is dil ki shamaa jalaa ke dar-e-yaar dhundhti hoon
pareshaan jazbaat hain mere qaraar dhundhti hoon
mere dam-saaz hi bane mere ruh-e-gulista ke kaatil
pehlu mein khizaan ke mein bahaar dhundhti hoon
baahon me jinki kabhi beete the woh khoobsurat pal
sehra me bikhre un yadon ke gubaar dhundhti hoon
jin mohabbat ki raahon se guzre the kabhi hum dono
unhi raahon pe tumko ab baar baar dhundhti hoon
jaane kaunsa toofaan meri hastii ko bahaa le jaaye
panaah jo dede mujhe aisa ek mazaar dhundhti hoon