Monday, July 26, 2010

Mere Dard-E-Dilki Thi Wo Dastan Jise Hansi Mein Tumne Uda Diya


Mere Dard-E-Dilki Thi Wo Dastan Jise Hansi Mein Tumne Uda Diya,
Jisse Bacha Tha Sambhal Sambhal Kar Wo Dard Tumne Jaga Diya,

Mujhe Pyaar Ka Shauk Na Raha Mere Dost Bhi Hai Sab Bewafa,
Jo Kareeb Aaye To Zikr Hua Jo Door Hue To Bhula Diya,

Wo Jo Milte The Kabhi Raat Mein, Gile Hote The Unki Har Baat Mein,
Na Wo Dil Raha, Na Wo Dost Raha, Mere Khwabon Ko Bhi Sula Diya,

Wo To Kehte The Har Baat Mein Ke Hami Baste The Unki Zaat Mein,
Main Na Jaan Sakunga Ye Kabhi Kyon Mujhko Dilse Bhula Diya...

Larzison Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi


Larzison Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insaan Haan Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Tu Jafa Ki Main Wafa Ki Raah Par Hoon Kamzan,
Pichhe Mud Kar Dekhta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Tu Mujhe Main Tujhe Ilzaam Deta Hoon Har Dam,
Apne Man Mein Jhankta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Maslihat Ne Kar Diya Dono Mein Paida Iktilaf,
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Badgumani Saher Mein Kisne Phaila Di Jab Ke,
Ek Dusre Se Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Jaane Mohsin Tu Bhi Tha Ziddi Ana Mujh Mein Bhi Thi,
Dono Kud Ser The Jhuka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi...

Jeeti Jagti Insan Hoon Main Lekin Khilona Samjhe Wo



Jeeti Jagti Insan Hoon Main,
Lekin Khilona Samjhe Wo,

Do Bol Bol Dete Ke Gudiya Na Jaye Ruth,
Bhar Gaya Jab Dil To Shayad Nahi Le Aaye Wo,

Saari Raatein Guzarti Hai Unki Yaad Mein,
Kaisa Laga Ek Din Jaag Kar Mujhko Batlaye Wo,

Mujhko Chhod Diya Na Jane Kis Raah Par,
Akeli Hoon Main Aram Se Aage Chal Diye Wo,

Bechain Aur Betab Ab Unko Kare Kuch,
Jis Aag Mein Hoon Main, Shayad Jaan Jaye Wo,

Milenge Bahut Aage Unko,
Lekin Mujhsi Na Dhund Payenge Wo,

Lafz Kar Diye Qalam Mere Dil Par,
Hafza Kamsor Tha Ye Bhool Gaye Wo,

Banata Hai Rab Sabko Thoda Muktalif,
Paida Kiya Unko Bin Dil, Sab Se Hat Ke Hai Wo...

Jo Bhi Dukh Yaad Na Tha Yaad Aaya


Jo Bhi Dukh Yaad Na Tha Yaad Aaya,
Aaj Kya Jaaniye Kya Yaad Aaya,

Phir Koi Haath Hai Dil Par Jaise,
Phir Tera Ehd-E-Wafa Yaad Aaya,

Jis Tarah Dhund Mein Lipte Hue Phool,
Ek Ek NaQsh Tera Yaad Aaya,

Aisi Majboori Ke Alam Mein Koi,
Yaad Aaya Bhi To Kya Yaad Aaya,

Aye RafeQ Sar-E-Manzil Jaakar,
Kya Koi Aablaapa Yaad Aaya,

Yaad Aaya Tha Bichhadna Tera,
Phir Nahi Yaad Ke Kya Yaad Aaya,

Jab Koi Zakhm Bana Daagh Bana,
Jab Koi Bhul Gaya Yaad Aaya,

Ye Mohabbat Bhi Hai Kya Rog,
Jisko Bhule Wo Sada Yaad Aaya...

Teri Yaad Ne Mere Dil Ko Saja Rakha Hai



Teri Yaad Ne Mere Dil Ko Saja Rakha Hai,
Tere Pyar Mein Sab Kuch Bhula Rakha Hai,

Kuch Achha Nahi Lagta Teri Judayi Ke Baad,
Ek Teri Yaad Ko Seene Se Laga Rakha Hai,

Tera Milna To Ab Ek Khwab Hai,
Na Jane Kyon Ab Dilko Bhula Rakha Hai,
FaQt Teri Yaadon Ko Palkon Mein Chhupa Rakha Hai,

MuQaddar Se Milte Mitle Bichhad Gaya Warna,
Aaj Bhi Tera Naam Dil Mein Saja Rakha Hai,

Na Jane Kyon Koi Jachta Nahi In Aankhon Mein,
Ek Tasveer Ko Dil Mein Saja Rakha Hai,

Khushiyan To Pal Mein Aati Aur Chali Jaati Hai,
Humne To Gamon Ko Bhi Apna Dost Bana Rakha Hai,

Sabhi Aaye To Bhi Aa Kar Dekh Mera Haal,
Ke Maine Tere Pyaar Mein Khudko Bhula Rakha Hai...

Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos


Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata,

Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim,
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata,

Bahut Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai,
Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata,

Koshish Se Badal Jati Hai Takdeerein,
De Kar Ilzaam Qismat Aur Dilko Behlaya Nahi Jaata...

Bahut Dino Ki Baat Thi Shabab Par Bahar Thi


Bahut Dino Ki Baat Thi
Shabab Par Bahar Thi,
Fiza Bhi Khushgawar Thi
Na Jane Kyon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada
Kisine Mujhko Rok Kar
Badi Ada Se Tok Kar
Kaha Ke Laut Aaiye
Meri Kasam Na Jaaiye
Meri Kasam Na Jaaiye

Magar Mujhe Khabar Na Thi,
Mahol Par Nazar Na Thi,
Na Jane Kyon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada,
Phir Sheher Se Main Aagaya,
Khayal Tah Ke Paa Gaya
Use Jo Mujhse Doori Thi
Magar Meri Zaroorat Thi
Phir Ek Haseen Shaam Ko
Main Chal Pada Salam Ko
Gali Ke Rang Dekhkar
Naye Tarang Dekhkar
Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuch Isi Khushi Mein Tha
Kisine Jhank Kar Kaha
Paraye Ghar Se Jaaiye
Meri Kasam Na Aaiye
Meri Kasam Na Aaiye

Wohi Haseen Shaam Hai
Bhar Jiska Naam Hai,
Chala Hoon Ghar Ko Chhod Kar
Na Jane Jaunga Kidhar
Koi Nahi Jo Rok Kar
Koi Nahi Jo Tok Kar
Kahe Ke Laut Aaiye
Meri Kasam Na Jaaiye
Meri Kasam Na Jaaiye...

Jab Meri HaQeeQat Jaa Jaa Kar Unko Sunayi Logone


Jab Meri HaQeeQat Jaa Jaa Kar Unko Sunayi Logone,
Kuch Sach Bhi Kaha Kuch Jhooth Kaha Kuch Baat Banayi Logone,

Dhaaye Hai Hamesha Zulm-O-Sitam Duniya Ne Mohabbat Walon Par,
Do Dilko Kabhi Milne Na Diya, Deewar Uthayi Logone,

Aankhonse Na Aansu Ponchh Sake Honthon Pe Khushi Dekhi Na Gayi,
Aabad Jo Dekha Ghar Mera To Aag Lagayi Logone,

Tanhayi Ka Saathi Mil Na Saka Ruswayi Mein Shaamil Sheher Hua,
Pehle To Mera Dil Tod Diya Phir Eid Manayi Logone,

Is Daur Mein Jeena Mushkil Hai Aye 'AshQ' Koi Aasaan Nahi,
Har Ek Qadam Par Marne Ki Ab Rasm Chalayi Logone...

Chhodiye Chhodiye Ye Baatein To Afsane Hai



Chhodiye Chhodiye Ye Baatein To Afsane Hai,
Hum Bhi Deewane Hai Jo Aapke Deewane Hai,

Mar Ke Bhi Aapko Ruswa Nahi Hone Denge,
Jal Ke Badnaam Jo Karte Hai Wo Parwane Hai,

Aaj Insaan Ne Bhula Daale Hai Yazadaan Ke Karam,
Humne To Zulm Bhi Ehsaan Tere Jaane Hai,

Yun To Saaye Ki Tarah Saath Wo Rehte Hai Mere,
Phir Bhi Mehsoos Ye Hota Hai Wo Begaane Hai,

Mera Izhaar-E-Mohabbat Na Samajh Paaye Aap,
Ye Mera Dukh Ye Mera Dard To Anjaane Hai...

Hamein WaQt Ranj-O-Malal Kya Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya


Hamein WaQt Ranj-O-Malal Kya Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,
Use Yaad Karke Na Dil Dukha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Na Gila Kiya Na Khafa Hue Yunhi Raste Mein Juda Hue,
Na Tu Bewafa Na Main Bewafa Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Gazal Ki Ek Kitab Tha Wo Gulon Mein Ek Gulab Tha,
Zara Der Ko Koi Khwab Tha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Udaas Dhoop Samet Kar Kahin Waadiyon Mein Utar Chuka,
Use Ab Na De Mere Dil Sada Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Ye Safar Bhi Kitna Taweel Hai Yahan WaQt Kitna Qaleel Hai,
Kahan Laut Kar Koi Ayega Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Wafayein Thi Ke Jafayein Thi Ye Na Soch Kiski Khatayein Thi,
Jo Tera Hai Usko Gale Laga Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Koi FarQ Shah-O-Gada Nahi Ke Yahan Kisiki BaQa Nahi,
Ye Ujaad Mehlon Ki Sun Sada Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Tujhe Aitbaar-O-YaQeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri Nahi,
Na Malal Kar Mere Sath Aa Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya...

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka TaQaza Hai


Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka TaQaza Hai,
Gam-E-Duniya Se Ghabra Ke Tumhe Dil Ne Pukara Hai,

Tumhari Berukhi Ek Din Hamari Jaan Le Legi,
Kasam Tumko Zara Socho Ke Dastoor-E-Wafa Kya Hai,

Na Jane Kis Liye Duniya Ki Nazrein Phir Gayi Humse,
Tumhe Dekha Tumhe Chaha Qasoor Iske Siwa Kya Hai,

Na Hai Fariyaad Honthon Pe Na Aankhon Mein Koi Aansu,
Zamane Se Mila Jo Gam Use Giton Mein Dhala Hai...

Na Gubaar Mein Na Gulaab Mein Mujhe Dekhna



Na Gubaar Mein Na Gulaab Mein Mujhe Dekhna,
Mere Dard Ki Aab-O-Tab Mein Mujhe Dekhna,

Kisi WaQt Shaam Malaal Mein Mujhe Sochna,
Kabhi Apne Dilki Kitab Mein Mujhe Dekhna,

Kisi Dhun Mein Tum Bhi Jo Bastiyon Ko Tyaag Do,
Isi Raah-E-Khana Kharab Mein Mujhe Dekhna,

Kisi Raat Maah-O-Najuum Se Mujhe Puchhna,
Kabhi Apni Chasm Pur-Aab Mein Mujhe Dekhna,

Isi Dilse Ho Kar Guzar Gaye Kayi Kaarvan,
Ke Hijraton Ke Zaab Mein Mujhe Dekhna,

Main Na Mil Sakun Bhi To Kya Hua Ke Fasana Hoon,
Nayi Daastan Naye Baab Mein Mujhe Dekhna,

Mere Khaar Khaar Sawal Mein Mujhe Dhundna,
Mere Geet Mein Mere Khwaab Mein Mujhe Dekhna,

Mere Aansuon Ne Bujhayi Thi Meri Tashnagi,
Isi Barg-Zinda Sahab Mein Mujhe Dekhna,

Wahi Ek Lamha Deed Tha Ke Ruka Raha,
Mere Roz-O-Shab Ke Hisaab Mein Mujhe Dekhna,

Jo Tadap Tujhe Kisi Aayine Mein Na Mil Sake,
To Phir Aayine Ke Jawab Mein Mujhe Dekhna...

Aise Chup Hai Ye Mansil Bhi Kadi Ho Jaise


Aise Chup Hai Ye Mansil Bhi Kadi Ho Jaise
Tera Milna Bhi Judayi Ki Ghadi Jo Jaise,

Apne Hi Saye Se Har Gam Laraz Jaata Hoon,
Raste Mein Koi Deewar Khadi Ho Jaise,

Manzilein Door Bhi Hai Manzilein Nazdik Bhi Hai,
Apne Hi Paanv Mein Zanjeer Padi Ho Jaise,

Kitne Nadaan Hai Tere Bhulane Wale Ke Tujhe,
Yaad Karne Ke Liye Umr Padi Ho Jaise...

Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-RaQeeb Se


Tum Aur Fareb Khao Bayan-E-RaQeeb Se
Tum Se To Kam Gila Hai Zyada Naseeb Se,

Goya Tumhari Yaad Hi Mera Ilaaj Hai,
Hota Hai Pehron Zikr Tumhara Tabib Se,

Barbaad-E-Dil Ka Aakhri Sarmaya Thi Ummid,
Wo Bhi Tumne Chhin Liya Mujh Garib Se,

Dhundla Chali Nigah Dam-E-Vaapsi Hai Ab,
Aa Paas Aa Ke Dekh loon Tujhko Kareeb Se...

Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai


Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai,
Goya Ki Mohabbat Nahi Ehsaan Kiya Hai,

Socha Tha Ke Tum Dusron Jaise Nahi Honge,
Tumne Bhi Wahi Kaam Meri Jaan Kiya Hai,

Mushkil Tha Bahut Mere Liye Tark-E-TalluQ,
Ye Kaam Bhi Tumne Mera Aasaan Kiya Hai,

Har Roz Sajate Hai Teri Hijr Mein Gunche,
Aankhon Ko Teri Yaad Mein Guldaan Kiya Hai...

Dupatta Laal Chunri Ka Lipat Kar Tujhse Rehta Hai


Dupatta Laal Chunri Ka,
Lipat Kar Tujhse Rehta Hai,
Meri Pyaasi Nigahon Par
Hamesha Hansta Rehta Hai,

Kabhi Udta Hawaon Mein,
Simatta Teri Baahon Mein,
Kabhi Kaandhe Pe Bekaboo,
Sarakta Phirta Rehta Hai,

Tere Kaano Mein Kehta Kuch,
Ya Seene Se Laga Rehta,
Teri Dhadkan Ko Gin Gin Kar,
Ye Uthta Girta Rehta Hai,

Kabhi Teri Kamar Iski,
Girafton Mein Bandhi Rehti Hai,
Kabhi Ye Peeth Par Kaafir,
Khisakta Khichta Rehta Hai,

Kabhi Poche Paseene Ko,
Kabhi Dhakta Hai Soorat Ko,
Kabhi Gaalon Ko Chhuta Hai,
Kabhi Muh Lag Ke Rehta Hai,

Kabhi Kaaleen Ban Jaata,
Kabhi Godi Mein Sota Hai,
Tere Hathon Ko Sehlata,
Satata Mujhko Rehta Hai,

Ise Sar Na Chadhao Tum,
Dupatta Hai Mera Dushman,
Hamare Darmiyan Har Dam,
Kyon Ye Besharam Rehta Hai...

Hum Tumse Apni Mohabbat Ka Izhaar Kiya Karte Hain


Hum Tumse Apni Mohabbat Ka Izhaar Kiya Karte Hain
Raat Din Bas Tera Hi Naam Liya Karte Hain,

Hum Insaan Ko Parakh Liya Karte Hain,
Mohabbat Mein Jaise Kuch Log Fana Hua Karte Hain,

Zindagi Jeete Jeete Maut Mang Liya Karti Hoon,
Lash Hoon Chalti Firti Ek Kafan Maang Liya Karti Hoon,

Samjhate Samjhate Doston Ko Dushman Bana Liya Karti Hoon,
Isliye Khuda Se Dushmano Ki Umar Maang Liya Karti Hoon,

Pyar Mein Dimag Se Nahi Dilse Kaam Leti Hoon,
Jab Bhi Pyaar Mein Aazmayish Aati Hai Main Apna Sir Jhuka Leti Hoon,

Sochna Mat Kabhi Ke Main Haar Jaya Karti Hoon,
Haarte Haarte Jeetne Ka Hunar Sikh Liya Karti Hoon...

IshQ Jab Mo'tabar Nahi Hota AshQ Bhi Kaar-Gar Nahi Hota


IshQ Jab Mo'tabar Nahi Hota
AshQ Bhi Kaar-Gar Nahi Hota

Baat Jab Bas Zubaan Kehti Hai,
Uska MutliQ Asar Nahi Hota,

Usse Aankhein Jo Chaar Nahi Hoti,
IshQ Ye, Kya Khabar Nahi Hota,

Unse Puchhe Koi Ke Ghar Kya Hai,
Jinki Qismat Mein Ghar Nahi Hota,

Zindagi Sirf Wo Hi Jeete Hai,
Jinko Marne Ka Dar Nahi Hota,

Gar Na Hota Hamara Tar Daaman,
Ab Ye Daaman Bhi Tar Nahi Hota,

Bas Nahi Hai Sukhan Ki Aamad Par,
Kaam Ye Soch Kar Nahi Hota...

Kabhi Jo Tumhare Haath Se Kitaab Gire


Kabhi Jo Tumhare Haath Se Kitaab Gire,
To Samajh Lena Ke Kisi Ne Tumhe Yaad Kiya Hai,
Kabhi Jo Tum Us Mein Rakhe Phool Ko Dekho,
To Samajh Lena Koi Dastaan Likh Raha Hai,
Un Guzre Hue Haseen Lamhon Ki,
Kabhi Jo Tum Darakhton Par Naam Likha Dekho,
To Samajh Lena Koi Ab Tak Chahta Hai Tumhe,
Kabhi Jo Tum Un Dekhe Bhale Raston Par Safar Karo,
To Samajh Lena Kisine In Par Sath Chalne Ki Kasam Khayi Thi,
Aur.....
Kabhi Jo Tum Lautne Ka Irada Karo,
Aur Safar Karo Usi Rah-E-Guzar Par,
To Samajh Lena Koi Tumhara Intezar Kar Raha Hai...

Naya Saal Aaya Veeran Subhon Ki Neeli Tehno Se Ubharta


Naya Saal Aaya,
Veeran Subhon Ki Neeli Tehno Se Ubharta,
Kheyyabaan-O-Dasht-O-Jabal Ki Thatharti Khamoshi Mein,
Barfeeli Seeti Bajata,
Dabe Paanv Aaya,
Yukh Aalooda Shaamon Ki Khamoshiyan,
Uske Qadmon Ki Aahat Samete,
Guzar-Gahon Pe, Saybanon Mein Noha Kinaan Hai,
Der Aati Hai Shaam Ko, Darichon Ki Dararon Se,
Pur-Shor Jhonkonki Be-Mohr Thandak,
Brodat Zada Paniyon Par, Parinde,
Kinaron Par Aistaadah Pairon Ki Gam-Naak,
Shakhonki Janib Ude Jaa Rahe Hai,
Makeen Aanganon Mein Chhaton Par,
Dhadakte Dilon Mein Hazaron Khayalon Ki Shammayein Jalaye,
Dabe Paanv Aate Hue Saal Ko Dekhte Hai...

Ye Na Samjho Ke Dhal Rahi Hai Shaam


Ye Na Samjho Ke Dhal Rahi Hai Shaam
Apne Tewar Badal Rahi Hai Shaam,

Tum Nahi Aaye Aur Us Din Se,
Mere Seene Mein Jal Rahi Hai Shaam,

Failti Jaa Rahi Tareeki,
Ek Dukh Se Nikal Rahi Hai Shaam,

Zard Suraj Chhupa Raha Hai Badan,
Lamha Lamha Pighal Rahi Hai Shaam,

Odhati Jaa Rahi Hai Khamoshi,
Aisa Lagta Hai Dhal Rahi Hai Shaam,

Uske Hamraah Chal Raha Hai Din,
Mere Hamraah Chal Rahi Hai Shaam...

Raat AshQon Mein Nihaan Karke Tamannaon Ka Khoon


Raat AshQon Mein Nihaan Karke Tamannaon Ka Khoon
Jaan Seemab Ki Manind Talatum Paiham,
Dard-E-Betaab Ke Pathar Se Tarashe Hue Honth,
IshQ-E-Pur-Josh Ke Sookha Hua Maflooj Badan,
Chaak Daaman Jo Falak-Rang Kiye Jazba-E-ShauQ,
Hath Phailaye Hue, Aankh Ko Pathraye Hue,
Rooh Khamosh Magar Bismil-O-Fariyaad-Kunaan,
Chhod De Kaash MuQaddar Bhi Adawat Apni,
Kash Ho Jaye YaQeen IshQ Ke Maghroor Gumaan...

Tere Dil Mein Jo Be-Buniyaad Wehmon Ka Ghubaar Utha


Tere Dil Mein Jo Be-Buniyaad Wehmon Ka Ghubaar Utha,
Tera Mujhse, Mera Chah-O-Wafa Se Aitbaar Utha,

Ke Roz-E-Hashr Na Denge Tumhe Ilzaam, Thani Thi,
Magar Dil De Gaya Dhoka, Tumhe Dekha Pukaar Utha,

Na Aaya Jab Koi Is Dilki Chaarah-Saaziyaan Karne,
To Phir Seene Mein Mere Dard, Banke Gam-Gusaar, Utha,

Sehel Kar Di Har Ek Mushkil Hamari Zindagani Ki,
Junoon Jab Dilke Tool-O-Arz Mein Deewana-Waar Utha,

Tabiyat Mein Udaasi Si Ajab Dilne Paayi Thi,
Zara Jo Koi Iske Paas Baitha, Sogwar Utha...

Khizaan-E-Guzeeda Gulaab Hai Meri Zindagi


Khizaan-E-Guzeeda Gulaab Hai Meri Zindagi,
Meri Zindagi Ka Azaab Hai Meri Zindagi,

Na Hi Yaar Hai, Na Hi Dilruba, Na Hi Mai-Kada,
Mat Puchh Kitni Kharab Hai Meri Zindagi,

Na Khumaar Hai, Na Suroor Hai, Na Hi Rang Hai,
Ye Ajeeb Talkh Sharab Hai Meri Zindagi,

Mere Aas Paas To Yaar Dasht Hai Qarb Ka,
Isi Dasht-E-Gam Ka Saraab Hai Meri Zindagi,

Mujhe Dekhti Hui Har Nazar Mein Tarehm Hai,
Koi Chaak Chaak Hijaab Hai Meri Zindagi,

Jahan Surkh WarQ Pukarte Hai Lahoo Lahoo,
Wohi Be-Satar Si Kitaab Hai Meri Zindagi,

Na To Abr Hai, Na Khuda Ka Haath Hai Haath Mein,
Har Roz, Roz-E-Hisaab Hai Meri Zindagi,

Mat Puchh Ke Hai Udaas Kyon Meri Shaayri,
Ek Shaher-E-Dard Ka Baab Hai Meri Zindagi...

Maine Yaadon Ko Teri Bhool Bhi Jana Chaha


Maine Yaadon Ko Teri Bhool Bhi Jana Chaha,
Wo Jo Mumkin Hi Na Tha Kar Ke Dikhana Chaha,

Chubh Gaya Aankh Mein Fauran Kisi Kaante Ki Tarah,
Jab Kisi Khwaab Ko Palkon Pe Sajana Chaha,

Pa-Ba-Zanjeer Kiya Is Gam-E-Duniya Ne Mujhe,
Jab Kabhi Tujhse MulaQaat Ko Aana Chaha,

Jaane Kyon IshQ Agan Aur Bhadak Uthti Hai,
Jab Bhi AshQon Se Ise Maine Bujhana Chaha,

Phir Mujhe Sheher Ke Raston Mein Teri Yaad Mili,
Gaya Bekaar, Tujhe Jab Bhi Bhulana Chaha,

Hosh Kho Kar Main FaQt Haath Jala Baitha Hoon,
Teri Tasveer Ko Jab Jab Bhi Jalana Chaha...

Mohabbat Ek Tasalsul Hai Mohabbat Muskurata Gungunata Ek Jhonka Hai


Mohabbat Ek Tasalsul Hai,
Mohabbat Muskurata, Gungunata,
Ek Jhonka Hai,
Sada Gardish Mein Rehta Hai,
Mohabbat Baankpan Hai,
Jism Ke Zindaan Ka Rauzan Hai,
Mohabbat Be-Iraada Muskurahat,
Aansuon Ki Jhilmilahat Hai,
Mohabbat Bekarari Hai,
Khumari Hai,
Magar Be-Ikhteyaari Hai,
Mohabbat Ek Mausam Hai,
Azal Se Hai
Abad Tak,
Na Kabhi Tabdeel Hota Hai,
Na Iske Phool Jharte Hai,
Na Iske Rang Udte Hai,
Mohabbat Javidaan Hai,
Mar Nahi Sakti,
Mohabbat Kya Hai Duniya Mein,
Ke Jo Ye Kar Nahi Sakti,
Mohabbat Khel Hai Yaaron,
Wafaon Ka, Jafaon Ka,
Wafa Paigam Deti Hai,
Mohabbat Ko
Suhani Zindagani Ka,
Magar Yaaron,
Jafa Bhi Maut Ka Aakhir,
Koi Paigaam To Hargiz Nahi Deti,
Mohabbat Ko
Jafa Bas Karti Hai
Mohabbat Ki Nadi Ka Rukh,
Zara Sa Mod Deti Hai,
Mohabbat Boond Paani Ki,
Kayi Rangon Mein Dhalti Hai,
Mohabbat Mar Nahi Jaati,
Mohabbat Rukh Badalti Hai...

Mohabbat Ek Tasalsul Hai Mohabbat Muskurata Gungunata Ek Jhonka Hai


Mohabbat Ek Tasalsul Hai,
Mohabbat Muskurata, Gungunata,
Ek Jhonka Hai,
Sada Gardish Mein Rehta Hai,
Mohabbat Baankpan Hai,
Jism Ke Zindaan Ka Rauzan Hai,
Mohabbat Be-Iraada Muskurahat,
Aansuon Ki Jhilmilahat Hai,
Mohabbat Bekarari Hai,
Khumari Hai,
Magar Be-Ikhteyaari Hai,
Mohabbat Ek Mausam Hai,
Azal Se Hai
Abad Tak,
Na Kabhi Tabdeel Hota Hai,
Na Iske Phool Jharte Hai,
Na Iske Rang Udte Hai,
Mohabbat Javidaan Hai,
Mar Nahi Sakti,
Mohabbat Kya Hai Duniya Mein,
Ke Jo Ye Kar Nahi Sakti,
Mohabbat Khel Hai Yaaron,
Wafaon Ka, Jafaon Ka,
Wafa Paigam Deti Hai,
Mohabbat Ko
Suhani Zindagani Ka,
Magar Yaaron,
Jafa Bhi Maut Ka Aakhir,
Koi Paigaam To Hargiz Nahi Deti,
Mohabbat Ko
Jafa Bas Karti Hai
Mohabbat Ki Nadi Ka Rukh,
Zara Sa Mod Deti Hai,
Mohabbat Boond Paani Ki,
Kayi Rangon Mein Dhalti Hai,
Mohabbat Mar Nahi Jaati,
Mohabbat Rukh Badalti Hai...

Raat Ka Aanchal Bhig Jaata Hai Chaand Bhig Jaata Hai


Raat Ka Aanchal Bhig Jaata Hai,
Chaand Bhig Jaata Hai,
Jab Bhi Teri Yaadon Ke
Badalon Mein Lipatte Se,
AshQ Behne Lagte Hai,
Aur Dil Sulagte Hai,
WaQt Ki Rawani Mein,
Baadalon Ke Paani Mein,
Raat Bhig Jaati Hai,
Chaand Bhig Jaata Hai,
Raat Ke Andhere Mein,
Teergi Ke Ghere Mein,
Roshni Bikharti Hai,
Aur Teri Yaadon Ka
Kaarwan Guzarta Hai,
Phool Band Hote Hai,
Aah Si Ubharti Hai,
Ek Ajeeb Si Dil Mein,
Khamoshi Utarti Hai,
Tab Kisiki Aankhon Mein,
Aansuon Ke Paani Mein,
Raat Bhig Jaati Hai,
Chaand Bhig Jaata Hai...

Kan-E-Siyah Mein Hota Nahi Sawera


Kan-E-Siyah Mein Hota Nahi Sawera,
Par Kiran-E-Aas Pe Hota Nahi Andhera,

Hota Hai Hazaron Mein Ek Chaman-E-Sheeda,
Jo Deta Hai Puri Kaan Ko Ek Tanha Savera,

Pyaas Nahi Bujhti Aas Ki Ke Jab Hota Ho Andhera,
Ke Jise Shab-E-Sukoon Mein Khamoshi Ka Ho Dera,

Nahi Banta Insaan Ki Mehnat Se Wo Ek Heera,
Ke Jise Qudrat Ka Ho Ek Dilkash Zameema,

Rakh Thaam Kar Is Ko Ke Shayad Aaye Nateeja,
Par Qudrat Ka Bemool Mein Anmol Hai ZaQeera,

Nahi Hota Kharab Magar Khoob Ke Jitna Ho Ye Gehra,
Kaam-E-Nazuk Bhi Fitrat Hai Khuda Ka Sameera,

Ke Kaan-E-Siyaah Ko Diya Ek Anmol Sa Heera,
Banta Nahi Aise Ke Hota Hai Ye Heera,

Ke Jaise Ho Chaman Ka Ek Adna Sa Sawera...

Dhundne Jis Mein Zindagi Nikli Wo Usi Shakhs Ki Gali Nikli


Dhundne Jis Mein Zindagi Nikli,
Wo Usi Shakhs Ki Gali Nikli,

Tere Lehje Mein Kya Nahi Tha Magar,
Sirf Sach Ki Zara Kami Nikli,

Uski Aankhon Ka Rang Gehra Hai,
Aur Main Halki Sanwli Nikli,

Wo Jo Lagti Thi Kaanch Ki Gudiya,
Zarb Padne Se Aahni Nikli,

Us Haweli Mein Shaam Dhalne Par,
Har Dareeche Se Roshni Nikli,

Wo Hawa To Nahi Thi Ladki Thi,
Kis Liye Itni Sar Phiri Nikli,

Wo Tere Aasman Ka Kya Karti,
Jiski Mutthi Se Dosti Nikli,

Umar Pardah Nasheen Nahi Hoti,
Jab Dhali Sar Se Chandni Nikli...

Har Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujhko


Har Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujhko,
Kya Saza Di Hai Mohabbat Ne Khudaya Mujhko,

Dinko Aaram Hai Na Raatko Hai Chain Kabhi,
Jaane Kis Khaak Se Qudrat Ne Banaya Mujhko,

Dukh To Ye Hai Ke Zamane Mein Mile Gair Sabhi,
Jo Mila Hai Wo Mila Banke Paraya Mujhko,

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Rone Ko,
Ghar Ki Deewarone Seene Se Lagaya Mujhko,

Yun To Ummid-E-Wafa Tumse Nahi Hai Koi,
Phir Charagon Ki Tarah Kisne Jalaya Mujhko,

Bewafa Zindagi Ne Jab Chhod Diya Hai Tanha,
Maut Ne Pyar Se Pehloo Mein Bithaya Mujhko,

Wo Diya Hoon Jo Mohabbat Ne Jalaya Tha Kabhi,
Gam Ki Andhi Ne Sar-E-Shaam Bujhaya Mujhko,

Kaise Bhulunga Wohi Wasl Ke Lamhe,
Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujhko...

Mohabbat Ke Junoon Mein Aksar Aisa Hota Hai


Mohabbat Ke Junoon Mein Aksar Aisa Hota Hai,
Galti Kisi Ki Ho Dono Ko Tadapna Padta Hai,

Zindagi Naam Hai Bas Ek Isi Chiz Ka,
Kabhi Paakar Kabhi Kisko Khona Padta Hai,

Zakham Chahe Jitne Lage Dil Par Magar,
Na Chahte Hue Bhi Yahan Jeena Padta Hai,

Judayi Chahe Pal Bhar Ki Ho Bahut Dasti Hai,
Mohabbat Mein Ye Azaab Bhi Sehna Padta Hai...

Aye Dost Keh De Dilse Mere Bhi Wajood Ka Intezaar Tha


Aye Dost Keh De Dilse,
Mere Bhi Wajood Ka Intezaar Tha Tujhe Kabse,

Lagta Hai Jaise Tu Meri Hi Chiz Thi,
Dhundti Phirti Thi Main Jise Kabse,

Mere Aansuon Ko Sachi Wafa Ka Tohfa Samjho,
Tujhe Dene Ko Rakha Tha Jise Kabse,

Khud Se Zyada Main Tujhe Sochti Hoon,
Tujh Mein Hai Paya Khudko Jabse,

Shaayri Bhi Meri Keh Na Paayi Tujhe,
Kaash Ye Dil Hi Bolne Lag Jaye Lab Se...

Besabab Jab Dil Machal Jaata Hai



Besabab Jab Dil Machal Jaata Hai
Us Lamha Jaane Kyon Wo Yaad Aata Hai,
Ye Yaadein Bhi Kitni Ajeeb Hoti Hai,
Jab Na Ho Koi To Inke Ehsaas Rehta Hai,
Ajab Dastoor Chala Hai Rishton Ka,
Ye Dosti Ye Mohabbat Kya Hai,
Zindagi Guzar Denge Ab Yunhi Saalon,
Shaayd Yehi Zindagi Ka Hasal Hai...

Unse Nain Mila Kar Dekho Ye Dhoka Kha Kar Dekho


Unse Nain Mila Kar Dekho
Ye Dhoka Kha Kar Dekho

Doori Mein Kya Bhed Chhipa Hai,
Iski Khoj Lagakar Dekho,

Kisi Akeli Shaam Ki Chup Mein,
Geet Purane Gaakar Dekho,

Aaj Ki Raat Bahut Kaali Hai,
Soch Ke Deep Jala Kar Dekho,

Jaag Jaag Kar Umr Kati Hai,
Neend Ke Dwaar Hilakar Dekho...

Agar Wo Meherbaan Hota


Agar Wo Meherbaan Hota,
To Teri Aankhon Mein
Na Jhilmilate Ye Nami Hoti,
Na Tere Dil Ki Wadi Mein,
Khizan Ka Ye Qaafla Rukta
Agar Wo Meherbaan Hota,
Teri Benoor Aanhon Mein,
Sitara Qaid Kar Deta,
Teri Zakhmi Hatheli Pe
Wo Koi Phool Rakh Deta
Teri Hathon Ko Apne Haath Mein
Lekar Wo Ye Kehta
Mohabbat Roshni Hai Rang Hai
Khushbu Hai Sitara Hai
Qasam Mujhe Mohabbat Ki
Mujhe Tu Sab Se Pyara Hai,
Magar Aisa Wo Tab Kehta
Agar Wo Meherbaan Hota...

Ya Rab Hamein Tujhse Koi Gila Bhi Nahi



Ya Rab Hamein Tujhse Koi Gila Bhi Nahi
Wo Naseeb Mein Nahi Tha Isliye Mila Nahi,

Seencha Tha Jis Chaman Ko Apne Dilke Lahoo Se,
Phir Kyon Barsaat Mein Koi Phoool Khila Nahi,

Na Lage Koi Chit Is Dil-E-Natawan Par,
Abhi To Pichhla Zakham Bhi Mujhse Sila Nahi,

Manga Tha Jholiyan Utha Utha Kar Use,
Magar Hamein Duwayon Ka Koi Sila Mila Nahi...

Ab Is Dilko Intezar Kisika Bhi Nahi



Ab Is Dilko Intezar Kisika Bhi Nahi
Guzar Gaye Jo RafaQat Ke Waade Karte The,
Main Jo Tha Ke Azal Se Hi Apne Aap Mein Band,
Ada-E-Husn Se Humko Sataya Karte The,
Ke Jinki Maujudgi Bijli Si Jaan Mein Bharti Thi,
Nigah Aisi Ke Har WaQt Sawal Karti Thi,
Sawal Aise Jo Sar Chad Ke Bolte Wo Sawal
Meri Pareshani-O-Jehd Ke Wo Pahad Se Saal,
Ke Jinko Kaat Ke Aakhir Main Tashna Lab Hi Raha,
Wo Saal Jo Ke Meri Zindagi Ka Sarmaya
Jinhe Bita Ke Main Hasil Na Kuch Bhi Kar Paya
Aur Ab Is Dilko Intezar Kisika Bhi Nahi...

Tumhi The Badle Hue Ya Meri Nigahein Thi



Tumhi The Badle Hue Ya Meri Nigahein Thi,
Tumhari Nazron Se Lagta Tha Jiase Meri Bajaye
Tumhare Ghar Mein Koi Aur Shakhs Aaya Hai
Tumhare Ohade Ki Denein Tumhe Mubarak

So Tumne Mera Swagat Usi Tarahse Kiya
Jo Afasaraan-E-Hukumat Ka AitaQaad Mein Hai
Takallufan Mere Nazdik Aake Baith Gaye,
Phir Ehtamam Se Mausam Ka Zikr Chhed Diya,

Kuch Uske Baad Siyaasat Ki Baat Bhi Nikali
Adab Par Bhi Koi Do Chaar Tabasare Farmaye
Magar Na Tumne Hamesha Ki Tarah Ye Puchha
Kya WaQt Kaisa Guzarta Hai Tera Jaan-E-Hayaat

Pahaad Din Ki Aziyat Mein Kitni Shiddat Hai,
Ujaad Raat Ki Tanhayi Kya Qayamat Hai,
Shabon Ki Sust Ravi Ka Tujhe Bhi Shikwa Hai,
Gam-E-FiraaQ Ke Qisse Nishaat-E-Vasl Ka Zikr,
Rawayatein Hi Sahi Koi Baat To Karte...

Kya Hum Bhi Tumhe Yaad Ate Hain? Is Sher-E-Wafa Ki Raaton Mein


Kya Hum Bhi Tumhe Yaad Ate Hain?
Is Sher-E-Wafa Ki Raaton Mein
Jo Andhere Pee Lete Hai,
In Jalte Bujhte Saayo Mein
Jo Honthon Ko See Lete Hai,
Kya Hum Bhi Tumhe Yaad Aate Hai?

Jab Khat Kisiko Tumne Likha,
Koi Harf-E-Dua, Koi Harf-E-Wafa,
Jab Yaad Ka Bola Naksh Koi,
Kagaz Par Thehra Hua,
Kya Hum Bhi Tumhe Yaad Aate Hai?

Sach To Ye Hai Ke Itne Saalon Tak
Tum Lamho Lamho Yaad Aaye,
Hum Jahan Gaye Hum Jahan Rahe,
Tum Pal Pal Til Til Yaad Aaye,
To Kya Hum Bhi Tumhe Yaad Aate Hai???

na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhate jaao


na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhate jaao
ki jii na chaahe to naachaar dekhate jaao

bahaar-e-umr me.n baaG-e-jahaa.N kii sair karo
khilaa huaa hai ye gulazaar dekhate jaao

uThao aa.Nkh na sharmaao ye to mahafil hai
Gazab se jaanib-e-aGayaar dekhate jaao

huaa hai kyaa abhii ha.ngaamaa abhii kuchh hogaa
fugaa.N me.n hashr ke aasaar dekhate jaao

tumhaarii aa.nkh mere dil se besabab-bevajah
hu_ii hai la.Dane ko tayyaar dekhate jaao

na jaao ba.nd kiye aa.Nkh raharavaan-e-adam
idhar-udhar bhii Khabaradaar dekhate jaao

ko_ii na ko_ii har ik sher me.n hai baat zaruur
janaab-e-"Daag" ke ashaar dekhate jaao

Kaise nikaalein soch se aus ko jo ab jism ka hissa hai


Kaise nikaalein soch se aus ko jo ab jism ka hissa hai
Woh barson mein dheere dheere aankh se dil mein utra

Itni shohrat mili hai us ko phir kyon tanha rehta hai
Dushman mil kar sochte hein ye banda aakhir kaisa hai

Yun tau usko dekhe hue sadyaan he jaise beet gayi
Dil kehta hai abhi abhi woh mere paas se guzra hai

Us ke jaane se to yaaro saara khel he khatam hua
Us ne pyaar mein saath humaare kaisa khel ye khaila hai

Zakham ka kya hai ye to aakhir bhar he jaaye ga ek din
Is mein us ki mehek hai shamil mujh ko is ka sadma hai..

Jab Bhi Qareeb Aata Hoon Batanay K Liye



Jab Bhi Qareeb Aata Hoon Batanay K Liye !
Zindagi Door Rakhti Hai Satanay K Liye !

MehfilOn Ki Shaan Na Samajhna Mujhay !
Main To Hansta HoOn GHum Chupanay K Liye !

In FaaslOn Ko Na Samjho Meri Be-Wafayi !
Main DOor HOon Tumse, Paas Aanay k Liye !

Mat Jano HaQeeQat Mere In AansuOn Ko !
Main To ROota HOon Tumhein Rulanay K Liye !

Koi Gila Nahi Hai Mujhay Apni Barbadi Ka!
Main To Khaila Tha Aag Se Jal Janay k Liye !

Ab Duniya Kuch Bhi Kahay, Mujhay Parwa Nahi !
Main To Jeeta Tha Zindagi, Mar Janay K Liye !

Wo Kehti Hai Tum Aisay Nahin Jisay Shiddat Se Chaaha Jaye


Wo Kehti Hai
Tum Aisay Nahin
Jisay Shiddat Se Chaaha Jaye
Tum Aisay Nahin
Jis Ke Leay Khud Ko Sir Ta Paa Haar Dain
Tum Aisay Nahin
Jis Ki Chaah Main Koi Khud Ko Mita De

Usay Kia Maloom?
Ke Jab Dil Hara Jata Hai
To Kaun Dekhta Hai
Koi Kesa Hai
Jab Muhabbat Kisi Dil Pe Utarti Hai
To Intikhab Ka Ikhtiaar Nahin Dia Jata

Kitaabon Main Gulabon Ko Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna


~ Meri Mano~
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi?
Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq Mat Karna...
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Athran Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay ***** Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa


ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa


Gam-e-jahaa.N ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu
salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa


the Khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaa.N bhii
sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa


Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai
vo raaz jis ne hame.n raa.Nd-e-zamaanaa kiyaa


vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii
kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa

shaiKh saahab se rasm-o-raah na ki



shaiKh saahab se rasm-o-raah na ki
shukr hai zindagii tabaah na kii

tujh ko dekhaa to ser-e-chashm hue
tujh ko chaahaa to aur chaah na ki

tere dast-e-sitam kaa ajz nahii.n
dil hii kaafir thaa jis ne aah na ki

the shab-e-hijr kaam aur bahut
ham ne fikr-e-dil-e-tabaah na ki

kaun qaatil bachaa hai shahar me.n 'Faiz'
jis se yaaro.n ne rasm-o-raah na ki

Ye Raaz Hai Meri Zindagi Ka Pehne Hue Hoon Kafan Khudi Ka



Ye Raaz Hai Meri Zindagi Ka,
Pehne Hue Hoon Kafan Khudi Ka,

Phir Nashtar-E-Gam Se Chhedte Hai,
Ek Tarz Hai Ye Bhi Dil Dahi Ka,

O Lafz-O-Bayaan Main Chhupane Wale,
Ab Qasd Hai Aur Khamoshi Ka,

Marna To Hai Ibteda Ki Ek Baat,
Jeena Hai Kamaal Muntahi Ka,

Haan Seena Gulon Ki Tarah Har Chaak,
De Marke Saboot Zindagi Ka...

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dilse Bojh Utar Do



Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dilse Bojh Utar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do Ke Chamak Sake Mere Khadokhal,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Garaz Hai Na Hi Wasta,
Mere Dilpe Haath Rakho Zara Meri Dhadkano Ko Qarar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayar Ki,
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhar Do,

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir Ke Ho FiQr Der Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai Ise Chandni Mein Guzaar Do,

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Aut Mein,
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utar Do...

shammaa-e-mazaar thii na koii sogavaar thaa



shammaa-e-mazaar thii na koii sogavaar thaa
tum jis pe ro rahe the vo kisakaa mazaar thaa


ta.Dapuu.Ngaa umr bhar dil-e-marahuum ke liye
kambaKht naamuraad la.Dakapan kaa yaar thaa


jaaduu hai ya tilism tumharii zubaan me.n
tum jhuuTh kah rahe the mujhe aitabaar thaa


kyaa kyaa hamare sajde kii rusavaaiiyaa.N huii.n
naqshe-qadam kisii kaa sare rahaguzaar thaa

Dekha Tumne Mohabbat Ka Dastoor Tu Mujhse Aur Main Tujhse Door


Dekha Tumne Mohabbat Ka Dastoor
Tu Mujhse Aur Main Tujhse Door,

Tanhaiya MuQaddar Ban Gayi Hai Hamari,
Aur Dil Hai Ke Zakhmon Se Choor,

Apna Gam Hum Aksar Bhul Jaate Hai,
Jaise Dikhte Hai Hum Majboor,

Meri Dhadkan Kehti Hai Mujhse,
Wo Milne Tujhse Kabhi Aayega Zaroor,

Koshish Karte Raho Ummid Na Chhodna,
Wohi Hoga Jo Khuda Ko Hai Manzoor...

Dua nahin to gila deta koi meri wafaon ka sila deta koi


Dua nahin to gila deta koi
meri wafaon ka sila deta koi

jub muqaddar hi nahin tha apna
deta bhi to bhala kya deta koi.


haasil-e-ishq faqat dard hai
aye kaash pehle hi bata deta koi.

taqdeer nahin thi gar aasmaan choona
khaaq mein hi mila deta koi

bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se ziyada kya daga deta koi.

gumaan hi ho jata kisi apne ka
daaman hi pakar kar hila deta koi.

arse se atka hai hinchkiyon pe dam
acha hota jo bhula deta koi.

ye to ro ro ke khata gaya khan
kya hota agarchay hansa deta koi

Gul Ne Kya Keh Diya Isharon Se Jee Ulajhne Laga Baharon Se


Gul Ne Kya Keh Diya Isharon Se,
Jee Ulajhne Laga Baharon Se,

Daman-E-Dost Ho Ke Daman-E-Dil,
Zeest Banti Nahi Saharon Se,

Aag Lagti Rahi Nasheman Ko,
Phool Jharte Rahe Shararon Se,

Kar Liya Babar-E-Zindagi Hi Qabool,
Hoke Bezaar Ikhtiyaron Se,

Meri Aankhon Se Ashq-E-Gam Tapke,
Khoon Barasne Laga Sitaron Se,

Chal Diya Karvan-E-Dil Aur Hum,
Khelte Reh Gaye Baharon Se,

Chal Diya Karvan-E-Dil Aur Hum,
Khelte Reh Gaye Baharon Se,

Hoke Aazad Hum Ye Samjhe,
Jabar Achha Laga Tah Ikhtiyaron Se...

Laakh Kiya Intezar Unko Qadar Nahi Yaar Ki


Laakh Kiya Intezar Unko Qadar Nahi Yaar Ki,
Wo Aaya Aru Ek Pal Mein Chal Diya,
Unko Qadar Nahi Hamare Pyaar Ki,

Kya Main Is Intezar Ka Matlab Na Samjun,
Agar Aisa Hai To Main Kya Samjhun,
Dil Na De Sath Aankhein Bhi Bheeg Jaati Hai,
Jab Tum Na Aao To Puri Ummeedein Toot Jaati Hai,

Phir Bhi Ye Dil Kehta Hai Tu Aayega,
Kya Fayda Is Jhuthe Aitbaar Ka,
Phir Bhi Karta Hai Intezaar,
Kya Karun Is Dil-E-Khaaq Saar Ka...

Aaya Hai Ghar Sanwarne Ehsaan Kar Gaya


Aaya Hai Ghar Sanwarne Ehsaan Kar Gaya,
Barbadiyon Ka Aur Bhi Saman Kar Gaya,

Ab Tak Rahi Uski Yaad Meri Zindagi Ke Sath,
Do Char Pal Ki Mujhe Saye Jo Pehcan Kar Gaya,

Aankhone Jis Ke Shauq Mein Raatein Sajaye The,
Khwabon Ki Anjuman Wohi Veeran Kar Gaya,

Jhonka Naseem-E-Subah Ka Aya To Tha Magar,
Gulshan Ki Har Kali Ko Pareshan Kar Gaya...

Jab Bhi Guzra Zamana Yaad Aata Hai


Jab Bhi Guzra Zamana Yaad Aata Hai
Bana Mitti Ka Apna Ghar Purana Yaad Aata Hai,

Wo Papa Se Chavanni Roz Milti Jeb-Kharche Ko,
Wo Maa Se Mila Ek Aadh Aana Yaad Aata Hai,

Wo Chhote Bahi Ka Ladna, Wo Didi Se Mili Jhidki,
Shaam Ko Phir Bhool Jaana Yaad Aata Hai,

Wo Ghar Ke Samne Ki Adh Khuli Khidki Abhi Bhi Hai,
Wahan Par Chhip Kar Kisika Muskurana Yaad Aata Hai...

Jahan Tak Had-E-Nazar Hai Bas Safar Hi Safar Hai


Jahan Tak Had-E-Nazar Hai,
Bas Safar Hi Safar Hai,
Saraab Raahon Pe Chalte Chalte,
Yunhi Hasrat Se Haath Malte Malte,
Aankhein Khoj Rahi Hai,
Kisi Rehbar Ko,
Par Koi Rehbar Nahi Milta,
Jisse Keh Sakun,
Main Is Jahan Mein,
Is Hujoom-E-Bekaran Mein,
Tanha Ho Gaya Hoon,
Haan Main Kho Gaya Hoon,
Mujhe Mere Ghar Tak Le Jaiye,
Mujhe Mera Ghar Nahi Milta

Zindagi Ko Qayam Karne Wali Ek Main Hi To Hoon


Zindagi Ko Qayam Karne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Sirf Haya Mein Ubharne Wali,
Khushiyon Mein Rang Bharne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Dusron Ko Bardasht Karne Wali,
Apne Aap Se Ladne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,

Apno Ki Khatir Ladne Wali,
Har Ehsaas Ko Janne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Rasm-E-Duniya Ko Sehne Wali,
Aansu Ko Chup Chap Peene Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Dusron K Fateh Dene Wali,
Zindagi Ki Jang Se Ladne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Pyaar Ko Phailane Wali,
Duniya Mein Aage Badhne Wali,
Ek Main Hi To Hoon...

Aaj Ek Naam Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam


Aaj Ek Naam Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam
Aaj Ka Gam Ki Hai Zindagi Ke Bhare Gulistan Se Khafa,
Zard Patton Ka Ban,
Zard Patton Ka Ban Jo Mera Des Hai,
Kilarkon Ki Afsurda Jaano Ke Naam,
Kirm Khurda Dilon Aur Zabano Ke Naam,
Post-Maino Ke Naam,
Tangewalon Ke Naam,
Rel-Baano Ke Naam,
Kaarkhano Ke Bhole Jiyalon Ke Naam,
Baadashah-E-Jahan, Waali-E-Maasiva, Nae-Bullah-E-Fil-Arz, Dahakaan Ke Naam,

Jiske Dhoron Ko Zaalim Hanka Le Gaye,
Jiski Beti Ko Daku Utha Le Gaye,
Haath Bhar Khet Se Ek Angusht Patwar Ne Kaat Li Hai,
Dusri Maaliye Ke Bahaen Se Sarkar Ne Kaat Li Hai,
Jiske Pag Zor Walon Ke Paanvo Tale,
Dhajiyan Ho Gayi Hai,

Un Dukhi Maaon Ke Naam,
Raat Mein Jinke Bachhe Bilakhte Hai Aur,
Neend Ki Maar Khaye Hue Baazuon Se Sambhalte Nahi,
Dukh Batate Nahi,
Minnaton Zaariyon Se Bahelte Nahi,

Un Haseenao Ke Naam,
Jinki Aankhon Ke Gul,
Chilmano Aur Daricho Ki Belon Par Bekaar Khil Khil Ke,
Murjha Gaye Hai,
Un Byaahataon Ke Naam,
Jinke Badan
Be-Mohabbat Riyaakar Sajon Pe Saj Saj Ke Ukta Gaye Hai,
Bewaon Ke Naam,
Katadiyon Aur Galiyon, Mohallon Ke Naam,
Jinki Napak Khashaak Se Chaand Raaton,
Ko Aa Aa Ke Karta Hai Aksar Wazoo,
Jinke Saayo Mein Karti Hai Aaho-Buka,
Aanchalon Ki Heena,
Chudiyon Ki Khanak,
Kaakulon Ki Mehek,
Aarzumand Seeno Ki Apne Paseene Mein Jalne Ki Boo,
Padhnewalon Ke Naam,
Wo Jo Asahab-E-Tablo-Alam,
Ke Daron Par Kitaab Aur Kalaam,
Ka Taqaza Liye, Haath Phailaye,
Pahuche, Magar Luat Kar Ghar Na Aaye,
Wo Masoom Jo Bholepan Mein Hai,
Wahan Apne Nanhe Chiragon Mein Lahu Ki Lagan,
Le Ke Pahuche Jahan,
Baant Rahe The Ghatatop, Be-Ant Raaton Ke Saye,
Un Aseeron Ke Naam,
Jinke Seeno Mein Farda Ke Shabataab Gauhar,
Jelkhano Ki Shorida Raaton Ki Sar-Sar Mein,
Jal Jal Ke Anjunnuma Ho Gaye Hai,

Aanewale Dino Ke Safeeron Ke Naam,
Wo Jo Khushbu-E-Gul Ki Tarah,
Apne Paigam Par Khud Fida Ho Gaye Hai...

Dhadkano Ki Tarah Meri Har Saans Mein


Dhadkano Ki Tarah Meri Har Saans Mein,
Pyaar Apna Basane Ka Waada Karo,
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai,
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo,

Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahi,
Ek Jaanib Se Hi Pyaar Hota Nahi,
Main Tumhe Yaad Rakhneki Khaun Kasam,
Tum Mujhe Na Bhoolne Ka Waada Karo,

Jab Lafzon Se Iqraar Karte Ho Tum,
Dhadkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum,
Bar-Ha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir,
Mujhe Apna Banane Ka Waada Karo...

Saath Chalne Mein Jo Maza Hota Hai


Saath Chalne Mein Jo Maza Hota Hai,
Wo Hamein Bhi Kabhi Mila Hota,

Yehi Hasrat Rahi Hamari Faqat
Saath Apne Koi Chala Hota,

Hum Bhatakte Rahe The Raahon Mein,
Koi Rasta Pata Chala Hota,

Thaam Leta Hamein Bhi Badh Ke Koi,
Haath Humko Koi Mila Hota,

Hum Ulajhte Nahi Zamane Se,
Ek Jo Humsafar Mera Hota,

Hum Na Thakte Safar Mein Gar Saqib,
Sath Apne Koi Chala Hota...

Kaise Kahun Ke Apna Bana Lo Mujhe



Kaise Kahun Ke Apna Bana Lo Mujhe,
Baahon Mein Apni Sama Lo Mujhe,

Bin Tumhare Ek Pal Bhi Katta Nahi,
Tum Aa Kar Mujhi Se Chura Lo Mujhe,

Zindagi To Wo Hai Sang Tumhare Jo Guzre,
Duniya Ke Gamon Se Ab Chura Lo Mujhe,

Meri Sabse Gehri Khwahish Ho Puri,
Tum Agar Paas Apne Bula Lo Mujhe,

Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,
Tumhari Hoon Main To Sambhalo Mujhe,

Na Jaane Phir Kaise Guzregi Zindagani,
Agar Apne Dilse Kabhi Tum Nikalo Mujhe...

Karun Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulun Use


Karun Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulun Use,
Gazal Banana Karun Aur Gungunaun Use,

Wo Khaar-Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Ki Maanind,
Main Zakhm-Zakhm Hoon Phir Bhi Gale Lagaun Use,

Ye Log Tazkare Karte Hai Apne Logon Se,
Main Kaise Baat Karun Aur Kahan Se Laun Use,

Magar Wo Zuud-Faramosh Zuud Ranj Bhi Hai,
Ke Rooth Jaye Agar Yaad Kuch Dilaun Use,

Wahi Jo Daulat-E-Dil Hai Wahi Jo Raahat-E-Jaan,
Tumhari Paat Pe Aye Naasiho Ganwaun Use,

Jo Humsafar Sar-E-Manzil Bichhad Raha Hai 'Faraz',
Ajab Nahi Ki Agar Yaad Bhi Na Aaun Use...

Hum Apne Ikhtiyaar Ki Had Se Guzar Gaye


Hum Apne Ikhtiyaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Chaha Hamein Pyaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Likhi Gayi Naseeb Mein Kuch Aisi Hijratein,
Har Ajnabi Dayar Ki Had Se Guzar Gaye,

Jagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Ki Aarzu,
Jab Mausam-E-Bahar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ab Zakhm Haaye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho,
Ye Zakhm To Shumar Ki Had Se Guzar Gaye,

Teri Nigah-E-Mast Se Hum Itni Pee Gaye,
Itni Ke Har Khumaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gam Koi,
Jaise Ke Jeet Haar Ki Had Se Guzar Gaye,

Hasrat Se Mauj-E-Gam Bhi Hamein Dekhti Rahi,
Hum Behr-E-Kinaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Aati Hai Saaf Saaf Nazar Gam Ki Manzilein,
Ye Qaafle Ghubaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Wo Log Roz-E-Qayamat Se Kya Darein,
Jo Tere Intezaar Ki Had Se Guzar Gaye...

Tumhari angushtari k nug main Mery mohabbet chamak rahi hay


Tumhari angushtari k nug main ..
Mery mohabbet chamak rahi hay ,

Agar kabhi ye guman bhi guzray
k , main tumhain bholnay laga hoon
Tu ... is nageenay ko bhi dekho
Mery nigahoon ki jagmagahat
Tumhari aankhon say ye kahay gi
Suno ......!!! Mohabbet tu khush guman hay ...

Agar koi bughz-e-dil ka maara ...... Falak sat toota hoa sitara ..
Tumharay seenay main was-wasoon k "AISAY" khanjer utarta ho
" K wo jo dil phaik-o-bewafa hay
" K wo jo sab per fareefta hay
" K wo jo pardees ja basa hay
" Tumhain bhanwar beech choor day ga
" Wafa k sab qool toor day ga
" Chaloo bas ab us ko bhool jao"

Tu is say pehlay jal bujho tum
Tu is say pehlay k ye kahoo tum

" Wo ahd-o-peman sab ghalat thay
" Wafa k unwan sab ghalat thay
" Seher k imkan sab ghalat thay"

Tum apni angusht mahwish per
Gulab chehra jhuka k kehna
" SUNO WO SUCH MUCH HI BEWAFA HAY? "
Tumhara roota sawal sun ker
Wo shokh nug muskura paray ga
Tumhari palkoon pay hont rakh ker
Tumharay galoon ko thap-thapa ker ... Haseen angushtari kahay gi..!!

Suno ......!!! Mohabbet tu khush guman hay ......!!!

Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak



Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha


Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha


Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha


Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha


Aey kash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha

jo main teri dastaras main nhi hoon toh!


jo main teri dastaras main nhi hoon toh!


main teri dastaras main nhi hoon.
mujhai door sai he pehchaan lena.

main bana gar hawa ka jhonka kbhi toh.
mujhai mehsoos kar lena.

gar bana khsushboo main kbhii jana.
apni sansoon main dhoondh lena.

jab dhoondhty hoojaoo thaak kar choor tum.
rakhna aaeena samnin apnin akss main jaan lena.

jo main tery dastaras main nahin hoon toh.!

Subah ka taara hoon Pal ka nazaara hoon


Subah ka taara hoon
Pal ka nazaara hoon

Karay na deedaar koi
Shub ka kinaara hoon

Gira chaandni kay aanchal say!
Seher ka sanwaara hoon

Hoon shab ki musaafat say choor
Umeed ka sahaara hoon

Roop hoon na singhaar koi
Manzil ka ishaara hoon

Basaaye na koi aankhon main
Akaash per bechaara hoon

Karay na dhhurti nazar
Kab main sharara hoon

Ginay shab bhur taaray koi
Main subah ka haara hoon

Sajaaye mah-o-maher jamaal naya!
Main nazar ka utaara hoon

Muddat se jis kay waastay Dil beqaraar tha


Muddat se jis kay waastay Dil beqaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chor gaya raah main mujhay
Main phans gaya bhanwar main woh darya kay paar tha

Manzil qareeb aayee to tum door hogaye
Itna to tum batao kay yeh kaisa Piyaar tha

Chilman giradi yeh kis nay dono kay darmiyaan
Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha

Yeh mukhtaser sa haal hai rukhsat kay waqt ka
Ankhon main aansu or Dil beqaraar tha

Yeh baat umer bhar samjh na paya main
Kun Dil mera us ka talabgaar tha

Labon Ke Azaab Seh Raha Hoon



Labon Ke Azaab Seh Raha Hoon,
Main Apne Wajood Ki Saza Hoon,

Zakhmon Ke Gulab Khil Rahe Hai,
Khushbu Ke Hajoom Mein Khada Hoon,

Is Dasht-E-Talab Mein Ek Main Hi,
Sadiyon Ki Thaki Hui Sada Hoon,

Benaam-O-Numood Zindagi Ka,
Ek Bojh Uthaye Phir Raha Hoon,

Ek Aisa Chaman Hai Jiski Khushbu,
Saanson Mein Basaye Phir Raha Hoon,

Ek Aisi Zameen Hai Jisko Chhu Kar,
Takdees-E-Haram Se Aaashna Hoon,

Aye Mujhko Fareb Dene Wale,
Main Tujhpar Yakeen Kar Chuka Hoon,

Main Tere Kareeb Aate Aate,
Kuch Aur Bhi Door Ho Gaya Hoon...

raaz-e-dunya-e-dil paa gaye kya


raaz-e-dunya-e-dil paa gaye kya
paas manzil ke hum aagaye kya,

ashq aankhon se jaari hue kyun,
banke gham dil pe chagaye kya,

bad gayi jane kyun dil ki dhadkan,
wo nihayt khareeb aagaye kya,

kehti phirti hai wo kya gulo se,
kuch saba se wo farmagaye kya

ab ke sawan me badal jo aaye,
gham ke aasun wo barsa gaye kya??

Phir Is Duniya Se Ummid-E-Wafa Hai


Phir Is Duniya Se Ummid-E-Wafa Hai,
Tujhe Aye Zindagi Kya Ho Gaya Hai,

Badi Zaalim Nihayat Bewafa Hai,
Ye Duniay Phir Bhi Kitni Khushnuma Hai,

Har Ek Apne Hi Gam Mein Mubtila Hai,
Kisike Dard Se Kaun Aashna Hai,

Mere Naqqaad Meri Shayri To
Mere Toote Hue Dilki Sada Hai,

Kahan Hoon Shad Main To Shaad Sa Hoon,
Wo Shaad-E-Khush Nawa To Mar Chuka Hai...

mit gayaa jab miTane vaalaa phir salaam aayaa to kyaa



mit gayaa jab miTane vaalaa phir salaam aayaa to kyaa
dil kii barbaadii ke baad un kaa payaam aayaa to kyaa


chhuT gaiin nabzen ummiden dene vaalii hain javaab
ab udhar se naamaabar leke payaam aayaa to kyaa


aaj hii miTanaa thaa ai dil hasarat-e-diidaar mein
tuu merii naakaamiyon ke baad kaam aayaa to kyaa


kaash apanii zindagii men ham ye manzar dekhate
ab sar-e-turbat koii mahashar-Khiraam aayaa to kyaa


saans ukharii aas TuuTii chhaa gayaa jab rang-e-yaas
naamaabar laayaa to kyaa Khat mere naam aayaa to kyaa

mil gayaa vo Khaak mein jis dil mein thaa armaan-e-diid
ab koii Khurshiid-vash baalaa-e-baam aayaa to kyaa

jab bohat door chaly jain gain to bohat yaad kero gi


jab bohat door chaly jain gain to bohat yaad kero gi
jab pass humain na pao gi to bohat yaad kero gi

bersat ki wo shamain jo sath guzari thi hum ne
sawan ki rut main un shaomon ko bohat yaad kero gi

wo baatain ,wo sharartain wo guzery huway din
tanhai main beth ker unhain bohat yaad kero gi

jis rasty se juda huway thay hum
jab us rastay se guzro ge to bohat yaad kero gi

bhula dena humain cahayie dil se mager
jab kisi shakas se milo ge to bohat yaad kero gi

Ishq Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan


Ishq Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,
Puchho Na Zindagi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,

Phoolon Ki Taazgi Hai Kya Chaand Ki Chaandni Hai Kya,
Rang Hai Roshni Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,

Meri Har Ek Soch Ki Hai Teri Zaat Tak Udaan,
Aur Meri Shayri Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,

Meri Shaam-E-Fikar Mein Hai Tere Pyaar Ki Mehek,
Phool Hai Kya Kali Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan...

Zamanay say suna tha k muhabat haar jate hai


Zamanay say suna tha k muhabat haar jate hai.
Jo chahat yak tarfa ho wo chahat haar jate hai.

Khain per dua ka aik lafz be asar kar jata hai
Kahian pay barsoon ke ebadat haar jate hai.

Muhabat kab kase ko dushmani ka durs dete hai.
Muhabat ke bazi main adawat haar jate hai

Hami kitnay be shikwey hon unke jafaon ka
Par un k samnay har aik shikayat haar jate hai.

Aik arzo se hai k unko bhool jayan hum
Magar unke yaad ate hai ye hasrat haar jate hai..!!

is mousam e weshat ki aksar humein yaad aai


is mousam e weshat ki aksar humein yaad aai
jub ishq tamasha tha aur husn tamashaee

us koo e malamat mein pat'thar to bohot aae
ek wo na nazer aya jis say thi shanasaee

jo rounuq e mehfil thay baithay hein pus e mehfil
aatay hein soo e mehfil kis shan say herjaee

tadbeer k rungoon say taqdeer bana lein gey
aay kash muyasser ho eik raat ki tunhaee

dunya mein rahay Mazher aur us ko nahin dekha
kia faida aankhoon ka, kis kam ki beenaee

kiya bataoo kessay khud ko dar badar main nay kiya


kiya bataoo kessay khud ko dar badar main nay kiya
umar bhar kis kis kay hessay ka safar main nay kiya

tu to nafrat bhi na kar payeega es shiddat kay saath
jis bala ka piyar tujh say baykhabar main nay kiya

kessay bachon ko bataoon raasto kay paich-o-kham
zindagi bhar to kitabo ka safar main nay kiya

kis ko fursat thi keh batlata tujhay itni si baat
khud say kiya bartaoo tujh say *** ker main nay kiya

chand jazbati say rishton ko bachanay ko
kaisa kaisa jabar apnay aap per main nay kiya ...!!!

Andheri Raatein Andhere Din Yara Tere Bin


Andheri Raatein
Andhere Din,
Yara Tere Bin,
Kis Tarah Guzregi Zindagi
Shayad Kisi Din
Ho Takrao Hamara Tumhara,
To Main Bhi Tumse Puchhun,
Kahan Gaye Wo Waade,
Kahan Gayi Wo Kasmein,
Jo Tum Subah Shaam Karte The,
Kis Tarah Kati Kis Tarah Guzri,
Tumhare Subah,Shaam,Raat Aur Kis Tarah,
Guzre Mere Bin Tumhare Din,
Is Aas Pe Pahuchoge Ye Sawal,
Ke Shayad
Tum Keh Do Ke Udaas Raha Saari Raat,
Sare Sham, Sare Din
To Is Jawab Par Main Khush Khush Guzarun,
Subah Shaam Raat,
Aru Shayad Zindagi Ke Sare Din,
Bas Itna Yaad Hai,
Dua To Na Jane Kaun Si Thi,
Zehen Mein Nahi,
Bas Itna Yaad Hai,
Ke Do Hatheliyan Mili Hui Thi,
Jis Mein Ek Meri Thi Aur Ek Tumhari...

Mujhse Zyada Gar Tumhe Chahe Koi


Mujhse Zyada Gar Tumhe Chahe Koi,
Mere Hathonse Apna Hath Chhuda Lena,

Apne Daaman Se Meri Ummidein,
Mere Sajdon Se Apne Pair Hata Lena,

Mujhse Zyada Gar Tumhe Chahe Koi,
Tod Dena Mere Pyar Ki Zanjeerein,
Mita Dena Apne Hathonse Meri Lakirein,

Meri Aankhon Se Apne Khwab
Apne Kandhonse Mera Sar Hata Dena,
Mujhse Zyada Gar Tumhe Chahe Koi...

Silsile Tod Gaya Wo Sabhi Jaate Jaate



Silsile Tod Gaya Wo Sabhi,
Jaate Jaate,
Warna Itne To Marassam The Ke Aate Jaate
Shikwa-E-Zulamat-E-Shab Se To Kahin Behtar Tha,
Apne Hisse Ki Koi Shama Jalate
Kitna Aasan Tha Tere Hijr Mein Mar Jana,
Phir Bhi Ek Umar Lagi Jaan Se Jaate Jaate,
Jashan Maktal Hi Na Bapa Hua Warna Hum Bhi,
Paanv Bejaan Hi Sahi,
Naachte Gaate Jaate,
Iski Wo Jane Ke Isse Paas-E-Wafa Tha Ya Na Tha,
Tum Faraz Apni Taraf Se To Nibhate...

Kal Zehen Mein Hum Baad-Saba Dhundte Rahe



Kal Zehen Mein Hum Baad-Saba Dhundte Rahe,
Bichhad Kar Tujhse, Tera Pata Dhundte Rahe,

Jo Dekha Bhi Kisiko, Dekha Tere Tasavvur Mein,
Hum Chehron Mein Chehra Tera Dhundte Rahe,

Jo Baat Bhi Ki Kisise To, Ke Tera Hawale Se,
Hum Lehjo Mein Lehja Tera Dhundte Rahe,

Meri Deewangi Mein Kuch Kasoor Mera To Na Tha,
Tamaam Kisse Mein Hum Apni Khata Dhundte Rahe,

Kabhi Kho Kar Paya Tujhko, Kabhi Paake Khoya,
Teri Jafaon Mein Hum Apni Wafa Dhundte Rahe...

Shabnam Ke Aansu Phool Par Ye To Wahi Kissa Hua


Shabnam Ke Aansu Phool Par Ye To Wahi Kissa Hua,
Aankhein Meri Bhigi Hui Chehra Tera Utra Hua,

Ab In Dino Meri Gazal Khushbu Ki Ek Tasveer Hai,
Har Lafz Gunche Ki Tarah Khil Kar Tera Chehra Hua,

Mandir Gaye Masjid Gaye Peero Fakeeron Se Mile,
Ek Usko Pane Ke Liye Kya Kya Kiya Kya Kya Hua,

Shayad Ise Bhi Le Gaya Achhe Dino Ke Kaafile,
Is Baag Mein Ek Phool Tha Teri Tarah Hansta Hua,

Anmol Moti Pyar Ke, Duniya Chura Ke Le Gayi,
Dilki Haweli Ka Koi Darwaza Tha Toota Hua...

Charaag Apne Tahkan Ki Koi Safayi Na De


Charaag Apne Tahkan Ki Koi Safayi Na De,
Wo Teeragi Hai Ke Ab Khwab Tak Dikhayi Na De,

Bahut Satate Hai Rishte Jo Toot Jaate Hai,
Khuda Kisiko Bhi Taufiq-E-Aashnayi Na De,

Main Saari Umr Andheron Mein Kaat Sakta Hoon,
Mere Diyo Ko Magar Roshni Parayi Na De,

Agar Yehi Teri Duniya Ka Haal Hai Maalik,
To Meri Qaid Bhali Hai Mujhe Rihayi Na De,

Dua Ye Mangi Hai Sehme Hue Mu'arrik Ne,
Ke Ab Qalam Ho Khuda Surkh Roshni Na De...

Nafratein Bhi Usse Mohababtein Bhi Usse



Nafratein Bhi Usse, Mohababtein Bhi Usse,
Ye Dilke Mamle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb,

Na Toot Kar Judein Na Jud Kar Kabhi Tootein,
Ye Qurbaton Ke Faasle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb,

Use Dekhun To Na Chahun Na Dekhun To Chahun,
Ye Dilke Faisle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb,

Wo Mile To Na Mile Wo Na Mile To Milne Ki Justajun Karun,
Ye Mohabbaton Ke Imtehaan Bhi Hua Karte Hai Ajeeb...  

Kuch To Hawa Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi


Kuch To Hawa Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dilko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi,

Baat Woh Aadhi Raat Ki, Raat Wo Pure Chand Ki,
Chand Bhi Ain Cheet Ka Uspe Tera Jamaal Bhi,

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujhko Kuch Aise Dekhta,
Ek Dafa To Ruk Gayi Gardash-E-Maa-O-Saal Bhi,

Dil To Chamak Sakega Kya, Phir Bhi Tarsh Ke Dekh Le,
Sheesha Garan-E-Shaher Ke Haath Ka Ye Kamal Bhi,

Usko Na Paa Sake The Jab Dilka Ajeeb Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhe, Baat Thi Kuch Muhaal Bhi,

Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahi Mila To Phir,
Haath Dua Se Yun Gira, Bhool Gaya Sawal Bhi,

Uski Sakhan Taraziyan Mere Liye Bhi Dhal Thi,
Uski Hansi Mein Chhup Gaya Apne Gamon Ka Haal Bhi,

Ja Qareeb-E-Sha'rag, Ja Bahid-E-Wa'am-O-Khwab,
Uski Rafaqaton Mein Raat, Hijr Bhi Wasl Bhi,

Uske Baazoun Mein Aur Usi Ko Sochte Rahe,
Jismki Khwahishon Pe The Rooh Ke Aur Jaal Bhi,

Shaam Ki Na Samajh Hawa Puchh Rahi Hai Ek Pata,
Mauj-E-Hawaye Koo'ey Yaar, Kuch To Mera Khayal Bhi.. 

Aye Baad-E-Saba Tu Aahista Chal Soya Hai Abhi Mehboob Mera


Aye Baad-E-Saba Tu Aahista Chal,
Soya Hai Abhi Mehboob Mera,
Wo Naaz-O-Ada Wo Pech-O-Kham,
Sharm-O-Haya Roke Thi Qadam,
Wo Girna Uske Aanchal Ka,
Wo Khanakna Uski Payal Ka,
Aankhon Mein Chamakta Khwaab Hai Uske,
Labon Pe Mera Naam Hai Uske,
Toote Na Uske Khwab Zara,

Aye Baad-E-Saba Tu Aahista Chal,
Soya Hai Abhi Mehboob Mera,

Honthon Pe Tabassum Chhaya Hai,
Khwabon Mein Khwab Jagaya Hai,
Kehti Hai Ye Dhadkan, Seene Ki,
Meri Aagosh Mein Khudko Paya Hai,
Aye Baad-E-Saba Aahista Chal,

Maine Jo Khwab Sajaye The,
Tanhayi Mein Jazbe Giraye The,
Sharminda Wo Khab Hue Hai,
Jazbe Bhi Aabad Hue Hai,
Sarsarahat Tujh Mein Bala Ki Hai,
Badan Mein Uske Na Chubhti Ho,
Thapki Zara Halke Se Dena,
Mushkil Se Aankh Lagi Hai,

Aye Baad-E-Saba Tu Aahista Chal,
Soya Hai Abhi Mehboob Mera...

Kisi Bhi Lamhe Koi Bhi Dhyan Mein Aa Sakta Hai



Kisi Bhi Lamhe Koi Bhi Dhyan Mein Aa Sakta Hai,
Kisiki Baatein, Kisika Chehra,
Koi Bhi Apna Ya Begana,
Soche Bina, Bas Be Dhehani Mein,
Na Danasta,
Idhar Udhar Ki Baatein Karte,
Ekdam Dilko Bha Sakta Hai,
Ho Kitne Mazboot Irade,
Chahat Se Bach Kar Chalne Ke,
Lakh Ye Khwahish Mein Aa Jaye,
Dilke Dar Par Jo Dastak Dein, In Haathon Ko,
Mayusi Ki Deemak Chaate,
Phir Bhi Aisa Ho Sakta Hai,
Bheed Mein Baithe Baithe Koi,
Khudko Ekdam Kho Sakta Hai,
Lekin Jaana,
Phoolon Jaise Tum Lagte Ho,
Kaanton Se Byopaar Na Karna,
Dekho, Mujhse Pyaar Na Karna...

Ye Raat Khushnaseeb Hai Jo Tere Aane Ki Tareeh Hai


Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Jo Tere Aane Ki Tareeh Hai,
Apna Tujhe Banane Ki,
Kuch Aisi Ummid Hai,

Tujhe Kuch Batane Ki Ek Aas Hai,
Ke Idhar Khushiyon Ki Baarat Hai,

Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Ke Mere Yaar Ki Amad Hai,
Ye Kaisa Alam Hai,
Ke Uske Aane Se Pehle,
Uske Qadmon Ki Ahat Hai,

Ye Raat Khushnaseeb Hai,
Bas Yehi Labon Pe Geet Hai,
Ke Ye Raat Khushbasee Hai,

Jo Hui Darwaze Pe Dastak,
To Hone Lagi Tez Dilki Dhak Dhak,
Dilki Hui Ajab Halat,
Beqarari Ye Ajeeb Hai,

Jo Ghataye Humne Ye Fasle,
To Ladkhadaye Ye Qadam,
Ye Halat Kuch Ajeeb Hai,
Ye Raat Khushnaseeb Hai,

Jo Khula Yun Darwaza,
To Mila Ye Begham,
Ye Raat Badnaseeb Hai,
Ye Raat Badnaseeb Hai,
Tere Yaar Ki Mait Hai,
Na Rooh Hai Na Jism Ki Kameez Hai,
Ye Raat Badnaseeb Hai...

Mujhe Ab Laut Jaana Hai Achanak Ab Toot Jaana Hai


Mujhe Ab Laut Jaana Hai,
Achanak Ab Toot Jaana Hai,
Ke Mere Des Se Aage Koi Pardes Mera Muntazir Hai,
Uar Mere Dostone Mere Hathon Mein,
Safar Ka Zaad Bhi Pakda Diya Hai,
Guzishta Kal Ki Sab Baatein Bhulae Jaa Raha Hoon,
Par Wo Baatein Jo Tere Hasas Chehre Par Numayein Thi,
Wo Saare Lafz Jo Ashqon Ki Surat Aankh Mein Utre,
Tere Khamosh Paykar Mein Chhupe Gamnaak Afsane,
Teri Guftaar Ki Rimjhim,
Teri Riftaar Ke Mausam,
Tere Kirdaar Ka Moti,
Tere Dilse Ubalte Khoon Ke Beawaz Se Nagme,
Tere Chehre Ke Khaal-O-Khad, Nigahon Mein Chhupe Dariya,
Tere Ehsaas Ki Shiddat,
Tere Jazbaat Ki Hiddat,
Main Sab Kuch Yaad Rakhunga,
Teri Khamosh Awazein,
Mere Mazi Ke Hissa Bankar Bhrengi,
Mujhe Ab Laut Jaane De,
Achanak Toot Jaane De...

Aaj Dil Toota Hai Tum Jaa Rahe Ho



Aaj Dil Toota Hai,
Tum Jaa Rahe Ho,
Yun To Kabhi Humne Bhi,
Dekhe The Sapne,
Aaj Bichhad Rahe Hai,
Wo Jo The Kabhi Apne,
Zindagi Jaane Kyon Khelti Hai Humse,
Tum Kya Jaano,
Meri To Ek Ek Saans Bhi Chalti Hai Tumse,
Tum Bin Kaise Jiya Jaye,
Dukhon Ko Kaise Seene Mein,
Dabaya Jaaye,
Kuch Samajh Nahi Aata,
Dilko Apne Kaise Behlaun,
Is Duniya Ke Kis Kone Mein Jaakr,
Khudko Tumse Chhupaun,
Jaate Jaate Mujhpe Ek Ehsaan To Kar Jao,
Sath Apne Meri Ye Jaan Le Jao...

Kat Hi Gayi Judayi Bhi Kab Ye Hua Ke Mar Gaye


Kat Hi Gayi Judayi Bhi Kab Ye Hua Ke Mar Gaye,
Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye,

Tere Liye Chale The Hum, Tere Liye Theher Gaye,
Tune Kaha Jee Uthe, Tune Kaha To Mar Gaye,

Waqt Hi Kuch Judayi Ka Itna Taweel Hogaya,
Dil Mein Tere Wisl Ke Jitne Zakhm The Bhar Gaye,

Aaj Bhi Intezar Ka Waqt Hanoot Hogaya,
Aise Laga Ke Hasher Tak Saare Pal Hi Theher Gaye,

Wo Bhi Gubar-E-Khak Tha, Hum Bhi Gubar-E-Khak The,
Wo Bhi Kahin Bikhar Gaya, Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye,

Koi Kinar-E-Aab Jo Baitha Hua Hai Sernagon,
Kashti Kidhar Chali Gayi, Jane Kidhar Bhanwar Gaye,

Barish Wisal Wo Hui Sara Ghubar Dhol Gaya,
Wo Bhi Nikhar Gaya Hum Bhi Nikhar Gaye,

Itne Kareeb Ho Gaye Itne Raqeeb Ho Gaye,
Wo Bhi Adeem Dar Gaya, Hum Bhi Adeem Dar Gaye,

Uske Salook Par Adeem Apni Hayat-O-Maut Hai,
Wo Jo Mila To Jee Uthe Wo Na Mila To Mar Gaye...

hasrat hay tumhari deed karain tum aao tu hum bhi eid karain


hasrat hay tumhari deed karain
tum aao tu hum bhi eid karain

kuch roz tu dil ko chain milay
kuch roz tu maan ka phool khilay
kehtay hain eid ki aamad hay
hum log bhi tayed karain

tum aao tu hum bhi eid karain
tum say yeh ek guzarish hay
yeh apnay dil ki khuwaish hay
ek bar milo ek bar miloo
har bar yehi tayed karoo

tum aao tu hum eid karain
jab gum k badal chahye thay
is waqt bhi tum na aye thay
is bar bhi tum nahin aye
sab dushman yeh tanqed karain

tum aao tu hum eid kariain
mana k hum dewanay hain
sab batoon say anjanay hain
jab apnay hi bayganay hain
kya geroon say umeed karin
tum aao tu hum bhi eid kari

Raat Dhal Aayi Hai Royi Hui Udaasi Ki Tarah


Raat Dhal Aayi Hai
Royi Hui Udaasi Ki Tarah
Har Soo Phail Rahi Hai,
Aankhon Mein Bikhre Hue Badal,
Aahista Aahista Ikatthe Ho Rahe Hai,
Jhadi Lagti Jaa Rahi Hai,
Afsurda Hua, Pasmurda Fiza,
Mujhe Khulke Rok Kyon Nahi Dete,
Aansu Bahar Barsein To Aansu,
Andar Barsein To Patthar,
Jhadi Bahar Lage To Jhadi,
Andar Lage To Chup,
Shaam Bahar Dhale To Shaam,
Andar Dhal Jaye To Gam,
Raat Dhal Aayi Hai,
Andar Bhi, Bahar Bhi,
Raat Bahar Dhal Aaye To Raat,
Andar Dhal Aaye To Maut,
Dukh Hi Dukh,
Aansu Hi Aansu,
Doori Hi Doori,
Bichhadna,
Bichhad Jana, Har Shay Se, Apne Aap Se Bhi,
Raat Dhal Aayi Hai,
Roz Hi Dhal Aati Hai...

Ujaad De Mere Dilki Duniya Sakoon Ko Mere Tabah Kar De



Ujaad De Mere Dilki Duniya Sakoon Ko Mere Tabah Kar De,
Magar Meri Iltija Hai Tujhse, Idhar Bhi Apni Nigah Kar De,

Tumhe Khabar Ho Ke Na Ho Shayad Tumhari Anakhon Mein Wo Asar Hai,
Jo Taigh-O-Khanjar Na Kar Sakenge, Wo Kaam Teri Nigah Kar De,

Suhaani Raaton Ki Chandni Mein Kabhi Na Tum Benaqab Aana,
Main Dilpe Qaboo To Rakh Sakhunga, Nigah Shayad Gunah Kar De,

Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha Mujhi Mein Reh Kar Mujhi Se Parda,
Tabah Karna Agar Hai Mujhko To Naqab Utha Aur Tabah Kar De,

Ujaad De Mere Dilki Duniya Sakoon Ko Mere Tabah Kar De,
Magar Meri Iltija Hai Tujhse, Idhar Bhi Apni Nigah Kar De...

Kabhi Socha Hay Hamaray Rishtay Ka Naam Kia Hay


Kabhi Socha Hay
Hamaray Rishtay Ka Naam Kia Hay
Mohabbat, Zarorat, Khowahish, Junoon, Ishq Yah
Woh Rishta Jo
Aasmaan Ka Zameen Say Hay,
Barish Ka Sehra Say Hay,
Haqiqat Ka Khowaaboon Say Hay,
Din Ka Raat Say Hay,
Yeh Kabhi Ak Dosaray Say
Mil Nahi Patay
Lakin Ak Dosaray Kay Bagair Adhooray Bhi Hain
Shayed Easa He Kuch Rishta
Mera Or Tumhara Bhi Hay

Kon Is Raaz Ki Sadyon Purani Kefiyyat Se Aashna Hai


Kon Is Raaz Ki Sadyon Purani Kefiyyat Se Aashna Hai
Ye Mere Charon Taraf Kiyon Ik Sakoot-E- Be - Sada Hai

Main Kis Se Kahon?
Meri Ujhri Howi Aankhon K Khali Roozno K Us Paar Kya Hai?

Khala Hai Yah Sitare Phankti Andhi Hawa Hai?

Kis Pay Khul Saka Hai?
K Jism K Khali Khandron Main Kon Aab Tak Bas Raha Hai?

Tum Mujhe Dekho!
Main Khud Se Darta Hon Shab Ko...

Jab Andhera Bolta Hai...

Dil Ka Sannata Purani Dastano Se Atte Bhaidon Ki Ghirhen Kholta Hai!

Lahoo Ki Aag Se Lat Pat Kawaron Se Ulajhti Hain Meri Cheekhen..
Koi Sunta Nahi Mujh Ko..

Bikharte Toot-Te Khawabon Main Jab Taqseem Hota Hoon...
Koi Sunta Nahi Mujh Ko..

Tou Aisa Hai....

Tum!!

Apni Mekhakti Neend Se Khelo!!
Na Dukh Jhelo!!

Meri Tanhai K Israar Mat Poochoo..

Kahin? Aisa Na Ho K..

Tum Bi Apne Ko Ganwa Baitho...

Mujhe? Sadyon Purani Andhi Hawa K Saath Purasraar Rehne Do..

Mujhe..... Rehne Do

Tum Sey Kitna Peyar ha Dil Men Utar Ke Dekh Lo

 Tum Sey Kitna Peyar ha Dil Men Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aaye Tu Phir Dil Badal Ke Dekh Lo

Ham Ne Apni Har Sanss Per Nam Tera Likh Dia
Ik Tujhy Paany Ki Kahtir Kud Ko Pagal Kar Dia

Ishq Men Tum Bhi Sanam Had Sey Guzar Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Peyar Hai Dil Men Utar Ke Dekh Lo

Jany Kueen Sary Jahan Sey Ho Gia Bekabar
Jab Sey Tum Ankhon Men Aaye Jagty Hai Ye Nazar

Apny Raton Sey Mery Rateen Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Peyar Hai Dil Men Utar Ke Dekh Lo

Mil kar jo na bichrey wo shanasa nahi milta


Mil kar jo na bichrey wo shanasa nahi milta
Chehrey to bohot hain tera chehra nahi milta

Piyasa ho magar dhoop ki chahat hay safar main
Saey main chaloo to mujhey darya nahi milta

Sab aks udhorey hain k sab aaieney jhotey
Zakhmi badan hay or masiha nahi milta

main teri adawat k hunar kis ko bataoo
mujh ko to koi shakhs bhi tujh sa nahi milta

ghar k dar-o dewar hi aaseib zada hain
soraj nazar aata hay ujala nahi milta

sehrah mujhey chahey na samander hi bolaey
main gard-e safar hon mujhey rasta nahi milta

Aao Aapas Main Hum Zindagee Baant Lain


Aao Aapas Main Hum Zindagee Baant Lain
saaray gham baant lain har khushee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain

daal lain reet agar baant lanay kee hum
dugnee ho khushee nisf reh jayen ghum
ashk taqseem kar lain khushee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain

piyaas ka raabta bhee samandar say ho
koee muflis na baahar na andar say ho
jitnee daulat hay ehsaas kee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain

rakhhain buniyaad agar adal kee piyaar kee
kitnee oonchee imaarat ho kirdaar kee
jal uthay roshnee har diya baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain

raastay aik hon manzilain aik hon
mukhtalif log bhee jab milain aik hon
aainay hee naheen zehan bhee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain

nuqraee subh par surmaee shaam par
sab ka haq ho inaayat-e-ayyaam par
haq qadam har nazar har gharee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain

mila or roth kar mujh se bechar gaya



mila or roth kar mujh se bechar gaya
dukh dekar janay kedhar gaya who 

bat bey bat who ghum ho jata tha
appnay app se assa daar gaya tha who 

uassay dawa tha k mujay janta hai
meray dil ke bat hai bekhabar ho gaya who 

who jissay barso jama kiya tha meanay
jhonke se hawa k bekhar gaya who 

jiss nay tarekay se cheni thi roshni
behnaam shair ajj subha MAR gaya who.........!

isay raysham na tum samjho na is ki doar mein uljho


isay raysham na tum samjho
na is ki doar mein uljho
bohat nazak si kali hay
isay mehsoos kar dekho
baharon say khazan tak ka safar janti hay yah
isay kooza na tum samjho
isay qatra na tum samjho
samandar ki shakal hay yah
bohat purzor mojein hein
kabi ko josh mein ahay
chatanon ko takrana janti hay yah
isay lamha na tum samjho
isay akhir na tum samjho
azal say yah ubad tak hay
kabi yah mar nahi sakti
dhohan ban kar phir lamhoon mein simatna janti hay yah

Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai


Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai

Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai

Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat Ki Hai

Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya He Khush Bukhti
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai

Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai

Khood Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai
Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadaat Ki Hai

Popular Posts