Friday, May 7, 2010

main sunaa rahaa tha

ye larki to phool se

mohabbat tehar jati hai

main ne pocha kaise hoo

hum iss per kuch nahi likhein gay

Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein

Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hein

Kisi ne ankh bhi kholi to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banane mein zamane beet jate hein

Kabhi kali seyah raatein humein pal pal ki lagti hein
Kabhi ik pal bitane mein zamane beet jate hein

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein

Ik ik pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein

Rait pe likh ker naam mera mitaya na kero



Rait pe likh ker naam mera mitaya na kero 

Ankhain sach bolti hein pyar chupaya na kero 



Log har baat ka afsana bana lete hein 

Sab ko halaat ki rawadad sunaya na kero 



Yeh zaroori nahin her shakhs maseeha hi ho 

Pyar ke zakham amanat hein dikhaya na kero 



Shahera-e-ehsaas mein patheraoo buhat hai mohsan 

Dil k sheshay ko jharokoon mein sajjaya na kero 

Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai

Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai …

Jo Zindagi Me Kabhi Bhi Mera Ho Na Paya
Ab Us Ka Khwaab Me Aana Ajeeb Lagta Hai …

Bade Khuloos Se Dawat To Us Ne Bheji Hai
Par Us Ki Mehfil Mai Jana Ajeeb Lagta Hai…

Tha Jis Ka Haath Hamesha Hamare Haathoo Me
Ab Us Se Haath Milana Ajeeb Lagta Hai

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judai mangtay rehna

Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudai maangtay rehna

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsai mangtay rehna

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaa…ni main zara si bewafai mangtay rehna

Khatam Hoga Zindagi Ka Yeh Safar Dekh Lena

Khatam Hoga Zindagi Ka Yeh Safar Dekh Lena,
Tanha Chalay Jayeingay Hum Dekh Lena,

Zindagi Mein Nahi Koi Mukam Apna,
Bad Marnay K Hogi Kadar Dekha Lena,

Mujhe Ab KOi Kali BHi Nahi Deta PAr,
Phoolon Se Mehkay Gi Kabar Meri Dekh Lena,

Tanha Hi Zindagi Mein Chal Rahi Hoon,
Janazay Mein Hogi Sara Shehr Dekh Lena,

Jo Ab Halat Pe Tum Muskuratay Ho,
Pereshan Hongay Inke Chere Dekh Lena,

Hawaa Se Baal Unke Rukhsaaron Pe Hilte Hain Jab.

Hawaa Se Baal Unke Rukhsaaron Pe Hilte Hain Jab.
Mat Puchho Kitne Aashiqon Ke Dil Dhadakte Hai Tab.

Utar Jaate Hai Khil Khilate Phoolon Ke Munh Us Waqt… See more
Chhan Chhan Karake Woh Baaghon Se Guzarte Hain Jab.

Fiza Main Bhi Ghul Si Jaati Hai Ik Ajeeb Si Khusboo
Woh Apne Mahekte Hue Duppatte Ko Lahraate Hain Jab.

Har Dekhne Waala Yun Hi Apne Dil Ko Tham Leta Hai
Woh Is Qadar Pyaar Bhari Ada Se Muskurate Hai Jab.

ye aarzu hai ki jab bhi gale lagaun use

ye aarzu hai ki jab bhi gale lagaun use
hisaar-e-zaat se bahar nikal laun use

wo jal raha tha kadi dhoop ki tamazat men
mila jo ab to odha dunga apni chhanv use

ye ishq bhi hai ajab imtihan-e-ahad-e-wafa
wo azmaye mujhe aur main azmaun use

wo apne khwab men shayad mujhi ko dekhta ho
main tashnalab sahi sote men kya jagaun use

wafa k waday woo saray bhula gaiya chup chap


"wafa k waday woo saray bhula gaiya chup chap 
woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap

gham e hiyaat kay taptay howay biyanban main 
wo tanha choor kay mujh ko chala giya chup chap

na jannay kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo gum ki aag mai mujh ko jala gaiya chup chap

mai jis ko chuti houn eshrat woo zakhm daita hey 
woo phool aisay chaman mai khila gaiya chup chap

wafa k waday woo saray bhula gaiya chup chap
woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap

Sitam JAGTE hain, KARAM So Rahe hain

Sitam JAGTE hain, KARAM So Rahe hain
Mohabat k JAH-O-HASHAM so rahe hain

Mery NUKTA SAZO ! Sukhan k KHUDAOO!
Pukaro…! K LOH-O-QALAM so rahe hain

Her ik ZEHAN mein hai KHUDAAI ka Daawa
Her ik Aasteen mein SANAM so rahe hain

Yahan Khawab-E- Rahat Faraib-e-Yaqeen hai
Na TUM so rahe ho na HUM so rahe hain

Wahan Chandni k Qadam Dolte hain
Jahan tere Naqsh-E-Qadam so rahe hain


Takhayyul mein hain Gieso’oon k Ba’haane
Nigahon mein “RANGEEN BHARAM” So rahe hain

Meri Ujjdi Ujjdi See Aankhon mein “SAGAR”
Zamany k RANG-O-Alam so rahe hai

Koi tumse pooche kaun hoon main



Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
 jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
 Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
 Shakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
  Yoon toh uske na hone ka kuch gham nahi,
 Par kabhi-kabhi aankho se ansoo ban ke beh jaata hai.

 Yoon rehta toh mere tassavur mein hai,
 Par in aankhoon ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
 Tum keh dena koi khaas nahi……..

Ae chand sunoo, Kuch baat karoo

Ae chand sunoo,
Kuch baat karoo,
Teri baat chale,
Meri raat kate,
Baat karoo us basti ki,
Badal barish or masti ki,
Ya baat karo us bandhan ki,
Payal chori aur kangan ki,
Ya baat karo un sapno ki,
Jinhe tum bhi socha karty ho,
Khuwabo main dekha karty ho,
Ya baat karo ,
Hawa mein urtay anchal ki,
Jo jab lehraye kuch yaad dilaye,
Tera chain churaye,
Teri neend uraye,
Tum mujse kaho,
Aye CHAND suno,
Kuch baat karo,
Teri baat chale meri raat kate....

Ghar wapis jab aao gay tum

Ghar wapis jab aao gay tum
Ghar wapis jab aao gay tum koon tumahin pahchany ga
Koon kahay ga koon kahay ga
Koon kahay ga tum bin sajan yah nagri sunsan

Bin dastak derwaza gum sum bin ahat dahleez
Sunay chand ko taktay taktay raahin per gai maand
Koon kahay ga koon kahay ga
koon kahay ga tum bin sajan yah nagri sunsan

Koon kahay ga tum bin sajan kasay katay din raat
Sawan kay tu sang ghoolay aur doob gai bersaat
Koon kahay ga koon kahay ga
koon kahay ga tum bin sajan yah nagri sunsan

Pal jasay pather bun jain ghariaan jasay nag
Din nikaly tu sham na aay aay tu kohram
Koon kahay ga koon kahay ga
Koon khay ga tum bin sajan yah nagri sunsan

Ghar wapis jab aoo gay tum
Ghar wapis jab aoo gay tum
Keya dekhoo keya paoo gay
Keya dekhoo keya paoo gay
Yaar nigar wo sangi sathi
Yaar nigar wo sangi sathi
Meid bharian thin ankaiyan jin ki
Meid bharian thin ankaiyan jin ki
Batain pholjharian

Bujh gay saray loog wo piyaray
Bujh gay saray loog wo piyaray
Rah gai kuch larain
Tum bin sajn tum bin sajan tum bin sajan
Tum bin sajn tum bin sajan tum bin sajan
Yah nagri sunsan

Phool babool bagoolay dekhoo
Phool babool bagoolay dekhoo
Ek gurayzain mooj ki khatri
Sahra sahra phirty hain
Sahra sahra phiraty hain
Tum bhi phiro derwaish sifat ab
Tum bhi phiro derwaish sifat ab
Rafta rafta hairan
Rafta rafta hairan
Loat kay ab keya aao gay aur keya paoo gay
Keya paoo gay keya paoo gay

Koon kahay ga koon kahay ga
Koon kahay ga tum bin sajan yah nagri sunsan
Yah nagri sunsan
Yah nagri sunsan

YOUN AKELAY MAIN USEY EHD-E-WAFA YAAD AAEY

YOUN AKELAY MAIN USEY EHD-E-WAFA YAAD AAEY,
JAISAY BANDAY KO MUSEEBAT MAIN KHUDA YAAD AAEY.

JAISAY BHATKAY HUAY PANCHI KO NASEEMAN APNA,
JAISAY APNON K BICHARNAIN PAY DUA YAAD AAEY.

JAISAY DHALTI HUEE SHAAMON KO SAWAIRA KOI,
JAISAY PINJRAY MAIN PARINDON KO FIZA YAAD AAEY.

JAISAY BOORHAY KO KHIYALAAT MAIN BACHPAN APNA,
JAISAY BACHEY KO SHARARAT PAY SAZA YAAD AAEY.

JAISAY UJRI HUI BASTI KO ZAMANA APNA,
JAISAY TOOFAN K THEHRNAIN PAY DIYA YAAD AAEY.

YOUN AKELAY MAIN USEY EHD-E-WAFA YAAD AAEY
YOUN AKELAY MAIN USEY EHD-E-WAFA YAAD AAEY

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Teri Warfta Nigahen Teri Be-Baak Ada

Teri Warfta Nigahen Teri Be-Baak Ada
Main tere Shauq-Tajasus ka Sabab janta hoon
Aur ye Pur lutf Tabasum ki barasti Boonden
Be- Khabar Sunta hoon har chand ke sub Jaanta hoon
Main ke Na waqif-e-Aadab-e-Sukhan lagta hoon
Mujh Ko Dildari-e-Khoobaan ka hunar ata hai
Baat Arza-e-Takaluf bhi nahi Ho sakti
Dekhne Walon ko kuch Aur Nazar Ata hai
Meri Har Sans Amanat hi kisi Aru ki hai
Mujh se tum shoq ke Azhaar ki Koshish na karo
Mere Atwaar O Khad-o-Khaal pay Jaan deti ho
Main kisi Aur ka hoon Tum meri Khowahish na Karo

Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya

Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya

Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi mäloom hargiz
Ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya

Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
Wo zamänay ko mera haal suna kar roya

Aansu ban kar nikal na jaun kahin, is Dar se
Apne ashkoon ko wo aankhoon mein ch…hupa kar roya

Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameen
Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya…

Chand Ashaar’s

Do-Chehragi

Who sabke dil mein base, ban ke Aitbaar-e-Wafa

Ye ek khaas adaa, Be-Misaal hai uski

Nazar kisi ki tarf, aur dil kisi ke saath

Ajab Siyaasat-e-husn-e-Jamal hai Uski



   Tehkik (khoj)

Simat saka na kabhi Zindgi ka phailaav

Kahi bhi khatm, gham-e-aashiqui nahi hota

Nikal hi aata hai koi na koi gun`jaayish

Kisi ka pyar kabhi aakhiri nahi hota



   Character

Us se bichday huwe, to ek zamaana beeta…

Lekin is baat se, Takleef mujhe hoti hai

Kar gayee jiske liye, Tarq-e-talluk mujhse

Paa liya usko, to aab mere liye rotee hai….



   Dilaasa

Yakeenan ye anhokah haadsa hai..

Ke hum milte hi phir se bant gaye hai..

Kasak si reh gayee hai dil mein lekin

Chalo kuch din to achchay kat gaye hai…



   Kabr-e-Anaa

Uski haseen raato ka jo le sake hisaab

Kehti hai who abhi koi paidaa nahi huwa..

Ya usne dil kisi ko diya hi nahi abhi

Ya uska aaj tak koi shaidaa nahi



   Tareekan

Haasil raha ho jo tark-e-sukoonat se peshtar

Sabne who imtiyaaz bhi apna gawa diya

Laalach mein hirniyaan kisi dariyaa mein jaa basee

Aur machliyo ne dasht mein maskan bana liya

Yu lage yaar! Tera mujh se judaa ho jana…

Yu lage yaar! Tera mujh se judaa ho jana…

Jis tarha phool ka khushboo se judaa ho jana..



Ahl-e-dil se ye tera tark-e-taaluk

Waqt se pehlay aseero ka rihaa ho jana..



Ye agar ho to jahaan mein koi kaafir na rahe…

Moujza! Tere wade ka wafa ho jana…



Zindgi mein bhi chaloonga tere peechay peechay

To mera dost ka naqsh-e-kaf-e-paa ho jana



Jaane who kaunsi kaifiyat-e-gham khwaari hai…

Mere peete hi "Qateel" usko nashaa ho jana…

Koi makaam-e-Sukoon raaste mien aaya nahi…

Koi makaam-e-Sukoon raaste mien aaya nahi…

Hazaar peid hai lekin kahi bhi saya nahi…



Bhatak rahe hai abhi tak musaafir`aane wisaal…

Tere jamaal ne koi diya jalaaya nahi…



Bikhar gaya hai khila mein kiran-kiran hokar…

Who chaand jo kisi pehloo mein jag`magaaya nahi..



Ujjad gaya thaa kisi zal-zale mein shehar-e-wafa

Na jaane phir usse humne bhi kyon basaya nahi…



"Qateel" kaise katengi ye dopehar gham ki…

mera naseeb mein un gaysoo(n) ka saya nahi…

Wafa ke sheesh-mehal mein saja liya hai maine…

Wafa ke sheesh-mehal mein saja liya hai maine…

Wuh ek dil jise patthar bana liya maine…



Ye sochkar ke na ho taak mein khushi koi..

Ghamo ki ot mein sab khud ko chupaa liya maine…



Kabhi na khatm kiya maine roshnii ka mujaaz..

Agar chiraag bujhaa, dil jala liya maien…



Kalaam ye hai ke dushman pe jo chalaana thaa…

Wuh teer apne kaleje pe khaa liya maine…



"Qateel" jiski adaa wat men ek pyaar bhi thaa…

us aadmi ko gale se laga liya maine

Meharbani se agar pesh bhi aai kuch log

Meharbani se agar pesh bhi aai kuch log

Dhoop mein lipte huwe de gaye saaye kuch log…



Mein ne awaaz uthaai thee riwaazo ke khilaaf

Barchiyaan lekar gharo se nikal aai kuch log



Jab who bach nikla to pani mein mujhe phaink diya..

Kood kar maine jo dariyaa mein bachaai kuch log..



Kaam ke log watan mein bhi nahi thay kam`yaab…

Phir bhi kuch logo(n) ne baahar se mangaai kuch log..



Baarhaa maine jawaani ke chauraaho mein "Qateel"

Pe ke apna hi lahoo jhoomte paai, kuch log…

Rachi hai rat-jago ki chaandni jinki jabeeno mein

Rachi hai rat-jago ki chaandni jinki jabeeno mein…

"Qateel" ek umr guzri hai hamaari in haseeno mein..



Who jinke aanchalo se zindgi takhleek hoti hai..

Dhadaakta hai hamra dil abhi tak un haseno mein…



Zamaana paar`saai ki hado se hum ko le aaya…

Magar hum aaj tak bhi ruswaa hai apne hum nasheeno mein…



Talaash unko hamari to nahi poocho zara unse…

Who kaatil jo liye phirte hai khanjar aasteeno mein…



Sukoonat baar ban jaai buniyaad-e-rafeekat par,

Makaan takseem ho jaate hai khud apne makeeno mein…

Thoda sa gham-e-tark-e-talluk

Thoda sa gham-e-tark-e-talluk hai mujhe bhi

Sharminda jo tu hai to hai nidaamat hai mujhe bhi..



Mein teri tarha dil ko samajhta nahi sheesha

Warna ishi duniyaa se shikyaat hai mujhe bhi…



Mein bhi hoon is hi daur ka sehmaa huwa insaan…

Thode se tabassum ki zaroorat hai mujhe bhi…



Jab zakhm lage, raks ke andaaz mein tadpoo(n)…

Qatil ki taraf se ye hidaayat hai mujhe bhi



Faarig ho to aa jaao zara pyaar hi kar le…

Kuch roz se is khel ki fursat hai mujhe bhi…

Sabne pehna thaa bade shauk se kaagaz ka libaas…

Sabne pehna thaa bade shauk se kaagaz ka libaas…

Jis kadar log thay baarish mein nahaane wale..



Adal ke tum na hume aas dilaao…

Katl ho jate hai, zanzeer hilaane wale…



Kisko hogi yeyhaan taufeek-e-anaa mere baad…

Kuch to socho mujhe soolhi pe chadhaane wale…



Marr gaye hum to ye katbe pe likhaa jaaiga…

So gaye aap zamaane ko jagaane wale…



Dar-o-deewaar pe hasrat si barasti hai "qateel"

Jaane kis des gaye pyaar nibhaane wale…

Namaa`bar apna hawaao ko banaane wale

Namaa`bar apna hawaao ko banaane wale

Aab na aainege palat kar kabhi jaane wale



Kyaa milega mujhe bikhre huwe khwaabo ke siwaa

Rait par chaand ki tasveer banaane wale..



Mai`kade band huwe, dhoondh raha hoon tumko..

Tu kaha hai mujhe aankho se pilaane wale..



Kaash le jaate kabhi maang kar aankhe meri,

Ye musawwir meri tasveer banaane wale..



Tu is andaaz mein kuch aur haseen lagta hai

Mooh se mooh pher ke ghazle meri gaane wale…

Tere gale mein agar motiyo ki mala hai


Tere gale mein agar motiyo ki mala hai

Ye soch kisne makaan apna bech dala hai



Hamesha jhooth hum aapas mein bolte aaye

Na tere dil mein, na teri zubaan pe chaala hai



Jo sabne dekh liya mien bhi usko dekh sakoo

Koi bataai who kis rang ka ujaala hai



Kitaab-e-umr na chupaa saka mein aaj tak..

Ke har baras pe tera naam ka hawaala hai..



Nahi zaroor ke ho pyaar ek baar "qateel"

Ye meetha rog kayee baar humne pala hai..

Mein apna umr bhar ka chain jab us dar pe chod aaya

Mein apna umr bhar ka chain jab us dar pe chod aaya

Mili hai tab kahi jaa kar zari si ba- kasi mujhe..



Mein who gulshan-gazeeda hoon ki tanhaai ke mausam mein

Nahi hote agar kaante to dasti hai kali mujhko



May-rangee aankho ko ye kaisa husn bakshaa hai..

Ke jaisi hi koi soorat nazar aai bhali mujhko..



Mohabbat thee usse lekin mera iflaas jab dekha

Pareeshaa si nazar aai, who naazo ki pali mujhko…



"Qateel", aabaad janb ghar thaa to kya mujh par kahee ghazle

ye tana jaate-jaate de gaye, ek dil-jali mujhko…

Tum poocho aur mein na bataao


Tum poocho aur mein na bataao, aise to halaat nahi

Ek zara sa dil toota hai, aur to koi baat nahi



Kisko khabar thee, saawle baadal bin barse udd jaate hai..

Sawan aaya lekin apni kismat mein barsaat nahi



Mana jeewan mein aurat, ek baar mohabbat karti hai

Lekin mujhko ye to bataa de, kyaa tu aurat zaat nahi



Khatm huwa aab mera afsaana, aab ye ansoo phch bhi lo..

Jis mein koi tara chamke, aaj ki rat wooh raat nahi



Meri ghamgeen hone par ahbaat hain yu hairaan "qateel"

Jaase mein patthar hoon, mere seenay mein jazbaat nahi…

Ye Mojzaa bhi mohabbat kabhi dikhaai mujhe

Ye Mojzaa bhi mohabbat kabhi dikhaai mujhe

Ke sang tujh pe gire, aur chot aai mujhe



Mein apne paao tale, raund`taa hoon saye ko

Badan mera hi sahi, dopehar na bhaai mujhe



Mein ghar se teri tamanna pehan ke jab nikloo

Barhana shehar mein koi nazar na aai mujhe!



Who mera dost hai, saare jahaan koi hai maloom

Daghaa kare who kisi se to sharm aai mujhe..



Mein apni zaat mein neelaam ho raha hoon "qateel"

Gham-e-hayaat se keh do, khareed laai mujhe…

Jo bhi ghuncha tere hontho(n) pe khila lagta hai


Jo bhi ghuncha tere hontho(n) pe khila lagta hai 
Who meri Tangi-e-damaan ka gilaa lagta hai…


Dair se aaj mera sar hai tere zaano pe… 
Ye wooh rutba hai, Jo shaaho(n) ko mila karta hai…


Mein to baithaa hoon, Dabaai huwe Toofaano(n) ko… 
Tu mere dil ki dharkan ka gilaa lagta hai..


Raat yo chaand ko dekha hai nadee mein raks`aan… 
Jaise jhoomar tere maathe-pa-hilaa lagta hai…


Kaun kaafir, mujhe Ilzaam-e-Tagaa`ful dega 
Jo bhi karta hai, Mohabbat mein Gilaa Karta hai

Mein samandar bhi hoon, Moti bhi hoon, Gauta-zan bhi…

Mein samandar bhi hoon, Moti bhi hoon, Gauta-zan bhi… 
Koi bhi naam mera le ke bulaa le mujhko!


Tune dekha nahi aainay ke aagay kuch bhi… 
Khud-parasti mein kahi tu na gawaa de mujhko!


kal ki baat aur hai, mein aab sa rahoon, Ya na rahoon… 
Jitna jee chaahe tera, aaj sata le mujhko!


Khud ko mein baant na daloo(n) kahi Daman-Daman 
Kar diya tune agar, mere hawaale mujhko!


Baa`dah phir baa`dah hai, mien zehar bhi pee jaao "Qateel" 
Shart yeh hai, koi baaho(n) mein sambhaale mujhko!

Tu ne ye phool jo, zulfo(n) mein sajaa rakha hai..

Tu ne ye phool jo, zulfo(n) mein sajaa rakha hai..

Ek diya hai jo andhere mein jala rakha hai



Jeet le jaai, koi mujhko naseebo wala...

Zindgi ne mujhe daavo pe laga rakha hai...



Jaane kab dil mein koi jhaankne wala aa jaai...

Is liye maine, girebaan khula rakha hai...



Imtehaan aur mere zabt ka tum kya loge...

Maine dharkan ko bhi, seenay mein chupaa rakha hai...



Dil thaa ek shola, magar beet gaye din woh qateel,

Aab kuredo na isse, raakh mein kya rakha hai...

Sadma to hai mujhe bhi

Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon mein 
Lekin ye sochta hoon, Ke aab tera kyaa hoon mien


Mein Khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf 
Apne Badan ki kabr mein, Kab se Gadhaa hoon mein


Kis kis ka naam laao Zubaan par ke tere saath 
Har roz ek shaks naya Dekhta hoon mien


Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam 
Duniyaa Samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon mein


Le mere Tajrubo(n) se sabak, aye mere raqeeb 
Do-Chaar saal umr mein, Tujhse bada hoon mien


Jagaa huwa zameer woh aiyeena hai "Qateel" 
Sone se pehlay roz, jise dekha thoon mein

har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo

har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo
yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo 


Khud ko fareb do ki na ho talKh zindagii
har sangdil ko jaane-e-vafaa kah liyaa karo



gar chaahate ho Khush rahe.n kuchh bandagaan-e-Khaas
jitane sanam hai.n un ko Khudaa kah liyaa karo 


insaan kaa agar qad-o-qaamat na ba.Dh sake
tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa kah liyaa karo


apane liye ab ek hii raah-e-nijaat hai
har zulm ko razaa-e-Khudaa kah liyaa karo



le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel"
jab dil jale to us ko diyaa kah liyaa karo

na tujhey choor saktey hai tere ho bhi nahin skatey

na tujhey choor saktey hai tere ho bhi nahin skatey
yeh kase bebasi hai aj hum khul k roo bhii nahin saktye 

yeh kasa dard hai pal pal hume turpaye rakhta hai
tumhare yaad ati hain tu phir so bhi nahin saktey  

chupa saktey hain aur na hum dekha saktey hain logo ko
kuch asae dagh hain dil per jo hum dho bhi nahin saktey 

kaha tha choor de gey yeh nagar phir ruk gaye lakin
tumhe paa nahin saktey magar khoo bhi nahin saktey 

humar aik hona bhi nahi mumkkin raha ab tu
jiye kase k tum se durr ab ho bhi nahin saktey 

Dil munaafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

>Dil munaafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
> Aur jab tuj say mila toot kay roya kaisa
> Zindaghy maiN bhi ghazal hi ka kareena rakha
> Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa
> Ab toH chehruN pay bhi katbuH ka ghumaaN hota hai
> AankhaiN pathraey hoi haiN lab-e-goya kaisa
> Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz laghay
> Hijar hi hijar marasim main samoya kaisa
> Aik aansoo tha kay dariya-e-nidamat tha FARAZ
> Dil say baibaak shanawar ko daboya kaisa 

Yun Us Dil Ruba Say Mere Nazar Milay Kabhi

Yun Us Dil Ruba Say Mere Nazar Milay Kabhi 
Apnay Zuban Say Mujhay Dilbar Kahay Kabhi 

Woh Mere Waham Main Mere Gumaan Main Rahay 
Jab Raat Kay Pahar Say Sahar Milay Kabhi 

Woh Mere To Kabhi Na Tha Magar Aisa Laga 
Kay Uskay Bina Zeest Bhi Abtar Lagay Kabhi 

Yak Sar Gum Sum Hon Apni Yaad Dashton Main 
Uski Gali Tak Us Ka Dar Yun Dikhay Kabhi 

Uska Wujood Mere Rooh Main Mahlool Hogia 
Rooh Ab Sab Arwah Say Akbar Lagay Kabhi 

Kia Khushbu Ke Rangon Say Baat Ho

Kia Khushbu Ke Rangon Say Baat Ho 
Jo Woh Na Kabhi Mere Saath Ho 
Dil Na Dharkay Aur Sans Tham Jai 
Jis Shab Na Tujh Say Mulaqaat Ho 

Kitni He Khushian Aur Behisaab Jashan Mana Chukay 
Yun Hum Khud Ko He Apnay Aap Say Ganwa Chukay 

Main Aur Kia Kahon? 
Kaun Hay Jo Sunay Gaa 
Jo Bhi Nazron Say Guzar Chuka 
Woh Sab Is Dil Main Jazb Ho Chuka 
To Dil Ko Kureedon Kis Kay Liye 
Waqt Ko Khareedon Kis Kay Liye? 
Uskay Liye Jo Qadar-Daan Hain? 
Ya Unkay Liye Jo Anjaan Hain ? 
Main Aur Kia Kahon ? 

Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktey Ho

Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktey Ho

Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktey Ho 

Tum Chaho To Mujhay Sahra Say Nikal Saktey Ho 

Tum Chaho To Mujhay Saiban Day Saktey Ho 


Tum Chaho To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktey Ho 

Tum Chaho To Mujhay Apnay Wajood Main Chupa Saktey Ho 

Tum Chaho To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar 

Tum Chaho To Ik Diya Roshni Ka Jala Saktey Ho 

Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai 

Tum Chaho To Isay Hans Kar Guzar Saktey Ho 


Tum Chaho To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktey Ho 

Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktey Ho 

Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktey Ho 


Tum Chaho To Kia Nahi Kar Saktey ho

Tum Chaho To Sub Kuch Kar Saktey Ho.... 

Kar k mujhay barbad jo hans rahee thee

Kar k mujhay barbad jo hans rahee thee
tanhai may bethe wo ro rahe thee,

maloom tha humain tumhare bay los mohobbat ka
rasam o rewaj ke wo lajj rakh rahe thee,

shyad mohobbat may is k bhool ho gai
apni nadani per shrm sar to thee,

shyad duniya nay issay sochnay ki mohlat na de
mohobbat k liye baghawat per tayar to thee,

kiu hote hay mohobbat pe rasm o rewaj 
do dewano k darmiyan yeh takrar to theee....

Teri Ankhoon Si Ankhien aaj aik chehray pe dekhi hien

Teri Ankhoon Si Ankhien
aaj aik chehray pe dekhi hien
Wuhi rungut ' banawat
aur waisi beyrukhi un mien
bichurtay waqt ju main ne
Teri ankhoon mein dekhi thi

Teri ankhoon si ankhoon ne
mujeh aik PuL ko dekha tha
wuh puL aik aam sa puL tha
mager os aam se puL mien
puraanay kitnay mausum' kitnay munzur main ne dekhay thay
Meri jaa'n main samjha tha
teri ankhoon si ankhien jub
meri ankhoon ko dekheingi
tao ik Lumhay ko soochaingi
keh in ankhoon ko pehLay bhi
kisi chehray pe dekha hai
Mager in jheeL ankhoon mein
shanasaayi nahi jaagi
Meri Ankhien ~!!
teri ankhoon si ankhoon ke Liey
kaab khaas ankhien thien
teri ankhoon ne shaayid yeh
kaayi chehroon per dekhi hoon
keh yeh to AAM ankhien hain

Main aisa sooch sakta tha
mager main kya keroon diL ka
ju ub yeh yaad rukheyga
teri ankhoon si ankhien
main ne aik chehray pe dekhi thien
phir os k baad kitnay din
meri ankhoon mein sawan tha

kyou chup kay say woh loag dil may utter jattay hai

kyou chup kay say woh loag dil may utter jattay hai
jin say kismat kay sittaray nahe miltay

kyou hummay un loaggo key aadat se ho jatty hai
jinhae hum pehly nazar may apna sub kuch maan laytay hai

jinhae hum na deakhae toa hummara din nahee guzarta
jinhae hum deakhae toa hummara dil kabu may nahee rehta

jinkay hum qareeb hokay be un kay hottay nahe
aur jin say duur ho kay be un say juda hottay nahee

jo duur reh kar be kushe deattay hai
aur joa pass ho kar be gaam daytay hai

phir woh he baat aajatty hai
kyou chup kay say woh loag dil may utter jattay hai
jin say kismat kay sittaray nahe miltay :(

NA FIKAR FARDA NA YAD MAZI

NA FIKAR FARDA NA YAD MAZI
NA CHAIN DIL KO NA BEQARARI
NA WISAL KI LARZISH NAZAR MAIN
NA BEBASI HIJAR K SAMAY KI
NA HUD SE GUZRA JANUN WOH
NA BE-KALI WOH PEHLE JAISI
BAS IK UDASI HAI DHEAMI DHEAMI
BAS IK KHAMOSHI HAI BEKARAN SI 
BAS IK BE-NAAM JALAN HAI
BAS IK BE-DARD SI THAKAN HAI
JO ZINDAGI K ADHUREY PAN KO
HADON SE AGY BARHA RAHI HAI 

kabhi is nagar tujhe deakhna, kabhi us nagar tujhe dhundna

kabhi is nagar tujhe deakhna, kabhi us nagar tujhe dhundna
kabhi raat bhar tujhe sochna, kabhi raat bhar tujhe dhudna

mujhe ja-ba-ja teri justajo, tujhe dhundta hun main ko-ba-ko
kahan khul saka tere robaro, mera is qadar tujhe dhudna

mera khuwab tha k khiyal tha, woh aruj tha k zawal tha
kabhi farsh pe tujhe deakhna, kabhi arsh pe tujhe dhundna

yahan har kisi se bair hai, tera shehr qarea -e- gair hai
yahan sehal b tu nahin koi, marey bekhaber tujhe dhundna

teri yad to roo diya, jo tu mil giya tujhe kho dia
mare silsaly b ajeeb hain, tujhe chor k tujhe dhundna

kab Tak tanha Raho gai

~~!~~kab Tak tanha Raho gai~~!~~

kab Tak tanha Raho gai
Kab tak rota raho gai

Logo ka Samne muskra ke
kab tanhai main rota raho gai

Dil mein sapno ki shahzaadi ka ghar banaye howe
Kab tak intizar kartee raho gai

Tum Akle bohat khush ho
kab tak yeh jhoot apna app se bolte raho gai

khud ko tum tanha kar ka 
kab tak dard-e-tanhai sahte rahoo gai

tum haste haste 
kab tak yeh tanhai ka zehar peta rahoo gai 

Kuch aise zakhm mile chupaye nahi jaate

Kuch aise zakhm mile chupaye nahi jaate,
Ye bojh muqaddar ke uthaye nahi jaate,

Sunne ko to betaab hai ye saara zamana,
Afsane mohabbat ke sunayen nahi jaate,

Kuch dair ko to aaya jawab jaa bhi chuka hai,
Yaadon ke deep magar bujhaye nahi jaate,

Tasveer hoon main zabt-e-musalsal ke janoon ki,
Par dil main jo armaan hain dabaye nahi jaate,

Nadaan hoon, Be aqal hoon, Kamzor hoon sab kuch....
Ye rang to har shakhs main paaye nahi jaaate,

Aadaab mujhe ishq ke aate nahi shayad,
Ruthe hain woh is tarha manaye nahi jaate,

Shiqwa hai shiqyata hai to phir saamne aayen,
Is tarha se to daaman bachaye nahi jaate,

Beqaar na mutalashi hoon raahon ki,
Ujre howe ghar phir se basaye nahi jaate...

kitna sehel jana tha barishon k mausam mein

kitna sehel jana tha
barishon k mausam mein
sham ka yeh aik manzar 
ghar mein qaid kar laina
khushbuon ko chhu laina
roshni sitaron ki
muthhiyon mein bhar laina
kitna sehel jana tha
khushbuon ko chhu laina
jugnuon si baton se
phool jaise aangan mein
roshni si kar laina
uski yad ka chehra, khuabnak aankhon mein
jheel k gulabon per dair tak saja laina
kitna sehel jana tha
ae dil ki khush-fehmi
is tarhan nahi hota
titliyan pakarne ko
door jana parta hai
is tarhan nahi hota
is tarhan nahi hota.......

Qalam uthaa ke socha.. kuch aisaa likhoon

Qalam uthaa ke socha.. 
kuch aisaa likhoon… 
kuch nayaa saa.. 
kuch nayaab.. 
kuch mere ehsasaat se labrez.. 
kuch mere jazbaat se chalakta hua… 
kuch mere khaahishon ka rang liye. 
Alfaaz ke muaamle main… 
pehli dafaa apni mehroomi se saamna huaa. 
Kyaa likh doon… 
jo tumhare dil main youn utar jaaye.. 
jaise khushboo kisi phool main samaa jaaye 
kuch aisaa jo tumhare honthon pe thirke to.. 
sargam ban jaaye… 
jisse tum gaao to ghazal ban jaaye. 
Kuch aisaa jisse tum odh sako… 
apni muattar jild ke itne nazdeek rakho.. 
ki main sharmaa jaoon. 
Dil chaahe.. 
ki kuch aisaa hi likh doon ki tumare chehre pe 
Vo tamaam rangat bikhar jaaye.. 
jo mere wujood ka haasil hai. 
Vo muskurahat.. 
jo jeene ka sabab bann chuki hai… 
vo hansi jo mere sukoon ka baais… 
tumhari ho jaaye.. 
tum main kho jaaye.. 
jabb tum paRho.. 
mere alfaaz ko 
Mehsoos karo unhen… 
us shiddat se.. 
jo mehsoos ki mere qalam ki jumbish ne. 
Us kaghaz ke purze main.. 
chupi meri duaaon ko tum apne daaman me chupaa lo… 
ik ansoo us pe tapkaao.. 
unhen zindaa karo do. 
Mere alfaaaz ko padh kar.. 
unhen zindagi bakhsho. 

Kabhi jo maazi main jhankoge Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi jo maazi main jhankoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kisi lamhe kuch jo sochoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

Tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

Tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne Dil ki baat ko

Kisi se keh na paoge

Tumhain hum yaad aayenge..

hum to shayad wahi hain lekin, kuch log badal gaye hain


hum to shayad wahi hain lekin, 
kuch log badal gaye hain.


girte the kal tak har mod par 
lekin aaj sambhal gaye hain


jo dete the humein khushiyan 
wo halaat badal gaye hain.


jo bane the mere humsafar 
aaj wahi bichad gaye hain


manzilein to aab bhi wohi hain 
lekin kuch raste badal gaye hain


tum kya gaye is dil se 
saare aarman bichad gaye hain


dekhe the kabhi humne woh saare 
khwab badal gaye hain.


na badla to "raaz" na badla 
na badla "raaz" ka dil  

baaki to is tute dil ke saare 
jazbaat badal gaye hain. 

Dosti Ka Pehla Pegam Aap ke Naam

Dosti Ka Pehla Pegam Aap ke Naam 
Zindagi Ki Akhri Sham Aap ke NAam 
Iss Safar main humsafar Hain hum Dono
IS Dosti Ko Nibhana Hain Ap ke Naam 
IS Qadar humari Chahat Ka Imtehan Na LiJiye 
kyun hO humSe KhaFaa Bayaan tO KiJiye 
KAr DeJiye Mauf Agar hogaye humSe Khataa 
Yon Yaad Na KAr ke Saza Na diJiye 
RishToon Ki Yeh Duniya Hai NiraLi 
Sab Rishto0n Se Pyari Hai dOSti tUmhari 
ManZo0r Hai AanSu Bhi AanKho0n Main HumaRe 
Agar Aah JAye MusKan hont Pe TumhaRe 
KHUDA Se Tho0ra RaHam KhaReed Laite
Aap Ke ZakhMo0 Ka MArham Khareed LaiTe 
Agar Kahi Bikhti Kushiyaan Meri 
tU Sari Bech Kar Ap ka haR Ghum KhaReed LAiTe 
Jaam Pe Jaam Peenay Se Kia Faida 
ShaM kO Pi sUbha Utar JAye gi
Aray dO Bo0nd aPni dOSti Ka PiLa Dye 
ZindaGi Sari NAshe Main GhuzAr Jaye Gi 
FiZa Main Mehakti Ek Sham hO0 tUm 
Pyar Main ChaLakta JAam ho0 tUm 
SeeNay ChuPaye PhirTeHain hUm YAad tUmhaRi 
Meri ZindaGi Ka Do0sra Naam ho0 tUm 
Wade Pe wOh AitBAr Nahi KArTe 
Hum Zikr-e-MoHabbat Sar-e-BAazar Nahi KArTe 
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se 
aUr wOh SoChTe Hain hUm UnSe PyaR Nahi Karte
HAr KAdam Par ImteHAn Laiti Hai ZindaGi 
HAr Waqt NAya Sadma DEti Hai Zindagi 
hUm zindagi Se Kia ShikWa KArain 
Aap JAiSe Dost Bhi Tu Daite hain ZindaGi!!!!! 

Main Nazar Se Pee Raha Hoon Ye Samaan Badal Na JAYE

Main Nazar Se Pee Raha Hoon Ye Samaan Badal Na JAYE,

Na Jhukao Tum Nigaahein Kaheen Raat Dhal Na Jaye.

Miray Ashk Bhee Hain Iss Mein Ye Sharaab Ubal Na Jaye,

Miray Jaam Choonay Walay Tera Haath Jal Na Jaye.

Abhee Raat Kuch Hai Baaqee, Na Utha Naqaab Saaqee,

Teray Anay Kee Khushee Mein Mera Dam Nikal Na Jaye.

Mujhe Phonknay Se Pehlay , Mera Dil Nikal Leyna,

Ye Kisee Kee Hai Amaanat, Meray Saath Jala Na Jaye.!!!

Jab haar dey himmat to muqadder nahi milta

Jab haar dey himmat to muqadder nahi milta,
Jungal main bhatakney say yahan kuch nahi milta, 

Heyran hain her shaks yahan sungey waffa hay, 
Kehtey hain terey sher main pather nahi milta, 

Ye khail muqadder ka samajh say hay meri bala,
Kho jata hay rasta mager rehber nahi milta, 

Jo mil na saka us ka gham main kis leyee karata,
Insane jo chahey usay akser nahi milta, 

Her saans ukherti hui ye puch rahi hay,
Pehley sa sukoon ab terey ander nahi milta. 

Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay 

Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay 

Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya 

Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain 

Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay 

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua

Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay 

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh 

Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia Us Main Faiz 

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay ... 

Abhi Aik Raat Adhoori Hai Meri Baat Adhoori Hai

Abhi Aik Raat Adhoori Hai 
Meri Baat Adhoori Hai 
Tum Sunn Lo To Main Keh Doon 
Jo Kehna Hai Tumhein 
Mujhe Kuch Barson Se 
Ke Tum Bin Meri Zindagi 
Meri Zaat Adhoori Hai 
Abhi Ek Raat Adhoori Hai 
Meri Baat Adhoori Hai 
Ek Pal Ko Thehar Jao 
Meri Aankh K Pemaney
Qabal Iss K Jhalak Jayen 
Meri Saanson Ki Doori Jo 
Qabal Ke Toot Jaye Jo 
Qabal Iss K Main Tum Se
Keh Na Paaon Jo 
Mujhe Itna He Kehne Do 
K Mere Pass 
Apni Yaadon Ko Rehne Do!!! 

Main Mar Mita to Wo Samjha Ye intiha thi Meri

Main Mar Mita to Wo Samjha Ye intiha thi Meri 
isse Khabar Hi Na thi, Khaak Keemya thi Meri

Main Chup Hua to wo Samjha ke Baat Khatam Hui 
Phir is ke baad to Aawaz ja baja thi Meri

Main us ko Yaad karoon bhi to yaad Aata Nahi 
Main Us ko Bhool Gaya Hoon, yahi Saza thi Meri

Shikast De gaya Apna Guroor Hi Us ko 
Wagarna Us ke MuQabil Bisaat kia thi Meri

Koi bhi Koo-e-Mohabbat Se Phir Nahi Guzra 
To Shahar-e-ishQ amin Kia Aakhri Sada thi Meri ?

Main Us ko Dekhta Rahta tha Hairaton Se "Faraz" 
Ye zindagi se Ta'Arruf ki ibdita thi Meri

Ho Ker Zameen Ka, Aasmaan Ki Chaah Kion Karoon

Ho Ker Zameen Ka, Aasmaan Ki Chaah Kion Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kion Karoon?

Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpaaye Gi Tujhay Har Pal 
Issi liye Bata Day Main Tujh Say Wafa Kion Karoon?

Aemaan Ko Meray Chot Lagay Gi Gar Tu Na Mili Mujhay 
Tujhay Apna Bananay Ki Phir Dua Kion Karoon?

Teri Masoomiyat Ko Rab Nay Banaya Hai Mohabbat Kay liye 
Tujhay Na Chahnay Ki Phir Main Khata Kion Karoon?

Farishtay Bhi Tarap Jaatay Hain Jab Teri Aankh Say Ashk Chalaktay Hain
Yeh Dard Tujhay Day ker Main Koi Gunnah Kion Karoon?

Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa 
Main Phir Tera Ban Jaanay Ki Aarzoo Kion Karoon?

Meri Hathoon Ki Lakeeron Main Nahin Hai Naam Tera 
Main Tera Naam Apnay Naam Se Milanay Ki Justajuu Kion Karoon?

Meri Baatain Teray Dil Mein Humesha Bass Jaati Hain 
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kion Karoon?

Baaton Baaton Main Baynaam Fasaanay Ban Jaatay Hain 
Aur Aisi Adhoori Kahaani Ko Main Shuroo Kion Karoon?

Joo Bhi Jazbaat Hain Dil Main Dil Tak Mehfooz Hain 
Yeh Bataoo K Main Un Ka Zikar Dobara Kion Karoon?

Maana K Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Say Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kion Karoon?

Meray Liye Yeh Mumkin Nahin K Main Tera Ban Jaoon Kabhi 
Laikin Main Tujh Say Mohabbat Ka Izhaar Kion Karoon?

Itna Dukhaaya Dil Ko Tu Nay Meray , Itna Rulaaya Hai Mujhay 
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujh Say Bay Inteha Pyaar Kion Karoon??

Yun Hii Dosh Per SanbhaaLay GhHaNi ZuLf Kay Do-Shaanay

Yun Hii Dosh Per SanbhaaLay
GhHaNi ZuLf Kay Do-Shaanay
Wohi SanwaLi Sii RanGat
Wohi Nain Neend WaaLay
Wohi Man-Passand QaaMat
Wohi Khush-Numaa SeraaPa
Jo Badan Main Neem-Khaawbi
Tou Lahuu Main Rat-Jaga Sa
Kabhi Pyaas Ka Samandar
Kabhi AAas Ka Jazeera
Wahi Meharbaan Leh-Ja
Wahi Mezbaan Vateera
Tujeh Shaayree Say Rugg-bet
Ussay Shair Yaad Mairay
Wohi Uss Kay Bhi Kareenay
Jo Hain Khaas Wasf Tairay
KISI AUR HII SAFAR MAIN
Ser-Raah MiL Gayii Thii
Tujeh Aur Kia Bataaown
Woh Teri Tarah kOii Thii
Kisii Shehar-e-Bay-Imaan Main
Main Watan-Badar AkaiLa
Kabhi Maut Ka Safar Tha
Kabhi Zindagi Say KhaiLa
Mera Jism JaL raha Tha
Woh Ghuut Ka Saaibaan Thii
Main Rafaaqaton Ka Maara
Woh Meri Mizaaj-daan Thii
Mujeh DIL SAY USS Nay Pooja
Ussay Jaan say Main Chaaha
Issi Ham-rahi Main AaKhir
Kahiin Aa gaya Do-Raaha
Yahan Gum-Raahi Kay ImKaan
Ussay Rang-o-Bo Ka Lapka
Yahan Lagzishon Ka Saaman
Ussay Khaawhishon Nay Thapka
Yahan Daam Thay Hazaaron
Yahan Her Taraf Qafas Thay
Kahiin Zer-Zameen Ka DaL-DaL
Kahiin JaaL Thay Hawas Kay
WOH FIzaah Ki FaakhTa Thii
Woh Hawa Ki Raaj-Patrii
Kissi GHaat Ko Na Daikha
Kissi JheeeL Per Na Utrii
Phir IK SHAAM AISII AYEE
KEH WOH SHAAM AAKHRI THI
KOI ZAN-ZALAA SA AYAA
KOII BERQ SI GIRI THI
AJAB AANDHIAAN CHALIIN PHIR
KEH BIKHAR GAYAY DIL-O-JAAN
NA KAHIIN GUL-E-WAFA THAA
NA Chiraag-e-Ehad-o-Paimaan
WOh Jahaaz UTAR GAYA THA
Yeh Jahaaz Utar Raha Hai
Teri Aankh Main Hain Aansoo
Mera DiL Bikhar Raha Hai
TU Jahan Mujeh MiLi Hai
Woh Wohi Judaa Hui Thii
Tujeh Aur Kiaa Bataaown
WOH Teri Tarah Koii Thii....

mere jane per aay jana pershan tum nahi hona

mere jane per aay jana
pershan tum nahi hona
kabhi chup kar nahi rona
judai zehar hoti hai
mujhe maloom hai lekin
firaq-o-hijar ka mousam
yaqeenan beet jaye ga
yaqeenan visal k lamhe
dobara lout ayen gye
wohi shamain , wohi raatain
wohi qisse wohi baatain
wohi phir daastan hogi
mohabbat meharban ho gi
mohabbat meharban ho gi 

Waqt ki Raftaar Kay Saath Tu Bhi Chalna Seekh Lay

Waqt ki Raftaar Kay Saath Tu Bhi Chalna Seekh Lay
Dard Seh Ker Iss Jahan Main Muskuraana Seekh Lay

Doosron say Shikwa Kerna Aur Shika'ayat Chor Day
Her Kisi say Pyaar kerna Dil Lagaana Seekh Lay

Kaanch kay Tukray Parain Hain Zindagi ki Raah Per
Kaanch kay Tukron pay Chal Kay Tu Bhi Jeena Seekh Lay

Ghum Utha Ker Muskuraana Kaam Yeh Waliyon Ka Hai
Aow'Liya kay Naqsh-e-Pa Per Tu Bhi Chalna Seekh Lay

Kis Qadar Insaan Aajiz Hai Zamaanay Main 
Doosron Say Pyaar Ker Aur Khud say Lerna Seekh Lay 

khawab bhi aik musafir ki terha hote hai

khawab bhi aik musafir ki terha hote hai
chashm dar chashm sada in ko safar mein rehna
rang ki mojh mein khushbo ke asar mein rehna
un ki adat hi nhi
aik jaga pe rukna 
un ki kismat hi nhi
aik nagar mein rehna
hum bhi ik khawab hain aye jaan,teri ankhon mein 
chand lamhon ko jo theharen to humein
apni palkon ki amaan mein rakhna
saya abar-e-tawajo keh gumaan mein rakhna
dehan ke taak se hum ko na hatana,jab tak
raat keh baam pe taron keh diye jalte rahen
dekhna humko,humein dekhte jana,jab tak
hum teri ankh ki wadhi mein safar karte rahen
khawab ka shok yehi,khawab ki kismat bhi yehi
khalqa regh-e-rawan,gard-e-safar mein rehna
rang ki mojh mein,khushbo ke asar mein rehna
hum magar khawab hai kuch aur terha keh,humko
na koi shok-e-safar hai na talash-e-khusbho
teri ankhon mein jalen aur inhen mein bujh jayen
chashm dar chashm nhi humko safar mein rehna! 
humko hai teri nazar mein rehna! 

SAB KUCH TU TERE PASS HAI

SAB KUCH TU TERE PASS HAI 
Tu phir kiyon dil udass hai? 
Hai piyar bhi tere liye 
Khayal bhi tere liye 
Ye dil bhi tere pass hai 
Tu phir kiyon dil udass hai? 
Main sochta hoon bas tujhe 
Main dekhta hoon bas tujhe 
Jab mujh pe etebaar hai 
Tu phir kiyon dil udass hai? 
Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye 
Ye sab jo tere pass hai 
Tu phir kiyon dil udaas hai? 
Too neend main, tu khwab main 
Too mere dasht-o-aab main 
Har pal too mere saath hai 
Tu phir kiyon dil udass hai? 
Har simt hain gul khile houe 
Hain dost bhi mile houe 
Har simt piyar hi piyar hai 
Tu phir kiyon dil udass hai? 
Ye dil, khushi or etebaar 
Ye dost, khwab or ye piyar 
Sab kuch tu tere pass hai 
Tu phir kiyon dil udass hai? 

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai


Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,

Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,

Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,

is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,

Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,

Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,

Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan  Ajab si lagti hain,

Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai,

mujhe hawaon mein urhna acha lagta hai

mujhe hawaon mein urhna acha lagta hai
mujhe pholon ko hathon mein le kar chumna acha lagta hai
mujhe titliyon ka baagon mein phirna acha lagta hai
mujhe baarish mein beeghti hui mati ki khushbo ko soonghna acha lagta hai
mujhe asman pe parindon ka azaad urhna acha lagta hai
mujhe chandni raat ko chath par ja kar chand ko takna acha lagta hai
mujhe kaanton ka yonh achanak daman thaam leina acha lagta hai
mujhe gheeli rait par nage paon chalna acha lagta hai
mujhe asman pe dhanak ke raango ka bikharna acha lagta hai
mujhe subha ka phoothna acha lagta hai
mujhe khushiyon ka har roop mein ana acha lagta hai
mujhe ghamon ko huns ka sehna acha lagta hai
mujhe tum se milna aur tumhara yaad ana acha lagta hai

Tere pyaar mein Rusva hona kitna acha lagta hai

Tere pyaar mein Rusva hona kitna acha lagta hai ,

Qadam Qadam par thokar khana kitna acha lagta hai ,

Roo leta hoon Hans leta hoon Tere aane jane par,

Tera ghar mein aana jana kitna acha lagta hai ,

Main apna fsaana khud hi kehta sunta rehta hoon ,

Achi Yaadon ka Duhrana kitna acha lagta hai ,

Buhat bura lagta hai Mujh ko Tera Gharon se milna,

Aur is ka iQrar naa karna kitna acha lagta hai,

Tere hi raste par chalna Teri hi manzil ko jana ,

Tere hi har Dam gun gana kitna acha lagta hai,

Jin Chashmon ka paani Dil duniya seerab kare,

Un Chashmon ka Paani peena kitna acha lagta hai ,

Sab logon ki batein sun na Aur chup rehna ,

Teri khatir har dukh sehna kitna acha lagta hai, 

Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho Ke Na Ho

Meri Raatein Teri Yaadon Se Saji Rehti Hain 
Meri Saansein Teri Khushboo Main Bassi Rehti Hain 

Mairi Aankoon Main Tera Sapna Saja Rehta Hai 
Han Mere Dil Main Tera Aks Basa Rehta Hai 

Is Tarhan Mere Dil Ke Bohat Pass Ho Tum 
Jis Terha Pass Sheh Rag K Khuda Rehta hai 

Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho Ke Na Ho 

Mere Aangan Main Lage Phool Gawahi Deen gye
Main ne Arse Se Kisi Phool Ko Dekha Bhi Nahi Hai 

Tujh Ko Socha Tu Phir Tujh Ko Hi Socha Hai Faqat 
main Ne Tere Siwa Kisi Or Ko Socha Bhi Nahi Hai

Popular Posts