Shagaf nahi tha zara b mujhe perhanay main
magar wo rooz sar e sham us ka aa jana
kitab le ke mere samnay bahanay se
koi too soch thi jo sochti wo rehti thi
jhuka ke sir ko mere pass aa ke kehti thi
kai sawal samjhnay hain aap se main nay
na hoo ke aap mujhe lajawab hi ker dain
meri nigah ko pamal e khawab hi ker dain
haseen aankhon main wo aarzoo ke doray thay
wo us ke gaal thay ya khoon ke katooray thay
paseena tha ka tapakta tha us ke pathay se
nigahain ashk e haya se bhari bhari us ki
wafoor e sharm se wo hont kapkapatay thay
qadam zamee-n pe jo dharti too larkharatay hoay
kitab mujh ko thama ker wo samnay baithi
thamai mujh ko laboon se nikal ker pencil
nahitha farq kitaab aur us ke cheray main
main us ko dekhta aur dekhta hi reh gia tha
wo us ka dast e gulabi warq palat-ta hoa
wo aanchal us ka mere samnay sarakta hoa
haroof bhi meri nadanion pe hastay thay
wo apnay seenay se note book hata leti
ik aarzoo meri aaghoosh main lata deti
khala main taktay hoay rukh jab us nay moora tha
khamosh tha main usi nay sakoot tora tha
hisaab aap ko aata nahi ye janti hon main
sawal chorainkoi shair hi karain tehreer
yehi hai mera assasa yahi meri taqdeer
main us ki batoon ki gehraian samjta tha
sawad e bazm main tanhaian samjhta tha
qalam, kitab sabhi main nay us ko lootaya
ke jaise paishkash e aaroo ko thukraya
chali gai wo kisi khawab e khoobroo ki tarah
kai baras hoay is ko
main us ko yaad b kerta hoon aur sochta hoon
hazaa shair ki aik ghazal likhon us per
mainapnay yaad khazanay fida karon us per
jo sochta hoon too dil se jawab aata hai
usay too mujh se ziada hisaab aata hai