Tuesday, August 3, 2010

youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood


youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood
tumharay sath kay rangon mein kuch is trah rangay,
keh jaisay raat mein phailay sagar ki koi tarpti lehar,
haseen chand ki narm roshni mein behakay

youn loat aao keh ek baar phir say mera ehsas,
tumharay sath kay naghmon kay sahar mein doobay
keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya howa saaz
apnay suroon kay jaltarang say khud hi lehkay


youn loat aao keh ek baar phir say mera jeevan
tumahary sath ki narm loa say yun chamakay
keh jaisay khoi hoi titli kay udass jeevan mein
kahin say aas ka ek jugno sitara sa chamkay


yuon loat aao keh ek baar phir huma kay rang
tumharay sath kay haseen paloon say yun munawar hoon,
keh jaisay sham kay aasman pay phaili hoi shafaq
zameen O aftab kay milan say sharma kar damkay

yaad phir mujh ko wo aanay laga



yaad phir mujh ko wo aanay laga
jis ki her baat mehaz khushboo hay

aap say tum,tum say phir tu kehna
baat hi baat main dil ki aarzoo kehna

meray ihsas pay cha gya hay yun
mujh ko deewana bana gya hay yun

her taraf uska aks hay ab to
jaisay mujh main saman gya hay wo

uski sergoshiyan hain chaaron taraf
aur kuch sunnay ko hay na kehnay ko

jab sawan main tanha bheego gay



jab sawan main tanha bheego gay
jab angan khalee pao gay

jab sahil say takrati lehron main
apni tanhae main kho jao gay

jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao gay

jab khud say batain kartay kartay
tum door kahin kho jao gay

jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao gay

"main tum say mohabat karti hoon"
har baar yay sunna chaho gay

in sab lamhon main jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao gay......

tum yeahi kehna joo hum ne batayaa hai


tum yeahi kehna joo hum ne batayaa hai
joo seekha nahi hum ne woo tum koo seekhaayaa hai
aik khawab kay sadkay mein hum war gay tum koo
hum jeet gay lakin haan haar gay tum koo
aiss jeet nay badlay mein khud koo haarayaa hai
tum yeahi kehnaa joo humnay bataaya hai
aab moond naa loo aahkhain
coop chaap naa soo jaoo
hum dhoodnaay aay thay tum millkay naa khoo janaa
aiss dhoondtay rehnay mein sub kuch too ganwaayaa hai
tum yeahi kehnaa
joo hum ne seekhaaya hai

Tujhey Khabar Bhe Nahi Keh Teri Udas Adhori Mohabtoon ki Kahani


Tujhey Khabar Bhe Nahi
Keh Teri Udas Adhori
Mohabtoon ki Kahani
Jo BaRi Kshadah Dilli Say
Hans Hans Kay Sun Raha Thah
Woh Shakhs Teri Sadaqtoon Per Fariftah
Bawafa Sabat Qadam
Keh Jis Ki JabeeN Peh
Zalim RaqabtoN Ki Jalan Say
Koi Shakan Nah Aai
Woh Zabt Ki Karbnak Shiddat Say
Dil He Dil Main
Khamosh,Chup Chap
Mar Giya Hae ...!

lab-e Khaamosh se afshaa hoga



lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
raaz har rang me.n rusvaa hogaa

dil ke saharaa me.n chalii sard havaa
abr gul_zaar pe barasaa hogaa

tum nahii.n the to sar-e-baam-e-Khayaal
yaad kaa ko_ii sitaaraa hogaa

kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
ko_ii tum se bhii hasii.n kyaa hogaa

ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
duur baiThoge to charchaa hogaa

zulmat-e-shab me.n bhii sharmaate ho
dard chamakegaa to phir kyaa hogaa

jis bhii fan_kaar kaa shaahakaar ho tum
us ne sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa

kis qadar karb se chaTakii hai kalii
shaaKh se gul ko_ii TuuTaa hogaa

umr bhar roye faqat is dhun me.n
raat biitii to ujaalaa hogaa

saarii duniyaa hame.n pahachaanatii hai
ko_ii ham-saa bhii na tanhaa hogaa 

Popular Posts