Friday, August 23, 2013

Justaju ka diya jala phir se

Justaju ka diya jala phir se
 Ishq ko raahbar bana phir se

Bandagi ki kar ibtida phir se
Rahm ki ho gi intiha phir se

Haath uTha behr-e-iltijaa phir se
Daikh karta hay kya khuda phir se

Jaada-e-justaju-e-hasti maiN
Shauq-e-Khwabida ko jagaa phir se

Phir se tum sarfraaz ho jaao
Lau agar us ka aasraa phir se

Tujh se jaldi wo aaye ga hamdam
Us ki jaanib qadam baRha phir se

Us ki rahmat se us ki rhmat se
jauR le apna silsila phir se

Kaamraani tera Muqadar hay
Alam islaam ka uTha phir se

Kufr ki sarzamin-e-teera ko
Noor-e-eemaaN se jagmagaa phir se

AayataiN jo nabi pe utri theeN
behr-e-tajdeed wo suna phir se

Wo haiN maujood dar rukh-e-quraaN
Kijiye apna tazkiya phir se

Phir ataa hoN gi hikmataiN tujh ko
PaRh kitaab-e-hudaa numaa phir se

Soorat-ul-faatehaa ki soorat maiN
DhoonD manzil ka raasta phir se

Deen ki Ittebaa'e kar kay samajh
Apni hasti ka falsafaa phir se

Haath maiN le kay sunat-o-quraaN
Apni manzil pe laut aa phir se

Zaawiye sainkroN haiN hasti kay
Chaahiye tujhko qaaimaa phir se

Sar uTha kar chalo gay duniya maiN
Us kay haaN sar agar jhukaa phir se

Deen apna hay har zamaanay ka
Az amal de ye indiyaa phir se

Deen-e-amn-o-sakooN ki da'ewat de
Koo ba koo aur jaa ba jaa phir se

Baagh-e-taybaa se joR de yaa rab
WARD-o-laala ka sislsila phir se

WARD IQBAL par jo Thahraa tha
Chal paRa aaj qafila phir se

No comments:

Popular Posts