Friday, August 23, 2013

Haan eid aayi hum ne dekha

Haan eid aayi hum ne dekha 

chahyee khusi ... ghum ne dekha
per apnay liye itna hi hua
lipta dukh kuch aur roya
haan sach hi kehtay ho tum bhi
ghum ka bojh her waqt hi kya
per mujh ko eid se door rakho
khushiyo'n se mera rabbt hi kya

tum chahay mujhe pagal samjho
tum chahay kaho deewana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
aaj sab ke dil hi khatay hein
jo khushiyo'n ka ik dhoka hai
per apna her ik rasta aaj
ghumo'n ne barh ker roka hai
aaj sab ke pyaray miltay hein
aaj jhoomta hua zamana hai
aaj sab hi mujh se ghafil hein
aaj her koi dekh begana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
tum samjhay ho na samjho gay
tum hairaa'n hi reh jao gay
bitha ker pehloo main humko
tum ghum ko pass bithao gay
tum mujh ko nahaq rokay ho
kab rukta hai jisay jana hai
tum sehra simaat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
chalo tum ko sabab batlatay hein
haan jo kuch bhi, sunatay hein
tum parkho dard-e-dil ko, hum
kamal-e-zabt aazmatay hein
2 pal ka apna jeewan hai
bus 2 pal ka afsana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai

gar eido'n ki tum baat kero gay
aankhen bheegen phir na kaho gay
qatra qatra hum to jalen gay
lamha lamha tum na jalo gay
le ker chalen gay uss ke sheher mein
loat aao gay wahan na raho gay
raakh ho jayen gi bujh ker aankhen
ghum na kero gay hastay raho gay
haan uski judai ki babat kahen gay
tum na roa gay wada kero gay

apni zindagi bus 2 pal
ik aaj hua to ik wo kal
kal soraj sukh lutata tha
kal chanda dukh le jata tha
kal eide'n thi shab raaten thi
kal khushiyo'n ki sab baaten thi
kal wo tha aur ye rastay thay
hum hastay gatay bastay thay
wo mann mein yun muskata tha
jaisay chori dil churata tha
jaisay chamkay barf paharo'n per
wo yun roshan ho jata tha
jaisay chanda basay in taron mein
wo aisay ghum ke maron mein
jaisay shama jalay parwano mien
wo roshan dil ke khano mein
jaisay koi gilla na zamanay se
jaisay mehboob mila deewane se
jaisay dil ki dharkan zaroori ho
jaisay khushboo gul ki majboori ho
wo maseeha, mein ghum ka mara
main uska wo mera pyara
sab dard chun ker daman se mere
wo dheeray se muskata tha
meri eid ka chand wohi to tha
main uss sung eid manata tha
mere liye kya kya na tha
wo sab kuch tha, khuda na tha

phir ik rutt aaisi aayee thi
khizaa'n pe lali chayee thi
sab phool bhi murjhye thay
bahar bohat itrai thi
bhais badal ker khushion ka
judai milnay aaye thi
eid ki meri sab khushiyaa'n
janay kahan beech aayee thi
ik aansoo tapka yad hai bus
phir door talak tanhai thi
na pat jhar ka wo mausam tha
na dukh sukh ka koi jhagra tha
bus yunhi chaltay rastay mein
kab sham huyee ik jhatkay mien

khawahish-e-wasl mazeed thi , hum bichray thay
kuch aisi hi eid thi , hum bichray thay
khizan bhi sogwar thi, hum bichray thay
wo to bhari bahar thi, hum bichray thay

aaj uske mere beech ki doori
kuch samjhota, kuch majboori
eid keron ga na uss bin
rehnay do meri zaat adhoori
sab mausam roothay hein uss bin
aaj aisay jeetay hein uss bin
jaisay dukh utray in jheelon pe
jaisay ghum jhalkay qandeelon se
jaisay jugnoo bhatka jungle mein
jaisay mojj thami ho sahil mein
jaisay shama bujhay andheron mein
jaisay udasi mann ke dairaon mein
jaisay sawan dukh barsata ho
jaisay pani aag lagata ho
jaisay asar urra ho duaon se
jaisay uljhay rastay paon se
jaisay titli roothay phoolon se
jaisay udasi jhalkay jhoolon se
jaisay sehra mein ik pyasa ho
jaisay khali dil ka kaasa ho
jaisay aankhon se noorr rootha ho
jaisay chehray se rungg utra ho
jaisay jaa'n se tootay saansoon ki doori
jaisay chanda se door pagli chakori
jaisay dhoop utray hai chaon mein
jaisay dia jalay hawaon mein
jaisay gagan se tootay ik tara
phiron uski judai mein main mara
yun doo'n sadayen gali gali
jaisay bikhray koi kali kali
koi zindagi se thak jata ho
jaisay moat ko bulata ho
jaisay ashkon ki qatar chalay
jaisay koi bojh utar chalay
jaisay bichray koi pyaron se
jaisay hum hein be-saharon se
jaisay kishti beech bhanwar mein ho
jab sahil bhi nazar mein ho
jaisay koi taza qabar pe roye
kuch na paye sab kuch khoye
jaisay loat ker aaye her ik dua
jaisay dam toray her ik sada
jaisay ghum ka bojh aur ik wafa
jaisay tanhai aur main tanha
jaisay dil se dharkan ho kafa
jaisay phool se khushboo juda

abb eidei'n mubarik ho tum ko
aankh main rehnay do ghum ko
mujhe tum sung ab nahi jana hai
haan wafao'n ko aazmana hai
barso'n baad hai din aaya
phir barso'n baad ye aana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
wo dukh ka hai chanda chamaka
wo dekho her ja ghum utray
sab khushiyu'n sung aaj chor gaye
aaj kitnay ye tanha niklay
ye tanha hein mere saathi
aaj inn ko pass bulana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
meri aankh main laali utri hai
main ne tanahi ko thama hai
pairo'n se doori lipti hai
aur rasta wohi purana hai
aaj de ke sada sehrao'n main
dardon ko aaj kamana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai
aaj marg ko hai taskheer kerna
aaj mujh ko to mar jana hai
meri sanso'n pe qarz baqi hai
aaj sara qarz chukana hai
haan ker ke eid sehrao'n main
kuch ba'warr usay kerana hai
wo samjha hai main bhool gaya
bus usko yaad dilana hai
tum sehra simat mujhe janay do
haan dekho aaj bahana hai !!

No comments:

Popular Posts