Tuesday, June 22, 2010

Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs


Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Ail Shakhs

Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs

Khula Yah Raaz Ke Aaina Khana Hai Duniya
Aur Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs

khushbo jo udass samander k pass hai


khushbo jo udass samander k pass hai
mere laboon ke pyas samander k pass hai

zinda raha to milta rahonga kabhi kabhi
madhum c ek ass samander k pass hai

geli zameen pe naksh e qadum bhi nahi mager
ek ashna c bass samander k pass hai

sari sadain daap gain pani k shor main
ek hourf na sapass samander k pass hai

Musalsal hogi teri maat mohabat kuch nahi hoti


Musalsal hogi teri maat mohabat kuch nahi hoti
Na karna phir wafa ki baat mohabat kuch nahi hoti

Subah shabnam,sunhary dhoop gahray shaam k saaye
Phir ayee gi andheri raat mohabaat kuch nahi hoti

Khalus-e-hamsafar ko tau wohi janay ya khuda janay
Kahan pay chor jaye saath mohabat kuch nahi hoti

Mohabat-O- Murawat ki tum kis dunya main rahtay ho
Yahan hain aur hi halaaat muhabat kuch nahi hoti

ker liya hai faisla kehna ossay


ker liya hai faisla kehna ossay
abb na hoga rabta kehna ossay

jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH
kho gaya woh Rasta kehna ossay

teri YADEEN DIL se ruksat ho gain
ho chuka yeh saneha kehna ossay

abb na dekhay ga tumhara rasta
dil ko may samjha chuka kehna ossay

cheen se sone na dega Ghum tujhi
raat bher abb jagna kehna ossay

aashna bun ker na milna rah may
Dosti ek khuwab tha kehna ossay

moer k pechay dekhtay hum bhi nahi
soch ker munh phairna kehna ossay

Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha


Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha...
Kashti Ke Musafir Nay Samandar Nahin Dekha...

Bay Waqt Agar Jaoongi Sab Chonk Pare Ge...
Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha

Jis Din Se Chali Hoon Meri Manzil Par Nazar Hai...
Ankhoon Ne Kabhi Mail Ka Patther Nahin Dekha...

Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain...
Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha...

Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine...
Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha...

Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminay...
Jo Choor Dia Phir Use Moor Kar Nahin Dekha...

Khat Asa Likha Hai Ke Nagine Se Jare Hain...
In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha...

Patther Mujhay Kehtey Hain Mere Chahne Wale...
Main Moum Hoon Unhone Mujhe Choh Kar Nahin Dekha...

Wo Mere Masayeel Ko Samajh Hi Nahin Sakte...
Jis Ne Meri Ankhoon Main Samandar Nahin Dekha!

aae mohabbat k khuda ye tu bata


aae mohabbat k khuda
ye tu bata
ye aansoun mei doni zindagi
kab shanti k kehkahon ka rang pehnay gee
hamarey khawab kab tak
raishmi ta'beer k lamhoon ko tarseen gey
hamarey khouf kab tak dour hoon gey
aur baka ki jang mei
hum kab talak majboor hoon gey
aur
wo badal
hamare piyass ki mari houi dhertee pe
kab barsein gey
jin se khushboein tasweer hoon gee
aae mohabbat k khuda
perda utha
humko dikha wo bastiyan
jin ki hawaon mein
hamarey naam ki hoon takhtiyan

Woh Shaks Ke Jis Se Main Mohabbat Nahi Karta


Woh Shaks Ke Jis Se Main Mohabbat Nahi Karta,
Hansta Hai Mujhe Dekh Kar, Nafrat Nahi Karta,

Pakra He Gaya Hon Tu Mujhe Daar Per Khincho,
Saccha Hon Magar Apni Wakalat Nahi Karta,

Kiun Bakhsh Dia Mujh Se Gunahgaar Ko Moula,
Mansaf Tu Kisi Se Bhi Riayat Nahi Karta,

Kis Qoum Ke Dil Main Nahi Jazbaat-e-Ibrahim,
Kis Mulk Pe Numrood Hukumat Nahi Karta,

Daitain Hain Ujalay Mere Sajdoon Ki Gawahi,
Main Chup Ke Andheron Main Ibadat Nahi Karta,

Duniya Main Qateel, Us Sa Munafiq Nahi Koi
Jo Zulm Tu Sehta Hai, Bagawat Nahi Karta

Na jane kab se umdeein kuch baki hien


Na jane kab se umdeein kuch baki hien
Mujhe phir bhi teri yaad kyuuuun aati hai
Na jane kab se
Door jitna B tum Mujh se pass tere mein
Ab tu adad si hai mujh ko aaise jeene mein
zindagi se koi shikwa tu b nahi hia
Ab tu zinda hoon mein is Neele Aasmaaan mein
chahat hai yeh teri bharti jaye
Aaahat aaise hai yeh teri mujhe ko sataye
Yaadein Gehti hein itni dil doob jaye
or Aankhon mein yeh Ghum nam ban jaye
Ab tu adad si hai MUjhe ko aaise jeene mein
sub hi raatein hein sub hi batein hein
BHoola doo inhein mitta do unhein

Sari Duniya mein Faqat tujh se muhabbat ki


Sari Duniya mein Faqat tujh se muhabbat ki
Tu kisi aur ka ho jaye ye Mumkin he nahi

Zindagi ki sabhi yaadein hain tujh se Wabasta
tu meri yaad se ghafil ho ye Mumkin hi nahi

Main jo raaton ko jaagti hoon teri yaadon mein
tu so jaye sukoon se ye Mumkin hi nahi

Naam to tera hi mere naam k saath aaye
Tu kisi aur ka kehlaye, Ye Mumkin he nahi

Main Nazar Se Pee Raha Hoon Ye Samaan Badal Na jaye


Main Nazar Se Pee Raha Hoon Ye Samaan Badal Na jaye,
Na Jhukao Tum Nigaahein Kaheen Raat Dhal Na Jaye.

Miray Ashk Bhee Hain Iss Mein Ye Sharaab Ubal Na Jaye,
Miray Jaam Choonay Walay Tera Haath Jal Na Jaye.

Abhee Raat Kuch Hai Baaqee, Na Utha Naqaab Saaqee,
Teray Anay Kee Khushee Mein Mera Dam Nikal Na Jaye.

Mujhe Phonknay Se Pehlay , Mera Dil Nikal Leyna,
Ye Kisee Kee Hai Amaanat, Meray Saath Jala Na Jaye.!!!

ab Khushii hai na koi Ghum rulane wala


ab Khushii hai na koi Ghum rulane wala
humne apna liya har rang zamane wala

us ko ruKhsat to kiya tha mujhe maaloom na tha
sara ghar le gaya, ghar chhor ke jane wala

ik musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi mein koi der se jane wala

ek be-chehra si ummeed hai chehra-chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala

Mera Dost Jo Mujh Se Hua Tha Khafa


Mera Dost Jo Mujh Se Hua Tha Khafa
Mudattoon Baad Woh Mujh Se Khud Aaker Mila
Jhoti Nafrat Ke Patharoon Se Jo Bana Tha Qila
Muhabbat Ke Kankaroon Ne Kia Aaj Is Ko Fana
Aab Qila Koi Na Tameer Ho Aisa Yahan
Rab Se Mangi Hai Mein Ne Aab Ye Hi Dua
Lagay Tere Bin Mujhay Sare Mosam Khizaa
Kyun Ke Main Tha Yahan Aur Tu Tha Wahan
Aab Naza Na lagay Humhari Dosti Aye Khuda
Koi Silsila Dil Mein Aisa Muhabbatoon Ka chala
Koi Kuch Bhi Kehay Humeen Sunna Nahi Hai
Bas Yehi Kamiyaab Dosti Ki Hai Behtreen dawa

abhi woh dard baqi hai agarche waqt marham hai


abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool jane mein
dobara dil basane mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki
mujh per gard baqi hai
abhi woh dard baqi hai.

Popular Posts