Wednesday, July 28, 2010

Muhabbat Ka Dhuwan AankhoN mein Pani Chor Jata Hai


Muhabbat Ka Dhuwan AankhoN mein Pani Chor Jata Hai,
Kisi Rastay Se Gham Guzaray Nishani Chor Jata Hai,

Humari Guftugu Se Bhi Woh Qael Nahi Hota,
Aur Apni Khamoshi K Bhi Maani Chor Jata Hai,

Bharosa Jis Pe Ho Usay Tawaqqo Koi Mat Rakhna,
Yehi Ek Saibaan Be-Saaibaani Chor Jata Hai,

Bichar Kar Bhi Hum Aise Shakhs Se Bichrra Nahi Kartay,
Jo Ek Fiqra Aada Kar K Kahani Chor Jata Hai,

SAHIL Mout Bhi Kam Khubsurat Toh Nahi Hogi,
Jo Isko Dekhta Hai Zindgani Chorr Jata Hai......!!!!

yahan Ajnabi Se Feezai'n hain


yahan Ajnabi Se Feezai'n hain...
Yahan Ghamzada se Feezai'n hain...
Na Wo Dosti Na Wo Dushmani...
Na Wo Shokh O Shang Adaai'n hain...
Yahan bay Nayaz say Loog hain...
Jinhein apne Kaam say kam hay...

Ye diyar-E-Ghair ke Sham hay...

Yahan Subha O Sham hain ek say...
Na Wo Dhoop hay Na Ghatai'n hain....
Yahan Apne Apne hain Raste....
Yahan bay hesi ki Sazaein hain....
Na Wo baat hay Na Wo Raay hay....

Ye Deyar E Ghair ! ! !

Mera Saya Mujhsay Juda Huwa....
Main Khara Hoon Kaisay Dara Huwa....
Yahan Rat Kaisay Katay ge ab....
Yahan Khuwab Tak hay Kata Huwa....
Hammain Qaae'nat say kia Gila....
Kay Yah Gardesho'n Mein Maddum Hay....

Ya Deyar E Ghair ! ! !

Hammai'n Apni Bhi tu Khabar Nahi....
Yahan ek Ajab sa Neezam hay....
Ye Khayal O Khayab Ka Muntaqa....
Jahan Koe Dar Hay na Baam Hay....

Ye Dayar E Ghair Ke Sham Hay... ! !

bahut haseen hai meraa dil_rubaa na ho jaaye



bahut haseen hai meraa dil_rubaa na ho jaaye
merii nazar mein woh kaafir Khudaa na ho jaaye

tamaam shahar mein merii wafaa kii khushbo hai
puraanaa zakhm kisii kaa haraa na ho jaaye

na jaane kitne baras baad vo milaa hai mujhe
hai dar yahii ki vo phir se judaa na ho jaaye

main us se Toot ke milta hon jab bhii milta hon
ye meraa milanaa kahen haadasaa na ho jaaye

karwan sarai main kis ka ye parrao hai


karwan sarai main, kis ka ye parrao hai
shauq ka safar shayed, raas aa nahin paya
lut gaya hai rastay main,aarzoo ka sarmaya
door manzil-e-umeed, rasta bhi hai be saya
ik thakan ke b ye bhi, karwan main shamil hai
ik chubhan ke rastay main, khar bun ke haail hai
rooh bhi shakista hai, uzaw uzaw ghayal hai
karwan saraye main , kis ka ye parrao hai
hum ne ab sepehlay bhi, aisay karwan daikhay
be murad manzil thay, na murad sahil thay
gard gard jismon pe, khuwab khuwab chehray thay
shauq ka safa kaya tha, dairay main phairay thay
ishq ki musafat main, bus yahi to hota hai
“koi khaak karta hai, koi khaak hota hai

baat chali teri ankhon se jaa pahchi paimane tak



baat chali teri ankhon se jaa pahchi paimane tak
khainch rahi hai teri ulfat aaj mujhe maikhane tak

ishq kii batain ghum kii baatein duniya vale karte hain
kis ne shama kaa dukh dekha kaun gaya paravane tak

ishq nahin hai tum ko mujh se sirf bahane karti ho
youn hi bahane qayam rakhana tum mere mar jaane tak

itna hi kehna hai tum se mumkin ho to aa jana
aa hii gaye ho to rukana hoga ankhon ke patharane tak

Usay Kehna Muhabbat Humse Karni Hai


Usay Kehna,
Muhabbat Humse Karni Hai,
Toh Phir Wada Nahi Karna,
Yeh waday Hum Ne Dekhey Hain,
Aksar Toot Jatay Hain,

Muhabbat Humse Karni Hai,
Toh Phir Zid Bhi Nahi Karni,
Yeh Zid Bhi Humne Dekhi Hai,
Saathi Choot Jatay Hain,

Muhabbat Humse Karni Hai,
Toh Phir Tohfa Nahi Dena,
Yeh Tohfay Humne Dekhay Hain,
Buhat Majboor Kartay Hain,

Muhabbat Humse Karni Hai,
Toh Phir Shikwa Nahi Karna,
Yeh Shikway Humne Dekhay Hain,
Dilon KO Door Kartay Hain.....!!!!

meray ahsas k aangan mai utar janay ka


meray ahsas k aangan mai utar janay ka
gham ko aata hai hunar dil mera behlanay ka

faida kutch bhi nahee'n zakhmo'n ko dikhlanay ka
aitebar usko kabhi ham pay nahee'n aanay ka

baat dil ki mai bhala kaisay mai teray sath karoo'n
harr gharhi tujh pe ghuma'n hai kisi baighanay ka

tera qissa bhi naye morh pay aaya shayad
rukh badalnay ko hai ab meray bhi afsanay ka

khud ko samjha to liye mainay magar ai hamdam
kutch sabab to hai teray rooth k you'n janay ka

apni socho'n k darichay ko khula rakkh "Naheed"
ik yahi raasta hai taza hawa aanay ka

Naamaa gayaa koi na koi naamaabar gayaa


Naamaa gayaa koi na koi naamaabar gayaa
terii Khabar na ayi zamaanaa guzar gayaa

Hansta hon youn k hijr ki raatein guzar gayeen
rotaa hon youn k lutf e duaa e sahar gayaa

Ab mujh ko hai qaraar to sab ko qaraar hai
dil kyaa Thahar gayaa ki zamaanaa guzar gayaa

Yaa Rab nahin main vaaqif-e-rudaad-e-zindagi
itna hi yaad hai k jiyaa aur mar gayaa

Muhabbat Dukh Toh Deti Hai


Muhabbat Dukh Toh Deti Hai,
Magar Ek Baat Kehni Hai,
K Jis KO Chaha Jata Hai,
Zaruri Yeh Nahi Hota,
K Usko Pa Liya Jaye,
Kabhi Uskay Bicharnay Se,
Muhabbat Kam Nahi Hoti,
Zara Si Dair Pehle Toh,
Yahi Ehsas Hota Hai,
K KOi Jee Nahi Saqta,
Magar Phir Rafta Rafta Hi,
Haqeeqat Khulti Jati Hai,
K Muhabbat Woh Hi Hoti Hai,
Jo Hemesha Sath Rehti Hai.....!!!

Nahin k milne milaane ka sil-silaa rakhnaa


Nahin k milne milaane ka sil-silaa rakhnaa
Kisi bhi satah pe koi tou raabtaa rakhanaa

Madad kii tum se tavaqqu to Khair kyaa hogii
Gareeb-e-shahar-e-sitam hon mera pataa rakhnaa

Merain gaye aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut
Yeh jurm hai to phir is jurm ki sazaa rakhanaa

Naye safar pe ravaanaa huaa hon az-sar-e-nau
Jab aaon ga to meraa naam bhii nayaa rakhanaa

Hisaar-e-shauq uthaanaa "Zafar" zaroor magar
kisi taraf se nikalne kaa raastaa rakhanaa

Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte


Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte,
Kisi Tajir Ki Tarha Ishq Mein Sauda Nahi Karte.

Sawal Uthne Lage Hain Phir Maseehai Ke Bare Mein,
Agar Ho Charagar To Kyon Hume Achcha Nahi Karte.

Naqab e Rukh Ulat Do Aeene Se Yun Na Sharmao,
Ke Mehram Se Kabhi Mehram Kaheen Parda Nahi Karte.

Na Ho Mayoos Ae Zoq e Junoon Too Bo’ud e Manzil Se,
Mohabbat Karne Wale Rah Mein Thera Nahi Karte.

Duhai De Rha Hai Kyon Faqeeh e Shaher Azmat Ki,
Nasab Wale Kaheen Kya Ishq Farmaya Nahi Karte.

Misaal e Mahi e Be Aab Meri Jaan Nikal Jaati,
Are Itna Taghaaful Aap Yeh Achcha Nahi Karte.

Hua Jo So Hua Manzar Miyan Khak Bhi Dalo,
Gae Waqton Ki Baten Hain Unhe Socha Nahi Karte.

Hothon pe muskaan khil jati hai meri


Hothon pe muskaan khil jati hai meri,

Uski ek sharaarat se.

Aankhein chamak jati hain meri,

Uski ek aahat se.

Uski ek jhalak pate hi,

Mera ang ang sajeev ho jaata hai.

Mera udaas man bhi,

Uske sparshmatr se praffukit ho jata hai.

Pataa nahi usme kyaa,

Visheshtaa chhipee hai.

wo mere is andhkaarmay jeevan mein prajalit huee,

ek jagmagaatee roshnee hai.

Uski aankhein hameshaa bolti hain,

Uski baatein mujhe toltee hain.

Uski mand mand muskuraahat,

Uske dil me chhipe raaj kholtee hain.

Khush hai wo mere hothon ki muskurahat se.

Main bhi uski ek muskurahat ke liye taras jati hoon.

Ishwar kare ki hamara ye rishta itna majboot ho jaaye ki,

Ham dono har khushee ka swaagat muskuraahat ke saath karein

Kuch kehna tha usy bhi aur mujhe bhi


Kuch kehna tha usy bhi aur mujhe bhi

Us ne ye chaha mien kuch kahon,meri yeh zid ke baat wo kare.



Yehi sochty sochty zamane beet gaye,

Na us ki ana tooti, Aur na meri zid

Us ki ana faseel thi, toh meri bhi chattan,



Ana aur zid ke issi tazad mein,

Safer-E-Zindgi youn hi rawa raha.

Waqt kat-ta raha, dard barhta raha,

Aur safer ikhte-tam ko ponhcha

Ikhte-tam e safer ye raha.



“Meri ankhon meinhalki si nami ,

Aur shayed us ki zindgi mein thori si kami.



Us ki ana shikast khurda,

Aur meri zid reza reza

Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha


Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha
Wo shakhs lehja barha ba kamal rakhta tha

Hansi labon pe dil mein malaal rakhta tha
Ajeeb shakhs tha sheeshey mein baal rakhta tha

Tera firaaq hamesha azaab e jaan tha magar
Tera wisaal bhi mujh ko nidhaal rakhta tha

Kissi ke chehra e pur noor ka jawab nahin
Andheri raat mein sooraj nikaal rakhta tha

Wo barson baad milla bhi to es tarah se milla
Labon pe chup thi nazar mein sawaal rakhta tha

Bulandion se gira hoon to ye maloom hooa
Urooj apney hi ander zawaal rakhta tha

Chamakney waali har ek cheez ko sona samjha
Kuch es tarah ka wo zoq e jamaal rakhta tha

Tera sunehri tassawur, tera sunehri khyaal
Na janey kyoon meri aankhon ko laal rakhta tha

Mera wehem dabota raha har baar mujhey
Mera yaqeen hamesha uchaal rakhta tha....

Phir Se Rog Lagao Tum


Phir Se Rog Lagao Tum,
Mujhse Rabtay Bharao Tum,
Kaise Sab Kuch Bholay Ho,
Mujhko Bhi Samjhao Tum,
Jaise Bairsh Sawan Ki,
Ek Din Aise Aao Tum,
Main Ne Jee Bhar K Rona Hai,
Mujhko Khuwab Dekhao Tum,
Buhat Kuch Kho Chuka Hoon Main,
Ab Mere Ho Jao Tum.....!!!

Mili Hayat Hi Aisi K Haya Bhi Ro Pari


Mili Hayat Hi Aisi K Haya Bhi Ro Pari
Teri Talash mein Zalim Saza Bhi Ro Pari,

Tujhay Toot K Chaha Aur Itna Chaha,
Teri Wafa K Khatir Wafa Bhi Ro Pari,

Mera Naseeb Mera Muqadar Banay Tu,
Tujhay Hi Mangtay Mangtay Dua Bhi Ro Pari,

Kitab-e-Dil Mein Tera Bab Jab Band Kiya,
Khatam Kartay Kartay Kitab Bhi Ro Pari.....!!!!

Tum ko mubarak khushi Mere liye gham sahi



Tum ko mubarak khushi
Mere liye gham sahi
Meri mohbbat meri wafa ka
Shayad sila tha yehi

Main ne dil lutne ka tamasha
Pathar ban k dekha
Pyar k badle dard mila hay
Kiya khoya kiya paya
Muj ko shikayat
Taqdeer se hay
Tum se naheen shikwa

Sath guzare the jo hum ne
Woh lamhaat bhula do
Pal do pal ka sath tha apna
Tum woh sath bhula do
Pyar ki kasmeen pyar k wahde
Har ek baat bhula do

Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K


Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K
Rakh Dia Hai Uss Ne Mujhe Shehar Mein Ruswa Ker K

Wo Samjh Sakta Nahi Ishq-O-Janoon Ki Batain
Mein Bata Sakta Nahi Un Ka Khulasa Ker K

Ain Mumkin Hai K Wo Iss Baat Pe Aamada Ho
Dekh Lete Hain Mohabbat Ka Taqaza Ker K

Ain Mumkin Hai Wo Nikal Aye Gahr Se Bahir
Dekh Lete Hain Naya Koi Tamasha Ker K

Wo Jo Aya To Aye Ga Lamha Bhar Ko
Lot jaye GA Koi Aur Bahana Ker K...

Sunaa karo meri jaan in se un se afsaanay


Sunaa karo meri jaan in se un se afsaanay
Sab ajanabi hain yahaan kaun kis ko pehchanay

Yahaan se jald guzar jaao qaafile walo
Hain meri pyaas ke phoonkay hoye yeh veeranay

Mere junoon-e-parastish se tang aa gaye log
Sunaa hai band kiye jaa rahe hain but Khaanay

Jahaan se pichhale pahar koi tashnaakaam uthaa
Waheen pe toray hain yaaron ne aaj paimaanay

Bahaar aaye to meraa salaam kah denaa
Mujhe to aaj talab kar liyaa hai seharaa ne

Maqrooz K Bigray Hue Halaat Ki Manind



Maqrooz K Bigray Hue Halaat Ki Manind
Majboor K Honton Pe Sawalaat Ki Manind,

Dil Ka Teri Chahat Mein Ajab Haal Hua Hai,
Sailaab Se Barbaad Makanaat Ki Manind,

Main Un Mein Bhataktay Hue Jugnu Ki Tarah Hun,
Us Shakhs Ki Aankhein Hain Kisi Raat Ki Manind,

Dil Roz Sajata Hoon Main Dulhan Ki Tarah Se,
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baraat Ki Manind,

Ab Yeh Bhi Nahi Yaad K Kiya Naam Tha Uska,
Jis Shakhs Ko Manga Tha Manajaat Ki Manind,

Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khuwaish,
Masoom Se Bachay Ke Khayalaat Ki Manind,

Us Shakhs Se Mera Milna Mumkin Hi Na Tha,
Main Pyaas Ka Sehra Hoon Woh Barsaat Ki Manind,

Samjhao "MOHSIN" Usko K Ab Reham Karay,
Dukh Bant'ta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Manind......!!!!

Woh Rooth Jata Hai Aksar Humse Shikwa Kiye Bagair


Woh Rooth Jata Hai Aksar Humse Shikwa Kiye Bagair,
Hum Bhi Toh Seh Jatay hain Shikayat Kiye Bagair,

Hum Sochtay Rahay Muhabbat Be-Los Hoti Hai,
Yeh Yunhi Ho Jati Hai Inayaat Kiye Bagair,

Tu Kitna Nadaan Hai Itna Toh Soch Le,
Jannat Kab Milti Hai Ebadat Kiye Bagair,

Kasoor Unka Nahi Kasoor Toh Humara Hai,
Humse Muhabbat Karlo Unse Ijazat Liye Bagair.....!!!

Yeh kaun Doob gayaa aur ubher gayaa mujh mein


Yeh kaun Doob gayaa aur ubher gayaa mujh mein
Yeh kaun saaye ki soorat guzer gayaa mujh mein

Yeh kis ke sog mein shoridaa-haal phirataa hon
Woh kaun shakhs thaa aisaa k mar gayaa mujh mein

Ajab havaa-e-bahaaraan ne charasaazi ki
Woh zakhm jis ko na bherna thaa bher gaya mujh mein

Woh aadmi k jo patthar thaa jee raha hai abhi
Ju aaina tha woh bikher gayaa mujh mein

Wo saath tha to ajab dhoop chaaon rehti thi
Bas ab to ek hi mausam thaher gaya mujh mein

Yeh tajarubaa bhi karon yeh bhi ker dikhlaon main


Yeh tajarubaa bhi karon yeh bhi ker dikhlaon main
K khud ko yaad rakhon us ko bhool jaaon main

Faraib-e-kaar mein kuchh to hai koi baat to hai
K jaan boojh k itne faraib khaon main

Woh pal kahaan hain ju duniyaa se jorta tha mujhe
Jo paon tujh ko to sab ke qareeb aaon main

Kabhi to ho mere ehasaas-kam-tarii mein kami
Kabhi to ho ki use khul ke paaon main

Wo shakhs hai ki naseem-e-sahar kaa jhonka hai
Bikhar hi jaon ju us ko gale lagaaon main

Azaan ke baad duaa ko jo haath uthaye woh
"Imam" apni namaazein bhi bhool jaon main

Main raaste ka bojh hoon tum khayal mera na karo


Main raaste ka bojh hoon tum khayal mera na karo
Tum zindagi ki lahar ho lahere utha ke tum chalo

Main chaman ka kaanta hoon tum khayal mera na karo
Tum bahar ki hakdaar ho gulistaan abaad kar chalo

Main timtimata deeya hoon tum khayal mera na karo
Tum mukaddas chiraagh ho zindagi roshan kar chalo

Main tufan ka mara hoom tum khayal mera na karo
Tum par Us ki inaayat hai kinaron ke hawale kar do

Main karz ki saansein ji raha hoon tum khayal mera na karo
Tum jeena hi ho maksad tamanna kamiyab kar chalo

Main badsura saaz “ asgher " tum kahyal mera na karo
Tum mehfil ke sartaaj ho ghazal mukammal kar chalo

Jab pyar karna seekh liya toh pyar nibhana bi seekh liya


Jab pyar karna seekh liya
toh pyar nibhana bi seekh liya
jab aaye aapki yaad toh,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se ki koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya
Ankhon ki zuban wo samaj nahi pate
hoth magar kuch kahe nahi pate,,,,,,
apni bebasi kis tarah kahe hum,
koi he jiske bina hum reh nahi pate!!!!
Woh Aakh Hi Kya Jo Pyar Ki Zubaan Na Samjh Sake,
Hoton To Hile Bina Hi ,sab Kuch Ankh Se Kehlete Hai,
Pyar Ko Bebasi Na Kaho Mere
Keh Ne Ke Liye Sahara Dondh Na Padhe Tumhe.
ki thi suruaat ek choti si mazak se..
mazak dard ban jayega ye malum na tha..
samajhte the jise hum apna YAAR..
wo ek din PYAR ban jayega ye malum na tha..
Dil Ki Dharkan Ko Dharka Gaya Koi
Merey Khawabon Ko Mehka Gaya Koi ,
Hum Tu Anjanay Raston Pay Chal Rahay Thay
Achanak Hi Pyaar Ka Matlab Seekha Gaya Koi!!!!!!!
Dil ko araam milta hai tujhe pane se
meri saans main saans hai bas tere hi aane se
kaise tuh chod jati hai mukhe bari mehfil main tanha
kya dar lagta hai tujhe mere tere karib aane se
Kitna Bhi Chaho Na Bhool Pao Gaya Hume
Jitni Door Jao Gaya Nazdik Pao Gaya Hume
Mita Sakte Ho To Mita Do Yaaden Meri
Magar Kya Sapno Se Juda Kar Pao Gaya Humhe
Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi

Suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti


Suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti
Suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti
Tumhare pyaar ki baatein hume sone nahi deti


Tumhari reshami julfon mein dil ke phool khilte the
Kahi phoolon ke mausam mein kabhi hum tum bhi milte the
Purani wo mulakatein humein sone nahi deti
Tumhare pyaar ki baatein hume sone nahi deti
suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti


Kahi aisa na ho lag jaaye dil mein aag paani se
Kahi aisa na ho lag jaaye dil mein aag paani se
Badal lein raasta apana ghataayen meharbani se
Ke yaadon ki ye barsaatein humein sone nahi deti
Tumhare pyaar ki baatein hume sone nahi deti

suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti

Tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai


Tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai
jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Ye aasmaan ye baadal ye raaste ye hawa
Har ek cheez hai apni jagah thikane se
Kayi dino se shikayat nahi zamane se
Ye zindagi hai safar tu safar ki manzil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Tere bagair jahan mein koi kami si thi
Bhatak rahi thi jawani andheri raahon mein
Sukoon dil ko mila aake teri baahon mein
Main ek khoyi huyi mauj hoon tu saahil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Tere zamal se roshan hai kaaynaat meri
Meri talaash teri dilkashi rahe baaki
Khuda kare ke ye deewangi rahe baaki
Teri wafa hi meri har khushi ka haasil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai
tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai

Main jahan rahoon Main kahin bhi hoon Teri yaad saath hai


Main jahan rahoon Main kahin bhi hoo
Teri yaad saath hai
Kisi se kahun Ke Nahi kahun
Yeh jo dil Ki Baat hai

Kahne Ko saath Apne Ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhaii Palti hai
Bas yaad Saath hai Teri yaad saaath hai

Main jahan rahoon Main kahin bhi hoo
Teri yaad saaath hai

Kahin to Dil mein yaadon ki Ek sooli gad jaati hai
Kahin har ek Tasveer bhahut hi dhundhali pad jati hai
Koi nai duniya ke naye rango mein khush rehta hai
Koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kahta hai

Kahne Ko saath Apne Ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai Teri yaad saath hai

Kahin to beete kal ki jade Dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhaage tute to Malayen bhikar jaati
Koi dil mein jagah nai baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palko par Yadon ke diye rakhta hai

Kahne Ko saath Apne Ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai Teri yaad saath hai

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta



Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta

Jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta

Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta

Tere jahaaN mein aisa nahi ke pyaar na ho
Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta

Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta

Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan


Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan
Tu mumtaaz hai mere khwaabon ki main tera shah-e-jahan

Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan
Main mumtaaz hoon tere khwaabon ki tu mera shah-e-jahan

Chehra kamal hai baat gazal hai khushbu jaisi tu chanchal hai
Tera badan hai sang-e-marmar tu ek zindaa taj mahal hai

Utri hai tu aasmaan se tujhsa zamee pe kahan
Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan
Tu mumtaaz hai mere khwaabon ki main tera shah-e-jahan

Tu jo salamat pyaar salamat teri baahein meri panahein
Tune humko utna chaha aur khuda se hum kya chahe

Tu jo salamat pyaar salamat teri baahein meri panahein
Tune humko utna chaha aur khuda se hum kya chahe

Naam wafa ka tujhse hain zindda tujh pe hai jaan kurbaan
Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan
Main mumtaaz hoon tere khwaabon ki tu mera shah-e-jahan

Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho


Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge
Na Jaane Mujhe Kyoon Yakin Ho Chala Hai
Mere Pyaar Ko Tum Mitaa Na Sakoge
Meri Yaad Hogi Jidhar Jaaoge Tum
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Tadapta Mujhe Har Taraf Paaoge Tum
Shama Jo Jalaayi Hai Meri Wafa Ne
Bujhaana Bhi Chaaho Bujha Na Sakoge
Kabhi Naam Baaton Mein Aaya Jo Mera
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
Nigahon Mein Chaayega Gham Ka Andhera
Kisi Ne Jo Poocha Sabab-A-Suboon Ka
Bataana Bhi Chaaho Bata Na Sakoge

Tu Mera Naam Na Poocha Ker


Tu Mera Naam Na Poocha Ker!
Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon
Main Teri Soch Main Shamil Hoon
Main Teri Neend Ka Qissa Hoon
Main Tery Khawab Ka Haasil Hoon
Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon
Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
Tu Manzar,Main Pas-Manzar Hoon
Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon
Jazby Ka Koi Naam Nahi..
Tu Mera Naam Na Poocha Ker!!!!

Mere Israar Per Aakhir Bohat Majbuur Ho Ker Aaj



Mere Israar Per Aakhir
Bohat Majbuur Ho Ker Aaj
Mujhy Apni Nigaho’n Ki Udaasi
Sonp Di Us Ne
Bohat Bebas Bohat Tanha
Bohat Bikhri Mohabbat Ki Us Ne
Khalish Jo Us k Dil Mein Thi
Ab Wo Meri Amanat Hy
Shikasta Lehjy Ki Jitni Thakan Thi
Bol Di Us Ne
Meri Khatir Mujhy Apni Mohabbat
Keh Nahi Paya
Magar
Aaj Apne Aansuu Se
Mohabbat Taul Di Us Ne

Woh jo daway-daar hai shehar ka, k main sub he ka nabz shanaas hoon


Woh jo daway-daar hai shehar ka, k main sub he ka nabz shanaas hoon
Kabhi aa k mujh say bhi pochta k mian kis k ghum main udas hoon

Ye meri kitaab-e-hayaat hai isay dil ki aankh say parh zara
Main wark wark teray samnay, teray rubaroo teray pass hoon

Ye teri umeed ko kia hua kabhi tu nay ghoor nahi kia
Kisi sham tu nay kaha tou tha, teri saans hoon teri aas hoon

Ye teri judai ka ghum nahi ye silsilay tou hain roz k
Teri zaat is ka sabab nahi, kaie dinon say youn he udas hoon

Kisi aur ki aankh say deakh kar mujhay aisay waisay laqab na day
Tera Aitabaar hoon Jana-e-man na gumaan hoon na qayaas hoon

Kahein tum apni qismat ka likha tabdeel kar layte


Kahein tum apni qismat ka likha tabdeel kar layte
To shayad hum bhi apna rasta tabdel kar layte …

Agar hum waqae kam hosla hotay mohabat mein
Marz bharne se pehlay dawa tabdel kar layte …

Tumharay sath chalne per jo dil razi nahi hota
Bohat pehlay hum apna faisla tabdel kar layte…

Tumhari tarah jeenay ka hunar ata to phir shayad
Makan apna wohi rakhtay pata tabdel kar layte…

Judai bhi na hoti zindagi bhi sahal ho jati
Jo ek dusray se masla tabdel kar layte…

Bohat dhundla gaya hai yaadoon ki rim jhim mein dil sada
Woh mil jata to hum bhi aaina tabdel kar layte

Too Ne Dekha Hai Kabhi Aik Nazar Shaam Ke Baad


Too Ne Dekha Hai Kabhi Aik Nazar Shaam Ke Baad
Kitne Chup Chaap Se Lagtay Hain Shajar Shaam Ke Baad

Itne Chup Chaap Ke Rastay Bhi Rahain Laa Ilm
Chor Jaain Ge Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Maine Aisay Hee Gunaah Teri Judaaeee Mein Kiay
Jesay Toofaan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad

Raat Beeti To Ginay Aablay Or Phir Socha
Kon Tha Baa-iss-a-Aaghaz-a-Safar Shaam Ke Baad

Too Hai Sooraj Tujhay Maaloom Kahaan Raat Ka Dukh
Too Kisi Roz Mairay Ghar Mein Utar Shaam Ke Baad

Loat Aaiy Na Kisi Roz Wo Aawara Mizaaj
Khol Rakhtay Hain Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

Badal Gya Tu Kia Howa K Dil Ka Wo Bura Nahi


Badal Gya Tu Kia Howa K Dil Ka Wo Bura Nahi
Aise Yun Badwa Na Do Wo Shaks Bewafa Nahi


Tere Jahan Mai Khuda Bus Ek Hi Kami rahi
Jo Lut Gya Basa Nahi Jo Kho Gya Mila Nahi


Kyun Manzelin Aalag Hoi Juda Howe Kyun Raste
Ya Mai Ullajh Gya Kaheen Ya Wo Samja Nahi


Bagher Jis k Ek Pal Bhi Katna Mahhal Tha
Umar Hoi K Us Ka Koi Uta Pta Nahi


Hathelion Mai Aj Tak Asi ka Nam Darj Hai
Mai Kese Maan Lon Bhala Mra Ab Wo Raha Nahi


Maheez!! Yeh farq Wo Gya muhabton K Dorr Mai
Mai Ussi Ka Ho Gya Mgr Wo Mra Ho Saka Nahi

ek khuab hai es khuab ko khona bhi nahi hai


ek khuab hai es khuab ko khona bhi nahi hai
tabeer k dhaagey mein pirona bhi nahi hai

lipta hua hai dilse kisi raaz ki surat
wo shakhs kay jisko mera hona hi nahi hai

yeh ishq-o-muhabbat ki rivayat bhi ajab hai
paya nahi jisko,ussey khona bhi nahi hai

jis shakhs ki khatir mera yeh haal hai
usney mere mar janey par...rona bhi nahi hai...!!

Wo Mujhse Pooch Bethi kon hai jis se kabhi nafrat Bhi ki Tumne?


Wo Mujhse Pooch Bethi
kOn hai jis se kabhi nafrat Bhi ki Tumne?
So main Soch kar bola. .
Mujhe Nafrat Nahi Hoti Kisi Se Bhi !
K ye jazba
K ye jo kafiyat hai nafraton wali
Mujhe Mere Khuda Ne di nAhi shayad. .
K jO meRi MohaBBat kO samajh nAhi paYa jaNaa
Bhala kYun es ko nafrat k munsab pe karon Faa’iz
K nafrat Jis se karte hain
Ose to kUch nahi hota
Magar nafrat jo karta hai os k diL main maNo
Her Ghari nishter se chubhte hain
Jo oski soch ko muztar sa rakhte hain
Ye nishter nafraton k ROoh ko kiiYa karte hain rOz-o-shaB
Ye dil ko phir kisi se pyar karne hi nahi dete
So main kyun nafraton ki aaG se apne Badan ko rOz sulgaOn
Main kyun phiR rOoh ko Zakhmi karon aksaR
K main to pyar karta hoon her ik zee’rooh se jaNaa
K main marham lagata hoon dilon pe apne lafzon se
K main yun pyar ki es dhoop main goya lagata hoon
Sabeel-e-Saibaan her daMm
Mujhe NAFRAT nahi hoti kisi se bhi !!

Mujhe khabar thi wo mera nahi paraya tha


Mujhe khabar thi wo mera nahi paraya tha,
Mujhe khabar thi wo mera nahi paraya tha,
Par dhadkano ne usi ko khuda banaya tha,
Mujhe khabar thi wo mera nahi paraaya tha...

Main khwaab khwaab jise dhundta phiraa barson,
main khwaab khwaab jise dhundta phiraa barson,
Wo ashq ashq meri aankh mein samaaya tha,
wo ashq ashq meri aankh mein samaaya tha,
Par dhadkano ne usi ko khuda bnaya tha,
Mujhe khabar thi wo mera nahi paraaya tha...

Tera kusoor nahi jaan meri tanhaayi,
Tera kusoor nahi jaan meri tanhaayi,
Tera kusoor nahi jaan meri tanhaayi,
Ye rog maine hi, ye rog maine hi,
Khud jaan ko lagaaya tha, ye rog maine hi,
khud jaan ko lagaaya tha,
Par dhadkano ne usi ko khuda banaya tha,
mujhe khabar thi wo mera nahi paraaya tha...

Tamaam shaher mein ek wo hai ajnabii mujhse,
Tamaam shaher mein ek wo hai ajnabii mujhse,
ke jisne geet mera shaher ko sunaaya tha,
ke jisne geet mera shaher ko sunaaya tha,
Par dhadkano ne usi ko khuda banaya tha,
mujhe khabar thi wo mera nahi paraaya tha..
mujhe khabar thi wo mera nahi paraaya tha...

Har Dil Main Rehta Hoon Main Dard Bhi Hoon


Har Dil Main Rehta Hoon
Main Dard Bhi Hoon
Main Pyar Bhi Hoon
Khoon Main Rawani Se Bheta Hoon
Phooloon Se Kalyoon Se
Kutch Dukh Un Ke Sunta Hoon
Kutch Dukh Un Se Kehta Hoon
Apne Rooh Pe Laage Zakhamoon Ko
Un Ki Chahat Ki Khushbooon Se Bharta Hoon
Tumhi Se Pyar Karta Hoon
Hamesha Tumhi Ko Yaad Karta Hoon
Main Ajj Dil Se Iqrar Karta Hoon
Bheegee Bheegee Anakhoon Main
Sitaroon Ki Tarah Jaag Maag Jaagmaag Karta Hoon
Apni Hidaat Se Soye Huea Khawaboon Ko
Jaagaata Hoon
Phir Bhi Muskurat Hoon
Tumhare Pyar Main Bhetai Anasoon Ko
Sub Se Chupaata Hoon
Apne Eshasaas Se
Apni Maujoodgee Se
Tum Ko Ashaana Karta Hoon
Eik Darr Tuje Khone Ka
Eik Dard
Eik Tarap
Meethe Meethe Pyar Ki
Har Pal Tum Hi Ko Dhoondta Hoon
Para Para Ho Ke Tootha Hoon
Fiza Main Bhikarne Ko
Akaash Ke Soohabi Anachal Main
Chup Jaata Hoon
Jo Har Raaz Ki Aameen Hai

meri wafa kam na houi tum bewafa kyoun ho gaye


meri wafa kam na houi tum bewafa kyoun ho gaye
yeh adna se jisarat hai tum khafa kyoun ho gaye

tairee nazr-e-iltafaat ke tamannah ke thi mein ne
wisaal raha ek taraf tum judaa kyoun ho gaye

pyaar ka safeena baad-e-mukhalif mein doob gaya
abass tum minat guzar-e-nakhuda kyoun ho gaye

yeh kaisa waqt aan para hai mujh natawaan par
tum naraz ho kar dard-e-la dawaa kyoun ho gaye

junaid hai khush bash sayyad ke qafas mein
aue hai heraan dunya walay rehaa kyoun ho gaye

Jab Tum Humaray Dil ke Dard ko Na Sumajh Sakay


Jab Tum Humaray Dil ke Dard ko Na Sumajh Sakay
Tumharay Samney Phir Hum Dukh ka Izhar Kia Kartay...

Aankhon Main Aansoon ki Baraf Se Jamm Gaye
Phir Ungliyoon Per Hum Apnay Dukh ka Shumaar Kia Kartay...

Har shakhs Ne Jin ko Nafrat he Di Har Pal
Bhala Bataoo Woh Log khudi Sey Pyar Kia Kartay...

Har Qarz he Jab Apni Jaan Per Boojh Huva thehra
Tu Rakh k Kisi Ki Yadoon Ka Audhaar Kia Karty...

Bhawanar je likh diya ho Jan Ney Jin ki Kismat Main
Wo log Phir auter ke Par kia Kartay...

Jin k Dukhoon Main Dil ka Sukoon he Punhaan Tarah
Nikal Kar Pair Apnay Dil Sey un ka Khair Kia Kartay...

Jab Yaadain Teri Meray Dil Ki Makeen Ho Gayen
Suno....Jana Phir in Sey Hum Farar kia Kartay...

TuM uss Din he aankhon main bas gaye
Hum is Sey Barh Kar Khudi ko Teray Liye Bey-Qaraar Kia Kartay...

Jan Tum Kisi Aur Manzil k Musafir he Thehraay
Tu Raah Main Ruk Kar Hum Tera Intazar Kia Kartay...

Hum Tu Fareeb Dey Kar Khushi Main kho Gaye
Hum Apney Dil ki Khushi Sey Bay Raaz Kia Kartay...

Sir Per Ghamooon ki Dhoop Hai Bohat Kari
Aur khudi ko Phir la kar hum Saya Deewar kia Kartay...

Jis Main Khasara he Hum Muqqadar ho Tahrah
Tu Janna...! Asa Ghatay ka Karobar Hum kia Kartay....

Wo Dost jo Hum ko Chor Gaye Hain Sar-e-Raah
in ko Zamaney Ki Bheerh Main Pukaar Kar Kia Kartay

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai


Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai ...

Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai ...

Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ...

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai ...

Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...

wo Khvaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin


wo Khvaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisii se kyaa bichha.D gaye ki jaise kuchh bachaa nahiin

vo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar me.n ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

Humari ankh mea pani bohat hai k is darya mea tagyani bohat hai


Humari ankh mea pani bohat hai
k is darya mea tagyani bohat hai

ujar k bhi nahi bhola yeh tujh ko
humain is dil par herani bohat hai

suna hai k besabab hum se bechar kar
tujhay ahsasay nadani bohat hai

najanay koon se khobhi hai tujh mea
k dunya teri deyani bhi bohat hai

mohabbat soch kar karna k is mea
sakhoon kam hai pareshani bohat hai

falakh par bhi tujay dhunda hai humnay
zameh ke khak bhi chani bohat hai

Wo kehti hai tumhari batain achi lagti hain


Wo kehti hai tumhari batain achi lagti hain
Mein kehta hoon sooraj ki roshni tumko sajti hai

Woh kahti hai tumhari baton mein apnaiyet hai
Mein kehta hoon muhabbat rafta rafta barhti hai

Woh kehti hai itney din bad miley ho
Mein kehta hoon shayed sadiyan beet gai hain

Woh kehti hai meri zindagi mein khawab hain buhat
Mein kehta hoon sarey khawab sumait loo

Woh kehti hai kya ab bhi mujhko chahtey ho?
Mein kehta hoon tumhein khabar nahi hai shayed

Woh kehti hai dekho amawus ki raat hai
Mein kehta hoon haan chand mere pehloo me hai

Woh kehti hai zindagi kitni khoobsurat hai
Mein kehta hoon zara aik sapna tootney do

Woh kehti hai mousam buhat pyara hai
Mein kehta hoon zara tanhai me dekhna

Woh kehti hai dekho meenh barasta hai
Mein kehta hoon haan badal akser roota hai

Jo Ham Sath Thay Tu Ajab Na Tha Jo Bicher Gaya Tu Kya Huwa


Jo Ham Sath Thay Tu Ajab Na Tha Jo Bicher Gaya Tu Kya Huwa :?:
Jo Khawab Hamne Samatay Thay Wo Bikhar Gaye Tu Kya Huwa :?:

Jo Baat Teray Dil Main Thi Wo Baat Mere Bhi Dil Main Hai
Wahi Baat Hi Tu Kehni Thi Jo Na Keh Sakay Tu Kia Huwa :?:

Wo Ek Lamhe Ki Talaash Main Dil Keh Kitnay Mosam Badal Gaye
Wo Ek Khushi, Jo Azeez Thi, Wo Na A Sakay Tu Kya Huwa :?:

Kabhi Udas Thay Kabhi Khush Hotay Kabhi Haste Haste Hi Ro Dete
Ham Apnay Ansoo Apne Jazbe Na Chupa Sakay Tu Kia Huwa :?:

Popular Posts