liye..

zehan pareshan liye..

koyi guzra hai kayi eshsaas liye..

kis qadar log subha shaam guzartey honge..

main bhi ek shaqs hi to hoon ..............

Aao jaanch lete hain Dard ke taraazu per


Aao jaanch lete hain Dard ke taraazu per,
kis ka gham kahaan tak hai,
shiddatein kahaan tak hain,
kuch azeez logon se puchnaa to parta hai aaj kal,
MUHABBATON ki keemtein kahaan tak hain,
ik SHAAM aajao khul ke haal.e.DIL bayaan kar lein,
kaun jaane SansoN ki mohlatein kahaan tak hain.................

Band sheeshon ke pare dekh

Band sheeshon ke pare dekh,
Dariche ke udhar,
Sabz pedoN pe ghani shaakhoN pe,
PhooloN pe vahaaN,
Kaise chupchaap barasta hai musalsal pani,
Kitni aawaazein hain,
Ye log hain,
Ye baatein hain,
Magar zehan ke peeche kisi aur hi sateh pe kahin
Jaise chupchaap barasta hai tasavvur tera............

Main Do Kadam Chalta

Main Do Kadam Chalta aur Ek Pal

ko Rukta Magar ,
Is Ek Pal Mein Zindagi Mujhse

Chaar Kadam Aage Badh Jaati…..
Main Phir Do Kadam Chalta aur

Ek Pal Ko Rukta Magar,
Zindagi Mujhse phir Chaar

Kadam Aage Badh Jati…..
Yun Zindagi ko Jeettaa dekh

Main Muskurataa,
aur Zindagi……Meri Muskurahat

per HainraaN Hoti.
Ye Silsila Yunhi Chalta Rehta

..

phir Ek Din Mujhey Hansta Dekh

Ek Sitare Ne Pucha….
“Tum Haar Kar Bhi Muskurate Ho

?
Kya Tumhe Dukh Nahi Hota Haar

Ka ?”
Tab Maine Kahaa…………… .

Mujhe Pata Hai Ek aesi Sarhad

Aayegi Jahaan Se
Zindagi Chaar Kadam To Kya Ek

Kadam Bhi Aage Na Badh Payegi
Or Tab Zindagi Mera Intezaar

Karegi Or Main……..
Tab Bhi Yunhi Chalte Rukte

Apni Raftaar se Apni Dhun Mein

Wahaan Pahuchunga….
Ek Pal Ruk Kar Zindagi Ki

Taraf Dekh Kar Muskuraunga……
Beete Safar Ko Ek Nazar Dekh

Kar Apne Kadam phir

Badhaunga……….
Theekk Usi Pal Main zindagi Se

Jeet Jaunga…….
Main Apni Haar Per Bhi

Muskuraya Tha aur
Apni Jeet Per Bhi

Muskuraunga……..
Or Zindagi…….
Apni Jeet Per Bhi Na Muskuraa

Payi Thi aur Apni Haar Per Bhi

Na RO Payegi…….
Bas Tabhi Main Zindagi Ko

Zindagi JEENA Sikha Jaunga……….

Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi

Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi


Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi


Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi


Qayam Karti Thi WO Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi


Tamam Raat WO Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay WO Lamhe Talash Karti Thi


Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi


Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi


Tamam Raat WO Zakhma Ke Apni Pooron KO
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi


Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi


Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne
WO Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi

Popular Posts