Friday, December 24, 2010

Khushboo Ki Poshaak Pehn Kar Kon Gali Mai Aaya Hai!


Khushboo Ki Poshaak Pehn Kar

Kon Gali Mai Aaya Hai!

Kaisa Yeh Pegham-Rasan Hai

Kiya Kiya Khabrein Laya Hai

Khirki Ke Bahir Dekho

Mosam Mere Dil Ki Baatein

Tum Se Kehne Aaya Hai

Mohabbat Ke Mosam Zamaane Ke Sab Mosamon Se Niraaley


Mohabbat Ke Mosam

Zamaane Ke Sab Mosamon Se Niraaley

Bahar-O-Khizaan In Ki Sab Se Judaa

Alag In Ka Sookha, Alag Hai Ghataa

Mohabbat Ke Khitte Ki Aab-O-Hawa

Mawra, In Anasir Se Jo

Mosamon Ke Taghaiyur Ki Bunyaad Hain

Yeh Zaman-O-Makaan Ke Kam-O-Besh Se

Aese Aazad Hain

Jese Subh-E-Azal

Jese Shaam-E-Fanaa

Shab-O-Roz-E-Aalam Ke Ahkaam Ko

Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!

Zindagi Ki Musafat Ke Anjaam Ko

Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!

Rifaaqat Ki Khushboo Se Khali Ho Jo

Yeh Koi Aesa Manzar Nahi Dekhte,

Wafa Ke Alawa Kisi Kaam Ko

Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!

Tu Kiyu Hai Udaas, Muskuraa De


Tu Kiyu Hai Udaas, Muskuraa De

Kiyu Tujh Ko Gham-E-Wafa Ne Ghera

Zangaar-E-Alam Se Dor Hi Reh

Aiena Sifat Jamal Tera

Kitni Hi Siyah Shab Ho Lekin

Kab Chaand Par Cha Saka Hai Andhera

Kab Moja-E-Roshni Thami Hai

Dariyaaon Pe Dhool Kab Jami Hai

Mai Kaise Hansun Ke Dard-E-Hasti

Hai Mere Shaoor Ka Taqaza

Halaat Ki Dhoop Meri Qismat

Aalaam Ki Raig Meri Duniya

Mai Saaya-E-Nakhl Ko Bhi Tarsun

Sehra Ki Tarah Wajood Mera

Sehraaon Mai Phool Kab Khiley Hain

Hum Dono Mai Kitne Faasley Hain

Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho


Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho

Tu Meri Talkhiyon Ka Sabab To Nahi

Teri Aankhen To Meri Hi Dam-Saaz Hain

Theen Kabhi Ajnabi Lekin Ab To Nahi

Tujh Ko Meri Musarrat Muqaddam Sahi

Tera Gham Mujh Ko Wajah-E-Tarab To Nahi

Tera Ahsaan Hai Tu Ne Mere Liye

Apni Palkon Se Raahon Ke Kaante Chuney

Khud Kari Dhoop Mai Reh Ke Mere Liye

Tu Ne Zulfon Ke Shadaab Saaye Buney

Meri Khatir Zamaane Ko Pagal Kaha

Meri Khatir Zamaane Ke Taaney Sune

Tu Meri Zindagi Hai Magar Jaan-E-Mann!

Ab Wo Ishq-O-Mohabbat Ki Rasmein Nahi

Mere Dil Mai Kaii Ghao Aese Bhi Hain

Jin Ka Darmaan Teri Dastaras Mai Nahi

Ek Gham Jis Ki Shiddat Hama-Geer Hai

Tere Bas Mai Nahi, Mere Bas Mai Nahi

Soch Maflooj Hai Halaat Ke Zindaanon Mein


Soch Maflooj Hai Halaat Ke Zindaanon Mai

Aqal Par Talkh Hawaadis Ke Giraan Talay Hain

Aagahi Sard-O-Khamosh

Munjamid Shola-E-Hosh

Zehn Par Bhoole Fasanon Ke Ghaney Jaaley Hain

Koi Aahat Bhi Nahi Dil Ke Siyah-Khaanon Mai

Qehqahey Waqt Ke Khush-Rang Shabistaanon Mai

Kitni Dil’doz-O-Ghameen Aahon Ke Rakhwaaley Hain

Aarzoo Jaam Talab

Aabroo Zehr Ba-Lab

Kitne Hi Naag Khazaanon Ne Yahan Paaley Hain

Kitne Paikar Hain Jo Dhal Jaate Hain Awanon Mai

Zindagi Rengti Hai Maut Ke Weeraanon Mai

Inqalaabat Ne Andaaz Badal Daaley Hain

Raat Din Shaam-O-Sehr

Kis Ko Jurrat Ho Magar

Naag Khud Hi To Khazaanon Ne Yahan Paaley Hain

Aag Phoolon Ne Bakheri Hai Gulistaanon Mai

Muflison! Apne Muqaddar Se Shikayat Na Karo


Muflison! Apne Muqaddar Se Shikayat Na Karo

Is Se Insaan Ke Emaan Mai Farq Aata Hai

Hum To Na-Cheez Se Bande Hain Hamen Kiya Maloom

Kon Si Baat Mai Kiya Maslihat-E-Yazdaan Hai

Kitna Gumraah-O-Gunah Gaar Hue Jaate Hain

Kiya Kaha? “Khanumaan Barbaad Hue Jaate Hain

Dam Ba Dam Aag Ke Be-Rehm Lapakte Sholey

Apne Boseeda Makaan Raakh Kiye Dete Hain

Khaak Hi Khaak Hui Jati Hai Duniya Apni

Aur Is Aatish-O-Zulmaat Ke Sailaab Mai Bhi

Marmar-O-Aahan-O-Seemaan Ki Imaaraat-E-Buland

Issi Pindaar Issi Shaan Se Asteeda Hain

Kiya Khuda Sirf Ghareebon Pe Sitm Dhaata Hai”

Theek Kehte Ho Magar Khaam Aqaaid Walo

Hum To Taqdeer Ke Bande Hain Hamen Kiya Maloom

Kon Si Baat Mai Kya Maslihat-E-Yazdaan Hai

Aur Phir Apni Shikayat Se Bhi Kya Hota Hai

Wohi Hota Hai Jo Manzoor-E-Khuda Hota Hai

Tumhara Kehna Hai Tum Mujhe Be-Panah Shiddat Se Chahte Ho


Tumhara Kehna Hai

Tum Mujhe Be-Panah Shiddat Se Chahte Ho

Tumhari Chahat

Wisaal Ki Akhri Hadon Tak

Mere Faqat Mere Naam Hogi

Mujhe Yaqeen Hai

Mujhe Yaqeen Hai

Magar Qasm Khane Wale Larke!

Tumhari Aankhon Mai Ek Til Hai!

Itne Ache Mosam Main


Itne Ache Mosam Mai

Roothna Nahi Acha

Haar Jeet Ki Baatein

Kal Pe Hum Uthaa Rakhen

Aaj Dosti Kar Len!

Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye


Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye

Nanhi Si Khushi Ke Badle

Haan Kon Se Zakhm Na Khaaye

Thori Si Hansi Ke Badle

Zakhmon Ka Kon Shumaar Kare

Yaadon Ka Kaise Hisaar Kare

Aur Jeena Phir Se Azaab Kare

Us Waqt Ka Kon Hisaab Kare

Wo Waqt Jo Tujh Bin Beet Gaya!

Us Ne Mere Haath Mai Baandha Ujla Kangan Baile Ka


Us Ne Mere Haath Mai Baandha

Ujla Kangan Baile Ka

Pehle Pyaar Se Thami Kalaai

Baad Us Ke Holey Holey Pehnaaya

Gehna Phoolon Ka

Phir Jhuk Kar Haath Ko Choom Liya!

Phool To Aakhir Phool Hi The

Murjhaa Hi Gaye

Lekin Meri Raatein Un Ki Khushboo Se Ab Tak Roshan Hain

Baanhon Par Wo Lams Abhi Tak Taza Hai

(Shaakh-E-Sanobar Par Ik Chand Damakta Hai!)

Phool Ka Gehna

Prem Ka Kangan

Pyaar Ka Bandhan

Ab Tak Mere Yaad Ke Haath Lipta Hua Hai!

Mere Dil Mere Musaafir Hua Phir Se Hukm Saadir


Mere Dil Mere Musaafir

Hua Phir Se Hukm Saadir

Ke Watan-Badar Hon Hum Tum

Den Gali Gali Sadaaen

Karen Rukh Nagar Nagar Ka

Ke Suragh Koi Paayen

Kisi Yaar-E-Naamabar Ka

Har Ik Ajnabi Se Poochen

Jo Pata Tha Apne Ghar Ka

Sar-E-Koo-E-Nashanayaan

Hamen Din Se Raat Karna

Kabhi Is Se Baat Karna

Kabhi Us Se Baat Karna

Tumhen Kiya Kahun Ke Kiya Hai

Shab-E-Gham Buri Balaa Hai

Hamen Ye Bhi Tha Ghaneemat

Jo Koi Shumaar Hota

Hamen Kiya Bura Tha Marna

Agar Ek Baar Hota!

Woh Log Bohot Khush-Qismat The


Woh Log Bohot Khush-Qismat The

Jo Ishq Ko Kaam Samajhte The

Ya Kaam Se Aashiqi Karte The

Hum Jeete Jee Masroof Rahe

Kuch Ishq Kiya, Kuch Kaam Kiya

Kaam Ishq Ke Aarey Aata Raha

Aur Ishq Se Kaam Ulajhta Raha

Phir Aakhir Tang Aa Kar Hum Ne

Dono Ko Adhoora Chor Diya

Dasht-E-Tanhaaii Mai Ae Jaan-E-Jahan Larzaan Hain


Dasht-E-Tanhaaii Mai,

Ae Jaan-E-Jahan Larzaan Hain

Teri Awaaz Ke Saaye,

Tere Honton Ke Saraab

Dasht-E-Tanhaaii Mai Doorii Ke Khass-O-Khaak Talay,

Khil Rahe Hain Tere Pehlu Ke Saman Aur Gulaab

Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se,

Teri Saans Ki Aanch,

Apni Khushboo Mai Sulagtii Hui,

Madham Madham

Door Ufaq Paar Chamakti Hui,

Qatra Qatra,

Gir Rahi Hai Teri Dil-Daar Nazar Ki Shabnam

Iss Qadar Piyar Se,

Ae Jaan-E-Jahan Rakha Hai,

Dil Ke Rukhsaar Pe Iss Waqt,

Teri Yaad Ne Haath

Yun Gumaan Hota Hai,

Garchay Hai Abhi Subh-E-Firaaq,

Dhal Gaya Hijr Ka Din,

Aa Hi Gaii, Wasl Ki Raat

Bol Ke Lab Aazad Hain Tere


Bol Ke Lab Aazaad Hain Tere,

Bol Zubaan Ab Tak Teri Hai,

Tera Sutawaan Jism Hai Tera,

Bol Ke Jaan Ab Tak Teri Hai,

Dekh Ke Aahangar Ki Dukaan Mai,

Tund Hain Sholey Surkh Hai Aahan,

Khulne Lage Quffalon Ke Dahaane,

Phela Har Ek Zanjeer Ka Daaman,

Bol Yeh Thora Waqt Bohot Hai,

Jism-O-Zabaan Ki Maut Se Pehle,

Bol Ke Sach Zinda Hai Ab Tak,

Bol Jo Kuch Kehna Hai Keh Le

Raat Ka Pichla Pehr Hai Maatmi Malboos Orhe


Raat Ka Pichla Pehr Hai

Maatmi Malboos Orhe

Dard Ki In Waadiyon Se

Wehshaton Ke Raaste Se

Larkharaati

Dagmagaati

Baal Khole

Bain Karti

Chandni Ko Sath Le Kar

Meri Janib Chal Pari Hai

Aa Rahi Hai

Teri Yaad

Tumhe Janaa Ijazat Hai Ke In Taareek Raahon Par


Tumhe Janaa Ijazat Hai

Ke In Taareek Raahon Par

Thakan Si Khud Mai Pao To

Andheron Se Kabhi Dil Dol Jaye

Thak Si Jao To

Mere Jalte Hue Lamhon

Mere Kangaal Hathon Se Chura Ke Apne Hathon Ko

Fiza Ki Naghmagi Se Tum Naye Geeton Ko Chun Lena

Haseen Palkon Ki Nokon Par Naye Kuch Khuwab Bun Lena

Koi Gar Pooch Le Mera To Us Se Zikr Mat Karna

Mere Jeewan Ki Tapti Dopehr Se Be-Gharz Ho Kar

Tum Apni Chandni Raaton Mai Jugnoo Paalti Rehna

Meri Tanhaaiyon Ki Wehshaton Ki Fikr Mat Karna

Tumhen Is Ki Ijazat Hai

Mere Sab Khat Jala Dena

Mere Tohfon Ko Dariya Mai Bahana Ya Daba Dena

Meri Har Yaad Ko Dil Se Khurachna Aur Mita Dena

Tumhen Bilkul Ijazat Hai

Ke Jab Chaho Bhula Dena

Magar Itni Guzarish Hai

Agar Aesa Na Ho Janaa

To acha hai……..!

Pehle Mere Khat Ke Us Ne Ik Anjaane Khauf Se Dar Kar


Pehle Mere Khat Ke Us Ne

Ik Anjaane Khauf Se Dar Kar

Tukrye Tukrey Kar Daley

Ab

Ek Haseen Ahsaas Ke Taabay

Jis Ka Koi Naam Nahi

Pichle Kitne Hi Ghanton Se

Darwaaze Ki Ott Mai Chup Kar

Tukrey Jorr Rahi Hai…………Pagal

Mujhe Har Kaam Se Pehle Sehr Se Sham Se Pehle


Mujhe Har Kaam Se Pehle

Sehr Se, Sham Se Pehle

Yahi Ek Kaam Karna Hai

Tumhara Naam Lena Hai

Tum Hi Ko Yaad Karna Hai

Ke Jab Bhi Dard Peena Hai

Ke Jab Bhi Zakhm Seena Hai

Gham-E-Duniya Se Ghabra Kar

Mujhe Jab Jaam Lena Hai

Tumhara Naam Lena Hai

Tum Hi Ko Yaad Karna Hai

Tumhari Yaad Hai Dil Mai

Ke Ik Sayyaad Hai Dil Mai

Koi Barbaad Hai Dil Mai

Usay Abad Karna Hai

Tumhara Naam Lena Hai

Tum Hi Ko Yaad Karna Hai

Mujh Se Wo Aksar Kehti Thi


Mujh Se Wo Aksar Kehti Thi

Meri Bas Itni Khuahish Hai

Kuch Aese Pehchani Jaaon

Aap Ke Naam Se Jani Jaaon!

Jo meri aankhon se khuwab dekho


Jo meri aankhon se khuwab dekho

To ek shab bhi na so sako ge

Ke laakh chaho na hans sako ge

Hazar chaho na ro sako ge

Ke khuwab kiya hain azaab hain yeh

Mere dukhon ki kitaab hain yeh

Rifaaqaten in mai chot’ti hain

Mohabbaten in mai roothti hain

Panapti hain in mai wehshaten si

Azeeayaten in mai phoot’ti hain

Inhi ke dar se khizaan hain jazbe

Inhi se shaakhen si toot’ti hain

Ghamon ki bandish hain khuwab mere

Dukhon ki barish hain khuwab mere

Ubal raha hai dukhon ka laawa

Raheen-e-aatish hain khuwab mere

Khayal saare jhulas gaye hain

Sulagti khuwahish hain khuwab mere

Ukharti saansen hain zindagi ki

Lahoo ki saazish hain khuwab mere

Jo meri aankhon se khuwab dekho

To ek shab bhi na so sako ge

Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi


Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi

Bas Yeh Kehne

Janaa!

Mere Saare Khat Lauta Do

Sab Tasweeren, Qalam, Kitaaben

Wapis Kar Do Saare Tohfay

Mujh Se Sab Kuch Maangne Wali

Jate Jate

Mere Kamrey Ki Chokhat Par

Chor Gai Hai

“Apna Aap”

Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain?


Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain?

Dil Ki Qabron Pe Pare......

Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare

Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain?

Dard Ki Palkon Se Lipte Hue

Ghabraaye Hue

Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain?

Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti

Tum Ne Dekha Hai Mujhe?

Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe?

Be-Tahasha Hai Tujhe Yaad Kiya


Be-Tahasha Hai Tujhe Yaad Kiya

Aur Bhulaaya Bhi Bohot Hai Tujh Ko

Sari Ronaq Hi Tere Dum Se Hai

Aur Tere Bikhre Hue Gham Se Hai

Jis Qadar

Mai Ne Ta’aluq Tera Mehsoos Kiya

Itni Gehraai To Roohon Mai Hua Karti Hai

Itni Yaktaai Kahan Milti Hai

Faasley Wuqat’ten Kho Bethe Hain

Doorian Pheeki Pareen

Itni Shiddat Se Tujhe Socha Hai

Itni Shiddat Se Tujhe Chaha Hai

Shiddatein Ishq Ki Meraaj Hua Karti Hain

Teri Nigah Ke Jaadoo Bikhartey Jate Hain




Teri Nigah Ke Jaadoo Bikhartey Jate Hain
Jo Zakhm Dil Ko Miley The Wo Bhartey Jate Hain

Tere Baghair Wo Din Bhi Guzar Gaye Akhir
Tere Baghair Yeh Din Bhi Guzarty Jate Hain

Liye Chalo Mujhe Dariya-E-Shauq Ki Maujon!
Ke Humsafar To Mere Paar Utartey Jate Hain

Tamam Umr Jahan Hanstey Kheltey Guzri
Ab Us Gali Mai Bhi Hum Dartey Dartey Jate Hain

Mai Khuwahishon Ke Gharondey Banaaye Jata Hun
Wo Mehnatein Meri Barbaad Kiye Jate Hain

Koi Surat Aashna Apna Na Begana Koi


Koi Surat Aashna Apna Na Begana Koi
Kuch Kaho Yaaron Yeh Basti Hai Ke Weerana Koi

Subha-Dum Dekha To Sara Bagh Tha Gul Ki Tarah
Shama Ke Taaboot Par Roya Na Parwaana Koi

Khilwaton Mai Roye Gi Chup Chup Ke Laila-E-Ghazal
Is Bayabaan Mai Na Ab Aye Ga Deewaana Koi

Hum-Nasheen Khamosh, Deewarein Bhi Sunti Hain Yahan
Raat Dhal Jaye To Phir Chairenge Afsaana Koi

Yeh Hum Jo Hijr Mai Deewar-O-Dar Ko Dekhte Hain


Yeh Hum Jo Hijr Mai Deewar-O-Dar Ko Dekhte Hain
Kabhi Saba Ko Kabhi Nama’bar Ko Dekhte Hain

Wo Aaen Ghar Mai Hamare Khuda Ki Qudrat Hai
Kabhi Hum Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain

Nazar Lage Na Kahin Us Ke Dast-O-Zaboo Ko
Yeh Log Kiyu Mere Zakhm-E-Jigar Ko Dekhte Hain

Tere Jawahir-E-Taraf-E-Kala Ko Kiya Dekhen
Hum Uuj-E-Talaa-E-Laal-O-Gohar Ko Dekhte Hain

Tere To Sun Ko Saba Bandhte Hain


Tere To Sun Ko Saba Bandhte Hain
Hum Bhi Mazmoon Ki Ki Hawa Bandhte Hain

Aah Ka Kis Ne Asar Dekha Hai
Hum Ik Apni Hawa Bandhte Hain

Teri Fursat Ke Muqabil Aey Umar
Barq Ko Paa Ba Hina Baandhte Hain

Qaid-E-Hasti Se Rihaaii Maaloom
Ashk Ko Be-Sar-O-Paa Baandhte Hain

Ghalti Haye Mazameen Mat Pooch
Log Naaley Ko Rasa Baandhte Hain

Ahl-E-Tadbeer Ki Wamandgiyaan!
Aablon Par Bhi Hina Baandhte Hain

Saada Pur’kaar Hain Khoobaan, Ghalib
Hum Se Paimaan-E-Wafa Baandhte Hain

Mehrbaan Ho Ke Bula Lo Mujhe, Chaho Jis Waqt


Mehrbaan Ho Ke Bula Lo Mujhe, Chaho Jis Waqt
Mai Gaya Waqt Nahi Hun Ke Phir Aa Bhi Na Sakoon

Zef Mai Taana-E-Aghyaar Ka Shikwa Kiya Hai
Baat Kuch Sar To Nahi Hai Ke Utha Bhi Na Sakoon

Zehr Milta Hi Nahi Mujh Ko, Sitam’gar! Warna
Kiya Qasm Hai Tere Milne Ki Ke Kha Bhi Na Sakoon

Kehte Ho Na Deinge Hum, Dil Agar Para Paya


Kehte Ho Na Deinge Hum, Dil Agar Para Paya
Dil Kahan Ke Gum Kejiye Hum Ne Mudda Paya

Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Maza Payaa
Dard Ki Dawa Paai, Dard-E-Be’dawa Paya

Dost-Daar Dushman Hai, Etimaad-E-Dil-E-Maaloom!
Aah Be-Asar Dekhi, Nalaa Na’rasa Paya

Saadgi-O-Pur’kaari, Be-Khudi-O-Hoshiyari
Husn-O-Taghaful Mai Jurrat Aazma Payaa

Ghunchaa Phir Laga Khilne, Aaj Hum Ne Apna Dil
Khoon Kiya Hua Dekha, Gum Kiya Hua Payaa

Haal-E-Dil Nahi Maloom, Lekin Is Qadar Yaani
Hum Ne Bar’ha Dhoondha, Tum Ne Bar’ha Chaha

Shor-E-Pind-E-Naseehat Ne Zakhm Par Namak Chirkaa
Aap Se Koi Pooche, Tum Ne Kiya Maza Payaa?

Karta Hun Jamaa Mai To Bikharti Hai Zaat Aur


Karta Hun Jamaa Mai To Bikharti Hai Zaat Aur
Baqi Hai Kitni Ae Mere Maula, Yeh Raat Aur

Leti Hai Jalti Shaam Bhi Bujhne Mai Kuch To Waqt
Hai Aadmi Sa Koi Kahan Be-Sabaat Aur

Selaab Jese Leta Hai Deewar Ke Qadam
Karta Hai Gham Bhi Dil Se Koi Vaardaat Aur

Yun To Hazoor-E-Paak(Saw) Ke Laakhon Hain Madah-Khuaah
Taaib Si Likh Raha Hai Magar Kon Naat Aur

Mazhar, Azal Ke Husn Ke Amjad Hain Be-Shumaar
Lekin Jo Dekhiye To Hai Barish Ki Baat Aur

Teri baatain hi sunaane aaye


Teri baatain hi sunaane aaye

Dost bhi dil hi dukhaane aaye

Phool khiltey hain to hum sochte hain

Tere aane ke zamaane aaye

Aesi kuch chup si lagi hai jese

Hum tujhe haal sunaane aaye

Ajnabi dost hamen dekh keh hum

Kuch tujhe yaad dilaane aaye

Dil dharakta hai safar ke hangaam

Kaash phir koi bulaane aaye

Ab to rone se bhi dil dukhta hai

Shayad ab hosh thikaane aaye

So raho maut ke pehloo mai Faraz

Nend kis waqt naa-jaane aaye

Kuch aese hum ne kharabey basaey shehron mai


Kuch aese hum ne kharabey basaey shehron mai

Jo dasht wale the wo bhi uth aaye shehron mai

Hamari saada-lohi dekhiye keh dhondhte hain

Hum apne des ki baatein paraye shehron mai

Kuch is tarah se har ik baam-o-dar ko dekhte hain

Zamaane baad koi jese aaye shehron mai

Qadam qadam pe hue talkh tajarbe phir bhi

Humen hayat ke gham khench laye shehron mai

Hawa na do keh yeh jungle ki aag hai yaaron

Ajab nahi hai keh agar phel jaye shahron mai

Faraz hum wo ghazalaan-e-dasht-o-sehra hain

Aseer kar ke jinhen log laaye shehron mai

Kiya rukhsat-e-yaar ki ghari thi


Kiya rukhsat-e-yaar ki ghari thi

Hansti hui raat ro pari thi

Hum khud hi hue tabah warna

Duniya ko hamari kiya pari thi

Yeh zakham hain un dinon ki yaaden

Jab aap se dosti bari thi

Jaate to kidhar ko tere wehshi

Zanjeer-e-junoon kari pari thi

Gham the keh Faraz aandhiyan theen

Dil tha keh Faraz pankhari thi

Jin ke dam se theen bastiyan aabad


Jin ke dam se theen bastiyan aabad

Aaj wo log hain kahan aabad

Jal rahe hain hare bhare gulzaar

Gham hua hain kahan kahan aabad

Keh rahi hai shakastagi dil ki

Tha makeenon se yeh makaan aabad

Hum ne dekhi hai gosha-e-dil mai

Ek duniya-e-be-karaan aabad

Chand manazir ujaarne walo

Ho rahe hain kaii jahan aabad

Ghar jala kar naa ro mohabbat mai

Yeh to hota hai khanama aabad

Kitne taare Faraz toot chuke

Hai abhi tak yeh khakdaan aabad

Har shaakh chaman ki jal rahi hai


Har shaakh chaman ki jal rahi hai

Kiya baad-e-muraad chal rahi hai

Hum hain keh fareb kha rahe hain

Duniya hai ke chaal chal rahi hai

Yun dil mai hai teri yaad jese

Weeraane mai aag jal rahi hai

Rukh pher liya hai jab se tu ne

Duniya ki nazar badal rahi hai

Dar’pesh hai aaj bhi wo surat

Jo surat-e-haal kal rahi hai

Itni bhi Faraz bad-dili kiya

Sambhlo! Keh fiza badal rahi hai

Gawara bhi sahi jo dukh tere hain


Gawara bhi sahi jo dukh tere hain

Magar hum ko kai gham dosre hain

Ajab ahl-e-chaman ke din phire hain

Baharon ke bagoolon mai ghire hain

Watan mai waza’daari ne naa chora

Paraye shehr hum dar dar phire hain

Samaye phir na duniya ki nazar mai

Na-jaane kis bulandi se gire hain

Ghaneemat hai jo hans ke baat kar len

Humen mat chairiye hum sar-phire hain

Jo duniya ke hue wo sakht roye

Khusha wo log jo ab tak tere hain

Faraz aaj ittifaqan mil gaye the

Yeh sahib bhi to deewane nire hain

Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii


Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii

Mehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Huii

Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun

Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ki Saath Kheli Huii

Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur Se

Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii

Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta Raha

Mai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii

Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi Gai

Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii

Dil Pe Ik Turfa Qayamat Karna


Dil Pe Ik Turfa Qayamat Karna

Muskuratey Hue Rukhsat Karna

Achi Aankhen Jo Mili Hain Us Ko

Kuch To Lazim Hua Wehshat Karna

Jurm Kis Ka Tha, Saza Kis Ko Mili

Kiya Gai Baat Pe Hujjat Karna

Kon Chahe Ga Tumhen Meri Tarah

Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna

Ghar Ka Darwaaza Khula Rakha Hai

Waqt Mil Jaye To Zehmat Karna

Us ke hathon se jo khushboo-e-hina aati hai


Us ke hathon se jo khushboo-e-hina aati hai

Aesa lagta hai ke jannat se hawa aati hai

Choomne daar ko kis dhaj se chala hai koi

Aaj kis naaz se maqtal mai qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se tere jesa sulook

Haath uthte hi yahi lab pe dua aati hai

Tere gham ko yeh barhana nahi rehne deti

Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehre ki tamazat bhi hai shamil is mai

Aaj tapti hui sawan ki ghata aati hai

Ghoomne jab bhi tere shehr mai jati hai wafa

Bain karti hui wapas wo sada aati hai

Hai wohi baat har ik lab pe bohot aam yahan

Hum se jo kehte hue un ko haya aati hai

Teri Janib Agar Chale Hote


Teri janib agar chale hote

Hum nay un dar-badar hue hote

Sari duniya hai meri muthi mai

Kon aega ab tere hote

Aur ab kiyu nahi nibhate tum

Itne wade nahi kiye hote

Paa liya mai ne sari duniya ko

Koi khuwahish nahi tere hote

Us ki aankhon mai baar pane ko

Kaash hum khuwab ban gaye hote

Meri Wafa Ne Khilaye The Jo Gulaab Saare Jhulas Gaye Hain


Meri Wafa Ne Khilaye The Jo Gulaab Saare Jhulas Gaye Hain

Tumhari Aankhon Mai Jis Qadar The Wo Khuwab Saare Jhulas Gaye Hain

Meri Zameen Ko Kisi Naye Haadsey Ka Hai Intizar Shayad

Gunah Phalne Lage Hain Ajr-O-Sawab Saare Jhulas Gaye Hain

Jo Tum Gaye To Meri Nazar Pe Haqeeqaton Ke Azaab Utre

Yeh Sochta Hun Ke Kiya Karun Ga Saraab Saare Jhulas Gaye Hain

Yeh Mojza Sirf Ik Shab Ki Musafaton Ke Sabab Hua Hai

Tumhare Aur Mere Darmiyan Ke Hijaab Saare Jhulas Gaye Hain

Usay Batana Ke Us Ki Yaadon Ke Saare Safhey Jala Chuka Hun

Kitaab-E-Dil Mai Raqam The Jitne Wo Baab Saare Jhulas Gaye Hain

Nazar Uthaaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton Ke

Yeh Kiya Ke Mere Naseeb Ke Mahtaab Saare Jhulas Gaye Hain

Tumhari Nazron Ki Yeh Tapish Hai Ke Mere Lafzon Pe Aablay Hain

Sawal Saare Jhulas Gaye Hain Jawab Saare Jhulas Gaye Hain

Yeh Aag Khamoshiyon Ki Kaisi Tumhari Aankhon Mai Tairti Hai

Tumhare Honton Pe Darj The Jo Nisaab Saare Jhulas Gaye Hain

Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urre Chand Ko Kiya Khabar


Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urre Chand Ko Kiya Khabar

Kitna Maatam Hua Kitne Aansu Bahe Chand Ko Kiya Khabar

Muddaton Us Ki Khuwahish Mai Chalte Rahe Haath Aata Nahi

Chah Mai Is Ki Pairon Mai Hain Aablay Chand Ko Kiya Khabar

Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakte Rahe Hain Musafir Kai

Aur Lut’te Rahe Hain Kai Qaaflay Chand Ko Kiya Khabar

Wo To Apni Nagri Mai Madhosh Hai Kab Se Khamosh Hai

Kon Raja Bana Kitne Syed Lutey Chand Ko Kiya Khabar

Is Ko Daawa Bohot Meethe-Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho

Is Ki Kiranon Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chand Ko Kiya Khabar

Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par


Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par

Naam Tera Nahi Likh Saka Rait Par

Kis Ki Awaz Se Tham Gaye Hain Qadam

Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sada Rait Par

Us Ki Aankhon Se Sholay Nikalte Rahe

Naachti Reh Gai Kal Ghata Rait Par

Tu Ne Jo Bhi Hawa Se Kaha Reh Gaya

Mit Gaya Mai Ne Jo Bhi Likha Rait Par

Ab Yeh Sehra Hi Tere Muqaddar Mai Hain

Tu Ne Maangi Hi Kiyu Thi Dua Rait Par

Ek Shola Utha Us Jaga Se WASI

Mera Aansu Jahan Gir Gaya Rait Par

Aaj yun mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khabar


Aaj yun mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khabar

Phoot kar rone lage hain mai, mohabbat aur tum

Hum ne jun hi kar liya mehsoos manzil hai qareeb

Raaste khone lage hain mai, mohabbat aur tum

Chand ki kiranon ne hum ko is tarah bosaa diya

Dewta hone lage hain mai, mohabbat aur tum

Dhar gaya ilzaam jab se apni hurmat par koi

Barishen dhone lage hain mai, mohabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastanen ourh kar

Khaak mai sone lage hain mai, mohabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi, aawaz bhi, alfaaz bhi

Khaamshi dhone lage hain mai, mohabbat aur tum

Kaha Mai Ne Kahan Ho Tum


Kaha Mai Ne Kahan Ho Tum

Jawab Aya Jahan Ho Tum

Mere Jeewan Se Zahir Ho

Mere Gham Mai Nihaan Ho Tum

Meri To Sari Duniya Ho

Mera Sara Jahan Ho Tum

Meri Sochon Ka Mehwar Ho

Mera Zor-E-Bayan Ho Tum

Mai Hun Lafz Mohabbat Hon

Magar Meri Zubaan Ho Tum

Is Ghareebi Mai Guzara Nahi Hota Maula


Is Ghareebi Mai Guzara Nahi Hota Maula

Ghaib Se Koi Ishara Nahi Hota Maula

Mujh Ko Hijrat Ki Koi Raah Sujha Himmat De

Mujh Se Yeh Shehr Gawara Nahi Hota Maula

Jab Mai Ghar Jata Hun Amboh-E-Masaib Mai Kabhi

Tujh Bina Koi Sahara Nahi Hota Maula

Sochta Hun To Har Ik Simt Samandar Hi Miley

Dekhta Hun To Kinara Nahi Hota Maula

Kuch Na Kuch Phir Bhi Kami Rehti Hai

Chand Hota Hai Sitara Nahi Hota Maula

Gham-naak Samandar Mai Kinare Na Bichartey



Gham-naak Samandar Mai Kinare Na Bichartey

Tum Bichrey The Yaadon Ke Sahare Na Bichartey

Mai Teri Judai Ka Sitm Jhail Hi Leta

Us Raat Agar Chand Sitare Na Bichartey

Ik Doojey Se Kuch Dard Ki Taqseem To Rehti

Jeewan Mai Agar Dard Ke Maare Na Bichartey

Har Rang Mai Hai Illat-o-Maalool Zaroori

Ankhen Na Bicharteen To Nazare Na Bichartey

Issi Torr Se Yaadon Ki Bhi Surat Nikal Aati

Hum Bhool Gaye Hote Jo Pyaare Na Bichartey

rait se butt na bana ay mere ache fankar


rait se butt na bana ay mere ache fankar
ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la dun
main tere samne ambar laga dun lekin
kaun se rang ka patthar tere kam ayega
surkh patthar jise dil kahti hai bedil duniya
ya wo pattharai hui ankh ka nila patthar
jis main sadiyon k tahayyur ke pare hon dore

kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi
jis pe haq bat bhi patthar ki tarah girati hai
ik wo patthar hai jise kahte hain tahazib-e-safed
us k marmar main siyah Khun jhalak jata hai
ik insaf ka patthar bhi to hota hai magar
hath main tesha-e-zar ho to wo hath ata hai

jitne mayar hain is daur ke sab patthar hain
sher bhi raqs bhi tasvir-o-gina bhi patthar
mere ilham tera zahan-e-rasa bhi patthar
is zamane main har fan ka nishan patthar hai
hath patthar hain tere meri zuban patthar hai
rait se butt na bana ay mere ache fankar

mujhe kal mera ek sathi mila


mujhe kal mera ek sathi mila
jis ne ye raz khola
ke 'ab jazba-o-shauq ki wahshaton ke zamane gaye'
phir wo ahista-ahista charon taraf dekhta
mujh se kahne laga
'ab bisat-e-muhabbat lapeto
jahan se bhi mil jaye daulat - sameto
garz kuch to tahzib sikho'

Teri bewafion par mar jany ko ji chahy


~**~ Teri bewafion par mar jany ko ji chahy Faraz~**~
~**~ Tuj main wafa hoti too kiaa hoota ~**~

Popular Posts