Thursday, July 22, 2010

Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jayegi


Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jayegi
Raat Gehri Hai Magar Chand Chamakta Hai Abhi,
Mere Mathe Pe, Tera Pyar Damakta Hai Abhi,
Meri Saanson Mein Tera Lams Mehekta Hai Abhi,
Mere Seene Mein Tera Naam Dhadakta Hai Abhi,
Zeest Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi,

Teri Awaz Ka Jaadu Hai, Abhi Mere Liye,
Tere Malboos Ki Khushbu Hai Abhi Mere Liye,
Teri Baatein Tera Pehloo Hai Abhi Mere Liye,
Sab Se Badhke Meri JAAN Tu Hai, Abhi Mere Liye,
Zeest Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi,

Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jayegi,
Aaj Ke Baad Magar, Rang-E-Wafa Kya Hoga,
Ishq Hairan Hai Ke Sar Sheher Saba Kya Hoga,
Mere Qaatil Tera Andaza-Jafa Kya Hoga,

Aaj Ki Shab To Bahut Kuch Hai Magar, Kal Ke Liye,
Ek Andesha-E-Benaam Hai Aur Kuch Bhi Nahi,

Dekhna Ye Hai Ke Kal Tujhse Mulaqaat Ke Baad,
Rang-Ummid Khilega, Ke Bikhar Jayega,
Waqt Parwaz Karega Ke Theher Jayega,
Jeet Ho Jayegi Ya Khel Bigad Jayega,
Khwab Ka Sheher Rahega Ke Ujad Jayega...

Kal Raat Bahut Toot Ke Barsa Tha Ye Badal



Kal Raat Bahut Toot Ke Barsa Tha Ye Badal,
Aur Humne Bhi Ashqon Mein Bhigo Ke Aanchal,

Ye Dilki Lagi Chain Se Rehne De To Sochein,
Kyon Phailta Jaata Hai Meri Aankh Mein Kajal,

Is Dilse Koi Puchhe Ye Zeest Kati Kyonkar,
Jab Jaan Ye Shikasta Thi Dil Gam Se Tha Ghayal,

Phir Yaad Tujhe Karke Ye Nain Baraste Hain,
Jab Shaam Dhale Dard Ke Uthe Koi Badal...

Har Qadam Par Nit-Naye Saanche Mein Dhal Jate Hai Log


Har Qadam Par Nit-Naye Saanche Mein Dhal Jate Hai Log,
Dekhte Hi Dekhte Badal Jaate Hai Log,

Kisliye Kijiye Kisi Ghum Ghashta Jannat Ki Talash,
Jab Ke Mitti Ke Khilone Se Bahel Jaate Hai Log,

Kitni Sada Dil Hai Ab Bhi Sunke Awaz-E-Jaraz
Pesh-O-Paas Se Bekhar Bhar Se Nikal Jaate Hai Log,

Shama Ki Maanind Ahal-Anjuman Se Beniyaaz,
Aksar Apni Aag Mein Chup Chap Jal Jaate Hai Log,

Unki Dosti Ka Ab Bhi Dam Bharte Hai Aap,
Thokarein Kha Kar To Suna Hai Sambhal Jaate Hai Log...

Koi Dhudla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai


Koi Dhudla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai,
Koi Bhatka Sa Ek Jugnoo Mere Khwabon Mein Rehta Hai,

Ek Mayoos Si Awaz Mujhe Sone Nahi Deti,
Koi Uljha Sa Ek Jumla Meri Yaadon Mein Rehta Hai,

Haay Kiske Shabnami Aanchal Ki Khushbu Ab Talak Mujh Mein,
Koi Ehsaas Mehka Sa Meri Saanson Mein Rehta Hai,

Mujhe Khud Par Nahi Qaboo Na Main Kuch Bol Sakta Hoon,
Asar Ye Kiske Lafzon Ka Meri Baaton Mein Rehta Hai,

Sardiyon Ki Khunak Raatein Mujhe Bechain Kar Rakhti Hai,
Lamas Ka Ek Hath Ab Tak Meri Sochon Mein Rehta Hai,

Hai Dil Bhi Muztarib, Ehsaas Bhi, Sochon Ki Uljhan Bhi,
Ye Kiski Aankh Ka Aansu Meri Aankhon Mein Rehta Hai...

Koi Hasrat Bhi Nahi Koi Tamanna Bhi Nahi



Koi Hasrat Bhi Nahi, Koi Tamanna Bhi Nahi,
Dil Wo Aansu Jo Kisi Aankhse Chhalka Bhi Nahi,

Rooth Ke Baith Gayi Himmt Dushwar Pasand,
Raah Mein Ab Koi Jalta Hua Sehra Bhi Nahi,

Aage Kuch Log Hamein Dekh Ke Hans Dete The,
Ab Ye Aalam Hai, Koi Dekhne Wala Bhi Nahi,

Dard Wo Aag Ke Bujhti Nahi, Jalti Bhi Nahi,
Yaad Wo Zakham Ke Bharta Nahi, Rishta Bhi Nahi,

Baad-Baan Khol Ke Baithe Hai Safeeno Wale,
Par Utarne Ke Liye Halka Sa Jhonka Bhi Nahi..

Sochta Hoon Ke Use Neend Bhi Aati Hogi


Sochta Hoon Ke Use Neend Bhi Aati Hogi,
Ya Meri Tarah Faqat Ashq Bahati Hogi,

Wo Meri Shakl Mera Naam Bhulne Wali,
Meri Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi,

Is Zameenpe Bhi Hai Sailab Mere Ashqon Se,
Mere Maatam Ki Sada Arsh Hilati Hogi,

Shaam Hote Hi Wo Chaukhat Pe Jala Ke Shammayein,
Apni Palkon Pe Kayi Khwab Sulati Hogi,

Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Libaas,
Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi,

Jab Bhi Zulfon Mein Koi Phool Sajati Hogi,
Mere Tareek Zamanon Se Nikalne Wali,

Roshni Tujhko Meri Yaad Dilati Hogi,
Dilki Masoom Ragein Khud Hi Sulagti Hoggi,

Joon Hi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi,
Roop De Kar Mujhe Us Mein Kisi Shehzade Ka,
Apne Bachhon Ko Kahani Sunati Hogi...

Woh Baarish Ki Khushboo Wo Thandi Hawa


Woh Baarish Ki Khushboo
Wo Thandi Hawa
Lagti Hai Kami Sirf Ek Chiz Ki,
Ke Ho Tum Bhi Mere Sath,

Wo Bachhon Ki Tarah Muskurana,
Mujhe Pyaar Se Yun Bulana,
Yun Kar Dena Mujhe Na Deewana,
Mujhe Yun Na Satana,

Yaad Aati Hai Wo Baatein,
Wo Bheegi Bheegi Raatein,
Jab Tha Main Tanha,
Wahi Yaad Tha Jo Tumne Kaha,

Bhool Na Jana Mujhe,
Ke Main Gar Hoon Na Tumhare Sath,
Maut Kya Door Karegi Hamein,
Ke Khuda Ne Milaya Hamein...

Bhoolne Wale Se Koi Keh De Zara Is Tarah Yaad Aane Se Kya Fayda


Bhoolne Wale Se Koi Keh De Zara
Is Tarah Yaad Aane Se Kya Fayda

Jab Mere Dil Ki Duniya Basti Nahi,
Phir Khayalon Mein Aane Se Kya Fayda,

Kya Kahoon Aapse Kitni Ummidein Thi,
Aap Kya Badle Duniya Badal Hi Si Gayi,

Aasra Deke Dil Todte Hai Mera,
Phir Aakhir Is Tarah Satane Se Kya Fayda,

Chaar Tinke Jalake Kya Mil Gaya,
Mit Saka Na Zamane Se Mera Nishaan,

Mujhpe Bijli Girao To Jaanu Sahi,
Aashiyane Par Girane Se Kya Fayda...

Aansu Jo Beh Rahe Hai Inhe Behne Do


Aansu Jo Beh Rahe Hai Inhe Behne Do
Ye Keh Rahe Hai Dilki Baat Kehne Do,

Bahut Bewafa Ho Tum, Ye Humko Hai Malum,
Tum Apni Wafa Ki Baat Apne Tak Hi Rehne Do,

Mila To Kya Mila Tumhe Chahne Ke Baad,
Bas Dukh Hi Seh Rahein Hai Hamein Sehne Do,

Tumne To Keh Dala Sab Haal-E-Dil Apna,
Ab Mujhko Apni Daastan Bhi Kehne Do,

Mar Gaye Auron Ke Liye Hum
Tum Apni Khatir Humko Zinda Rehne Do...

Raat Bhar Tanha Raha Din Bhar Akela Main Hi Tha


Raat Bhar Tanha Raha Din Bhar Akela Main Hi Tha
Sheher Ki Aabadiyon Mein Apne Jaisa Main Hi Tha,

Main Hi Dariya, Main Hi Toofan, Main Hi Tha Har Mauj Bhi,
Main Hi Khud Ko Pi Gaya Sadiyon Se Pyaasa Main Hi Tha,

Kis Liye Katra Ke Jaata Hai Musafir Dam To Le,
Aaj Sukha Ped Hoon Kal Tera Saya Main Hi Tha,

Meri Dhadkan Sunnewala Dil Na Tha Duniya Ke Paas,
Sab Ki Aahat, Sabki Dhadkan Sunnewala Main Hi Tha,

Kitne Jazbon Ki Nirali Khusbuyein Thi Mere Paas,
Koi Unko Chahne Wala Nahi Tha Main Hi Tha...

Tumne Bhi Kaun Sa Chaha Tha Mujhe



Tumne Bhi Kaun Sa Chaha Tha Mujhe,
Meri Baatein Bhi Galat, Mere Irade Bhi Galat,
Bewafayi Ka Ye Khud Sakhta Bohtan Bhi Tasleem Mujhe,
Ye Bhi Maana Ke Gam Daher Jawan Tha Jo Gam Jawab Ko,
Meri Aankh Ke Aansu Na Mile,
Jab Zamano Ki Ye Bhi Meher Hawayein Meri Sochon Ko Jala Deti Hai,
Main Sochta Hoon,
Jab Gam Dahar Ki Palkein Teri Janib Meri Shiddat Ko Ghata Deti Hai,
Main Sochta Hoon,
Jab Kabhi Apni Jafayein Mujhe Khuda Apni Nigahon Mein Gira Deti Hai,
Main Sochta Hoon,
Tumne Bhi Kausna Chaha Tha Mujhe...

Mere Ehsaas Ko Koi Naam Do



Mere Ehsaas Ko Koi Naam Do,
Mere Roop Roop Ko Sanwar Do,

Chahe Nafraton Ki Bheed Do,
Chahe Mohabbaton Ki Mehkaar Do,

Wohi Zindagi, Wohi Taazgee,
Mere Ang Ang Utaar Do,

Meri Umar Bhar Ki Hai Iltija,
Mujhe Chahaton Se Nikhar Do,

Mere Humsafar, Mere Dilnasheen,
Sattrang Si Bahar Do,

Ban Kar Safeer Mohabbaton Ke,
Mujhko Tum Aitbaar Do...

hum kaisy pagal hoty thy jab sarak pe chalna hota tha


hum kaisy pagal hoty thy
jab sarak pe chalna hota tha,
hum kashti ly k chalty thy,
oor beech banwar mai jany k liye,
hum paidal nikla karty thy,
hum kaisy pagal hoty thy..........
jab barish barsa kartii thi,
hum chatri main chup jaty thy,
oor jalti dhoop main nangy sar,
hum chat pe uchla kerty thy,
hum kaisy pagal hoty thy.......
jab pass buhat wo hota tha,
hum usko dekh na sakty thy,
jab door chala jata tha woh,
hum ahat uski sunty thy,
hum kaisy pagal hoty thy.............???

usse bichar kar jane kyun is qadar toota hoon main



usse bichar kar jane kyun is qadar toota hoon main
dard-o-ghum ki teergi mein iss qadar dooba hoon main

poochhta hoon rahzanon se apne hi ghar ka rasta
yaad rakhta usko apne aap ko bhoola hoon main

rokta hoon khud ko main lekin chala jati hoon phir
usko bhulane ki koshish kis qadar joojhta hoon main

uski aankhein keh rahi thi woh pashemaan hai bahut
jab woh rishta hi nahi kis baat per rootha hoon main.

Chalo Ab Faisla Kar Lo Ke Jo Apni Mohabbat Thi



Chalo Ab Faisla Kar Lo,
Ke Jo Apni Mohabbat Thi,
Nasha Tha Wo Jawani Ka,
Khumar Utra To Yeh Jaana,
Mohabbat Yun Nahi Hoti,
Jo Maine Khwab Dekhe The,
Ab Inki Kirchiyan Hi Hai,
Aur Zakhmin Paanv Hai Mere,
Tumhara Humqadam Rehna,
Mujhe Mumkin Nahi Lagta,
Tumhare Aur Mere Darmiyan,
Koi Deewar Hai Shayad,
Ye Hargiz Gir Nahi Sakti,
Tumhe Wo Log Pyaare Hai,
Jo Mujhko Zeher Lagte Hai,
Magar Ab Mod Aisa Hai,
Jahan Itne Mukhalif Hai,
Tumhe Ye To Pata Hoga,
Mukahluf Simt Chalne Se,
Kabhi Manzil Nahi Milti,
To Phir Kyon Waqt Khote Ho,
Chalo Faisla Kar Lo...

Wo Jo Aate The Aankhon Mein Sitare Lekar


Wo Jo Aate The Aankhon Mein Sitare Lekar,
Jane Kis Des Gaye Khwab Hamare Lekar,

Chhanv Mein Baithne Wale Hi To Sab Se Pehle,
Pair Girta Hai To Aa Jaate Hai Aare Lekar,

Wo Jo Aasuda Sahil Hai Unhe Kya Malum,
Ab Ke Mauj Aaye To Paltegi Kinara Lekar,

Aisa Lagta Hai Har Mausam-E-Hijraan Mein Bahar,
Honth Rakh Dete Hai Shakhon Pe Tumhare Lekar...

Ek Baat Kaun Agar Sunte Ho?


Ek Baat Kaun Agar Sunte Ho?
Tum Mujhko Achhe Lagte Ho,

Kuch Chanchal Se, Kuch Chup Chup Se,
Kuch Pagal Pagal Lagte Ho,

Hain Chahne Wale Aur Bahut,
Par Tum Mein Hai Ek Baat Bahut,
Tum Apne Lagte Ho,

Ek Baat Kahun Agar Sunte Ho,
Tum Mujhko Achhe Lagte Ho,

Ye Baat Baat Pe Kho Jana,
Kuch Kehte Kehte Ruk Jaana,

Ye Kis Uljhan Mein Rehte Ho,
Kya Baat Hai Hum Se Keh Dalo,

Ek Baat Kahoon Agar Sunte Ho,
Tum Mujhko Achhe Lagte Ho...

Zard Khal-O-Khad Uske Sogwar Daman Tha



Zard Khal-O-Khad Uske
Sogwar Daman Tha
Ab Ke Uske Lehje Mein,
Kitna Khurdara Pan Tha,

Wo Ke Umr Bhar Jisne,
Sheher Bhar Ke Logon Mein,
Khudse Meherbaan Samjha,
Dilse Aashna Likha,

Ab Ke Sada Kagaz Par
Surkh Roshni Se
Usne Talkh Lehje Mein
Mere Naamse Pehle
Sirf "Bewafa" Likha...

Aye Dil Tu Mohabbat Karta Kyon Hai


Aye Dil Tu Mohabbat Karta Kyon Hai,
Jo Karta Hai To Phir Tadapta Kyon Hai,

Wo Baith Gaya Hai Dil Mein Pyaar Ka Dard Banke,
Wo Aankhon Ke Raaste Nikalta Kyon Hai,

Main Tere Sath Hoon Har Raah Mein Mujhse Kehta Tha Wo,
To Phir Aaj Ye Rasta Mujhe Sunsaan Lagta Kyon Hai,

Main Dhadkan Hoon Uske Dilki Wo Kehta Tha Mujhse,
Phir Aaj Uska Dil Mere Bina Dhadakta Kyon Hai,

Wo Mera Nahi Hai Ye Jaanti Hoon Main Phir Bhi,
Kisi Aur Ke Sath Dekhke Usko Dil Machalta Kyon Hai,

Ye Dil Bhi Ajeeb Hota Hai Doston,
Kabhi Kehta Hai Jaa Thaam Le Uske Haathon Ko,
Phir Reh Reh Ke Sambhalta Kyon Hai.  

Marti Hui Zameen Ko Bachana Pada Mujhe


Marti Hui Zameen Ko Bachana Pada Mujhe,
Badal Ki Tarah Dasht Mein Aana Pada Mujhe,

Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen,
Phir Yun Hua Ke Mar Ke Dikhana Pada Mujhe,

Bhoole Se Meri Simt Koi Dekhta Na Tha,
Chehre Pe Ek Zakhm Lagana Pada Mujhe,

Us Ajnabi Se Haath Milane Ke Waste,
Mehfil Mein Sabse Haath Milana Pada Mujhe,

Yaadein Thi Dafan Aisi Ke Baad-E-Az Farookht Bhi,
Us Ghar Ki Dekhbhal Ko Jana Pada Mujhe,

Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar,
Kal Aayine Pe Haath Uthana Pada Mujhe,

Aise Bichhad Ke Usne To Mar Jana Tha,
Uski Nazar Mein Khudko Girana Pada Mujhe...

Yaad-E-Maazi Hamein Sataye Kyon


Yaad-E-Maazi Hamein Sataye Kyon,
Khushk Aankhon Mein Samundar Aa Jaye Kyon,

Paani Bhi Mayassar Nahi Jis Veerane Mein,
Dard Ka Sagar Yahan Pahuch Jaye Kyon,

Tanha Raat Katti Nahi Barso Mein,
Khushi Ka Lamha Yun Guzar Jaye Kyon,

Inkaar Ka Gila Na Kiya Jab Humne,
Mere Ehsaas Par Ilzaam Lagaye Kyon,

Kehte Hai Dosti Apni Sabit To Kar,
Har Mod Yun Hamein Aazmaye Kyon,

Ehsaas Nahi Mere Gam Ka Na Sahi,
Koi Mere Dil Pe Muskuraye Kyon,

Har Ilzaam De Gaya Wo Is Dilko,
Phir Bhi Apna Sa Wo Nazar Aaye Kyon...

Main Tumhe Dil Mein Basa loon Agar Bura Na Lage


Main Tumhe Dil Mein Basa loon Agar Bura Na Lage,
Main Tumhe Apna Bana loon Agar Bura Na Lage,

Tum Hi Ho Chahat Meri Tum Hi Ho Manzil Meri,
Tumhe Dhadkan Mein Chhupa loon Agar Bura Na Lage,

Shab-E-Tanhayi Mein Tera Intezar Karta Hoon,
Teri Neendon Ko Chura loon Agar Bura Na Lage,

Tum Hi Khwahish Ho Tum Hi Khushi Ho Meri,
Tum Hi Se Tumko Chura loon Agar Bura Na Lage. 

Jab Raat Ki Nagan Dasti Hai Nas Nas Mein Zeher Utarta Hai


Jab Raat Ki Nagan Dasti Hai,
Nas Nas Mein Zeher Utarta Hai,

Jab Chand Ki Kirne Tezi Se
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,

Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu
Zanjeeron Mein Bandh Jaate Hai,

Sab Jazbon Pe Chha Jate Ho
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,

Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hai,
Jab Raks Gamon Ka Hota Hai,

Khwabon Ki Tal Pe Sare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai,

Gaate Hai Khwahish Le Main,
Masti Mein Jhumte Hai,

Sab Jazbon Pe Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho..

Khizaan Ke Aakhri Din The Bahar Aayi Na Thi Lekin


Khizaan Ke Aakhri Din The,
Bahar Aayi Na Thi Lekin,
Hawa Ke Lams Mein Ek Bhi Sada Si,
Nagmagi Mehsoos Hoti Hai,

Darakhton Ke Tahyaer Mein,
Kisi Bhi Aasra Ummid Ki Lau Thartharati Thi,

Guzargaon Mein Udte Khushk Patte,
Ajnabi Logon Ke Qadmon Se Lipatte Aur Ulajhte The,
To Ek Bhooli Hui Tasveer Jaise Kond Jaati Thi,

Har Ek Manzar Ke Chehre Par,
Larazti Bekali Si Reshmi Chilman Kasheeda Thi,
Nazar Rasta Na Paati Thi,

Kuch Aisahi Sama Tha Jab
Wo Mere Bakht Ke Sehra Mein Sawan Ki Tarah Utri,
Meri Saanso Mein Mehki,

Nigahon Ke Sitare Aarzu Ke Istaare
Tamannaon Ke Seil Shauq Mein Behne Lagi Thi,

Mere Seene Pe Sar Rakh Kar Achanak Muskurayi
Aur Kuch Kehne Lagi Wo.....

Na Jane Kya Tha Wo Jumla,
Aur Uska Adh Kaha Jumla,
Jo Gunche Ki Tarah Un Kaanpte Hothon Pe Khila Tha,

Usi Lamhe Koi Koyal Bade Dard Se Kooki Thi,
Wo Jaise Achanak Neend Se Jaagi Thi,
Aur Usne Bade Dukh Se Falaq Ki Taraf Dekha Tha,
Wo Boli Thi.....

"Sitara Shaam Ka Roshan Hua Hai, Ab Main Chalti Hoon"
Khazaan Ke Aakhri Din The,
Hawa Ke Lams Mein Ek Besdaa Si Nagmagi Mehsoos Hoti Hai,
Koi Maanoos Si Khushbu Mere Kaano Mein Kehti Hai,
Phir Uske Husn Ka Mehram Tera Dil Hone Wala Hai,
Wo Uska Adh Kaha Jumla
Mukammal Hone Wala Hai...

Dil Jo Toota To Ye Khayal Aaya


Dil Jo Toota To Ye Khayal Aaya,
Ishq Mein Humne Kya Sila Paaya,

Waqt Apna Ho To Hote Hai Sabhi Apne,
Chhod Jaata Hai Bure Waqt Mein Apna Saaya,

Baste The Kabhi Aankh Mein Khwabon Ki Tarah Jo,
Main Aaj Un Lamhon Ko Aansuon Mein Baha Aaya,

Aaj Mujhko Wo Udaas Bahut Malum Hua,
Aaj Main Mushkil Se Sher Keh Paya,

Meri Saanson Mein Basa Tha Khushbu Ki Tarah,
Wo Jise Main Chah Ke Bhi Na Bhula Paaya,

Zindagi Khatam Hui Jaati Hai Jaaved,
Haay Tujhe Is Waqt Khuda Yaad Aaya...

Mujhse Milne Ko Wo Karta Tha Bahana Kitne


Mujhse Milne Ko Wo Karta Tha Bahana Kitne,
Ab Guzaarega Mere Sath Zamane Kitne,

Main Gira Tha To Bahut Log Ruke The Lekin,
Sochta Hoon Mujhe Aaye The Uthane Kitne,

Jis Tarah Maine Tujhe Apna Bana Rakha Hai,
Sochte Honge Yehi Baat Na Jaane Kitne,

Tum Naya Zakhm Lagao Tumhe Isse Kya Hai,
Bharne Wale Hai Abhi Zakhm Purane Kitne..

Na Jaane Kaisi Hawa Chali Hai Ke Sheher Saara Badal Gaya Hai


Na Jaane Kaisi Hawa Chali Hai Ke Sheher Saara Badal Gaya Hai,
Kisiki Aankhein Badal Gayi Hai Kisika Chehra Badal Gaya Hai,

Haseen Din The Jameel Raatein Na Khatam Hoti Thi Apni Baatein,
Ajeeb Chup Si Theher Gayi Hai Wo Jab Se Lehja Badal Gaya Hai,

Fazayein Benoor Ho Rahi Hai Hawayein Chup Chap Ro Rahi Hai,
Bas Ek Judayi Se Apne Ghar Ka Tamaam Naqsha Badal Gaya Hai,

Ab Apni Manzil Nahi Hai Koi Ab Apna Rasta Nahi Hai Koi,
Kisi Se Manzil Badal Gayi Hai Kisi Se Rasta Badal Gaya Hai,

Nazar Se Guzre To Dekh Lena Jo Yaad Aaye To Soch Lena,
Kabhi To Shak Sa Guzarne Lagta Hai Jaise Rishta Badal Gaya Hai,

Kabhi To Yun Tha Har Ek Sa'at Malaal Rehta Tha Dooriyon Pe,
Aur Ab Ye Aalam Hai Zindagani Ka Lamha Lamha Badal Gaya Hai,

Kayi Dino Se Use Hum Akhtar Ajeeb Huliye Mein Dekhte Hai,
Ke Jism Saara Usi Tarah Hai Bas Ek Chehra Badal Gaya Hai...

Dil Toota Marzi-E-Mehboob Se Ki Usne Koi Khata Nahi,


Dil Toota Marzi-E-Mehboob Se Ki Usne Koi Khata Nahi,
Hairat Hai Tabassum-E-Yaar Par Ke Jise Kuch Hua Nahi,

Yahan Sehra Se Samundar Phootte Hai Kuch Phool Murjhaye Bahar Mein,
Kya Gila Mujhe Yaar Se Use To Kuch Pata Nahi,

Main Roothna Bhi Chahun To Rooth Na Sakunga,
Main Chhodun Use Kis Tarah Mera Koi Uske Siwa Nahi,

Wo Samoya Mujh Mein Is Tarah Ke Mujhe Aap Yaad Nahi,
Main Itna Door Reh Kar Bhi Ek Pal Bhi Usse Juda Nahi,

Khizan Mein Dhoond Ke Bikhre Phool Uski Raah Mein,
Jis Ajnabi Ki The Talash Mein Hum Wo Gharse Hi Chala Nahi...

Farq Sirf Itna Sa Hai Teri Doli Uthegi, Meri Maiyatt Uthegi


Farq Sirf Itna Sa Hai
Teri Doli Uthegi, Meri Maiyatt Uthegi

Phool Tujh Par Bhi Honge
Phool Mujh Par Bhi Honge

Tu Saj Ke Gayi
Main Sajaya Gaya

Tu Uth Ke Gayi
Main Uthaya Gaya

Sakhiyan Teri Bhi Thi
Dost Mere Bhi The

Mehfil Waha Bhi Thi
Log Yaha Bhi The

Un Ka Hansna Waha
In Ka Rona Yaha

Qazi Udhar Bhi Tha
Maulvi Idhar Bhi Tha

Do Bol Tere Padhe
Do Bol Mere Padhe

"Farq Sirf Itna Sa Tha

"Tera Nikah Padhaya Gaya
Mera Janaaza Uthaya Gaya

Tujhe Apnaya Gaya
Mujhe Dafnaya Gaya

Hazaron Mausam Aye Aur Chale Gaye Lekin


Hazaron Mausam Aye Aur Chale Gaye,
Lekin,
Meri Aankhon Mein Ab Bhi,
Intezaar Ka Wohi Mausam Hai,
Wo Mujhe Ye Kehte Hue,
De Gaya Tha
Main Wapas Aunga,
Tab Tak Meri Yaadon
Se Jee Behlana,
Jab Meri Yaad Sataye To
Aankhein Moond Lena,
Aur Mera Tasavvur Karna,
Lekin Main Deewani Ab Bhi,
Usi Chaukhat Pe,
Aankhein Khole Baithi Hoon,
Uski Yaad To Aati Hai,
Lekin,
Aankhein Band Nahi Karti,
Is Dar Se
Ke Kahin Wo Mujhe,
Sota Hua Samajh Ke
Chala Na Jaaye,
Aur Mujhe Phir
Intezaar Ki
Ek Lambi Muddat
Guzaarni Pad Jaye...

Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hain


Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hain,
Ek Ajnabi Ki Tarah Raaste Badalte Hain,

Daraaz Ho Gam-E-Hijraan Ki Haasil-E-Hijraan,
Wo Hausle Hai Jo Aagosh-E-Gam Mein Palte Hain,

Rawa Nahi Hai Gam-E-Ishq Is Kadar Bhi Gurur,
Tere Bagair Bhi Duniya Ke Kaam Chalte Hain,

Kabhi Jo Had Se Badhi Unki Yaad To Samjhe,
Ke Unke Dil Mein Bhi Kuch Valvale Machalte Hain,

Shab-E-Firaaq Kuch Aisi Bhi Teergi To Nahi,
Kabhi Kabhi Sar-E-Mizgaan Charag Jalte Hain,

Ab Unke Gam Se Bhi Mehroom Ho Na Jaye Kabhi,
Wo Janate Hai Ke Is Gam Se Dil Behelte Hain...

Tasveer Ne Phir Mujhko Dikhaya Wohi Lamha


Tasveer Ne Phir Mujhko Dikhaya Wohi Lamha,
Ye To Wohi Lamha Hai Khuda Ya, Wohi Lamha,

Aankhein Hain Kisi Manzar Gum Gashta Ki Zad Mein,
Maazi Se Mujhe Dhoondta Aya Wohi Lamha,

Wo Jisko Bhulane Mein Kayi Saal Lage The,
Ek Lamha Gaflat Mein Dar Aaya Wohi Lamha,

Bikhre The Mere Samne Yaadonke Nagine,
Heere Ki Tarah Chunke Uthaya Wohi Lamha,

Jugnoo Ki Tarah Hai Mere Atraf Mein Lekin,
Dhoonda To Kabhi Haath Na Aya Wohi Lamha...

Kaash Tumne Mujhe Hansaya Hota



Kaash Tumne Mujhe Hansaya Hota,
Kaash Tumne Mujhe Rulaya Hota,
Kaash Gusse Mein Hi Apna Bulaya Hota,
Kaash Mujhe Yaad Karke Apne Dilko Behlaya Hota,
Kaash Meri Yaad Satati Tumhe,
Kaash Mere Bina Neend Na Aati Tumhe,
Kaash Ke Tum Meri Mohabbat Ko Pehchan Paati,
Kaash Ke Tum Mujhe Apna Hi Bana Paati,
Kaash Main Tumhe Apni Baahon Mein Khilata,
Kaash Main Tumhari Zulfon Mein So Jata,
Kaash Ke Tum Dil Se Chahti Mujhe,
Kaash Ke Apna Saya Banati Mujhe,
Kaash Main Teri Aankhon Ka Kajal Hota,
Kaash Main Is Barish Ka Badal Hota,
Kaash Tum Mere Seene Se Lipat Kar Roti,
Kaash Ke Mere Bina Teri Subah Na Hoti...

Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaye Hum



Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaye Hum,
Lekin Ye Kya Ke Sheher Tera Chhod Jaye Hum,

Muddat Hui Hai Koo-E-Butan Ki Taraf Gaye,
Aawargi Se Dilko Kahan Tak Bachaye Hum,

Shayad Ba-Qaid-E-Zeest Ya Saa'at Na Aa Sake,
Tum Daastan-E-Shauq Suno Aur Sunaye Hum,

Benoor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Ki Fiza,
Tareek Raaston Mein Kahin Kho Na Jaye Hum,

Uske Bagair Aaj Bahut Jee Udaas Hai,
Chalo Kahin Se Use Dhund Laye Hum...

Tumse Judayi Ke Aansu Aankhon Mein Rehte Hain



Tumse Judayi Ke Aansu Aankhon Mein Rehte Hain,
Kisike Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain,

Zindagi Ka Saleeka Kahan Hai Hamein Ab Dagmagate Hai Qadam,
Tum Ho Zindagi Meri Hum To Baar Baar Yehi Kehte Hain,

Hai Hasratein Dilki Koi Bhi Pal Na Teri Yaad se Gaafil,
Hum Soye Kahan Hai Bas Jaagte Rahe Hain,

Itna Chale Hai Ke Chal Chal Ke Thak Gaye Hain,
Sitare To Bahut Hai Par Hum Tumhe Chaand Kehte Hain...

Ulajh Kar Sulajhna Sulajh Kar Ulajhna


Ulajh Kar Sulajhna, Sulajh Kar Ulajhna,
Bikharna, Simatna, Simatna, Bikharna,
Wo Ana Wo Jana Yun Dil Lagana,
Usse Yaad Karna Wo Fariyad Karna,
Main Bhula Kahan Hoon,
Wo Sard Aah Bharna,
Usse Dekhne Ke Bahane Banana,
Bahane Bana Kar Unhe Phir Nibhana,
Main Bhoola Kahan Hoon,
Wo Dilka Dhadakna,
Wo Apni Kitabon Se Jee Churana,
Wo Tasveer Teri Wo Mera Sirhana,
Wo Khwabon Mein Usse Mulaqat Karna,
Wo Har Dam Har Simt Usi Ko Pana,
Main Bhoola Kahan Hoon,
Tera Hichkichana,
Wo Masoom Chehre Pe Qurbaan Hona,
Use Takte Rehan Wo Hairan Hoan,
Usi Justuju Mein Pareshan Hona,
Wo Thak Haar Kar Phir Pasheman Hona,
Main Bhoola Kahan Hoon,
Tera Muskurana,
Wo Chup Chap Sa Rehna,
Wo Khich Khich Ke Rehna,
Wo Baar Baar Karna Wo Anjaan Banna,
Qayason Ki Dori Se Wo Jaali Bunna,
Main Bhoola Kahan Hoon,
Wo Sab Haal Apna...

Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi Thodi Si Inayat Ho Jaye,


Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye,
Ek Roz Agar Tum Chupke Se,
Meri Aankhon Ko Sairaab Karo,
Bechain Mera Dil Rehta Hai,
Kuch Aur Ise Betaab Karo,
Is Talkh Haqeeqat Sehra Ko,
Ek Meetha Sundar Khwab Karo,
Ek Roz Meherbaan Ho Jao,
Mere Dilke Nigehbaan Ho Jao,
Is Tapti Dhoop Ki Sakhti Mein,
Ek Shaam Ki Chhanv Mil Jaye,
Murjha Se Gaye Hai Din Mere,
Ek Shaam To Meri Khil Jaye,
Aur Shayad Mere Honthon Se,
Har Zakhm Tera Bhi Sil Jaye,
Hum Qais Nahi Farhad Nahi,
Par Phir Bhi Kahin Aabad Nahi,
Shayad Ye Karishma Ho Jaye,
Tumhe Humse Mohabbat Ho Jaye,
Aye Roop Nagar Ki Shehzadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye...

Jab Jab Aisi Tanhayi Ka Aalam Hota Hai


Jab Jab Aisi Tanhayi Ka Aalam Hota Hai,
Ek Saaya Sa Mere Aas Paas Kahin Hota Hai,

Tham Jaati Hai Saansein Meri Pal Do Pal Ko,
Aur In Dhadkano Ko Ek Gumaan Sa Hota Hai,

Gher Leti Hai Yaadein Chaaron Aur Se Aake,
Aur Sehmi Si Aankhon Mein Ek Aansu Hota Hai,

Dabi Dabi Si Siskiyaan Jab Sunayi Deti Hai,
Kehte Hai Log Ke Shayad Kahin Koi Rota Hai,

Kya Batayein Is Zindagi Mein Hamein Kya Diya,
Is Ishq Ke Khel Mein Dil Kitna Kuchh Khota Hai,

Rook Kehti Hai Ke Chhod Dein Is Jhuthi Duniya Ko,
Par Mere Jaane Se Bhala Kaunsa Hal Hota Hai,

Mar Bhi Gayi To Meri Rooh Pal Pal Tadpegi,
Kaunsa Mar Ke Kisiko Koi Sukoon Hota Hai,

Isi Kashmakash Mein Saari Raat Kat Jati Hai,
Par Dard-E-Dil Ka Koi Anjaam Nahi Hota Hai...

Na Kabhi Use Khabar Hui Na Kabhi Use Pata Chala


Na Kabhi Use Khabar Hui Na Kabhi Use Pata Chala,
Use Chahna Ek Khwab Tha Aur Khwab Toot Gaya,

Maana Ke Bachpana Tha Ye Khel Pyaar Ka,
Phir Dil Kyon Ek Khilone Ki Maanind Toot Gaya,

Wo Jaa Raha Tha Bahut Kuch Adhoora Chhod Ke,
Uske Jaate Hi Aansuon Ka Zabt Bhi Toot Gaya,

Humne Sikha Nahi Uske Bagair Zinda Rehna,
Ab To Saanso Se Apna Talluk Hi Toot Gaya,

Baarha Khudko Samjhaya Wo Saraab Hai,
Ek Usko Paane Ke Liye Har Rishta Hi Toot Gaya...

Kabhi Kabhi Karna Nahi Jo Kaam Karna Padta Hai



Kabhi Kabhi,
Karna Nahi Jo Kaam,
Karna Padta Hai,
Mohabbat Ko Nafrat,
Likhna Padta Hai,
Mohabbat,
Jo Ang Ang Mein Bhari Hai,
Rom Rom Mein Basi Hai,
Uske Ehsaas Se Bhi,
Mukarna Padta Hai,
Dard Ke Sagar Mein,
Na Chahte Bhi,
Utarna Padta Hai,
Suno
Mausam Ki Tarah Badalne Wale
Suno
Hamein Tumse Mohabbat Hai
Yehi Tumse Kaha Tha,
Dilki Gehraiyon Se Tumhe
Chaha Tha,
Khabar Kya Thi Ye Wisl Ghadi,
Pal Bhar Mein Dhal Jayegi,
Hamari Soch Bhi
Tumhari Soch Ki Tarah,
Badal Jayegi,
Haan Waqt Ghaav Lagata Hai Aise,
Koi Sambhale Bhi To Sambhle Kaise,
Par Dard Saare Seh Kar Bhi,
Sambhalna Padta Hai,
Phir Raahein Saraab Sahi,
Pur Azaab Sahi,
Chalna Padta Hai,
Tumhari Yaad Ki Khushboo Se,
Tann Mann Jo Mehekta Rehta Tha,
Door Ho Ke Bhi Paas Ho Tum Mere,
Dilka Rom Rom Yehi Kehta Tha,

Kabhi Kabhi,
Karna Nahi Jo Kaam,
Karna Padta Hai,
Mohabbat Ko Nafrat,
Likhna Padta Hai...

Azal Se Mohabbat Hai Maava Lafzon Ki Maala Se


Azal Se Mohabbat Hai Maava Lafzon Ki Maala Se,
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai,
Mohabbat Soch Ke Aakash Par Baadal Ki Soorat Mein,
Sada Parwaaz Karti Hai,
Kabhi Baarish Ki Boondon Mein Simat Kar Dil Ki Dharti Par,
Utarti Hai..........Bikharti Hai,
Ada Le Kar Saba Se Ye, Gulabon Se Mehek Le Kar,
Dhanak Se Rang Le Kar Aur Sitaron Se Chamak Le Kar,
Haseen Aanchal Banati Hai,
Isi Aanchal Se Phir Khwabon Ke Kachhe Ghar Banati Hai,
Mohabbat Aazmati Hai,
Kabhi Ye Sher Bankar Lafz Ki Hurmat Badhati Hai,
Kabhi Ye Saaz Bankar Dhire Dhire Gungunati Hai,
Saraapa Aankh Ban Jaati Hai Ye Mehboob Ko Paa Kar,
Anokha Lams Ban Jati Hai Koo-E-Yaar Mein Jaa Kar,
Na Jane Kaunsa Mantar Padh Kar Haule Haule Se,
Kisiki Band Palkon Mein Bina Dastak Diye Ekdam,
Utar Kar Ghar Banati Hai.......Mohabbat Muskurati Hai,
Ye Khushbu Hai Hamesha Phool Ki Saanson Mein Hoti Hai,
Bana De Chaand Tera Shab Ko Jo Ye Aisa Moti Hai,
Kasak Hai Daayimi Is Mein Bahut Benaam Lazzat Hai,
Mohabbt Ki Yehi Tareef Hai Ke,
YEHI MOHABBAT HAI...

Tu Is Qadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai


Tu Is Qadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai,
Tujhe Alag Sa Jo Sochun Ajeeb Lagta Hai,

Hadood-E-Zaat Se Bahar Nikalke Dekh Zara,
Na Koi Gair, Na Koi Raqeeb Lagta Hai,

Jise Na Husn Se Matlab Na Ishq Se Sarokar,
Wo Shakhs Mujhko Bahut Badnaseeb Lagta Hai,

Ye Dosti, Ye Marasim, Ye Chahatein Ye Khaloos,
Kabhi Kabhi Ye Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai,

Ufaq Pe Door Chamakta Hua Koi Taara,
Mujhe Charag-E-Dayaar-E-Habeeb Lagta Hai,

Na Jaane Kab Koi Tufaan Aayega Yaaron,
Buland Mauj Se Saahil Qareeb Lagta Hai...

Khwaab-O-Gul Pareshan Rehne Do


Khwaab-O-Gul Pareshan Rehne Do,
Hamein Bahar Na Karo Khizaan Rehne Do,

Kyon Chhupate Ho Duniya Se Hamari Baatein,
Ye To Ayan Hai Ayan Rehne Do,

Dilke Phaphoolon Ko Na Chhedon Aise,
Jo Dard Jahan Hai Wahan Rehne Do,

Jo Hai Man Mein Kahan Koi Nikalta Hai,
Chhodo Ye Waqt Na Zeeyan Rehne Do,

Na Bharo Zakham Hamare Saare,
Kuch To Ghaav Ke Nishan Rehne Do,

Sab Le Lo Humse Sabhi Kuch Le Lo,
Bas Awaz-E-Paa Ka Gumaan Rehne Do,

Jo Lutf Hai Nala-E-Naeem-Shab Mein Sanam,
Hamein Yun Hi Bekaran Rehne Do...

Maan Liya Sach Kehti Ho Mujhse Mohabbat Karti Ho


Maan Liya Sach Kehti Ho,
Mujhse Mohabbat Karti Ho,
Mere Khwaabon Ki Duniya Mein Rehti Ho,
Meri Yaad Ka Alam
Door Khila Mein,
Aksar Takti Rehti Ho,
Din Sochon Mein Kat Jaata Hai,
Raatko Neend Nahi Aati,
Ek Ek Taara Ginti Ho,
Ye Bhi Sach Hai,
Apne Husn Ki Baarish Se,
Jal Thal Kar Doge,
Jeevan Bhar Sukh Bantoge,
Lekin,
Aye Masoom Ladki,
Main Bebas Hoon,
Chahun Bhi To,
Saath Tumhara De Nahi Sakta,
Mere Dukh Ki Duniya Tanha,
Mere Sukh Ki Baat Alag Hai,
Kis Ummid Pe, Kis Barte Par,
Mera Daman Thamoge,
Mere Hath Ki Tooti Phooti,
Tirchi Lakeerein Gaur Se Dekho,
In Mein Tumhara Naam Nahi Hai...

Kuch Khwaab Hai Jinko Likhna Hai


Kuch Khwaab Hai Jinko Likhna Hai,
Tabeer Ki Soorat Deni Hai,
Kuch Log Hai Ujde Dil Wale,
Jinhe Apni Mohabbat Deni Hai,
Kuch Phool Hai Jinko Chunna Hai,
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai,
Kuch Apni Neend Baaki Hai,
Jise Bantna Hai Kuch Logon Mein,
Unko Bhi To Rahat Deni Hai,
Aye Umr-E-Rawan,
Aahista Chal
Abhi Kaasa Qarz Chukana Hai...

Aadmi Aadmi Se Milta Hai Dil Magar Kam Kisise Milta Hai


Aadmi Aadmi Se Milta Hai,
Dil Magar Kam Kisise Milta Hai,

Bhool Jaata Hoon Main Sitam Uske,
Wo Is Saadgi Se Milta Hai,

Milke Bhi Jo Kabhi Nahi Milta,
Bhool Kar Dil Usi Se Milta Hai,

Aaj Kya Baat Hai Ke Phoolon Ka,
Rang Teri Hansi Se Milta Hai,

Silsila Fitna-E-Qayamat Ka,
Teri Khoshqamti Se Milta Hai,

Karobar-E-Jahan Sanwarte Hai,
Hosh Jab Bekhudi Se Milta Hai...

Hazaron Pal Tumhare Bin, Na Puchho Kaise Katte Hain


Hazaron Pal Tumhare Bin,
Na Puchho Kaise Katte Hain,
Kabhi Yaadein Rulati Hai,
Kabhi Mausam Satate Hai,
Use Kehna Hum Aate Hai,

Hamein Mayus Na Karna,
Hamara Maan Rakh Lena,
Hamein Wapas Nahi Jaana,
Hamein Dil Mein Basa Lena,
Hamein Apna Bana Lena,

Bahut Tadpe Hue Dilse,
Bahut Rootha Nahi Karte,
Mohabbat To Ibadat Hai,
Zamane Se Chhupate Hai,
Ise Ruswa Nahi Karte,

Suno Aisa Nahi Karte...

Bahut Masroof Rehte Ho


Bahut Masroof Rehte Ho,
Sehar Se Shaam Hone Tak,
Koi Lamha Nahi Milta,
Koi Gumnaam Si Sa'at,
Koi Benaam Si Fursat,
Kahin Baithe Hue Tanha,
Kabhi Jo Shaam Ho Jaye,
To Meri Iltija Hai Ye,
Koi Lamha Chura Lena,
Jo Mere Naam Ho Jaye,
Ke Hum Jaise Aseeron Ka,
Koi To Kaam Ho Jaye...

Rukti Hai Baar Baar Jab Honthon Mein Aa Kar Baat


Rukti Hai Baar Baar Jab Honthon Mein Aa Kar Baat,
Guzarti Hai Jab Aankhon Aankhon Mein Hi Raat,
Hoti Hai Jab Do Dilon Ki Agar Ijaazat,
Samajh Lena Main Hoon Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat,

Jab Ban Jaye Koi Ankhon Ki Zaroorat,
Jab Lagne Lage Har Chiz Hi Khoobsurat,
Jab Dikhe Lage Har Pal Hi Uski Surat,
Samajh Lena Main Hoon, Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat,

Jab Koi Karne Lage Apne Aap Se Hi Sawalat,
Dil Sune Na Kisiki Jab Baat,
Aur Dil Hi De Har Jawabaat,
Samajh Lena Main Hoon, Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat,

Dil Karna Chahe Jab Akele Mein Kisise Mulakat,
Jab Lagne Lage Haath Ki Lakeeron Mein Bhi Uska Hi Saath,
Ho Hi Jaye Jab Kisiko Kisise Sachhi Chahat,
Samajh Lena Main Hoon Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat...

Wafa Ke Sheesh Mahal Mein Saja Liya Maine


Wafa Ke Sheesh Mahal Mein Saja Liya Maine,
Wo Ek Dil Jise Patthar Bana Liya Maine,

Ye Soch Kar Ke Na Ho Taak Mein Khushi Koi,
Gamon Ki Ott Mein Khud Ko Chhupa Liya Maine,

Kabhi Na Khatam Kiya Maine Roshni Ka Muhaaz,
Agar Chiraag Bujha, Dil Jala Liya Maine,

Kamaal Ye Hai Ke Jo Dushman Pe Chalana Tha,
Wo Teer Apne Kaleje Pe Kha Liya Maine,

'Qateel' Jiski Adavat Mein Ek Pyaar Bhi Tha,
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Maine...

Koi Bijli Giri Kya Aasman Se?


Koi Bijli Giri Kya Aasman Se?
Dhuwan Sa Uth Raha Hai Aashiyan Se,

Mujhe Karte Ho Kyon Majboor Itna,
Nikal Jaye Na Kuch Meri Zubaan Se,

Kabhi To Ye Zameen-E-Dil Bhi Mehke,
Kabhi To Abar Barse Aasman Se,

Fareb Usne Diye Mujhko Hamesha,
Magar Nikla Nahi Dilke Makaan Se,

Kabhi Jharte The Muh Se Phool Par Ab,
Tapakta Zeher Hai Unki Zubaan Se,

Kare Jo Mundamil Zakhmon Ko Mere,
Maseeha Main Wo Ab Laun Kahan Se,

Badal Jaate Hai Rishte Waqt Ke Sath,
Kahan Tak Aa Gaye Hum-Tum Kahan Se...

Kash Kabhi Hota Ye Mere Ikhtiyaar Mein


Kash Kabhi Hota Ye Mere Ikhtiyaar Mein,
Main Rang Deta Janan Tujhe Apne Pyaar Mein,

Main Itna Pyaar Deta Tujhe Jaan-E-Aarzu,
Tu Khudko Bhool Jaati Mere Aitbaar Mein,

Tu Jo Kabhi Bulati Mulaqaat Ke Liye,
Bechain Hoke Phirti Mere Intezar Mein,

Main Der Se Jo Aata Naaraz Hoke Tum,
Har Baat Ka Jawab Deti Inkaar Mein,

Tu Jo Kisi Baat Par Mujhse Rooth Jaati,
Main Tujhe Manata Bade Israar Mein,

Maan Kar Tu Mujhse Sirf Yehi Kehti,
Hai Yaqeen Nahi Kami Koi Tere Pyaar Mein,

Kash Kabhi Hota Ye Mere Ikhtiyaar Mein,
Main Rang Deta Janan Tujhe Apne Pyaar Mein...

Popular Posts