Wednesday, July 14, 2010

kabhii lehrain tera chehra jo banaanay lag jayen



kabhii lehrain tera chehra jo banaanay lag jayen
merii ankhain mujhay darya main bahaanay lag jayen

kabhii ik lamhaa-e-fursat jo muyassar aa jaaye
meri sochain mujhay soolii peh charhaanay lag jayen

intizaar uss kaa naa itnaa bhi ziyaadaa karnaa
kya khabar barf pighalnay main zamaanay lag jayen

aankh uthaa kar bhii na dekhain tujhay din main hum log
shab ko kaghaz peh tera chehraa banaanay lag jayen

haadsey kya kya tumhaari be-rukhii say ho gaye


haadsey kya kya tumhaari be-rukhii say ho gaye
saarii dunya kailiye hum ajnabii say ho gayee

gardish-e-douraan, zamaanay kii nazar, ankhon ki niind
kitnay dushman aik rasm-e-dostii say ho gaye

kuch tumhaaray gaisouun kii barhamii nay kar diyee
kuch andheray meray ghar main roshnii say ho gaye

youn tou hum aagaah they sayyad kii tadbeer say
hum asiir-e-daam-e-gul apnii khushi say hso gaye

her qadam "Saghar" nazar aaney lagii hain manzilain
marhalay to merii kuch awaargii say ho gayee

Is se pehlay k Dasht-e-imkaan main



Is se pehlay k
Dasht-e-imkaan main
Wasl-e-jaanaan ki arzoo na rahay
Is se pehlay ke baar-e-gham se kaheen
Tujh ko panay ki justuju na rahay
Is se pehlay k dhasht-e-khwahish se
Fersh-e-afsurdgi bichay ser-e-rah
Laut aao k muntazir ha nigah
Is se pehlay k loh-e-kismet per
Baab-e-ulfat tamam ho jaiea
Is se pehlay k shaam ho jaiea...!!

Kaheen nahi ha aishara bhi kisi aahat ka


Kaheen nahi ha aishara bhi kisi aahat ka
Wohi ha dard wohi intazar-e-aakhir-e-shab
Hwa guzarti ha galioon say sharam saar si kuch
K aaj bhi koi khushbo nahi woh laa paiee !!
Sitaray dasht-e-falak main bikhartay jatay hain
Diloon main phalti jati ha koi tanhai

Taani ha daira dar daira woh tarike
Kisi taraf ko koi rasta nahi jata !!
Zameen say kon kahay ab k hum say baat tu kar
Ragoon ko toor na dalay kaheen ya saanata..!!

lo apna jahaan dunya walo, hum is dunya ko chorr chalay


lo apna jahaan dunya walo, hum is dunya ko chorr chalay
jo rishtay naatay jorray they woh rishtay naatay torr chalay

kuch sukh kay sapnay dekh chalay, kuch dukh kay sapnay jhail chalay
taqdeer ki andhi gardish nay jo khail khilaaye, khail chalay

her cheez tumhari louta dii hum lay kay nahin kuch saath chalay
phir dosh na dena ay logo hum dekh lo khali haath chalay

yeh raah akailii kat-ti hai yaaan saath na koi yaar chalay
uss paar na-janay kya payen iss paar tou sub kuch haar chalay

Jo utar ke zeenaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush mein samaa gaye


Jo utar ke zeenaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush mein samaa gaye
wahii jalate bujhate Se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

yeh ajiib khel hai pyar kaa main ne aap dekhaa yeh mojezaa
woh jo lafz mere gumaan mein they woh terii zubaan par aa gaye

woh jo geet tum ne sunaa nahiin merii umr bhar kaa riyaaz thaa
mere dard kii thii woh daastaan jise tum hansii mein uraa gaye

woh charaaG-e-jaaN kabhii jis kii lau na kisii havaa se niguun huii
Terii bevafaii ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye

woh thaa chaand shaam-e-visaal kaa ke thaa ruup tere jamaal kaa
Merii ruuh se merii aankh tak kisii raushanii mein nahaa gaye

yeh jo bandgaan-e-niyaaz hai yeh tamaam hai vo lashkarii
Jinhen zindagii ney aman na dii to tere huzuur mein aa gaye

terii beruKhii ke dayaar mein, main havaa ke saath havaa huaa
Tere aayine kii talaash mein mere Khvaab cheharaa ganvaa gaye

Tere vaasavaaon ke fishar mein teraa sharar-e-rang ujar gayaa
Merii Khvaahishon ke Gubaar mein mere maah-o-saal-e-vafaa gaye

who ajiib phuul se lafz they tere honT jin sey mahak uThe
Mere dasht-e-Khvaab mein duur tak koii baaG jaise lagaa gaye

Merii umr se na simaT sake mere dil mein itane savaal they
Terey paas jitane jawaab they terii ik nigaah mein aa gaye

nahi hai rutt ye milnay ki wo mausam aur hi ho ga


nahi hai rutt ye milnay ki wo mausam aur hi ho ga
tere aanay ki ghari'on ka wo aalam aur hi ho ga

koi madham mehak aa ker galay ka haar banti hai
udasi hijr ki jesay wisaal-e-yaar banti hai

tere phoolon se honton per tabassum aur hi ho ga
jehan jis main rafaaqat ki khushi mehsoos hoti hai

mohabbat jis main her shay daaemi mehsoos hoti hai
hamaare haal k raazon ka mehram aur hi ho ga

Ab koi herf-e-dua kaam nahin aaye ga


Ab koi herf-e-dua kaam nahin aaye ga
Ab woh mehtab sar-e-baam nahin aaye ga

Ab dhalay ga na kabhi hijr ka jalta sooraj
Ab kabhi wasal ka hangaam nahin aaye ga

Jaa key us koochay mai yunhi palat aain gay
Waqt-e-rukhset koi dou gaam nahin aaye ga

Us ki galion mai hamain koi na pehchany ga
Koi taa'na koi dashnam nahin aaye ga

Dil key darwazaiy per dastak nahin day ga koi
Koi naama koi pegham nahin aaye ga

Magar aey bad-e-saba us say yeh jaa ker kehna
Is kahani mai koi naam nahin aaye ga

Udas Mat Ho Dil-E-Musafir Udas Mat Ho


Udas Mat Ho
Dil-E-Musafir Udas Mat Ho
Hawa Agerche Phuwar Daman Mein Bher Ke Layee Hai Beykalli Ki
Faza Agerche Kisee Khamoshi Se Muz,mahel Hai
Nigaah Mein Koee Raah Had E Niaah Tak Bey Panah Khali Hai
Din Sawali hai . Raat Kaali Hai
Shaam Roti Hai
Man Bhigoti Hai
Aas Bhi Gerche Bas Khayali Hai' Bas Khayali Hai......
Udas Mat Ho
Magar Tu Phir Bhi Udas Mat Ho
Udas Mat Ho
Agerche Lamhon Ki Sard Puron Pe Hijar Likha Hua Hai Barson
Agerche Waqti Khushi Ke Seene Pe Mustakil Dard Mal Gaya Hai Duaa Ki Sarson
Agerche Ehsas Ki Ragon Mein
Koee Andhera Sa Jam Gaya Hai-Khayal Mein Waqt Tham Gaya Hai
Abhi Koee Intezar Aankhon Se Kam Gaya Hai
Sitam Gaya Hai Na Koee Ranj O Alam Gaya Hai(Na Sabr Ke Sar Ka Kham Gaya Hai)
Yeh Sab Tumhare Hi Pairahan Hain
Abhi Se Yuun Belibas Mat Ho
Dil-E-Musafir
Udas Mat Ho

Abhi To Aankhon Mein Aansoon Ki Buhat Jaga Hai
Abhi To Raton Ke Jangalon Mein Musafaton Ki Buhat Jaga Hai
Abhi To Aahon Ke Qafle Mein Buhat Nami Hai
Abhi To Har Shay Ki Zindagee Mein Buhat Kami Hai
Abhi Se Yuun Khud Shanas Mat Ho
Udas Mat Ho
Dil-E-Musafir
Udas Mat Ho

Teri khushbuu ka patta kartii hai


Teri khushbuu ka patta kartii hai
Mujh peh ihsaan hawa kartii hai

Shab kii tanhaaii main ab tou aksar
Guftaguu tujh say raha kartii hai

Dil ko uss raah peh chalna hii nahin
Jo mujhay tujh say juda kartii hai

Uss nay dekha hi nahin werna yeh aankh
Dil kaa ehwaal kaha kartii hai

Shaam parrtay hi kisi shakhs kii yaad
Koochaa-e-jaan main sadaa kartii hai

Dukh huwa karta hai kuch aur bayaan
Baat kuch aur howa kartii hai

Maslaa jab bhii uthha charaaghon ka
Faisla sirf hawa kartii hai

Meri zaat zarra-e-be-nishaan



Tera siwa koi kia janay dil ki halat rabba

Samnay teray guzari, mujh par kaisi qiyamat rabba

Main wo kis trah sy karun biyaan, ju kiye gay hein sitam yahan

Sunay kon meri ye dastaan, koi hamnashein hey na razdaan

Ju tha Jhoot wo bana sach yahan, nahi kholi main magar zubaan

Ye akila'pan ye Udassiyaan, meri zendagi ki hey tarjmaan

Meri zaat zara-e-benishaan

Kabhi soni Subha mein ghoomna, Kabhi ujari shamoon ko dikhna

Kabhi bheegi ankhoon sy jagna, Kabhi beetay lamhoon ko sochna

Magar aik pal hey umeed ka, hey mujhay Khuda ka ju as'ra

Na he main ny koi gila kia, na he main ny di hein duhayaan

Meri zaat zara-E.benishaan

Main bataun kia mujhay kia milay, mujhay sabr ka he sila milay

Kisi yaad he ka kirda milay, kisi dard he ka sila milay

Kisi gham ki dil mein jaga milay, ju mera hey wo mujhay Aa milay

Rahay shaad younhe mera jahan, k yaqeen mein badlay mera gumaan

Meri zaat zara-e-benishaan
Meri zaat zara-e-benishaan

Qurbaton main bhi judaaii kay zamaanay maangay


Qurbaton main bhi judaaii kay zamaanay maangay
Dil woh be-mehar keh ronay kay bahaanay maangay

Hum na hotay tou kisi aur kay charchay hotay
Khalqat-e-shehar tou kehnay ko fasaanay maangay

Yehi dil thaa keh tarasta thaa maraasim kailiye
Ab yehi tark-e-talluq kay bahaanay maangay

Main woh mehroom keh jaisay koii veeraana ho
Tuu woh khush-fehm, kharaabon say khazaanay maangay

Apna yeh haal keh jii haar chukay, lut bhi chukay
Aur muhabbat wohii andaaz puraanay maangay

Yeh dasht-e-hijr, yeh wehshat, yeh shaam kay saaye


Yeh dasht-e-hijr, yeh wehshat, yeh shaam kay saaye
Khuda yeh waqt terii aankh ko na dikhlaaye

Ussi kay naam say lafzon main chaand utray hain
Woh aik shakhs keh dekhoon tou aankh bhar aaye

Kali say main nay gul-e-tar jisay banaya thaa
Rutain badaltii hain kaisay, mujhay hi samjhaaye

Jo be-charaagh gharon ko charaagh deta hai
Ussay kaho keh meray shehar ki taraf aaye

Yeh iztaraab-e-musalsal azaab hai Ya Rab
Mera nahiin tou kisi aur hii ka ho jaaye

Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo



Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo
Yaan tou aatay hain musaafir, so chalay jatay hain

Haan yehi naam thaa, kuch aesa hi chehra muhraa
Yaad parrta hai keh aayaa thaa musaafir koii
Soonay aangan main phira karta thaa tanha tanha
Kitni gehrii thii nigaahon kii udaasi uss kii
Log kehtay they keh hoga koii aaseb-zadda
Hum nay aesii bhii koii baat naa uss main dekhii

Yeh bhi himmat na hoii, paas bithaa key poochain
Dil yeh kehta thaa koii dard ka maara hoga
Lout aayaa hai jo aawaaz na uss kii paaii
Jaanay kiss dar peh kissay jaa key pukaara hoga
Yaan tou her roz kii baatain hain yeh jeetain maatain
Yeh bhi chaahat key kisi khail main hara hoga

Aik tasveer thii, kuch aap say miltii jultii
Aik tehreer thii, per iss ka tou qissa chorro
Chand ghazlain theen keh likheen, kabhi likh kar kaateen
Shair achay they, jo sun lo tou kaleja thaamo
Bus yehii haal musaafir ka thaa, hum nay dekhaa
Jaanay kiss raah main kiss shakhs nay loota uss ko

Guzra kartay hain sulagtay howay baaqi ayyaam
Log jub aag lagatay hain bujhaatay bhi nahin
Ajnabi peet kay maaron say kisi ko kya kaam
Bastiyon walay kabhi naaz uthaatay bhi nahin
Cheen laitay hain kisi shakhs say ji ka aaraam
Phir bulaatay bhi nahin, paas bithaatay bhi nahin

Aik din subh jo dekhaa tuo saraaye main na thaa
Jaanay kis dais gyaa hai woh divana dhoondo
Hum say poocho tou na aaye ga woh janay wala
Tum tou na-haq ko bhataknay ka bahaana dhoondo
Yaan tou aayaa jo musaafir younhii shab-bhar thehra
Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo

Tumhari yaad ka mausam Jo her ik dukh say gehra hai


Tumhari yaad ka mausam
Jo her ik dukh say gehra hai
Na jane kitni muddat say
hamare man main thehra hai

Mager tum nay nahi jana, mager tum nay nahi socha

Tumhare pyar ka mausam
jo her mausam se pyara hai
Mere in be-karaa'n lamhoon ka
woh wahid sahara hai

Mager tum nay nahi socha, mager tum nay nahi samjha

Tumhare baad ka mausam
Us kaali ghaat jaisa hai
Na jeeti aur na hari ho
ik aisi maat jaisa hai

Mager tum nay nahi deikha, mager tum nay nahi jana.......!!

Ey husn-e-laala-faam zara aankh tou milaa


Ey husn-e-laala-faam zara aankh tou milaa
Khali parray hain jaam zara aankh tou milaa

Kehtay hain aankh aankh say milna hai zindagii
Dunya kay chorr kaam, zara aankh tou milaa

Kya woh na aaj aayen gay taaron kay saath saath
Tanhaaiyon kiii shaam zara aankh tou milaa

Yeh Jaaam, yeh sabuu yeh tasawwur ki chaandnii
Saaqii kahan mudaam, zara aankh tou milaa

Saaqi mujhay bhi chahiye ik jaam-e-aarzoo
Kitnay lagain gay daam zara aankh tou milaa

Pamaal ho na jaaye sitaaron ki aabroo
Ay meray khush-kharaam zara aankh tou milaa

Hain raah-e-kehkshaan main azal say kharray howay
Saaghar teray ghulaam zara aankh tou milaa

Udaas larrkii Jo ban parray tou


Udaas larrkii
Jo ban parray tou
Tou yeh khud say kehna kabhi tou jaanaan
Keh tum ko aatii hai yaad ab bhii
Woh aik sundar udaas larkii
Woh khoiii khoiii sii ankhon walii
Woh uljhii uljhii sii sochon walii
Woh jhootii muskaan ko labon peh sajaanay walii
Woh apnay baaray main dheeray dheeray say tum ko sub kuch batanay walii
Woh baat be-baat rooth kar maan jaanay walii
Kabhi kabhi tou hisaab-o-hadd say bhi barh kay hai yaad aanay waliii
Sataanay walii.... manaanay walii
Woh aik sunder udaas larkii..........!

Kab tak dil kii khair manayen kab tak raah dikhaao gay



Kab tak dil kii khair manayen kab tak raah dikhaao gay
Kab tak chain kii mohlat do gay kab tak yaad na aao gay

Biitaa deed ummeed ka mousam khaak urrtii hai ankhon main
Kab bhaijo gay dard ka baadal kab barkhaa barsaao gay

Ehd-e-wafaa aur tark-e-muhabbat jo chaaho so aap karo
Apnay bus kii baat hii kyaa hai hum say kya manwaao gay

Kiss nay wasl kaa suuraj dekha kiss peh hijr kii raat dhalii
Gesuuon waalay kon they, kya thay, unko kya jatlaao gay

Faiz dilon key bhaagh main hai ghar basnaa bhii lutt jana bhiii
Tum uss husn key lutf-o-karam peh kitnay din itraao gay

Dil Ishq Main Bey Payan , Souda Ho to Aisa Ho


Dil Ishq Main Bey Payan , Souda Ho to Aisa Ho
Darya Ho To Aisa Ho, Sehra Ho To aisa Ho

Ik Khal_e_Sawaida Main, Pehnai Do Alam
Phaila Ho To Aisa Ho, Simta Ho To Aisa Ho

Aye Qais Janun Paisha, Insha Ko Kabhi Daikha?
Wehshi Ho To Aisa ho,Ruswa Ho To Aisa Ho

Darya Bah Habab Andar, Tufaan Bah Sahab Andar
Mehshar Bah Hijaab Andar, Hona Ho To Aisa Ho

Hum Sai Nahin Rishta Bhi, Hum Sai Nahin Milta Bhi
Hai Paas Wo Baitha Bhi, Dhoka Ho To Aisa Ho

Wo Bhi Raha Baigana, Hum Nai Bhi na Pechana
Haan Aye Dil_e_Deewana, Apna Ho To Aisa Ho

Is Dard Main Kya Kya Hai, Ruswai Bhi Lazzat Bhi
Kanta Ho To Aisa Ho,Chubhta Ho To Aisa Ho

Hum Nai Yehi Manga Tha, Us Nai yehi Bakhsha
Banda Ho to Aisa Ho, Data Ho To Aisa Ho

Woh aik shakhs keh,Manzil bhi rasta bhi hai


Woh aik shakhs keh,Manzil bhi rasta bhi hai
Wohi dua bhi wohi hasil-e-dua bhi hai

Main us ki Khoj mein nikla hoon saath le ke use
Woh husn mujh pay ayan bhi hai aur chhupa bhi hai

Main dar badar tha magar bhool bhool jaata tha
K ik charagh dareeche main jaagta bhi hai

Khula hai dil ka dareecha usi ki dastak par
Jo mujh ko meri nigahon se dekhta bhi hai

Yeh meri sarhad-e-jaan main qadam dhara kis nay
K mehve khawab hoon aankhon main ratjaga bhi hai

Kaghaz kaghaz harf sajaya karta tha


Kaghaz kaghaz harf sajaya karta tha...
Tanhai main shaher basaya karta tha...

Kaisa pagal shakhs hai sari sari raat...
Dewaron ko dard sunaya karta tha...

Ro daita hai ap hi apni apni baton par...
Aur phi khud ko ap hansaya karta tha...

Chehray se tera rog chupata to hans deta...
Ankhon main teri yaad manaya karta tha....

Yaro kachi umr ka pyar usay le doobaaa...
Jo logon ko jeenay k andaaz sikhaya karta tha.

Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad


Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad
Gham Ban Gaya Naseeb Maira Har Khushi Ke Baad


Nikla Tha Kaarwaan Mohabbat Ki Raah Mein
Har Morr Pay Nafrat Kharri Thi Har Gali Ke Baad

Socha Tha Pyar Ka Main Sajaoon Ga Gulsitaan
Har Phool Jal Gaya Maira Ban Kar Kali Ke Baad

Chahat Ki Be-basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar
Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi Dil Lagi Ke Baad

Abb Raakh He Samait-ta Hoon Aashiyaney Ki
Khud Hi Jala Diya Tha Jaisey Aajazi Ke Baad

Suntey Hain Baad Marney Ke Milta Hai Sab Sila
Daikhein Gey Kya Miley Ga Humein Zindagi Ke Baad

Meray Muqablay mein dil kisi pe haar k daikh


Meray Muqablay mein dil kisi pe haar k daikh
Baghair meray zaraa Zindagi guzaar k daikh

Tujhay nahin hai meri shiddaton ka andaaza
Kisi bhi simt se mujh ko kabhi pukaar k daikh

Tu aa k mera sabhi kuchh he chheen k le ja
Mohabbaton ka mera Qarz yun utaar k daikh

Boht hi pyaar se daikhay ga Aina tujhko
Kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k daikh

Bisaat-e-Dil pe ajab hai Shikast-e-Zaat ka Lutf
Jahan pe JEET attal ho, wo CHAAL HAAR k daik

Zara tham tham k barsa kar abhi itna


Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hen
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
Mujhe ase na dekha kr

Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar

Wo 1 din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar

Wafa Is Ko Nahi Kehte Wafa Kuch Or Hoti Hai


Wafa Is Ko Nahi Kehte

Wafa Kuch Or Hoti Hai

Muhabbat Karne Walon Ki

Adaa Kuch Or Hoti Hai

Tumhen Dekha

Tumhen Chahaa

Tum hi Se Pyaar Ker Bethe

Suno Patthar K Dil WalOn

Muhabbat Aisi Hoti Hai

Agarche Ghum Ka Maara Hon

Magar Tum Ko na Bholon Ga

K DewaNon K HontOn per

Duaa Kuch Or Hoti Hai

Tarap Uthe Gi Ye DuniYa

Agar RoYe Ga Ye Dil Mera

K Dil Se Jo Nikalti Hai

Wo Sadaa Kuch Or Hoti hai

Kehnay Ko Muhabbat hai lakin Ab aesi muhabbat kya karni


Kehnay Ko Muhabbat hai lakin
Ab aesi muhabbat kya karni…
Jo neend chura ley ankhon se
Jo khawab dikha ye pholon k
Tabeer main kantay de jaye
Jo gham ki kali raaton se
Her aas ka jugnu ley jaye
Jo khawab sajati ankhon ko
Aansu hi aansu de jaye
Jo mushkil ker de jeenay ko
Jo marnay ko asaan karay
Woh dil jo Pyar ka mandir ho
Wo yadoon ko mehman kare
Ab Aisi Muhabbat kya karni…
Jo umer ki naqdi ley jaey
Aur phir bhi jholi khali ho
Woh soorat DIL ka rog Bana
Jo soorat dekhi bhaali ho
Jo Qais bana de Insan ko
Jo Ranjha Aur Farhad karay
Ab Aisi Muhabbat kya karni..?
Jo khushiyon ko Barbad kare
Dekho to Muhabbat k Baray
Har shakhs yahi kuch kehta hai
Socho to Muhabbat k Ander
Ik Dard humesha rehta hai
Phir Bhi Jo cheez MUHABBAT hai
Kab In baaton se Darti hai
Kab in k baandhay rukti hai
Jis DIL main iss ko Basna ho
Yeh Chupkay say Bas jati hai

Manzil-E-Ishq Me Aisa B safar dekha


Manzil-E-Ishq Me Aisa B safar dekha,
Pareshan staron Me FALAK pe qamar dekha.

Zindgi b akhir us K naam hogi,
Sar-e rah jise hm ne faqat ik nazar dekha

Gulshan-e-wfa k tamam charag bujh gay,
Jalta hua faqt hmne apna hi jigar dekha

Mat puch dil ki haalat jo hui so hui,
Kisi k sath jo humne apna hmsafar dekha

Tri yadon k nshemn me basera hy aj b,
Baharon ka nai hmne idhar se gzar dekha

Jiski talash me hum mit gay,
Dekha usne akhir to qyamt ki nzr dekha

Tujh ko darya dili ki qasam saaqiya


Tujh ko darya dili ki qasam saaqiya
Mus'taqil daor par daor chalta rahe'
Raonaq-e-mai'kada yuuN hi baRhti rahe'
Aik girta rahe' ik sambhalta rahe'
Sirf shabnam hi sehan-e-gulistaaN nahi
Shaola-o-gul ka bhi daor chalta rahe'
Ashk bhi chashm-e-pur'nam se behte' raheiN
Aor dil se dhuaaN bhi nikalta rahe'
Tere' kabze' ma hai ye nizaam-e-jahaaN
Tu jo chaahe' to sehara bane' gulistaaN
Har nazar par teri phool khilte' raheiN
Har ishaare' pe maosam badalta rahe'
Tere' chehre' pe ye zulf bikhri huii
Neend ki god ma subha nikhri huii
Aor is par sitam ye adaayeiN teri
Dil ye aakhir kahaaN tak sambhalta rahe'...!!!

us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai


us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai
yun to kehne ko sabhi kehtay hain yun hai yun hai

jaisay koi dar e dil per ho stadah kab se,
aik saya na daroon hai na baroon hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin dast e wafa ki tasvir
nook e her khaar pe ik qathrah e khoon hai yun hai

tum mohabbat main kahan sood o zyaan le aaye
ishq ka naam khirad hai na junoon hai yun hai

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab to darya main talatum na sukoon hai yun hai

naseha tujh ko khaber kya k mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairy tazah zamanoon ki hai maimaar FARAZ!
ye bhi ik silsilay e kun fa yakoon hai yun hai.

Aaj ke shaam maray dil main charaghiaan hai bohat


 
Aaj ke shaam__ maray dil main charaghiaan hai bohat
shoorah-a-durad pus-a-chaak giraibaan hai bohat

yaad-a-yaariaan say munawar hain dur-o-bam-a-hayaat
fikar-a-aariash-a-dildar durkhshiaan hai bohat

runjash-a-dilzudgiaan hud say bari jatee hai
bukashish-a-gurdish-a-dooraan be faraviaan hai bohat


aaj ke shaam samaity howay gumgushta naqoosh
zeena zeena maray seenay main utar aayee hai

moosam a hubas hai aisa kay muasar ab tu
shoorash-a-hulqa-a-ahbab na tunhai hai

khood main simtoon tu bikharnay ke khulish dustee hai
khood say bahar be na shuharat hai na ruswaii hai

karwatiaan durad badalta hai pus-a-lumha-a-shooq
aahatiaan daman-a-aaghaz main anjaam ke hain

maray chahary pay dahaktay hai rukh-a-dahar kay rung
maray maathay pay khirashiaan ghum-a-aayam ke hain

maray hoontoon pay duaan ke lakeeriaan hain
maray seenay main sabhi saaitiaan Ilham ke hain

mari dukhtee hoi aankhoon main magar aaj ke shaam
jitnee shamiaan be farooziaan hai taray naam ke hain...

Jab Tere Dhun Men Jia Karty They


Jab Tere Dhun Men Jia Karty They
Ham Bhi Chup Chap Phira Karty They

Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Karty They

Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Ham Tere Bat Kia Karty They

Sach Samjhty They Tery Wadoon Ko
Rat Din Ghar Men Raha Karty They

Kisi Werany Men Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Karty They

Ghar Ke Dewar Sajany Ke Khatir
Ham Tera Nam Likha Karty They

Wo Bhi Kia Din They, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Karty They

Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aeya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Karty They.. 

har baar mere saamane aatii rahii ho tum



har baar mere saamane aatii rahii ho tum
har baar tum se mil ke bichha.Dataa rahaa huu.N mai.n
tum kaun ho ye Khud bhii nahii.n jaanatii ho tum
mai.n kaun huu.N ye Khud bhii nahii.n jaanataa huu.N mai.n
tum mujh ko jaan kar hii pa.Dii ho aazaab me.n
aur is tarah Khud apanii sazaa ban gayaa huu.N mai.n



tum jis zamiin par ho mai.n us kaa Khudaa nahii.n
bas sar basar aziiyat-o-aazaar hii raho
bezaar ho ga_ii ho bahut zindagii se tum
jab bas me.n kuchh nahii.n hai to bezaar hii raho
tum ko yahaa.N ke saayaa-e-paratau se kyaa Garaz
tum apane haq me.n biich kii diivaar hii raho



mai.n ibtadaa-e-ishq me.n bemahar hii rahaa
tum intahaa-e-ishq kaa miyaar hii raho
tum Khuun thuukatii ho ye sun kar Khushii hu_ii
is rang is adaa me.n bhii pur_kaar hii raho


mai.n ne ye kab kahaa thaa ke muhabbat me.n hai najaat
mai.n ne ye kab kahaa thaa ke vafadaar hii raho
apanii mataa-e-naaz luTaa kar mere liye
baazaar-e-iltafaat me.n naadaar hii raho



jab mai.n tumhe.n nishaat-e-muhabbat na de sakaa
Gam me.n kabhii sukuun-e-rafaaqat na de sakaa
jab mere saare charaaG-e-tamannaa havaa ke hai.n
jab mere saare Khvaab kisii bevafaa ke hai.n
phir mujhe chaahane kaa tumhe.n ko_ii haq nahii.n
tanhaa karaahaane kaa tumhe.n ko_ii haq nahii.n

Chamakte chaand ko toota hua taara bana daala


Chamakte chaand ko toota hua taara bana daala
Meri awargi ne mujhko awara bana daala.....!
Bara dilkash, bara rangeen hai yeh shehr kehtay hain
Yahan par hai hazaaron ghar, gharon main log rehtay hain
Mujhe iss shehr ne galiyon ka banjaara bana daala!
Mein iss duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hoon
Na mujh bana saka chota sa ghar din raat rota hoon
Khudaya tu ne kaisay yeh jahan saara bana daala!
Mere Maalik mera dill kyun tadapta hai, sulaghta hai
Teri marzi pay kiss ka zor chalta hai
Kissi ko gul, kisi ko tu ne angaara bana daala!
Yehi aagaaz tha mera, yehi anjaam hona tha
Mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
Mujhe taqdeer ne, yaqdeer ka maara bana daala!
Chamaktay chaand ko toota hua taara bana daala!
Meri awargi ne mujhko aawara bana daala!

khumar e ghum hay mekhti fiza mein jeete hain


khumar e ghum hay mekhti fiza mein jeete hain
tere khayal ki aab o hawa mein jeete hain

bare tapaak se milte hain milne wale mujhe
woh mere dost hain teri wafa mein jeete hain

firaq e yaar mein sanson ko roke rekhte hain
har aik lamha guzarti qaza mein jeete hain

tumhari bataon mein koi maseeha basta hay
hasee,n labon se barasti shifa mein jeete hain

na baat pori hoi thi k raat toot gayi
adhure khawab ki adhi saza mein jeete hain

Mujhe zindagi ki dua na do


Mujhe zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin
koi zindagio per karey yaqeen
mujhey zindagi pe yaqeen nahin
yeh safar bhi kaisa safar hua
mein kabhi kahin tou kabhi kahin
mujhey jis sanam ki talash thi
woh mila magar meraa nahin
mein woh raat hoon jo katti nahin
mein woh baat hoon jo bani nahin
mujhey zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin”

Raat sunti rahi mein sunata raha


Raat sunti rahi mein sunata raha,
Dard ki daastaan mein batata raha,


Log logoon se chahat nibhatay rahay,
Ik wo tha mera dil jalata raha,


Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi,
Wo nigahein milata raha churata raha,


Ik mein hi piyasa raha dosto,
Log peetay rahay mein pilata raha,


Dil k mehman khanay mein ronaq rahi,
Koi aata raha koi jata raha,


Hum-maktab ne sara sabak parh lia,
Mein tera naam likhta raha mitata raha

Aalam na poochiye jo hamaara hai aaj kal



Aalam na poochiye jo hamaara hai aaj kal
Kashti bhanwar may door kinaara hai aaaj kal



Tere hi ghum ka dil ko sahara hai aaj kal
Bekaif zindagi bhi gawaara hai aaj kal



Allah re inqalaab ke ek baada’ khwaar ka
Do chaar aansoonwon pe guzaara hai aaj kal



Yeh daur-e-mahtaab yeh rang-e-shab-e-bahaar
Fitrat ne gaisoowon ko sanwaara hai aaj kal



Ek baar keh ke phir yeh zabaan se na keh sakey
Hum jiss ke hogaye, woh hamaara hai aaj kal



Baqi raha tha zinda dilon mein bas
Woh bhi ghum-e-firaaq ka maara hai aaj kal. 

paida rah-e-khalous main dushwariyan na kar

paida rah-e-khalous main dushwariyan na kar
chahat nahi tu ham se ada-karaiyan na kar

lafzon se khailne ki zarorat nahi tujhay
sada dilon k saath ye fankariyan na kar

jin se nahi lagaao unhain moun bhe mat laga
be-wajha har dukan se kharidariyan na kar

tu shak-e-gul hai koe amar bail tu nahi
wabasta har shajar se wafadariyan na kar

es shugl-e-bejawaaz se kia faida tujhe
dil mat dukha kise ka dilaazariyan na kar

taza hai dil pe daagh agar pehli choat ka
pher dosri shikast ki taiyariyan na kar

Jub yaar ne reht-e-safar bandha kub zabt ka yara uss din tha


Jub yaar ne reht-e-safar bandha kub zabt ka yara uss din tha
Her dard ne dil ko sehlaya kiya haal hamara uss din tha

Jub khuwab hoi uss ki aankhain jub dhund hoa uss ka chera
Her ashk sitara uss shab tha her zakhm angara uss din tha

Sub yaroon ke hote sote hum kis se gale mil kar rote
Kub galiyan apni galiyan thein kub sheher hamara uss din tha

Jub tujh se zara ghafil therey her yaad ne dil per dastak di
Jub lab pe tumhara naam na tha her dukh ne pukara uss din tha

Ek tum hi Faraz they tanha abb ke tou bulawa jub aaya
Ek bheer lagi thi maqtal main her dard ka mara uss din tha

wo log meray bohot pyaar karnay vaalay thay



wo log meray bohot pyaar karnay vaalay thay
Guzar gaye hain jo mausam guzarnay vaalay thay

Nayee ruton mein dukhon ke bhi silsilay naye
Ke zakhm taaza huay hain jo bharnay vaalay thay

Yeh kis muqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki
Keh ab to jaa ke kahin din sanvarne vaalay thay

Tamaam raat nahaaya tha sheher barish mein
Wo rang utar hi gaye jo utarnay vaalay thay

Us aik chotay say qasbay mein rail thehri nahin
wahaan bhi chand musaafir utarnay vaalay thay

KaantoN se guzar jaana shaoloN se nikal jaana


KaantoN se guzar jaana shaoloN se nikal jaana
PhooloN ki basti ma jaana to saMbhal jaana

Din apna CharagoN ki maanind guzarte haiN
Har subah ko bujh jaana har shaam jal jaana

BachoN hi si fitrat hai ham ehl-e-mohabbat ki
Zid karna machal jaana phir khud hi saMbhal jaana

Wo shakhs bhala mera kya saath nibhaaye ga
Maosam ki tarah jis ne seekha hai badal jaana

Guzar gaye kai mausam kai ruten badlin




Guzar gaye kai mausam kai ruten badlin
Udas tum bhi ho yaaron udas hum bhi hain

Faqt tumko hi nahi ranj-e-chak damani
Jo sach kahen to dareeda libaas hum bhi hain

Tumhare baam ki shammein bhi tabnak nahi
Mere falaq ke sitare bhi zard zard se hain

Tumhen tumhare aaina khane ki zangalooda
Mere surahi aur sagar gard gard se hain

Na tumko apne khado khaal hi nazar aayen
Na main yeh dekh sakoon zaam mein bhara kya hai

Basharaton pe woh jale pade ki dono ko
Samajh mein kuchh nahi aata ki mazra kya hai
Na sar mein who garoor-e-qaseeda qamti hai

Na kumriyon ki udasi mein kuchh kami aayi
Na khil sake kisi zanib mohabbaton ke gulab
Na shakh-e-aman liye fakhta koi aayi

Alam to yeh hai ki dono ke marzaron se
hawa-e-fitna-o-boo-e-fasad aati hai

sitam to yeh hai ki dono ko waham hai ki bahar
udook-e-khoon mein nahane ke baad aati hai

so yeh maal hua ki is darindagi ka ki
ab tumahre haath salamat rahe na haath mere

karen to kis se Karen apni lagzison ka gila
na koi saath tumahre na koi saath mere

tumhein bhi zid hai ki mask-e-sitam rahe zari
humein bhi naaz ki zaro zafa ke aadi hain

tumhein bhi zom mahabharat ladi tumne
humein bhi fakhr ki hum qarbala ke aadi hain

tumahre hamare shahron ki mazboor benawa makhlooq
dabi hui hain dukhon ke hazard heron mein

ab inki teer-e-nashi bhi chirag chahti hai
jo log unnes sadi tak rahe andheron mein

chirag jin se mohabbat ko roshni faile
chirag jin se diye beshumar roshan hon

tumhare desh mein aaya hoon doston
ab ke na saaz-o- naghmon ki mehfil na shayari ke liye

agar tumahri hi ana ka hai sawal
to chalo main haath badhata hoon dosti ke liye

dayaar-e-dil kii raat me.n chiraaG saa jalaa gayaa


dayaar-e-dil kii raat me.n chiraaG saa jalaa gayaa
milaa nahii.n to kyaa huaa vo shaql to dikhaa gayaa


judaa_io.n ke zaKhm dard-e-zindagii ne bhar diye
tujhe bhi niind aa ga_ii mujhe bhii sabr aa gayaa

ye subah kii safediyaa.N ye dopahar kii zardiyaa.N
ab aa_iine me.n deKhataa huu.N mai.n kahaa.N chalaa gayaa

pukaratii hai.n fursate.n kahaa.N ga_ii vo sohabate.n
zamii.n nigal ga_ii unhe.n yaa aasamaan khaa gayaa

vo dostii to Khair ab nasiib-e-dushmanaa.N hu_ii
vo chhoTii chhoTii ranjisho.n kaa lutf bhii chalaa gayaa

ye kis Khushii kii ret par Gamo.n ko niind aa ga_ii
vo lahar kis taraf ga_ii ye mai.n kahaa.N samaa gayaa

gaye dino.n kii laash par pa.De rahoge kab talak
uTho amal_kasho.n uTho ki aafataab sar pe aa gayaa

ho na duniya main koi hum sa bhi piyasa lougoon


ho na duniya main koi hum sa bhi piyasa lougoon
jee main aati hay k pee jayen ye darya lougoon
kitni is shaher k sakhiyoun k suni thi baatien
hum jo aaye to kisi ne bhi na pocha lougoon
itefaqan he sahi, par koi dar to khulta
jhilmilata pas_e_chilman koi saaya lougoon
sab k sab mast rahay apne nihaa khanoun main
koi kuch baat musafir ki bhi sunta lougoon






hoonge is shaher main kuch us k bhi parhney walay
youn to ye shaks bhi mashhour tha khasa lougoon
kisi daaman, kisi aanchal ki hawa to milti
jab sar_e_rah ye daamandha gira tha lougoon






ik tasveer thi, kya janiye kis ki tasveer
naqsh muhoom se, or rang ura sa lougoon
ik awaaz thi, kya janiye kis ki aawaaz
us ne aawaaz ka rishta bhi na rakha lougoon





kuch pata us ka humain ho to tumhain batlaaien
koun ghar? koun nagar? koun muhallah lougoon
chand hurfoun ka muamma tha wo uljha suljha
us ne to naam bhi poura na bataya lougoon






haaye ye dard k mushkil se thama tha dil me
chand ponam ka abhi se nikal aaya lougoon?







phir wohe dasht, wohe dasht ki tanhaiye hay
wahshat e dil ne kaheen ka bhi na rakha lougoon
us main himmat hay to dar aaye,outha de ye hisaar
apne gunbad main to dar hay na dareecha lougoon
jee ki jee he main rahainhasrataien toofaan ki
ye safina to kinaray he pe douba lougoon







aaj ki daak se kya koi lifafa aaya?
kaisi sargoshiyaan kartay ho. aray kya lougoon
koi paighaam zubani bhi nahi kuch bhi nahi
hum ne apne ko bohot dair samhala lougoon
band aankhain howe jaati hain, pasaaraien paaon
neend si neend? humain ab na outhana lougoon
ik he shab hay taveel,itni taveel, itni taveel
apne aiiyaam main imroz na farda, lougoon





ab koi aaye to kehna musafir to gaya
ye bhi kehna k bhala ab bhi na jata lougoon
rah taktay howe pathra si gayen theen aankhain
aah bhartay howe chalni howa seena lougoon
hoont jaltay thay jo layta tha kabhi aap ka naam
is tarha or kisi ko na sataya lougoon......!!!

Main apne bad apni Sada chor jaunga

ajnabi shehr, saa'y teri yaad



ajnabi shehr, saa'y teri yaad
shaam dhalty hi aa'y teri yaad


rooh ki pu-thakan musafat pr
hy mujhy ik sara'ay teri yaad


chand um'meed ka ho roshan tr,
us pe halaa bna'ay teri yaad


khyaal ki reh'guzer jo ho taa'reek
roshni ban k aa'ay teri yaad


jab kabhi khud se roTh jaoN to,
mujh ko aa kr mna'ay teri yaad


ho k reh ja'y bas meri monis
gar mujhy aazmaa'y teri yaad

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN.

Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN.

Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN.

Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga,
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN.

Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa MOHSIN.

Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN.

Jisey tum zindagi jano tumhain wo rog kehta ho



Jisey tum zindagi jano
tumhain wo rog kehta ho
k jis ne khud he chahat se
tumhara haath thama ho
wo apne dil k darwazay
tum he per band karday to

mohabbat mar bhi sakti hay

tumhain sangsaar karnay ko
jo sang bantay lougon main
kar k band ghar k darwazay
saans per pehray lagay to

mohabbat mar bhi sakti hay

ye kis ne keh diya tum se
mohabbat mar nahi sakti
k jab koi tumhain jaan se guzar janay ko kehta ho
aadhi raah main khud he mur janay ko kehta ho
wo apni be wafai ka khud he aitraaf karlay to

mohabbat mar bhi sakti hay.!
mohabbat mar bhi sakti hay...!!

pindaar k khogar ko nakaam bhi deakho gay


pindaar k khogar ko
nakaam bhi deakho gay?
aaghaaz se waqif ho
anjaam bhi deakho gay?


rangeeni_e_duniya se
mayood sa ho jana
dukhta howa dil lay kar
tanhaai main kho jana
tarsi howe nazroon ko
hasrat se jhuka layna
faryaad k tukroon ko
aahoun main chupa layna


raatoun ki khamoshi main
chup kar kabhi ro layna
majboor jawani k
malboos ko dho layna


jazbaat ki wasa"t ko
sajdoun se basa layna
bholi howe yaadoun ko
seenay se laga layna

takleef main jo lab pe tera naam aagaya


takleef main jo lab pe tera naam aagaya
kuch dard barh gaya ,zara aaraam aagaya

main ja raha tha tere tasaouvar k sath sath
rastay main younhe aalam_e_ajsaaam aagaya

hum ko to meh k baab main sirf itna ilm hay
jab bhi mutaalba kiya ik jaam aagaya

poocha tha ik sahib_e_dil ne mera mizaaj
be saakhta laboun pe tera naam aagaya

hum ne tumharay baad na rakhi kisi se aas
ik tajruba bohot tha baray kaam aagaya

aey kaash, jhot he jhoot he koi agar kahay mujhe
uth bhi adam saakhi gulfaam aagaya....!!

Koi Waqt Purana Yaad Aya


Koi Waqt Purana Yaad Aya !!
Phir Dour Sohana Yaad Aaya !!
Or Chupkay Se In dewaron Pe !!
Kuch Likh Kar JanaYaad Aaya !!
Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein !!
Or Sir Rakh Dena Kandhay Per !!
Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le !!
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya !!
Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha !!
Mein Tuj Ko Chorne Jata Tha !!
Barish ki Bheegi Raaton Mein !!
Tera Hath hilana Yaad Aaya !!
Wo Waqt Gaya Betay Lamhe !!
Ab Her Janib Tanhai Hai !!
Bas Ek hi Manzar Ankhon Mein !!
Tera Chor Ke Jana Yaad aaya !!

dil dharaknay ka sabab yaad aaya



dil dharaknay ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhalna aye dost
tu musibat main ajab yaad aaya

din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada_e_shab yaad aaya

tera bhola howa paimaan_e_wafa
mar rahaingay agar ab yaad aaya

phir kai loug nazar se guzray
phir koi shaher_e_tarb yaad aaya

haal_e_dil hum bhi sunatay lekin
jab wo ruhksat howa tab yaad aaya

baith kar saya_e_gul main nasir
hum bohot roye wo jab yaad aaya

yun he ranjishoun main guzar gayi



yun he ranjishoun main guzar gayi
kabhi wo khafa kabhi main khafa,
usi mor k har mor pe,
kabhi wo ruka
kabhi mai ruka
wohi raastay,wohi ham safar,
na use khabar na mujhe pata
apni apni anaa mai gum
kabhi wo khuda
kabhi main khuda.......!!!

mere ishq ko nadhaal kar kabhi hijr ko bhi wisaal kar


mere ishq ko nadhaal kar
kabhi hijr ko bhi wisaal kar

meri aankh ko benaai de
mere qalb ko ujaal kar,

mujhe dars de fana ka tu
mera ishq main bura haal kar.

meri asal soorat bigaar de
kisi ishq ki bhatti main daal kar

mujhe bhi peela koi aisi shey,,
kabhi meri aankhain bhi laal kar

wo jo us jahaan main halaal hay
kabhi is jahaan main halaal kar

main teri talab main hoon dar badar
kabhi is taraf bhi kheyaal kar

Manzil Bhi kho chuka hon safar hii nai raha


Manzil Bhi kho chuka hon safar hii nai raha.
Meri kisi Duaa mai asar hii nai raha.

Jub see hua hain Dil koo Khabar hijar e yar.
Ladzon Ko Jornay ka Hunar hii nai raha.

Tu kia chala gaya k mai sub kuch hii kho Chuka
Manzil Ko Chor de k safar hii nahi raha.

Awargi mai lutf kahan ab Azaab hai.
Per kya karon ga loat k, ghar hi nai raha,

ginti k din hain Mout hain lakin Ye Waqt bhi
Kuch Aisey tham gaya hai Guzar hii nai raha

Dafna do Mujhko Mout See Pehle Hii Dosto
Ab Mai kisi Ka Jaan e Jigar hii nahi raha..

Chand Suraj, oR Sitary Ajnabi


Chand Suraj, oR Sitary Ajnabi..
Aik Musafir, Sub Nazary Ajnabi..
Maojza hai "Gardish-E-Halat" ka..
Shehar apna, Log Sare Ajnabi..
Ajnabiat ka Talluq Khoob hai..
Hum Tumhare, Tum Hamare Ajnabi..
Jaan K Dushman Hamare Aashna..
Aashna, Saray k Saray Ajbani..
Zindagi kii Talkhiyan Hain,
Hum Nasheen..
Phool Khushbu Rang Sare ajnabi..
Woh Jisy Hum ne Pehchan di,
Aj woh Hum Ko Pukary Ajnabi.!!

Popular Posts