Sunday, June 27, 2010

Dil lagi thi usay humse mohabbat kab thi


Dil lagi thi usay humse mohabbat kab thi
mehfil-e-gair se unko fursat kab thi

hum thay mohabbat main lut janay ke qayal
us ke waadon main wo haqeqat kab thi

wo waqt guzari ke liye kerta tha pyar ki baatain
warna meri khatir uss ke dil main chahat kab thi

bohat roka lekin nikal aaye kam-bakhat anso
bazm-e-yaad main aanso bahanay ki ijaazat kab thi

khuda janey kis ki yaad main hua hai wo be-haal
werna mere ishq main uss ki aisi haalat kab thi!!!

Be sabab to nahin teri yaden


Be sabab to nahin teri yaden

Teri yadon se kya nahi seekha

Zabt ka husla barha lena

Ansuon ko kahin chupa lena

Kanpti dolti sadaon ko

chipki chadar se dhanp kr rakhna

Jab b ho baat koi takhi ki

Mozu-e-guftagu badal dena

Besabab to nahi teri yaden

Teri yadon se kya nahin seekha...

Har Baar Mujhe Zakham-e-Judai Na Dia Kar


Har Baar Mujhe Zakham-e-Judai Na Dia Kar..
Agar Mera Nahi Mujh Ko Dikhai Na Dia Kar..

Sach Jhoot Teri Ankh Se Hojata He Zahir,
Qasmey Na Utha Itni Safai Na Dia Kar,...

Maloom He Tu Rehta He Ab Mujh Se Gurezan,
Pas Aake Muhabbat Ki Duhai Na Dia Kar...

Ehsas Nahi Tujh Ko Agar Meri Tanhai Ka,
Aouron Ko Bhi Tu Dars-e-Bhalai Na Dia Kar...

Urh Jain To Phir Lout K Kab Aatain Hain,
Har Baar Parindon Ko Rehai Na Dia Kar..

Kal Halki Halki Barish thi


Kal Halki Halki Barish thi,
Kal Sard Hawa ka Ruqs Bhi Tha.

Kal Phool bhi Nikhray Nikhray Thay,
Kal Un Me Aap Ka Aks bhi Tha,

Kal Badal Kaalay Gehrey Thay,
Kal Chaand Pay Laakhoon Pehrey Thay.

Kuch Tukray Aap ki Yadoon Kay,
Bari Dair say Dil Me Thehray thay,

Kal Yaadain Uljhi Uljhi Theen,
Or Kal Tak Yeh Na Suljhi Theen,

Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay..
Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay

Main Ne Tumhein Aazad Kiya


Main Ne Tumhein Aazad Kiya !

Kuch Qasmon Se !

Kuch Waadon Se !

Kuch Aankhon Ki Barsaaton Se !

Jao Main Ne Tumhein Aazad Kiya !

Kuch Uljhey Suljhey Dhaagey They !

Kuch Kachey Pakkey Naatey They !

Un Naaton Mein Koi Apna Tha !

Us Se Apna Sa Ik Rishta Tha !

Us Rishtey Mein Ik Chaahat Thi !

Us Chaahat Se Tumhein Aazad Kiya !

Jao Main Ne Tumhein Aazad Kiya...

Zindagi mili zara si thi Kuch is me kami zara si thi


Zindagi mili zara si thi
Kuch is me kami zara si thi

Wo roz hota gaya pass mere
Lakin phir b doori zara si thi

Chand jagtey jagtey so b gaya
Raat abi beeti zara si thi

Qasoor chashm-e-awara ka ziada tha
Meri to marzi zara si thi

Muhabat bant di usne zamane me
Jo mere hisey me aayi "Zara Si Thi"

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya


Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak main meri hasthi mila kar gaya

Pyaas jiski sada mai bhujathi rahi
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya

Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar per chala kar gaya

Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya

Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaya

Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya

Aarzoo thi "Yaara" kisii ki mujhe,
Kwaab mere wahi to mita kar gaya

bicharney se zara pehley na sochna hergiz


bicharney se zara pehley
na sochna hergiz
na dena tool is lamhey ko
k bicharney ka aik hi lamha
aazab-e-dil-o-jaan k liye kafi hai
so agar tum faisala ker lo to
bicharney se zara pehley
na sochna hergiz
agar tum sochney baithey
to kahin aisa na ho
chasham-o-dil k toofan pe hum
qabu na rakh payein
bicharney se zara pehley hi hum
dunya se bichar jain

Mujhe Bhool Jao Tum Aab Yahi Kudha Ki Marzi Hai


Mujhe Bhool Jao Tum Aab Yahi Kudha Ki Marzi Hai
Wafa Na Kar Sake Toh Dosti Ka Pyaar Kafi Hai

Ek Pal Mein Bichad Jaane Se Achcha Doori Manzur Hai
Iss Dil Ke Khel Mein Roz Roz Marne Se Ek Pal Ki Judai Kafi Hai

Aur Nahi Aayenge Hum Aapke Raahon Main Ye Dard Is Kafi Hai
Dil Hi Dil Main Roye Aur Dard-E-Tanhai Iss Dil Mein Kafi Hai

Mujhe Bhool Jao Tum Aab Ye Kudrat Ki Marzi Hai
Meri Maut Ke Baad Meri Yaadein Na Sataye Tumen Ye Ehsaas Kafi Hai

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra


Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra

Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra


Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra

Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra

Vo chasm-e-mohabbat ka, Paimaana kya hua


Vo chasm-e-mohabbat ka, Paimaana kya hua
Hum Qatl bhi huye to, Ey Zamaana, kya hua ...

Har shab pe unka naam, Har shabnam unki
Na ho Junoon jisme, vo Deewaana kya hua ...

ba-wafa ya be-wafa , per hai saanso me basa
Judaa hoke bhi humse, vo Begaana kya hua ...

Is qadar ho Asar, Ishk ki Paakizagi ka Jaanaa.N
Na rok le do pal maut ko, vo Bahaana kya hua...

Guzar gaya Daur vo, Kasmo.N pe Aitbaar ka
Kar de na lahu ko sard, vo Aazmaana kya hua...

Zamany se suna tha k Mohabt har jati hai


Zamany se suna tha k Mohabt har jati hai
Jo chahat aik tarfa ho wo chahat haar jati hai

Kahin par dua ka 'Ik Lafz' b asar ker jata hai
Kahin barson ki Ebadat haar jati ha

Mohabt kb kisi ko dushmani ka dars deti hai
Mohabt ki bazi me adawat haar jati hai

Hamen kitny b shikwy hon teri jafaon k
Per tere samne har ek shikayat haar jati hai

Ek arzo si ha k tuje bhool jayein hum
Per teri yaad atey hi ye hasrat haar jati hai

Kabhi daman kabhi palkein bhigona kis ko kehtay hain


Kabhi daman kabhi palkein bhigona kis ko kehtay hain
Kisi mazlom se pocho k "RONA" kis ko kehty hain

Kbi meri jaga khud ko rakho "JAAN" jao gy
K duniya bhar k dukh dil me "SIMONA" kis ko kehty hain

Meri ankhon, mery chehry ko ik din "GHOR" se dekho
Mgr mat pochna "WERAN" hona kis ko kehty hain

Tmhara dil kbi pigly agr "GHUM" ki hasrat se
Tumhain malom ho jaey ga k "KHONA" kis ko kehty hain.

Chorr ke naa jana tum K Raasto ko mod ke aaya hun mein


Chorr ke naa jana tum
K Raasto ko mod ke aaya hun mein!
Jo Khali raha tere darr pe bhi daman mera..
Laut bhi naa paunga mein!
Todi hai kitni bandishen,
Uthe kitne hi sawaal,
Phir bhi hun mein tere shehar..
Bane aur bigre sainkro khayaal..
Tujhko bhi ab nibhana hai woh waada ,
k reh na jaye koi malaal .
Dekh le tuh meri sarfaroshi ko..
K teri chahat ko bhi azmane aaya hun mein !...
Chorr ke naa jana tum
K Raasto ko mod ke aaya hun mein!...

Hum he thehray saza waar or khata kuch b nahi


Hum he thehray saza waar or khata kuch b nahi
To kya samjhta ha tery baad huwa kuch b nahi

yaad jab aai teri yaad raha kuch b nahi
Dil ny bs aah bhari or kaha kuch b nahi

Waqt ki tarha ye sansen b rawan hain ab tak
Ek bas ashk thamy or ruka kuch b nahi

Haath sy haath chura kr gaey jb say tm
Me ne us waqt se in hathon se chua kuch b nahi

Kash to mujh se keh de achanak aa kr
K tery baad meray jeewan me bacha kuch b nahi

Aake dekho to Pardon pr kitne phool khil chuky hain


Aake dekho to,
Pardon pr kitne phool khil chuky hain

Hm ne gulab he gulab rakhy hain
tmhari rahguzar me

Aankh mehv-e-intezar ha
Zuban pe ism tmhara ha

Tumhain soch soch din guzara ha
Le Le k naam tmhara behkta ja raha hon

K aj to sawan ki pehli barish ha

Aajao lout kr,
Eisa na ho kahin k, sawan tham jaey

Aur ye dil mujasm-e-ghum ban jaey. 

usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e haal tha


usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e haal tha
woh jo us ki subah e urooj thi wohi mera waqt e zawal tha

Mera dard kesay woh janta meri baat kesay woh manta
Woh tou khud fana k safar mein tha usay rokna bhi muhal tha

Kahan jaou gay mujhay chor k mai yeh pooch pooch k thak gaya
Woh jawab mujh ko na day saka woh to khud srapa sawal tha

Woh jo us kay samnnay aa gaya wohi roshni mein naha gaya
Ajab us ki haibat e husn thi ajab us ka rang o jamal tha

Dam e wapsi usay kya huwa na woh roshni na woh tazgi
Woh sitara kesay bikher gaya woh to aap apni misal tha

Woh mila to sadioun k baad bhi merey lab pay koi gila na tha
Usay meri chup nay rula diya jisay guftagu mein kamal tha

Mere saath lag k woh rou diya mujhay faqat itna woh keh saka
Jisay janta tha mai zindagi woh to sirf wehm o khayal tha

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein


Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Aur na Pa ke Mujhey
Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi imtehaan  hai Mera
Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein
Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein
Haath us ney Mera Thama Ho ga
Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

Mere dil ki raakh kuraid mutt issay muskura ke hawa na de


Mere dil ki raakh kuraid mutt
issay muskura ke hawa na de
yeh chirage phir bhi chirage hain
kahin tera haath jala na dain.
Naye doar ke naye khawab hain
naye mausamoon ke ghulab hain
ye mohabatoon ke chirage hain
inhain nafratoon ki hawa na de...

Zara dekh chand ki pattiyon ne
bikher bikher ke tamam shab
tera naam likha hai rait per
koi lehar aa ke mita na de...

Younhi dil lagane ke showk main
kai loog jan se guzar gaye
tera naak naksha hai moom ka
kahin ghaam ki aag ghoola na de...

Yahan loog rehte hain raat din
kisi maslehat ke nikaab main
teri nigah ki sadigi kahin
tere dil ke raaz bata na de...

Main ghazal ki shabnami aankh se
yeh dukhoon ke phool choona karoon
meri saltanat mera fun rahe
mujhe taaj-o-takht khuda na de..

Usay Panay Ki Khwoish Bertey Chaly Gay


Usay Panay Ki Khwoish Bertey Chaly Gay
Woh Inkar Pay Inkar Kartey Chaly Gay

Mohabat Ka Yeh Tareeqa Anokha Hi Sahi
Mein Us Say Pyar Woh Mujh Say Nafrat Karty Chaly Gay

Tooti Hoi Door Say Udata Raha Patang
Phir Bhi Mohabat Ki Woh Patang Udti Chaly Gay

Phool Ban Kay Woh Meri Zindagi Mein Aye
Khushboo Ban Kay Woh Meri Zindagi Say Chaly Gay

Dil Mein Basa Kay Rakh Loon Mein Tujahy Oh Meray Yara
Par Nafrat Teri Dil Barty Chaly Gay

Dil Tujhay Yaad Kar Kay Roota Hai Is Tarah
Teri Dooli Meray Aankhoon Kay Samanay Chali Gay...

Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai


Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
Hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai
.
Banaye thy tamsha zindagi ko es tarh
Ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai

Koi en andhero main meri dil ki shmma jala de
Hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai
.
Hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya
Sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai
.
Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
Dil ko bhlane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main
Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain
Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai
In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai...

 

Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo


Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do
Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do

Pyar koi bol nahin, pyar awaz nahin
Ek khamoshi hai, sunti hai kaha karti hai
Na yeh bujhti hai, na rukti hai, na thehri hai kahin
Noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai
Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do

Muskurahat se khili rehti hia aankhon mein kahin
Aur palkon pe ujale se ruke rehte hain
Honth kuch kehte nahin, kaanpte honthon pe mager
Kitne khamosh se afsane ruke rehte hain
Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do
Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do

tughe paane ki is liye zid nahi karte


tughe paane ki is liye zid nahi karte
keh tughe khone ko dil nahi karta

tu milta hai to is liye nazre nahi uthate
keh phir nazren hatane ko dil nahi karta

dil ki baat is liye tugh se nahi kehte
keh aapna dil dukhane ko dil nahi karta

khwabon mein is liye tugh ko nahi sajate
ke phir neend se jagne ko dil nahi karta...

Hum se mat poch rastay gher ke


Hum se mat poch rastay gher ke
hum musafer hain zindage bher ke

koon suraaj ke aankh se din bher
zakham ginta hai shab ki chader ke

sulah ker le yeh soch ker main ne
mere dushman na the baraber ke

kudh se khemay jala diye main ne
hoslay diekhna the lashker ke

yeh sitaray yeh tottay motti!
aats hain maray didahay ter ke

gerjanoo muslehat na aapnaye
saray rishtay bohat hain phater ke

hum bhi chuntay the sipiyan akser
hum bhi maqrooz hain samander ke

aankh ke gird matami halqay
saye jessay jalay huwe gher ke

dostoon ki zuban tu khulnay do
bhool jaoo ge zakham khanjer ke

chand bhi zerd per gaya aakher
ujray aangan main roshni ker ke

aankh nam bhi karo to bas itni
rang pheekay parain na manzer ke.

Ahal-e-dil yon bhi nibha letay hain


Ahal-e-dil yon bhi nibha letay hain
dard senay main chupa letay hain

dil ki mehfil main ujalon ke liye
yaad ki shama jala letay hain

jaltay mosam main bhi ye deewane
kuch haseen phool khila letay hain

apni aankhon ko bana kar ye zuban
kitnay afsaane suna letay hain

jin ko jeena hai muhabbat ke liye
apni hasti ko mita letay hain

tum Ko Kiya Pata Jana Tum Ko Kiya Pata


tum Ko Kiya Pata Jana
Tum Ko Kiya Pata Jugnoo,,

Kay Roag Kaisay Hotay Hain.
Jab Judaie Kay Moasam Rooh Ko Jhilhstay Hain
Zakhm Narsaie Kay Dill Ko Cheer Jatay Hain

Khwab Jo Shara Hain,
Dill Main Basnay Walay Hi.
In Ko Tor Jatay Hain.

Piyar Rog Hai Dill Ka
Phir Bhi Janay

Dill Ko Rog Yeh Lig Lagatay Hain
Ibh Bhi Raat Ko Jana

Sar Phiri Havaien
Jabh Dar Ko Khatkhtati Hain

Dill Dharknay Lagta Hai
Khwahshaien Machlnay Lagti Hain

Or Yeh Dill Kahta Hai
Moojh Say Milnay Aiey Ho Aa Kay Yeh Kaho Gay

Tum Maray Bin Adhooray Ho
Or Jabh Dreechay Say Ja Lagti Hoon
Tum Kahain Nahi Hotay Or Dill Yeh Kahta Hai

Tum Ko Kiya Khaber Janan
Roag Kaisay Hotay Hain
Kitna Yeh Roolatay Hain

Ajab hijr parasti thi uski fitrat mein


Ajab hijr parasti thi uski fitrat mein
Shajr k tooty patty talah krta tha

Tmam rat wo pardy hata k chand k sath
Jo kho gaey thy wo lamhy alash krta tha

Duain krta tha ujry huey mazaron pr,
Bary ajab sahary talash krta tha,

Mujy to aj bataya ha badlon ne
Wo lot aney k rasty talash krta tha.

Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai


Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho To Muhabbat Main Magan Kaisi Hai

qarar sham o sehar dil mai hai fuzoo'n uska


qarar sham o sehar dil mai hai fuzoo'n uska
gila karoo'n bhi to kaise gila karoon uska

kisey kahoo'n meri rag rag mai hai tarhap uski
suku'n se bethhne daita naheen junoo'n uska

yahi hai haasil e hasti yahi tamanna hai
mera rahey na rahey mai magar rahoo'n uska

na apne aish o tarab ki khabar na apna pata
boht aziz hai lekin mujhe sukoo'n uska

jaha'n jaha'n bhi gaye uski yaad sath rahi
lahoo se silsila qayam raha hai you'n uska

mai isliye usey milne se hich-kichata hoo'n
k apni jaan pe mai bhi sitam sahoo'n uska

jo ho ata mujhey lafzo'n pe dastaras
ghazal k rang mai harr ang rang loo'n uska

Haath chhoote bhi to rishte nahin chhodaa karte



Haath chhoote bhi to rishte nahin chhodaa karte
waqt kii shaakh se lamhe nahin todaa karte

jis kii aavaaz mein silvat ho nigaahon men shikan
aisi tasveer ke tukde nahin jodaa karte

shahad jeene ka mila karta hai thodaa thodaa
jaane vaalon ke liye dil nahin thodaa karte

lag ke saahil se jo bahtaa hai use bahne do
aisi dariya ka kabhi rukh nahin modaa karate

Jab kbi chahy andheron mein ujaly usny


Jab kbi chahy andheron mein ujaly usny
Kar diya ghar mera sholon k hawaly usny

Us pe khul jati mery shoq ki shidat sari
Deikhy hoty jo mery paoon k chalay usny

Jiska har aib zamany sy chupaya maine
Mere qissay sar-e-bazar uchalay usny

Jab usay meri Mohabbat par bharosa hi na tha
Kyun diyee logon ko meri wafaon k hawaly usny

Aik mera haath he na thama usny warna
Girtay huway kitnay he sambhalay usny

Agar mai had se guzar jaon to mujhe maaf kar daina


Agar mai had se guzar jaon to mujhe maaf kar daina,
Tere Dil mai utar jaon to mujhe maaf kar daina,

Yunhi ghussay mai aa k danth daina to meri aadat hai,
Agar mai aysa kar jaon to mujhe maaf kar daina,

Raste mai tujhe dekh kar teri deed ki khatir,
Pal bhar jo tehar jaon to mujhe maaf kar daina,

Apne jazbat se likhi howe yeh shokh tehreer,
Tere naam jo kar jaon to mujhe maaf kar daina,

Teri pal bhar ki judai mujhe jenay nahi deti,
Tere bin jo mar jaon to mujhe maaf kar daina.

is tarah us se gufttugu karta aaina us ke rubaroo karta


is tarah us se gufttugu karta
aaina us ke rubaroo karta

mujh ko apni hi aarzoo na rahi
aur kya tark e aarzoo karta

hur qadam per ulajh ke kaanton se
apne daaman ko kya rafoo karta

mujh ko maloom tha woh mera nahi
kis liye us ki justujoo karta

kaash aata woh pal ibadat mein
dil mera sirf "tu hi tu" karta

woh jo mil jata aik baar mujhe
apni chahat ko sarkhuroo karta

haal e dil us ko sunata ""
woh agar mujh se guftugoo karta...

Suno Tum Kuch Nahi Kahna


Suno Tum Kuch Nahi Kahna,
Yahan Koi Nahi Sunta

Ya Dasht-o-Sahra Ke Matti

Yahan Koi Phool Nahi Chunta,
Suno Tum Bass, Sabar Ker laina

Un Saray Ghamon Per,
Yahan K Loag Aesay Han

Unhay Kise Ka Dukh Nahi Dikhta

Suno Jab Bohat Toot Jaoo Tu,
Tum Kuch Dair Ro Lena

Yahe Dastoor-e-Duniya Hay

kah Yahan Per Dil Nahi Miltay


Wafa K phool Nahi Khiltay

Sunoo Ab Bhi Sambhal Jaoo,
jo Tum Say Door Hay dil say

Ausay Abb Yaad Maat Kerna

bussss khud ko ghameen nahi karna

Suno Tum Kuch Nahi Kehna

Yahan Koi Nahi Sunta..!!

pyar ban kar dil mein samao to koi baat bhi ho


jo na tootne paye umar bhar ke liye koi aesa
rishta tum banao to koi baat bhi ho

jo rag e jaan mein mehak utthay mashoor kar de
tum aisa gul e muhabat khilao to koi baat bhi ho

dars e insaniyat daine walo kisi bhatakey huae ko tum
gar raasta manzil ka dikhao to koi baat bhi ho

milte ho bichharte ho phir milne ki aas dilate ho
ab umar bhar ke liye saath nibhao to koi baat bhi ho

mein udas baithi hoon aur kisi sham aa kar tum
mere soone ghar ko sajao to koi baat bhi ho

jo andheron mein roshani e umeed bikhare
tum kash aese diye jalao to koi baat bhi ho:...

Mein Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya


Mein Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya,
Har Fikar Ko Dhoowein Mein Urata Chala Gaya,

Barbadiyon Ka Sog Manana Fazool Tha,
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya,

Jo Mil Gaya Usi Ko Ghaneemat Samajh Liya,
Jo Kho Gaya Mein Uss Ko Bhulata Chala Gaya,

Gham Aur Khushi Mein Faraq Na Mehsoos Ho Jahan,
Mein Dil Ko Uss Muqaam Pe Laata Chala Gaya,

Mein Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya,
Har Fiker Ko Dhowein Mein Urata Chala Gaya,

Zindagi Aab Bewafa Si Lagti Hai

Zindagi Aab Bewafa Si Lgti Hai
Pass reh ker Juda si lagti hai


Mein Tumhare Beghair Bhi Jee Loon Ga
Ye Dua Bud-Dua si Lagti Hai

Naam Is ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai

Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai

PYAAR Karna Bhi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA khafa Si Lagti Hai

chaand ko sitaron se aur mujhe tum se muhabbat hai


chaand ko sitaron se aur mujhe tum se muhabbat hai
phoolon ko baharon se aur mujhe tum se muhabbat hai

mehfil mai jo milna to nigaahon ko jhuka lena
koi yeh samajh na paye ke mujhe tum se muhabbat hai

tere hijer mai bas abh aik kaam hai asmaan tukna
tum sitaron par likh dena mujhe tum se muhabbat hai

hai humain ahsaas k tum ko bhi hum se payar hai lekin
yeh mere ru ba ru kehna ke mujhe tum se muhabbat hai

Palke chamak uthi hain neend me hamari


Palke chamak uthi hain neend me hamari,
aankho ko abhi khwab chhupane nahi aate..

ye na samajhna ki tumhe bhool gaye hum,
bas baat shuru karne ke bahaane nahi aate..

Aa to jati hai Qadmo me saari duniya magar,
Laut kar kabhi phir se guzre zamaane nahi aate..

Mehfil me sabhi sochte hain ki ise gam nahi koi,
Hum pee jate hain AshQ kisi ko dikhaane nahi aate..

Jo Dil me hai mere wahi baat zubaan par hogi,
Hume bayaan karne bas ye Fasaane nahi aate..

Phoolon sey achi us ki khushboo


Phoolon sey achi us ki khushboo,
Kaliyon sey pyaari us ki muskaan,
Sitaron sey chamakta hua chehra,
Koyal si meethi zabaan,
Chand bhi chup jaye yeh keh kar,
Aasmaan par ab kya hai mera kaam,
Chandni to aa nikli zameen sey,
kaisi hai yeh kudrat ki shaan,
Fursat sey banaya hoga rab ney,
Farishton ka nahin yeh kaam,
Mitti sey baney hain hum sab,
Us mein sonay ko milaya hoga,
Hooron ney bhi hasrat sey dekha hoga,
Pariyon sey sundar yeh insaan,
Alfaaz bhi kum partey hain kehney ko...
AISI HAI WHO................

main mohobat hon mujay pyar kar kay dakh.

main keetab hoon mujhe per kar dakh.
main samj na aon tu khna.

main muskorahat hoon mujhe has kar dakh.
main na sajon taray hontoo per tu khna.

main kushboo hon mujhe mahsos kar kay dakh.
na mahkoon tare zindagiii may tu khna.

main zindagii hoon mujhe apna kar kay dakh.
na bano tare tu khna.

main chahat hoon mujhe seenay say laga kar dakh.
na lagoon seenay say tu khna.

main dil hoon mujhe sun kar dakh.
na darkoon taray dil may tu khna.

main sans hoon mujhe may mehak kar dakh.
na taray sang mehakoon tu khna.

main rha hoon mujhe per chal kar dakh
na tare rah ban kar chaloon tu khna.

main manzeel hoon mujhe per a kar dakh.
na taer manzeel bano tu khna.

main badal hoon mujhe may hella ho kar dakh.
bars kar jal thal na kar doon tu khna.

main shama hoon maray pass a kar dakh.
na roshni don tu khna.

main kalee hoon mujhe choo kar dakh.
na phool doon tu khna.

main phool hoon mujhe laga kar dakh.
na mahkoon din rat tu khna
 

Suna Tha Waqt Marham Hai,Her Zakham Bhula Deta Hai


Suna Tha Waqt Marham Hai,Her Zakham Bhula Deta Hai
Her Guzra Lamha Hum Ko To,Ek Zakham Naya Deta Hai.

Raat Ki Rani Hai Yaa Teri Yaadoon Ki Khushboo
Kuch To Hai,Jo Aangan Mere Ehsaas Ka Mehka Deta Hai.

Ger Terey Khayaalon Mein Kho Kar,Neend Aah Bhi Jaye
Ah Ker Khawaboon Mein,Tera Tassawur,Hum Ko Jaga Deta Hai.

Khush Hote Hain Tassawur Mein Tumain Qareeb Dekh Kar
Shayed Mil Na Paye Hum,Yeh Khadsha Sehma Deta Hai.

Dil Bahot Nazuk Hai,Ghum Se Bhar na Aaye Kiyuo
Pather Pe Chott Lage To Woh Bhi Saza Deta Hai.

Dushman Hai Zamana Mohabbat Karne Walun Ka Azal Se
In Dooriyoon, Judaiyoon Ka Ehsaas Rula Deta Hai.

masrofeat se khud ko rehaye diya karo


masrofeat se khud ko rehaye dea kro!!
tum shehar mai raho tou dekhai dea kro!

kerta rahay tmhen talash der bader koi
bss tum to ranj abbla paye dea kro!!

ger tum sakoot ho to raho mesl e sham e ghum
awaaz ho to hm ko sunaye dea kro

acha nahi ye lafz tmhari zaban pr
lafz wafa ke tum na duhaye dea kro

jao to phr khaber b kbhi hmsafar ke lo
tum na koi zakhm e judai dea kro

tum hum se bolo gay kitna jhoot
her jhott pr na apni safai dea kro!

karay safaar main ager rasta badalna tha


karay safaar main ager rasta badalna tha!
to abteda main mere sath he na chalna tah!

kuch is ley bhi tou suraaj may pe utra hai
pahareon per jammi barf ko peghalna tha

uter k dil main lahoo zaher kr gaya akhir!
woh sanp jisko meri aasten amin palna tha!!

ye kiya k tehmateen atesh e feshan k ser aain?
zameen ko youn bhi kabhi khazana ogalna tah

main laghzeshon se itay rastoon pe chal nekla
tujhi ganwa k mujhi phir kahan sambhalna tah

esi ko subh e musafaat ne chor kr dala
wo aaftab jisay dupaher main dhalna tha

ajeeb naseeb tah Mohsin k bad e marg mujhi
charagh bun kr khud apni lahad pr jalna tah!

naa tum bewafaa ho, naa hum bewafaa hain


naa tum bewafaa ho, naa hum bewafaa hain
magar kyaa kare, apanee raahe judaa hai
jahaa thhandee thhandee hawaa chal rahee hai
kisee kee mohabbat wahaa jal rahee hai
zamee aasamaan hum se dono khafa hai
abhee kal talak to mohabbat jawaan thee
milan hee milan thaa, judaayee kahaa thee
magar aaj dono hee beaasaraa hai
zamaanaa kahe meree raahon mein aa jaa
mohabbat kahe meree baahon mein aa jaa
wo samajhe naa majabooreeyaan apanee kyaa hai

Ghairo pe karam apno pe sitam


Ghairo pe karam apno pe sitam
eh jaan-e-wafa ye zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham bhi the tere manzoor-e-nazar
dil chaaha to ab iqraar na kar
Sau teer chala seene pe magar
begaano se milkar vaar na kar
Be-maut kahi mar jaaye na ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham chaahne waale hain tere
yu hamko jalaana thheek nahi
Mehfil mein tamaasha ban jaaye
is darja sataana thheek nahi
Mar jaayenge ham, mit jaayenge ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...

iss sham woh ruksaat ka samaa yaad rahega


iss sham woh ruksaat ka samaa yaad rahega!
woh shehar,woh kocha,woh makkan yaad rahega!

woh thees k ubhri thi idhar yaad rahegi!
woh dard k utha tha idhar yaad rahega!

Hum shook k sholay ke lapaak bhol bhi jayeen!
woh shama fersada ka dhuwaan yaad rahega!

hum Bhool sakeen hain na tmhen bhool sakheen gay!
tu yaad rahega humin han yaad rahega!

chahat main kiya dunya dari ishq main kaisi majbori


chahat main kiya dunya dari ishq main kaisi majbori
logoon ka kiya,samjhane do,un ke apni majbori!!

main ne dil ki baat rakhi aur tu ne dunya waloon ke!
meri aarz bhi majbori thi,unka hukm bhi majbori!

rook sakoo tou pehli barish ke bondoo ko tm roko!
kachi metti to mehkay gi ,hy matti ke ye majbori!

jub tk hansta gatta mosaam hy,sb apne hain
waqt paray tou yaad aa jatti hy masnooe majbori!!

ek awara badal se Q main ne saya manga tha,
meri bhi ye nadani thi osski bhi ye majbori!

zat kaday main pehron bateen,aur meleen to mehar bulb
mukhtari c mukhtari hy,majbori c majbori!

mudaar guzri ek waday per aaj bhi qayeem hy Mohsin!
hum ne sari umar nebhai apni pehli majbori!

Raha gardisho me har dum Mere ishq ka sitara


Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara
Kabhi dagmagai kashti
Kabhi kho gaya kinara
Koi dil ke khel dhikhaye
Koi mohabbat ki baazi
Wo kadam kadam pe jeete
Main kadam kadam par haara
Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara
Ye hamari badnaseebi jo nahi tu aur kya hai
ke usi ke ho gaye ham jo hua na hamara
Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara...
Padte jab ghamo se palle
Rahe meet ke meete wale
Jise maut ne na poocha
Use zindagi ne mara...
Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara
Kabhi dagmagai kashti
Kabhi kho gaya kinara...

muhabbat tak rasaa’ii chaahtaa huuN


muhabbat tak rasaa’ii chaahtaa huuN
maiN kab saarii Khudaa’ii chaahtaa huuN

Khushii bhii mujhko raas aatii nahiiN hai
GhamoN se bhii rihaa’ii chaahtaa huuN

KhizaaN meN shaaKh se gul jaise bikhre
maiN yuuN tujh se judaa’ii chaahtaa huuN

mere hoNToN pe kaliyaaN khil uThthii haiN
maiN phir shoalaa-navaa’ ii chaahtaa huuN

gaNvaa baiThaa huuN sab kuch phir bhii “Sahil”
vahii farmaaN-ravaa’ ii chaahtaa huuN

dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se


dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se
chehare tamaam lagane lage hai.n ajiib se

is re.ngatii hayaat kaa kab tak uThaaye.n baar
biimaar ab ulajhane lage hai.n tabiib se

har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal kii raah milatii hai kuu-e-habiib se

is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko_ii nibaah rahaa ho raqiib se

ai ruuh-e-asar jaag kahaa.N so rahii hai tuu
aavaaz de rahe hai.n payambar saliib se

ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n


ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n
ek ham hii nahii.n duniyaa se Khafaa aur bhii hai.n

kyaa huaa gar mere yaaro.n kii zabaane.n chup hai.n
mere shaahid mere yaaro.n ke sivaa aur bhii hai.n

ham pe hii Khatm nahii.n maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhii hai chaak-e-qabaa aur bhii hai.n

sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat kii kamii
jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii hai.n

munsif-e-shahar kii vahadat pe na harf aa jaaye
log kahate hai.n ke arabaab-e-jafaa aur bhii hai.n

bechain bahut phiranaa ghabaraaye hue rahanaa


bechain bahut phiranaa ghabaraaye hue rahanaa
ik aag sii jazabo.n kii bahakaaye hue rahanaa

chhalakaaye hue chalanaa Khushbuu-e-begaanii kii
ik baaG saa thaa apanaa mahakaaye hue rahanaa

is husn kaa shevaa hai, jab ishq nazar aaye
parde me.n chale jaanaa, sharmaaye hue rahanaa

ik shaam sii kar rakhanaa kaajal ke karishame se
ik chaa.Nd saa aa.Nkho.n me.n chamakaaye hue rahanaa

aadat hii banaa lii hai tum ne to "Munir" apanii
jis shahar me.n bhii rahanaa uktaaye hue rahanaa

Dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gay



dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya
mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya

judaion k zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind a gai mujhe bhi sabr a gaya

ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aine main dekhta hun main kahan chala gaya

pukarti hain fursaten kahan gai wo sohbaten
zamin nigal gai unhen ya asman kha gaya

wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya

ye kis khushi ki ret par gamon ko nind a gai
wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya

gaye dinon ki lash par pare rahoge kab talak
utho amalkasho utho k afatab sar pe a gaya

Popular Posts