Wednesday, June 23, 2010

angrai par angrai leti hai raat judai ki


angrai par angrai leti hai raat judai ki
tum kya samjo tum kya jano baat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behtey darya mein
mein ne ankh jhuki dekhi hai ajj kissi harjai ki

wasl ki raat na janey kyoon israr tah unko jane par
waqt se pehley doob gaye taroon ne bari danai ki

urtey urtey aas ka punchi door ufaq mein doob gaya
rotey rotey baith gayi awaz kisis saudai ki!

No comments:

Popular Posts