Sunday, December 12, 2010

meri jaan wapsi ka aik rasta rakhna perta hai


meri jaan wapsi ka aik rasta rakhna perta hai
taluk toot bhi jae tu rishta rakhna perta hai

jinhain hum dil ki gehraion se sacha piyar kerte hain
jab un se baat ho tu khaas lehja rakhna perta hai

humari rooh ki hiddat ko jo na serd perne de
humain apne badan main esa shola rakhna perta hai

tujhe ger apni batain na sunaon!tu kahan jaon?
k tere samne iss dil ka shisha rakhna perta hai

sada aabad rakhe jo teri yadon ko iss dil main
k ane saath ik esa bhi lemha rakhna perta hai

humare dil main chahe chand jesi lakhon galian hon
andhere k liy bhi aik rasta rakhna perta hai

bhale jitne bhi dukh,jitne bhi gham hum ko milain
mizaj apna her ik soorat shugufta rakhna perta hai

Ek rishta jo abhi ban raha tha


Ek rishta jo abhi ban raha tha ,
Tutne laga magar banne se pahle.

Ek sahare se uthate the ham,
Gir gaye magar sambhalne se pahle.

Sikhane lage the aap se muskurana,
Rula diya magar hasne se pahle.

Kadam jo badhen aap ki disha me,
Ruk gaye wahi chalne se pahle.

Magne ke liye kuchh jo jholi phailai,
Khich liya haath kuchh dene se pahle.

Hamne jo jalaye ummido ke chirag,
Bujh gaye magar jalne se pahle.

Kya yahi arth hota hai rishto ka?
Tutana hota hai inhe banne se pahle

Kal Zehen Mein Hum Baad-Saba Dhundte Rahe


Kal Zehen Mein HuM Baad-Saba Dhundte Rahe,
Bichhad Kar Tujhse, Tera Pata Dhundte Rahe,

Jo Dekha Bhi Kisiko, Dekha Tere Tasavvur Mein,
HuM Chehron Mein Chehra Tera Dhundte Rahe,

Jo Baat Bhi Ki Kisise To, Ke Tera Hawale Se,
HuM Lehjo Mein Lehja Tera Dhundte Rahe,

Meri Deewangi Mein Kuch Kasoor Mera To Na Tha,
TaMaaM Kisse Mein HuM Apni Khata Dhundte Rahe,

Kabhi Kho Kar Paya Tujhko, Kabhi Paake Khoya,
Teri Jafaon Mein HuM Apni Wafa Dhundte Rahe...

zulmat kade mein mere shab-e-Gham kaa josh hai


zulmat_kade me.n mere shab-e-Gham kaa josh hai
ik shammaa hai daliil-e-sahar, so Khamosh hai

naa muzdaa-e-visaal na nazzaaraa-e-jamaal
muddat huii ki aashtii-e-chashm-o-gosh hai

mai ne kiyaa hai husn-e-Khud_aara ko be_hijaab
ae shauq yaa.N ijaazat-e-tasliim-e-hosh hai

gauhar ko ikd-e-gardan-e-Khubaa.N me.n dekhanaa
kyaa auj par sitaaraa-e-gauhar_farosh hai

diidaar, vaadaa, hausalaa, saaqii, nigaah-e-mast
bazm-e-Khayaal maikadaa-e-be_Kharosh hai

ae taazaa vaaridan-e-bisaat-e-havaa-e-dil
zi.nhaar gar tumhe.n havas-e-na-o-nosh hai

dekho mujhe jo diidaa-e-ibarat_nigaah ho
merii suno jo gosh-e-nasiihat_niyosh hai

saaqii ba_jalvaa dushman-e-imaa.N-o-aagahii
mutarib ba_naGmaa rahazan-e-tamkiin-o-hosh hai

yaa shab ko dekhate the ki har goshaa-e-bisaat
daamaan-e-baaGabaa.N-o-kaf-e-gul_farosh hai

lutf-e-Khiiraam-e-saaqii-o-zauq-e-sadaa-e-cha.ng
ye jannat-e-nigaah wo firdaus-e-gosh hai

ya subh dam jo dekhiiye aakar to bazm me.n
naa vo suruur-o-soz na josh-o-Kharosh hai

daaG-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kii jalii huii
ik shammaa rah gaii hai so vo bhii Khamosh hai

aate haiN Gaib se ye mazaamii.N Khayaal me.n
‘Ghalib’, sariir-e-Khaamaa navaa-e-sarosh hai

apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hy


apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hy,
pather beech aina rkhna kitna mushkil hy,

kitna asaan hy tasveer bnana oron ke,
khud ko ps-e-aina rkhna kitna mushkil hy,

tum ny mander dekhy hon gy, ye mera ghar hy,
aik dia b jalta rakhna kitna mushkil hy,

apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hy,

chlu may ho dard ka daria, jan may us k ho,
yn b khud ko piasa rakhna kitna mushkil hy,

apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hy,......

Mere hamsafar teri nazar mein, mere jazba-e-dil ki yeh shiddatain


Mere hamsafar teri nazar mein, mere jazba-e-dil ki yeh shiddatain
Meri chaah meri muhabbatain, mere sajday meri ibaadatain

Woh jo saath chalne ka khwaab thaa, kaheen reh gaya, kaheen kho gaya
Kaheen khoo gaya mera hamsafar, raheen paas ab na woh chaahatain

Woh gulaab thay ke khwaab thay, tere harf harf mein khitaab thay
Tera taaza khat bhi mila magar, nahee is mein pehli si shiddatain

Mere chaand tu hi bata mujhe, kahaan hai woh mera zamaana-e-saaz
Kahaan thak ke reh gaya karvaan, kahaan reh gaeen meri sangatain

Woh jo mausamoon ka habeeb thaa, meri pyasi aankh ka khwaab thaa
Woh mujhay ab bhi azeez hai, karay dil per ab bhi hukomattain

Yeh Jo Hum Apnay Hi Dil Ki Madham Sada Se Aagey Nikal Gaye Hain


Yeh Jo Hum Apnay Hi Dil Ki Madham Sada Se Aagey Nikal Gaye Hain
Sma’atien Kho Gaien Hain Ya Phir Hawa Se Aagey Nikal Gaye Hain

Jali Hoii Sard Ungliyoun Se Sanam Kaday Kar Deye Hain Roshan
KHUDA Ke Kuch Bakmaal Banday KHUDA Se Aagey Nikal Gaye Hain

Hum Ab Kissi Azeem Chahat Ke Surkh Rastay Pe Gaamzan Hain
Muqaam E Ajar O Sawaab Guzra Saza Se Aagey Nikal Gaye Hain

Aey Husan Ke Lazwaal Sooraj Tu Ab Inhien Dhoop De Ke Chaaon
Terii Mohabbat Ke Rahii Teri A’ata Se Aagey Nikal Gaye Hain

Meray Leye Ab Yeh Teray Sajday Ye Teray Aansoo Fazool Sha’e Hain
Meri Tabahii Ke Silsilay Ab Dua Sey Aagey Nikal Gaye Hain

Raza O Tasleem Ke Karray Imtehaan Mein Aey Khaaliq E Do-Aalam
Fraat Ke Ghasibaoun Se Teray Yeh Pyasay Aagey Nikal Gaye Hain

Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal


Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal

Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koi,

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe HuM

Ye Aankhein Teri, Yaane PaiMaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,

Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain InMein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,

Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya HuMe In Aankhon Ne Teri...

Bina Tere Koi Mausam Achha Nahi Lagta


Bina Tere Koi Mausam Achha Nahi Lagta,
Nazar Ko Koi Bhi Manzar Haseen Achha Nahi Lagta,

Main Kaise Kahun Tujhse Bina Tere Bahut Khush Hoon,
Na Ho Gar Paas Tu Mujhk Kahin Achha Nahi Lagta,

Koi Dekhe Teri Janib Nahi Manzoor Ye Mujhko,
Na Ho Tujhko Is Baat Ka YaQeen Achha Nahi Lagta,

Kabhi To Haan Keh De Dilke Rakhne Ke Liye Janan,
Tera Har Baat Pe Kehna NAA Achha Nahi Lagta...

Humein Dushman Ki Nigahon Se Na Dekha Kijiye


Humein Dushman Ki Nigahon Se Na Dekha Kijiye,
Pyar Hi Pyar Hain HuM, HuM Pe Bharosa Kijiye

Chand Yaadon Ke Siwa Haath Na Kuch Aayega
Is Tarah UMr-E-Garezaa'n Ka Na Peecha Kijiye

Roshni Auro Ke Aangan Mein Gawara Na Sahi
KaM Se KaM Apne Hi Ghar Mein To Ujaala Kijiye

Kya Khabar Kab Woh Chale Aayenge Milne Ke Liye
Roz Palkon Pe Nayi ShaMMa'en Jalaya Kijiye

Ik shakhs ke kho janay ka dar kiyun nahin jata


Ik shakhs ke kho janay ka dar kiyun nahin jata
ye bojh meray dil se utar kiyun nahin jata

manzil pe puhanch ker bhi usay khona pade ga
ye tay hai to phir shauq-e-safar kiyun nahin jata

main jab bhi tarashon, tera paikar hi tarashon
ye zauq-e-nazar, ye shauq-e-hunar kiyun nahin jata

ye waqt tujhay mujh se juda kar to raha hai
ye waqt issi waqt thehar kiyun nahin jata

gar tujh se bicharnay ka hay ranj mujhay itna
tu main shiddat-e-jazbaat se mar kiyun nahin jata

Nigaah E Shoq Se Hum Ne Tumhien Eik Baar Dekha Tha


Nigaah E Shoq Se Hum Ne Tumhien Eik Baar Dekha Tha
Koii Jazba Tha Pehli Baar Jisey Be-Daar Dekha Tha

Bara Sasta Zamana Hai Yhahan Ab Log Biktey Hain
Tera Sauda Bhi Hum Ne Kal Sar-E-Bazaar Dekha Tha

Wo Jis Ke Hont Par Har Dum Sajii Muskaan Rehti Thi
Na Jaaney Kyon Usey Main Ne Bara Bezaar Dekha Tha

Roz O Shab Badalney Main Bhala Kya Dair Lagti Hai
Jo Takht O Taaj Rakhtey They Unhien La-Chaar Dekha Tha

Hum Apney Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paa’ye
Usi Ne Waar Kar Dala Jisey Gham-Khwaar Dekha Tha

Tum Apni Be-Wafaii Par Agar Naadim Nahi Ho To
Aankhon Ko Tumhaari Phir Kyon Zaiy-Re-Baar Dekha Tha

Phool Roshan Or Taroon Ko Mehakty Dekhta


Phool Roshan Or Taroon Ko Mehakty Dekhta
Kash Mein Qudrat K Rangoon Ko Badalty Dekhta

Sard Ratoon Me Pighalny Lagty Mere Jism O Jaan
Garmiyon Ki Dhoop Me Khud Ko Thatharty Dekhta

Derya K Dhary Nazar Aaty Kabhi Sehra Mujhy
Or Sehra Ko Kharri Fasalein Diboty Dekhta

Kash Boondein Perron Ki Shakhon Pe Ogti Ik Din
Kash Mein Pholon Ko Barish Me Barasty Dekhta

Dekhta Soraj Ko Apny Choolhy Me Jalty Hoey
Or Ofaq Se Bhook Ka Chehra Obharty Dekhta

Apni Aankhein Tank Deta Chand K Chehry Pe
Or Chand Ko Os Bewafa K Ghar Otarty Dekhta

Kash Meri Zindagi Me Aisa Din Ata
Os K Hathon Apny Khal o Khad Sawarty Dekhta

Tere Jalwe Ab Mujhe Har Soo Nazar Aane Lage


Tere Jalwe Ab Mujhe Har Soo Nazar Aane Lage,
Kaash Ye Bhi Ho Ke Mujh Mein Tu Nazar Aane Lage,

Ibtedaa Ye Thi Ke Dekhi Thi Khushi Ki Ek Jhalak,
Intehaa Ye Hai Ke GaM Har Soo Nazar Aane Lage,

Bekarari Badhate Badhate Dil Ki Fitrat Ban Gayi,
Shayad Ab Taskeen Ka Pehlu Nazar Aane Lage,

KhataM Karde Ab ShaaM-E-GaM Ki Daastan,
Dekh Un Aankhon Mein Bhi Aansu Nazar Aane Lage...

Guzro naa iss tarah ke tamasha nahi hoon main


Guzro naa iss tarah ke tamasha nahi hoon main
Samjho ke abb hooN aur dobaarah naheeN hooN maiN

Ik Taba’ RuNg RuNg thee, so naz’r-e-Gul Huee
Abb ye ke apnaY saath bhee rehtaa naheeN hooN maiN

Tum ne bhee meraY saath uThaaye haiN dukh bahut
Khush hooN ke Raah-e-Shoq maiN Tanhaa naheeN hooN maiN

PeechaY naa bhaag, Waqt ke aye naa shanaas Dhoop!
SaayoN ke darmiyaan hooN, Saayah naheeN hooN maiN

Jo kuch bhee hooN, maiN apni hee Soorat maiN hooN Aleem
Ghaalib naheeN, Meer-O-Yagaanaa naheeN hooN maiN

Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai


Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai
yaadon ke dareechon main chilman si sirakti hai

lauban main chingari jaisay koi rakh jai
yun yaad teri shab bhar seenay main sulagti hai

yun payar nahin chupta, palkon ke jhukanay se
aankhon ke lifafon main tehreer chamakti hai

khush rang parindon ke laut aanay ke din aaye
bichray huway miltay hain jab baraf pighalti hai

shuhrat ki bulandi bhi, pal bhar ka tamasha hai
jis daal pe baithay ho, wo toot bhi sakti hai

Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash


Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har AnjuMan Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, JaM Ghaton Ki Kashmakash...

Gar Us Mein Tha Bhi Koi Nuks Achha Lagta Tha


Gar Us Mein Tha Bhi Koi Nuks Achha Lagta Tha,
Kuch Is Tarah Mujhe Wo Shakhs Achha Lagta Tha,

Bas Ek Din Mujhe Dekha Tha Aankh Bhar Usne,
Phir Aaine Ko Mera Aks Achha Lagta Tha,

Wo Aankhon Aankhon Mein Is Pyar Se Phirati Thi,
Kitab-E-GaM Ka Har Ek Dars Achha Lagta Tha,

KalaM-E-Yaar Ki Talkhee Se Sochte Hi Na The,
KharaM-E-Yaar Ka Wo Raakhs Achha Lagta Tha,

Chura Gaya Hai Gaya WaQt ZaiQe Warna,
Hawaon Ka Bhi LiMs Achha Lagta Tha...

Usne Sab Ko Bataya Ke Bohat Udaas Hai Wo


Usne Sab Ko Bataya Ke Bohat Udaas Hai Wo,
Mujh Se Kyun Na Kaha, Ik Baar Us Ne,

Mene Jo Kaha Tha Ke Ik Baar Keh Ke Daikhtay,
Mujh Pe Kyun Na Kiya Tha Etibaar Usne,

Wo Khud To Mohabbat Ke Baray Da’way Karta Hai,
Phir Kyun Na Kiya Tha Izhaar Usne,

Wo Kehta Ha Mujhe Tera Saath Chahiye,
To Barh Ke Kyun Na Thaama Mera Haath Usne,

Wo Kehta Hai Tu Meray Dil Me Rehta Hai,
Phir Kyun Kiye Itnay Inkaar Usne,

Milo Ge Mujhe To Mill Jaye Gi Zindagi Mujh Ko,
Itna He Keh Dia Hota, Bus Ik Baar Usne.

Phir Aaj Koi Ghazal Us Ke Naam Na Ho Jaye


Phir Aaj Koi Ghazal Us Ke Naam Na Ho Jaye
Aaj Kaheen Likhtey Likhtey Sham Na Ho Jaye

Kar Raha Hon Intayzar Us Ke Izhar-e-Mohabbat Ka
Isi Intayzar Main Zindagi Tamam Na Ho Jaye

Nahi Leta Us Ka Naam Sare-e-Aam Is Dar Se
Kaheen Naam Uska Badnaam Na Ho Jaye

Mangta Hon Dua Jab Bhi Woh Yaad Aati Hai
Kay Judai Mayre Payar Ka Anjam Na Ho Jaye

Sochta Hon Darta Hon Aksar Tanhai Main
Us Kay Dil Main Kisi Aur Ka Muqam Na Ho Jaye

Jinhe Barsaat Ki Boondon Se Pyaar Ho


Jinhe Barsaat Ki Boondon Se Pyaar Ho,
Unhe Yoon Angaar Mein Bhigne Ki Zaroorat Kya Thi?

Humne To Roz Aapki Khairiyat Ki Dua Mangi Thi,
Humare Phir Baddua Mein Ibadat Nibhane Ki Zaroorat Kya Thi?

Yoon To Kai Hain Humare Aankhon Se Peene Ke Liye Bechain,
Ek Baar Tum Bhi Keh Dete Saaqi…Yoon Gairon Se Pine Ki Zaroorat Kya Thi?

Jo Huaa Ho Teri Mohabbat Mein Beghar,Jiska Koi Thikana Na Ho,
Uski Har Manzil Pe Aag Lagane Ki Zaroorat Kya Thi?

Dhoop Hai Kya Aur Saaya Kya Hai Ab Malum Hua


Dhoop Hai Kya Aur Saaya Kya Hai Ab Malum Hua,
Ye Sab Kheal Tamasha Kya Hai Ab Malum Hua,

Hansty Phool Kaa Chehra Dekhun Aur Bhar Aayi Aankh,
Apny Saath Ye Kissa Kya Hai Ab Malum Hua,

Hum Barason Ky Baad Bhi Unko Ab Tak Bhool Na Paay,
Dil Sy Unka Rishta Kya Hai Ab Malum Hua,

Sahara Sahara Pyaasy Bhataky Saari Umar Jaly,
Baadal Ka Ek Tukra Kya Hai Ab Malum Hua..!!!

Aankhon se hi Lafzon ko Ada kar dia Usne


Aankhon se hi Lafzon ko Ada kar dia Usne
Chup reh ker b Izhaar-e-Wafa kardia Usne

Haseen Bayan ka matlab jana hai Maine Aaj
Bin Janbish-e-Lab khud Bayan kar dia Usne

Chanchal si Muskurahatai’n, Aankhon mani Shokh-Pan
Apna mujhe Aseer-e-Ada kar dia Usne

Mera Dil jo kabi Misl-e-Dhoop se Mashoor tha
Lamhon main Saawan ki Hawa kar dia Usne

Laakho’n the uski Surat-o-Seerat k paristaar
Ek Mere siwa sab ko Fana kar dia Usne

Ishq mein bhi marna itna asaan nahi


Ishq mein bhi marna itna asaan nahi
zaat ko radd kerna itna asaan nahi

Mujh mein essi hi koi khami dekhi hugi uss ne
Tark-e-wafa verna itna asaan nahi

Aik dafa tu pass-e-maseeha ker jaye
Zakham ka phir bherna itna asaan nahi

Jane kab shuhrat ke zeena deh jaye
Pauoon yahaan dherna asaan nahi

Merne ki dehshat tu sab ne dekhi hai
jeene se darna itna asaan nahi.

Jeena Mera Tere Liye Tu Nahi Pass To Kya Hua


Jeena Mera Tere Liye Tu Nahi Pass To Kya Hua
Khushboo Teri Harpal Rahe Saanson Mein Meri Sada

Mein Nahi Janti Meri Manzil Kahaan Yun Hi Chalti Rahun Mein Agar
Yeh Hey Kaisa Saher Chalun Tou Safar Tera Ehsaas Hi Tou Rahega Magar

Samjhegi Na Yeh Dunya Kabhi Tere Hi Dam Sey Hey Meri Khushi
Kehte Hain Log Jise Diwangi Jane Woh Kia Hoti Hey Bekhudi

Kitni Adhoori Thi Tujhbin Tou Mein Tum Sey Mili Tou Mila Mujhko Chain
Mil Hi Gaye Hain Ab Tou Sanam Dunya Karegi Ab Kya Sitam

Haakim-e-shehar bata ! Waqt kay shikanjon ne


Haakim-e-shehar bata !
Waqt kay shikanjon ne
Khuwahishon ke pholoon ko
Noch Noch Torra hai…….

kiya yeh zulm thora hai?

Dard ke jazeeron ne
Aarzoo ke jeewan ko
Maqbroon main dala hai
Zulmaton ke deray hain…..

log sab luteray hain

Maut rooth baithi hai
Zaat Raiza Raiza hai
Zindagi tere hathon
Pamaal hai janaan……

ik sawal hai janaaan!

Kaisay maan loon jeewan?
Saans hi nahin koi
Karb karb lamhay yeh
Baar baar dastay hain……

log hum pe hanstay hain

Taar Taar Aanchal hai
Dard Dard jeewan hai
Shabnami si palkain hain

Qurb hai na doori hai ….

Zindagi adhooori hai

Ab yaqeeen aaya hai ….

Maut bhi zaroori hai…!

Bahut masroof lamhon mein


Bahut masroof lamhon mein,
kabhi Ek pal ko soocho to,
koi kitna akela hai,
kisi ki zindagi tum ho,
kisi ki bandagi tum ho,
kisi ko teri khuwahish hai,
kisi ki chahtein tum ho,
kabhi Ek pal ko soocho to,
tumhari laa’parwahi ny,
tumhari be’niazi ny,
kisi ko maar dala hai,
Koi zinda to hai lekin,
Faqat woh saans leta hai……..
Zara..!Ek pal ko soocho to
koi kitna akela hai,
kisi ki zindagi tum ho…..!
kisi ki Bandagi tum ho…..!

keh tum he meri Zindagi ho


Tujh ko khabar nhi
tujhe yaad karty hain yar pal
tujhe he apne khayalon main
tashkeel kerty hain…
tere he khawab bunte hain…
zindagi ki safar main
tujhe he apna humsafar mante hain
inn Un dekhi Rahon main tuhge he
meherban paate hain
kia tujhe nhi malom ?
keh tum he meri Zindagi ho… !!!

Wo husn-e-Mujassam kamal uski aankhain


Wo husn-e-Mujassam kamal uski aankhain ”
Sarapa-e-Mohabat jamal uski aankhain ”

main jab b poochon sawal us se koi ”
^Muje roz deti hain tall uski aankhain”

jo bachey to do jahan de k le loon”
^Wo chehra wo zulfain wo gall uski aankhain ”

Ager koi poochey k dunia main kia hai
zamana de ga misal uski aankhain”

Main Tumse Bichad Kar Nahin Faryaad Karoon Ga


Main Tumse Bichad Kar Nahin Faryaad Karoon Ga
ye Bhool Jaao Ke Main Tumhein Yaad Karoon Ga

Iss Shehar-e-Be- wafa Mein Wafa Ki Qadar Kahan
Abb Jaa Ke Main Sehraon Ko Aabaad Karoon Ga

Gar Dil Ke Taaluq Say Hai Inkaar Woh Karta
Main Rooh Ke Rishtey Say Bhi Aazaad Karoon Ga

Shayad Khushi Sakoon Mein Rahat Na Mili Ho
Gham Dey Ke Apney Dil Ko Main Abb Shaad Karoon Ga

Dil Bhi Udaas Reh Ke Abb Ukta Sa Gaya Hai
Abb To Naya Hi Shughal Main Ijaad Karoon Ga

Hai Maira Zarf Teri Wafa Say Kahin Barrh Kar
Aey Be-wafa Tujhey Main Kyun Barbaad Karoon Ga

Tu Bhi Bichad Gaya Haaye! Dil Bhi Udaas Hai
Kis Say Bayaan Apni Main Roodad Karoon Ga

Bhanwar main duub kar ubroh kanare mil hi jate hain


Bhanwar main duub kar ubroh kanare mil hi jate hain
Agar justaju ho sachi sahare mil hi jate hain

Tamana chand ki karti hoon kyun tarikh ratoon main
Meri jab aankh ko ashkoun k tare mil hi jate hain

Munderon par nazar rahti hay grche koy mousam ho
Bahaar ane na ane k ishare mil hi jate hain

Woh aansu hain jo aankhon main palat kar hi naheen ate
Magar bichre huwe sache sahare mil hi jate hain

Naheen hay phool chahat ka koy bhi us k pehlu main
Magar nafrat k jalte sangpare mil hi jate hain

Naheen hay tashnagi ab zindagi main koy sawan ki
Humari aankh se ashkon k dhaare mil hi jate hain

Naheen gulfam yeh lazam k royeen hum muqadar ko
Kabhi shahoon ko bhi to kuch khasare mil hi jate hain

Barsoon Ke Chahat Ko Ek Pal Main Badaltay Dekha Hum Nay


Barsoon Ke Chahat Ko Ek Pal Main Badaltay Dekha Hum Nay
Toot Ker Chahnay Walay Ko Baat Say Mukartay Dekha Hum Nay

Naaz Kertay Thay Jo Apni Wafaoon Per
Unhi Ko Bewafai Kertay Dekha Hum Nay

Kaisay Saja Lon Sapnay Apni Udaas Ankhon Main
Her Khuwab Ko Tooth Ker Bikhartay Dekha Hum Nay

Kertay Thay Jo Wada Hamaray Sath Chalnay Ka
Phir Unhi Ko Rasta Badaltay Dekha Hum Nay

Aitbar Nahi Raha Kissi Per Ab Kya Karain
Is Aitbaar Ko Kaye Baar Toottay Dekha Hum Nay

Barsoon Ke Chahat Ko Ek Pal Main Badaltay Dekha Hum Nay
Toot Ker Chahnay Walay Ko Baat Say Mukartay Dekha Hum Nay

Naaz Kertay Thay Jo Apni Wafaoon Per
Unhi Ko Bewafai Kertay Dekha Hum Nay

Kaisay Saja Lon Sapnay Apni Udaas Ankhon Main
Her Khuwab Ko Tooth Ker Bikhartay Dekha Hum Nay

Kertay Thay Jo Wada Hamaray Sath Chalnay Ka
Phir Unhi Ko Rasta Badaltay Dekha Hum Nay

Aitbar Nahi Raha Kissi Per Ab Kya Karain
Is Aitbaar Ko Kaye Baar Toottay Dekha Hum Nay

tere liye duniya mein aye hain


tere liye duniya mein aye hain
tere pyaar mein hi rooksat ho jayeinge

tere liye khushiyan payi hain
tere pyaar mein sab gam bhool jayeinge

teri yaad khusboo bankar ati hai
tere pyaar mein hi khud ko bhool jayeinge

tere liye hi yeh dharkanein hain
tere pyaar mein hi dharakte reh jayeinge

tere liye hi ankhein dekhti hain
tere pyaar mein hi sari duniya dekh jayeinge

tere liye jism mein jaan rehti hai
tere pyaar mein hi ek din fanaah ho jayeinge
tere pyaar mein ek din fanaah ho jayeinge ?.

So gai hai dua hatheli par


So gai hai dua hatheli par,
ik nazar ae khuda hatheli par,

woh bhi taqdeer se gurezan hai,
main bhi takta raha hatheli par,

de gaya umr bhar ke andhiyare,
aik bujhta diya hatheli par,

keh gaya kitni an kahi batain,
phool rakha hua hatheli par,

kho gaya mukhtalif lakeeron main,
jab bhi ansoo gira hatheli par,

zindai ke zaeef lamhon ko,
yun na sathi saja hatheli par,

daikh le khud bhi apni ankhon se,
apne rab ki ata hatheli par,

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam


Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behte hain
Apna to milan hoga pal pal ye kehte hain
Kya ye zindagaani hai bas teri kahaani hai

Bas teri kahaani hai ye jo zindagaani hai

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri vo baatein vo chaahat ki rasmein
Jhoothe thay vaade kya jhoothi thi kasmein
Jaane tamanna kya ye sach hai bas itna keh de
Toot jaayein na lamhe aitbaar ke
De koi sila mere intezaar ka

Chaaha hai tujhko chaahoongi har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri hoon teri jo chaahe kasam le le
Mujhko humrahi tu apne gam de de
Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna
Raaste mein khoyi hai manzil meri
Mere saath jayengi mushkilein meri

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Tu saamne hai mere phir kyon ye doori hai
Tujhe kaise bataoon main hay kya majboori hai
Ye bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai
Sirf aansoo peena hai ye bhi koi jeena hai .

Mujhe duaaon mein yad rakhna


Mujhe duaaon mein yad rakhna
Main wo musafir hun jis ka rasta boht kathin hay

Main hun wo raahi k jiski manzil kahin nahi hay

Mera thikana koi nahi hay
Mera asasa hi dosti hay

Jo maal o zar say bhi qeemti hay
Ye ghup andheron mein roshni hay

Ye kaali raaton mein chandni hay
Ye meri izzat
Ye meri shohrat

hai doston ki dua ka haasil

Mujhe duaaon ka aasra hai
Mujhe duaaon mein yad rakhna…!

Kaisa sungdil hai us par kuch asar nahi karta


Kaisa sungdil hai us par kuch asar nahi karta!
Muhaßat kia karey ga wo meri Qadar nhi krta!

ek hum hen jo rakhtay hen khabar un ki hr ßaat ki,
ek wo hai jo hamari khaßar nhi krta!

Suß kuch lutaye bethay hen hum jin ki chah mei,
ek nigah e ulfat ß wo hamen nazar nhi krta!

Keh diya k na guzren un k koochay se hum,
Dar se apnay koi aisay ßaydar tu nhi krta!

Manga hai Khuda se usko Khudai ka wasta dy kr,
Suna hy aisi dua Khuda Be-asar nhi krta.

Dard deker mohabbat ki ada bhool gaye


Dard deker mohabbat ki ada bhool gaye
Dil mein the kaid mager rasm-e-wafa bhool gaye.

Jin aankhoN meiN chhalakte the sharaab her dum yuiN,
Kya ghula Zeher, maikede ka nasha bhool gaye.

Zakhm dete rahe Lawa bhhi ugalta hi raha,
Guzre haiN Ishq mein per Rooh-e-wafa bhool gaye.

Shumaar rehte kabhie the aziz logoN meiN,
Ab khyaloN meiN bhi woh dil ka pata bhool gaye.

Be-piye ‘musafir’ Gunah kerne ko mazboor hua,
Saza toh yaad rahi our khata bhool gaye.

Kabi Zid Me Hi Tere Hogy Kabi Dil Ne Tujko Ganwa Dia


Kabi Zid Me Hi
“Tere” Hogy
Kabi Dil Ne Tujko
Ganwa Dia,
.
Isi KashmaKash
Me Jiye hain Hum
Tune “Yad” Rakha
Ya Bhula Dia,
.
Kabi “Bebasi”Me
Hans Diye
Kabi Hansi Ne B
“Rula” Dia,
.
Kabi Phool Se Rhi
“Berukhi”
Kabi Kaanto Se
Hath Mila Lia,
.
Kabi “Tujh” Ko
Apna Na Banasake
Kabi Khud Ko Tara
Bana Dia,
..
Jo “Mila Nai” Wo
Mera Hua
Jo Pa Lia Usy
Kho Dia,
.
Ye Ajeeb Khel Hai
“Pyar” Ka
Ek Khayal Se Hi
Nibha Lia,
.
Hai Ajeb Apni
“Zindagi”, Jise
Tum Ne “Mazak”
Bana Dia !!!

Meri arzu hai Tujhy pyar doon


Meri arzu hai
Tujhy pyar doon!
Tujhy chahaton sy nikhar doon!
.
Kahin ansuon mein doob kar,
Tujhy har gharri mein qaraar doon!
.
Main
janoon-e-ishq mein jhoom kar,
Tujhy qurbaton ka hisaar doon!
.
Mujhy tum sy kitna pyar hai!
Taron ka kesay shumaar doon?
.
Meray har taraf teri soch hai,
Kesay mein khud ko farar doon.
.
Aa kar tum phir kho jao na!
Tumhain apni Rooh mein main utar doon…

Tarash kar mere bazu uraan chor gaya


Tarash kar mere bazu uraan chor gaya,
hawa ke paas wo barhana makan chor gaya,

rifaqaton ka meri usko dhayan kitna tha,
zameen le li magar asman chor gaya,

ajeeb shakhs tha barish ka rang daikh ke bhi,
khulay dareechay pe ik phool daan chor gaya,

jo badalon se bhi mujhko chupa ke rakhta tha,
barhi hai dhoop to be saaibaan chor gaya,

oqab ko thi gharaz fakhta pakarne se,
jo gir gai to yunhi neem jaan chor gaya,

na jaane kon sa asaib dil main basta hai,
k jo bhi thehra wo akhir makaan chor gaya,

Khud Se bhi Piyar Tumhare Liye Kya


Khud Se bhi Piyar Tumhare Liye Kya,
Raaton Ko Intezaar Tumhare Liye Kya!
.
Tum Laut Kar Na Aye Kisi Shaam Ko Magar,
Har Shaam Intezaar Tumhare Liye Kya!
.
Ye jan kar bhi k Duniya kisi ki nahi hoti,
Duniya pe Aitebar Tumhare Liye kya!
.
Jo Dil kisi k waste Roya na tha kabhi
Us Dil ko BeQarar Tumhare Liye kya!

Kisi ka saath nibhana kamal hota ha


Kisi ka saath nibhana kamal hota ha,
kisi ko phir se bulana kamal hota ha,

khud apny dard ko har koi jhel leta ha,
kisi ka dard bantna kamal hota ha,

koi pahar girana nahi ha na mumkin,
giray huey ko uthana kamal hota ha,

kisi andhery ko sehna kamal lagta ha,
phir is ma deep jalana kamal hota ha,

bahar rut ma to ugtay hain phool baghu ma,
khizan ma phool ugana kamal hota ha,

kisi ki aankh se dori to zulm hai
kisi k dil ma samana kamal hota ha…

Faisla muhkam nahin bigri hui taqdeer ka


Faisla muhkam nahin bigri hui taqdeer ka
Doosra rukh bhi to hota hai kisi tasweer ka

Narm lahjay say dilon per hukmarani ka amal
Ek naya shahkaar hoga alam-e-taskheer ka

Log sab apni anaa kay khol main mahsoor hain
Kaon samjhey gaa yehan lahja teri tahreer ka

Zarb kaari jab lagata hai koi kirdar per
Rukh badal jataa hai usdam saheb-e-tauqir ka

Bekhatar takhreeb kay sanchay maindhul jatey hain log
Jub koi pehloo nazar ataa nahi tamir ka

Hum nashin!bus haqbajaanib faisley ki dare hai
Toot janaa hai yaqini aahni zanjeer ka

Ishq ki bunyaad per ’MoZaM’ yeh mumkin hi nahin
Kaghzi ho parahun her paikarey tasweer ka

Hum apne gham ko sajaa kar bahaar kar lenge


Hum apne gham ko sajaa kar bahaar kar lenge
Tere khyaalon ko thora sa pyaar kar lenge

Muhabbaton ki kahani tujhe sunaeinge
Hawa chale gi to aanchal ki yaad aaye gi

Ghata uthe gi to kaajal ki yaad aaye gi
Tere haseen tasawwar ko pyaar kar lenge

Yoon yaad hum bhi tujhe baar baar kar lenge
Jo pyaar karte hain woh in ghamon ko sehte hain

Muhabbaton mein toofan aate hi rehte hain
Tumhare naam ko dharkan ke saath rakh lenge

Tumhare chehre ko darpan ke saath rakh lenge
Yeh dooriyon ka samundar bhi paar kar lenge

Tamaam umar tera intezaar kar lenge

kyooN humse khafa ho gaye ae jaan-e-tamanna


kyooN humse khafa ho gaye ae jaan-e-tamanna
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

ye raat ye barsaat ye saawan ka mahina
aise mein to sholoN ko bhi aata hai paseena
is rut meiN gareeboN ka dua kyoon nahin lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

dekho to zara jhaank ke baahar ke fazaa meiN
barsaat ne ik aaga laga di hai hawa meiN
is aag ko seene meiN basa kyoon nahiN lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

aaya hai kise raas judaai ka ye aalam
taDpenge meiN akele meiN udhar aap idhar hum
dil dil se meri jaan mila kyoon nahin lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete

hum se badal gaya wo nigaahe to kya hua


hum se badal gaya wo nigaahe to kya hua
zinda hai kitne log mohabbat kiye baghair

guzre dino mein jo kabhi gunje the keh kahe
ab apne ikhtiyaar meiN wo bhi nahin rahe

kismat meiN reh gayi hai jo aahe to kya hua
sadma ye jhelna hai shikaayat kiye baghair

wo saamne bhi ho to na kholenge hum zubaan
likkhi hai uske chehre pe apni hi daastaan

usko taras gayi hai ye baaheN to kya hua
wo laut jaaye hum pe inaayat kiye baghair

pehle karib tha koi ab dooriyaaN bhi haiN
insaan ke naseeb meiN majbooriyaaN bhi haiN

apni badal chuka hai wo raahen to kya hua
hum chup rahenge usko malaamat kiye bahgair

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha


“Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
dil uski mohabat main giraftaar hua tha.
Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
woh roop k jis roop se kalyaan bhi lajain.
woh zulf k jis zulf se sharmain ghha^tain.
mae’y khane^y nigahoon pe, Adaao ke taraane^y.
da^y daal mujhe husn-e-mohabbat ke khazane.
Haan Aisi he Eik Raat thi.
Ayasa he sama tha.
Yeh Chand bhi puura tha.
Zamana bhi jawan tha.
Eik pae^r ke Sayae main jab Iqraar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha.hay pyaar hua tha.

kashmire ki waadi ke woh purr qaid nazare.
lamhaat muhabbat ke jahan hum ne guzaray.
Angrae^yan le kar meri bahoon ke sahare.
gul naar nazar ate thay woh sharam ke maree.
Yak tarfa na thee husn-e-muhabbat ke Esharee.
Usne bhi kai baar mere baal sanwaree.
Ehsaas ka,Jazbaat ka Ezhar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha

kuch rooz kate^y unhi bura waqt jab aya.
Us husn ki devi ne bhi nazroon ko pheraya.
qurbat ne zamane ke nigahoon se giraya.
Anchal mere hatoon se muhabbat ne chhuraya.
Ek raat ko Usne mujhe suuta hua chhoora.
jaldi woh kahin pyaar ko ruuta hua chhoora.
soya hua main neend se jaga ju saware.
woh jab na milii chhagaye ankhoon main andhere.
taqdeer kisi ko bhi bure din na dekhae^y.
hote^y hain bure^y waqt main Apne bhi paraye.
kia pyaar ki daolat ka talabgaar hua tha

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
dil uski mohabat main giraftaar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha

Yun akelay may usay ehd-e-wafa yaad aye


Yun akelay may usay ehd-e-wafa yaad aye
Jesay banday ko museebat may khuda yaad aye.
Jesay bhatkay howay panchi ko nashiman apna,
Jesay apno k bicharnay pay dua yaad aye.
Jesay dhalti hui shamoon ko savera koi,
Jesay pinjray may parinday ko fiza yaad aye.
Jesay borhay ko khayalat may bachpan apna,
Jesay bachay ko shararat pay saza yaad aye.
Jesay ujri howi basti ko zamana apna,
Jesay dufaan k thehrnay pay dia yaad aye..!!

Muhabbat karne wale devane kehlatey hein


Muhabbat karne wale devane kehlatey hein
nasamajh log un ko samjhaane aate hein

nah woh sun sakein aur nah hum suna sakein
dastan mein apni kuch esse afsaane aatey hein

muhabbat mein apni jo log naamurad gaey
unke mizaron pe log muradein paane aate hein

manzil khoti ho jati hey unki jo dam bhar ruk jaein
rah e muhabbat mein yun tu kai thikhane atey hein

jaan qurban karna hi hey mehraaj e ishq ,Zafar
shama jalte hi hasrat mein jalne ki parwane aate hein

Popular Posts