Friday, May 21, 2010

Har chhehr-e-masumiyat me tera chhehra nazar ata hai

Har chhehr-e-masumiyat me tera chhehra nazar ata hai
Tu har chhehre me sama jaye to koi kya kare. 

Tu jo has de to sama has de aur ye jaha has de
gam me tujhe na rona aye to koi kya kare. 

Mehek aisi ki itr ka sagar bhi kam pare
ke har phool tujhe hi mehekaye to koi kya kare 

Tujhe chand kahu to mehtaab-e-jaha ko kya kahu
Jab tu hi chand ho jaye to koi kya kare 

Maroof tu hai ya mai koi faisla hua hi nahi
Tu hi koi faisla kar jaye to koi kya kare 

Ajmato me hum tujhe hi yaad kar ke rote hai
Meri palkhe hi nam na ho to koi kya kare 

Wo jeher jo tune mujhe diya wo jeher nahi raha
Ki Zindagi hi zeher ho jaye to koi kya kare 

Kya kare koi akhir hai nahi kuch bhi bas me uske
Sab kuch tere hi hawale se chale to koi kya kare.

Poora Dukh Aur Aadha Chaand

Poora Dukh Aur Aadha Chaand
Hijr Ki Shab Aur Aisa Chaand, 

Itne Ghane Badal Ke Pichhe, 
Kitna Tanha Hoga Chaand, 

Meri Karvat Par Jaag Uthe, 
Neend Ka Kitna Kachha Chaand, 

Sehra Sehra Bhatak Raha Hai, 
Apne Ishq Mein Sachha Chaand, 

Raat Ke Shahid Ek Baje Hai, 
Sota Hoga Mera Chaand...

Mansoob The Jo Log Meri Zindagi Ke Sath

Mansoob The Jo Log Meri Zindagi Ke Sath 
Aksar Wohi Mile Hai Badi Berukhi Ke Sath 

Yun To Main Hans Pada Hoon TuMhare Liye Magar 
Kitne Sitare Toot Pade Ek Hansi Ke Sath 

Fursat Mile To Apna Gereban Bhi Dekh Le 
Aye Dost Yun Na Khel Meri Bebasi Ke Sath 

Majburio Ki Baat Chali Hai To Maine Kaha
HuM Ne Pia Hai Zehar Aksar Kushi K Sath 

Ek Sajda Kahlos Ki QiMat Fazay-E-Khald. 
Ya Rab Na Kar Mazak Meri Bandagi Ke Sath 

Mohsan KaraM Ke Liye Bhi Ho Jis Mein Kahlos Bhi 
Mujh Ko Gazab Ka Pyar Hai Is DushMani K Sath...

Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra

Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra 
Jale Chirag To Bujhne Laga, Mera Chehra 

Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safeer Sadiyon Ke 
Tu Un Dinoon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra 

Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada 
Teri Talash, ZaMane, Hawa, Mera Chehra 

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha 
Khizaan Ke Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra 

Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ke 
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra 

Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ke Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra 

Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya QayaMat Thi? 
Badan Ke Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra 

Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai 
Woh ShaMa-E-ShaaM-E-Safar Thi Ke Mera Chehra 

Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahi Mohsin 
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...

Guzre Peher Ke LaMhon Mein Jo Hona Tha So Ho Gaya

Guzre Peher Ke LaMhon Mein Jo Hona Tha So Ho Gaya, 
Kuch HuMne Paya To Nahi Jo Khona Tha So Kho Diya, 

Ab Kiska Ye Qasoor Hua Aap Hi Kijiye Faisla, 
HuM Bebas Kuch Yun Hue Ke Iktiyar-E-Faisla Kho Diya, 

Us Chand Pe Fakhar Barson Raha, Us Chand Se Rafaqat Thi Use, 
Ab Daastan Kuch Yun Hui Ke Chandni Ne Chaand Ko Kho Diya,

Kya Khoob NaaM HuMne Hai Paaya, Kuch Be-Asar Taseer Hia, 
Ye NaaM To Rahega Sada, Bas Muskurahat Ko Labon Ne Kho Diya...

Phool Chahe The Magar Hath Mein Aaye Pathar

Phool Chahe The Magar Hath Mein Aaye Pathar, 
HuMne Aagoshe-E-Mohabbat Mein Sulaye Pathar, 

Wehshat-E-Dil Ke Tookalaf Ke Zaroorat Ke Liye, 
Aaj Us Shokh Ne Zulfon Mein Sajaye Pathar, 

Un QadMon Ke Tale Chand Sitare Dekhe, 
Apni Raahon Mein Sulagte Hue Patthar, 

Main Teri Yaad Ko Yun Dil Mein Liye Phirta Hoon, 
Jaise Farhaad Ne Sine Se Lagaye Patthar, 

Fikar Sagar Ke Kharidaar Na Bhulein Kabhi, 
Maine Ashqon Ke Gehar The Jo Banaye The Pathar...

Baarish Ki Boondein Jo Padi Phoolon Par


Baarish Ki Boondein Jo Padi Phoolon Par 
To Kaliyan Muskara Kar Khil Uthi 
Pyaar Ki Barsaat Jo Hui 
To Mast Hawayein Bhi Gun-Guna Uthi
Mehakne Laga Har ChaMan Bhi, 
Titliyan Bhi Raks Karne Lagi 
JhooMne Lagi Mast Ho Kar Daaliyaan Bhi 
Parwaanon Ki Mehfilon Mein ShaMMein Jal Uthin!...

Ye Chandni Khili Khili








Ye Chandni Khili Khili,
ChaMak TuMhare Rang Ki, 
Ye Sardiyon Ki Dhoop Si, 
Tapish TuMhare Roop Ki, 
Phir Inpe Yaasiyat Ka Rang,
HaMein To Kuch Jacha Nahi, 
Labon Pe Muskurahatein,
Sajao Khush Rah Karo,
Udaas Mat Hua Karo, 

TaMaaM Rozgaar Ki,
AlaM Taraaz Sa'atein,
Hansi Ki Oat Mein Basi
Kayi Hazar Nafratein,
Har Ek Rukh Ki Oat Mein,
Chhupi Hui Munaafqat,
TaMaaM Manzaron Ka Dukh,
Bahut Rulaye Hai Magar, 
Ye Log To Isi Tarah,
SitaM Kiya Karein SanaM,
TuM Inki Baat Baat Par, 
Dhyan Mat Diya Karo, 
Udaas Mat Hua Karo...

TuMhe Udaas Dekh Kar, 
Kisi Ke Rang Kho Gaye, 
Kahin Pe Chand Bujh Gaya
Kahin Sitare So Gaye,
Kahin Pe Baarishon Ki Rut, 
Ghazab Ki Pyaas Ban Gayi, 
Koi Bahar Ruth Kar, 
Sarapa Yaas Bun Gayi,
Kisike MausaMon Ko Yun
Azaab Mat Kiya Karo,
Udaas Mat Hua Karo...

Kehne Ke Liye TuMse

Kehne Ke Liye TuMse,
Baatein To Bahut Si Hai, 
Alfaz Nahi Milte,
Jo Meri Nazar Mein Hia, 
Is Sher Ke Baagon Mein,
Wo Phool Nahi Khilte, 

Maine TuMhe Jana Hai,
Izhaar Ke Rishton Se, 
Is Tarah Juda Ho Ke 
Jis Tarah Koi Banda
Dharti Pe Nazar Dale
Ek Baar Khuda Ho Ke...

TuMhe Arsa Hua Bhule

TuMhe Arsa Hua Bhule,
Magar Barish Ke MausaM Mein,
Hawa Jab Gungunati Hai, 
Main Apne Ghar Ki Chhat Par Se, 
ChaMakte Chand Ko Chhupte
Ghata Ki Out Mein Dekhun,
Mujhe TuM Yaad Aate Ho...

Jo Baat Nahi Karte, 
Un Bolte Rangon Mein,
Maine TuMhe Socha Hai, 
Jo Dilse Guzarte Hai, 
Un Ajnabi Raston Mein,
Maine TuMhe Dekha Hai...

Kis Kadar Siyaah Hia Din, Aur Safed Raatein Hian




Kis Kadar Siyaah Hia Din,
Aur Safed Raatein Hian, 
Maut Ki KhaMoshi Mein,
Zindagi Ki Baatein Hai, 
Waqt Ruk Gaya Hai Aur 
Chand Taare Chalte Hai, 
Bujh Gaya Hai Ye Suraj 
JisM Saare Jalte Hai, 
Dekhte Hia Haath Aur Pair
Aankh Sochti Hai Ab
Lab Sile Hue Hai Aur 
Sach Bolte Hia Ab,
Sach Bolte Hia Ab,
Saans Ab Dhadakte Hai
Dil Lahoo Mein Behta Hia, 
JisM Mein Mera Lekin,
Koi Aur Rehta Hai, 
Dard Hai Mere Lekin,
Koi Aur Sehta Hai, 
DushaMni Hia Yaaron Se, 
Bolti Hai Tasveerein,
Raaz Saari Duniya Ke, 
Kholti Hai Tasveerein,
Khaar Mein Hia Khushbu Aur 
Phool Khoon Rulate Hai, 
De Sakun Angaare, 
Honth Ab Jalaate Hai, 
Raaste Bhi Sidhe Hai, 
Manzilein Bhi Aasan Hai, 
Na Koi Musafir Hai
Na Hi Koi SaMaan Hia, 
Khwahishein Nahi Hai Aur, 
Na Hi Hia Koi Maksood,
JisM-O-Rooh Ka Rishta, 
Ab Kahin Nahi Maujood...

Ek WaheM Tha Dil Mein, Shayad Kabhi Milo TuM


Ek WaheM Tha Dil Mein,
Shayad Kabhi Milo TuM, 
Kuch Der Ruk Kar Puchho, 
Beete Dino Ka MausaM, 
Aawaz Mein Ho Larzish, 
Aankhon Mein Ho Tajassus
Maze Ka Koi LaMha, 
Shayad Atak Gaya Ho, 
Sab Bhool Kar Bhi Shayad, 
Kuch Yaad Aagaya Ho
Phir Main TuMhe Bataun,
Apni Khushi Ki Baatein,
Har Dukh Ko Chhupa Kar Dil Mein,
Aasoodgi Ki Baatein,
Wo Chand Chaudhveen Ka, 
Taaron Bhari Wo Aankhein,
Dilkash Haseen ShaMayein,
MaasooM Waardaatein,
Wo Pyar Ka Tasavvur
Wo Bandagi Ki Baatein,
Wo Roz Roz Marna, 
Aur Zindagi Ki Baatein,
TuM Dukh Se Muskurao
Dhire Se Muskurao, 
Dhire Se Paas Aao, 
Sar Ko Jhuke Ke Apne
Chup Chap Loot Jao
Phir Main Bhi Muskuraun,
Mann Ke Diye Jalaun,
Dohraun Apne Dil Mein,
Taaluq Se Haqeeqat
Ek Khwab Zindagi Ka, 
Haan UMar Bhar Jo Dekha, 
Kabhi Ho Saka Na Pura, 
Yunhi Reh Gaya Adhura,
Ek Khwab-E-Zinadgi Tha...

Hai Dua Yaad Harf-E-Dua Yaad Nahi

Hai Dua Yaad Harf-E-Dua Yaad Nahi,
Mere NaghMat Ko Andaz-E-Nava Yaad Nahi, 

Maine Palkon Se Dar-E-Yaar Pe Dastak Di Hai, 
Main Woh Sayail Hoon Jise Koi Sada Yaad Nahi, 

Maine Jin Ke Liye Rahon Mein Bichaya Tha Lahoo, 
HuMse Kehte Hain Wohi Ehad-E-Wafa Yaad Nahi, 

Sirf Dhundalaye Sitaroon Ki ChaMak Dekhi Hai, 
Kab Hua, Kaun Hua Kis Se Hua Khafa Yaad Nahi, 

Zindagi Jabr-E-Musalsal Ki Tarah Kati Hai, 
Jane Kis JurM Ki Payii Hai Saza Yaad Nahi, 

Aao Ek Sajda Karein AalaM-E-Madhoshi Mein 
Log Kehte Hai K Saagar Ko Khuda Yaad Nahi...

Aa Ke Waabasta Hai Us Husn Ki Yaadein Tujhse

Aa Ke Waabasta Hai Us Husn Ki Yaadein Tujhse 
Jisne Is Dil Ko Pari-Khaana Bana Rakha Tha
Jiski Ulfat Mein Bhula Rakhi Thi Duniya HuMne 
Dahar Ko Dahar Ka Afsana Bana Rakha Tha

Aashnaa Hain Tere QadMon Se Woh Rahein Jin Par 
Uski Madhosh Jawani Ne Inaayat Ki Hai 
Karwaan Guzre Hain Jinse Isi Ra’anaai Ke 
Jiski In Aankhone Be-Sud Ibadat Ki Hai 

Tujhse Kheli Hai Woh Mehboob Hawaayein Jin Mein 
Uske Malbuus Ki Afsurda Mahek Baaqi Hai 
Tujh Pe Bhi Barsaa Hai Us BaaM Se Mehtaab Ka Noor 
Jis Mein Beeti Hui Raaton Ki Kasak Baaqi Hai 

Tune Dekhi Hai Voh Peshaani, Woh Rukhsaar, Woh Honth,
Zindagi Jinke Tasavvur Mein Luta Di HuMne 
Tujhpe Uthi Hain Woh Khoyi Khoyi Saahir Aankhein 
Tujhko MaluM Hai Kyon UMr Ganwa Di HuMne 

HuM Pe Mushtarak Hain Ehsaan GhaM-E-Ulfat Ke 
Itne Ehsaan Ki Ginwaun To Ginwa Na Sakun 

HuMne Is Ishq Mein Kya Khoya Hai Kya Sikha Hai 
Juz Tere Aur Ko SaMjhaun To SaMjha Na Sakun...

Koi Bhi Shakl Ho Iski, Ye Saza Deta Hai

Koi Bhi Shakl Ho Iski, Ye Saza Deta Hai, 
Sipaah-E-Ranj Ka Ye Ishq Hi Salaar Jo Hai, 

Bichhad Rahi Hai Wo Mujhse Khud Apni Marzi Se, 
Main Kaise Maan **** Wo Aankh Ashq-Baar Jo Hia, 

Fosordaa Chehre Mujhe Bhi Hia Na-Pasand Magar, 
Main Kya Karun Ke Teri Yaad Dil-Aazaar Jo Hia, 

Tera GaM Jaan Se Badh Kar Na Kyon Azeez Rahe,
Yehi Reh Seh Ke Tera Haasil-E-Deedar Jo Hai, 

Wo Ranjishein, Ladaiyan, Bhi Sab Baja Hai Magar, 
Jhuth Ye Bhi Nahi, Tujhse Bala Ka Pyaar Jo Hai, 

AlaM Uthao Bagawat Ka, Chhodo Saadiq Ko, 
Ke Wo To Kabse Khada SaMne Taiyar Jo Hai, 

SadMa Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sochta Hoon Ke Ab Tera Kya Hoon Main,

Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhundta Hoon Main,

Na Jane Kis Ada Se Liya Tune Mera NaaM,
Duniya SaMajh Rahi Hia Ke Sab Kuch Tera Hoon Main,

Le Mere Tajurbon Se Sabak Aye Mere Raqeeb, 
Do Chaar Saal UMr Mein Tujhse Bada Hoon Main...

Chhatri Laga Ke Ghar Se Nikalne Lage Hain HuM

Chhatri Laga Ke Ghar Se Nikalne Lage Hain HuM 
Ab Kitnii Ehtiyaat Se Chalne Lage Hain HuM 

Is Darje Hoshiyar To Pehle Kabhi Na The 
Ab Kyun QadaM QadaM Pe SaMbhalne Lage Hain HuM 

Ho Jaate Hain Udas Ke Jab Dopehar Ke Baad 
Suraj Pukarta Hai Ke Dhalne Lage Hain HuM 

Aisa Nahin Ke Barf Ki Maanind Ho Magar 
Lagta Hai Yun Ke Jaise Pighalne Lage Hain HuM 

Aainaa Dekhne Ki Zarurat Na Thi Koi 
Khud Jante The HuM Ke Badalne Lage Hain HuM 

Is Ka Yaqeen Aaj Bhala Kis Ko Aayega 
Ek DheeMi DheeMii Aanch Mein Jalne Lage Hain HuM...

Tere Badan Se Chhu Kar Jo Idhar Bhi Aata Hai


Tere Badan Se Chhu Kar Jo Idhar Bhi Aata Hai, 
Misaal-E-Rang Wo Jhonka, Nazar Bhi Aata Hai, 

TaMaaM Shab Jahan Jalta Hai Ek Udaas Diya, 
Hawa Ki Raah Mein Ek Aisa Ghar Bhi Aata Hai, 

Wo Mujhko Toot Ke Chahega Chhod Jayega, 
Mujhe Khabar Thi Use Ye Hunar Bhi Aata Hai, 

Ujaad Ban Mein Utarta Hai Ek Jugnu Bhi,
Hawa Ke Sath Koi HuMsafar Bhi Aata Hai, 

Wafa Ki Kaunsi Manzil Pe Usne Chhoda Tha, 
Ke Wo To Yaad HaMein Bhool Kar Bhi Aata Hai, 

Jahan Lahoo Ke SaMundar Ki Had Thaherti Hia, 
Wahin Jazeera-E-Laal-O-Guhar Bhi Ata Hai, 

Chale Jo Zikar Farishton Ke Parsaye Ka, 
To Zair-E-Behas MuqaaM-E-Bashar Bhi Ata Hai, 

Abhi Sinaan Ko SaMbhale Rahein Adoo Mere, 
Ke In Safaon Mein Kahin Mera Sar Bhi Aata Hai, 

Kabhi Kabhi Mujhe Milne Bulandiyon Se Koi, 
Shoa-E-Subah Ke Saurat Utaar Bhi Aatar Bhi Ata Hai, 

Isi Liye Main Kisi Shaab Na So Saka Mohsin
Wo Mehtaab Kabhi BaaM Par Bhi Aata Hai...

Chandni Raat Mein Chaand Ke SaaMne

Chandni Raat Mein Chaand Ke SaaMne, 
Rukh Se Parda Hatana Gazab Ho Gaya, 
Chandni Chhup Gayi Chaand SharMa Gaya, 
Aapka Muskurana Gazab Ho Gaya, 

Dilki Dhadkanein Meri Tez Ho Gayi, 
Raat Aankhon Mein Kaantein Chubhone Lagi, 
Wasl Ki Raat Mein Baat Hi Baat Mein,
Yun Tera Rooth Jana Gazab Ho Gaya, 

JhooM Kar Kaali Kaali Ghata Jab Uthi, 
Raat Apni To Karvat Badalte Kati, 
Kuch To MausaMne Bechain Rakha HaMein,
Kuch Tera Yaad Aana Gazab Ho Gaya, 

Apne Hisse Mein Toofan Ki Taqdeer Thi, 
Zindagi Apni Maujonki Zanjeer Thi, 
Doob Jane Ka Apne HaMein GaM Na Tha, 
Uska Saahil Pe Aana Gazab Hogaya...

Baadalon Ka Kaafila Aata Hua Achha Laga

Baadalon Ka Kaafila Aata Hua Achha Laga, 
Pyaas Ki Dharti Ko Har Sawan Bada Achha Laga, 

Us Bhari Mehfil Mein Uska Chand LaMhon Ke Liye, 
Mujhse Milna Baat Karna Dekhna Achha Laga, 

Jinka Sach Hona Kisi Surat Se Bhi MuMkin Na Tha, 
Aisi Aisi Baatein Aksar Sochna Achha Laga, 

Wo To Kya Aata Magar KhushfehMiyon Ke Saath Saath, 
Saari Saari Raat HuMko Jaagna Achha Laga, 

Pehle Pehle To Nigaahon Mein Koi Jachta Na Tha, 
Rafta Rafta Dusra Phir Teesra Achha Laga...

Mohabbat Baksh Deti Hai

Mohabbat Baksh Deti Hai
Kabhi Raanaiyan Aisi,
Ke Jaise Dhoop Ke Hote
Kabhi Badal Baras Jaye
Ke Jaise Bin Kahe Koi
Kahin Dil Mein Utar Jaye
Kahin Pariyon Ki Waadi Mein,
Bade Se Takht Par Baithe
Koi Phoolon Ke DaMan Se 
Koi Rangon Ke Aanchal Se, 
Saron Par Saayebaan Kar De,

Mohabbat Baksh Deti Hia, 
Kabhi Tanhaiyan Aisi
Ke Jaise Aag Si Barse
Jo Sara Tan Jala Rakhe, 
Ke Jaise Dhoop Ke Honthonko
Shole Phir Jala Baithe,
Ke Jaise Raste Mein Hi
Koi Raahi Bhatak Jaye,
Ke Jaise Man Ke Andar Kuch,
Achanak Se Toot Sa Jaye,
Ke Jaise Dil Pighal Jaye
Mohabbat Kya Hai Phir Socho
Kya Ra'anai Ya Tanhayi???

Jab Dil Ki Baat Koi Dil Sun Le

Jab Dil Ki Baat Koi Dil Sun Le, 
To Dil Ko Acha Lagta Hai... 

Yeh Dil To Nadaan Hai, 
Kabhi Hansta Hai To Kabhi Rota Hai.. 

TuMko Ehsaas Nahi Ke Yeh TuM Pe Kitna Marta Hai 
Par Jaan Lo TuM Ke Ye TuMhaare Liye Dhadakta Hai... 

Kabhi To Iss Dil Ke Awaaz Suno TuM Bi.. 
Yeh Tho Sirf TuMhe Pukaar Raha Hai

Iss Dil Ki Baat Har Koi Sun Leta Hai.. 
Kabhie TuM Bhi Sun Kar Dekho 
Yeh TuMse Apne Pyar Ka Izhaar Kab Se Kar Raha Hai

Agar Aankhein Teri Zinda Hia

Agar Aankhein Teri Zinda Hia, 
To In Mein Khwab Bhi Zinda Rakh, 

Mayoosi Le Jati Hai Kufar Ki Jaanib, 
HardaM UMMid-E-Fatah Rakh, 

Ragon Mein Jab Khoon Rawan Hai Ab Tak, 
To Koshishein Apni Rawan Rakh, 

Na UMMidi Le Jaati Hia NakaMi Ke Jaanib, 
UMangein Apni Jawan Rakh...

Jo Dard Mila Apno Se Mila

Jo Dard Mila Apno Se Mila
Gairon Se Shikayat Kyon Kare, 

Jo ZakhM Diya Phoolone Diya,
Kaanto Se Shikayat Kyon Kare, 

In Aankhon Ne Jo Kuch Dekha
Aye Dil Bata Kis Muh Se Kahein,

Kuch Apno Ka NaaM Ata Hai 
Behtar Ye Lab KhaMosh Rahe, 

Jab Kar Na Sake HuM Unse Gila,
Gairon Se Shikayat Kyon Kare, 

Dil Sheesha SaMajh Kar Tod Diya
Manzil Pe Laa Kar Chhod Diya, 

Wo Pyar Nahi Ek Sapna Tha, 
Sapno Se Shikayat Kyon Kare...

AasMan Se Utara Gaya

AasMan Se Utara Gaya, 
Zindagi De Ke Maara Gaya, 

Ishq Jisne Kiya Soch Le,
Wo To BeMaut Maara Gaya, 

Meri Mehfil Se Wo Kya Gaye, 
Sath Mein Dil HaMara Gaya, 

Mujhko Sahil Ka Deke Fareb,
Maut Ke Ghaat Utara Gaya, 

Maut Se Bhi Jo Na Mar Saka
Usko Nazron Se Maara Gaya, 

AasMan Se Utara Gaya, 
Zindagi Deke Maara Gaya...

Ek Din Mere Mazar Par Jo Chirag Kisine Jala Diya

Ek Din Mere Mazar Par Jo Chirag Kisine Jala Diya, 
Usi SanaM Ke DaaMan Ne Sar ShaaM Hi Bujha Diya, 

Mujhe Dafan Karna Tu Jis Ghadi, To Ye Usse Kehna Ke,
Wo Jo Tera Aashiq Tha, Is Khaak Ne Use Daba Diya, 

DaM Ghoosul Se Mere Beshtar, Use HuM DuMoon Ne Ye Soch Kar, 
Kahin Jaye Uska Na Dil Dahal, Meri Lash Par Se Hata Diya, 

Meri Aankh Jhabki Thi Ek Pal, Mere Dil Ne Chaha Ke Uth Kar Chal, 
Dil Bekarar Ne Haay Wohi Chutki Leke Jaga Diya, 

Zara Unki Shokhi To Dekhiye Liye Zulf ZakhM Shuda Hath Mein,
Mere Piche Aye Dabe Dabe Mujhe Saanp Keh Ke Dara Diya, 

Maine Dil Diya Maine Jaan Di, Magar Aah Tune Na Kadar Ki, 
Kisi Baat Ko Jo Kaha Kabhi, Use Chutkiyon Mein Uda Diya...

Pareshan Raat Saari Hai Sitaron TuM To So Jao

Pareshan Raat Saari Hai Sitaron TuM To So Jao,
Sakoot Marg Tari Hai Sitaron TuM To So Jao, 

Hanso Aur Haste Haste Doobte Jao Khayalon Mein,
HuM Hi Par Raat Bhari Hai Sitaron TuM To So Jao, 

HaMein To Aaj Ki Shab Pau Phatne Tak Jagna Hoga, 
Yehi KisMat HaMari Hai Sitaron TuM To So Jao, 

TuMhe Kya Aaj Bhi Koi Agar Milne Nahi Aaya, 
Ye Baazi HuMne Haari Hai Sitaron TuM To So Jao, 

Kahe Jaate Ho Ro Ro Kar HaMara Haal Duniya Se, 
Ye Kaisi Raazdari Hai Sitaron TuM To So Jao, 

HaMein Bhi Nind Aa Jayegi HuM Bhi So Hi Jayenge, 
Abhi Kuch Beqarari Hai Sitaron TuM To So Jao...

Chandni Raaton Mein Tanhaiyon Ke AalaM Mein


Chandni Raaton Mein
Tanhaiyon Ke AalaM Mein,
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai, 

Ye MausaM Ka Takaza Hai,
Ya Nahsa Hai Uske Pyaar Ka, 
Wo Hawa Banke Badan Ko Chhu Ke, 
Rooh Mein Utar Jana Hai, 

Chand Ko Dekhti Hoon Jab Jab
SharM Si Mujhko Aati Hai, 
Ye Chand Bhi Ab To Mujhe 
Usika Chehra Dekhta Hai, 

Ye Taron Se Bhara AasMan,
Aur Bhi Mujhe Lubhata Hai, 
Chanchal Si Dilki Aarzuon 
Ko Andekha PaigaM De Jata Hai, 

Barish Ki Bunde Jab Mere 
Tan Ko Bhigo Ke Hasti Hai, 
Ek Shararat Bhari Nazron Se 
Wo Mujhe Chhed Ke Jaata Hai, 

Sardi Ki Raaton Mein Jab Jab
Neend Se Bezaar Hoti Hoon,
Wo Chupke Se Aake Mujhe
Apne Seene Pe Sula Ke Jaata Hai, 

Behti Hui Ye Nadiya
Mujhe Ye Kehti Jaati Hai, 
Tu Jiski Deewani Hai
Wo Bhi Tujhe Chahta Hai, 

Chandni Raaton Mein
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai, 
Chand Banke Wo 
Mere Dil Mein SaMata Hai...

HuMsafar Banke HuM Saath Hai Aaj Bhi

HuMsafar Banke HuM Saath Hai Aaj Bhi, 
Phir Bhi Ye Safar Ajnabi Ajnabi
Raah Bhi Ajnabi Mod Bhi Ajnabi, 
Jaaye HuM Kidhar Ajnabi Ajnabi,

Zindagi Ho Gayi Hai Sulagta Safar, 
Dur Tak Aa Raha Hai Dhua Sa Nazar, 
Jaane Kis Mod Par Kho Gayi Har Khushi, 
Deke Dard-E-Jigar Ajnabi Ajnabi, 

HuMne Chun Chunke Tinke Banaya Tha Jo,
Aashiyan Hasraton Se Sajaya Tha Jo, 
Hai ChaMan Mein Wohi Aashiyana Aaj Bhi, 
Lag Raha Hai Magar Ajnabi Ajnabi,

Kisko MaluM Tha Din Ye Bhi Aayenge, 
MausaMon Ki Tarah Dil Bhi Badal Jayenge, 
Din Hua Ajnabi Raat Bhi Ajnabi, 
Har Ghadi Har Pal Ajnabi Ajnabi...

Ye Dilka Rog Ye Cahhat Khuda Kisi Ko Na De

Ye Dilka Rog Ye Cahhat Khuda Kisi Ko Na De, 
Buri Bala Hai Ye Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De, 

Jo *** Tune Mujhe Di Koyi Na De Tujhko, 
Ye Bewafayi Ki Aadat Khuda Kisi Ko Na De, 

Zaroori Hai To Bahut Zindagi Mein Ishq Magar, 
Ye Jaan Lewa Zaroorat Khuda Kisi ko Na De, 

Ye Dil Ka Rog Ye Chahat Khuda Kisiko Na De, 
Buri Bala Hai Ye Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De...

Ishq Mein Nahi Hisab Jeene Aur Marne Ka

Ishq Mein Nahi Hisab Jeene Aur Marne Ka, 
Ke Usiko Dekh Kar Jeete Hai Jis Kafir Pe DuM Nikle, 

Kahan Mehkhane Ka Darwaza Aur Kahan Wayez,
Bas HuM Itna Jaante Hai Ke Kal Wo Ata Tha Ke HuM Nikle,

Nikalna Khudse AadaM Ka Sunte Aaye Hai Lekin,
Bahut Beabroo Hokar Tere Kooche Se HuM Nikle, 

Hazaron Khwahishein Aisi Ke Har Khwahish Pe DaM Nikle,
Bahut Nikle Mere ArMaan Lekin Phir Bhi KaM Nikle...

Main Usse Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya

Main Usse Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya, 
Aur Usne Mujhe Apni Mohabbat Ka Yakeen Dila Diya, 

Ghar Se Be-Ghar To Doston Mein Khwar Karva Diya,
Jabse Usne Mujhe Uski Mohabbat Mein Giraftar Karva Diya,

Uski Ek Jhalak Se Hi Karar Aa Jaye, 
Jaise Kisi Pyase Ko Pet Bhar Pani Pila Diya,

Mohabbat Mein Meri Hi KaMi Thi Ye Ehsaas Dila Diya,
Jabse Maine Use Chand Ki Aagosh Mein Lipta Hua Paya...

Rok Lo QadaM Jee Bhar Ke Dekh Lo

Rok Lo QadaM Jee Bhar Ke Dekh Lo 
HuMara TuMhara Saath Bas Yahin Tak Tha 

Manzil Mile Na Mile Ab HaMari KisMat 
Ke Zindagi Ke Saath Safar Bas Yahin Tak Tha 

TuM Chal Nahi Sakte Isse Aage Ek QadaM 
Ruk Jao Ke Phoolon Ka ChaMan Yahin Tak Tha 

Aage Aa Rahe Hain GhaM Mujh Se Milne Gale 
Ke Apni Khushiyon Ka Thikana Bas Yahin Tak Tha 

Utho Aur Naye HuMraahi Talash Karo 
Ke Yeh Khuwaab Suhana Bas Yahin Tak Tha

Husn Ki Baat Jab Bhi Chalti Hai

Husn Ki Baat Jab Bhi Chalti Hai, 
Aapka Intekhaab Hota Hai, 

HuM Ko Mehfil Azeez Hai Aise
JisMein Door-E-Sharab Hota Hai,

Jitna Sooraj Ka Sitara Ho Kareeb, 
Utna Hi Wo Kharab Hota Hai, 

Mohtsib Mohtabar Nahi Ye Khabar,
Aap Ka Bhi Ye Hisab Hota Hai, 

Aur Khulte Hai Kitne Darwaze
Band Jab Ek Baab Hota Hai, 

Sach Kisine Kaha Hai Ye SanaM,
Ishq Aakhir Azaab Hota Hai...

Pathar Tha Magar Barf Ke Golonki Tarah Tha

Pathar Tha Magar Barf Ke Golonki Tarah Tha, 
Ek Shakhs Andheron Mein Ujalon Ki Tarah Tha, 

Khwabon Ki Tarah Tha Na Khayalon Ki Tarah Tha, 
Wo IlM-E-Riyazi Ke Sawalon Ki Tarah Tha, 

Uljha Hua Aisa Ke Kabhi Sulajh Nahi Paya, 
Suljha Hua Aisa Ke Misalon Ki Tarah Tha, 

Wo Mil To Gaya Tha Magar Apna Hi Mukaddar
Shatranj Ki Uljhi Hui Chalon Ki Tarah Tha...

Unko Bhi HuMse Waisi Hi Mohabbat Ho Zaroori To Nahi

Unko Bhi HuMse Waisi Hi Mohabbat Ho Zaroori To Nahi, 
Ek Si Donoki Halat Ho Zaroori To Nahi, 

Dilki Chahat To Hai Khwab Jaga Deti Hai, 
Haan Magar Saath Mein QisMat Bhi Ho Zaroori To Nahi, 

Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sada, 
Unko Nahi Bhi Meri Zaroorat Ho Zaroori To Nahi,

Muskurane Se Bhi Hote Hai Bayan GaM-E-Dil, 
Mujhko Rone Ki Bhi Aadat Ho Zaroori To Nahi...

Bahut Tanha Hoon

Bahut Tanha Hoon,
Zindagi Ki Shayera Pur, 
Bas Ek Sayeban Chahiye
Theherne Ke Liye, 
Main Apne Andar Tanha
Bahut Tanha Hoon,
Ek Dost Chaiye Sath Ke Liye,
Zindagi Kahin Kahin,
Bahut Khoobsurat Nazar Aati Hai, 
Bas!
Kuch Der Achhe Logonke Sath
Hansna Chahta Hoon,
Bahut!

Gar Ho Gaye Kahin
Achhe Dost Naraz
To Ye Zindagi
Dasht Se Zyada Nahi
Aye Dost
TuMhari Tarah Tanha Rehte Rehte
Main Bahut Thak Chuka Hoon,
Kuch Der Main Bhi 
Hansna Chahta Hoon,
Bahut Hansna Chahta Hoon,
Dil Ki Gehraiyon Se...

Zaroori To Nahin Ke Jine ke Liye Sahara Ho

Zaroori To Nahin Ke Jine ke Liye Sahara Ho, 
Zaroori To Nahin Ke HuM Jinke Hai Woh Bhi HaMare Ho, 
Kuchh Kastiya Doob Bhi Jaya Karti Hai, 
Zaroori To Nahin Ke Har Kasti Le Liye Kinara Ho.... 

HuMe Zaroorat Hi Nahin Ke Jine Ke Liye Sahara Ho, 
HuM Unke Hai Woh Bhi Bahut Hai Woh Kyon HaMara Ho, 
Yeh Sach Hai Ke Kuchh Kastiya Doob Bhi Jaya Karti Hai, 
Par Saahil To Wahi Rehta Hai Kinare Ho Ya Na Ho.... 

Maana Ki Jine Ke Liye HuMe Koi Sahara Nahin, 
Par Sahara Hota To Kuchh Aur Baat Hoti 
Koi Shaq Nahin Ke HuM Unke Hai, 
Par Woh Bhi HaMare Hote To Kuchh Aur Baat Hoti 
Doob Gayi Kasti Koi GhaM Nahin, 
Par Kinara Milta To Kuchh Aur Baat Hoti..

Aa Bhi Jao Ke MausaM Badalne Lage

Aa Bhi Jao Ke MausaM Badalne Lage, 
Aa Bhi Jao Ke Ye Dil Dhadakne Lage, 

Aa Bhi Jao Ke Ab Chandni Dhalne Lagi, 
Aa Bhi Jao Ke ShabnaM Bahekne Lagi, 

Aa Bhi Jao Ke Shab-E-Firak Ab Hui TaMaaM, 
Aa Bhi Jao Ke Dil Hua TuMhare NaaM

Aa Bhi Jao Ke Titliyan Raqs Karne Lagi,
Aa Bhi Jao Ke Saansein Machalne Lagi,

Aa Bhi Jao Ke TuM Yaad Aane Lage, 
Aa Bhi Jao Ke Jazbat Phir Jazbaat Hai, 

Aa Bhi Jao Ke Hathon Ko Hai ThaMna, 
Aa Bhi Jao Ke Mere Ye Ehsaas Hai...

Yehi Manzar The Anjane Se Pehle

Yehi Manzar The Anjane Se Pehle,
TuMhare Shaher Mein Aane Se Pehle, 

ZaMeen Ki Dhadkane Pechan Lena
Koi Dar-O-Deewar Banane Se Pehle, 

Na Jane Kitni Aakhein Muntazir Thi, 
Sitarein BaaM Par Aane Se Pehle, 

Dareeche Band Ho Jate Hai Kitne, 
Yahan Manzar Badal Jaane Se Pehle...

Mujhe Ulfaton Mein SaMet Lo Mujhe Bekhudi Ki Talash Hai

Mujhe Ulfaton Mein SaMet Lo Mujhe Bekhudi Ki Talash Hai 
Jo Dilon Mein Rooh Mein Utar Sake Usi Rahgni Ki Talash Hai 

Mein Ulajh Gayi Main Bikhar Gayi Mere HuMsafer Meri Baat Sun 
Mujhe Zindagi Ki Talash Hai Mujhe Roshni Ki Talash Hai 

Aey Mere Khuda Teri Di Hui GaM-E-Zindagi Ki Khiza'on Mein 
Kisi Aur Se Ki Talab Nahi Faqat Ek Hansi Ki Talash Hai 

Mujhe Padh Sake Mujhe SaMjh Sake Mujhe Har Tarah Parakh Sake 
Uss Dilbar Ki Talash Hai Faqat Uss Ghadi Ki Talash Hai

Koi To Ho Is Duniya Mein

Koi To Ho Is Duniya Mein,
Jo Rahe Meri Saanson Mein,
Jo Rahe Is Dilki Dhadkan Mein,
Aisa Ho Tu SaMne Aye Mere
Jisko Dekhkar Zindagi Ruk Jaye Meri, 
Pyar Karunga Usko Zindagi Se Zyada,
Hojayega Wo Mere Apne Aapse Zyada, 
Kahe Tu Is Duniya Mein Ho Mere Jaisa, 
Koi To Hois Duniya Mein Mere Jaisa, 
Pyar Kiya Tha Maine Jisko Is Duniya Mein,
Jo Jahan Bhul Gaya Tha Jiske Liye Main,
Bhool Gaya Tha Main Usko Dekhkar Har Kisiko, 
Jee Utha Tha Usko Dekhte Hi, 
Jaan Ban Gaye The Wo Meri Is Duniya Mein,
Soch Kar Jeeta Tha Jiski Yaad Ko Main Kahin,
Socha Na Tha Koi Hoga Is Duniya Mein,
Jisse Main Ye Kahun Ke Pyar Hai Tujhse, 
Aankhon Mein Jiska Sapna Tha Mere,
Wo Dhundli Tasveer Thi Jiski Is Aankhon Mein,
Ek Din SaMne Aaye Mere Is Tarah, 
Duniya Ruk Gayi Ho Kuch LaMhe Ke Liye Jis Tarah, 
Itne Pyare The Ke SaMjha Nahi Pyar Kya Hai Us Waqt 
Dekhkar Bhool Gaya Main Sabko Uska Chehra Dekhkar, 
Jaise Aankhon Mein Tha Jo Chehra Saaf Hogaya Us Wakt,
Par Kuch Bol Na Sake Usko Us Wakt Dekhkar, 
Ab To Yaad Aate Hai Wo Mujhko Har Waqt
Sochta Hoon Bol Deta Usko Us Wakt To Achha Hota, 
Dekha Na Dekhenge Us Chehre Ko Phir Kabhi Zindagi Mein,
Kash SaMajhne Aajaye Mere Wo Dilbar Wo Marne Se Pehle...

Shab-E-Furqat Dareeche NeeM Waa Hain

Shab-E-Furqat 
Dareeche NeeM Waa Hain...... 
Har Ek Aahat Dabe Paanv Kayi MafhooM La Kar 
Meri Soyi Hui UMMid......
Aa Kar Jagati Hai 
Main Zardeda Nigahon Se 
Har Ek Aahat Per ......... Uth Kar 
Janib-E-Dar Dekhti Hoon 
Hawa Ke Dosh Per Faili Hui 
Khushbu Ka Andaza Lagati Hoon 
Zara Ruk Kar Bahut Kuch 
Sochti Hoon Muskurati Hoon......... 
Jo Tere Saath Guzre The
Main Un LaMhon Ke Sare
Zaiqe Mehsoos Karti Hoon
Mujhe Yun Teri Chahat Raat Bhar 
Bedar Rakhti Hai..... 
Main Teri Yaad Ki Khush Rang 
Chadar Odh Kar............ 
Tere Tasawur Mein........... 

Shab-E-Furqat Ki Sari Talkhiyon Ko Bhool Jati Hoon....

Meri Aankhon Ke SaMundar Mein Jalan Kaisi Hai

Meri Aankhon Ke SaMundar Mein Jalan Kaisi Hai, 
Aaj Phir Dilko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hia, 

Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahi, 
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hia, 

Barf Ke Roop Mein Dhal Jayenge Saare Rishte, 
Mujhse Puchho Ke Mohabbat Ki Agan Kaisi Hia, 

Main Tere Visl Ki Khwahish Ko Na Marne Dunga, 
MausaM-E-Hijr Ki Lehje Mein Thakan Kaisi Hia, 

Rehguzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida, 
Uski Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai, 

Mujhe MasooM Si Ladki Pe Taras Aata Hai, 
Ise Dekho To Mohabbat Mein Magan Kaisi Hia...

Ho Kar ZaMeen Ka AasMaan Ki Chaah Kyon Karun

Ho Kar ZaMeen Ka AasMaan Ki Chaah Kyon Karun, 
Main Tujhko Paane Ki TaManna Kyon Karun, 

Mujhko Khabar Hai Judayi Tadpayegi Tujhe Har Pal, 
Isliye Bata De Main Tujhse Wafa Kyon Karun, 

Meri MasooMiyat Ko Rab Ne Banaya Hai Mohabbat Ke Liye, 
Tujhe Chahne Ki Phir Main Khata Kyon Karun, 

Farishte Bhi Tadap Jaate Honge, 
Jab Meri Aankh Se Ashq Chalakte Hia, 
Ye Dard Tujhe De Kar Main Koi Gunaah Kyon Karun, 

Teri Meri QisMat Ki Raahein Hia Juda Juda, 
Main Phir Tera Ban Jaane Ki Aarzu Kyon Karun, 

Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahi Hia NaaM Tera, 
Main Tera NaaM Apne NaaM Se Milane Ki Justuju Kyon Karun, 

Meri Baatien Tere Dil Mein HaMesha Bas Jaati Hai, 
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagu Kyon Karun, 

Baaton Baaton Mein BenaaM Fasane Ban Jaate Hai, 
Aur Aisi Adhuri Kahani Ko Main Shuru Kyon Karun, 

Jo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hia, 
Ye Batao Ke Main Unka Zikr Dubara Kyon Karun, 

Maana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Ghera Asar Karti Hia, 
Use Pyaar Se Dekhkar Us Par Koi Jaadoo Kyon Karun, 

Mere Liye Ye MuMkin Nahi Ke Main Tera Ban Jaun Kabhi, 
To Phir Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyon Karun...

Ek Beqarari Mein Doob Kar

Ek Beqarari Mein Doob Kar, 
Ek Masti Mein JhooM Kar, 
Mohabbat Ne Apna Izhaar Chaha
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dil Se Chaha, 

Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah, 
UMMid Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne Iqraar Chaha, 
Zindagi Mein Pehli Baar 
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha, 

Aitbaar Ka Haath ThaaM Kar
Yaadon Ko HaMraah Le Kar, 
Is MasooM Ne Be-Ikhtiyar Chaha, 
Zindagi Mein Pehli Baar, 
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha, 

Ek Khoobsurat ItMinaan Ki Tarah, 
TuM Hue HaMari Dua Ki Tarah, 
HuMne TuMhe Toot Kar Chaha, 
Zindagi Mein Pehli Baar 
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...

Hijr Ki Pehli ShaaM Ke Saaye Door Ufak Tak Chhaye The

Hijr Ki Pehli ShaaM Ke Saaye Door Ufak Tak Chhaye The, 
HuM Jab Uske Shaher Se Nikle Sab Raaste Sath Laye The, 

Jane Wo Kya Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat, 
Pyar Ki Baatein Karte Karte Uske Nain Bhar Aaye The, 

Kaise Jaati Mere Badan Se Beete LaMhon Ki Khushbu, 
Khwabon Ki Us Basti Mein Kuch Phool Mere HuMsaye The, 

Kaisa Pyara Manzar Tha Jab Dekhke Apne Sathi Ko, 
Pair Pe Baithi Ek Chidiya Ne Apne Par Phailaye The, 

Rukhsat Ke Din Bhigi Aankhon Uska Kehna Haaye, 
TuMko Laut Hi Jana Tha To Is Nagri Kyon Aaye The...

Popular Posts