Monday, July 26, 2010

shaiKh saahab se rasm-o-raah na ki



shaiKh saahab se rasm-o-raah na ki
shukr hai zindagii tabaah na kii

tujh ko dekhaa to ser-e-chashm hue
tujh ko chaahaa to aur chaah na ki

tere dast-e-sitam kaa ajz nahii.n
dil hii kaafir thaa jis ne aah na ki

the shab-e-hijr kaam aur bahut
ham ne fikr-e-dil-e-tabaah na ki

kaun qaatil bachaa hai shahar me.n 'Faiz'
jis se yaaro.n ne rasm-o-raah na ki

No comments:

Popular Posts