Ajab Din The Mohabbat Ke,
Ajab Mausam Hai Chahat Ke,
Kabhi Gar Yaad Aa Ajyein To Palkon Par Sitare Jhilmilate Hai,
Kisiki Yaad Mein Raaton Ko Jagna Mamool Tha Apna,
Kabhi Gar Neend Aa Jaati To Hum Ye Soch Lete The,
Abhi To Wo Hamare Waste Roya Nahi Hoga,
Abhi Soya Nahi Hoga,
Abhi Hum Bhi Nahi Rote,
Abhi Hum Bhi Nahi Sote,
So Phir Hum Jagte The Aur Usko Yaad Karte The,
Akele Baith Kar Veeran Dil Abad Karte The,
Hamare Samne Taaron Ke Jhurmat Mein Akela Chand Hota Tha,
Jo Uske Husnke Aage Bahut Hi Mand Hota Tha,
Falaq Par Raqs Karte Anginat Roshan Sitaron Ko,
Jo Hum Tarteeb Dete The,
To Uska Naam Banta Tha,
Hum Agle Roz Jab Milte To Guzri Raat Ki Har Bekali Ka Zikr Karte The,
Har Ek Qissa Sunte The,
Kahan? Kis Waqt? Kis Tarah?
Dil Dhadka Batate The,
Main Jab Kehta Tha Jana! Aaj To Main Sari Raat Ek Pal Nahi Soya,
To Wo Khamosh Rehti Thi,
Par Uski Neend Mein Dubi Hui,
Do Jheel Si Aankhein,
Achanak Bol Uthti Thi,
Main Jab Usko Batata Tha,
Ke Maine Raatko Roshan Sitaron Mein,
Tumhara Naam Dekha Tha,
To Wo Kehti Thi,
Razi Tum Jhuth Kehte Ho,
Sitare Maine Dekhe The,
Uar Un Roshan Sitaron Mein,
Tumhara Naam Likha Tha,
Ajab Masoom Ladki Thi,
Mujhe Kehti Thi,
"Lagta Hai Ke Ab Apne Sitare Mil Hi Jayenge",
Magar Usko Khabar Kya Thi,
Kinare Mil Nahi Sakte,
Mohabbat Ki Kahani Mein,
Mohabbat Karne Walon Ke,
Sitare Mil Nahi Sakte...