Wednesday, June 23, 2010

sochti aur jagti sansoon ka dariya hoon mein


sochti aur jagti sansoon ka dariya hoon mein
apna gham_ghasta kinaroon ke liye bahata hoon mien

jul gaya sara badun in mosmoon ki aag mein
ek mosam rooh ka hai jis mein ab zinda hoon mein

mere hontoon ka tabasam de gaya dokha tujhe
tu ne muj ko baag jana dekh le sehra hoon mein

dekhiye meri pazirai ko ab ata hai kon
lamha bhar ko waqt ki dehleez par aya hoon mein

No comments:

Popular Posts