Thursday, May 13, 2010

hui takhir to kuch bais-e-takhir bhi tha

hui takhir to kuch bais-e-takhir bhi tha
ap ate the magar koi inangir na tha

tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila
us main kuch shaib-e-khubi-e-taqdir bhi tha

tu mujhe bhul gaya ho to pata batla dun
kabhi fitrak main tere koi nakhchir bhi tha

qaid main hai tere wahshi ko wahi zulf ki yad
han kuch ek ranj-e-garanbari-e-zanjir bhi tha

bijli kaund gai ankhon k age, to kya
bat karte, k main lab tashna-e-taqrir bhi tha

yusuf us ko kahun aur kuch na kahe, khair hui
gar bigar baithe to main layaq-e-ta'zir bhi tha

dekh kar gair ko kyun ho na kaleja thanda
nala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha

peshe main aib nahin, rakhiye na farhad ko nam
ham hi ashufta-saron main wo jawan 'Meer' bhi tha

ham the marne ko khare pas na aya na sahi
akhir us shaukh k tarkash main koi tir bhi tha

pakre jate hain farishton k likhe par nahak
admi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha

rekhta k tumhin ustad nahin ho "Ghalib"
kahte hain agle zamane main koi 'meer' bhi tha
 

hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle


hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle

dare kyun mera qatil kya rahega usaki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle

nikalna khuld se adam ka sunte aye hain lekin
bahut be-abaru hokar tere kuche se ham nikle

bharam khul jaye zalim tere qamat ki darazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle

magar likhwaye koi us ko khat to hamase likhawaye
hui subah aur ghar se kan par rakkhar qalam nikle

hui is daur mein mansub mujhse bada-ashmi
phir aya wo zamana jo jahan se jam-e-jam nikle

hui jinse tawaqqo khastagi ki dad pane ki
wo hamse bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam nikle

muhabbat mein nahi hai farq jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle

zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle

Khuda k waste parda na kabe se utha zalim
kahi aisa na ho yan bhi wahi kafir sanam nikle

kahan maikhane ka darwaza 'ghalib' aur kahan waiz
par itna jante hain kal wo jata tha k ham nikle

har ek bat pe kahte ho tum k tu kya hai


har ek bat pe kahte ho tum k tu kya hai
tumhin kaho k ye andaz-e-guftagu kya hai

na shole mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai

ye rashk hai k wo hota hai hamsukhan hamse
wagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya hai

chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamari jeb ko an hajat-e-rafu kya hai

jala hia jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab rakh justaju kya hai

ragon mein daurate phirne k ham nahi qayal
jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai

wo chiz jis k liye ham ko ho bahisht aziz
siwae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya hai

piyun sharab agar khum bhi dekh lun do char
ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hai

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye k arazu kya hai

bana hai shah ka musahib, phire hai itarata
wagarna shahar mein "ghalib" ki abaru kya hai

hairan hun dil ko roun k pitun jigar ko main


hairan hun dil ko roun k pitun jigar ko main
maqadur hun to sath rakhun nauhagar ko main

chora na rashk ne k tere ghar ka nam lun
har ek se puchta hun k jaun kidhar ko main

jana para raqib k dar par hazar bar
ai kash janta na teri rahguzar ko main

hai kya jo kas k bandhiye meri bala dare
kya janta nahi hun tumhari kamar ko main

lo wo bhi kahte hain k ye benang-o-nam hai
ye janta agar to lutata na ghar ko main

chalta hun thori dur har ik tez rau k sath
pahchanta nahi hun abhi rahbar ko main

khwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar
kya pujta hun us but-e-bedadagar ko main

phir bekhudi mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar
jata wagarna ek din apni khabar ko main

apne pe kar raha hun qiyas ahal-e-dahar ka
samjha hun dil pazir mata-e-hunar ko main

"ghalib" Khuda kare k sawar-e-samand-e-naz
dekhun ali bahadur-e-aliguhar ko main

hai bas k har ik un k ishare mein nishan aur


hai bas k har ik un k ishare mein nishan aur
karte hain muhabbat to guzarta hai guman aur

ya rab wo na samjhe hain na samajhenge meri bat
de aur dil un ko jo na de mujhko zuban aur

abaru se hai kya us nigah -e-naz ko paiband
hai tir muqarrar magar us ki hai kaman aur

tum shahar mein ho to hamein kya gam jab uthenge
le ayenge bazar se jakar dil-o-jan aur

har chand subukdast hue butshikni mein
ham hain to abhi rah mein hai sang-e-giran aur

hai khun-e-jigar josh mein dil khol k rota
hote kai jo dida-e-khunnabafishan aur

marta hun is awaz pe har chand sar ur jaye
jalad ko lekin wo kahe jaye k han aur

logon ko hai khurshid-e-jahan tab ka dhoka
har roz dikhata hun main ik dag-e-nihan aur

leta na agar dil tumhen deta koi dam chain
karta jo na marta koi din ah-o-fugan aur

pate nahi jab rah to char jate hain nale
rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur

hain aur bhi duniya mein sukhanawar bahut ache
kahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur

ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagair


ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagair
janega ab bhi tu na mera ghar kahe bagair

kahte hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
janun kisi k dil ki main kyunkar kahe bagair

kam us se a para hai k jisaka jahan mein
lewe na koi nam sitamagar kahe bagair

ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna ham
sar jaye ya rahe na rahen par kahe bagair

chorunga main na us but-e-kafir ka pujana
chore na khalq go mujhe kafir kahe bagair

maqsad hai naz-o-gamza wale guftagu mein kam
chalta nahi hai, dashna-o-khanjar kahe bagair

har chand ho mushahida-e-haq ki guftagu
banti nahi hai bada-o-sagar kahe bagair

bahra hun main to chahiye duna ho iltfat
sunta nahi hun bat muqarrar kahe bagair

"ghalib" na kar huzur mein tu bar-bar arz
zahir hai tera hal sab un par kahe bagair

gam-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane ki


gam-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane ki
falak ka dekhna taqrib tere yad ane ki

khulega kis tarah mazmun mere maktub ka yarab
qasam khai hai us kafir ne kagaz k jalane ki

lipatna paraniyan main shola-e-atish ka asan hai
wale mushkil hai hikmat dil main soz-e-gam chupane ki

unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh ana tha
uthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki

hamari sadagi thi iltafat-e-naz par marna
tera ana na tha zalim magar tamahid jane ki

laqad-kob-e-hawadis ka tahammul kar nahin sakti
meri taqat k zamin thi buton k naz uthane ki

kahun kya khubi-e-auzag-e-ibna-e-zaman "Ghalib"
badi ki usne jis se hamne ki thi barha ne ki

gair len mahfil mein bose jam k


gair len mahfil mein bose jam k
ham rahen yun tashnalab paigam k

khastagi ka tum se kya shikwa k ye
hathakande hain charkh-e-nili fam k

khat likhenge garche matlab kuch na ho
ham to ashiq hain tumhare nam k

rat pi zam-zam pe may aur subh-dam
dhoe dhabbe jama-e-ehram k

dil ko ankhon ne phansaya kya magar
ye bhi halqe hain tumhare dam k

shah k hai gusl-e-sehat ki khabar
dekhiye din kab phiren hammam k

ishq ne 'ghalib' nikamma kar diya
warna ham bhi adami the kam k

gai wo bat k ho guftagu to kyonkar ho


gai wo bat k ho guftagu to kyonkar ho
kahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar ho

hamare zahan main is fikr ka hai nam wisal
k gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar ho

adab hai aur yahi kashmakash to kya kije
haya hai aur yahi gomago to kyonkar ho

tumhin kaho k guzra sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar ho

uljhte ho tum agar dekhte ho aina
jo tum se shahar main ho ek do to kyonkar ho

jise nasib ho roz-e-siyah mera sa
wo shakhs din na kahe rat ko to kyonkar ho

hamain phir un se umid aur unhen hamari qadr
hamari bat hi puche na wo to kyonkar ho

galat na tha hamain khat par guman tasalli ka
na mane dida-e-didar ju to kyonkar ho

batao us misha ko dekhkar ho mujh ko qarar
yah nesh ho rag-e-jan main faro to kyonkar ho

mujhe junun nahin Galib wale baqaul-e-huzur
firaq-e-yar main taskin ho to kyonkar ho

ek ek qatre ka mujhe dena para hisab


ek ek qatre ka mujhe dena para hisab
khun-e-jigar wadiat-e-mishagan-e-yar tha

ab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazu
tora jo tu ne aina timsal dar tha

galiyon main meri nash ko khenche phiro k main
jan dad-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puch hal
har zarra misl-e-jauhar-e-teg abdar tha

kam jante the ham bhi gam-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gam-e-rozgar tha

dil se teri nigah jigar tak utar gai


dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai

shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai

wo bada-e-shabana ki saramastiyan kahan
uthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai

urti phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai

dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai

har bulahawas ne husn parasti shiar ki
ab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai

nazzare ne bhi kam kiya wan naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai

farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae k ham pe qayamat guzar gai

mara zamane ne 'Asadullah khan" tumhen
wo walwale kahan, wo jawani kidhar gai

Popular Posts