Wednesday, June 23, 2010

utri ajeeb roshniyaan raat khawab mein


utri ajeeb roshniyaan raat khawab mein
kya kay na aks tair rahe the sharab mein

kab se hein ek harf pe nazrein jami houiin
wo par raha hoon jo nhin likha kitaab mein

phir tareeki ki khawab se chaunkaa hai rasta
phir roshni se dor gayi hai shahaab mein

pani nhin ke apney hi cherey ko dekh loon
manzar zameen ke doondta hoon mehtaab mein

kub tak rahe ga rooh pe pairhaan_e_badan
kab tak hava aeer rahegi hubaab mein

jiney ke saath maut ka dar hai laga houa
khooshki dikhayi de hai samunder ko khawab mein

ek yaad hai ki cheen rahi hai laboon se jaam
ek aks hai ke kaanp raha hai sharab mein

No comments:

Popular Posts