Friday, August 23, 2013

wo khushboo bhejha kerti thi main nazmein likhta rehta tha


wo khushboo bhejha kerti thi main nazmein likhta rehta tha
wo hass ke ujaala kerti thi , main subhein likhta rehta tha

geeli rait pe sahil ki doobtay sooraj ke hamraah
wo chup si chalti rehti thi, main sochein likhta rehta tha

deep wafa ke hotay thay ya shayad 2 taaray thay
wo mujh ko dekha kerti thi main aankhein likhta rehta tha

tapti dhoop ka rung bhi to phoolon sa ho jata tha
wo zulfen khola kerti thi main shaamein likhta rehta tha

toot ker aksar chahat mein, rooth ker yunhi ulfat mein
wo mujh ko jeeta kerti thi main maatein likhta rehta tha

misl-e-khoon wo rag rag mein ban ke zeesht hi behti thi
mere jeenay ki wo wajah thi main saansein likhta rehta tha

dono ki pehli chahat thi, dono toot ke miltay thay
wo waaday kerti rehti thi main qasmein likhta rehta tha

rasm-e-dunia ne aakhir hum ko bhatka dena tha
wo manzil dhoonda kerti thi, main raahein likhta rehta tha

chand din jab aa thehray thay uski meri judai mein
main uske haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha

jaa'n se pyaray se shikwa khud ko ruswa kerna tha
main apnay honton pe chup ki bus mohrein likhta rehta tha

din mein dard ki shidat ko hass ker main seh jata tha
per bin uskay jo kat'ti thi wo raatein likhta rehta tha

guzri yaad ke sab lamhay dil ko cheer ke rakhtay thay
main gumnaami ke sehra mein haan ghaatein likhta rehta tha

uss bin mann ka aangan phir khaali khaali rehta tha
main tanhai ke haathon per aah maatein likhta rehta tha

dasht-e-wafa mein basnay ka dekh haasil aey Sehranaward
main yaadein likhta rehta hoon, main yaadein likhta rehta tha

dard-e-gham ka badaa andhera tha

dard-e-gham ka badaa andhera tha
par nazar meiN kisi ka chehra tha.

un ki tabeer aur kya hoti
khwaab jo bhi tha wo adhoora tha.

aaNkheN jaise ghazal ke do misre
ik saraapa kitaab jaisa tha.

gaaoN ke ghar to chhote the lekin
chand chhat se dikhaaii deta tha.

un ke chehre kabhi na yuN bheege
koii phooloN se mil ke roya tha.

chhoR kar wo mujhe kahaaN jata
wo bhi meri tarah akela tha.

koii aawaz aa rahi thi ‘nizam’
mud ke dekha to apnaa saya tha.

mainne to aisa koi manzar kabhi dekha na tha

mainne to aisa koi manzar kabhi dekha na tha
din dhalaa jata tha aur saya koii lambaa na tha.

phir to us ke saamne jaise koii rastaa na tha
jeetne wala kabhi yuN hauslaa hara na tha.

log to kehte the lekin maiN bhi to aNdha na tha
maiNne khud dekha hai mere dhaR p’ bhi chehra na tha.

rokna chaha tha maiNne wo bhi ruk jata magar
ek jhoNka tha hawaa ka wo thehar saktaa na tha.

kitne hi kachche ghaRe lehroN ko yaad aane lage
sahiloN ke hoNtoN par aisa kabhi noha na tha

god meiN maaNoN ki bachche raat bhar rote rahe
paas pootoNwaliyoN ke kya koii kissa na tha.

raaste mein wo mila acha lagaa

raaste mein wo mila acha lagaa
soona-soona raasta acha lagaa.

us ne jane kya kahaa acha lagaa
bade-muddat aaiina acha lagaa.

us ne jane kya kahaa acha lagaa
rukte-rukte bolna acha lagaa.

kitne shikve the mujhe taqdeer se
aaj qismat ka likha acha lagaa.

mujh meiN kya hai mujh ko kab maloom hai
wo hi jane usko kya acha lagaa.

us ki surat se lagaa mujh ko ‘nizam’
us ko mera dekhna acha lagaa.

pattiyan ho gayi hari dekho

pattiyan ho gayi hari dekho
khud se baahar bhi to kabhi dekho.

phir khili kya koii kali dekho
shor hai kyuN gali-gali dekho.

yaad aur yaad ko bhulane meiN
umr kii fasl kat gaii dekho.

raat kii raakh muNh p’ mal-mal kar
subah kitni saNvar gai dekho.

subah kii fikr baad meiN karna
raat kitni guzar gaii dekho.

zindagi kis tarah tumhari ‘nizam’
uljhanoN se ulajh gaii dekho.

dareecha raah koi dekhta hai

dareecha raah koi dekhta hai
diya dehleez par bujhta hua hai.

na manzil hai na koi naqshe-pa hai
yahaN to faslaa hi faslaa hai.

humare sath kya-kya ho gayaa hai
mila tum se to andaza hua hai.

zamane bhar ko rusva karne wala
meri khatir bahut rusva hua hai.

banaUNga maiN us se kya bahane
wo mere sab bahane jaanta hai.

zara-si baat thi tera bichhadna
zara-si baat se kya ho gayaa hai.

kisi ki zindagi hum jii rahe haiN
humari maut koi mar rahaa hai.

jane kaisa shehr tha ghar mein bhi dar baqi rahaa

jane kaisa shehr tha ghar mein bhi dar baqi rahaa
roshni to chhup gaii saya magar baqi rahaa.

ek ik ghar shehr ka behta gayaa sailab meiN
jane aisa kya tha usmeiN uska ghar baqi rahaa.

tod kar sare talluk jab juda donoN huye
beech meiN kaise na jane ik agar baqi rahaa.

sar to neze par rahaa aur dharr mila ja dhool se
ek qatraa khoon ka bas khak par baqi rahaa.

mashwraa ab kya karein, aksar hua aisa ‘nizam’
raaste sab chuk gaye, lekin safar baqi rahaa.

Apni palkein wo band rakhta hai

Apni palkein wo band rakhta hai
jane kaisii pasand rakhta hai.

khud ko kehta hai aasmaaN paima
kitni ochhii kamand rakhta hai.

mara jayega dekhna ik din
kyuN dile-dardmand rakhta hai.

saath wale khfaa, khtaa ye hai
kyuN iraade buland rakhta hai.

dhoop se samna na ho jaye
ghar ke darwaze band rakhta hai.

Deewaro-dar khamosh dareecon pyaas hai

Deewaro-dar khmosh dareecon pyaas hai
kya jane shehr kisliye itnaa udaas hai.

bichhde huoN ki yaad kahiN aas-paas hai
barish ki pehli sham ka manzar udaas hai.

un ki kise khabar hai pataa kis se poochhiye
bichhde huoN ki yaad yahaaN kiske paas hai.

is soch meiN khadaa huN, use kya jawaab duN
wo mujh se poochhta hai ki tu kyuN udaas hai.

ab ke baras bhi wo to subaksar hi jayega
saawan se kya bujhegi wo sehra ki pyaas hai.

lagtaa hai jaNgaloN ki zamiN par basi hai wo
basti meiN itna kisliye khaufo-hiraas hai.

barish ne jate-jate palat kar kahaa ‘nizam’
teri ye umr hai ki sulgatii kapaas hai.

Wahi na milne ka gham aur wahi gila hoga

Wahi na milne ka gham aur wahi gila hoga
maiN jaanta huN mujhe us ne kya likha hoga.

kivaadoN par likhi abjad gavaahii deti hai
wo haftraNgii kahiN chak dhuNdhta hoga.

purane waqtoN ka hai qasr zindagi meri
tumhara naam bhi us meiN kahiN likha hoga.

chubhan ye peeth meiN kaisi hai, mud ke dekh to le
kahiN koii tujhe peechhe se dekhta hoga.

gali ke mod se ghar tak andhera kyuN hai ‘nizam’
chiragh yaad ka us ne bujha diya hoga.

Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de

Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
Bekhauf koii raasta chalne ke liye de.

AaNkhoN ko ataa khwaab kiye shukriya, lekin
Paikar bhi koii khwaaboN mein dhalne ke liye de.

Pani ka hi paikar kisi parbat ko ataa kar
Ik booNd hi naddi ko uchhlane ke liye de.

Sahmi hui shakhoN ko zara-si, koi muhlat
Sooraj ki savari ko nigalne ke liye de.

Sab waqt ki deewaar se sir phod rahe hain
Rozan hi koi bhag nikalne ke liye de.

Sailab mein sa_at ki mujhe phenkne wale
Toota hua ik pal hi sambhalne ke liye de.

Mehfooz jo tarteebe-anasir se hain asrar
To khol ko ik aaNch pighalne ke liye de.

Takh_iil ko takhleeq ki taufeeq ataa kar
Phir pehlU se ik cheez nikalne ke liye de.

Chamakti dhoop ko aanchal bana sako tau kaho

Chamakti dhoop ko aanchal bana sako tau kaho
 Kiran kiran ko jo sheetal bana sako tau kaho

Tere laboN pe hay sehraa ki gard ki chaadar
 Jo meri aankh ko chhaagal bana sako tau kaho

Ye aarzu hay keh Khshbu hisaar ho maira
 Joapni baaNhoN ko saNdal bana sako tau kaho

MaiN naNgay paaoN kiye jaaooN kirchiyoN pe safar
 Jo raasta mera maKhmal bana sako tau kaho

Zra si lau hay jo is aarzu kay jugnu ki
 Isi ki lau se jo mash'al bana sako tau kaho

Jo umr bhar ki shnasaai se nahiN mailta
 MuhabatoN se woh ik pal bana sako tau kaho

Ujaal day dar-o-diwaar noor ki baarish
 Agar sitaaroN ka baadal bana sako tau kaho

Hain sehmi sehmi si jo muskuraahataiN mairi
 Kisi tarah inhaiN chaNchal bana sako tau kaho

Ye taiz dhoop badan ko na kaat kay rakh day
 Mere khuloos ko peepal bana sako tau kaho

Saja lo saans maiN khush surKh WARD ki khushbu
Syaah WARD ko kaajal bana sako tau kaho

Hawaa se phir koi khushbu nayi kasheed karain

Hawaa se phir koi khushbu nayi kasheed karain
 Nayi rutoN kay liye taazgi kasheed karain

Umid ki koi koNpal kabhi na murjhaaye
 KhizaaN raseeda shajar se nami kasheed karain

 Tamaam aablay kaaNtoN se chhaid hi daalain
 Par aik lamha ko aasoodgi kasheed karain

 Wo sab hawaalay jo dil maiN mere dhaRkte hai
 Ab un se kaisay hawaalaa koi kasheed karain

 Kabhi tau jugnu ki soorat andhairi raatoN main
 Safar ko khwab karaiN roshni kasheed karain

 Kanaar-e-bahr-e-khyaal-e-hajoom-e-mauj-e-rawaan
 Sha'oor-e-raig se kuch aagahi kasheed karain

NikhaaraiN WARD kay pehlu maiN mosim-e-dil ko
 Mahak churaayeN tau raNgat kabhi kasheed karain

Justaju ka diya jala phir se

Justaju ka diya jala phir se
 Ishq ko raahbar bana phir se

Bandagi ki kar ibtida phir se
Rahm ki ho gi intiha phir se

Haath uTha behr-e-iltijaa phir se
Daikh karta hay kya khuda phir se

Jaada-e-justaju-e-hasti maiN
Shauq-e-Khwabida ko jagaa phir se

Phir se tum sarfraaz ho jaao
Lau agar us ka aasraa phir se

Tujh se jaldi wo aaye ga hamdam
Us ki jaanib qadam baRha phir se

Us ki rahmat se us ki rhmat se
jauR le apna silsila phir se

Kaamraani tera Muqadar hay
Alam islaam ka uTha phir se

Kufr ki sarzamin-e-teera ko
Noor-e-eemaaN se jagmagaa phir se

AayataiN jo nabi pe utri theeN
behr-e-tajdeed wo suna phir se

Wo haiN maujood dar rukh-e-quraaN
Kijiye apna tazkiya phir se

Phir ataa hoN gi hikmataiN tujh ko
PaRh kitaab-e-hudaa numaa phir se

Soorat-ul-faatehaa ki soorat maiN
DhoonD manzil ka raasta phir se

Deen ki Ittebaa'e kar kay samajh
Apni hasti ka falsafaa phir se

Haath maiN le kay sunat-o-quraaN
Apni manzil pe laut aa phir se

Zaawiye sainkroN haiN hasti kay
Chaahiye tujhko qaaimaa phir se

Sar uTha kar chalo gay duniya maiN
Us kay haaN sar agar jhukaa phir se

Deen apna hay har zamaanay ka
Az amal de ye indiyaa phir se

Deen-e-amn-o-sakooN ki da'ewat de
Koo ba koo aur jaa ba jaa phir se

Baagh-e-taybaa se joR de yaa rab
WARD-o-laala ka sislsila phir se

WARD IQBAL par jo Thahraa tha
Chal paRa aaj qafila phir se

Harf-e-tauba hamain sikha phir se

Harf-e-tauba hamain sikha phir se
HamaiN dikhla rah-e-hudaa phir se

Lay kar apni panaah maiN yaa rab
HamaiN shaitaan se bachaa phir se

Phir sunaa de hamaiN naveed-e-bahisht
Naar-e-dozaKh se bhi draa phir se

Ham bhataknay lage haiN dikhla day
Ae khuda seedha raasta phir se

Apnay Ghaiz-o-Ghazab se kar mahroom
HamaiN inaam ho ataa phir se

Jaisay ki thi mere bazurgoN ki
Kar qabool aise hi dua phir se

Shaamil-e-haal ho agar mehnat
NaKhl-e-ummid ho haraa phir se

Ae khuda kar koi sabab aisa
Jal uThay deep aas ka phir se

Fikr taaza ho jis ki Khushbu se
WARD gulshan maiN wo khila phir se

Aalmi bank kay mulaazim ko phir wazaarat mili khazaanay ki

Aalmi bank kay mulaazim ko phir wazaarat mili khazaanay ki
Door se hukmraaniyaaN haoN gi, kya zaroorat hay un ko aanay ki

Tail ki qeemataiN baRhaayeN ge, sharh-e-afraat-e-zar baRhay tau baRhay
Oxygen pe tax lag jaaye hay zaroorat unhaiN bahaanay ki

Laug soye haiN Khwaab-e-Ghaflat maiN, Din dehaaRay yahaaN paraiN shab KhooN
Koi uftaad bhaij de maula, hay zaroorat inhaiN jagaanay gi

Qaum ki ijtimaai kotaahi waqt karta nahiN moaaf kabhi
Sar jhukaaya hay kiyuN jawaaN mardo ye ghaRi tau hay sar uthaanay ki

Ban kay hamdard paas baiThay haiN,meer jaefar bhi meer saadiq bhi
DushmanoN ne hisaar khaincha hay,Khair ho WARD aashiyaanay ki

Aanchal se mera khoon utarta bhi tau kaisay

Aanchal se mera khoon utarta bhi tau kaisay
Wo kar kay mujhay qatl mukarta bhi tau kaisay

YaadoN ki hawaa aankh se takra kay jo guzri
Baadal ne barasna tha thahartaa bhi tau kaisay

Jo waqt kay saath aur bhi ho jaata hay Gehra
Wo zakhm-e-nehaaN waqt se bharta bhi tau kaisay

ShaakhoN maiN meri Ashk bahaaroN ne piroye
Phir aisi bahaaroN pe maiN marta bhi tau kaisay

Ambar bhi bhula daita hay TooTay huway taaray
MaiN kya hooN mujhay yaad wo karta bhi tau kaisay

NaadaaN thay hameeN sar pe kafan baandh kay aaye
Fahmida tha wo jaaN se guzarta bhi tau kaisay

Jo WARD rha fasl-e-khizaaN maiN bhi shagufta
wo baad-e-bahaari se bikharta bhi tau kaisay

Nigaah-e-naaz ka gar intikhaab ho jaaon

Nigaah-e-naaz ka gar intiKhaab ho jaaon
 syaah zulf maiN saj kar gulaab ho jaaon

 Ho is tarah se bhi chashm-e-tamaash beeN hairaan
 Tu aik chehra bane main naqaab ho jaaon

MaiN lams-e-dast-e-haseeN har ghaRi karooN mahsoos
 Jo tairay haath rahay wo kitaab ho jaaon

Tu misl-e-noor jo ho jaaye mun'akis mujh par
 Shab-e-Chahaar daham maahtaan ho jaaon

Mera khuloos tere dil pe mukashif ho jaaye
 Har ik sawaal-e-Khafi ka jwaab ho jaaon

DiloN maiN raah bnaata hay aarzu ka safar
 MaiN is safar maiN tere ham raqaab ho jaaon!

MaiN WARD-e-ehd-e-khizaaN, or tu shabnam-e-taaza
 Jo mujh pe barso tau rashk-e-shabaab ho jaaon

Khaama ko bhigoti rahi ehsaas ki baarish

Khaama ko bhigoti rahi ehsaas ki baarish
Qirtaas pe hoti huwi akkaas ki baarish

 Boondoon ko tarasti rahi is shehr ki matti
 Rukne pe nahi aayi wo ban baas ki baarish

Hairat k falak par rahe afkaar kay badal
 Izhaar k honton pe rahi pyaas ki baarish

Kuch bhaap uthi yaas kay dariyaa se achaanak
 Khwaabon ki hawaaon se huwi aas ki baarish

 Mahdood rahi un ki zameen apni Gharaz tak
 hoti rahi in aankhon iKhlaas ki baarish

 Aankhon main utar jaaye hay! saanson main basay hay!
 Komal hai bohat WARD hasin baas ki baarish

Tere lehje pe chaayi rut hai barfaani Nahi jaati

Tere lehje pe chaayi rut hai barfaani Nahi jaati
 Tabhi chaahat ki waadi se bhi sunsaani nahi jaati

Tere Mas'hoor lafzoN ne meri palkoN pe jo rakhkhay
 Ab in palkoN se un khwaabooN ki taabaani nahi jaati

HawaayeN taiz haiN aanchal ka pallu daikhti rehna!
 Keh kaanToN ki chaman maiN bhi prehsni nahi jaati

Jo machli phaiNk di daryaa ki lehroN ne kinaare par
 TaRapti hay magar phir daikhnay paani nai jaati

Bhalay dushwaar hoN raahaiN hawaayeN bhi mukhalif hoN
 Muhabbat se kisi soorat khush imkaani nahi jaati

Har ik din unginat jazboN ko dil maiN dafn karta hooN
 Ghazal se phir bhi jazboN ki faraawaani nahi jaati

 HazaaroN raNg maiN malboos daikha jaan-e-jaan ham ne
 Tere shaanoN se laikin ik chunar dhaani nahi jaati

 Sharaab-e-talkhi-e-haalaat pi lainay se mushkil main
 "Bohat jaani huwi soorat bhi pehchaani nahi jaati"

Utar jaati hay jin saaNsoN se khushbu WARD ki dil maiN
 wohaaN khushbu teri bhi raat ki raani nahi jaati

Yaqeen Abhaam hona chahta hai

Yaqeen Abhaam hona chahta hai
JunooN gumnam hona chahta hai

Abhi tak tha dabi sergoshiyon mein
Wo ab paigham hona chahta hai

Bujha ker sab sham’on ko aagahi ki
Andhera aam hona chahta hai

Ponhach ke saamney manzil ke apni
Koi Nakam Hona chahta hai

Tere hontowN ko chu ker bey khudi mein
Piayala jam hona chahta hai

Teri zulfoN ki resham bandishoN mein
Ye wehshi raam hona chahta hai

Tamaashey ka naye baazigaron ke
Bas ab anjam hona chahta hai

Ayaan ker ke jigar ke daagh apney
Qamar badnam hona chahta hai

Be wafa koi nahi hai Ba wafa koi Nahi

Be wafa koi nahi hai Ba wafa koi  Nahi  
Aashqi aur husn meiN ab waasta koi  Nahi  

Ishq Bhi Sood-o ZiyaaN ko dekh ker hota hay ab
Ter ker kachey gharey per doobta Koi  Nahi  

Log HaiN Bey mehr ya rasm-e gadaai na rahi
shehr ki galiyon mein jaaney kyuN gadaa koi Nahi

Na rasaai ka wo aalam hay ke ehl-e derd ke
Haath Phailey haiN magar lab pe dua koi Nahi

Tangiy-e haalat meiN kaisey badal jaatey haiN log
 Jaantey haiN sab magar pehchaanta koi Nahi

Bik gayee gherat watan ki kab kisi bazaar meiN
dukhtar-e millat ke ser pe kyuN ridaa koi Nahi  

Dhar khanjar ki shansa, teer bhi maanoos sey
haiN sabhi apney yahaN per doosra koi Nahi

Dekh ker zulm-o sitam nazreN chura letey haiN log
sab zubaaN rakhtey haiN lekin Bolta Koi Nahi  

Kha gaya dil ko jigar ko reza reza ker gaya
derd aisa hay Qamar jis ki dawa koi Nahi

Bharay saagar mein mojon ko kinara chahiye koi

Bharay saagar mein mojon ko kinara chahiye koi
Meri pur'ashk aankhon ko nazara chaiye koi

tere dar pe jo aa aa ker yun wapas loat jatay hein
teri jaanib se hum ko bhi ishara chahiye koi

kaho tum kon ho pyaray! kahan se loat aaye ho
baray bejaan dikhtay ho, sahara chahiye koi ?

tujhe sheher-e-wafa mein to koi faateh nahi milna
wagarna hum to haazir hein, jo haara chahiye koi

tujhe yun bhi hai rakha yaad ke mere udv ko lamha
teri her yaad se ghaafil, guzara chahiye koi

mera dil tukray tukray hai idher sham-e-alam tu aa
tujhe bhi to hawadas ka hi maara chahiye koi

abhi hon taaq mein rakh ker sabhi khushiyaa'n hi muntazir
manao'n ga jashan main bhi, pyara chahiye koi

ajab dil mein hai moajzan kuch din se parayee yaad
humen phir dard ik shayad udhara chahiye koi

main apnay dil se ger poochon madawa-e-zakhm hai kya?
to ziddi dil ye kehta hai, dobara chahiye koi

beyaa'n kerti hein dil ka dard meri ye laal si aankhen
mera her ashk kehta hai ke chaara chahiye koi

nahi inn chaand taaro'n se mujhe SehraNaward matlab
mujhe to abb muqadar ka sitara chahiye koi

Dastaan-e-kull

"JUDAIYAA'N"
**DASTAAN-E-KULL**


Chupa deta main kisi taaq mein,
kisi khaana-e-daraz mein'
ya lapaitt ker oaraaq mein
milla deta kisi khaak mein;
jo hota ayaa'n to na kholta!
ke ye meri kitaab-e-zindagi
ba'unwaan-e-haasil-e-dil'lagi
anjaam-e-aashiqi warq warq
liye muntazir hai dard-o-karb'
jo hota gumaa'n to ye sochta!
ke mere bakht-e-sitam saaz ne
jo kiya tha darjj naseeb mein
sab raqm jis kitaab mein
kiyo'n laggi wohi , mere haath mein!!
per dard-o-ghum ki ghaat ka
mujhe ilm tha na aagahi
so ik ada-e-saadgi
se mein ne kitaab-e-zeest ko
khush khayal lamho'n mein
waqt waqt rok rok khola....
pehlay safhay pe khush rung-o-khush'numa andaz se
ik "lafz-e-roshan" tha likha;
ye lafz shanasa tha wohi
jo rawaa'n tha her her ragg mein hi
jissay harf harf sar-e-loh-e-jaa'n
parha tha dil-e-zaar ne
ussi lafz-e-saya dar ne'
kuch maani diye giraftt mein
phir rakha ta'umer hisaar mein!
ussi lafz-e-kull ki qeemate'n;
(wohi lafz yani "mohabbate'n")
na kisi aadaad-o-shumaar mein
palta jo warq aur ik ....
to darjj thi wohi qeemate'n
jin qeemato'n ki madd mein hi
mere roz-o-shab sab qaid thay;
baqi oaraaq kitaab ke...
ya siyaah thay.. ya sufaid thay!!
main kaatib-e-taqdeer ke
insaaf pe hairaan tha'
meri aankh ashkbar thi.. mera jism be'jaan tha'

ussi aalim-e-hairangi-o-aalim-e-pur'soz mein
junhi kitaab band ki;
to ik lafz aur darjj tha...
ye "lafz-e-siyaah" to azal se
zehan-o-dil pe naqsh tha'
meri hayyat to goya
2 lafzo'n ka qarz tha'
wo jo eik sar-e-pushtt tha.. wo jo eik sar-e-warq tha!
mujh per naseeb-e-zeest ka
andha sa her ik faisla
abb misl-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkar tha'
main naqsh'ba'deewar tha;;
so 2 lafzo'n pe mushtamil
korii kitaab-e-zeest ko
sar-e-taaq chup se rakh diya!
ke shaam ke anjaam se
sehar ke aaghaz tak
zeest se ajal ki
aakhri aawaz tak''''
darooney-o-bairoonay zaat
door tak pheli huyee...
ayaa'n thi'n mujh pe abb sabhi
bakhtt ki siyahiyaa'n;
sar-e-warq sabtt "mohabbate'n"
sar-e-pushtt likha tha "judaiyaa'n!!"

Tere sheher ki barkha rutt mein hum jo bheegay yaad rahay ga

Tere sheher ki barkha rutt mein,hum jo bheegay,yaad rahay ga
Bheegi shaam mein rim jhim baaten, hum jo doobay,yaad rahay ga

Teri khatir aankhon ko to rasta takna bhaya tha
Soonay bench pe pair ke neechay,tujh sung bethay,yaad rahay ga

Phool le janay ka wo irada acha hi tha tark kia tha
Tum thay phoolon se bhi zayada, mehkay mehkay,yaad rahay ga

Barish baad phoolon ka her ik manzir kitna nikhra tha
Bilkul waisay jaisay tere, Ujlay kapray,yaad rahay ga

kuch pak ki khamoshi ko phir kitnay pyar se khola tha
Jaisay lehar sahil ko choo ley,tum yun bolay,yaad rahay ga

Teri hassi ke ujlay pan mein hum aisay mehsoor huye thay
Saans ka jalna, talkhiye doraa'n, jo kuch bhoolay,yaad rahay ga

Tum se khafa tha wo shayad ik ja jo nahi takta tha
Apnay hi aanchal ke haato'n tum thay uljhay,yaad rahay ga

Main ne pehli baar tumhen yun itnay pyar se dekha tha
Jis pal tum baalo'n se apnay,hass ker khelay,yaad rahay ga

Tere mann mein basnay wali dunia kitni dilkash thi
Teri jheel si aankhon ke paar,hum jo utray,yaad rahay ga

Bhar ker tujh ko aankhon mein to aankhen ban ker daalen thi
Mann mein phir thay deep jalay, jaanay kitnay,yaad rahay ga

Jeewan ke kuch band dareechay hum per pehli bar khulay thay
Sehra mann pe abar ki soorat,tum thay barsay,yaad rahay ga

Hum bhi mann ki sari baaten tum se kehna chahtay thay
Tum ne bhi to pal mein kitnay moozu badlay, yaad rahay ga

Tum sung kuch pal chalnay ki bhi apni eik tamana thi
Tum anjaan se bethay thay aur hum thay tarsay,yaad rahay ga

Mujh mein sab kuch tera hai phir se ik khayal aaya tha
Tujh se mil ker shair jo hum ne , phir se likhay,yaad rahay ga

Meri laal bujhi aankhon mein iss darja veerani kyun?
Tum ne poocha aur aankhon mein, taaray chamkay,yaad rahay ga

Teri nazar mein door kahee'n ik doori ka bhi sehra tha
Hum ne bhi mohtaat nazar se,dekhay sapnay,yaad rahay ga

Tere dehaan mein behtay behtay kitna door aa niklay thay
Tum ne janay kya poocha tha,jo hum chonkay,yaad rahay ga

Apnay bholay pan pe mann mein kitni deir hi hasta tha
Tum ne kaha ishq dard,aziyat, hum kuch samjhay,yaad rahay ga

Ik dam se hi baaton mein yun ziker-e-judai aaya tha
Main ne tarap ke "acha" kaha aur,tum thay paltay,yaad rahay ga

Bebas meri aankhon ko to kab tak yaqee'n na aaya tha
Jab tak tu oojhal na hua tha,hum thay taktay ,yaad rahay ga

Shaakh ke 2 sookhay se pattay qadmo'n se aa liptay thay
Door falak pe dekha tha 2, taaray tootay, yaad rahay ga

Sooni raah pe tanha tanha dekh ke dil hairaan hua tha
Main ne hass ke dil se kaha tha,phir se bichray,yaad rahay ga

Umeed-e-wasl ki aahat se

Umeed-e-wasl ki aahat se hum
mann ke band dareechon ko
khol ke bohat hi narmi se
tere milan ki aas mein raqsaa'n
kitnay hi khush'kun lamhay
le ker apnay haato'n mein
ban mein ik jugnu ki tarah
tere sheher mein pohanchay thay ;

Sehra-e-imkaa'n mein yun to
kitnay khadshay bastay thay
pyaas ki shidat haavi thi
so kitnay badal barsay thay!!
mann mein hoti barkha ko to
sheher pe barsa dekha tha
mausam mere andar ka.....
bahir aa ker barsa tha,
mujh ko sara aalam rangee'n
dhanak mein bikhra lagta tha
her ja jaisay phool khillay hoon
her ja aisa lagta tha !!

Jiss ko hum ne apna jeewan
rung-e-hayat hi jana tha
tere wasl ka wo lamha bhi
ik din to phir aana tha;
ujli ujli kirno'n si tu
hum se milnay aayee thi
baaten teri khawab ki soorat
aur unn mein gehrai thi
dil ka her ik zakhm to uss din
hum ne bhartay dekha tha
tujh ko apni inn aankhon se
jaadoo kertay dekha tha
Qos-e-Qazah ke rungo'n si tu
mujh ko bikhri lagti thi
sab rung thay phoolo'n jaisay
jin mein khushboo'n basti thi,
tere qurb ki hidat thi aur
mere jazbay pighlay thay
teri khaatir ji lenay key
kitnay pehloo niklay thay !!
pehro'n beth ke hum ne yunhi
ik doojay ko socha tha
shayad haath ki raikhayo'n mein
ik doojay ko khoja tha.....
teri aankh mein janay kitnay
roshan jugnu bastay thay
tere labb ke saath hi dekha
wo jugnu bhi hastay thay'
hastay hastay ik damm se hi
thora tu ghabrai thi
hum ne teri aankh mein jhanka
doori thi ... judai thi !!

Palti tu to saath mein tere
wasl ka sooraj utar gaya tha
jiss lamhay ko jeewan samjhay
wo to pal mein guzer gaya tha'
rabt-e-mausam mujh se tha kuch
aisa gumaa'n hi guzra tha
mann mein mere khaak urri to
her manzir hi dhundla tha....
sara aalam mujh ko to phir
apnay mann sa lagta tha
tez hawa ke jhakkar thay... aur
ghum ka saawan phela tha !!
Barish ke wo badal uss shab
yaad hai! kitna barsay thay
her shay hi sairaab huyee thi
aur hum kitna tarsay thay !!
tere sheher ke ik konay mien
shikasta pa mein hasta tha
barish ke aisay mausam mein
dukh ko kon samajhta tha'
tere sheher ki soorat tu bhi
kitna hi anjaan raha tha
tere sheher ki barkha rutt mein'
ik dil phir veeraan raha tha!

Tere sheher se paltay hum to
saray khawab shikasta thay
hum ne wasl ko haara tha
hijr ke teer pewasta thay'
sheher mein urti khaak ne meri
aankhen sehra ker di thi'n
hum ne apni saari khushiyaa'n
ghum ke haath pe dhar di thi'n
sehra apni aankhon ko bus
ashko'n se hi dhoya tha
mausam mere saath lipat ker
khul ker uss shab roya tha !!

Tere ik dard aagay ghum yun saray choot jatay hein

Tere ik dard aagay ghum yun saray choot jatay hein
Ke sooraj jab ubharta hai to taaray choot jatay hein

main aah,abb jaan jata hoon muqadar aisay bachon ka
ke jin ke haath se aksar, ghubaray choot jatay hein

kaho raah-e-mohabbat mein karri qeemat bhi hai koi
kaha haan iss mohabbat mein, pyaray choot jatay hein

mere haaton se choota hai faqat daaman sabar ka hi
wagarna ishq mein takht-o-haazaaray choot jatay hein

taakeed-e-zabt se pehlay kabhi tum ye bhi socho to
ke kyun ye hoslay aksar hamaray choot jatay hein

phir uske baad kaatib ne faqat likha "judai" aur
yun haaton se m'rey ye haath tumharay choot jatay hein

ik toota shaakh ka patta bari hasrat se kehta hai
ke safr-e-zeest mein aakhir, saharay choot jatay hein

aseer-e-ishq hum thehray humen fikr-e-jahaa'n hi kya
ghum-e-jaana mein to sood-o-khasaray choot jatay hein

meri SehraNaward her shab mein barpa hai toofaan-e-ashk
ke aankhen phoot'ti hein aur kinaray choot jatay hein !!

Sakoot-e-shab main tere baad sadayein bain kerti hein

Sakoot-e-shab main tere baad sadayein bain kerti hein
Baray be'asar hein ye haath, duaye'n bain kerti hein

Mere honton ki khasta chup tujhe aawaaz deti hei
Mere tann ki shikasta sab qabaye'n bain kerti hein

Mere seenay pe zulfo'n ka wo saya phir se lota do
Meri baahe'n hein sooni si, nigahe'n bain kerti hein

Mere ujray se aangan main ajab mela sa lagta hai
Kabhi siski jo tham jaye ,to aahe'n bain kerti hein

Shab-e-daijur mein humse tere dardo'n ne poocha hai
Suna hai sehra-e-dil mein, wafaye'n bain kerti hein

Tere qadmo'n ke boso'n se kabhi aaraasta thi jo
Mere pairo'n ke chaalo'n per wo raahe'n bain kerti hein

Haan jiski aakhri khawahish faqat judai ker di ho
To uss majboor chahat pe sazaye'n bain kerti hein

Meri saanso'n main maatam hai tere jaanay ke manzar ka
Meri dharkan main her lehza, nidaye'n bain kerti hein

Haan jis bhi daur ka inaam kattay maimaar ke haath hon
Jazaye'n khoon roti hein, attaye'n bain kerti hein

Haan jinki Azmato'n ka ziker falak walay sunatay hein
Unhe'n keh do zameeno per wo maye'n bain kerti hein
[8October 2005 ko aaye zalzalay ke pas manzar mein]

Jo hissay mere banti hein mujhe tasleem hein dil sey
Jo mujh se ho nahi paye'n, khataye'n bain kerti hein

Mera dil khoon ro jaye koi manzar nahi hat'ta
Teri aankhen baras jaye'n, ghataye'n bain kerti hein

Meri nakaam chahat ki qabar pe itna likh dena
Seyaah naseeb walo'n per, balaye'n bain kerti hein

Junoon-e-ishq ka haasil, sar-e-aalam hai ruswai
Judai mujh pe hasti hai, wafaye'n bain kerti hein

Sada ye saye'n saye'n ki suno kuch tumse kehti hai
Khizaa'n ki zard her rutt mein, hawaye'n bain kerti hein

Aaj Aisa Kertay Hein..!!

Aaj Aisa Kertay Hein..!!


Be'sada lafzon main
wajeh-e-zindagi keh ker
wasl ki zaroorat per
phir se zor detay hein
Aaj aisa kertay hein
ziker wohi kertay hein
Naam aur detay hein

Zabt ke kinaro'n se
dard aan lipta hai
toot'tay kinaray abb
dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
dard se ulajhtay hein
zabt chor detay hein

taar taar daman ko
khaar khaar raaho'n main
ranjishe'n bhula ke hum
aa ke jor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Hum nahi palat'tay hein
raah mor detay hein...!!

sabz sabz mausam main
laal laal aankhon ke
khawab ki raggo'n se hum
khoo'n nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
ye bhi ker guzartay hein
khawab tor detay hein..!!

aa ke abb duao'n ko
maatmi ridao'n main
phir se ker ke alwidah
moqa aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
daria main utartay hein
rabb pe chor detay hein!!

tum ger udaas ho

tum ger udaas ho
to mera bhi damm nikalta hai
khud ko tarpa ker
na mujh ko tarpaya kero
jala ke chiragh-e-jaa'n
aandhiyon ke muqabil
khud ko
yun to na aazmaya kero
raat hoti hai
sonay ke liye
raat aankhon mein
to na bitaya kero
SUNO CHANDA!!
SO JAYA KARO___!!

aaj aakhri shab hai aaj faisla ho ga

aaj aakhri shab hai aaj faisla ho ga
pehlay milnay aata hai tu ya meri qaza

Hasrat ke robaroo kabhi tamasha bhi dekho'n

Hasrat ke robaroo kabhi tamasha bhi dekho'n
khud ko dariya aur tujhe pyasa bhi dekho'n

teri aankhon ke par utray mere naam ka tara
kash inn ankhon se ik din aisa bhi dekho'n

pathar ki chot ka ghum na hota mujhe leken
main to bher main shamil shanasa bhi dekho'n

bujhti si dekhta hon abb apni zindagani bhi
doobti nazro'n se reh reh darwaza bhi dekho'n

uss ankh ki gehraiya'n doboye'n gi na mujhe
kitna bar'aks abb apna andaza bhi dekhon

wo mayal ba sitam sahi, chor doo'n ussay kaisay
mohabbat ko ager dekho'n to taqaza bhi dekho'n

ye kis zalim ne liya phir sar-e-bazm naam-e-ulfat
ke bhartay zakmo'n ko abb taza bhi dekho'n

mere kaasa-e-wafa main teri jafao'n ke pathar
kabhi dekho'n teri aata kabhi kasa bhi dekho'n

yun bhi ashk muqadar veeraa'n aankhon ke huye
dil si shay ko jab main hasa hasa bhi dekho'n

loat leti hein yaade'n mana ye sach hai leiken
inhi yaado'n ko umar ka asasa bhi dekhon

honto'n ka ye tabasum kaisay haqeeqat jaan loo'n
ik dard teri baato'n main daba sa bhi dekho'n

sar-e-rah takrana nazer ik aam hadsa leiken
ik aam hadsay ka asar khasa bhi dekho'n

sun ke daastaa'n meri koi to sambhalo mujhe
ye kya ke sung rota hua dilasa bhi dekho'n

ye shehr-e-ishq ke khudkushi, ilaj-e-ghum-e-jana
yahan zehar ka kaam to dawa sa bhi dekho'n

Haan eid aayi hum ne dekha

Haan eid aayi hum ne dekha 

chahyee khusi ... ghum ne dekha
per apnay liye itna hi hua
lipta dukh kuch aur roya
haan sach hi kehtay ho tum bhi
ghum ka bojh her waqt hi kya
per mujh ko eid se door rakho
khushiyo'n se mera rabbt hi kya

tum chahay mujhe pagal samjho
tum chahay kaho deewana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
aaj sab ke dil hi khatay hein
jo khushiyo'n ka ik dhoka hai
per apna her ik rasta aaj
ghumo'n ne barh ker roka hai
aaj sab ke pyaray miltay hein
aaj jhoomta hua zamana hai
aaj sab hi mujh se ghafil hein
aaj her koi dekh begana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
tum samjhay ho na samjho gay
tum hairaa'n hi reh jao gay
bitha ker pehloo main humko
tum ghum ko pass bithao gay
tum mujh ko nahaq rokay ho
kab rukta hai jisay jana hai
tum sehra simaat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
chalo tum ko sabab batlatay hein
haan jo kuch bhi, sunatay hein
tum parkho dard-e-dil ko, hum
kamal-e-zabt aazmatay hein
2 pal ka apna jeewan hai
bus 2 pal ka afsana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai

gar eido'n ki tum baat kero gay
aankhen bheegen phir na kaho gay
qatra qatra hum to jalen gay
lamha lamha tum na jalo gay
le ker chalen gay uss ke sheher mein
loat aao gay wahan na raho gay
raakh ho jayen gi bujh ker aankhen
ghum na kero gay hastay raho gay
haan uski judai ki babat kahen gay
tum na roa gay wada kero gay

apni zindagi bus 2 pal
ik aaj hua to ik wo kal
kal soraj sukh lutata tha
kal chanda dukh le jata tha
kal eide'n thi shab raaten thi
kal khushiyo'n ki sab baaten thi
kal wo tha aur ye rastay thay
hum hastay gatay bastay thay
wo mann mein yun muskata tha
jaisay chori dil churata tha
jaisay chamkay barf paharo'n per
wo yun roshan ho jata tha
jaisay chanda basay in taron mein
wo aisay ghum ke maron mein
jaisay shama jalay parwano mien
wo roshan dil ke khano mein
jaisay koi gilla na zamanay se
jaisay mehboob mila deewane se
jaisay dil ki dharkan zaroori ho
jaisay khushboo gul ki majboori ho
wo maseeha, mein ghum ka mara
main uska wo mera pyara
sab dard chun ker daman se mere
wo dheeray se muskata tha
meri eid ka chand wohi to tha
main uss sung eid manata tha
mere liye kya kya na tha
wo sab kuch tha, khuda na tha

phir ik rutt aaisi aayee thi
khizaa'n pe lali chayee thi
sab phool bhi murjhye thay
bahar bohat itrai thi
bhais badal ker khushion ka
judai milnay aaye thi
eid ki meri sab khushiyaa'n
janay kahan beech aayee thi
ik aansoo tapka yad hai bus
phir door talak tanhai thi
na pat jhar ka wo mausam tha
na dukh sukh ka koi jhagra tha
bus yunhi chaltay rastay mein
kab sham huyee ik jhatkay mien

khawahish-e-wasl mazeed thi , hum bichray thay
kuch aisi hi eid thi , hum bichray thay
khizan bhi sogwar thi, hum bichray thay
wo to bhari bahar thi, hum bichray thay

aaj uske mere beech ki doori
kuch samjhota, kuch majboori
eid keron ga na uss bin
rehnay do meri zaat adhoori
sab mausam roothay hein uss bin
aaj aisay jeetay hein uss bin
jaisay dukh utray in jheelon pe
jaisay ghum jhalkay qandeelon se
jaisay jugnoo bhatka jungle mein
jaisay mojj thami ho sahil mein
jaisay shama bujhay andheron mein
jaisay udasi mann ke dairaon mein
jaisay sawan dukh barsata ho
jaisay pani aag lagata ho
jaisay asar urra ho duaon se
jaisay uljhay rastay paon se
jaisay titli roothay phoolon se
jaisay udasi jhalkay jhoolon se
jaisay sehra mein ik pyasa ho
jaisay khali dil ka kaasa ho
jaisay aankhon se noorr rootha ho
jaisay chehray se rungg utra ho
jaisay jaa'n se tootay saansoon ki doori
jaisay chanda se door pagli chakori
jaisay dhoop utray hai chaon mein
jaisay dia jalay hawaon mein
jaisay gagan se tootay ik tara
phiron uski judai mein main mara
yun doo'n sadayen gali gali
jaisay bikhray koi kali kali
koi zindagi se thak jata ho
jaisay moat ko bulata ho
jaisay ashkon ki qatar chalay
jaisay koi bojh utar chalay
jaisay bichray koi pyaron se
jaisay hum hein be-saharon se
jaisay kishti beech bhanwar mein ho
jab sahil bhi nazar mein ho
jaisay koi taza qabar pe roye
kuch na paye sab kuch khoye
jaisay loat ker aaye her ik dua
jaisay dam toray her ik sada
jaisay ghum ka bojh aur ik wafa
jaisay tanhai aur main tanha
jaisay dil se dharkan ho kafa
jaisay phool se khushboo juda

abb eidei'n mubarik ho tum ko
aankh main rehnay do ghum ko
mujhe tum sung ab nahi jana hai
haan wafao'n ko aazmana hai
barso'n baad hai din aaya
phir barso'n baad ye aana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
wo dukh ka hai chanda chamaka
wo dekho her ja ghum utray
sab khushiyu'n sung aaj chor gaye
aaj kitnay ye tanha niklay
ye tanha hein mere saathi
aaj inn ko pass bulana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
meri aankh main laali utri hai
main ne tanahi ko thama hai
pairo'n se doori lipti hai
aur rasta wohi purana hai
aaj de ke sada sehrao'n main
dardon ko aaj kamana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
aaj marg ko hai taskheer kerna
aaj mujh ko to mar jana hai
meri sanso'n pe qarz baqi hai
aaj sara qarz chukana hai
haan ker ke eid sehrao'n main
kuch ba'warr usay kerana hai
wo samjha hai main bhool gaya
bus usko yaad dilana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai !!

tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!

Suno jugnu!
main ussay pukarta
thankan se choor
apnay pairo'n ke chalo'n
ko saath saath liye
dhoondta hua
iss jungle main aa phancha ho'n
per kisi ne bhi to
uss pyaray ka pata nahi bataya
suno jugnu!
wo jugnu hi to tha
tum mujhe uss tak raah dikhlao
jugnu ne kaha: paglay!
"main bhi to uss bin adhoora ho'n
jab tak wo raha, main roshan raha
phir na janay wo kahan kho gaya
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jissay pukarta tu gali gali hai
wo jugnu nahi wo to roshni hai

Suno gul!
tum ne dekha nahi
to suna to ho ga
main kaisay uss bin
jeeta ho'n
to phir madad kero
wo phool hi to tha
tumhi uss gul ka pata batao
gul ne kaha: paglay!
"mujhe khud ussi ki aas hai
teri tarah hi talash hai
uss bin to main kuch bhi nahi
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jissay dhoondta to koo-bakoo hai
wo phool nahi wo to khushboo hai

Suno dil!
main bohat thakk chuka ho'n
tum ne dekha wo kahee'n nahi milta
to phir suno!
usski yaad apnay aap
mein se
nikaal do
to mujhe bhi kuch qarar aaye
nahi to....
aisay na dar-badar kero
madad kero
dil ne kaha: paglay!
"main bhi to janib-e-sanam rawana ho'n
uss bin to main ik weerana ho'n
mujh ko bhi uss ki nahi kuch khabar
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jis bin meri bhi zard rungat hai
wo dil nahi wo to mohabbat hai..

Suno aankh!
tum ne to sab kuch
dekha hai
main aur kitna bhatko'n ga
wo tujh mein hi to rehta hai
tere aanso'on mein
main ne ussi ki
soorat dekhi hai
bus to tum ko qasam hai
talash khatam kero
abb madad kero
aankh ne kaha: paglay!
"uss ke bina to hum bhi dar-badar ho gaye hein
aansoo thay jitne saray___pathar ho gaye hein
wo meri beenai ki wos-atto'n se bahir hai
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jis ki talash hi tera muqadar hai
wo aansoo nahi wo to samandar hai

Suno samandar!
main ghum ka mara ho'n
apnay bha'n-warr se kaho
mujhe paar lagaye
yun na sataye
mujhe dubo ker
wo khud bhi doob jaye ga
suno samandar!
meri khushk aankhon
ki janib dekho
to tumhen yaad aaye ga
ke ye jab sookhi thi
to tum banay thay
aaj wohi aankhen
tumse madad maangti hain
inhein paar laga do
mera yaar mila do
samandar ne kaha: paglay!
"ye jo mujh mein tu dekhta irta-aash hai
ussi dildaar ki to pyas hai
wo kisi jazeeray per bhi to nahi milta
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jis ki chah mein tu ghayil hai..
wo samandar nahi wo to sahil hai

Suno sahil!
meri halat tum per
ayaa'n hai
labo'n pe damm hai
nikalne ko ye jaa'n hai
abb aur safar mujh se nahi ho ga
tum aakhri umeed ho
main ne tumharay
inn chamaktay zarraat mein
uss ko dekha hai
sahil ne kaha: paglay!
"uss bin to mere zarro'n mein chamak nahi
zindagi ki baqi abb koi ramak nahi
wo janey kyun hum se rootha hai
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga
abb kabhi nahi milay ga
wo bicher gaya so bicher gaya
to tu bhi loat ja...///
wo jo tujhe ji jaan se pyara hai
wo zarra nahi wo to taara hai...

Sun aey hawa
sun aey hawa...!

mera sara safar bekaar gaya
main haar gaya main haar gaya
jugnu,gul aur dil
aankh,samandar,sahil
inn sab mein
mujhe wo kaheen na mila
meri aas ka gulshan
sookh gaya
wo kyun mujh se yun
rooth gaya
sung le ke wo bahar gaya
main haar gaya main haar gaya

Sun meri baat o paglay!

tu itni jaldi haar gaya?
abhi kahan tu
beech manjhdaar gaya
to phir kahan teri mohabbat
wo tera pyar gaya??
tu itni jaldi haar gaya??

Dekh hawa!
tujhe sab hai pata
to tu hi bata
main kya karoo'n
kahan ja ke uss ko talash keroo'n
main kya keroo'n.......
jo mere dil pe chahai chandni hai
wo jugnu nahi wo to roshni hai
wo jo kaheen nahi per char soo hai
wo phool nahi wo to khushboo hai
wo jo saray aalam se khubsoorat hai
wo dil nahi wo to mohabbat hai
wo meri aankhon mein jis ka ghar hai
wo aansoo nahi wo to samandar hai
wo jo meri wafa ki manzil hai
wo samandar nahi wo to sahil hai
wo jo meri umeed mera sahara hai
wo zarra nahi wo to taara hai

per paglay: sun!
tu kyun yun bhatakta hai
jissay tu poochta hai ke kahaa'n hai
wo her jagah, yahaa'n wahaa'n hai
yehi to teri mohabbat ka imtihaa'n hai
ussay panay ki ussay choonay ki
uske honay ya na honay ki
baaton ko bhool ja
ussay apnay mann mein
mehsoos to ker
tu phir se uss ko khoj magar
kisi wajood mein matt dhoondna ussay
baharo'n mein bassi ussi ki muskaa'n hai
ussi ki aankhon se roshan ye jahaa'n hai
tu ussay dhoond per ik baat bhool ker
ussay choo matt bus mehsoos ker
wo jo teri zamee'n tera aasmaa'n hai
wo koi jism nahi wo to jaa'n hai....

haan aey hawa!
main phir se usko dhoondo'n ga
aur dhoond saka to poocho'n ga
per aey hawa!
tujhe hai pata
main sadiyo'n se
ussi ke liye bhatakta raha
tu ne to sab dekha
tu to janti hai ke waqt abb kamm hai
mera labbo'n pe damm hai
to bus main to chala
alwidaa...alwidaa
per sun aey hawa!
tu meri wafa ki gawahi dena
meri justajoo ki sab nishani dena
agar kabhi..
agar kabhi milay
to ussay bata-hi dena
sun aey hawa!

mere dil ke kaghaz per likha wo peghaam kehna!
main jisay pukarta raha barso'n wo uska naam kehna!
uski aankhon ko maddhh bharay do jaam kehna!
uske dil main rung-o-mohabbat ka qayam kehna!
uski jawani ko bahar'on ka badal,usko nazuk-andaam kehna!
phir meri arzoo,meri talash,lagan,mera kaam kehna!
main usay dhond leta per bohat ooncha uska muqaam kehna!
phir meri justajoo,meri wafaon pe laga her ilzam kehna!
thin tund-o-tez hawayen aur dia tha bohat badnaam kehna!
phir bhi chiragh-e-dil jalta hi raha subah-o-shaam kehna!
phir uske kano'n main dherey se mera anjaam kehna!
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!

Raat bhar jagao gay aanay wali rutt main bhi

Raat bhar jagao gay aanay wali rutt main bhi
kitna yaad aao gay aanay wali rutt main bhi

yaad ki parchaiyo'n se jhaanknay walay suno!
aankh to chalkao gay aanay wali rutt main bhi

soch ke dareecho'n ko khushboo sung khol ke
dard ko mehkao gay aanay wali rutt main bhi

sard sard raato'n main hum ko manind-e-aatish
phir se sulgao gay aanay wali rutt main bhi

janay wali rutt ke khawab ger lahoo rulayen gay
phir se kyun sajao gay aanay wali rutt main bhi?

dard ke mafhoom se aagah to kiya leiken
dard ban jao gay aanay wali rutt main bhi

mere shanoo'n ne sehay aankh ke aansoo tere
kaisay bhool pao gay aanay wali rutt main bhi

shayer janay gi mujhe nadaan ye dunia meri
aur tum likhwao gay aanay wali rutt main bhi

geelay kaghiz se bani wafa to nazuk kashti hai
kaisay paar lagao gay aanay wali rutt main bhi

ishq to hua leiken jakray hai kuch majboori bhi
baat yehi dohrao gay aanay wali rutt main bhi

utar ke aks yaad ke ashk bhari nigaho'n main
mujhko phir dafnao gay aanay wali rutt main bhi

dekh choott jayen gi zindagi ki sab saanse'n
tum jo chor jao gay aanay wali rutt main bhi

hum ke ker guzre'n gay jaantay to tum bhi ho
phir bhi aazmao gay aanay wali rutt main bhi

sukh ke choott jayen gay usi ki yaad aatay hi
dard ke bulao gay aanay wali rutt main bhi

hijr ko keren gay wo umer kuch aur aataa
wasl maat kaho gay aanay wali rutt main bhi

janay wali rutt ke sung jaa'n se hum jayen gay
tum to aa na pao gay aanay wali rutt main bhi

hatheliyo'n ke beechon beech lakeer-e-wafa khurch do
warna haath jalao gay aanay wali rutt main bhi

main ke intazar ke keron ga sab diye roshan
aur tum bujhao gay aanay wali rutt main bhi

hum ke iss aas main bulao gay humen kabhi
tum ke na bulao gay aanay wali rutt main bhi

mehv dil se kero do gay shabnami wado'n ko tum
haan tum bhulao gay aanay wali rutt main bhi

main ke ishq ka mujrim kaisay bakhsh dalo gay
sung to uthao gay aanay wali rutt main bhi

mohabbate'n barhanay ka ajab sa ye andaaz hai
faaslay barhao gay aanay wali rutt main bhi

tum se mitt na paye ga ye alag baat warna
naam to mitao gay aanay wali rutt main bhi

mere salook dekh dekh hawa ye mujh se keh gayee
tum fareb khao gay aanay wali rutt main bhi

tum bin muskuranay ke jo ehad yaad aaye'n gay
mujh ko phir rulao gay aanay wali rutt main bhi

main ne laakh poocha tha jana kyun zaroori hai ?
tum ke na batao gay aanay wali rutt main bhi

hum ke zard rung ke bujhay bujhay se phool hein
khushboo tum kehlao gay aanay wali rutt main bhi

lahoo sung behtay huye dardo! puranay yaar ho
saath tum nibhao gay aanay wali rutt main bhi

kya samajh rakha hai mujh ko itna bewafa !!
mujh ko tanha pao gay aanay wali rutt main bhi

Apni aawaz suna ke jo wo jaan-e-ghazal gaye

Apni aawaz suna ke jo wo jaan-e-ghazal gaye
 aisa laga ke jaisay dunia hi badal gaye

aisa laga ke sab ne hi uska pata maanga
 aisa laga ke deewana wo ker ke mehfil gaye

aisa laga ke sab hi usay chahaney lagay
 aisa laga ke le wo sabke jaan-o-dil gaye

aisa laga ke jaisay koi bheid pa lia
 aisa laga ke khlish-e-musalsal,nikal gaye

 aisa laga ke khoyee huyee raah mil gaye
 aisa laga ke zindagi ker mukamal gaye

aisa laga ke fiza main naghmay bikher gaye
 aisa laga ke urra ke hawa aanchal gayee

aisa laga ke khushboo ne koi phool choom lia
 aisa laga ke koi kali dil mein khil gaye

aisa laga ke dil ko bhi qarar aa gaya
 aisa laga ke khusi abb janib-e-dil gaye

aisa laga ke pyasay ko daria nazar aaya
 aisa laga ke khoyee manzil hi mil gaye

aisa laga ke her shay pe nikhaar aa gaya
 aisa laga ke gard-e-safar thi jo dhul gaye

aisa laga ke zehn-o-dil roshan se ho gaye
 aisa laga ke socho'n main mithaas ghul gaye

aisa laga ke safar abb khatam ho gaya
 aisa laga ke mojj sahil-ba-sahil gaye

aisa laga ke yaado'n ka koi karwaa'n chala
 aisa laga ke puljhari koi sukh ki chal gaye

aisa laga ke aanay wali kal haseen hai
 aisa laga ke ronay wali apni kal gaye

aisa laga ke shafaa ke koi hawa chali
 aisa laga ke beemaro'n ki sab mushkil gaye

aisa laga ke zindagi ko sab ne pukara hai
 aisa laga ke arzo-ey margg pal pal gaye

aisa laga ke sehra ki bhi pyas bujh gayee
 aisa laga ke sehra ki umeed-e-baadal gaye

aisa laga ke sehar abb honay hi wali hai
 aisa laga ke sham-e-hijar, nikal gaye

aisa laga ke bujhtay diye bhi roshan huye
 aisa laga ke shama-e-mohabat phir se jal gaye

aisa laga ke dukh bhi sab muskuraye hain
 aisa laga ke moj-e-ghum khushi main dhal gaye

Uss ki aankhon ke bhanwar mein doob doob mera mann jaye

Uss ki aankhon ke bhanwar mein doob doob mera mann jaye
doobtay ko jo wo na nikalney dey to samjho baat ban jaye

uss ka saath bahar jaisa hum ne khud dekha ye moajza....
khizaa'n mein bhi phool khilay jab chaman mein gul'badan jaye

uss ki ada phoolon jaisi uss ka lamss baharo'n sa
ussi ke lamss ki khushboo oarhay hawa aangan aangan jaye

uss ki zulfon se tapakti shabnam mann ki aag bujhaye to
uss ki aankhon ke mehaktay diye ker ke ghar roshan jaye

qosay-qazah ke rango'n si unn shokh kanwal si aankhon ko
Choo ke jo bhi jhonka aaye ussi ki chaah mein magan jaye

wo aankhen ridaye-wafa oarhay kuch aisi sahir aankhen hein
jo chahay, majnoo kehlaye... jo dekhay shayer ban jaye

uss ki ik nazar ki barish se sehra-e-dil ki pyas bujhay
aisa lagay wo jab jaye saath saath sawan jaye

aankh chalkay to moti giren muskuraye to phool jharen
chalay to ik qayamat hai, rukay to rida-e-ishq tann jaye

chanda se goray gaalo'n ki mehak se labb gulaab banay
chaman se bahar chupkay chupkay ussi se maangne jobann jaye

baaton mein basi khushboo se zehan-o-dil muatar hon
shayer apna kalaam bhoolen garr mehfil mein sheeren sukhan jaye

aafato'n ki shaamo'n mein usski mehakti eik hi nazar
jo dil mein phool khilaye.. to dard gulaab ban jaye

uss ki ik hi jhalak se kuch aisi hawa-e-shafa chalay
deewano ki tarpan jaye....beemaro'n ki dukhan jaye

kaanton bhari raah-e-mohabbat per phool khiltay dekhay hein
shartt bus itni si hai saath wo jaan-e-mann jaye

sochta to roz hon aaj uss se keh hi daalon ga
per uss ko saamney jab paon dharak dharak dharkan jaye

dekh raah-e-mohabbat per na ja ye phool nahi ye aatish hai
iss safar ki aatish mein.. bujh dil jaye jal badan jaye

suna hai eik hi lagan.. uss ke giraftara-ne-sehre-mohabbat ko
jaa'n jati hai jaye ,haath se na uska daaman jaye

uss ke ik ishara-e-ulfat per kab kisi ne socha hai
parwa nahi phir tann jaye..mann jaye ya dhan jaye

unn aankhon ke saaghir ki chaah mein inn deewano ko
na pata chala kab raat huyee na hosh raha kab din jaye

unn aankhon ke sabzz samander mein ik baar jo utra phir na loata
dil kya jaa'n le ke uss ki aas uss ki lagan jaye

unn aankhon ko chahanay walay sulagtay rahe tamam umer
kab bujhi hai ashko'n se jala ke jo wo agann jaye

sood-o-zeeya'n , fayada-o-nuqsaa'n ye sab baad ki baaten hein
hum to jaa'n tak waare'n gay aey kash kabhi wo mann jaye

Nafraton ke mausam mein mohabbaton ke mausam mein

Nafraton ke mausam mein mohabbaton ke mausam mein
dil ne dard kamaya sabhi, mausamon ke mausam mein

kyun nahi milta wo ya rabb! kya koi kami rehee
hum to sar-ba-sajood hein ibaadaton ke mausam mein

abb khushi mili bhi to hum hi usay thukra dein gay
guzri zindagi hai jab bus ghumon ke mausam mein

Hum badal ke rakh detay,jo paas-e-wafa na hota
aafaton ke mausam ko raahaton ke mausam mein

khamushi se oarh ker andheray hum hein chal diye
tanha'eyan hi hasil hein rafaqaton ke mausam mein

uss ki tarah dil ne bhi mujhi se bewafai ki
saath ussi ka hi dia wazahaton ke mausam mein

dosto'n ke aanaay se dard aur jawaa'n huye
ghao aur gehray huye chara'garon ke mausam mein

hum ne jab bhi ghabra ke uss ka naam chooma hai
phool khiltay dekhay hein patharon ke mausam mein

apni jaan pe ban aayee aur uss key hoslay dekho
muskura ke jeeta hai judai'on ke mausam mein

wafa ka apni dekha hai eik jaisa hi anjaam
dosto'n ki mehfil mein, dushmano'n ke mausam mein

tum dua kero yaro! hawa na aur ho jaye
phool ik khila to hai 2 dilo'n ke mausam mein

loat jao tum baahir sey, ye dil hai mera ke yahan
qayamaten guzarti hein qayamaton ke mausam mein

daur-e-badgumani tha, wo dil ki baat kya sunta
shaakh kya harri hoti patt-jharro'n ke mausam mein

hum na samjhay aaj tak kyun taqazq-e-junoo yehi
raasto'n ko kho dena manzilo'n ke mausam mein

 Mohabbato'n ki raaho'n mein deewar ik aanna ki hai
rah koi millay gi kya parbato'n ke mausam mein

Uss ki justajoo mein aakhir khud ko hi kho dena tha
Hum safar pe niklay thay saaniho'n ke mausam mein

kirchi'aan chuntay huye abb haath lahoo lahoo hein
patharon se ki wafa , aayeno ke mausam mein

hijr mein bheegi aankhon ko hairangi se matt dekho
baarishen to hoti hein baarishon ke mausam mein

intazar ki chokhatt per uski aass ka diya
dekhiye jalta hai kab tak aandhi'on ke mausam mein

dil ko cheer detay hein raat chand ye hawa
aur teri khamoshiyaa'n sardiyo'n ke mausam main

aur kisi mausam mein sehh bhi jata main leiken
uss ne dard bhejha hai chahaton ke mausam mein

Mujh ko bhi gila talkhi-e-doaraa'n se hai magar

Mujh ko bhi gila
talkhi-e-doaraa'n se hai magar
kuch baaton ka chup chaap seh jana hi behter
jis dard ki dawa na ho koi
aisay dard ka to shikwa na ker
jo beet chuka so beet chuka
janay walay kabhi palat ker nahi aaye
to phir...
yun tarap ker usko pukara na ker
gar judai hi muqadar tehri
gar yun hi jeena hai abb umer bhar
to phir...
kis liye ye dard-e-safar ?
dard ki baat aur ho...
main janta hon____ magar
ghum ko yun to gawara na ker
doob jaye tu ghum ke andheron mein
aisa ghazab to khudara na ker
jana...!!
khushi se tu kinara na ker

jab loh-e-taqdeer ka likha maan hi liya
ishq ki qismat judai______ jaan hi liya
to phir...
kyun her waqt
inn heeron se aankhon mein
veerani dairay dalay hai
kyun rung-o-roop pe
udasi cha'ee hai
kyun her taraf jana
bus tanhai hi tanhai hai?

dekho!
suno!
main ne maana
bohat mushkil bhulana --- magar
khud ko aatish-e-pareshaa'n mein jalanay se kya hasil
kiss ne kaha sirf dard-o-allamm hi teri manzil
inn sagar si pyari aankhon mein
ye ratt jaggay
khudi ki qasam dekhay nahi jatay
inn aankhon mein bassay aansoo
______aansoo nahi moti hein
moti to kabhi matti mein
rolay nahi jatay!

Yaadon ki baat matt kero!
yaaden to bedard hein
ik aag ka samander hein
ye kab kisi ka sahara bani
inn yaadon ko itna pyara na kero
khud ko yun to be'sahara na kero
_______inn yaadon ki baaton mein
na aaya kero
wadiye-dil se
loat aaya kero
jin sawalon ka jawab
mu'yassar na ho
khud ko aisay sawalon mein
na uljhaya kero
ronay se kya hasil
khud ko nahi
dil ko ye samjhaya kero
kabhi kabhi to
muskuraya kero!

tum ger udas ho
to mera bhi damm nikalta hai
khud ko tarpa ker
na mujh ko tarpaya kero
jala ke chiragh-e-jaa'n
aandhiyon ke muqabil
khud ko
yun to na aazmaya kero
raat hoti hai
sonay ke liye
raat aankhon mein
to na bitaya kero
suno chanda!!
so jaya kero___!!

Bakhsh dey chahey tu abb chahey dey saza

Bakhsh dey chahey tu abb chahey dey saza
dekhna hai tera dil bara hai ya meri khata

chodhaween ki raat ko aasmaa'n hai haira'n sochta
uss ka chand zayada haseen hai ya meri dilruba

mere dil se itra ker uss ki aankh ne kaha
abb bol kaargar hai kon? tera ishq ya meri ada

hijr mein tarap ker dua-e-wasl mangi to hai
dekhiye palatt ker aata hai wo... ya meri dua

shehr-e-intazar ke in raston per pehlay dekhiye
meri nigah damm torti hai ya meri sada

mujhko tarapta dekh ker charagar ne rabb se kaha
ghao bharen gay iss ke pehlay ya meri nigah ??

bana ker yaar dard ko tere ye aazmana hai
teri jafa zinda rahey gi ya meri wafa

aaj aakhri shab hai, aaj faisla ho ga
pehlay milnay aata hai tu ya meri qaza

be-sabab hain teri baatein aye dil

بے سبب ہیں تیری باتیں اے دل
کچھ بھی سنتی نہیں راتیں اے دل

کس طرح خود کو بچا پاؤ گے
ان گنت دکھ کی ہیں گھاتیں اے دل

درد کے زمرے میں ہی آتی ہیں
تیری جیتیں ہیں یا ماتیں اے دل

تم کو اشکوں کی قطاریں بھی لگیں
چاند تاروں کی براتیں اے دل

ہم رہتے ہیں اسی صحرا میں
روز ہوں گی ملاقاتیں اے دل

Mere dil k shaam sawerye hoo

میرے دل کے شام سویرے ہو
" اک بار کہو تم میرے ہو"

مجھے تم بن کچھ نہ دکھائی دے
کیوں اتنے گھور اندھیرے ہو

میں پنچھی پیار کے دیسوں کی
تم میرے رین بسیرے ہو

میں مال و منال محبت کا
تم ڈاکو چور لٹیرے ہو

کچھ بولو یا آزاد کرو
کیوں خاموشی سے گھیرے ہو

Dard na jaane ni maaye

درد نہ جانے نی مائے
اس کے اپنے گیت نی مائے

گڑیا سے اب دل نا پہلے
چاند گیا ہے جیت نی مائے

وقت نے بیت ہی جانا تھا اور
وقت گیا بیت نی مائے

کرتا پھرے ہے دل دنیا میں
من مانی من میت نی مائے

بچھڑ گئی کوئل باغوں سے
بچھڑ گیا سنگیت نی مائے

باقی سارے رشتے جھوٹے
سچی تیری پریت نی مائے

Main soch sakta nahi tha kisi haseen k saath

میں سوچ سکتا نہیں تھا کسی حسین کے ساتھ
وہ لوٹ آئے گا اور اس قدر یقین کے ساتھ

اجڑ کے جائیں تو سائے کئی سکونت کے
مکان چھوڑ دیا کرتے ہیں مکین کے ساتھ

تو جاؤ شہر میں لاکھوں گنوار پھرتے ہیں
اگر پسند نہیں رہنا مجھ ذہین کے ساتھ

یہ آگ پانی ہوا مجھ کو ضائع کر دیں گے
اسی لیے تو میں وابستہ ہوں زمین کے ساتھ

بس اب تمام حدیں صبر کی تمام ہوئیں
بہت گزارہ کیا میں نے تجھ لعین کے ساتھ

میں واعظوں کی کسی بات کا اثر کیا لوں
فریب کرتے ہو جو آپ اپنے دین کے ساتھ

یہ کیسے رفاقت میں آ گیا ہوں میں
لپٹ رہے ہیں کئی سانپ آستین کے ساتھ

kabhi safar to kabhi shaam le gaya mujh ko

کبھی سفر تو کبھی شام لے گیا مجھ سے
تمہارا درد کئی کام لے گیا مجھ سے

مجھے خبر نہ ہوئی اور زمانہ جاتے ہوئے
نظر بچا کے تیرا نام لے گیا مجھ سے

اسے زیادہ ضرورت تھی گھر بسانے کی
وہ آ کے میرے در و بام لے گیا مجھ سے

بھلا کہاں کوئی جز اس کے ملنے والا تھا
بس ایک جرات ناکام لے گیا مجھ سے

بس ایک لمحے کے سچ جھوٹ کے عوض فرحت
تمام عمر کا الزام لے گیا مجھ سے

khayyal soo rahe hoo tum

خیال سو رہے  ہو تم
ذرا اٹھو
کہ دل سے اٹھنے والی ہوک
آنکھ کے دریچہ مکان تک پہنچ گئی
کہ جیسے چمنیوں کی کوکھ سے دھواں فضا کی وسعتوں کے درمیان تک
ملول سی صدا کوئی
اداس اور مضمحل ہوا کوئی
جہان برف پوش سے
تہہ نشیب آرزو رواں ہے ایک جوش سے
لہو کی گردشوں کی لہر لہر میں
چھپے ہوئے عذاب کسمسائے ہیں
سنپولیے کسی کمین گاہ میں مداخلت ہوئی تو کلبلائے ہیں
یہ خوف ہے
کہ گر کہیں کوئی خراش بہتے بہتے روح کو نکل گئی
تو اس میں سو طرح کے انتشار کا جواز ہے
جو راز ہے ہمارے دل کے صبر کا
ابھی سنبھالنا بھی ہے
ابھی تو ڈھالنا بھی ہے اسے پناہ میں
خیال سو رہے تم

اٹھو کہ صوت
بے زبانیوں کی قبر میں پڑی پکارتی ہے وہم سے
پکار کے دراز سائے اس قدر مہیب ہیں
کہ خوفناک رات بھی دبک گئی ہے سہم کے
اٹھو
کہ لفظ معنوی جمال سے تہی کھڑے غریب ہیں
عجیب ہیں
یہ بے حسی کے سال بھی
یہ بے کنار درد بھی یہ ان گنت ملال بھی
خیال سو رہے ہو تم

سوال ہیں کہ جاگتے کہیں نہیں
یا
کال ہیں کہ بھاگتے کہیں نہیں
خیال اپنے بادبان کیوں ڈبو رہے ہو تم
خیال سو رہے تم

شجر شجر پہ جال ہے بہار کا
نظر نظر پہ دھند ہے غبار کی
ہر ایک سمت سحر کی طاری ہو گیا ہے
پھر کسی حسار کا
کہ جیسے پانیوں میں عکس دور تک ہو بادلوں کی ڈار کا
اور ایسے وقت میں
کہیں پہ گھات میں چھپی ہوئی
ہواؤں کے سروں پہ ایک خبط ہے شکار کا
اٹھو یہ جال کاٹ دو
غبار کو اڑا کے
یہ حصار کا طلسم چیر پھاڑ دو
ہجوم کی طرح تمام راہگزر لتاڑ دو
ہواؤں کو منع کرو
کہو کہ اب ہر ایک شے تو خود ہی ہست کا شکار ہو چکی ہے
ایک عمر سے
جسے بھی دیکھ لو ہر ایک اپنا آپ مارنے پہ تُل گیا ہے
رُل گیا ہے ریت کی طرح خود اپنے دشت میں
کسی کا دھڑ اجل کے کارزار میں شکستگی کی انتہاؤں پر پڑ ا ہے اور کسی کا
سر دمکتی زندگی کے طشت میں

خیال سو رہے ہو تم
تو کوئی بولتا نہیں
تمھارے بد نصیب سے
مرے حبیب لگ تو یہ رہا ہے پوری کائنات سو گئی ہو جیسے لمبی تان کے
یہ ٹھان کے
کہ اب کسی بھی طور جاگنا نہیں
تمھیں خبر ہے ؟
کوئی کھل رہا ہے در مہیب سے مقدروں کے درمیاں
کہیں کسی صلیب سے
ذرا اٹھو
ذرا جگا سکو
بتا سکو
دکھا سکو
کہ کچھ عجیب سے خراب خواب ہیں فضاؤں میں
کہ جس طرح کہیں سلگتی دھوپ کے نشان چھاؤں میں
گزر رہے ہیں جو ہمارے اس قدر قریب کہ سوجھتا کوئی نہیں
مگر یہ کیا کہ بُوجھتا کوئی نہیں

خیال سو رہے ہو تم
اٹھو کہ شہر موت کے حصار میں گھرا ہوا ہے
اور کوئی در نہیں
تمام شعبدہ گروں کے غول مل کے
اپنے اپنے جنگلوں میں
اپنی اپنی ذات کے مفاد میں
جسے بلانے کے لیے گئے ہیں وہ بھی گھر نہیں
اگرچہ ایسے درد ناک وقت کے غبار میں
تمھیں تو کوئی ڈر نہیں

خیال سو رہے ہو تم

مگر تمھاری نیند بھی صحیح نہیں
غرور ہے
اٹھو
کہ چُپ زدہ فضا کا جبر ہم نے توڑنا ضرور ہے

خیال سو رہے ہو تم
اٹھو
کہ لوگ اپنی اپنی روح کے
عقیدہ ہائے دین کے فشار کا شکار ہیں
یہ زندگی کے اضطرار میں پلے بڑھے ہوئے
یہ بزدلی کار دار نیک لوگ
روگ ہیں زمین پر
عذاب سے ڈر ے ہوئے شریف ہیں
وگرنہ خود
خدا کے سب سے اولیں حریف ہیں
انھیں جھنجھوڑ دے پکڑ کے دامن یقین سے
نہیں تو چھوڑ دے سکون
توڑ دے سہولتوں کی صورتیں
ہرے بھرے تمام زخم
پھوڑ دے

خیال سو رہے ہو تم
اور اعتماد کی جڑو میں شک اتر گیا ہے یوں کہ جیسے دن کے آخری
پلوں میں سیاہ تیرگی
پلک جھپکتے ہی وفا کی سب چمک دمک گئی
خلوص کو
ہماری نیتوں کا میل ڈھک گیا

خیال سو رہے ہو تم
زمین کی تہوں میں دفن
حرص کی دبائیں جیسے پک گئیں
سسک کے رہ گئیں مروّتیں سبھی
دعائیں جانے کون کون سے جہاں تک گئیں
مساعئی فروخت غرض تعلقات بے ثمر ہوئیں
تو تھک گئیں
تمام تر ثقافتوں تمدنوں کی عفتوں سے بھاگ کر
پلٹ کے پھر جبلتوں کے پنجروں میں
قید ہو رہے ہو تم


خیال سو رہے ہو تم
شکستہ ہو رہی ہیں سب عمارتیں
امانتیں غریب ہو رہی ہیں ٹوٹ ٹوٹ کر
مسافتیں گرفت میں نہیں رہیں
بدن کا عضو، عضو مضمحل ہے
تار تار مضطرب ہے
اور سماعتیں چیخ رہی ہیں
گنگ ہیں بصارتیں
تجارتیں عروج پر ہیں موت کی
نصف ہے
اور رواں دواں زیاں کا
ایک بحر بے کنار ہے
تمہاری غفلتوں کا کیا شمار ہے
کہ اس طرح کے عالم شدید میں بھی
دشمنوں کے ساتھ مل کے

خیال سن رہے ہو تم

ہر سفینۂ رجا کی جان کے خلاف
اپنی سازشوں کے جال بن رہے ہو تم
خیال سن رہے ہو تم
سن رہے ہو تم
اب تو آسماں بھی کہہ چکا ہے
اور زمیں بھی چیخ چیخ کر بتا رہی ہے
جاگ اٹھو
وگرنہ اس جہان بے اماں کے ہر نشان کو
یہ بے زباں نیند چاٹ جائے گی
جہاں جہاں بھی شہ رگ حیات کسمسائے گی
یہ نیند اس کو صرف لمحہ بھر میں کاٹ جائے گی
خیال
سن رہے ہو یا ابھی تلک
ملامتوں کا بوجھ ڈھو رہے ہو تم

خیال سو رہے ہو تم

اور ہم سے تو ہمارا اپنا آپ
اتنا دور ہوتا جا رہا ہے
غیر ارادی طور پر
کہ روکنا محال ہے
نڈھال ہے مزاحمتیں شعور کی
یہ خود سے اجنبیوں کا دور
کتنا دکھ بھرا سوال ہے
ہمیں ملال ہے کہ ایسا وقت دیکھنا پڑا
اچھالنی پڑی ہیں اپنی بگڑیاں زمین پر
بگاڑنے پڑے ہیں اپنے آئینے

خیال سو رہے ہو تم

کمال ہے
خیال سو رہے ہو تم
اٹھو ذرا
کہ چاندنی کی راکھ ا ڑ رہی ہے
سارے شہر میں
اداس ہو رہے ہیں ہم
اداس ہو رہے ہیں ہم
ہمیں اپنے اپنے یاد آ رہے ہیں
جو یہیں کہیں بچھڑ گئے
اجڑ گئے جو رابطے اذیتوں کی بھیڑ میں
اذیتوں کی بھیڑ
جو محبتوں پر برف بن کر گر رہی ہے آج بھی
سماج میں
تمھارے بن
صدائے احتجاج کے مزاج کا رواج ہی نہیں رہا
خیال
ماضیوں کی سب رفاقتوں کی
بازگشت تو تمھارے دم سے
چاہتوں کے موسم کا رنگ تھا
تمہی سے تھی
کلی کلی کی آنکھ میں شگفتگی
تمھارے بن
تمھارے بن تو زندگی کے
ہر طرح کے رنج کا مزا بھی کرکرا ہوا
فقط تمھاری نیند کے سبب
خیال سو رہے ہو تم

ہم اپنی کائنات سے علیحدہ ہو گئے
وہ کائنات بھی
کہ جو گزر گئی
وہ اجتماع لاشعور
اور شعور مستقل ہزار ہا صدی کے ہست و بود کا
وہ اک یقین منضبط
ہر ایک شے کی قلب کا وجود کا
لرز رہا ظلمتو ں کے خوف سے
تمھیں یہ علم ہے کہ اس طرح ضمیر وقت میں
بہت بڑا گناہ بو رہے ہو تم
خیال سو رہے ہو تم

خیال
اب تو سانس میں
وہ کچی پکی مٹیوں کی لذتیں نہیں رہیں
وہ کچی پکی مٹیاں
جو ماؤں کی طرح سے لازوال ہیں
وہ کچی پکی مٹیاں
جو دیس کی سہاگنوں کا روپ ہیں
جو اوپلوں میں کھیل کے جوان ہوتی دھوپ میں
جو لہلہاتے کھیت ہیں
جو ساحلوں کی گنگناتی ریت ہیں
جو خوش نما و خوش خصال آنچلوں کا رنگ ہیں
جو چھنچھاتی پایلوں کا انگ ہیں
جو جنگلوں میں کھلکھلاتے ساونوں کا ڈھنگ ہیں
وہ کچی پکی مٹیاں بھی

خیال سو رہے ہو تم

اصل کھو رہی ہیں اپنے آپ میں
اثر نہیں رہا کسی الاپ میں
سفر نہیں رہا کسی کی چاپ میں
مگن پڑے ہوئے ہو اپنے پاپ میں
اٹھو
کہ خطرۂ سکوت
بج رہا ہے طبل دل کی تھاپ میں
غم و الم کئی سیاہ نم علم کنار سینہ قدم قدم پہ گاڑ کے
کچل رہے ہیں اپنی آہ و زاریاں
دنوں کے سنگ رسموں کی ٹاپ میں

خیال سو رہے ہو تم
ہوس بدن پہ چھاتی جا رہی ہے پھیل پھیل کر اکاش بیل کی طرح
محبتوں کا لوچ بھی نہیں رہا ہے
عشق میں عبادتوں کی سوچ بھی نہیں رہی
دلوں میں درد کی جگہ
نجانے کیسا بوجھ آ کے بس گیا ہے
ڈس گیا ہے
آنکھ کے تلے کہیں
نگاہ حسین سچ کے آس پاس
کوئی دیکھتا نہیں
کسی کو غور سے کہ اس کی جستجو سمجھ سکے
کسی کو اتنا ہوش ہی نہیں
کہ ساری گفتگو سمجھ سکے
فقط
بدن کی بھوک کا اسیر ہے

خیال سو رہے ہو تم

کبیر جرم جرم ہی نہیں رہا
بدن کی کچھ کثافتوں کے زہر کا خروج ہے
حقیر ہے

خیال سو رہے ہو تم
مجھے پتہ ہے منہ چھپا چھپا کے رو رہے ہو تم
خیال سو رہے ہو تم
یہاں تو پورے اجتماع کی نظر کو باندھ کر
نہ جانے کس طرف کو ہانکا جا رہا ہے
ایک بے مثال بے حسی کے ساتھ
زندگی کے نام بے نمود پر
درندگی چھپا چھپا کے
جنگ ہو رہی ہے اقتدار کی
یہ رنگ و نسل و ذات و پات کی گروہ بندیاں
یہ حرف و لفظ و بات بات کی گروہ بندیاں
یہ شام شام رات رات کی گروہ بندیاں
یہ ملک کا غرور آتشیں
تباہیوں کے جس کڑے مقام تک پہنچ گیا ہے
اب وہاں سے
واپسی بھی ممکنات میں نہیں
اگر کبھی
یہاں سے واپسی ہوئی
تو ہو گی سیل آب نوح کی طرح کے
ایک سیل خون سے
بڑے کٹھور ہو
کوئی بڑے ستم ظریف ہو

خیال سو رہے ہو تم

پڑے ہوئے کس قدر سکون سے
بھلا بتاؤ تو سہی
یہ اپنے ذہن کی کثیف روح خور دلدلوں میں
کیا بلو رہے ہو تم
خیال سو رہے ہو تم

تو جاگنے لگی ہے کتنی نفرتیں دبی ہوئی
اٹی ہوئی
منافقت کے روگ میں
مخاصمت کی آگ میں جلی ہوئی
پکی ہوئی
کٹی ہوئی معاشرت کے سوگ میں

خیال سو رہے ہو تم
تو جاگنے لگی ہیں
کتنی اشتہائیں
دل میں انتظام بے بسی لیے
اسی لیے
کہ لمحہ کرم کا دم نواز تو قہار کا
گذار چشم نم چبھو رہے ہو تم
خیال سو رہے ہو تم

خیال سو رہے ہو تم
دھوئیں سے اٹ گیا ہے سارا آسماں
سیاہ بادلوں میں آگ بھر گئی
ہوا بجھی ہوئی ہے سرخ زہر میں
زمین پھٹ چکی ہے
بٹ چکے ہیں کتنے راستے

خیال سو رہے ہو تم

تڑپ تڑپ کے کٹ چکے ہیں تار دل
ہے اعتبار بندگی سمٹ چکا
رتوں کی کچھ رفاقتوں پہ
خوش گمانیوں کے جو نقاب تھے
الٹ چکے
مسافتوں کی ہمرہی میں
رہروان شوق بھی پلٹ چکے
خلا
فضا کے ساتھ ساتھ
روح کے جہان میں بھی ڈٹ چکے

خیال سو رہے ہو تم
اور اس طرح
خود اپنے زخم میں
نہ جانے کون کون سا ستم سمو رہے ہو تم
خیال
تم تو نوجوان ہو ابھی
کسی کا مان ہو ابھی
مرے ہوئے کھنڈر نہیں ہو تم کہ بے نشاں رہو
کوئی جہان ہو ابھی
خیال تم تو سائبان ہو ابھی
ضعیف یا ادھیڑ عمر چیز کوئی سو بھی لے
تو خیر ہے
شباب اور نیند کا تو پیر ہے
خیال
اسطرح کی گونگی بستیوں میں

خیال سو رہے ہو تم

تم تو خود زبان ہو
ابھی
صدا و حرف و لفظ کی
سنہری دولتوں سے سیر ہو
ذرا اٹھو
کہ جو جہاں جہاں بھی سو رہا ہے
اس کو کون آ کے اس طرح جگائے گا
کہ جیسے صبح کی دھوپ
یا بشارت جہاد کوئی خواب میں
یا انکشاف حق
بدی کے مستقل سراب میں
اٹھو
کہ آنے والی نسل کی کوئی خطا نہیں
ہے اس کا کیا قصور جو ہوا نہیں
اٹھو
کہ آنے والی نسل کے لہو کو
سینچنا ہے تم کو
اپنے جاگتے خمیر سے
اٹھو کہ ان کو رفعتوں پہ ٹانکنا ہے
نور کے ضمیر سے
تلاشنے ہیں اور کتنے راستے
بلندیوں کی آخری لکیر سے بھی اسطرف
یہ کائنات تو بہت بڑی ہے دور دور تک
کسی بڑے فقیر سے بھی اس طرف
جسے ہمیں تلاش کر کے

خیال سو رہے ہو تم

سنوارنا نکھارنا ہے
آنے والوں کے لیے
سجا کے اپنا آپ
اپنے گھر
گلی گلی نگر
پکارنا ہے جوش سے
مگر خیال
ہوش سے
پیمبروں، ولایتوں کی آگہی کے دوش سے
خیال سو رہے ہو یا
لباس سے سیاہیوں کے داغ دھو رہے ہو تم
خیال اپنے عارضوں کو
کیوں بھگو رہے ہو تم

خواب سو رہے ہو تم
تمھیں خبر نہیں کہ کتنا کچھ یہاں بنا ہوا تھا
جس کو کھو رہے ہو تم

aankh se rooh ka ghum zaher hai

آنکھ سے روح کا غم ظاہر ہے
اس کا ایک ایک ستم ظاہر ہے

بے خیالی میں تمھاری ہی طرف
میرے اٹھیں گے قدم ظاہر ہے

کچھ چھپا لینے سے کیا ہے حاصل
ان کا جتنا ہے کرم ظاہر ہے

دل کے بھیگے ہوئے موسم کی فضا
از روئے دیدہ نم ظاہر ہے

تم بھلا دو گے تو پھر تم کو بھی
بھول ہی جائیں گے ہم ظاہر ہے

mujh per sitam zareef zammane k saath saath

مجھ پر ستم ظریف زمانے کے ساتھ ساتھ
مسکرا رہا تھا حشر اٹھانے کے ساتھ ساتھ

میں مٹ رہا تھا ان کو مٹانے کے ساتھ ساتھ
رکتے تھے ہاتھ تیر چلانے کے ساتھ ساتھ

دشمن اگرچہ تھے وہ مگر تھے تو آدمی
دل رو رہا تھا ٹھیک نشانے کے ساتھ ساتھ

تھے عشق میں عجیب سے رخنے پڑے ہوئے
خود روٹھتا تھا مجھ کو منانے کے ساتھ ساتھ

ایسا لگا کہ غم کے سوا کچھ نہیں یہاں
عالم سسک رہا تھا دیوانے کے ساتھ ساتھ

اس شہر میں عجیب تماشہ ہے زندگی
ہنستے ہیں لوگ نیر بہانے کے ساتھ ساتھ

Bichare howay logon ki ek ek baat rulaa deti hai

بچھڑے ہوئے لوگوں کی اک اک بات رلا دیتی ہے
ہم کو تو ہر جانے والی بات رلا دیتی ہے

ویسے تو ہم دل کے بڑے ہی پکے ہیں ہر غم میں
وہ تو کبھی کبھی یونہی برسات رلا دیتی ہے

جیسے پتھر کر دیتی ہے بعض اوقات خوشی بھی
جیسے بعض اوقات کوئی بارات رلا دیتی ہے

جنہوں نے ہار کبھی نہیں دیکھی ہوتی ہے جیون بھر
ایسوں کو تو چھوٹی سی اک مات رلا دیتی ہے

غموں سے تو کچھ اور بھی بڑھ جاتا ہے ضبط ہمارا
ہاں البتہ خوشیوں کی بہتات رلا دیتی ہے

Bas ek charaag ye roshan dil e tabah mein hai

بس اِک چراغ یہ روشن دِل تباہ میں ہے
کہ اُس کی میری جدائی ابھی نِباہ میں ہے

تمہارا ہجر صدی دو صدی تو پالیں گے
ابھی کچھ اِتنی سکت تو ہماری چاہ میں ہے

میں مطمئن ہوں کہ تو مطمئن نہیں دشمن
ابھی تو ایک یہی چال رزم گاہ میں ہے

عجب غرور میرے قلبِ منکسر میں ہے
عجیب عجز میری ذاتِ کج کلاہ میں ہے

میں پُرسکوں ہوں مضافات میں بسیرے پر
کہ شہر بھر کا تماشا میری نگاہ میں ہے

Popular Posts