yeh baja k husn hi husn hai meray gird o paish magar nahien
teri aarzoo kii hadood mein kisii aarzoo ka guzar nahien
wo kaleem thay jo behal gye teri barq zair e naqaab say
jo tajaliyon say ho mutmain wo mera mazaaq e nazar nahien
yeh khyal e kham na kar kabhi k ghulam e waqt hai aadmii
teri zindgii kii bulandiyaan yeh nazam e shams o qmar nahien
yeh baja k deer o haram mein hain teri azmaton kii alamatien
meray dil ko apna yaqeen dila mujhay aitbar e nazar nahien
yeh maraqbay yeh makashfay yeh mujhahaday yeh majadalay
teri manzilien hain yeh waqa’ii k mujhey shaoor e safar nahien
yeh hajoom e lala chaman chaman yeh ghata mein barq ka bankpan
ho sajood e shoaq mein rukh kidher teri jalwa gaah kidher nahien
meri justajoo kii rasaiyaan hain teray hadood e jamal tak
mujhay do jhaan say gharaz hii kya meri do jhaan pay nazar nahien
meray sajda haaye dil o nazar, hain kharab kab say idher udher
mujhay is qdar to pata chalay k kidher hain aap kidher nahien
yeh qyaam gaah ka hai asar k maal par bhi nazar nahien
hai safar ka waqt qareeb tar magar ikhtmam e safar nahien
mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
teri aarzoo ka kamal hai , meri shairy ka hunar nahien
yeh chaman yeh danish e be-nawa jo ghira hai abr sharar fishan
kisi samrii ka hai shobda yeh sehar to merii sehar nahien