Wednesday, June 23, 2010

Bholna Itnaa Asan Nahin Ke main tujhay bhool jaon


Bholna Itnaa Asan Nahin
Ke main tujhay bhool jaon
Aaj phir dil bohat ghabraya
Maiany usko ye samjhaya
Ke bholna itnaa asan nahi
Tu ager dil ki dhadken hota
Tou mera dil dhadkna bhool jata
Tu ager sanso main ji raha hota
Tu sansoo ki dour tou hoti hi kachi hay
Tu ager khayalon ka markaz hota
Tou main hosh-o- khird say baygana hota
Mager afsos
Tu tou meri rooh ka hamzaad hay
Us main azal say layker abd tak abaad hay
Or Rohh kabhi fana hoti nahin
Kabhi miti main ja ker soti nahin
Kabhi dil ki taraha roti nahin
Sans ki dor ki taaraha kachi hoti nahi n
Jab rooh say talaq toot sakta nahin
Or Khuda bhi usko bhool sakta nahin
Tou ayay qarar-e- dil
Aaj tu itna jaan lay k
Bhollna itna aasaan tou nahin

No comments:

Popular Posts