Wednesday, December 29, 2010

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey



Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey

paas aa kar kaha us ne Chalo phir piyar karain


paas aa kar kaha us ne Chalo phir piyar karain
phir na roothaiN ge isi baat ka iqraar karain

Ham na dikhlaayeN ge ghusay se bharay taver ab
Aap anaaoN ki parsatish maiN na had paar karaiN

Par achanak se ye badlaao kahaN se aaya?
kistarah socha keh ab raah ko hamvaar karain!!!

Aik doojay ki muhabat maiN griftar haiN jab
Kis liye jhagRaiN muhabat bhraa sansaar karain

Kab talak daikahiN gi ik doojay ko khaamoshi se
Khamshi toR kay aa pyar ka izhaar karaiN

Sun meri jaan hay har shakhs hi tyaar yahaN
praim dewanoN pe har haal maiN bus vaar karain

Aao is umr maiN anjaam pe kuch ghaur karaiN
Rab ko raazi karaiN aankhoN ko guhar baar karain

Ham ko jiwan jo mila hay ye karam hay rab ka
Naik aamal ka aaina ye kirdar karain

Aao rishtoN ki nazakat ko bhi mehsoos karaiN
Halki baton se khaRi kiyuN koi deewar karain

Har pal sochta hoon tujhe bhula doon ga main


Har pal sochta hoon tujhe bhula doon ga main
teri har yaad ko apne dil se mita doon ga main

jo tu mile ga donya ki bheed main bhi kabhi to
Ajnabi ki tarah dekh kar ankhein chura loonga main

Teri kahi koi baat bhi yaad na rahe gi ab mujhe
Teri pyar se di hoi har cheez jala doon ga main

chahe jal ja'on main, chahe jal ja'e mera dil
par tere bina bhi jee kar dikha doon ga main

Juda ho ke bhi rahe ga tu hamesha baqi mujh main
raheen ge anso meri ankhoon main teri bewafai ke

Aye gi jab bhi tu anso ban kar ankhoon main kabhi
andar se toot ja'on chahe par in ko sukha doon main

Na ane doon ga anso kabhi ankhoon main tere naam ke
Dekhna ab ki bar ese bewafa ho ja'on ga main...

Be samar ham tere dar se gaey


Be samar ham tere dar se gaey
Hein zida magar dil jigar se gaey
Ishq ki maey kar gaee kaam apna
Ek ghont mein behr-o-barr se gaey
Chaman mein baney ga aab ashiana
Aarzo ley kar ye ghar se gaey
Talash-e-jana mein katee umar saree
Tujhe he paya ham jidhar se gaey
Guzar tera tha ya jhonka saba ka
Deewane howey rah guzar se gaey
Utar jaey dil mein shokhi-e-nazar
Tujhe dekh kar us nazar se gaey
Ek rona he tha faqtt kaam apna
Bahe aanso itne deeda varr se gaey
Dil aakhir dil hey sang-e-rah nahein
Ek thokar mein udhar idhar se gaey
Too he mila na Kaabey ka rasta
Ho ke nashad tere shahar se gaey
Baaz raho ATHAR ishq ke safar se
Pukarein gey logg Majno jidhar se gaey

Ajab ik khummar mein guzrii yeh zindagii


Ajab ik khummar mein guzrii yeh zindagii
Terey hii intezaar mein guzrii yeh zindagii
miley, mill key rooth gaeyey
khwaab saarey toot gaeyey
tum sey milna tha
kuch kahna tha
baar baar milley
kaeii baar milley
kuch kah na paeyey
goo tum hii tum basey rahey dheyaan mein
per anna aarey aatii gaeii her ik kaam mein
kuch kahney sey pahley hii rutt badal gaeii
nazar lagg gaeii
guzrey mah o saal ko yaad kar key
khud ko bahlaatey rahtey heyn
khud sey yehii kahtey rahtey heyn
terey hii piyaar mein guzrrii yeh zindagii
terey hii intezaar mein guzrii yeh zindaggii

roz ho jaate hai.n ye nain sajal raat gaye


roz ho jaate hai.n ye nain sajal raat gaye
yaad aa jaate hai.n biite huye pal raat gaye

isqadar usne banaa rakkha hai diiwaana mujhe
roz aa jaati hai hoTo.n pe ghazal raat gaye

merii aa.Nkhei.n ye kisii dard kii mohtaaj nahii.n
roz khilte hai.n mohabbat ke ka.Nwal raat gaye

kal amaawas thi magar Chat pe ujaala tha bahut
chaa.Nd ka mil gaya kal mujhko badal raat gaye

jisne khat bhi na likha,louT ke aaya bhi nahii.n


maine dekha tha use khwaab mei.n kal raat gaye

isliye din mei.n hi, mai.n khwaab sajaa leta huu.N
nii.nd se paDta hai khwaabo.n mei.n khalal raat gaye

roz utarti hai.n vahaa.N chaa.Nd ki pariyaaN 'gulshan'
tumne dekha hai kabhi tajmahal raat gaye

ajiib khwaab hai fitrat badal raha hoon main


ajiib khwaab hai fitrat badal raha huu.N main
zamiin Chhorh ke paanii pe chal rahaa hoon main

todiye ji todna asaan hai


todiye ji todna asaan hai
dil hamara kaanch ka samaan hai


aapse mil aap se hum ho gaye
aaiina bhi dekh kar hairaan hai

hindu muslim sikh isaayee sab mile
laapta bas aajkal insaan hai

neer bhoomi sang gagan vaayu mila
inse hi milkar bane bhagwaan hai



chahton ka hai yahi dastoor ki
husn hi ne ishq ki li jaan hai

apne apne hisse ka kaato badan
zindgi ka khul raha lo thaaan hai



kar lo ghar ki sab diwareN ab nayee
aane wala ik naya mehmaan hai


'fikr' usse ho zuda mumkin nahi
usme meri, meri usme jaan hai

suno aey mehram-e- jaan


suno,
aey mehram e jaa.n
sard mehri ke
kohre ki zad mein aay.e
dil par
khamoshi ki barf
ki dabeiz teh ko
kia kabhi
samjhote ke ik harf e naa rasa ki
halkee si tapash
pighla payegi
nahi,N naa
to phir raah e talab ke
be aab o giyah
rasat e purkhaar par
chalne ke baad
laahasil musafton or be naam manzilon ke
safer e raigaani ka
"dukH"liye natwan dil
dard ki shikast o reikht
se nikal payega
nahin na NAHIN naa
AEY mehram E jaa.n suno zara.......
AEy mehram E jaa.n suno zara............

aadmi kitna baNtaa daftar, gali, ghar-baar meiN



aadmi kitna baNtaa daftar, gali, ghar-baar meiN
yah khabar chhapti kahaaN hai aik bhi akhbaar meiN.

sunate haiN usne bhi phir dekha nahiN saahil kabhi
chhoR kar hum ko gayaa tha jo kabhi majhdhaar meiN.

jism to saara humaara thak gayaa chalte huye
par ravaani aaj bhi hai aaNsuoN kii dhaar meiN.

husn kii har na pe bhi yah soch kar raahat rahii
kuchh razaa shamil hua karti hai har inkaar meiN.

tumko khokar kya bataayeN gulsitaaN ko kya hua
aik patta bhi haraa dikhta nahiN ashjaar meiN.

kyoN ye duniya ghoomti hai, kya tumheN maaloom hai
anginat toofaaN chhipe haiN aik ik kirdaar meiN.

dhoop jaisii dhoop dekhe ik zamaana ho gayaa
teergii-si bhar gayi hai waqt kii deewaar meiN.

meer kii chahat, asad ka falsafaa, momin ke gham
ya Ilaahi saj gaye saare hunar baazaar meiN.


saath koyi bhi rahe ya maiN kahiN tanha rahuN
ik ajab-si bekali maaiil milii sansaar meiN.

aane wali nasl ko to kuchh nayi duniya mile
aag lag jaaye tabar meiN, top meiN, talvaar meiN.

aaj ik taazaa ghazal paRh kar situmgar ro paRaa
aa gayi taseer shaayad kuchh mere ash’aar meiN.

Kaisa hai yeh dil


Kaisa hai yeh dil???

Ab jab toot gayay haiN sub bharam to keh sakta hooN
MaiN juda ho kay bhi tujhsay shayud khush reh sakta hooN

Ab na tarsayNgi teray liyay nghaaiN meri
Ab na jaayNgi teri jaanib raahaiN meri
Ab na torayga mujhay teri furqat ka gham
Ab na tarpaygi teri liyay baahiN meri

Fason-e-gesu tera ab na karayga girftaar mujhay
Har din ab na rehaygi teri hasrat-e-didaar mujhay
Ab na hoga mujhay teri is berukhi pay raNj koi
Sangsaar na karygaa ab tera yeh gair sa kirdaar mujhay

Har ada teri ab na meray alfaaz main dhalygi
Tujhay paany ki tamanna na meray khwaaboN main palaygi
Ab na hoga aisa meri ziNdgi ka nizaam
Ki teray ruknay say rukay aur chalnay say chalygi

Kasam to lay nahi sakta maiN in sub ki
Koshish ka vaadaa khud say hai zarror magar
Kya karuNga kaisay saMbhalUnga kuch to bataay koi
Daikhogi kahiN tum ho kar udaasi maiN choor agar?

Wahshat-e-jabr tera luqma-e-tar honey tak


Wahshat-e-jabr tera luqma-e-tar honey tak
Sar uthata hooN meiN begana-e-sar honey tak

Baandh ayat ki tarah choob-e-qadeemi sey mujhey
Daaf-e-ranj-o-musibat hooN, asar honey tak

Dasht-e-be-had meiN bagooley ki tarah phirtha hooN
Gard uRti hey meri khak ba sar hroney tak

Sard rehta hey jahaN shula-e-takhleeq-e-hunar
Jhilmilata hooN wahaN sarf-e-nazar honey tak

Sau k uthta hooN tu deewar nai hoti hey
Raat kha jati hey khawbooN ko sahar honey tak

Mujh ko asaib zada ghar meiN paRey rehna hey
...aur rehna hey mujhey iss meiN niDar honey tak

Gharq-e-darya jo howa hooN tu shikayat kaisi
Lehr sy lutf liya... meiN ney bhaNwar honey tak

Tukhm-e-umeed sy yeh ehd kiya tha meiN ney
dhoop meiN jalta rahooN ga meiN shajar honey tak


Kaisy mumkin hey bhula dooN meiN tery gham ka hisaab
Iss ko rakhta hooN meiN seeney meiN samar honey tak

Maira kirdar kahani meiN hey itna sahib
Bas tery saath chalooN gard-e-safar honey tak

Yeh saza apney liye meiN ne chunni hey Azar
Iss zameeN par rahooN, aflaak meiN dar honey tak

sheeshoN se kyoN mil kar aaye


sheeshoN se kyoN mil kar aaye
apne ghar tak pat_thar aaye.

tere alaava pursishe-gham ko
dusman dost baraabar aaye.

shaam dhale yaadoN ke saaye
kiskii khushboo lekar aaye.

khoob tamashe kartaa hai dil
kya jaane kis-kis par aaye.

khwaab rihaayi ka phir aaya
phir zanjeer hila kar aaye.

pyaas achanak tez huyi hai
shayad aage saagar aaye.

yuN mehfooz rakkhe RUB tujhko
sukh bhi tujh tak chhan kar aaye.

paas humare aur to kya tha
mehfil meiN gham gaa kar aaye.

Allah mera qad kam kar de
pairoN tak to chaadar aaye.

chalte-phirte but haiN saare
tum jinko bhi chhoo kar aaye.

Baadal rukaa huwa hay hawaa ko rasaayi day


Baadal rukaa huwa hay ….. hawaa ko…… rasaayi day
Kuch neem jaaN shajar ko namoo ...day, numaayi day

Khaahish nahiN namad ki, na haajat namad ki hay
Bus jo sakoon day mujhay aisi chataayi day

TaarikiyoN ne ……..fikr ko taareek kar diya
Aisay maiN kaash …… noor ka kirmak dikhaayi day

PairoN main mairay…… waqt ki zanjeer…… tan gyi
Aabi….zamini…. rah nahiN….. rastaa hawaayi day

Nanhi si koNploN ki….. namoo jis ne khooN se ki
Haq us tanay ko hay…. keh kahay ! “kuch kamaayi day”

Mairi sama’atoN ki ……zyaada …….talab nahiN
Akshar bohat zyaada nahiN ………sirf dhaayi day

Izhaar-e-ishq karne ki……….. hasrat tamaam ho
Gar…roobarooy-e-husn…..ye dharkan thamaayi day

Utray har aik saaNs maiN …..tasweer WARD ki
Khushboo ko barg-e-WARD se aisay rehaayi day

kaha tha naa mujhey ik khawab rehney do


kaha tha na.....

kaha tha naa......... mujhey ik khawab rehney do..?
bohot hi shoq tha tum ko
hamara dil dukhanay ka,
musalsal choot ki zad par
hamen taqseem karnay ka,
hamen mitti bana kar rait me
tajseem karnay ka.....
chalo khush ho gaye na ab…?

tumhen apna samajhnay ki
jo ghalti hum nay ki thi na,
bohot hai ab.....
bohot takleef di hai dunia walon nai
bohot hi choot khai hai zamany say...
magar hum bhi ajab thay na.......?
kisi k chain ki khatir,
sukoon apna luta baithay.
kisi ki khawahishon ko ehm hum ne
itna jana k,
ghuroor apna mita baithay..
bohot nadan thay na hum.....?

chalo acha hua khush fehmion ka
silsila toota,
thakan jo hai guzartay waqt k sang
dhal hi jayegi.
magar hum bhi ajab thay na.....?


k hum to waqt kay sang
toot jatay hain magar
tora nahi kartay...
k hum nay bad'dua dena nahi seekha,
dua ye hai k tera samna na ho
kisi k sath bhi mujh sa bura na ho.
bohot masoom thay na hum....?

kaha tha na...?

mujhay ik khawab rehnay do

waqt ke khudaaoN ne hashr woh uthaaya hai


waqt ke khudaaoN ne hashr woh uthaaya hai
har bashar ki aankhon maiN ashk teir aaya hai

kaya gila hawaaoN se, aag se shikaayat kaya?
ghar ke hi chiraaghon ne ghar mraa jalaaya hai

zalzaloN ne maara kuch,aor kuch dhamaakoN ne
bach gaye jo in se to, aab ne bahayaa hai

tum bhala yeh kaya jaano,ham ne apne kaandhoN par
apni laash ko khud hi,kis tarah uThaaya hai

bas zameeN muqadar hai oRhney,bichoney ko
aor sar chupaaney ko aasmaaN hi paaya hai

zindagi hamaari to munjamid rahi phir bhi
ham ne tan ka aeendhan to baarha jalaaya hai

hosley hamaarey to aaj bhi haiN paayindah
baarha qayaamat ne ham ko aazmaaya hai

aasmaan shaahid hai, ham ne haar na maani
kaT gaye jo baazoo tu sar alam banaaya hai

Zain kaaT li ham ne zindagi yoonhi saari
aek khaab TooTa to,ik naya sajaaaya hai

Mairri Bisaat Kiya Hay?


Kissi Saharay KharHa Hay Daikho
Hayaat Ka Yeh Haseen Manzar
Laga Jo Thaissa, Girray Ga Aissa
Jahaa'n Bhi Daikho Gay,
Gard Hoagi.
DhuWai'n Ki MaaNind,
hawa Mai'n UrHti,
yeh Kehti Hoagi,
"Mai'n Bhi Thi Ab Tak, Haseen Manzar
Mujhay Bhi Jeenay Ki arzu Thi
Magar Tha UrHnay ka Shoaq Ziyada
Hawaa Mai'n UrHna Tha, UrH Rahi Hoo'n
Sahaaray Lekin Kiyoo'n Hill Rahay Hai'n?
Zameen O Aakash Kiyoo'n Mil Rahay Hai'n?
Khayaal Haqiqat Mai'n Dhal Rahay Hai'n
Yahaa'n Pe Mairri Bisaat Kiya Hay?
Mairra Sahaara-E-Hayaat Kiya Hay?"
Tairri Duwaa Maa'n, Tairri Duwaa Hay
Wagarna MAirri Bisaat Kiya Hay.

Chal para hay yeh safar Mushkalain aatee hain aksar



Chal para hay yeh safar
Mushkalain aatee hain aksar

Yoon baton say naa jaye gee
Qomon kee taqdeer sanwar

Inqilaab jab bhee aataa hay
Kat jaatey hain bohat say sar

Adu ! yeh Pakistan Hay
Shohdaa kee janon kaa samar

Yeh kab aur kaisey badley gaa
Islaam hay es kaa mahwar

Hum nay seenchaa hay es ko
Quaid nay boyaa thaa yeh shajar

Kaat kay rakh dain gay woh haath
Jo kaatney aain es kee jar

Qatal , Gharat garee to hay
Manzil pay pohanchain gay magar

Har simat aman o mohabat hay
FAISAL tum dekho gay yeh manzar

Turk-e-ulfat ki kasam bhi koi kasam hoti hai


Turk-e-ulfat ki kasam bhi koi kasam hoti hai
Tu kabhi yaad to kr mujhe bhoolney waley

Takmeel-e-Tamanna to badi baat hai


Takmeel-e-Tamanna to badi baat hai
Wo arz-e-Tamanna pe burra maan raha hai

Yeh namumkin hay raiza dil, shikastaa jaan ho jaao


Yeh namumkin hay raiza dil, shikastaa jaan ho jaao
Haan laikin tab, koi chot jab tum dil pay khao gay !

Jub door wo mujh say rehta hai


Jub door wo mujh say rehta hai
To ek shaksh ye mujh say kehta hai
Kuch din kaisay guzaro gay....!
jo soorat na uski daikhi to..?

to Main bus itna kehta houn

K Jiska chehra rawa.n hai aankho.n main
jiski khushboo basi hai sanson main


Jiska aks hai mere khawabo main
Jiski soorat hai sub kitabon main

Bin us k jeena marna kaisa....
Furqat say uski darna kaisa....???
Furqat say uski darna kaisa....???

kisi ki soch hooN na shamil-e-azkaar hooN meiN



kisi ki soch hooN na shamil-e-azkaar hooN meiN
nihal-e-dard pay bhi yak wajood-e-khaar hooN meiN

zamana mujh ko mitti mein mila kay khush howa har baar
namoo-e-jaawdaani say magar har baar hooN meiN

zaroorat per meray hi khoon say jalti rahain shammein
agar che her kisi ki aankh meIN bay kaar hooN meiN

khushi kay mausmooN mein sadka-o-khairaat ka waris
zubooN kay zaichooN mein per ghiza-e-daar hooN mein

mujhay insaaf jaisi shai pay koi haq nahin hasil
mujhay qanoon nay samjhaya hai lachaar hooN mein


mujhay her shakhs ki har baat ki bhi laaj rakhni hai
aseer-e-khauf hooN aur kushta-e-adwaar hooN mein!

WO CHAND RAATON KI CHANDNI KO JO HUM NE JAANA TO BEWAFAI


WO CHAND RAATON KI CHANDNI KO, JO HAM NE JAANA TO BEWAFAI
UDAS ANKHON MAIN ROSHNI DI, MILI JO HAM KO TO BEWAFAI

MILA WO JB BHI MILA NA MIJH SE, KHIZA K PATON K KAFILON SA
JO ABR MANGA TO ABR BAKSHA, SILA HAMARA TO BEWAFAI

JO WAQT KI DASTARAS SE NIKLAY, TO ISHQ KI SARZAMEN PE AAE
CHALE THE HANS KR JO MERI PALKON PE, CHAL KE DEKHA TO BEWAFAI

WO HE PARI TO PARE RAHE PHR, YAHAN HUMAIN KYN SATATI HE PHR?
USAY TO JANA HAY BECH PARIYON KAY, MIJHKO DEGI TO BEWAFAI

KISI NE KAB YE KAHA HE KIS SE, K ZINDAGI TO HASEEN RUT THI
MIJHE BHI DEKHO ZMANAY SARAY KO, BANT-TA HON TO BEWAFAI

WO PHOL KALIYAN WO CHAND JUNGNO, WO RUNG E MEHFIL WO MARMARI SA
UDHAR LENE TO HM BHI POHNCHAY, JO JHOLI DEKHI TO BEWAFAI

KAHAN KI LAILA WO KON MAJNU, KAHANI ACHI SUNAI TUMNE
MAGAR JO SAMJHO YE ISHQ WALON K, BECH MAIN THI TO BEWAFAI

KAHA JO GHALIB NE EK GHAZAL MAIN, K JAO WO BEWAFA HI TEHRA
ANA SE MAJBOR HO K JEETA, MILI BHI USKO TO BEWAFAI

HAR EK KI QISMAT MAIN BEWAFAI, LIKHI KE SHAYAD KAHEN BHI DEKHO
WO GIRTAY PATON KO TUM JO DEKHO, ZAMEEN KO CHOWA TO BEWAFAI

YAHI HE DASTOR CHORNAY KA, K USPE AISA SAWAL DALOO
JO SATH RAKHE TO BEWAFA HO, JO CHOR JAE TO BEWAFAI

KISI SE POCHO JO SHEHAR MAIN TUM, K BEWAFAI KAHAN SE SEKHI?
JO GUN BHI SEKHA, JO BAAT JANI, JO SEKHI MIJH SE TO BEWAFAI

HAWA KI MAUJON PE BEHTA BEHTA, WO AAKHRI JO PAYAM AYA
WO MEHARBAAN NE KUCH AISA LIKHA, JO HARF LIKHA TO BEWAFAI

TU APNE GHAM SE HI BAWAFA HE,KAHE YE MIJHE SE KHUDA-E-SYED
JO NAZAR TERI ZARA BHI BHATKI, LIKHON KA JO BHI TO BEWAFAI

Yunhee badnaam nahi Agar tum us ko dekho to



Yunhee badnaam nahi
Agar tum us ko dekho to
Nigahon main khumaree hay
Lahjaa bhee bharee bharee hay
Sharaab e Ishq peetaa hay
Mohabbat kaa jawaree hay

Apnay Aap say lartaa hay
Kisee larkee pay martaa hay
Magar kahnay say dartaa hay

Kay woh larkee naa thukraa day
Yaa phir
Us larkee kaa chahraa
Aansuon say naa dhul jaye
Agar yeh baat khul jaye

Yaa ho saktaa hay woh larkee
Mohabat kee shanawar ho
Koi ho aur hee hastee
Woh jis pay jaan nichawar ho

To phir yeh toot jaye gaa
Khushee say es kaa har naataa
Samajh Lo ... Choot jaye gaa

Tabhe to beqararee hay
Es kaa din nahee kat taa
Es par raat bharee hay

Main aksar us say kahtaa hay
Mohabat karney walon ko
Kisee kaa dar nahee hotaa
Tumhain Daawaa e muhabat hay
To phir aakhir kyun dartey ho ??

To woh hans deta hay pal bhar
Aur apnee nam aankhon ko
Mairee janib uthataa hay
Aur phir
Jo kuch bataataa hay
Main sun kar kaanp jaataa hoon

Woh kahtaa hay ... Suno .. Aey Dost !
Main jeetaa es leye hon kay
Mujhey ek aas rahtee hay
Ek din aisaa aye gaa
Mairey dil main hay jo larkee
Woh mairey paas rahtee hay

Woh kahtaah ay mairee sochain
Usee ko sochawaatee hain
Mairee neendain har ek shab main
Usee kay khawaab dikhatee hain
Koi bhee pal nahee aisaa
Kay jis main saans aatee ho
Aur us kee yaad naa aye

Magar yeh bat sun lo kay
Mujhay us say mohabat hay
Bhaley woh mujh ko naa chahey
Woh mairee zindaganee hay
Mujhey woh RAB ataa kar dain
Yeh UN kee meharbaanee hay
Agar naa paa sakoon us ko
To phir bhee gham nahee mujh ko
Kay yeh dunyaa to fanee hay

Magar yeh jaan lo aey dost
Ek aisaa bhee jazbaa hay
Jo har shay say muqadam hay
Main dartaa es leye hoon kay
Mairee saree mohabat say
Us kee izzat bhaaree hay !!!
Kay us kee izzat par mairee
Mohabat , Jaan , waree hay !!

Mohabbat baandh laytee hay


Mohabbat baandh laytee hay
Humain kuch kachey dhagon say
Jinhain hum tor daytey hain

Kisee anjaney ko pahley
Hum apnaa maan laytey hain
Usay phir chore daytey hain

Mohabbat kee sabhee batain
Hum seenay main chupatey hain
Magar dil tore daytey hain

Mohabbat chaand jaisee hay


Mohabbat chaand jaisee hay
Kaho kab tak chupaao gay
Tum es kee barhatee kirnoon say
Ek din haar jaao gay
Zamanay kay falak par yeh
Shab o roz barhatee jaye gee
Tum jitnaa roko gay es ko
Yeh utnaa aoj paye gee

Magar yeh jaan lo FAISAL
Sada ek waqt nahee rahtaa
Amawas raat aatee hay
Mohabbat kee sabhee kirnain
Kaheen tab kho see jatee hain

Tanhaee main, andhairey main
Koi ashkon ko peetaa hay
Nazron ko uthataa hay
Labon say muskarata hay
Faqat itnaa hee kahtaa hay
Mohabbat chaand jaise hay

Zindage ka hasil hain



Zindage ka hasil hain
Chand sookhay patey jo
Un rahon par bikhrey hain
Jin par hum tum chaltey they
Hathon main thamey haath

Haath ab woh khalee hain
Mairee qismat kee manind
Ratain bhee ab kalee hain
Mairee zulfon kee manind

Door yeh zardee ho jaye
Chaa jaye har soo nayee bahaar
Tayer bhee jo thak baithey hain


Ho jaain urnay ko tayaar
Aa jaao agar tum aik baar

Itnaa bas tum say kahtey hain
Hum thak kar aankhain mond naa lain
Faisal ! aur kitnaa intizaar ???

Chalo kuch baat kartey hain


Chalo kuch baat kartey hain...
Us kay shaher main basar
Hum ek raat kartey hain

Sochtey hain sakoon apnaa
Phir say dawaam paa jaye
Zindagee main jo us kay sang
Mayasar, shaam aa jaye

Us kee hon, humaaree hon
Mohabbat main sabhee batain
Jo sab kay lab pay jaree hon

Enhee baton kee khushbu say
Hum apnee raat mahkaaain
Us kay aariz o lab kee
Zufashaanee say chamkaain
Har ek tareek lamhey ko
Jo us kay sang nahee beetaa

Mohabbat khail baithaa hoon
Magar us ko nahee jeetaa

Ab yaadon main rahtaa hoon
Jo us ko kah sakaa naa tab
Woh sab batain main kahtaa hoon
Kabhi ghazlon main, shayron main

Shab kay aakharee pahron main
Usee ko sochataa rahtaa hoon

Jo koi dost aa jaye
Usay itnaa hee kahta hoon
Chalo kuch baat kartey hain....

Popular Posts