Friday, August 23, 2013

Uss ki aankhon ke bhanwar mein doob doob mera mann jaye

Uss ki aankhon ke bhanwar mein doob doob mera mann jaye
doobtay ko jo wo na nikalney dey to samjho baat ban jaye

uss ka saath bahar jaisa hum ne khud dekha ye moajza....
khizaa'n mein bhi phool khilay jab chaman mein gul'badan jaye

uss ki ada phoolon jaisi uss ka lamss baharo'n sa
ussi ke lamss ki khushboo oarhay hawa aangan aangan jaye

uss ki zulfon se tapakti shabnam mann ki aag bujhaye to
uss ki aankhon ke mehaktay diye ker ke ghar roshan jaye

qosay-qazah ke rango'n si unn shokh kanwal si aankhon ko
Choo ke jo bhi jhonka aaye ussi ki chaah mein magan jaye

wo aankhen ridaye-wafa oarhay kuch aisi sahir aankhen hein
jo chahay, majnoo kehlaye... jo dekhay shayer ban jaye

uss ki ik nazar ki barish se sehra-e-dil ki pyas bujhay
aisa lagay wo jab jaye saath saath sawan jaye

aankh chalkay to moti giren muskuraye to phool jharen
chalay to ik qayamat hai, rukay to rida-e-ishq tann jaye

chanda se goray gaalo'n ki mehak se labb gulaab banay
chaman se bahar chupkay chupkay ussi se maangne jobann jaye

baaton mein basi khushboo se zehan-o-dil muatar hon
shayer apna kalaam bhoolen garr mehfil mein sheeren sukhan jaye

aafato'n ki shaamo'n mein usski mehakti eik hi nazar
jo dil mein phool khilaye.. to dard gulaab ban jaye

uss ki ik hi jhalak se kuch aisi hawa-e-shafa chalay
deewano ki tarpan jaye....beemaro'n ki dukhan jaye

kaanton bhari raah-e-mohabbat per phool khiltay dekhay hein
shartt bus itni si hai saath wo jaan-e-mann jaye

sochta to roz hon aaj uss se keh hi daalon ga
per uss ko saamney jab paon dharak dharak dharkan jaye

dekh raah-e-mohabbat per na ja ye phool nahi ye aatish hai
iss safar ki aatish mein.. bujh dil jaye jal badan jaye

suna hai eik hi lagan.. uss ke giraftara-ne-sehre-mohabbat ko
jaa'n jati hai jaye ,haath se na uska daaman jaye

uss ke ik ishara-e-ulfat per kab kisi ne socha hai
parwa nahi phir tann jaye..mann jaye ya dhan jaye

unn aankhon ke saaghir ki chaah mein inn deewano ko
na pata chala kab raat huyee na hosh raha kab din jaye

unn aankhon ke sabzz samander mein ik baar jo utra phir na loata
dil kya jaa'n le ke uss ki aas uss ki lagan jaye

unn aankhon ko chahanay walay sulagtay rahe tamam umer
kab bujhi hai ashko'n se jala ke jo wo agann jaye

sood-o-zeeya'n , fayada-o-nuqsaa'n ye sab baad ki baaten hein
hum to jaa'n tak waare'n gay aey kash kabhi wo mann jaye

No comments:

Popular Posts