Judayi Denewale TuMse UMMid-E-Wafa Kaisi,
Ta'aluq Toot Jaye Jab,
Mohabbat Ruth Jaye Jab,
To Phir RasM-E-Dua Kaisi,
Milan Ki Iltije Kaisi,
Bhanwar Mein Dolti Kashti Pe Sahil Ki TaManna Kya,
Ukhadte Saans Hon To Zindagi Ki Aarzu Bhi Kya,
Jo Manzil Kho Chuki Ho Uski Phir Se Justuju Bhi Kyon,
Magar Dilne TuMhe Kis Waste Se Yaad Rakha Hia,
TuMhe Kyon Shayri Mein Aaj Tak Aabad Rakha Hia,
Abhi Tak Maine Kyon Khudko Bahut Barbaad Rakha Hai,
Hawa Ke Dosh Par Kyon NagMa-E-Fariyaad Rakha Hia,
Judayi Denewale Aashnayi Ki KasaM TuMko,
TuMhari Bewafayi, Kaj Adayi Ki QasaM TuMko,
Mujhe Itna Bata Dena,
Wafa Ki Chahaton Ki Mashalein Kaise Bujhate Hai,
Nishaan Kaise Mitate Hai,
Bhulana Ho Jinhein Unko Bhala Kaise Bhulate Hai...